Sie sind auf Seite 1von 15

Bismillah hir rahman nir raheem

Mere bahiyon aur doston hum apne charou tarf dekthe hai log
apne bane huwe mansoobay(plan) aadhuray chodke (incomplete)
mar jate hai. Zyada tar ya balke 99% ya 100% log apne
mansoobay koh bagair qatam kiye mar jate hai. Is say yeh
maloom hota hai kay apni zaaheni sonch aur khaieshat koh
aadhuraay chod kar chale jata hai. Hamare bas mein hota toh
hum hamari saari cheezou koh khatam karke jate balki jate hi
nahi humse pucha jata toh hum toh marna hi nahi chahte. Chahey
who buda ho, fakir ho, jawaan ho, ameer ho hum toh marna nahi
chahte. Lekin hum dekhte hai ke kis tara bebasi ke saath lejata
hai. Mai yahan sher shah suri ki ek baat kahonga ke unhone
kahan tah delhi fateh karne ke baad jab unki umar 60 saal thi toh
yeh khane lag eke mujhe afsoos hai ke mere sar par hukumath ka
suraj us waqt tulu huwa hai jab meri apni zindagi kya suraj guroob
hone pe hain (yani maut kabhi bhi aasakti hai). Yeh kya baat hai
ke log apni mansoobay adhuray chodke marta hai khaesath bahut
zyada magar azabaab bahut hi kam, chalo kuch na kuch azbaab
maldarou ke paas hai, phir middle class walon ke paas ussay
thode aur gharibaou ke paas us say bhi thode hai. Lekin zindagi
toh sab ke paas hai. Agar zindagi (umar) paisou say badgati yah
gharibi say ghat jati toh karoon aaj tak zinda hota, shadaat firoon
aaj tak zinda hote. Issay hume yeh maloom hota hai ke maut kisi
cheez say tali nahi ja sakti. Aur khaeshat kabhi qatam nahi hote
jaise ke bacche koh ek khilona de toh dusray ke khawish karta
apni almari khilonou say bhari hogi legin kisi ka khilona dekh kar
us ko japat kar uthae ga us bacche ku toh samaj hi nahi lekin yeh
insaani fitraat hai jo bacchpan say hoti hai. Aur aab khawishat
pura karnay kay liye do cheezou ki zarurath padthi hai zindagi aur
assbaab aab muskily eh hai ki in khawisath koh pura karnay kay
liye jo asbaab diyay gaya hai woh bahut thoday hai aur ussay bhi
thodi hai yeh zindagi, agar hum maut tak is jahan toh inteeha
samajay toh phir yeh bahut bekaar jahan hai aur muzool yeh
zindagi hai yeh kya chakkar hai hum mehnath karkarkay hum

