Sie sind auf Seite 1von 1

Shehar ka shehar agar aaey bhe samjhane ko es se kia farq pare ga tere dewane ko ye hunar wo hai jo kabhi dil

se sekha na gaya tu ne to joor liya toor k paimane ko kia koe khail hai be-naam-o-nishan ho jana waisay shamma bhe taiyaar hai jal jane ko wo ajab shaks tha kal jis se mulaqaat hoe main mila hon kise jane hoey anjane ko aaj k dukh bhe kise se nahi jhailay jate yaad mat kar kise bholay hoey afsane ko door tak raat ki aankhoun main kahen neend nahi itna san'nata hai k aaey koe tarpane ko zindagi bhar main koe shai tu mukammal kar lain aao labraiz karain sabr k pemanay ko ye alag baat k ek boond muqaddar main na thi sar pe soo baar ghata chaii rahi chanay ko shaam hone ko hai jalne ko hai sham-e-mehfil saans lenay ko bhe fursat nahi parwane ko

Das könnte Ihnen auch gefallen