Sie sind auf Seite 1von 18

Qayam Mehndi Nauhas 2013 - 2014

Contents
1. Asghar Ranbhumi Ma Aaya ................................................... 3 2. Aye Ali Akbar (A.s.) .............................................................. 5 3. Aye Sham-E-Gariba ................................................................ 7 4. Baba Bahut Kiya Teri Sughra (S.a.) Ne Intezaar ................. 9 5. Garm Hawayen .................................................................... 11 6. Jab Tak Hai Dam Mein Dam ............................................... 13 7. Mara Baba (Gujrati Nauha) ................................................. 15 8. Wo Mera Mola Haider (A.s.) ................................................ 17

1. Asghar Ranbhumi Ma Aaya


Dharam Ke Rakshak Na Aapna Jab Ghar Sansar Lutaga Antah Chah Mah Balidani Baalak Ne Dharm Bachaya Chhod Ke Jeevan Ki Mohmaya Dheer Veer Parityagane Kaaya Seena Sair Kaanp Uthi Jab Asghar (A.s.) Ranbhumi Ma Aaya Asghar (A.s.) Ranbhumi Ma Aaya..2 Chhaye Mega Gagan Pe Kaare Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare..3 Manmohak Jiska Mukhmandal, Badan Hai Yun Jaise Ho Malmal Kesh Kapaas Se Adhar Hain Komail, Mahke Deh Ke Jaise Sandal Waani Madhur Nain Kajrare, Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare Chhaye Mega Gagan Pe Kaare, Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare Surya Chandrma Se Ujiyara, Bahan Sakeena (S.a.) Ka Hai Pyara Sundarta Se Bhara Shisku Hai, Sare Jagat Se Hai Wo Nyara Maat Pita Ki Akhiyon Ke Taare, Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare Chhaye Mega Gagan Pe Kaare Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare Humak Ke Jhule Se Khud Ko Giraya,Ran Me Pita Ki God Me Aaye Mukh Pe Madhur Muskaan Sajaye ,Vijayi Hua Bin Shastra Uthaye Shatru Ki Sena Ro Ro Haare, Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare Chhaye Mega Gagan Pe Kaare Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare Dushta Hurmula Teer Chalawe, Baalak Apne Kantha Pe Khawe Dharam Ki Raksha Hetu Wo Apne Jeevan Nyochhawar Kar Jaawe Dharm Ki Doobti Naayya Ubhare, Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare Chhaye Mega Gagan Pe Kaare Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare Dekh Ye Saahas Balakpan Me, Bhay Sa Samaya Shatru Ke Man me
3

Pita Pe Lagta Baan Na Le Kyu, Rakt Haider (A.s.)i (A.s.) Jab Ho Tan Me Roop Soorwiron Se Dhaare, Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare Chhaye Mega Gagan Pe Kaare Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare Yaad Jo Aawe Surat Pyari, Kaano Me Guunje Kilkari Ghutiyon Chalna Angna Me Woh Soch Ke Roe Mann Dukhyari Rah Rah Khali Jhoola Nihare, Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare Chhaye Mega Gagan Pe Kaare Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare Naam Damakta Ta Hai Kirno Me, Asgar (A.s.) Gooje Aur Apno Mein Qayam Alag Alag Dharmoon Ke, Mahabali Inke Charno Me Natmastak Hote Hai Saare, Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare Chhaye Mega Gagan Pe Kaare, Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare Asgar (A.s.) Ranbhumi Me Padhare.