apni mehnath say lenay kay kuch qabil hote hai toh maut aakay
utha kay lejathi hai kya yahan kahani qatam hogayi kya issi kay
liye allah nay paida kiya tha nahi. Agar hum sirf aaqal say sochay
toh ek baat hume samaj aati hai kay insaan kya jo deemag hai
yeh duniaya mein namunkeen ki tamanna nahi karta missal kay
tor pe koi duniya kya ameer gharib buda jawaan yeh tamanna
nahi karta kay do aur do paanch hote kabhi teen aur do saath
hote kyun ki insaani dimag qubool nahi karta, iskay bawajood
insaan yeh dekhta hai kay log jawaani say buday horahay hai phir
bhi tamanna karta kay kaash hamesha jawaan rahoon log mar
rahenhai lekin tamanna karta kay mai hamesha zinda rahoon,
khush rahon. insaan namunkeen koh qubool nahi karta toh phir
yeh insaan kay dimaag mein yeh tamannay kyun . yeh is baat ki
aalamat hai kay koi jahan iss kayanath mein chupa huwa hai
jahan hamesha jaawani hogi, khushiyan hogi, maut na hogi yeh
hamare dillou mein yeh tamanna kya uthna yeh aaqali daleel hai
kay aaqirath majood hai. Aur insaan ki tamannaou mein say ek
hai kay mujrim ko saza milay lekin yahan 70% mujrim bahar
ghumtay hai aur bekasoor log saza patay hai aur 70% log
begunah hote hai toh yeh nizam insaanou kya banaya huwa. Agar
ek shaksh 10 qatal kiya hai chalo usko phasi ki saza dedi gayi tab
bhi who ek qatal ka hisaab huwa abhi 9 baaqi hai yeh ab kissay
lengay. Toh yeh aisa jahan hai jahan na khawishath qatam hote na
mehnath ka sila hai na mujrim koh saza hai toh allah nay ek jahan
chupya huwa hai jahan pura pura badla milayga (kullu nafisin
zaaeqatil mauthar ek ko maut ka zayeqa chakna hai) (summa
ujurahum yamul qiyamah---phir ek din aanae wala hai jis ko
qiyamath kaha jata hai) who kaisay aaiga (faa eezaajaa aatit
taammatul khubra--- woh ek hungama hoga ) (faa eezajaa aatis
saaqaawoh ek cheekh hogi ) (faa eeza nufira fin naqoor--- woh
ek awaaz hogi joh phooki jayengi) (faa inkanatil aasayyatan
waahida--- woh ek khoofnak aawaaz hogi (faa innama hiya
zahratun waahida---woh ek zabardast kissam ki daant hogi) yeh
quran mein allah muqtalif unwaan dedekar humay jhunjhod tha

hai , jo hum is duniya mein aakar allah ku bhool gaye toh quran
humay jhunjhod tha hai kay kahan ja rahe hoo tumhe nahi
maloom umhare saath kya hone wala hai tumhare maal , tumhari
dukane, tumhare gharou inkay saath kay hone wala hai kuch
tumhe qabar hai (izzazulzilatil arzoo zilzalaha---tum woh din bhool
gaya jab zameen mein zazala aayenga) (youma tashaqqatul arzoo
inhum --- jab yeh zameen cheerthi huvi chale jayengi phatti chale
jayengi ) aur phatengi toh kya honga sirf hamari zameen mein 50
kms tak meethi, loha, rait, pani, patthar wagaira hai , phir 50 kms
kay niche aag hi aag hai hum ek aag ki khasti pei baithay huvi hai
aur jab aalha zameen phadega( wa izaal arzoo muddath jab woh
padeega ) toh yeh aag zameen say nikallagi jaisay pani uchaltha
nikal tha hai tab yeh cheezay kahan jayengi koi nisaan baqi nahi
rahega (al jibal kal aainil mafoosh--- pahad ruie ki tarah) (annaas
kal farishil mabsoos ----insaan pitangou ki tarah )(wa izzal biharu
sujjirath--- samansar mein aag lag jayengi) (wa izzal wohushu
ushirathjanawar bagainay insaanou ki taraf) shair khatna bhool
jayenga, saap daasna bhool jayenga , moor nachna bhool jayenga
aur sab ek jahan honge. Aur aasmaan phat pade ga aur jo
badbakt log uskoh dekengay (izza dukkantin arzoo dakka --- aur
zameen thukde thukde hojayengi ) toh hamara anjaam kya hone
wala hai toh zameen ki maut asmaan ki maut pahad chand suraj
samandar parind jaanwar insaan hatta kay farishtau koh bhi maut
de dijayengi.
Phir allah tala farmayengay kay maar jao jibreel aur mikayeel bhi
tab allah tala ka arsh shifarish karenga kay ya allah inko toh
bachale tab allah tala farmaeingay (uswuth kamma faqatul mauta
aala kana tahatah arshi--- chupho jao meray arsh kay nichay sab
koh maut hai ) jibreel mikayeel jaisa muqarab marengay peechay
rahejayega israfeel allah tala farmayeingay ( falyamat israfeel
ab israfeel ki hi bari aagayi) phir woh soor jo itna bada hoga kay
saray insaan aur janawar ki ruh ismay jaama hoga sakti toh woh
soor khul jayenga aur allah kay arsh par ja kar chepak jayenga
tab allah farmayengay kay ab maut koh bhi maut aayengi

