Sie sind auf Seite 1von 1

hum to jite hai teri dosti ki ulfat ke liye log chale jate hain milne ki tamanna hi liye.

haal behaal hai kucch is tarah bayan na kar payoon jubaan ladhgadha jati, bayaan karne ke liye. aa gai phir wahi awaz mere dil se yaroon ruh zinda hai abhi, zakham sahne ke liye aarzoo hai ki kisi modh par phir mil payen ge sansen chalti hai usi modh per milne ke liye. aa gaye ankh me ansoon jo tere khat ko dekha tera yeh andaaz hi kafi hai mere marne ke liye. .

Das könnte Ihnen auch gefallen