Sie sind auf Seite 1von 32

1

NASAR‘PARAY

Maqsood Hasni
2

NASAR‘PARAY

1-
Monh say nikla lafaz aap ka nahain rehta, woh auroon ki malkiat ho jata hai.
Yaad rakhaay lafz ki wapsi main ziyadah dair nahain lagti.

2-
mutwatar chaltay raho warna bai'kari aur la'yaeniat ka dimak tumain chat kar
ja'ay ga.

3-
Ta’alaq aur monh kay reshtoon main dararar par ja’ay aur fariqain wazahat aur
daryaft par aamadah na hoon to aisay reshtay ka khatam ho jana hi behtar hota
hai wagarna aatay kal ko galay ki phans ban kar shaded takleef ka sabab banay
ga.

4-
Dukh ko apni zaat kay sath share karo aur essay apnay hawala say enjoy karo. Es
say dostoon main kami nahain aa’ay gi.

5-
Sukh aur khushi ko es andaz say na manao kah hasdaoon ki tadad man azafa ho
ja’ay aur phir apni zaat ka samana karnay say bhi khoof khao.

6-
Afaday ko apnay liay hi mkhsus na kar rakho kah baray log afaday ko insane
kay liay mukhsus rakhtay hain.

6-
Ilm ki taqseem main bukhal say kaam na lo. Taqseem say yah kam nahain hota
her’chand azafa hi hota chala jata hai. Agar es ki taqseem rook doo gay to es
main na’seraf kami waqay ho ja’ay gi balkah eak roz es dolat say mehroom bhi
ho jao ga.

7-
Sar aur garden ko apnay vajood say bahar na nikalnay doo es say tumhara pura
jism rashay ka shaker ho ja’ay ga ya yah amal tumharay dil-o-damagh main
khalal paida kar day ga aur tum insam kay majavzah darjay say gir jao ga.
3

8-
Dolat aur jah-o-jalal say mohabat karo gay to insane say door ho jao gay. Insane
say mohabat karo gay to Allah sahib tumain apnay qareeb kar lay ga. Allah sahib
ki qurbat na’seraf ijaz-o-inksar say sarfaraz karay gi balkah tumhara dil damagh
aur aankhain sair ho jaein gi. Phir zamein-o-aasman ki badshahi bhi tumharay
vajood kay status par puri na otar pa’ay gi.

9-
18 ropay fi paper marking nay na’seraf binae chein li hai balkah qatal-o-gharat ka
bazaar garam kar diya hai. Es main tabdili lanay ki zarorat ko nazar andaz karna
danista tilimi miyar ka baira gharaq kanay kay mutradaf ho ga.

10-
Monh aur Salam dua kay reshtoom main na’seraf mahtat andaz ki zarorat hoti
hai balkah bardast bhi es ka lovazmah hai ba’surat-e-degar yah reshtay zindah
nahain rehtay.

11-
Jitna jantay ho otna hi kaho os say ziyada ya kam kehna zulm hai. Zulm aur kufr
ki sarhadain door door nahain hain.

12-
Mairay andar ka insan khud to apni marzi ki jita hai likin mujhy mairi marzi ki
jinay nahain daita.

13-
Zindgi ko samaj kay mustamal hawaloon kay sath karo gay to yah tumharay
daman main phool kalyaan aur moti rakh day gi.
Apni marzi ka jina chaho gay to tumharay paoon zamein par nahain aanay day
gi.
Allah aur Rasool kay tabay’farfan raho gay to rooh main golab-o-umbar otar
aa’ein gay.aaghi kay darwazay khul jaein gay.
Qaboliat kay saray darwazay khul jaein gay
Likin
nazay ki anni moqadar tehray gi ta’hum shahidoon ki saff main shamil ho kar
na’seraf zindah raho gay balkah apnay Allah kay haan say khair ka rizaq bhi
hasal karo gay.

14-
kharabi par aankh band karna juram jab'kah bai'maeni aur behas baray behas,
hamaqat say ziyadah nahain.
4

15—
Miti pao,
bara aam Punjabi mohavrah hai. Yah mohavrah khulli chuti ka sabab ban raha.
Jab koe sarkari ehal’kar ghalti karta to log es liay chup ho jatay hain kah waqt
aur paisay zaya karin gay aur natijah sefar rahay ga balkah ulta kisi mosibat ko
galay laga lain gay. Agar kahain kuch likhain gay to likhay ki kal ko puryaan ban
jaein gi. Net par likha bhi kuch nahain kar pa’ay ga lihaza chup ho jatay hain.
Yah rovaeya qatan darust nahain. Ghalti ya kisi kharabi ki nishan’dahi hoti
rahay to acha hai. Yah jalti aag par qatrah qatrah pani girnay kay mutradaf hota
hata hai. Baat rikard main aa ja’ay gi. Hum apnay hisah ka kirdar ada kar dain
gay. Hamari gowahi waqt kay sinay par sabt ho ja’ay gi. Aata kal humain
dashnam nahain karay ga aur humain mujramoon ki qitar main khara nahain
karay ga. Na bool kar hum sheh datay hain. Mujramoon kay kiay ko darust qarar
daitay hain. Woh samjhtay hain kah hum jo kar rahay hain thek hi kar rahay
hain.

16-
Private tulba ka moawan kitabain kharidna samjh main aata hai likin regular
tulba ka khulasay aur moawan kitabain kharidna samjh main nahain aata.
Usta kis liay hai?!
Os say puchain,
Yah pochna onhain kitab say munsalik rakhay ga. Ustad say pochay main tulba
ko jhijak nahain rakhni chahiay. Jo ustad apnay talib’ilmoon kay sawalaat ka
jawab nahain daita ya oon ka sawal pochna acha nahain samjhta, ossay yah
paisha choor kar kisi aur paishay ko ekhtayar kar laina chahiay.

17-
Shaiar jangal ka badshah kayoon hai?
Kya jangal main os say ziyada taqat’war janwar mojood nahain hain?
Shaiar es liay shaiar hai:
Eakta bana’ay rakhta hai.
Sab sathi mil kar shaker kartay hain.
Sathi ko mosibat main tanha nahain chortay.
Shaiar himat nahain torta. Ossay ghaat lagana aata hai. Warna shaiar say barh
kar taqat kay hamil janwar jangal main mojood hotay hain. Buzdili oon lay dubti
hai.
Eak sath reh kar bhi sathi ki madad nahain kartay. Ossay tanha choor daitay
hain. Onhain apni jan piyari rehti hai.
Insanoon kay jangal main bhi surat-e-hal es say mukhtalif nahain. Es liay ossay
her pehlo qatal hona parta hai ta’hum Midan main marnay walay apni zaat kay
samnay surkhro ho jatay hain aur phir aata waqt onhain kabhi marnay nahain
daita.
5

18-

Gali main faqeer nay sada lagae:

“Sohnay Allah day naan da”

Maboob kay sath sohna ka sabqa yaqenan dil moh kar laita hai. Os nay jaieb
main hath dala aur chand siky faqeer kay hath par rakh deay. Es feal say ossay
dili taskeen aur sakoon mayassar aaya. Chand lamhoon kay baad ossay
sharmindgi hoe. Sara etmanan aur taskeen gharat ho kar reh giya. Sohany
Maboob (Allah-o-Jamilun) kay naam par chand seky?!

Es naam par to hazaroon zindgiyaan nishawar ki ja sakti hain. Kiya es saqay


kay hawalah say kuch dana emkan main hai. Lainay walalay ka daman
lainay ka motahamal ho sakta hai?!

Na kuch deya ja sakta hai aur na laynay wala lay sakta hai. Haan mostaheq
samjh kar kuch day dayna aur lay layna emkan main hai.

19-Mohabat ko kisi gowahi ya shahadat ki zaroorat nahain hoti. Yah khud


apni gowah hoti hai. Jahaan es qesam ki zaroorat paish aati hai wahaan
mohabat nahain sooda’gari hoti hai. Jab matlab mainmaqsad shamil ho jata
hai, puri amarat dharam say nichay aa jati hai. Kuch bhi baqi nahain rehta
sewa’ay chand bay’bas aankh say giray qatroon kay.