2. Aye Ali Akbar (A.s.)


Balwaye Aada Mein Rokar ,Kahti Thi Madar Be Rida Bint-E-Ali (S.a.) Hai, Chhin Gayi Chaadar Jisne Tum Ko Chaha Apne, Beton Se Badhkar Laake Ek Chadar Phupi Ke, Daal Do Sar Par Aye Ali Akbar (A.s.), Aye Ali Akbar (A.s.)..3 Chhod Ke Maan Ko Gaye Tum Ho Kaha Dil Dilbar Aye Ali Akbar (A.s.) ,Aye Ali Akbar (A.s.) ..3 Lee Raza Baba Se Tumne, Jang Karne Ke Liya Jab Wida Mujhse Hue Tum, Ran Main Marne Ke Liya Jatey Jatey Dekh Na Paaie Tujher Jee Bhar Aye Ali Akbar (A.s.), Aye Ali Akbar (A.s.)..2 Kay Karu Tujh Sa Bayan Main, Aye Mere Noor-E-Nazar Ho Gaya Barchhi Ke Phal Se, Jo Tera Zakhmi Jigar Chal Gaya Seena Pe Teri, Maan Ke Bhi Khanjar Aye Ali Akbar (A.s.), Aye Ali Akbar (A.s.)..2 Tu Azan Deta To Lagti Thi Muhammad (S.a.w.w.) Ki Aazan Tu Hi Hamshakal-E-Payambar, Aye Mere Kadiyal Jawan Dekhte Tujh Ko To Patey They Sukun Sarwar (A.s.) Aye Ali Akbar (A.s.), Aye Ali Akbar (A.s.)..2 Tujhko Jo Pyasa Hai Maara, Aye Jawan Akbar (A.s.) Mera Hashr Tak Zinda Sabilen, Naam Pe Hongi Tere Ye Dua Ro Ro Ke Deti Hai Teri Maadar Aye Ali Akbar (A.s.), Aye Ali Akbar (A.s.)..2 Tu Juda Jab Se Hua Hai, Ho Gaya Aisa Asar
5

Baap Ki Toti Hai Tere, Is Budha Pe Mein Kamar Rah Gaya Baaqi Nahi Kuchh Bahi Tujhe Khokar Aye Ali Akbar (A.s.), Aye Ali Akbar (A.s.)..2 Ye Likha Sughra (S.a.) Ne Kaht Mein, Aye Ali Akbar (A.s.) Tujhe Kyun Mere Bhaiyya Gaya Ho, Chhod Ke Thana Mujhe Mar Na Jaye Sunke Teri, Maut Ko Khwaahar Aye Ali Akbar (A.s.), Aye Ali Akbar (A.s.)..2 Zindagi Guzre Humesha Bus Khuda Ki Rah Me Ho Sada Qayam Bhi Ahlebait (A.s.) Ke Maddah Mein Hai Yehi Dil Ki Tamnna, Har Nazar Mujh Par Aye Ali Akbar (A.s.), Aye Ali Akbar (A.s.)..2

3. Aye Sham-E-Gariba
Sham-E- Gariban.4 Aye Sham-E-Gariba Tu Hi Bata, Tune Kya Kya Manzar Dekha .2 Aada Se Bhara Lashkar Dekha, Shabbir (A.s.) Ka Ujda Ghar Dekha Aye Sham-E-Gariba Tu Hi Bata, Tune Kya Kya Manzar Dekha Jab Sham-E- Gariban Pe Ki Nazar, Aai Sa Tha Qayamat Ka Manzar Lut Te Hue Zar-Zewar Dekha..2 Aur Chhinti Hue Chaadar Dekha Mazlumon Pe Kya Kya Zulm Hue, Chaadar Bahi Chhini Durre Bhi Lagey Beemar Ke, Aankho Se Khoon Baha..2 Zainab (S.a.) Ko Jo Nangey Sar Dekha Aye Sham-E-Gariba Tu Hi Bata, Tune Kya Kya Manzar Dekha Khaimon Ma Tha Ek Kohraan Baapa, Chhadar Ki Taraf Jab Shimr (L.a.) Badha Ik Aas Liya Darya Ki Taraf.2, Hay Zainab (S.a.) Ne Mud Mud Kar Dekha Aye Sham-E-Gariba Tu Hi Bata, Tune Kya Kya Manzar Dekha Phoolon Se Bhi Naazuk Bacchon Ka, Dil Khauf Se Sahma Sahma Tha Maasumon Ne Khaimon Ki Traf..2, Jo Aatey Hue Lashkar Dekha Aye Sham-E-Gariba Tu Hi Bata, Tune Kya Kya Manzar Dekha Ek Aur Nishaani Khoney Lagi,
7

