Sie sind auf Seite 1von 5

274034103.

doc

VEERA
EPISODE 418
Dialogue: S. Manasvi
SC 7/ EXT/ DAY/ VILLAGE CHAUPAL/
BALDEV, VEERA, RATAN, BALWANT, RANVI, SAHUKAR, SAHUKARS
MEN, THE FOUR PANCH, VILLAGERS
We see the panchayat is set and the villagers are sitting around the chaupal
and the panch are sitting in front. The sahukar is there and so is Veera with
Ratan and Ranvi. Baldev comes there with Balwant.
The moment Baldev comes, he sees the tree from where Preeta was hanging
and sees a flash of her hanging... he looks very disturbed.
He joins the panch while Balwant joins Veera and her family. Baldev says:
BALDEV:

Jo waakya kal huaa, wo bahut sharmnaak tha. Aisa haadsey pind


mein nahi hone chahiye! Aur is haadse ki jo wajah saamne aai
hai, wo aur bhi sharamnaak hai!

Baldev looks at ratan who nods encouragingly. He says:


BALDEV:

Hum saare panch yahaan Preeta Parjaaiji ko insaaf dilaane ke liye


kattha huye hain. Sab se pahle main Veera Singh ko bulaaunga.
Wo sab ko bataayegi jo usne apni aankhon se dekha. Uske baad
Sahukaar Dilawar Singh apne bachaav mein apni baat kahegaa.
In dono ko mere saare sawaalon kaa jawaab dena hogaa!

Baldev looks at the sahukar and says:


BALDEV:

Agar teri baat mein itna sa bhi jhooth nikla Dilawar to bahut
buraa hoga! Kyonki jo kuchh Preeta Parjaaiji ke saath huaa hai,
unke gunehgaar ko us se bhi zyada badi sazaa milni hi chahiye!

Veera is looking confident and determined. Baldev says:


BALDEV:

Veera! Sabse pahle tusi aake apni baat kaho!

Veera nods, comes in front and starts talking:


VEERA:

Main Sahukar ke yahaan Preeta Parjaiji ke liye madad maangne


hi gayi thi. Jab main wahaan pahunchi to Preeta Parjaaiji pahle se
wahaan thi. Raham ki bheekh maang rahi thi is aadmi se

And we have quick flashes of the scene between Preeta and the Sahukar. In
the end, Veera says:

Page 1 of 5

274034103.doc

VEERA:

Aaj akhbaar uthaao to auraton pe atyaachaar ke itne kisse


padhne ko milte hain! Mainu garv huaa karta tha ki kam se kam
pritampura mein aisi ghatnaayein nahi hoti! Ki Pritampura ki
auratein mahfooz hain. Par Sahukar Dilawar jaise aadmi ke
kaaran pind kaa naam kharaab ho raha hai! Agar aaj ise apne
kiye ki sazaa nahi mili to iska hausla aur badhegaa. Kal ek preeta
ne khudkhushi ki hai, aane wale kal mein naa jaane kitni
preetayein iske julm kaa shikaar hongi! Meri panchaayat se vinti
hai ki ise kadi se kadi sazaa di jaaye.

She gives the sahukar one loathsome look and backs away. Baldev looks at
the sahukar and says calmly:
BALDEV:

Tainu apne bachaav mein kuchh kahna hai Dilaawar.

The sahukar comes in front, looking very sober and says:


SAHUKAR: Nahi
Everyone is shocked. Baldev says:
BALDEV:

Kya? Tainu kuchh nahi kahnaa?

The sahukar says, looking very sorry...


SAHUKAR: Nahi! main yahaan apni safaai dene nahi, maafi maangne aaya
hoon!
Veera looks shocked and says:
VEERA:

Maafi? Tumne jo kiya uski maafi

Baldev interrupts her and says:


BALDEV:

Dilawar nu apni baat bolne de Veera.

Veera goes silent and the sahukar says:


SAHUKAR: Rab jhooth naa bulaaye jab mainu pata chalaa ki Preeta ji
lambi behoshi mein chali gayi hain, jab maine unke bachchon ke
chehre pe chadi maayusi dekhi, tab mainu ahsaas huaa ki
mujhse kitta badaa gunaah ho gaya hai! Preetaji jab mujhse
milne aai thi, tab main nashe mein tha. Maine naa to unki baat
dhang se suni naa samjhi! Ultey pataa nahi kya gand-sand bol
gaya! Us pe kal raat jab police ne poochh taachh shuru kari to
main darr ke jhooth bhi bol gaya! Par bahut jhooth bol liya
Page 2 of 5

274034103.doc

maine! Ab mainu sazaa milni chahiye! Itni ghatiya harkat kari hai
maine ki aap log jo sazaa doge, mainu kabool hogi!! Mere se jo
gunaah ho gaya, main use palat to nahi saktaa par bharpaai to
kar sakta hoon! Agar preeta ji hosh mein hoti to main unke pair
chhoo ke maafi maangta par wo behosh hain isliye unke
bajaay main aap sab panchon ke saamne sir jhukaa ke khadaa
hoon Rab jhooth naa bulaaye, mainu badaa pachhtaava hai
apne kiye kaa
Everyone is shocked to hear this. But the sahukar says it so convincingly and
emotionally that the villagers, panch and baldev believe him... veera is still
not convinced. She says:
VEERA:

Ye aadmi pachhtaave kaa bas ek naatak kar raha hai. Jab maine
is se baat ki thi, tab ye koi nashe mein nahi tha. isne poore hosho
hawaas mein Preeta parjaaiji ke saamne wo sharat rakhi thi.