20-Bachay baray hisas hotay hain. Mamoli chezain oon kay dil-o-damagh par
ghehray asraat moratab karti hain aur yah asraat ta’hayat barqarar rehtay
hain. Baz mamamlaat main waldain khud zima’dar hotay hain aur alzaam
olaad par dhartay hain. Yah atwar kisi toor darust nahain hain. Kal ki baat
hai main gali main say guzar raha tha eak bacha khilona gun dusray bachy
par tanay khara tha. Mein soch main par giya kah aakhar humain kab aqal
aa’ay gi.

21-

Eak choti se bachi nay apnay baap say shart lagae, agar aap jeet gay to mujhy
Re.10/ doo gay aur agar mein jeet gae to aap say Re.10/ loon gi. Woh samjh
rahi thi mein seyani hoon jabkah baap bachi shart har kush ho raha tha kah o
ski bachi kush hai. Ossay yaqenan maloom tha kah mein ba’zahar ghatay ka
soda kar raha hoon. Dar’haqeqat woh ghatay ka soda nahain kar raha tha. Jis
say doo fariqoon ko khushi mil rahi ho wo soda ghatay ka nahain hota.

22-
6

Kisi baray nuqsan say bachnay kay liay thoray noqsan par kush ho jana
ghatay ka soda nahain hota. Qurbani os kay liay daina jo qadar’shanas ho
likin jo qurbani laina janta ho aur dainay kay moamlay main kora ho os kay
qurbani daina hamaqat say ziyada nahain.

23-

Seraf apnay liay socho gay to tanha reh jao gay. Jis say auroon ko faeda ponch
sakta ho aur tumain koe nuqsan na hota ho to faeda apnay tak mehdood na
karo. Bukhal ki yah “Z” class sata hai. Faeda ko apni zaat tak mehdood kar
laina kisi tara darust nahain. Yah kah koe aur tum sa na ho ja’ay, say ziyada
koe ghalt soch nahain. Dainay walay ka hath hamesha opar hi rehta hai
jab’kah lainay walay ka hath nichay. Eak sa status rakhnay kay ba’vajood
donoon eak say kis tara ho saktay hain. Lainay wala baad main tasleem karay
na’karay es say koe faraq nahain parta tumhara dainay walay ka zameer
mutmin hota hai. Etmanan say bhar kar koe aur cheez nahai. Phir bhi lainay
walay ka andar sab kuch zaroor tasleem kar raha hota hai. Lainay wala
samjhy na’samjhy dainay walay ko es say kiya laina daina.

24-

Ulma ki guftagu ahal-e-danish kay liay aankhain aur danesh kay mutlashioon
kay lay mosam-e-gul say kisi tara kam nahain hoti. Yah banjar zehnoon ko
seraab karkay oonhain danesh kasht karnay kay kabal banati hai. Lazam hai,
jab koe aalam kuch kehnay ko monh kholay to tum apnay monh ko band kar
lo aur hosh-o-havas ki sari khirkiaan aur darwazay khool doo ta’kah na’seraf
mafaheem tak ponch sako balkah woh tumharay nafas* ka zamein say
ta’allaq khatam karkay rooh main otar kar alhohiat kay faiz say behra’yaab
kar sakay.

• *Nafas ka ta’allaq zameen say aur rooh kay hawala say Allah kay sath bhi
hai. waqt yah
• Yaeni ba’yak donoon atraf say jura howa hai.

25-

Woh daiar tak bolta raha os kay samnay baithay log bari khamoshi say sontay
rahay. Keh son lainay kay baad “pundara” ki taseem ka amal shoro ho giya.
Ab koe khamosh na tha goya nafsa nafsi ka alam shoro ho giya. Chup apni
ehmeat kho baithi. Sabr ka paimana labraz sa ho giya. Ghaliban her koe janta
tha kah os ki mamoli susti ossay mehromi say dochar kar day gi aur yah baat
7

ghalt bhi na thi. Pundara taqseem ho giya kuch ko ziyada kuch ko kam aur
kuch mehroom ho gay. Eak hi mehfal teen tabqoon main taqseem ho gae.
Oon main say kisi ka moaaqaf ghalt na tha. Oon ki guftagu son kar moqarar
ko apni kam’ilmi ka shidat say ehsas honay laga aur agli bar stage par aanay
kay liay mazeed motalay aur moshahiday ki zaroorat mehsus hoe. Agli bar
woh pehlay say bhar char kar tiyari kay sath stage par aaya likn pundara
joonhi paiat main giya log guftagu main pehlay say kahain aagay bhar gay
thay. Woh sochnay laga ilm to aadmi ki sharest main mojood hai bhokh
zehanat kay ezhar kay darwazay band kar deti hai. Roti kachi paki ya sari bhi
ho zahanat ko zinda rakhti hai.

26-

Zarori nahain her bara aadmi* hamesha koe bari baat kehta ho aur os say
kabhi koe hamaqat sar’zad na hoti ho. Essi tara kam’darjay ka aadmi**
hamesha kam’darjay ki baat karta ho aur os say koe barhya kaam sar’zad na
hota ho. Danish aur hikmat kisi ki miras nahain hain. Dusra aadmi zeddain
ka majmoa hai es liay os say mokhtalif tara kay kaam sar’zad hotay rehtay
hain. Kabhi woh eman ki aala sata par faez hota hai to kabhi es hawala say
”Z” sata par bhi aa jata hai. Bara ghalti nahain karta aur chotay say ghaltiaan
hi hain, say zeyada koe ahmaqana baat nahain ho sakti.

• *Jisay hum keh ya samjh rahay hoon

**Jisay hum keh ya samjh rahay hoon

27-

Qalam dil-o-damagh aur rooh-o-jan ko masakhar karta hai. Es kay bar’aks


talwar kuch bhi hasal nahain kar pati. Ba’zahar zindgi cheen laiti hai likin
haqeqat main aisa nahain hota. Marnay wala mojoda zindgi say kahein
ziyada zindgi pata hai.* Moot kay baad ki zindgi mojoda zindgi say kahein
bhar’kar, ba’ezzat, pur’waqar aur hajaat say bala’tar hoti hai. Es hawala say
motalaq maqtoloon ko murda nahain kaha ja sakta kayoon’kah woh apnay
Allah say khair ka rezq patay hain. Sahib-e-Qalam b’awaqar jitay hain
ba’waqar martay hain. oon kay zameer par kisi qesam ka bojh nahain hota.
Qalam onhain hajaat say mokt kar deta hai. Oon ki khashaat** mahdood ho
jati hain kayoon’kah taqwa aur sabr oon kay sath sath chaltay hain. Mun ka
bojh kaghaz par motaqil hota rehta hai.

• Tepu kab mara hai?! Ossay koon maar sakta hai.Os ki mohabat piyar aur
• ehtaraam aaj bhi diloon par ouri aab-o-taab say naqsh hai.
8

28-

Bara aadmi koon? Hum aksar shakas ko os ki jaiab kay hawala say dekhtay
hain aur essi hawala say os ki shakaseat ka taeyan kartay hain. Es hawala say
eak misal bhi mashhoor hai:

Parsu parsa paras Raam Es maya kay hain teen naam

Kiya maya hi sab kuch hai?

Yah sawal sadyoon say insan kay samnay khara jawab ka talib hai.

29-

Kamzoor tabqay mukhtalif tavelain karkay dil pashori kar latay hain. Yah
kah bura bhala keh kar kush ho laytay hain. Maal-o-manal kay bal’bootay par
yah dolat mand tabqay kamzoor aur ghareeb tabqoon ki hum’daradiaan
khareed laitay hain. Mazeed aagay bharhnay kay liay dolat ka estamal
karatay hain. Goya kamzoor tabqay bhuk kay hathoon bik jatay hain. Oon ki
tavanaeaan takoon kay evz en tabqoon kay gamashtay bannay par majboor
ho jatay hai. Dekha ja’ay to ghalt kamzoor tabaqay hi hotay hain. En kay bal
botay par hi woh aaesh kartay hain. Yah apni haseat kayoon nahain samjhtay.
Agar samjhtay hain to ahal-e-dolat kay gamashtay ban kar zindgi kayoon
kartay hai. Roti kay evz tavanaeaan farokht kartay hain. Baad’mash ki ji-
hazoori say ossay sheh aur afradi taqat mayassar aati hai. Es tanazar main
dekha ja’ay to manana paray ga kah kamzoopr tabqay hikharabioon kay
zima’dar hain. Aur alzam kisi aur par dhar rahay hotay hain. dena kisi tara
darust nahain.

