Sie sind auf Seite 1von 15

Character Gamraj (Raj Comics) Genre Comedy, Action, Adventure, Social.

l. Stories (5) Agent Basanti, Har Har Yamuney, Common Sense, Divya Donation, Aamchi Mumbai. Author Mohit Sharma (Trendy Baba / Trendster)

1. Agent Basanti

Mumbai ka kukhyat mafia sargana Buffal Bhainsal, Yamraj kay divya vahan Vrashabhraj ka bahut bada bhakt tha kyoki uski parvarish bhainso kay tabeley mey hui thi aur ab apne gair kanooni dhandhe bhi wo apne bahut se tabelo ki aad mey karta tha. Uske purkhe Bhainsal parivaar kay log bhi bhainso kay tabeley chalate aaye thay. Apne bade se ghar ko bhi usne tabela bana rakha tha jisme bahut si bhains rehti thi. Buffal kay gair kanooni kaamo ki bhanak Gamraj ko lagti hai aur wo Buffal kay peeche padd jaata hai. Buffal kay gang kay kai aadmi Gamraj, Yamunda aur Shankalu ki wajah se Police dwara pakad liye jaate hai. Buffal bhi Gamraj aur Yamunda se kai baar pit chuka tha.

Tang aakar Buffal Vrashabhraj ko prakat karne kay liye aaradhna karta hai. Iss aaradhna mey wo kai ton chaara aur bhusa arpit karta hai Vrashabhraj jald hi dravit hokar uske saamne prakat ho jaate hai. Buffal unse vinti karta hai ki Vrashabhraj har waqt uske saath rehkar uski Gamraj, Yamunda aur Shankalu se raksha karein. Vrashabhraj usse samjhate hai ki wo Yamraj kay vahan honay kay kaaran prithvi par sthai roop se nahi reh sakte. Ye sunkar Buffal unse apne ghar mey Vrashabhraj ki ek divya murti sthapit karvane ki prathna karta hai jo uske ghar mey Gamraj, Yamunda aur Shankalu kay pravesh par rook laga de. Uske ghar mey apni divya murti lagakar aur usse apradh ka raasta chhodne ki salah dekar Vrashabhraj antardhyaan ho jaate hai. Uska ghar Gamraj, Yamunda aur Shankalu proof ban jaata hai. Ab wo apradh ko apne ghar se hi sanchalit karne lagta hai. Police sabooto kay abhaav mey aur Buffal ki rishvat se uske yaha doodh kay utpaad khaane peene kay alawa kuch nahi kar paati thi. Gamraj, Yamunda aur Shankalu ab Buffal ki harkato kay mook darshak banker reh gaye thay kyoki wo chahkar bhi Buffal ko rookne kay liye uske ghar mey pravesh nahi kar paa rahe thay. Buffal kay ghar mey ghuskar waha se Vrashabhraj ki divya murti laane kay liye Gamraj apne cheley Shankalu ki bhains Basanti ko chunta hai. Yamunda ki madad se Gamraj Basanti ko train karta hai. Basanti ko seekhane kay dauraan Yamunda uske kareeb aata hai aur uss se flirt karta hai, jiss wajah se Basanti Yamunda se rooth jaati hai. Training poori honay par Agent Basanti ko murti laane kay mission par bheja jaata hai aur mission ka naam rakha jaata hai "Mission Gobar Ganesh." Buffal kay ghar mey reh rahi kai bhainso mey Agent Basanti aasani se mil jaati hai. Par Vrashabhraj ki murti ek alag kamre mey rakhi gayi thi jahan Buffal kay alawa kisi ko ghusne ki ijazat nahi thi. Par samay kay saath Basanti ko itni saari bhainso ka vishvaas jeetne mey dikkat honay lagi. Sabhi bhains usse ghuspaithiya, gaddaar, etc kehne lagi aur usse waha se bhagane ka prayaas karne lagi, tab Basanti unhe deshprem se paripoorna ek bhaashan deti hai jiss se sabhi bhainso mey deshprem jaag jaata hai aur wo uske saath ho jaati hai. Basanti badi mushkil se uss