Maan Khoon Ke Aansu Rone Lagee Jalta Hua Khaimey Ke Andar , ..2 Jo Gahwara E Asghar (A.s.) Dekha. Suraj Pe Na Lagne Paaye Ghahan Beemar Kahan Hai Boli Bahan Dekha Jo Hataakar Phaila Dhuan,..2 Sholon Ne Gira Bistar Dekha. Aye Sham-E-Gariba Tu Hi Bata, Tune Kya Kya Manzar Dekha Daaman Bhi Jala Aur Chini Baaaliyan, Gaalon Pe Tanachon Ke They Nishaan Aaisa Jo Kabhi Dekh Na Suna, Woh Zulm Sakeena (S.a.) Par Dekha Aye Sham-E-Gariba Tu Hi Bata, Tune Kya Kya Manzar Dekha Jab Doob Ke Gham Mein Kahney Laga, Mazloom Pe Ro Roke Nauha Likkha Jo Kalam Se Ibn E Ali (A.s.)..2 Qayam Ne Woh Khoon Se Tar Dekha Aye Sham-E-Gariba Tu Hi Bata, Tune Kya Kya Manzar Dekha

4. Baba Bahut Kiya Teri Sughra (S.a.) Ne Intezaar


Kyun Chhod Ke Gaye Baba, Tanha Mujhe Yahan Payengi Ab Bharey Ghar Ko Sughra (S.a.) Bhala Kahan Taqdeer Le Rahi Hai Kyun, Mujhse Ya Imtihaan Beti Ka Baap Se Yeh Tha, Rudad E Gham Bayan Baba Bahut Kiya Teri, Sughra (S.a.) Ne Intezaar..3 Wo Reh Gayi Madine Mein, Bechain Beqarar Baba Bahut Kiya Teri, Sughra (S.a.) Ne Intezaar..2 Tufan Tha Sine Mein Aur Aaknon Me Samandar Jab Samne Gaya Mere, Yun Mera Bhara Ghar Jaise Chali Gai Gulshan Se Rooth Ke Bahaar, Baba Bahut Kiya Teri, Sughra (S.a.) Ne Intezaar..2 Kahn Ye Bhai Akbar (A.s.) Se, Karti Bhi Kyun Sahan Bichdi Ho Jab Koi Apne Hamsheer Se Bahan Kyun Phir Na Teer Gham Ka Ho Sine Kae Aar-Paar Baba Bahut Kiya Teri, Sughra (S.a.) Ne Intezaar..2 Bhooli Nahi Sakina (Sa) Ko, Main Gharm Ki Sataaie Sahti Bhi Main Bhala Kaise, Asghar (A.s.) Ki Judaai Maine To Yaad Mein Baba, Di Zindagi Guzaar Baba Bahut Kiya Teri, Sughra (S.a.) Ne Intezaar..2 Aakhon Mein Mere Wiraani, Hoton Pe Khamoshi Lipti Hui Thi Deewaron, Se Ghar Me Udaasi Chhai Hui Ghanmon Ki Thi, Badli Wo Beshumaar Baba Bahut Kiya Teri, Sughra (S.a.) Ne Intezaar..2
9

Beemar Ho Gayi Baba, Ye Aapki Dukhtar Khat Ka Mere Jawab Bhi, Aay An Palatkar Main Puchhti Thi Rah Rah Ke, Nani Se Baar Baar Baba Bahut Kiya Teri, Sughra (S.a.) Ne Intezaar..2 Fart E Alam Se Daaman E Dil Hai Jo Taar Taar, Aakhon Mein Ashk Aate Hai, Bhar Bhar Ke Baar Baar Kis Tarha Se Likhe Qaayam , Sughra (S.a.) Ka Haley Zaar Baba Bahut Kiya Teri, Sughra (S.a.) Ne Intezaar..4