30-Bila’shuba kansar abhi tak science kay liay moamma bana howa hai. Es
kay liay bohat kuch howa hai aur ho raha hai, es kay ba’vajood yah abi tak
mokamal gareft main nahain aa saka. Bilkul essi tara vehum, hasad,
baad’etmadi, monafqat, aur sherak ka koe khatar’kha alaaj daryaft nahain ho
saka. Mukhtalif nazamoon aur mozahib nay en kay liay bohat kuch tajveez
kiya hai likin en avaraz ka monasab aur teer behdaf nuskha tajveez nahain
ho saka. Shaed aatay waqtoon main bhi en khatar’naak amraaz kay liay koe
moalja daryaft na pa’ay. En bimarioon kay elava bhi eak aur aisi bimari
mojood hai jis ka alaaj kabhi bhi daryaft na ho sakay ga. Yah bimari ghalt
joray ka tarkeeb pa jana hai. Khola aur talaaq ka haq mojood hai likin yah eak
tara say reshtay ki moot hai. Moot koe hal to nahain. Mar kar aazadi mili to
kiya?! Kansar say mar kar aazadi mili to kiya hasal. Essi tara khola ya talaaq
say maraz khatum howa to kiya faeda?!
9

31-

Tamaam kitabi ilm pehlay tajarbaat ka tehreri rekard ka darja rakhta hai jo
hum aati nasloon ko daras’gahoon kay hawala say motaqil kartay hain. Amli
zindgi main os porahay ki surat wohi ho zarori nahain kayoon’kah ho sakta
hai os say tajaba bohat aagay bhar giya ho ya phir mukatalif hawaloon kay
tehat os main kae tara kay tagheraat vaqay ho gay hoon. Yah kitabi ilm agli
zindgi main mafrozay ka darja rakhta hai aur es kay hawala say kaam ka
aaghaz kiya ja sakta hai ya es kitabi ilm say atkal hasal ki ja sakti hai likin
essay haraf-e-aakhar ka darja nahain mil sakta. Es hawala say dekha ja’ay to
amli mojood tajarba kitabi ilm walay ko nae rahain day sakta hai. Es tajarbay
ko kisi tara kitabi ilm say kam’tar samjha nahain ja sakta. Agar donoon ek
jaga jama ho jaein to ya sonay par sohagay ki se baat ho gi.

32-

Aalim kitabi ilm aur os kay amli tajarbay kay bal’botay par kuch kehta sonta
hai aur os par darust ya ghalt ki mohar sabt karta hai. Essi par os ki ilmi
farast ka dar-o-madar hota hai. Es kay bar’aks un’parh son sona kar ya phir
apnay amli tajarbay kay hawala say kehta sonta hai. Os kay kahay ko yaksar
reject nahain kiya ja sakta. Baz oqaat un’parh wo baat kar/keh jata hai jo ala
parhay likhay kay vehum-o-goman tak main nahin hoti. Nitijah yah nikalta
hai kah parha likha zarori nahain her baat darurt karta ho ya un’parh ki koe
baat siray say darust hi nahain hoti.

33-

Quran pak ki sura Kaba ki dewar par aavaizaan karkay os ki ebarat ki zoban
mafaheem aur dusray hawaloon say ghuftagu ki khuli ijazat day de gae. Essi
tara khulay aam Baibal par guftagu hoti hai. Bhagvat Gita par guftagu kay
darwazay band nahain kiay gay ya howay. Ab kisi shakhas ya adara ki
tehreer par baat karnay par kadighan lagaya jata hai to yah ajeeb baat
nahain?!

Kiya en ka kaha likha Moqadas kitaboon say bala’tar hai. Jab insanoon kay
kahay ya likhay ko haraf-e-aakhar ka darjah mil ja’ay ga to bila’vasta es ka
matlab yahhi ho ga kah woh Allah/God/Eshwar say bhar kar hai. Jahaan yah
surat ho gi ossay sherak say kisi tara kam nahain samjna chahiay. Mushrak
Moashratain Qehar-e-Elahi say mafooz nahain reh patein. Yah asool-e-fitrat
hai jis say kisi bhi halt main enkar ki gonjaesh nahain.

34-
10

Sonay ki qadar-o-qimat say inkar karna mumkin nahin likin yah os waqt tak
bay’maeni aur la’yaeni cheez kay darjay par rehta hai jab tak essay zaiwar ki
surat nahain mil jati. Es zaiwar ki market os waqt tak nahain ban sakti jab tak
es main fan’kar ka laho pasena aur hunar’mandi nazar nahain aatay. Zindgi
karna bhi eak fun hai jab tak shakhas ki mehnat kawash aur hunar’mandi
apnay kamal ko nahain ponchti yah bhi bay’maeni aur la’yaeni qarar pa’ay
gi.

35-

Kaenaat zedain kay hawala say mutvazan hai. Pani aag kay liay aur aag pani
kay liay moasar ho saktaktay hain. Es kay elava her hal darusti ki bijay
kharabi ka mojab bannay ga. Jumla adyan aur nazaam ha’ay hayat ki qaboliat
aur maqboliat ka sehra essi par ostawar nazar aata hai. Ehhad-e-jadeed main
ganga ulti behti nazar aati hai. Aag ka hal aag say nikalnay ki koshesh ki ja
rahi hai. “Kayoon howa” par koe nazar dalnay ko tayar hi nahain. Yahaan
seraf hoemopethic waly shaed etraz karain gay likin thora sa ghoor karnay
kay baad oon par bhi yah khul ja’ay ga kah wahaan bhi yah falsefa nazar
andaz nahain howa. Mojoda rujhan masalsal insan ko kaenat tabahi aur
barbadi ki taraf liay ja raha hai. Es say tavazan kharaab hi hota chala ja’ay ga.
Dehshat’gard ko shadeed dehshat’gardi kay zareay kucalnay ki kshesh main
bay’qasoor bhi maray chalay ja rahay hain. Oon ka kiya qasoor hai?!
Bay’qasoor marnay waloon ko logoon ka monh band karnay kay liay
shar’pasnd ka naam deya ja raha hai. Yah kahaan ka insaaf hai. Yah kahaan ki
aur kis tara ki behtari hai. Uah toaisi baat hai kah wakeel kay dalael son kar
qatal ko yoon lagnay lagta hai kah woh qatel hi nain qatal kisi aur nay kiya
hai ya seray say qatal howa hi nahain.

36-

Sachy sochay tay mithay bool kalijay ki chiki lainay tay hor dushmanaan ki
sajne wal mori lainay nay. Koray koray tay khotay bool kakhna naein chaday.
Banday ni ankh rora kora ho jani ay. Sacha socha tay mitha bolo nay jay tosi
apnay jogay rae jao.

37-

Kitab say ziyada kuch bhi motabar aur mohtaram nahain. Kitab’dost qomain
zindgi main na’kami ka monh nahain daikhtein. Es haqeqat kay ba’vajood
kah kitab (Sova’ay Quran Majeed) zindgi karnay ka moaawan onsar hai, koe
dusra rasta hi nahain. Kitab guzray kal ka tajarba hai. Aaj ki zamini aur amli
11

surat mukhtalif ho sakti hai. Essi tara aata kal kahaan khara ho, kuch nahain
kaha ja sakta. Aaj aur aatay kal main zindgi karnay kay liay kitab kisi haad
tak moavan sabat ho sakti hai likin os say nibah kay liay khud say ya halaat
aur zarorat kay tanazar main teh karnay ki zarorat hoti hai. Es liay kitab par
mokamal enhasar khud’koshi kay motradaf ho ga. Tranging Centre main de
gae traning aur traning School say liya giya darass/sabaq midan-e-kar’zar
main hikmat amli teh karanay aur bandooq chalanay kay kaam aa sakta hai
likin aein ossi tara karna moot ko masi kehnay kay mutradaf ho ga. Wahaan
surat-e-hal kay motabaq aur mayasar vasael kay hawala say hi dushman ko
mara aur khud ko bachaya ja sakta hai. Ho-ba-ho ossi toor say karna kisi tara
danish’mandi na ho ga.

38--Zaat kay khool say bahar nikal kar to dekho, eak eak karkay aaghi kay
saray darwazay tum par khul jaein gay.

