Sie sind auf Seite 1von 1

Mujhse bichad ke khush rehte ho Meri tarah tum bhi jhoote ho Ik tahni par chaand Tika thaa Main

ye samjha tum baithe ho Ujle ujle phool khile the Bilkul jaise tum hanste ho Mujhe shaam bata deti hai Tum kaise kapde pehne ho Tumh tanha duniya se ladoge Bachhon si baaten karte ho

Ye jo zindagi ki kitaab hai ye kitaab bhi kya kitaab hai Kahin ik haseen sa khwaab hai kahin jaan lewa ajaab hai Kahin chaaon hai kahin dhoop hai, kahin aur hi koi roop hai Kai chechre isme chupe huye, ik ajeeb si ye naqaab hai Kahin kho diya kahin paa liya kahin ro liya kahin gaa liya Kahin cheen leti hai har khushi kahin meharbaan behisaab hai Kahin aansoon iki hai daastaan kahin muskurahaton ka bayaan Kahin kbarkaton ki hai baarishen kahin tishnagi behisaab hai

Charaag-e-ishq jalaane ki raat aayi hai Kisi ko apna banaane ki raat aayi hai Falak ka chaand bhi sharmaake moonh chupaayega Naqaab rukh se uthaane ki raat aayi hai Nigaahe saaqi se paiham chalak rahi hai sharaab Piyo ke peene pilaane ki raat aayi hai Wo aaj aaye hain mehfil mein chaandni lekar Ke roshni mein nahaane ki raat aayi hai

Yaad nahin kya kya dekha tha saare manzar bhool gaye Uski galiyaan se jab laute apna bhi ghar bhool gaye Khoob gaye pardesh ki apni deewaar-o-dar bhool gaye Seesh-mahel ne aisa ghera mitti ka ghar bhool gaye Tujhko bhi jab apni kasmein apne waayede yaad nahin Hum bhi apne khwaab teri aankhon mein rakhkar bhool gaye Mujhko jinhone katl kiya hai koi unhe batlaaye 'nazir' Meri laash ke pehloo mein wo apna khanzar bhool gaye Ajeeb log baste hain tere shehar mein..., Shoq-e-dosti bhi rakhte hain aur yaad bhi nahi karte Kisi Se Juda Hona_____ Agar Itna Aasan Hota Faraz. To Jism Se Rooh Ko Lene Kabhi Farishtay Nahi Aatay Raste kahan khatam hote hain zindagi ke safar me... Manzil to wahan hai jahan khwaishe tham jaye Yaad Aatay Hain Tou Kuch Bhi Nahi Karnay Detay..! Achay Logo'n Ki Yehi Baat Buri lagti Hai Tum Khud-Ba-Khud Shamil Ho Gaye Meri "Saanso'n" Mein.... Hum Soch ke Karte To Phir "Mohabbat" Na Karte

Phir Us Ki Yaad, Phir Us Ki Aas, Phir Us Ki Baatein Aye Dil Lagta Hai Tujhe Tarapnay Ka Bohat Shauq Hai. Smait Rakhi Hain Apney Dil Mein Uss Ki Yaadein Kabhi Tanha Hota Hoon Toh Bada Sakoon Deti Hain

Das könnte Ihnen auch gefallen