Baldev says patiently:


BALDEV:

Veera tu iska gunaah saabit karna chahti thi jo isne khud


kabool kar liya hai. Ab iski sazaa kaa faisla karna panchayat kaa
kaam hai!

VEERA:

Iski sazaa

BALDEV:
(interrupts) kuchh aisi honaa chahiye jis se preeta parjaaiji kaa
dukh khatam ho!
He looks at the sahukar and says:
BALDEV:

Dilawar! Teri wajah se preeta parjaaiji coma mein hain. Unke


pariwar ke paas ek dhela paisa nahi hai. Jis pariwar ka tune ye
haal kiya hai, us pariwaar ko samhaalne ki jimmedaari ab tainu
uthaani padegi! Sab se pahle tu unki jameen unhe waapas
karegaa. Mahine kaa kharchaa, bachchon ki padhaai ki fees aur
aspataal kaa saara kharcha tainu denaa hoga!

The sahukar nods and says:


SAHUKAR: Main karoonga sarpanch saab! Preeta ji ke pariwaar ki saari
mushkilein door karoongaa!
Veera is shocked and says:
VEERA:

Bas? Ye aadmi paise phenkegaa aur bach jaayegaa? Kyonki iske


paas phenkne ke liye paise hain? Baldev! Isne jurm kabool kiya
Page 3 of 5

274034103.doc

hai, ise police ke hawaale kar! Sadne de jail mein! Yahi iski sazaa
hai!
Everyone looks at baldev.he comes to veera and says softly:
BALDEV:

Us se kya hogaa? Preeta parjaaiji ke kaar kaa dukh kam ho


jaayega? Isne hamare saamne jurm kabool kiya hai! police ke
saamne mukar gaya to? Courat mein kuchh aur bayaan de diya
to? Tab hum kya karenge! Ho sakta hai ye chhoot jaaye! Ye bhi
ho saktaa hai ki case saalon khinchtaa rahe court mein! Parjaaiji
ke kaar waale mohtaaj bane rahenge doosron ke! Kya wo insaaf
hogaa?

VEERA:

Insaaf to ye bhi nahi hai Baldev! Ek mujrim khulaa ghoomegaa

BALDEV:

Jisne us pariwaar ko dukh diya hai, use us pariwaar kaa khayaal


rakhna hogaa! Paison se madad hum log bhi kar sakte hain par
wo bheekh kahlaayegi. Sahukar agar us pariwaar ko paise degaa
to wo us pariwaar kaa haq hai!

Veera says angrily:


VEERA:

Aaj jo parjaiji ki haalat hai, use dekhne ke baad jab main is aadmi
ko dekh rahi hoon to mainu ye sazaa bahut kam lag rahi hai
Baldev.

Saying this, she looks at Baldev with frustration and walks off from there.
Baldev sees her go and then looks at Ratan helplessly. She gives him a you
did good look.
TIME LAPSE
SC 8/ INT/ DAY/ SAHUKARS DEN/
SAHUKAR, SAHUKARS MEN, TAIJI
Sahukar enters his adda followed by his men. The moment they enter, the
men say:
MAN 1:

Sarkaar! Kya kar liya aapne? Kuchh ghanto pahle tak aap preeta
ko upar bhejna chah rahe the, abhi panchayat mein jurum kabool
kar ke aa gaye?

MAN 2:

Pahle kaa paihaa vasool huaa nahi, aur kharcha karna manjoor
kar liya aapne us preeta ke upar?

Page 4 of 5

274034103.doc

MAN 1:
Preeta ka maamla rafaa dafaa kar lete sarkaar, musibat kyon mol
le li sir pe!
Sahuhar sighs and nods his head and says:
SAHUKAR: Waqt aane pe bataaunga! Abhi jaao tum dono! Mainu kisi kaa
intzaar haiga!
The men look at each other, confused.... they leave. Sahukar takes another
sip from a bottle of whiskey. Just then, we hear clapping sounds. He becomes
alert and sees in the direction of the sound. Its coming from the main door.
We see a womans backlit silhouette walking towards him. He squints his
eyes to see who it is. From his POV we see the woman coming closer and
reveal its taiji, looking at him with a smile. Sahukar says:
SAHUKAR: Tusi aaye ho! aao aao! Mainu lagaa kahin Veera to nahi aa gayi!
Rab jhooth naa bulaaye, agar wo yahaan aa jaati naa to main
TAIJI:

Goli maar veera nu! Aye bataa panchaayat mein kya huaa? Jaisa
socha tha wahi hua naa?

SAHUKAR: Bilkul wahi huaa Manjeetey!! Twada bataya tareeka ekdum kaam
kar gaya! Is chakkar se nikalne kaa tareeka mere naal bhi tha,
par twadi chaal jordaar si!
Taiji smiles with an intrigue on her face. We charge on her.
FREEZE

Page 5 of 5

Das könnte Ihnen auch gefallen