39-

Aanay walay khushi jabkah janay walay dukh k sath yadoon ka baikaraan
somundar choor jatay hain. yah moot-o-hayat eak dusray say paivast hain.
Enhain alag alag nahain kiya jasata. Basurat-e-digar eak atoot tasalsal main
khalal aa ja'ay jo kaenaat kay tavazan ko kharab karkay rakh day ga. moot ko
karva sach tasleem karna hi parta hai. Es k baghair koe chara-e-kar nahain.

40-

Ethaad bain-ul-muslimeen k liay kuch es tara k elemets ki janib tovajo kar li ja’ay
to taqseem dar taqseem ka amal rok sakta hai:

a- Ahal-e-hadis “Aqeda”
b- Shiya “Pukhtagi, ilm, akhlaq”
c- Deobandi “Amal”
d- Baraivi “Eshq’

41-

Kisi Rind ki mojodgi main Molvi kay pechay namaz hona mumkin nahain rehta.

42-

Mein nay os say pocha:

“Taank jhank ka kiya faeda hai. Yah la’hasal nahain?”

Pehlay to khil’khala kar hansa phir bola:


12

“Darakht ka jholna, patoon ki aavaz, pholoon aur phaloon ki khushbo la’yaeni


hain? en ki koe manviat nahain?”

43-

Woh qatal howa, os kay baad bhi qatal howa. Phir woh bar bar qatal hota raha.
Sawal yah nahain kah woh kayoon qatal howa. Sawal yah hai kah woh kab tak
qatal hota rahay ga?!

44- Dukh aur takleef dainay wali afwa par kabhi bhi yaqeen na karo. Haan jis
say haqeer se aur chand lamhoon ki kushi mayassar aa ja’ay, par yaqeen kar
lainay main koe harj nahain.

45-Adaray awaam kay khadam hotay hain likin jab yah makhdoom bun jaein to
insani laho pasenay ki arzani ho jati hai.

46-

Orat* ki aghosh jannat kay baghoon ki thandi hawaoon say ziyada masroor'kon
pur'sakoon aur nasha'aawar hoti hai.

*maan, wafa'sar bivi

47-

Koon?

Ensaaf

Tumhara yahaan kya kaam

Jissay mari zarorat hoti hai bin bola’ay chala aata hoon

Baray dheet ho

Banna parta hai

Ab kah tumhara koe monasab bando’bast karna paray ga

Kiya kar lo ga

Tumhari hadyaan toor doon ga


13

Yah to bar bar pehlay bhi ho chuka ha, Koe nae tarkeeb socho

Tumain jala kar khaak kar doon ga aur phir tumhai rakh galeoon main bakhair
doon ga.

Yah to aur bhi acha ho ga

WO kis tara?

Meri rakh ka her zara hawa main shamil ho kar insane ki rooh main otar ja’ay
ga.

Hi Allah, to mein phir kiya karoon?!

Mujhy sinay say laga lo

Yah mujh say na ho ga

Teh yah howa hamari jang ka koe ant nahain koe natija nahain.

Chalo dekhtay hain kab tak azetain bardasht kartay ho

Chalo mein bhi dekhta hoon kis haad tak iziat main jatay ho

Phir ghumsan ki jang cher gae aur aakhri khabrain aanay tak jang ka koe nateja
samnay nahain aa saka

48-

A-Baz moamlaat main aqal ko guide bana kisi tara faeda’mand nahain. wahaan
jazbaat ki pairvi karna paray gi likin bohat say moamlaat main jazbaat maslay ko
kharaab kar detay hain wahaan aqal ko sathi karna paray ga. Goya dil aur
damagh apnay apnay daera-e-kar main darust hain.

B-Eak moqaam par aadmi bay’bas ho jata hai wahaan dua maawan ban sakti hai.

C-Aaq kareem ka farma-e-garami hai sadqa bala ko kha jata hai. Goya bohat say
moqamaat par sadqay ki zarorat paish aati hai.

D-“Panchoon Havas” khamosh hoon to chati hes kaam aati hai.

E-Dolat hath ki mail hai,


14

Yah awami kahavat hai likin essay (dolat) yaksar nazar’andaz karna bay’waqofi
ho ga. Es kay bal’botay par sab acha ki tovaqo bhi tabahi hai.

Soo gaz rassa seray pay ganth, kitab, halaat, tagheraat kay thet hekmat-e-amli

hi sab kuch nahai aur bohat saray aanasar bhi zindgi karnay kay liay zarori

hotay hain.

49-

Bara aadmi koon?

Choor, asmaglar, dako, dhokay’baz, hira pheri karnay wala, jhotha, jabar,

Fesaq-o-fajoormain mubtala, zalim, khuda’nama, amanat’khoor, zokaat ki raqam


main

gar bari karnay wala sarkari mazam, tex bachanay wala sarmaya’dar, ghadari

kay evaz tamghay aur zamenain hasal karnay wala, doo nambri ya, sara din
mehnat karnay wala aur aaed shoda tex ki chezain khreed kar

bachoon ko roti pani mahiya karnay wala?!

Moaafiaan aakhar pehli qesam kay logoon kay liay kayoon hoti hain?

Onhain bara aadmi kayoon qarar diya jata hai?

Kiya woh haqeqtan bara admi hai?

yah sawaal sadyoon say naveshta-e-dewar banay howay hain. En sawaloon kay
jawaab kab milain gay aur koon day ga?

50-

Karo-o-Bar-e-Zindgi main shaed hi koe buzdil shabad lugat main hoon gay. Yah
shabad na’kammay, buzdil aur kam’kos logoon kay kaam kay hoon gay Zindgi
kay yadha en par yaqeen nahain kar saktay aur na’hi onhain en par yaqeen
rakhna chahiay. Muslan hum baitay ki parvaresh es ehsas kay sath kartay hain
kah bara ho kar woh humara banh bazo/baili banay ga. Mein es soch ki bari
shidat say mazammat karta hoon. Yah soch qate gher’fitri aur amli zingi say
mutsadam hai. Parwnday baray ho kar apni apni parvaz par ravana ho jatay
hain aur palnay posnay walay meaz sanvi haseat ekhtayar kar jatay hain. Bikul
15

ensani bachay ki bhi yahhi surat hoti hai. Jab who baray ho kar amli zindgi main
qadam rakhtay hain to oon ki apni sochain hoti hain, oon ki apni ra’ay banti hai
aur oon ki tarjehaat-o-tahafzaat apnay hotay hain. yah kab zarori hota hai kah
woh mae baap kay naqash-e-qadam par chalain. Jab who apni marzi ki zindgi
jitay hain aur apnay baray bohroon kay kahay ko nazar’andaz kartay hain to
la’mohah khachao ki surat nikal aati hai. Es moqaam par bharay bohroon ka
satpatanay oon kay hawala say shaed thek ho sakta hai likin zindgi bitanay
walay kay liay sood’mand ho zarori nahain. Es moqaam par barhay barhay
bohroon ka “mama khamkha” teharna darust nahain kehla sakta. Yah bhi kah
oon ka ehsas-e-kamtari main mubtala hona darust nahain onhain haqaeq ko
tasleem kar laina chahiay. Khaeshain, tamanaein jagti aankhoon kay khaab aur
aas-o-ommeed apna koe madi vajood nahatay. En ko meaz damagh ka fatoor hi
kaha ja sakta hai. Mein bang-e-dohal kehta hoon aur es par mera esrar hai kah en
ka haqeqat aur amli zindgi say ko ta’alaq nahain. Yah bay’maeni aur la’yaeni
chezain hai. Hadaf tak resae k liay fareqain ko eak apni apni rahoon ka
entakhaab karna ho ga. Pehli na’kami ya kamyabi par maus hona ya etrana thek
nahain. Safar her surat main jari rehna ho ga harkat hi to zindgi hai ba’surat
degar lash faqt lash. Her bar pher say strat laina zarori hota hai. Umar ki koe bhi
stage rahi ho, zindgi khud say karna etmaad ki alamat aur daleal hai aur zindgi
kay yodhaoon ka vatira hota hai.

