Sie sind auf Seite 1von 2

1 rasool ALLAH salALLAHu alaehi wa sallam ne farmaya : "akele shakhs ki namaz se

, jam'at ke sath namaz parhna 27 darje ziada (ba'is e sawab ) he ."


2 syedina ibn umar radi ALLAHu anhu se rivaayat he ke Rasool ALLAH salALLAHu ala
ehi wa sallam ne farmaya : "tum apni auton ko (namaz parhne k lye ) masjid me aa
ne se mana' na karo , aagarchah inke ghar inke liye behter hen ."
3 agar sham ka khana samne ho to pehle khana khana chahye or phr namaz k lye jan
a chahye iski daleel
Rasool ALLAH salALLAHu alaehi wa sallam ne farmaya : "agaar shaam ka khana laga
diya jae or namaz ki iqamat hojae to pehle khana khao or khana khane me jaaldi n
a karo yahan taak ke is se farigh hjao
4 saafo ko barabr krne me bht ahadees hen un me se ek darj zel he
syadina Abdullah bin umar radi ALLAHu anhu se rivayat he ke Rasool ALLAH salAALL
AHU alaehi wa sallam ne farmaya : " safen qaim karo , kandhe barabar kro , (safo
n k ander ) in jaghon ko pur karo jo khali reh jaen , apne bhaiyon ke hathon me
narm hojao , safon k ander shetan k lye jagah na choro . or jo shakhs saf milaeg
a , ALLAH bhi use a(apni rehmat se ) milaega or jo use kate ga , ALLAH bhi use (
apni rehmat se) kat dega. (hasan) sunan abu dawud hadees no.666
* aapne bhaiyo k hatho me narm hjane ka mtlb he kagr koi saf durust krne k lye h
me aage peeche krde to bari nrmi se aage peche hjao *
5 audio me tarteeb k hawale se ye seekha he ke hme apne hr kam me tarteeb ko mal
hooz e khatir rkhna he chahe wh kitchn ho ghr ho ya kch lkhne ka hi kam q na ho
her her kam me tarteeb zarori he woh islye take hum apne waqt ka sahi istimaal k
r ske or jo waqt phr hmare pas bche usko ksi or karamad kam me lagaya ja ske or
phr jab hum khud tarteeb se rahenge to hum ijtimayaiat me bhi tarteeb se reh sak
te hen
6 Agar koi shakhs msjid der se pohnchta he or agli saf me jagah naahi he or jama
at bhi khari hochuki he to phr woh aakeli saf me khara hoker namaz prhega agli s
af se kisi ko nahi kheenchega q k esa krne se agli saf naqis hjaegi . han albatt
a agi saf me jagah he khre hone ki to ye shkhs whi khra hga agli saf nhi bnaega
7 Imama ke qareeb aqalmand or danish mand insan ko khara hona chahye iski daleel
Sayadina Abu Mas'ood radi ALLAHu anhu se rvayat he ke Rasool ALLAH salALLAHu ala
ehi wa sallam namaz me apne hath hmare kandho pr rkhte or frmate : " brabr hjao
ikhtilaf na kro wrna tmhre dil mkhtalif hjaenge (or) wh log jo aqalmand or danis
hmand hen , saf me mre qreeb rhe, phr jo unse qreeb hen , phr jo unse qreeb hen
."
8 Safon ki durustigi namaz ka ehem hissa ho iski daleel
Rasool ALLAH salALLAHu alaehi wa sallam ne frmaya : " apni safon ko barabr kro .
bila shubah safonn ka barabr krna namaz k qaim krne me se he ."
is se pta chla k safon ka durust krna namaz k qaim krne me se he yani ek ehm his
sa he or iska terha hna nuqsan bais bnega.
9 mardo ko namaz bajamaat prhni chahye is k lye kai ahadees hen un me se ek darj
zel he
Syadina um maktoom radi ALLAHu anhu nabina the , unho ne apne nabina hne ka uzar
pesh kr k apne ghr me nmaz prhne ki ijazat chahi to Rasool ALLAH salLLAHu alaeh
i wa sallam ne pehle to unhe ijazat dedi lekin phr frmaya ; " azaan sunte ho?" s
yadina abdullah radi ALLAHu anhu ne kaha : g han! Aap ne frmaya :" to phr namaz
me hazir hjaya kro."
is hadees se pta chlta he k jab nabina shkhs ko ghr me nmaz prhne ki ijazat na m
ili to j ankho wale hen or azan sunte bhi hen or phr nmaz k lye nahi aate to wh
kis qdr mujrim hen...
10 Mardo k lye afzal saf pehli he or auto k lye afzal saf akhri he iski daleel

Syadina abu huraira radi ALLAHu anhu se rivayat he ke Rasool ALLAH salALLAHu ala
ehi wa sallam ne frmaya :"mardon ki saf me (swab k lehaz se ) sab se bhtr, pehli
saf he or sab se buri akhri saf he or aurton ki safon me sab se buri, phli saf
he or sab se bhtr akhri saf he ."
*Amal ki Baat*
1 ALHAMDULILLAH mne ye hadees yad ki he
noman bin basheer radi ALLAHu anhu se rivayat he k Rasool ALLAH salALLAHu alaehi
wa sallam ne logo ki trf moo kr k frmaya:"logo! apni safen seedhi kro .logo! ap
ni safen durust karo. logo!apni safen barabar kro . ALLAH ki qasam! ya to tum lo
g zroor zroor safen seedhi kroge ya phir ALLAAH TA'ALA tmhre dilo me ikhtilf or
phoot dl dega." phr to ye halat hgai k hr koi apne sathi k kandhe se kandha guth
ne se guthna or taakhne se takhna chipka deta tha .
2 masjid me namaz ky waqt saf ki phle khali jaga ko pur krne ki koshish krungi
in shaa ALLAH

Das könnte Ihnen auch gefallen