farmayeingay kay mar ja jaisay kay yeh sab mar gayein toh agar
us waqt maqlooq hoti toh malakul maut ki cheekh sunar thukday
thukday hojati lekin woh toh pehle hi thukde hogayi toh sab jab
marjayengay toh Allah tala farmayeingay kay( mankanali
sharikan falyatik--- hai ki mera shareek meray sammnay aayein
phir allah tala teen martaba kahengay mankanali
sharikan
falyatik) toh allah tala zameen aur asmaan koh ek jhatka dengay
aur farmayengay (anal malik--- mai badshaah hoon) phir dusra
jhatka dengay phir kahengay( anal quddussu salamum momin--mai hoon quddus salamu momin) phir teshra jhatka dengay aur
kahengay (anal mohimuh azeezu jabbaru mutakabbir----mai hoon
mohaimin azeez jabbar mutakabbir) phir Allah tala farmayeingay
(ayenal mulook--- kahan chale gaye badshah) (ayenal jabbarun
kahan chale gaye zalim) (ayenal muttakabbironkahan chale
gaye takkabur karne wale)(iheyanill kul yaum ---kaun hai aaj
badshah)kiske haath mein hai badshahi tab koi nahi hoga jawaab
dene wala allah khud farmayengay(lillahil wahedil qahaaar---aaj
akelay wahdahu lasharik allah ki badshahi) yeh ek scene qatam
hogaya phir allah tala farmayengay (anal lazi badatu bidduniya
walam taaun shaia waanal lazi wa eiduha --- mera bandaou maine
hi tumhe banaya tha aur maine hi tumhe meetaa diya ab intezaar
karo tumhe dubara uthaya jayenga phir tumhe dubara zindakiya
jayenga ) phir ek aur awaaz ayengi ek aur hungama hoga ek aur
pukar daant padeigi (yauma eizin churagon--- phir har aadmi
nikalta chale aayenga) (faa inna maa hiya zihjratun wahida faa
izza hum bissahira ---- ek awaaz hogi jo hume zinda karke khada
kardegi ) Allah tala ek bearish barsayeingay yeh soor puchnay kay
baad kitna zamana hai allah kay siwa koi nahi janta ya allah kay
rasool ko pata unhone aagay bataya nahi phir allah tala uthaega
kis tarah ek baarish hogi 40 roz yeh baarish hogi ussay haddiyan
paida honi shurou hojayengi phir woh allah kay hokum say apni
apni shaksiyat kay saath jhoudti chalejayengi allah unko jhodta
jayenga aap allah kay ilm ko toh dekho kay kharbou ya ussay bhi
zyada insaan charind parind kay ghost haddiyan baal yeh tak kay