51-

Ghalti insan say hoti hai. Ghalti ossi ensan say hoti hai jo kaam karta hai. Ghalti
ki saza bhi lazam hai takah aaenda os moaamla main ehtayat say kaam liya ja’ay.
Jab kisi ko apni ghalti kay motalaq maloom hi na ho aur ghalti bhi hoe ho, Aisi
surat main saza, saza ho gi aur os say behtari aur bhalae ki surat na nikal sakay
gi. Es tara saza dainay wala ghalt ho ga aur woh bazat’khud bohat bari saza ka
mostaheq ho ga. Yah saza ossay os ka zameer (agar jagta hai to) waqtan
fowaqtan daita rahay ga.

52-

Zarori nahain aap ka kaha kisi dusray kay haan bhi ossi tara say ho jis tara aap
soch aur samjh rahay hoon. Her kisi ka apna zaviya-e-nazar hota hai. Os ka
mahool halaat aur tajarba aap say qate bar’aks ho sakta hai. Kisi shakas ka kaha
Nabi ka kaha nahain hota. Es liay os par tanqeed kay darwazay band nahain
kiay ja saktay aur nahi os kahay ko haraf-e-aakhar ka daejah hasal ho sakta. Jo
koe es qisam ki khus’fehmi min mobtala hota hai os say bhar kar ahmaq kahein
na mil sakay ga.
16

53-

Shaed ka daman kabhi hath say janay na daina. Yah na’seraf tumain zinda rakhy
ga balkah tumhari zindgi ko ba’maqsad bana’ay rakhy ga.

54-

Kiya Yah Kam Hai?!


Jab mein nay daykha Badshah kay chaylay chamtay loot ghasoot main masroof
hain aur Badshah paryoon kay ghool main bitha dunyaan jahaan kay ranj-o-alam
say bay’niaz-o-bay’khabar hai to mein samajh giya kah kali aadhi aanay ko hai.
Aisi halat main bazaar main bay’dharak pherna khatray say khli nahain . Mein
nay foran apni zoban ko lagam di aur taiz taiz ghar ki taraf bharnay laga. Waqt
aur halaat ka yqenan yahhi taqaza aur zaroorat thi. Agar mein logoon par zulam-
o-sitam kay hawala say kuch kehta ya karta to mairay log hi, Badshah ki aankh
kay esharay say pehlay mujhay musloob kar daytay. Mein Essa nahain aaj ka
kamzoor insan thi aur yahhi meray haq main behtar tha. Log mairay es aqdam
ko koe bhi naam day lain, khud ko bacha laina bhi bahadri hi hoti hai.
Ginti eak say shoroo hoti hai na’kah soo say.
Kiya yah kam nahain kah mein Shah kay gamashtoon aur os ki onglioon par
nachnay waloon main shamil nahain?!

55-

Ehal-e-darad ko daua doo kah


Jab tak darad kay shihar kay dar-o-diwar salamat hain dunya ka hosn,
ranginiaan aur tag-o-do ka silsa kabhi khatam nahain ho ga.

56-

Kuch kehna chata hoon, khoof aata hai kah tum bardast na kar pao gay. Lapait
kar kehta hoon to diyanat majroo hoti hai. Yah soach kar chup hoon kah
khamoshi ki apni zoban hoti hai, Yah keh dainay main meri tara bokheel aur
darpook nahain.
I love
I hate you
Yah donoon shabad andar kay saray jazboon ko apni garifat main nahain lay
saktay. Bas chup ko tumhain khud hi maeni dayna hoon gay.

57-

Mein apnay sinay par wafadari kay tamghay saja'ay tanhae kay qalay main
moqaed hoon aur tum meray dast-o-bazo estamaal karkay khodae kay
17

daway’dar ban baithay ho. Hum donoon balandioon ki khush'fahmi main


mubtala hain. Mainsar katata hoon to zameen bos hota hoon. Sar hatata hoon tu
kami kameen ya phir ghadar therta hoon. Tum jahan ho tum raho jahan mein
hoon mein rehta hoon. Essi main mairi aur tumhari bhalie hai. Aao pehlay ki
taray logoon ko methay boloon par tarkhatay rahain.

58-

Mein nay os say pocha “Kiya hal chal hai?”


Bola “Hal to thek hain chal thek nahain.”
Haan hal es liay thek hain kah chal thek nahain. Jin logoon ki chal thek ho, oon
kay hal thek ho hi nahain saktay. Tarekh say poch lain. Thek chal waloon ka kiya
howa.
Khair tarekh kiya bata’ay gi woh to shahoon ki mada’khani ka daftar hai. Aisay
logoon ko baghi aur ghadaar kaha giya hai. Aaj ki estalah main onhain dehshat
gard ka naam deya jata hahi.
Phir main nay os say kaha bhool kar bhi chal thek na karna warna hal kharaab
ho ja’ay ga.
Os nay mujh say pocha “Tum apnay hal chal kaho”
Kiya kehta,
Phir yah keh kar chup ho raha “abbhi zinda hoon”

59-

mein orat ki ezjatz karta hoon. Os kay liay mairay dil main bara ehtaram hai.
Mujhy os par taras aata hai kah apnay hathoon khilona ban kar sar-e-mehfal
thirak rahi hai.
Mein janta hoon os kay bagher sab kuch adhora hai. woh nahain to kuch nahai.
Es kay ba'vajood os ki onglioon par nachtay insan ko daikh kar lagta hai kahain
insan zameen badar na ho ja'ay.

60-

Maghrab ki behtareen shaeri:


Khiyalaat ki balandi + Alfaz ki khoob’surat aur unda nashisht-o-
barkhast+baihajabi
Mashraq ki behtareen Shaeri:
Khiyalaat ki balandi + Alfaz ki khoob’surat aur unda nashisht-o-barkhast +
parda’dari

61-

Qomain, qabelay, jamaetain, mulk, adaray waghera zahein logoon kay bal’ botay
par taraqi ki manzalain teh kartay hain. Achi ravaetain en hi kay hawala say
18

janam laiti hain. Buri aur kharaab ravaetoon par yahhi kari zarab lagatay hain.
Zahanatoon ki qadar’dani aur pazerae darasal aati nasloon par ehsan hota hai ya
os adaray say mukhlasi hoti hai.
Taj seraf qovat kay saharay zindgi nahain pata. Es ki bar’qarari main zahanatoon
ka bhi hath hota hai. Sikandar bila’shuba bohat bara yohda tha likin Arasto na
hota to Sikandar, Sikandar na hota. Akbar-e-Azam apnay noratnoon kay hawala
say Akbar-e-Azam tha.
Mein manta hoon mutbadal log mil jatay hain likin oon ki mohabat wabastagi
aur taalaq’dari main waqt lagta hai. Wafa’dar aur mehnati logoon ki tazleel
tanazal ka mojab ban jati hai.wafa’dar aur mehnati logoon ki ezzat ho gi to taraqi
ka daman golaab rahay ga.

62-
Jab bhi zindgi ko kisi aur ki aankh say dekha jata hai kuch bhi etdal main nahain
hota. Ya to khoob’surti nazar aati hai. Koe kaji ya khrabi dekhae nahain parti.
Hum smjhtay hain sab thek hai. Kahein kuch ghalt nahain. Aisa bhi mumkin hai
kuch bhi achi aur dhang ka nazar nahain aati. Her achi cheez main bhi un’haad
kharabiaan nazar aati hain. En donoon kay bar’aks jab hum kisi dusri aankh ki
mahtaji qabool nahain kartay aur humain apni shanakht main koe shak nahain
hota to kher aur shar donoon ka mutwazi vajood nazar aata hai. Os waqt hum
begri ko Sonvartay hain aur achae ko mazeed sonvarnay ki koshesh kartay hain
yahhi nahain ossay borae say door rakhnay ki sae kartay hain kah kharbozay say
kharboza rang layta hai.