10

5. Garm Hawayen
Garm Hawayen Tapta Sahra, Aur Hai Laash E Husain (A.s) Charon Taraf Hai Ek Sannata, Aur Hai Laash E Husain (A.s) Maghmum Sara Arz O Sama Hai, Surkhi Liye Kyun Ye Asma Hai Maqtal Mein Yun Khamoshi Hai Chaaayi,Lagta Hai Jaise Waqt Thama Hai Harsoo Laga Hai Maut Ka Pahra, Aur Hai Laash E Husain (A.s) Garm Hawayen Tapta Sahra, Aur Hai Laash E Husain (A.s) Be Dino Ne Zulm Wo Dhaya, Marqad Me Zehra (S.a) Ko Rulaya Koi To Hota Jo Ye Samajhta, Han Ye Muhammad(s.a.w.w.) Ka Hai Nawasa Badhta Hua Zuomat Ka Andhera, Aur Hai Laash E Husain (A.s.) Garm Hawayen Tapta Sahra, Aur Hai Laash E Husain (A.s) Roti Hui Kahti Yeh Bahan Hai , Bhai Mera Be Goro Kafan Hai Na Isko Paamal Karo Ye, Shah E Shahidan Shah E Zaman Hai Charon Taraf Hai Nargha E Aada Aur Hai Laash E Husain (A.s.) Garm Hawayen Tapta Sahra, Aur Hai Laash E Husain (A.s) Khaimon Se Uthti Hain Ye Sadayen, Kaise Laasha Khaime Me Laayen Zainab (S.a.) Dukhiya Ki Ye Fughan Thi, Koi Bacha Na Kisi Ko Bulaayen Ek Aabid E Beemar (A.s.) Hai Tanha, Aurhai Laash E Husain (A.s.) Garm Hawayen Tapta Sahra, Aur Hai Laash E Husain (A.s) Khoon Se Bhari Hai Rait Ki Chadar, Auruspe Teeron Ka Bistar Laal Mera Be Jurm O Khata Tha, Baal Bikhere Khati Ti Maadar Doobi Hai Gham Mein Rooh E Zahra (S.a.) Aur Hai Laasha E Husain (A.s.) Aah O Fughan O Naala O Maatam Saidaniyan Karti Thi Paiham Qatl Hue Maidan Mein Sarwar (A.s.), Ahl E Haram (A.s.) Kahte They Qayam Aankh Mein Aansu Hoton Pe Nauha, Aur Hai Laash E Husain (A.s.)
11

Garm Hawayen Tapta Sahra, Aur Hai Laash E Husain (A.s)

12

6. Jab Tak Hai Dam Mein Dam


Abbas (A.s.) Ka Matam, Shabbir (A.s.) Ka Matam Han Hai Ye Zainab-E-Dilgir (S.a.) Ka Matam Qasim (A.s.) Ka Matam, Akbar (A.s.) Ka Matam Han Hai Ye Asghar-E-Beshir (A.s.) Ka Matam Jab Tak Hai Dam Mein Dam, Matam Karenge Hum.2 Sar Ye Jahan Ke Zukm Ke, ..2 Aage Na Hoghe Kham Jab Tak Hai Dam Mein Dam, Matam Karenge Hum..2