haat kay pooray(finger prints) bhi ussi kay hogay dusaray kay
nahi , allah tala farmayengay kay (wala qadireena aala ansaawiya
banana --- mai teri umli kay pooray bhi teri hi tujhe wapis karonga
kisi aur kay nahi hongay) itni taqaat wa zaaat say hamara wasta
hai aur musibat yeh hai kay hum ussi say gafeel hai.
Ab Yeh dekhay kay yeh suraj humse 930 crore mile ke fasle par
aur eska ek 20 crore wa hissa zameen pe aata hai jisko hum
bardast nahi kar pate. Agar yeh 4.5 crore ke meel ke fasle par
aajayein toh raaq(ash) banker hawe mein uood jayenge. Sari
duniya raaq banker uood jayenge. Hum to raaq bante nazar bhi
nahi aayenge . yeh suraj 4.5 crore meel par hame peglana dene ki
taqat rakhta hai. Yeh suraj qiyamat ke din ek meel ke fasle par
hoga. Aur allah ke arsh say siwaye ki saya na hoga aur sar pay
topi nahi higi pair mein jhute(shoes) ya chappal nahi hogi jism
par kapda nahin aur bachhne keliye koi jagan nahi aur sayen ke
liye koi saya nahi sirf arsh ke. Penay ke liye pani koi nahi siwaaye
house e kausar ke pani nahi. Allah ke pana ke bina koi pana nahi
us garmi say bacchna hamari zaroorat ban jayengi. Aur woh
50hazar saal deen . fi yaumin kana miqdaruha 50 alaf sanatein.
50 hazar saal ke liye kitna samaan chahiye. Allah tala khabrou
say nikalein ge aur uthinge bageingay (yauma yafirru marruhu
min aaqi wa ummi hi wa abhi wa sahibatihi wa bani li kullim
rahum minhum yaum ma izzin shaniou yugni) aaj har aadmi
dusray say bageiga maa beti say baap beta say bhai bhai say
biwi showhar say aur showhar biwi say toh phir (wajah aarabbu ka
walmalaku saffan saffa) Allah aayenge apne arsh ke saath aur
allah tala farmayenge (ya ebadi inni anasabtu lakum munzu an
qalatukum) tumhe pata hai na fisla baad mein maine hi tumhe
paida kiye aur tumhe kuch na karo tumhe dekhtha raha aur
tumhai suntha raha kon sajde mein gay aur kyon baagi huwa
kisney sacch bola kisne jhoot bola kisnay takabbaur kiya aur
kisne tawazoo ki kisney halaal kamaya aur kisne haram kamaya
mai sab dekh ta raha mein nai kuch nahi kaha (Al youm ma
ansatuhili ) aaj tum khamosh rahogay aur mein bologna aur abhi

mein tumhari kahani tumhare saammay laaonga aur allah tala


farmayein ge jahannum lao (burri zatul jaheem) dozaq aayengi,
aur allah tala farmayein ge ke jannath lao (uzlifatul jannahtul lil
muttaqeen) jannath aayengi, phir allah kahenge ke pulsirath
lao(wanagaul mawazillul qhust) pulsirath aayenga aur phir allah
kahenge ke tarazu lao toh tarazu aayenga . phir allah tala
farmayein ge ke ab yeh sara maidan ne maishar mussalla hogaya
aur mujrim ke liye tayyar hai pakadne ke liye aur parezgaar ke
liye tayyari hai aata karne ko, bakshne ko. Aur jannath ke
khushboo uthrahi aur jahannum ke sholay badak rahe. Tarazu ke
palde jhul rahe , phul sirath jhool raha hai aur insaanou ke
tanngay tartarai rahi kaap rahi hai koi insaan nabiwon ka amal bhi
lekar aayenga to ek dafa who gabrakar kahenga hai mai margaya
kahan jao. Adam alay assalam jaisi hasti kahen gay aye allah meri
jaan bacha mai kisi ka sawaal nahi karta. Adam alay assalam say
lekar Isa alay assalam tak har nabi kahenga nafisi nafisi sirf
hazath muhammed sallallahu alay wa salam ke zaath e aqdas
hugi who kahengay ya rabbi ummati ya rabbi ummati warna sab
ko apni jaan ki padjayenge. Phir allah tala farmaya laya jae phir
eke k aadmi koh gardan say pakad kar laya jayenga aur firishtae
allah ke samme khada karenge allah farmayenge lao iska aamaal
layenge acchai aur burai , sacch aur jhoot , zina aur pakdamani,
zulm aur adal , namaz aur namaz ka chodna, roza aur rozay ka
chodna , zakat aur zakat ka na dena yeh sab jissay hum paisa koh
jaedaath samaj tay hai usdin pata chalega ke paisa toh jaedaath
thi hi nahi asal jaedaath toh aamal tha humne khud kante boliyen
hai zindagi ki rah mein agar khuda na khasta tarazu ka seeda
padla outh gaya aur dusra jhuke gaya toh farishta kahenga ke
falan falan ka beta falan falan ki beti ki nekiyan ghat gayi baazi
har gaya abkabi kamiyab na hoga yeh aaisa khof nak elaan hoga
ke aoraou koh chakkar aane lageinge jiske barray mein huwa uska
kya haal hoga. Aur agar woh mard hai toh farishtae uske kamar
pakad ke uske muh mein haath daleinge aur uska jabda bahar
nikal phegeingay aur woh kahega mujpar raham karo woh