63-
Yah baat samjhna etna dushwar nahain kah Ramzan barkatoon ka mahina hai
likin es amar ki qatan samjh nahain aati kah ratoon raat ashya-e-saraf ki
qematoon ko kayoon aag lag jati hai. Ghaliban yah zamini barkarain hain. Chalo
aisa bhi hai to es say roza’dar estafaday ka zeyada motaheq hai, Nakah
bay’roza’dar. Dokan’dar ko nafa kama kar zamini sawaab mayasar aa jata hai
likin maara bay’rozay’dar jata hai, na aasmani sawaab milta hai aur nahi zamini.
Lihaza takhsees kay liay doo alag say qematain moqarar ki jani chaein, eak
roza’dar kay liay dusri bay’roza’dar kay liay. Hakomat-e-Waqt ko es janeb
towajo karkay apnay hessa ka sawaab kamanay main diar nahain karni chahiay.
64-
Bachoon aurtoon aur borhoon kay liay naram gosha na rakhnay wala golaboon
main bhi nashat talashnay say mehroom rehta hai. Os ki umar ghat jati hai aur
ehsas ki dolat kabhi mayassar nahain aati. Os ki zindgi raeg mar say zeyada
khurdari ho jati hai. Bachoon aurtoon aur borhoon kay liay naram gosha rakhnay
wala jald zaat ki shanakht say behrawar ho jata hai. Haq kay kurb say behr’yabi
koe mamoli enaam nahain.
19

65-
Zaat kay khool say bahar nikal kar to dekho, eak eak karkay aaghi kay saray
darwazay tum par khul jaein gay.

66-Jo hum daikh rahay hain zarori nahain ossi tara say hi ho ya jo hum nahain
dikh rakhay aur ossay apnay andaz say samjh rahay hain darust ho, zazori
nahain. hamara daikhna aur samjhna qate aur atal nahain aur ossay dawam bhi
hasal nahai. lihaza koe faislah karnay say pehlay dusroon kay daikhnay aur
samjhnay par bhi ghoor kar liya karo.

67-
baiti kabhi bhi kisi door main waldain par bojh nahain rahi. waaldain os say
piyar aur shafqat kartay aa'ay hain. assal masla yah tha aur hai kah os ka aata kal
gher'mahmfooz samjha jata raha hai. yah surat-e-hal aaj kay door main bhi
mojood hai. shaed aatay kal main bhi rahay. yah eak rovaeya/rujhan hai jis kay
liay kabhi kuch nahain kaha/kiya giya. es hawala say wase tanazar main
mutwatar aur tasalsal say baat cheet hoti rehni chahiay. es mozo par ahbaab say
guftagu ki estada ki jati hai.

68-
zindgi anmool magar mukhtasar aur kuch na'kuch karnay kay liay hai.

69-
Ab lot aao,
yah kehtay howay mujhy kayoon sharmindgi nahain hoti?!
Es sawal nay mairi ratoon ki naind aur den ka chain cheen liya hai
Magar
Tum naind say jagnay ka naam nahain laitay.

70-
is rang ya rangoon ki tum main kami ho, oon ka auroon main talashna bura
nahain.

71-
Janta hoon lab par aae baat faraq ki lazt se mehroom kar daiti hai likin aakhar
kab tak entazar kiya ja'ay. Jab tughyani aati hai to kinaray baybas ho jatay hain.
Ghaliban yahhi surat ho chali hai. sadyoon kay baad aatesh-e-faraq nay thanday
aur shead amaiz pani ki khaesh ki hai. aakhar tum kahaan ho aur koon hoon,
mujhy kab tak tumhara entazar karna ho ga. Aao, jald aao kah woh fun parah jo
mairay simay ki vosatoon main mukhfi hai qetas fun para apni puri aab-o-tab se
raqam ho sakay.
20

72-
Tum to zameen ka suraj ho. tumharay hotay andhira sar nahain otha sakta. agar
wo par phelata hai to jan lo tumharay vajood ki koe shakti bimar parh gae hai.
yah bhi jan rakho koe bimari la'elaj nahain. agar la'elaj hai to zedain ka falsafa
la'yaeni ho kar reh ja'ay ga.
es hawala say tum par lazam aata hai kah moaaljay ki fikar karo. bimari barh gae
to yah thek nahain ho ga. tumhari kisi shakti ka bay'maeni hona puri ensaneat
par bohat bara zulm ho ga.

73-
Mein nay os say kaha “kabhi hamaray liay bhi waqt nikalo”
Boli “ Alah kabhi na’kabhi maqay day”
Woh to chali gae likin main soch main par giya kiya ghalt kaam kay liay Allah
waqt mahaeya karta hai?!
Nahin nahain yah kaam shitan ka hai.
Allah to khair hai aur woh khair kay mowaqay farahum karta hai.
Borae ko kabhi Allah say mansoob na karo kayoon’kah yah shitan say sharakat
hai. Na Allah shitan ka shareek hai aur nahi shitan khair ko apni amal’dari main
dakhal honay daita hai..

74- Insan khuda ki un’haad siffaat main say eak baimisal sift hai.

75- Billi ki bohat se adaat-o-harkaat tiger say mamasal hoti hain es kay
bavajood woh tiger nahain. Jab bhi khud par kisi aur ka sa honay ka goman
honay lagta hai to her dhang ka kaam bay’dhang ho jata hai. Bawar rehna
chahiay her bay’dhang na’govari aur na’pasandi ki nazoor main rehta hai. Eak
den ossay mismaar karnay ki mashavrat makamal
ho kar anjam ko ponchti hai. Tarekh ka koe panna ossay almiya kehnay ki
hamaqat nahain karta.

76-Allah ki rah main bila’tama-o-lalach deya bari maneveat ka hamal hai. Sona
hai es ka es dunyaan main das aur aakhrat main star gona aja rmilay ga likin es
hawala say dayna kay laynay wala laynay ka mostaheq hai aur ossay milna
21

chahiay warna woh bay’bharam ho ja’ay ga, ka ajar kitna ho, yah Allah kay sewa
koon janta hai yah bhi kah Allah Karim ko koon maqrooz kar sakta hai?

77-mehsoos karney wala dil her eik pas nahi hota".


aap nay kamal ki baat ki hai. aap ka ya jumla kamal ka hai aur asri zindgi to sath
liay howay hai.
taqreban mein yahhi kuch kehna chahta hoon.

78-Pani dudh say reshta ostawar karkay to pani kay kuray say nikal jata hai
jabkah dudh bhi apnay mukhsus kuray main nahain reh pata. Es mail molaqaat
main taserain badalti hain. kush’fehmi kay gulaab-o-kanwal khiltay hain likin
oon par yah aashkar nahain ho pata kah wo apni asal shanakht say mehroom ho
gay hain.

79-os ka khayaal tha kah etna chalnay kay baad woh bohat door, zalaam malik ki
dastaras say nikal aaya hai hai likin jab shaan ko aankhoon say pati kholi gae to
ossay maloom howa wa'ay afus woh jahaan say chala tha abhi tak wahaan hi hai.

80-
Nichla na bithnay wala bundar, madari kay esharoon par nach
Raha tha. Mein hiran reh giya kah yah kaisay ho giya.
Es ki char vajo mairi samjh main aaei
1- madari kay hath main danda tha
2- Bandar ka khana pina madari kay bag main mehfooz tha
3- woh waqt ki zaroorat ko samjh giya tha
4- es kay seva os kay pas koe chara –e-kar hi na bacha tha
22

81-ashaq: mein tumharay liay kuch bhi kar sakta hoon, aasman say chand toor
kar tumharay qadmoon main dal sakta hoon. Jan day sakta
hoon. kisi ki jan lay sakta hoon----------------mahboba kush hotay
howay,kul mujhy zara gulshan park subh 9 bajay milna. zarori kaam hai.
ashaq: khair ka kaam hai
mahboba: koe khas nahain
ashaq: pher bhi
mahbooba: eak zaroorat aan pari hai aur es ki waja say sakht preshan hoon
ashaq: o ho, kayoon nahain,
jaag aa gae aur baresh na hoe to zaroor hazar ho jaoon ga. tum bay'fikar raho

82- Sukh aur khushi ko es andaz say na manao kah hasdaoon ki tadad man azafa
ho ja’ay aur phir apni zaat ka samana karnay say bhi khoof khatay phiro.

83-Achay ya buray kirdar ki posht par koe hath zaroor hota hai warna os kirdar
ki tarkeeb-o-tashkeel aur baqa ka sawal hi peada nahain hota.