kamre mey pahunchti hai jaha Vrasabhraj ki murti rakhi hoti hai aur usse apne mooh se utthane ka prayaas karne lagti hai. Par tabhi waha Vrasabhraj pahunch jaata hai. Uss kamre mey Basanti ko dekh Buffal uske mansube bhaamp leta hai aur usse peetna shuru ka deta hai jiss kaaran darr kay maare Basanti uss kamre mey gobar kar deti hai. Gobar uss divya murti par bhi padd jaata hai. Murti Gobar se apavitra ho jaati hai aur uska divya asar bhi khatm ho jaata hai. Yamunda apni mansik shakti se murti kay asar par nazar jamaye issi pal ka intezaar kar raha tha. Wo Buffal kay ghar mey tabela todd entry karta hai aur Basanti ko bachakar Buffal ki pitai shuru kar deta hai. Gamraj bhi aakar uske ghar se tabeley mey chupi bahut se avaidh aur gair kanooni cheeze baramad kar police ko bulata hai. Buffal Yamunda aur Gamraj ki pitai kay darr se iss baar Police ko bina sabooto kay apne sabhi jurmo ka iqbaliya bayaan de deta hai. Basanti bhi Yamunda ko maaf kar deti hai. The End!

2. Har Har Yamuney

Mumbai mey drugs aur nashile padartho ka chalan tez ho gaya tha. Gamraj zehar kay iss karobaar ka jab bhi Mumbai se safaya karta ye kuch samay baad phir se panapne lagta. Gamraj samajh chuka tha ki jab tak iss zehar kay samrajya ki jadd ko nasht nahi kiya jaayega tab tak ye aise hi baar baar panapta rahega. Wo inn nashile padartho kay mool ka pata lagate huey pahunchta hai Delhi kay paas Yamuna kay kinare ek sunsaan elake mey. Waha usse nashile padarth bana rahe ek sangathit giroh ka pata chalta hai jo waha jarjar awastha mey bane khandaro ka isteymaal nashile padarth banane mey kar raha tha. Gamraj Police kay saath waha par chhapa maarta hai par giroh kay sadasyo ki sankhya bahut zyada hoti hai isliye Gamraj ko Yamunda ka sahara lena padta hai. Yamunda aakar sabhi hathiyarbandh apradhiyo ko sabak seekhata hai. Iss beech bahut saa nashila padarth paas hi beh rahi Yamuna nadi mey beh jaata hai.

Yamuna ji apni divya drishti se unke andar itna saara nashila padarth bahane waale ko dekhti hai to unhe Yamunda dikhai deta hai. Wo Yamunda ko dandit karne ki thaan leti hai. Wo sakshaat prakat hokar Yamunda ki jamkar pitai karti hai aur usse waapas yamlok bhej deti hai aur uske prithvi par aane par pabandi laga deti hai. Issi beech jab Gamraj aur Yamunda Yamuna ji se unke iss gusse ka kaaran poochte hai.To wo batati hai ki "Kaliyug kay manavo ko to paap karne ki aadat hai aur unke dwara gandagi failaye jaane ki ab mai aadi ho chuki hun, par Yamunda to mera apna hai kyoki mai Yamraj ki behan hun aur Yamunda unke vahan Vrashabhraj ka putra hai, iss kaaran uska apradh shhama karne yogya nahi hai." Yamunda apne swami Gamraj kay bina Yamlok ko apne sar par uttha leta hai aur waha bandi bani aatmao, Yamduto aur yaha tak ki Yamraj ko apni zidd se pareshan kar deta hai. Gamraj ab bhi prithvi par logo kay dukho ko Yamunda kay bina kum karne ki kosish karne laga. Halaki, anginat rupayo kay karobaar ko khatm karne kay liye Bharat sarkar nay Gamraj ko kai crore rupaye aur unn khandaro ki zameen inaam mey di thi par Gamraj ko ye sab bekar lag raha tha. Nashe ka karobaar phir se Mumbai aur poore desh mey parvaan chaddne laga. Nashe kay saudagaro nay apne liye upyukt bahut se naye sthaan chun liye thay aur waha par bade paimane par nashile padarth ban rahe thay. Yamunda kay bina Gamraj unn apradhiyo ka theek se saamna nahi kar pa raha tha. Gamraj apni banayi yojna kay tehat Shankalu ko unn apradhiyo mey mila deta hai. Shankalu ki madad se Gamraj kai nashile padartho kay utpadan mey lagi ikaiyo ki khabar police tak pahunchakar bandh karvata hai aur unse judde apradhiyo ko giraftaar karvata hai. Idhar Shankalu nashe kay karobaar kay beech rehne kay karan nashili cheezon kay seevan ki lath lag jati hai aur Gamraj ek baar phir nashe kay khilaaf apni desh vyapi ladai mey akela pad jaata hai. Shankalu ki haalat kay liye Gamraj swayam ko hi zimmedar maanta hai kyoki ussi nay Shankalu ko unn apradhiyo kay beech bheja tha.

