Sie sind auf Seite 1von 1

Mohabbat agar sheher hoti, to naam dilli hota ! Ishq ki agar zubaan hoti, to paighaam dilli hota !!

Ye dil me ghul jaati hai, sab isme mil jaatey hain ! Ye sabko apnaati hai, sab isko apnaatey hain !! Jab chaand ho falak me, to mehtaab ban jaati hai ! Khiley jo gul to, ye gulaab ban jaati hai !! hukumat ki baat karo to, riyaasat ban jaati hai ! jamhuriat (democracy) jo bolo to, siyaasat ban jaati hai !! Nazar na lagey husn ko, naqaab ban jaati hai ! Itihaas me naam dhundho to, behisaab ban jaati hai !! Jung-e-maidaan me, rakht ban jaati hai ! Mehel aalishaan me, takht ban jaati hai !! Husn agar bolo to, nazaakat ban jaati hai ! Jhuken ho sir to, ibaadat ban jaati hai !! Jab toot tey hain dil to, sailaab ban jaati hai ! Uthey jo aawaaz to, inquilaab ban jaati hai !! Awaam ki jo taaqat ho, chunaav ban jaati hai ! Torhna ho silsila to, badlaav ban jaati hai ! Sabhi mazhab, zubaan, andaaz hain ismey ! Jo dhundho pehchaan to, hindostaan ban jaati hai !! Mohabbat agar sheher hoti, to naam dilli hota ! Ishq ki agar zubaan hoti, to paighaam dilli hota !!

Das könnte Ihnen auch gefallen