kahengay rahman nay tujpar raham nahi kiya toh hum kaise kar
sakte hai aur agar woh aurat hugi naakam toh ustoh apni sirf ki
choti say pakdengay aur ek jhatka deinga aur woh gisakti huvi
ludakti huvi chale gayeingay aur kahengi ke mujar raham karo toh
kahen gay kay tumar rahman nay raham nahi kiya toh hum kaise
raham kar sakte hai.toh allah tala kahenge (Quzuhu (pakado)
fagunnohu (acchi tarah band do) summa fi silsilatin daraha fa
sabauna darahan faslukuhu (zanjeerou mein isay piroudiya jae
aur isay jahannum mein dala jae aur isay jahannum mein latka
diya jae ) jaisa humlog dekhta hai ke hotelou mein chicken
tandoori koh sheekh mein purah detehai aur ab inka libas kya
hoga (quttu atullahum siyabum min naar (inke kurte aaj ke hoge)
sarabilahum khatron(unki salwar bhi aag ki hogi) tawaisha
wuzuluhum narrun (unki sarou par topiyan aaj ki hogi) yagfarahu
badioun lebadion (aur who ek dusray koh galiyan dengay) aur ek
dusray koh lanat deinge ) in ke bistar angare ekatta karke banaya
jayenga aur unke upar chadar aaj ke parde ki hogi allah inke upar
dal deinge. Aag ki motti dewarou say kamray banadiyen jayengay
aur kahan jayenga ke jao aur chale jao ab tun=mhe koi nahi nikal
sakta.
Hadees mein aata hai ke agar jahaanumiyon say yeh kahen ke
tumhe duniya ke zarrath ke barabar saal jahanum mein rakha
jayenga toh woh khush hogayein gay lekin aaisa na hoga.
Yah mujrim do qisam kay hai ek pakka mujrim aur ek kaccha
mujrim dhozakh kay saath(7) hissay hai . 7 door ya gates.
Imam As Sadi (Rahimahullah) apni tafseer kahte hai ke dozakh ke
darwaze ek ke niche ek baniyein aur iska darmiyan ka fasla 500
saal ka hai joh ibless aur uske rah par chalne walon ke liye hai.
1. Jahannum
Allah ne quran mein bahut say ayaat mein zikr kiya hai

Surah taubah ayat 81 mein allah farmate hai ke


Jin logon koh piche rukh jane ki izazath de di gaye thi woh Allah
ke rasool ka saath na deney aur ghar par baite rahenay par khush
huwe aur kaha ke garmi mein ladai ke liye na jao toh muhammed
s.a.s ne farmaya ke jahannum is say bhi aur garam hai agar tum
samajthe .
Suran nisa ayat 56
Allah farmate hai ke har baar aaj inke ghost koh kha jayeinge phir
hum usko naye say badal denge take woh saza pa sake.
Jahannum koh chodkar in baqie 6 darjae mein jo chale gaya woh
nahi nikal sakta na mumkin hai. Inke liye hamesha ki aag hai . in
sab kay uar jo jahannum hai jo ahle imaan kay liye hai
(musalman) qabeel(joh pehla dhozaqi hai duniya mein) say lekar
jisne habeel ko qatal kiya aaqari ahle imaan jahena jisko Allah kay
nabi nay irshaad farmaya tha sab say aaqari mein jahannum say
jo nikalega who meri ummat ka aaqari shaksh hoga. Jiska naam
jaheena jiska qabila bhi jaheena aur balkay yeh bhi farmaya kay
mai apne aakhaou say usko dekh raha hoo jahannum say gisatta
huwa bahar aaraha hai Allah nay aagala manzar bhi apne nabi ko
dekhaya . toh qabeel pehla aur jaheena aaqari inke darmiyaan
jitney mard aurat nafarman aaye woh sab is mein yeh hawalat
hai. Ismai log apni apni saza bugat kay nikaltay rahengay jo
aadmi jaan bhooj kay namaz choday ga uskay liye jahannum kya
ek darwaza khol diya jata hai jab tak yeh tauba nahi karta usko is
darwazay mein say guzarna yaqeeni hogaya. Maa baap ka