Yamunda ko paane ki kosish kay tehat Shankalu kay bachcho ki parvarish kay saath saath, Gamraj sarkar dwara di gayi zameen par inaam mey mili dhan rashi se unn khandaro mey bade starr par 'River Water Recycling Plant' ka nirmaan karvata hai. Lekin uske iss prayaas mey nashe kay sargana adchane daalte hai, yaha tak ki Shankalu bhi nashe ka ghulam hokar apne guru Gamraj ka dushman ban jaata hai. Aakhirkaar Gamraj apne prayaaso se safal ho jaata hai. Yamuna ji Yamunda kay swami yaani Gamraj kay iss swarthheen prayaas se khush hokar Yamunda ko wapas prithvi par aane ki anumati de deti hai. Yamunda kay saath milkar Gamraj jald hi nashile padartho ko banane aur inki taskari mey lage kai mukhya apradhiyo ko sazaa dilvata hai. Ab bhi Gamraj ki ek bahut badi niji samasya bachi thi. Shankalu ab tak poori tarah se nashe ki giraft mey aa chuka tha. Uski adat se pareshaan hokar Gamraj apne muh bole pita Yamraj ki madad se natak rachta hai ki Shankalu atyadhik nashe kay seevan se marr gaya hai aur Yamdoot usse yamlok lekar aa gaye hai. Jaha Yamraj usse dikhate hai ki uski iss buri aadat se uski jaan chali gayi aur iss kaaran uska parivaar musibato se ghir gaya hai. Gamraj, Yamunda aur poori Kurla basti bhi shok mey doobi hai. Ye sab dekhkar Shankalu Yamraj kay samne gidgidata hai, vinti karta hai ki usse sudharne ka ek mauka aur milna chahiye. Wo kasam khaata hai ki wo ab se kisi bhi nashile padarth ka seevan nahi karega. Yamraj apni maya se usse waapas prithvi par bhejne ka natak karte hai. Shankalu iss maya ko samajh nahi paata aur isse sach maan kar bhavishya mey kisi bhi prakar ka nasha karne se tauba kar leta hai. Iss tarah Gamraj nay nashe kay virrudh apni iss jung mey jeet haasil kar li. The End!

