Sie sind auf Seite 1von 1

Har tamaashaai faqat saahil se samandar dekhta

Har Tamashai Faqat Sahil Se Samundar Dekhta,


KauN Dariya Ko UlaTtaa KauN Guhar Dekhta..
Woh To Duniya Ko Meri deewangi Khush Aa Gayi,,
Tere HaathoN Mein Wagarna Pehla Pathar Dekhta..
Aankh Se Aansu Jarrey The Par Tujh Ko Sada Na Di,,
Iss Tawaqqo Par K Shayad Tu Palat Kar Dekhta..
Meri Qismat Ki LakeereN Mere HathoN Me Na Thi'n
Kash Teri Peshani Par Koi Mera Muqadar Dekhta..
Zindgi Phaili Hui Thi Sham-E-Hijra'N Ki Tarha,
Kis Ko Itna Hosla Tha KauN Jii Kar Dekhta..
Doob'ne Waala Tha Aur Saahil Pe ChehroN Ka Hajoom
Pal Ki Muhlat Thi Main Kis Ko Aankh Bhar Kar Dekhta..
Tu Bhi DIL Ko IK Lahu Ki Boond Samjha Hai "Faraz",
Aankh gar Hoti To Qatrey Mein Samundar Dekhta
Ahmad Faraz

Das könnte Ihnen auch gefallen