Sie sind auf Seite 1von 2

Koi deewana kehta hai,koi paagal samajhta hai magar dharti ki bechaini ko bus pagal samajhta hai mein

tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai Mauhabbat ek ehsasson ki pawan si kahaani hai kabhi kabira deewana tha, kabhi meera diwani thi yahaan sab log kehte hain meri aankhon mein aasoon hain jo tu samjhe to moti hai, naa samjhe to paani hai samandar peer ka andar hai lekin ro nahin sakta ye aasoon pyaar ka moti hai isko kho nahin sakta meri chahaht ko apna tu bana lena magar sun le jo mera ho nahin paaya wo tera ho nahin sakta Ki brahmar koi kumudni par machal baitha to hangama hamaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama abhi tak doob kar sunte the sab kissa mauhabbat ka mein kisse ko hakikat mein badal baitha to hungaama Yeh Mera Apna Tajurba Hai Tumhe Batla Raha Hoon Main Koi lab chooh Gaya tha tab ki ab tak ga raha hun main Bichud Kar Yaar Se Kaise Jiya Jayee Bina Tadpe Jo Main Khud Hi Nahin samjha Wohi samjha raha Hoon Main Kisi Pathar Main Moorat Hai Koi Pathar ki Moorat Hai Lo Hum Ne Dekh Li Duniya Jo Itni Khoobsurat Hai Jamaana Ab Nahi Samjhe Par Mujhe Apni Khabar Yeh Hai Tujhe Meri Zaroorat Hai Mujhe Teri Zaroorat Hai Bahut Bikhra Bahut Toota Thapede Seh Nahi Paya Hawayon Ke Isharon Par Maga Main Beh Nahi Paya Adhoora Ansuna Hi Reh Gaya Pyaar Ka Kissa Kabhi Tum Sun Nahi Payi Kabhi Main Keh Nahi Paya Ye Dil Barbaad Karke Su Mein Kyun Abaad Rehte Ho Koi Kal Keh Raha Tha Tum Allahabad Rehte Ho Ye Kaisi Shohratein Mujhko Ata Kar Di Mere Maula Main Sabh Kuch Bhool Jaata Hoon Magar Tum Yaad Rehte Ho Panahon Mein Jo Aaya Ho To Us Par Vaar Kya Karna Jo Dil Hara Hua Ho Us Pe Fir Adhikaar Kya Karna Mohabbat Ka Maza To Doobne Ki Kashmakash Mein Hai Jo Ho Maloom Gehrayi To Dariya Paar Kya Karna Hamare Sher Sun Kar Bhi Jo Khamosh Itna Hai Khuda Jaane Guroor-e-Husn Mein Madhosh Kitna Hai Kisi Pyale Se Poocha Hai Suraahi Main Sabab Mein Ka Jo Khud Behosh Ho Wo Kya Bataye Ke Hosh Kitna Hai Wo Jiska Teer Chupke Se Jigar Ke Paar Hota Hai Wo Koi Gair Kya Apna Hi Rishtedaar Hota Hai Kise Se Apne Dil Ki Baat Tu Kehna Na Bhoole Se

Yahan Khat Bhi Thodi Der Se Akhbaar Hota Hai Jab Aata Hai Jeevan Mein Halaaton Ka Hungama Jazbaton, Mulakaton, Haseen Baaton Ka Hungama Jawani Ke Qayamat Daur Mein Ye Soch Te Hain Sabh Ye Hungame Ki Raatein Hain Ya Raaton Ka Hungama Swayam Se Door Ho Tum Bhi Swayam Se Door Hain Hum Bhi Bahut Mashoor Ho Tum Bhi Bahut Mashoor Hain Hum Bhi Bade Magroor Ho Tum Bhi Bade Magroor Hain Hum Bhi Ateh Majboor Ho Tum Bhi Ateh Majboor Hain Hum Bhi Main Jab Bhi Tez Chalta Hoon Nazare Shoot Jaate Hain Koi Jab Roop Ghadta hoon To saanche Toot Jaate Hain Main Rota Hoon To Aakar Lok Kandha Thap Thapaate Hain Main Hasta Hoon to Mujhse Lok Aksar Rooth Jaate Hain Koi Khamosh Hai Itna, Bahane Bhool Aaya Hoon Kisi Ki Ik Taranum Mein Taraane Bhool Aaya Hoon Meri Ab Raah Mat Takna Kabhi e Aasmaan Walo Main Ik Chidiya Ki Aankhon Mein Udaane Bhool Aaya Hoon

Das könnte Ihnen auch gefallen