3. Divya Donation

Kisi bhi vaahan mey badal jaane ki Yamunda ki khoobi ek Veterinary Doctor yaani jaanvaro kay Doctor ko pata chalti hai. Wo kutil buddhi doctor Gamraj kay saamne galat khabar ka rona rota hai ki ek dairy waali bhainso ko le jaa rahe truck ka accident ho gaya hai jisme kai bhains gambheer roop se ghayal ho gayi hai. Gamraj ka dil uski kahani

se paseej jaata hai. Wo Doctor Gamraj se kehta hai ki wo Yamunda ka khoon usse de de kyoki Yamunda to divya prani hai jispar aise bade rakt daan ka koi asar nahi padega. Gamraj uski baat maan leta hai aur usse Yamunda ka khoon de deta hai. Wo Yamunda kay khoon ki kuch maatra apni Car mey daalta hai aur uski Car uss doctor ki marzi par kisi bhi vaahan mey badal sakne waali 'Wonder Vehicle' ban jaati hai. Yamunda kay khoon ka wo vyavsayik faayda utthakar 'Crime Under World' kay logo se bahut paisa kamata hai. Idhar shehar bhar mey aise ajube vaahano se apradh karte apradhiyon se Gamraj joojhte huey pareshaan tha. Gamraj samajh jaata hai ki ye uss doctor ki wajah se hua hai jisne Yamunda kay divya khoon ka galat isteymaal kiya hai. Par Khoon kay khatm ho jaane kay baad wo sabhi Wonder Vehicles apni kisi bhi vaahan mey badal jaane waali khaasiyat khoo dete hai. Doctor jaanta tha ki ab Gamraj usse Yamunda ka aur khoon nahi dene waala. Balki ab to Gamraj usse pakad kar Police kay hawale karne kay liye dhoond raha tha. Wo Doctor apne paltu Kuttey mey Yamunda ka bacha hua khoon inject kar deta hai. Jiss se uss kuttey mey Yamunda jaise gunn aa jaate hai. Wo kutta apne swami ki har baat maankar apradho mey uski madad karne lagta hai. Saath hi wo Gamraj ya Police dwara Doctor ko koi haani nahi pahunchne deta hai. Uss 'Super Kuttey' dwara Doctor kay apradh badhte jaa rahe thay. Yamunda uss kuttey se bhayankar yuddh ladta hai jiska koi natija nahi nikalta. Aakhirkar, Gamraj ko hall soojhta hai. Wo Yamunda ki madad se uss kuttey ko dhokhe se ghayal karva deta hai aur phir dialysis ki madad se kuch samay kay liye behosh huey kuttey ka saara khoon badalva deta hai. Aur uss Doctor ki achchhi pitaai kay baad usse Police kay hawale kar deta hai.

The End.

4. Aamchi Mumbai

United Nations (U.N.) duniya kay pramukh sheharo kay safety, crime, tourism, trade, transport, ko aadhar bana kar unn sheharo ki rating kar rahi thi. Ye international rating baad mey poori duniya ko tourism aur trade kay liye sabse favorable cities ki list dene waali thi jiske anusaar bahut se desh apne nagriko aur vyapario ko bhavishya kay liye disha nirdesh dene waale thay. Sabhi cities kay crime records, trade, transport aur tourism ki volume ka U.N. kay adhikariyon dwara hisaab rakha jaa raa tha. Mumbai bhi unn cities mey chuna gaya tha. Issi beech Mumbai mey apradh badhne lage thay. Saath hi Mumbai kay mukhya Bandargaaho, Airports, Railway Stations, etc, par aaye din koi naa koi gadbadi ho rahi thi. Jaise kabhi achanak bhaari sankhya mey kisi videshi prajati kay endangered pakshiyon ka airport par aa jaana. Ya phir samudri ships ka apne aap coast ki taraf badh jaana aur paas ki bastiyon mey ghus jaana. Ya phir official crime record badhane kay liye tourist ban kar aaye videshi khufia agents ki jhooti shikayatein. Gamraj inn apradho ko rookne ki jee todd kosish karta hai. Uski pakad mey kai videshi agents aate hai jo chahte thay ki Mumbai mey kum trade aur tourism ho taaki U.N. ki best city ki daud se naa sirf Mumbai bahar ho jaaye balki sabhi cities kay muqable sabse last aakar ek international joke ban ka reh jaaye. Iss baat ka Gamraj ko kaafi baad (mahiney kay aakhir) mey pata chalta hai. Mahiney kay aakhri din tak Gamraj videsho dwara karvaye jaa rahe apradho ki rook thaam mey laga raha. Gamraj ko pata chalta hai ki ye videshi chaal kaamyab honay waali hai aur Mumbai baaki sabhi shehro se kaafi peeche chhut gaya hai.