-orat*84 -84
ki aghosh jannat kay baghoon ki thandi hawaoon say zeyada
.masroor'kun pur'sakoon aur nasha'aawar hoti hai
------------------------------
maan, wafa'shaar bivi*

85-
Ghalti ensan say hoti hai. Ghalti ossi ensan say hoti hai jo kaam karta hai. Ghalti
ki saza bhi lazam hai takah aaenda os moaamla main ehtayat say kaam liya ja’ay.
Jab kisi ko apni ghalti kay motalaq maloom hi na ho aur ghalti bhi hoe ho, Aisi
surat main saza, saza ho gi aur os say behtari aur bhalae ki surat na nikal sakay
gi. Es tara saza dainay wala ghalt ho ga aur woh bazat’khud bohat bari saza ka
mostaheq ho ga. Yah saza ossay os ka zameer (agar jagta hai to) waqtan
.fowaqtan daita rahay ga
86-
!?metha boliay es say aap ka kiya jata hai
chand mesri, shehat aur tasalli main malfoof alfaz es ehhad ki faraham ki gae
23

talkhi ko kuch lumhoon kay liay hi sahi, taskeen aur kushi faraham kar saktay
.hai
87-
koon

:ensaaf
tumhara yahaan kiya kaam
jissay meri zarorat hoti hai bin bola’ay chala aata hoon
baray dheet ho
banna parta hai
ab kah tumhara koe monasab bando’bast karna paray ga
kiya kar lo ga
tumhari hadyaan toor doon ga
yah to bar bar pehlay bhi meray sath ho chuka ha, Koe nae socho
tumain jala kar khaak kar doon ga aur pher tumhai rakh galeoon main bakhair
doon ga
yah to aur bhi acha ho ga
wo kis tara
meri rakh ka her zara ensaaf ban kar obhray ga
hi Allah, to mei pher kiya karoon
mujhy senay say laga lo
yah mujh say nahain ho ga
teh yah howa hamari jang ka koe ant nahain
chalo dekhtay hain kab tak azetain bardasht kartay ho
chalo mein bhi dekhta hoon kis haad tak jatay ho
pher ghumsan ki jang cher gae aur aakhri khabrain aanay tak jang ka koe nateja
.samnay nahain aa saka

88-
:Mein nay os say pocha
,Taank jhank ka kiya faeda hai“
”?Yah la’hasal aur la'yaeni nahain
:Pehlay to khil’khala kar hansa pher bola
Darakht ki shakhoon ka jholna, patoon ki aavaz, pholoon aur phaloon ki“
?khushbo la’yaeni hain
”?en ki koe manviat aur haqeqat nahain
89-
Sonay ki qadar-o-qemat say enkar karna mumkin nahin likin yah os waqt tak
bay’maeni aur la’yaeni cheez kay darjay par rehta hai jab tak essay zaiwar ki
surat nahain mil jati. Es zaiwar ki market os waqt tak nahain ban sakti jab tak es
24

main fan’kar ka laho pasena aur hunar’mandi nazar nahain aatai. Zindgi karna
bhi eak fun hai jab tak shakhas ki mehnat kawash aur hunar’mandi apnay kamal
.ko nahain ponchti yah bhi bay’maeni aur la’yaeni qarar pa’ay gi

90-
Zarori nahain aap ka kaha kisi dusray kay haan bhi ossi tara say ho jis tara aap
soch aur samjh rahay hoon. Her kisi ka apna zaviya-e-nazar hota hai. Os ka
mahool halaat aur tajarba aap say qate bar’aks ho sakta hai. Kisi shakas ka kaha
Nabi ka kaha nahain hota. Es liay os par tanqeed kay darwazay band nahain kiay
ja saktay aur nahi os kahay ko haraf-e-aakhar ka daejah hasal ho sakta. Jo koe es
qesam ki khus’fehmi min mobtala hota hai os say bhar ahmaq kahein na mil
sakay ga.

91-
kisi mard say dosti ka hath barhao okhay sokhay waqt kaam aa'ay ga.

92-
.zehni mazori aur jismani mazori doo alag say chizain hain
.her doo hama waqt tovajo chahtay hain
,kayoon nahain
.Allah Sahib nay her cheez ka madawa rakha hai
sakoon
tovajo
dili hum'dardi
ba'zarorat mahool
morozi halaat k motabaq rahahishi set up
pasand na'pasand ka khayaal
khorak
.waghera par dhehan dainay k baad moaljay ki taraf aana sood'mand hota hai
.zehni mazoor ko Kali Phos baqaedgi say di ja'ay
asal baad'qismati yah hai k shakas ki importance k motabaq tovajo di jati hai
yah baat siray say ahmaqana hai k falaan cheez la'alaj hai. Allah sahib nay her
.cheez ka jora banaya hai
.tarteeb-o-tazein-o-tunzeem k moamla main ghalti hamari hoti hai
.jo mohra jis kuray ka ho wahaan rakh diya ja'ay to nataej musbat nikaltay hain
,ghalt shadiaan
,ghat aur bay tarteeb khorak
gher,motadil khorak, rovaeya, rujhan waghera say moamlaat main kharabi aati
.hai
25

93
soach samjh dhaikh bhal aur phonk phonk kar qadam rakho khein aisa na ho
kah tumharay qadmoon ki dhool kisi ki binae na cheen lay

94-zinda rehnay kay liay roti pani aur hawa hi kafi nahain hotay. Hoslay ki bhi
zarorat hoti hai aur yah mithay boloon aur mithi nigahoon say hi mil sakta hai.

95-

Jab andar ki pachidgi bhar jati hai to insan bahar kay sab darwazay band kar
daita hai. Taza hawa mayassar na aanay kay sabab batan taaffan ki aamajgah ban
jata hai.
Aisay insan say khir ki towaqo hamahat say ziyada nahai.

96-

Billi ki bohat se adaat-o-harkaat tiger say mamasal hoti hain es kay bavajood
woh tiger nahain. Jab bhi khud par kisi aur ka sa honay ka goman honay lagta
hai to her dhang ka kaam bay’dhang ho jata hai. Bawar rehna chahiay her
bay’dhang na’govari aur na’pasandi ki nazoor main rehta hai. Eak den ossay
mismaar karnay ki mashavrat makamal
ho kar anjam ko ponchti hai. Tarekh ka koe panna ossay almiya kehnay ki
hamaqat nahain karta.

97-

Allah ki rah main bila’tama-o-lalach deya bari maneveat ka hamal hai. Sona hai
es ka es dunyaan main das aur aakhrat main star gona ajar
26

milay ga likin es hawala say dayna kay laynay wala laynay ka mostaheq hai aur
ossay milna chahiay warna woh bay’bharam ho ja’ay ga, ka ajar kitna ho, yah
Allah kay sewa koon janta hai yah bhi kah Allah Karim ko koon maqrooz kar
sakta hai?

98-

Haqaeq tak rasae kay liay sochnay say zeyada mehsus karnay ki zarorat hoti hai.
Sochna zeyada’tar amal say door rakhta hai.

99-

Pani dudh say reshta ostawar karkay to pani kay kuray say nikal jata hai jabkah
dudh bhi apnay mukhsus kuray main nahain reh pata. Es mail molaqaat main
taserain badalti hain. kush’fehmi kay gulaab-o-kanwal khiltay hain likin oon par
yah aashkar nahain ho pata kah wo apni asal shanakht say mehroom ho gay
hain.

100-

os ka khayaal tha kah etna chalnay kay baad woh bohat door, zalaam malik ki
dastaras say nikal aaya hai hai likin jab shaan ko aankhoon say pati kholi gae to
ossay maloom howa wa'ay afus woh jahaan say chala tha abhi tak wahaan hi hai.

101-
27

Nichla na bithnay wala bandar madari kay esharoon par nach raha tha. Mein
heran reh giya kah yah kisay ho giya. Es ki char vajo meri samjh
main aaein:
1- madari kay hath main danda tha
2- Bandar ka khana pina madari kay bag main mehfooz tha
3- woh waqt ki zaroorat ko samjh giya tha
4- es kay seva os kay pas koe chara –e-kar hi na bacha tha

102-

ashaq: mein tumharay liay kuch bhi kar sakta hoon, aasman say chand toor kar
tumharay qadmoon main dal sakta hoon. jan day sakta hoon. kisi ki jan lay sakta
hoon----------------
mahboba kush hotay howay,
kul mujhy zara gulshan park subh 9 bajay milna. zarori kaam hai.
ashaq: kher ka kaam hai
mahboba: koe khas nahain
ashaq: pher bhi
mahbooba: eak zaroorat aan pari hai aur es ki waja say sakht preshan hoon
ashaq: o ho, kayoon nahain,
jaag aa gae aur baresh na hoe to zaroor hazar ho jaoon ga, tum bay'fikar raho.
103-
Karobari lihaz say shaed mairi yah baat darust na ho likin apni haqiqat main sola
aanay na’sahi bara tiara aanay to zaroor darust ho gi. TV par mukhtalif qisam ki
adviyaat say motalaq mun’bhavnay eshtiharaat aatay rehtay hain. Aadmi doctor
ya hakeem kay pas janay ki bajay wo adviyaat khareed laita hai. Es say baat
bannay ki baja’ay baat bigar jati hai. Ghurbat bohat sahi likin koe bhi dawa
28

doctor ki advice kay bagher khana”injurious to health”. Dusri taraf doctor


sahiban hath main chora rakhnay ki baja’ay choti moti chori rakh lain to shara-e-
amwaat main bari haad tak kami aa sakti hai (munsoba’bandi waloon ko shaed
mairi yah baat bori ya la’yaeni lagi ho) ya mareez airiaan ragar ragar kar marnay
ki baja’ay sukhi moot mar sakta hai.