nafarman is mein hoga jiski shab-e qadr ku bhi baqshish nahi,


sharab pinay wala hoga jo shab-e qadr mein bhi nahi baqsha jata
eid ki dua mein bhi nahi baqsha jata aur apne kharibi rishatay
daraou say bura suluk karne wala hogaya is ki bhi baqshish na
hogi, aur dil mein keena rakhnay wala bhi nahi baqsha jata , aur
mauqa pakay badala (inteqaam) lnay wala , dil mein bhogaz
chupane wala yeh aaisay hai jo ramazan mein shab-e-qadar mein
bhi nahi baqsahy jayengay, aur jhoot bolne wala aisa hai aap
s.wa.s nay irsaad farmaya kay sabse bada kabeera tumhe
batayon wo jhoot hai woh jhoot hai woh jhoot hai . allah kay
nabi say ek aadmi nay farmaya kay ya rasool allah musalman
muzdil hosakta hai apnay kaha haan, phir usnay kaha musalman
baqeel hosakta hai aapnay farmaya haan , phir usnay kaha
musalman jhoot bolsakta hai toh aap nay kaha nahin musalman
jhoot nahi bolsakta toh yeh saray kahbeera gunah hai jiskay
karnay say jahannum mein dala jayenga. Aur shaitaan nay ek
sajda choda toh iblees bana aur quran mein 700 martaba namaz
ka tazkirah aaya hai toh issay yeh maloom hota hai kay jab hum
namaz choddetay hai toh hum quran ki 700 ayat koh jhootlate hai
aag laga detay hai .

2. Ladha: allah tal suran marij ayat 15 mein farmate hai ki aur
inke liye koi rasta nahi siwaye the Ladha ke jo uske jism ke
andar ke cheeza aur bahar ke cheez ek ek kar ke khayengi.
aur yeh unke liye joh tawheed koh tukrae they aur aap
s.a.w.s. ke baataein huwe tareeqe say door jate they.
Is mein yahhuudi hongay.
3. Saqar : Allah surah Mudathir ayat 26-30 mein farmate hai ki
hum unhe saqar mein eik dengay aur hum tumhe maloom
karengay ke saqar kya cheez hai yeh kahti bhi nahi aur
chodthi bhi nahin aur isko khoob hilayegi aur yah 19
faristaae fairaderahe hai.
Aur joh jannath mein hoge woh sawaal karenge kay tum
saqar mein kyun dale gaye toh woh kahen gey kay hum jo

namaz nahi padte aur gharib koh nahi khilate vaihiyaanth


baatein karne walon ke saath they aur vaihiyaanth baatein
arte they aur hum qiyamath kay din koh jhootlate they jab
tak ke woh hamre samane aagayein. Surah Mudathir-40-47
Is mein 4 cheezou ki wajah say dale jate hai
I. In hone namaz nahi padi aur ulama bhi namaz nahi
padne ko kufr qaraar kara hai, aur yeh itni badi cheez
hai ke sabse pehle is ke bare mein sawaal kiya jayega
aur tammam junahou mein namaz ka hisaab pehle
hoga, yeh joh honge jo allah ka haq aada karne say
inkaar karnege
II. Aur who gareeb ko khana nahi khilate they yani har
zarurat mand ko faida pahuchaney say inkaar karte
they.
III. Aur vahiyaanath baatein karte aur sunte they aur woh
haq baat ka inkaar karte they.
IV. aur qiyamath ke din koh jhootlate they inkaar kart they.
Yeh aatish parastou kay liye hai.
4. Al Hutamah
Hargiz nahi woh zaroor hutamah mein pekhe jayengay, aur
aapko kya malum ki hutama kya jai, Wo ALLAH ki bhadkayee
huyee aag hai. Jo dillou tak ja pahunchti hai Beshak wo un
par charo taraf se band kar di jayegi, lambe lambe sutono
mein. Surah Humazah 4-9
Is ko hutamah is liye kaha jata hai ki who insaan ki haddiyan
, dil aur har aazou jala deti hai. Yeh aaj aadi say surou hokar
dil tak ja pahunchti hai .
Is mein isaie hongay
5. Jaheem: Allah kahengay is ko pakdou aur bediyon mein daal
do phir is ko dhozak mein gairahi jalana, phir is ko dakil karo
zanjeer mein jiski lambie 70 haat hogi , beshakh wo allah ku
na mannay wala tha, jo sab se zyada azeem hai. Aur woh na
gharibou koh khala khilane mein madadt karta tha. Surah al