Phir Kya Bigaad Payenga, Duniya Ke Ye Sitam Saya Kiya Hai Sar Pe Jab, Abbas (A.s.) Ka Alam Hai Ye Ali (A.s.) Ke Sher Ka, ..2 Lahrata Parcham Jab Tak Hai Dam Mein Dam, Matam Karenge Hum..2 Jab Tah Hai Sar Pe Chadarey Tatheer Ka Saya Har Mushkilon Balaon Se Mahfus Hai Paya Hamko Sata Nahi Sakta, ..2 Duniya Ka Ranjo Gham Jab Tak Hai Dam Mein Dam, Matam Karenge Hum..2 Hain Apne Ashk Zehra (S.a.) Ke, Roomal Me Ghauhar Aansu Gham-E-Hussain (A.s.) Ke Banjayen Ge Kausar Phir Hai Apne Saamne, ..2 Kya Aab-E-Zam Zam Jab Tak Hai Dam Mein Dam, Matam Karenge Hum..2 Khud Ro Sakey Na Ahley Jahan Ko Rula Sakey Jo Gham Me Shahedin (A.s.) Ke Na Aansu Baha Sakey Aankhen Nahi Wo Patthar Hain,..2 Jo Ho Saken Na Nam Aankho Me Ashk Honge Aur, Hanton Pe Ya Hussain (A.s.)
13

Milta Rahenga Shaah (A.s.) Ke, Maatam Se Dil Ko Chain Jab Tak Ki Apni Aakhari, ..2 Saasen Na Jayen Tham Jab Tak Hai Dam Mein Dam, Matam Karenge Hum..2 Namey Hussain (A.s.) Lab Pe Ho, Aankhen Bhi Hon Purnam Angaron Pe Chalte Rahen, Karte Hue Maatam Zanjir O Qama O Matam, ..2 Hota Rahey Paiham Jab Tak Hai Dam Mein Dam, Matam Karenge Hum..2 Ek Maan Kin Aarzu Thi Ye , Aise Hon Wafadar Sar Peet Ke Royen Mere, Bacchche Pe Azadar Ham Hi To Wo Tamanna Hain..2, Zehra (S.a.) Ki Aye Qaayam Jab Tak Hai Dam Mein Dam, Matam Karenge Hum..2 Sar Ye Jahan Ke Zukm Ke, ..2 Aage Na Hoghe Kham Jab Tak Hai Dam Mein Dam, Matam Karenge Hum..4

14

7. Mara Baba (Gujrati Nauha)


Mara Baba ,Mara Baba..4 Qaid Kahna Thi, Sakina (S.a.) Ni Sada Aawe Chhey Mara Baba,Mara Baba..3 Lahad Ma Chain Na Thi, Zalimona Sata We Chhey Mera Baba, Mera Baba.3 Hun Sui Jaati Hati, Aapna Seena Upar Hawe To Kahuf Ne, Andhkaar Waanu Chhey Bistar Tamari Yaad Maney, Aawi Ne Jagaawen Chhey Mera Baba, Mera Baba.3 Mazaar Maro Chalak To Hato Muhibbo Thi Badaj Haq Ne Ada, Karta Hata Ashko Thi Ahin To Koi Bhi, Zaari Na Hawey Aawey Chhey Mera Baba, Mera Baba..3 Hun Jyaare Radti Hati, Khoob Qaid Kahna Ma Qayamat Ek Hati, Jena Thi Zamana Ma Yazeed (L.a.) Tyaarey, Aapnooj Sar Mangawey Chhey Mera Baba, Mera Baba..3 Tamari Aal Ne (A.s.), Looti Lidi Chhey Jangal Ma Dar Ek Beebiyon (A.s.), Qaidi Bani Chhey Jangal Ma Deen Kaaje Koi Sarvaswa, Shoon Lutaawey Chhey Mera Baba, Mera Baba..3 Gadama Teer Jo Yun, Maara Bhai Asghar (A.s.) Na Jigar Ma Barchhi, Nihaari Chhey Ali Akbar (A.s.) Na Aa Yaadon Khoon Na, Aansu Maney Radaawey Chhey Mera Baba,Mera Baba..3 Aa Shahar Kewo, Bhayanak Chhey Aaj Pan Baba
15