Gamraj bhi "cheating ka badla cheating se dene ki sochta hai". Wo uss mahiney kay aakhri aadhe ghantey mey Bandargaaho, Airports, etc, mey 'Superduper Sonic' multipurpose Yamunda ki madad se naa sirf mahiney ka saara ruka hua trade aur transport poora karva deta hai saath hi agle mahiney ki bhi kaafi advance trading kar deta hai. Phir Gamraj peechle dino shehar mey huey apradho kay liye U.N. kay adhikariyon kay saamne pakde gaye videshi nagriko ko sabooto kay saath pesh karta hai. U.N. kay saamne 1 mahiney se Mumbai mey ho rahi gadbadiyon ka sach khul jaata hai. Gamraj kay 'eleventh hour' (aakhri samay) par kiye gaye efforts ki wajah se Mumbai ka revenue sabse zyada hota hai aur Mumbai ko best city ka khitaab milta hai. Aur U.N. ki report mey likha jaata hai ki "Gamraj aur Yamunda kay rehte Mumbai hi best rahega." The End!

5. Casting of Gamraj (Promotional Post for "Bacha Lo!") "Bacha Lo!" naamak film kay liye Raj Comics kay kirdaaro ki casting jaari thi. Gamraj nay film mey kaam karne kay liye bahut badi dhan rashi maangi aur majboori vash RC Management ko uski sharte maanni padi. Baad mey pata chala ki Gamraj unn Paiso ko Kurla ki basti kay gareebo ko baant kar faraar ho gaya hai. Ab samasya ye thi ki Gamraj ki jagah kise cast kiya jaaye. Kai screen tests huey talaash jaari rahi. Raj Comics kay sabhi creatives pareshaan ho chuke thay. Kai creatives nay to Gamraj jaisi physique banane kay liye kai dino se khaana hi chhod diya tha. Koi solution naa honay par

aakhri option naye artist Sushant Panda ko rakha gaya tha jo permanent malnutrition kay shikaar lagte hai. RC se judde sabhi creatives ki meeting hoti hai ki Gamraj kay role kay liye kya kiya jaaye. Gamraj kay baare mey Sanjay Gupta ji sabhi kay saamne apne disha nirdesh phir se dohrate hai. Sanjay Gupta - Gamraj koi aisa insaan ban sakta hai jiska chusa hua sa chehra ho......jisse dekh kar aisa lage ki uske pehle se hi 56 ready made thappad baj chuke hai. Sabhi ki nazar bheed mey baithey ek shakhs par ruk gayi thi. Sabhi eksaath bole. "Aage bataiye, Sanjay ji." Sanjay Gupta - Jiske skeleton ki kabiliyat doubtful ho. Jiski hassi dekh kar doosro ko dard ho ki bechara taqleef mey hai. Jiske dil mey dard disco karta ho. Jisse dekh kar Dracula bhi apna raasta badal le aur kahe ki "Lagta hai iss gali mey mai apna kaam kar chuka hun." Jiske D.N.A. pattren mey bhi tragedy likha nazar aaye. Sanjay Gupta ji dwara itni details dene kay baad sab bol pade. "Bas, Sanjay ji.....bagal mey chhora aur shehar mey dhindora....mil gaya humey apni film kay liye Gamraj." Sanjay Gupta - Kaun ?

"Wishumady." Sanjay Gupta - Arre Haan, shabash.......done. Wishumady - Mujhe to Nagraj banna tha. The End!

Das könnte Ihnen auch gefallen