104-
asolan halaat kay doo taqazay hain:
1-Ghareeb kabhi bomar na paray
2-bimari say kahein behtar ho ga kah mar ja’ay
Ghurbat kisi ghareeb ko bimaar parnay ka haq nahain daiti.

Yah qatan ghalat nahain kah maan baap apnay bachay ko khadmat kay liay
nahain kamae kay liay es paisha main latay hain. Agar daktar nay kamae na ki
aur maharbani pay meharbani karta raha to waqt aur maal kharach karnay ka
kiya faeda.

Rahi gormint to yah lakhoon laga kar hasal hoti hai koe moft main hath nahain
aati. Odhar main aae yah tax say hasal ki gae raqam ghareeb logoon par kharch
kar di ja’ay to eqtadar main aanay kay liay maal lagny ka kiya hasal?

Ghareeb ko bimar parnay kay shooq say door door rehna chahiay. Yah to
amiroon waziroon ki cheez hai. Hamain bimar parnay walay bad’zooq
ghariboon kay khalaf aawaz othani chahiay. Oon ka yah iqdam aaj kay halaat
aur zarorat say baghawat aur kholi ghadari hai.
29

105-
aakhar waqt aur dolat kharch karnay ka faeda hi kiya jo kamae na ki ja'ay.
mareez khud chal kar aata hai,
na aa'ay na.
daktar nae nahain bhaita.
pagal hain log jo samjhtay hain k daktar khidmat k liay hotay hain.
hamaray mulak main kammi kamay abhi kam nahain paray.

106-
Jo sona daikha aein ossi tara say ho jis tara say sona aur daikha giya, zarori
nahain. Jab hawas kamal ho jatay hain to kisi qisam ki kaji baqi nahahain rehti.
Jab daikha sona mutwazan ho jaein gay to insani moashra jannat nazeer ho ja’ay
ga aur yah mohavra “hathi kay dant khanay kay aur dikhanay kay. “apni ehmiat
kho day ga.
Es karvi haqiqat kay ba’vajood mein logoon ko khaab daikhnay say bab nahain
rokta. Aur khush’fehmi kay hisaar say nikalnay ki sala nahain daita.
Daktar masiha hai aur ossay masiha hi samjha aur jana jana chahiay. Es say aas
kay charagh gul nahain hoon gay. Es tara oon ki dokandari bhi roz-e-roshan ki
tara roshan rahay gi. Os kay mae baap ka sarmaya bhi gogal nahain ho ga.

107-
Mafrozay sach tak rasae ka zariya zaroor hain likin yah apni zaat main sach
nahain hain. mafrozay ko aein haqiqat samjh laina say ziyada hamaqat shaed hi
koe aur bhi ho.
108-
30

Baigun arbi/aalo ho ya shagum; kado ho ya ghiya tori, karailay hoon ya bhindi


tori ho ya goasht mufrad ya marakab, ghobi aalo ho ya farae tainday, sab apni
zaat main apnay tamam tar ajza kay sath mokamal aur mutwazan ghaza hain.

En main say her koe ghee, tamatar/dahi, adkar (Adrak), thoom piyaz waghera
say marakab ho kar aur aatesh milnay kay baad pakwan kay darja par faez ho
kar matwazan ghaza ka darja hasal kartay hay.
Her pqkwan eak waqt hi khaya jata hai. Dusray waqt koe aur cheez li jati hai.

Bawar rehna chahiay salan kay sath chapatti bhi lazma rehti hai. Lowazmay
main salad bhi dastar’khan ka hissa banta hai.
Dusray waqt ki khorak kay darmiyan main hum kuch na’kuch zaroor khatay
rehtay hain. Goya hamaray jism ko kisi na’kisi hawala say 22 ouns khorak din
main mil hi jati hai.

Essi tara mithay main kheer ho kah kastad, gajar ka halwa ho ya sohan halwa
matloba zarorat ko pora kartay rehtay hain.

Jo cheez hum pasand nahain kartay aur ossay khorak nahain banatay os ka
mutbadal hamari khaesh farahum kar daiti hai.

Khorak ko mutwazan karni ki fikar main hum gher zarori chizain kha jatay hain
jo faeday ki baja’ay noqsan ka sabab banti hain. Khorak ko aam sada aur gharailo
sa rakheay. Takalfaat say doori hamain bimari say door rakhti hai.
109-
Diwar kay daman/pehlo main paray jism ka koe bhi atum ya os atum ka
hazarwaan hissar os say joda ho kar diwar par os jism ki shabhi ban sakta hai ya
31

os kay kaimikal tajziay say os jism kay ajza’ay tarkibi tak rasae mumkin ho sakti.
Yahaan tak kah os jism ka saya diwar par os jism kay aasaraat choor sakta hai.
Essi liay kaha jata hai kah mahtaat bolo kayoon’kah diwar kay bhi kan hotay hai.
110-
Sachae adad-o-shamar kay ghairo main nahain aa sakti. Sach wo hai jo tumhara
zameer tasleem karta hai. Meer kay kisi shaiar ko pora zamana Khaja Dard ka
shaiar qarar day day to bhi wo shaiar Meer ka hi rahay ga.

Adalat kay faislay shahadat kay matehat rehtay hain likin zameer shadatoon par
ostawar nahain hota. yah apni shahadat aap hota hai.

Eak hi Adalat Eak hi mujram ko nazi parti say ghadari par moot ki saza daiti hai
jab’kah dusray waqt main ossi shakas ko nazi parti ka member honay kay jurm
main saza-e-moot ka hukam sona sakti hai.

Jab tak tum zameer ki adalat main kharay raho gay tum say kuch bhi ghat
nahain ho ga aur tumain apni zaat say kabhi sharmindgi nahain ho gi.

111-

Hum apni zoban main baat kartay sharmindgi kayoon mehsus kartay hain.
Mangay ki cheez par itrana kahaan ki danish’mandi hai.

112-
Insan koe bhi ho mohtabar aur mohtaram hai aur os ka qatl jurm hai. Es liay kisi
ko hath ya zoban ya qehar aalood aankhoon say qatl na karo.
113-
32

Zindgi ko apni aankh say hi na daikha karin kabi dusroon ki aankh say bhi daikh
liya karain.
114-
Afaday ko apnay liay hi makhsus na kar rakho kah baray log afaday ko insane
kay liay mukhsus rakhtay hain.
115-
Baresh ki waja say phislan kafi ho choki thi. Eak jagah naili par eintain rakh di
gae thein. Mein soch raha tha kah eintoon par pair rakh kar guzar jaoon ya na
gozroon kayoon’kah girnay kay imkan ziyada thay. Mein abhi soch hi raha tha
kah pichay say eak sahib aa’ay aur gozar kar mujh say door chalay ga’ay aur
mein abhi wahaan hi khara tha likin eak dusri soch chimat gae kah mairay baad
aanay wala kahaan say kahaan tak ponch giya.
116-
Jis ka rabta Allah kay sath ho jata hai woh kabhi na'kaam nahain hota. na'kaam
woh hota hai jis ki omidain dunyaan waloon say wabasta hoon.
Hazrat Ali (AS)
117-
Logoon ko es tara moaf karo jaisay tum Allah say omeed rakhtay ho kah woh
tumhain moaf karay ga.
Hazrat Ali (AS)

Das könnte Ihnen auch gefallen