Koi Bahaar Na, Raunaq Chhey Aaj Pan Baba Aa Manzaro Mara, Dil Ne Bahu Dukhawey Chhey Mera Baba, Mera Baba..3 Aye Masuma (S.a.) Nee, Azadari Manawi Jyaarey Sada Aa Kaan Ma, Goonji Chhey Matami Jyarey Sakeena (S.a.) Bibi Na, Tabut Ne Uthaawey Chhey Mera Baba,Mera Baba..3 Amaaro Ahmado, Qayam Aa Ik Khazaano Chhey Ghame Hussain (A.s.) Chhey, Dil Ma Karam Khuda No Chhey Aa Reete Ajre, Risaalat Ada Karawey Chhey Mera Baba,Mera Baba..3

16

8. Wo Mera Mola Haider (A.s.)


Haider (A.s.)..2 Wo Mera Mola Haider (A.s.), Wo Mera Mola Haider (A.s.).4 Hum Uske Shaidai Jisne Gaad Alam Patthar Par. Wo Mera Mola Haider (A.s.), Wo Mera Mola Haider (A.s.).4

Pyara Mauhammad (S.a.w.w.) Ka Hai Ali (A.s.), Jispe Hamara Fida Ha Dil Thamey Jo Daaman Haider (A.s.) Ka, Bas Usko Hi Mile Manzil Wo Hi Wali-O-Maula Hamara, Wo Hi Hamara Rahbar Wo Mera Mola Haider (A.s.), Wo Mera Mola Haider (A.s.).4 Wo Hi Mauhammad Ka Hai Wasi, Wo Sarey Waliyon Ka Wali Samjhen Siyaasta Deen Ko Jo, Wo Kya Jaaney Shaney Ali (A.s.) Unglion Pe Ho Khilaue Jaisa, Jiske Bab-E-Khaibar Wo Mera Mola Haider (A.s.), Wo Mera Mola Haider (A.s.).4 Kahat Yazeed (L.a.) Kojo Momin, Wo Dozakh Ke Laayaq Hai Kaisa Deen Ka Ye Zaakir, Naayak Ya Khalnaayak Hai Gard Bhi Mil Na Sakengi , Marengi Jo Waar Palathar Wo Mera Mola Haider (A.s.), Wo Mera Mola Haider (A.s.).4 Pairon Ki Thoker Se Jo, Murday Ko Zinda Kar Dey Dekh Ke Aysa Phir Kyuh Na,Usko Nusairi Rab Kah Dey Baat Karey Jiske Lahje Mein, Rab Pardey Mein Rahkar Wo Mera Mola Haider (A.s.), Wo Mera Mola Haider (A.s.).4 Haq Ne Jiske Liye Suraj,Magrib Se Paltaya Hai Kaaba Hua Kibla Jab Se ,Haider (A.s.) Usme Aaya Hai
17

Bachpan Me Do Ungli Se Phada , Jisne Dahaan-E-Azdar Wo Mera Mola Haider (A.s.), Wo Mera Mola Haider (A.s.).4 Tujhme Bala Ki Hikmat Hai, Nazaan Tujhi Pe Sujaat Hai Kya Tareef Karu Teri, Tujh Me Khuda Ki Taqaat Hai Do Se Chaar Hue Ek Waar Se Jiske Marhab-O-Antar Wo Mera Mola Haider (A.s.), Wo Mera Mola Haider (A.s.).4 Aakhir Kayse Karun Main Bayan, Han Wo Shab Thi Shab-E-Hijrat Koi Kahey Ki Jab Siwaye Ali (A.s.), Kisme Thi Itni Himmat Ghaafil Soya Ki Jab Hon Aada Aur Ho Maut Ka Bistar Wo Mera Mola Haider (A.s.), Wo Mera Mola Haider (A.s.).4 Shahar-E-Ilm Mauhammad (S.a.w.w.) Hain, Aur Uske Ha Baba Ali (A.s.) Apne Karam Sa Karte Hain, Sabko Hi Seraab Ali (A.s.) Qaayam Jo Maango Sab Milta Aisa Hai Jiska Dar Wo Mera Mola Haider (A.s.), Wo Mera Mola Haider (A.s.).4

18

Das könnte Ihnen auch gefallen