haqqah 30 -34. Yeh mushriqou kay liye hai abu jahail aur
uske saathi.
6. Saeer: ek gurouh jannath aur ek gurouh sa eer(bahut
garam aag) mein Ash- shurah ayat 7
Inke bare mein Allah kahte hai ki yeh aag ussay aaisa
pakdegi jaisa k eek maa apne betay ko pakadti hai aur
dhozakh ke yeh hissay mein ek aaisa aag ka kuwa hai
jismein say aag ki hawayein bahar aayengi jab yeh hawein
bahar aayengi toh itni garam aur taqatwar hogi kay dhozakh
ki dusri aaj iss say pana mangay gi. Aur Allah kahte hai ki
issy hissay dozakh mein ek aag ka paahad hai aur Allah ke
dusman is ko paahad par uske mouh ke bal rakh diya
jayenga aur issay haat iski gardan ar bandiya jayenga aur
issay gardan aaidiyon koh baand dengay aur unke upar
zabaniyaah tahringay jo dhozak kay ishissay kay nigaran
karne wale hogay.surah alaq ayat 18
Yeh jhaad ki puja, Bandar ki puja, gayi ki puja ke liye hai.
7. Al Haawiyah : yeh jinkay liye jiska palda halka hoga phir
haawiyah usko apne bacche ki tarah qubool karaygi aur tum
ismein kya hai pata karsaktay hain , aur yeh aag hai woh
apne aakhri quwaath pe hai . surah qariyah 8-11
Is mein yeh log honge jo allah par yaqeen nahi rakhte aur
badle mein yeh kahte hai kyun yeh apni itna waqt zaya
karahein hai tawheed ko seekhnay mein, hum toh sirf 10min
mein tawheed seekh leyein aur woh yeh log longe jo
kahengay kay hum allah par yaqeen rakhte hain( lekin wo
nahi rakhte)
Aur woh dusrau kya haaq marte hai aur garibou koh nahi
khilate.
Haawiyah yeh munafiqou ke liye hai Abdullah bin ubaey aur
uske saathi.
Ek shaksh jo namazi bhi hai tahagud guzar bhi hai lekin kissi
ka haaq mar kar khaliya aur tauba karnay say bool gaya aur
maragaya toh Allah tala qiyamath kay din usko bulaiyengay

aur kahengay kay uski aamanath wapis karo toh kahega ke


woh toh falan jagay(masalan Hyd, arar) may thi toh Allah
kahengay kay woh yahan haawiyah mein hai ja le kaya a.
haawaiyah dhozakh ki aaqari hissa hai jo sabsay khof nak
hissa jo munafiqeen kay liye hai toh woh upar say utharay ga
jahannum ki aag mein jhulasta jalta haawiyan mein
pahuchay ga jab who cheez uthae ga aur chalta chalet
jahannum ki kinaray aayenga toh Allah tala phir dhakka
dekar neechay giraa dega phir aamanth kay saath haawiyah
ki kinare ja girayga phir uthega phir aayega allah phir
giraega jab tak allah chahega usko yeh khof naak saza deta
rahega. Agar koi namaz chodkar marjaye uski koi neeki
qubool nahi , ullama farmate hai ki agar woh saheed hojaya
tab bhi uski shahadath qubool nahi hogi. aur issliye baas
shaheed aisay hotay thay kay inkay jism say khushboo
aarahi hai teen teen din tak uski jism say khushboo aati thi,
aur baaz shaheed aaisay hai jo thodi dair mein unka jism
saadna shurou hojata tha badboo aana shurow hojati thi
shaheed kay jism ko toh meethi nhi kahsakti toh hawa kya
kuch kar sakthi thi lekin yeh who log hongay jo apni
zinadagiyon mein sjadou ka inkaar kiya lekin agar woh iklaas
kay saath Allah kay liya shaheed huwe toh unko isska aajar
zaroor milaga lekin namaz kya chodnay say uski keemat
gata kar ussay jahannum mein gira diya. Toh kabeera gunah
karke j margayein unkay liye jahannum hai phir ismein say
allah tala jab chahega nikalega nikalega phir jab inki sazah
qatam honay kay waqt aayega allah tala jibreel ko jahannum
mein bhejayein gay kay ja zara dozaaq ka haal toh dekho kar
aao. Toh aakar dekengay yeh ummat kay jitney ahle imaan
hogay woh jibreel ko dekheingay unka khoobsurat chehra
toh farishtau say pucheyengay kay yeh kyon hai kahengay
kay yeh woh farishta hai jo nabi yoh kay paas waahi lajata
tha toh iss ummat kay girafatar mujrim woh aakaar jibreel
alay assalam kay samannay rouengay kay allah say wastay

allah kay nabi ko hamara paigaam pahuchadena humay aag


nay barbaad kardi toh jibreel intehahi gamgeen halat mein
wapas lautaingay toh allah tala farmayengay kya dekha toh
kahengay kay allah tala bada bura haal dekha woh gaaem
mein paigaam koh bhool jayengay toh allah tala farayengay
unhonay kuch kaha tha ji woh kuch kaha tha kay hamari nabi
ko hamara paigaam dedena allah tala farmayengay jaao doo
toh woh jibreel jannath mein aayengay allah kay nabi kay
saamnay aarz karengay aap ki ummat is haal mein hai toh
us waqt aap allh kay darbaar mein sajda karengay aur alah
tala say aarz karengay ya allah meri ummat ya allah meri
ummat toh allah tala farmayengay kay jaao jis kay dil mein
ek jaaou kay barabar bhi imaan hai toh bahar nikal do toh
aap bar bar kay bahar nikalengay toh phir nabi kahengay
allah meri umaat meri umaat toh allah tala farmayengay jaa
jiskay dill mein rai kay daney kay barabar imaan hoga uskoh
nikalo phir aayengay bharbhar kar bahar nikalengay phir bhi
bahut bachjayengay phir kahengay ya allah meri ummat
meri ummat toh phir allah kahengay kay jiskay dil mein rai
kay danay ka kuch hissa bhi imaan ka ho uskoh bhi nikaal ho
phir bharbhar kay jahannum say nikal kar jananth mein
dalengay toh phir bhi bacchjayengay phir nabi kahengay
meri umaat toh allah tala kahengay bas. Teri bari qatam aab
meri ani zaati bari hai phir allah tala khud teen lat barker
dozakh say alhe imaan ku jannath mein daal dengay. Yeh
hawalat hai jismein aag aisi hogi kay jahannum mein suei
say shurak karke nikala jaye toh uski tip koh jo aag hogi woh
sari duniya koh jaala degi raaq kar degi. Meray bahiyon yeh
ek aadalat hai jismein hum sab koh paish hona hai.
Phir agar kissi ki nekiyaou ka palda jhuk jata hai toh kaha
jayenga kay falan falan ka beta ya beti (kaffaqalat
mawazinuhu wa saida saaiedatan layashka badaha abada--falan falan kya beta woh kamiyab hogaya aur woh kabi
nakamiyab na hoga) woh langa tha allah tala ekdam

farmayengay dedo issko adam ki surat adam ka kahd toh


uska kahd aisa badega jaisay crane mein say danda nikalta
hai 130 foot lamba hojayeinga aur kahengay kay yusuf ka
husun ekdam sara chehra husn ney yusuf mein badal
jayenga aur qalb e ayyub toh dil ayyub aalay salam jaisa
banadiya jayenga laahne dawood toh dawood alay as salam
ki shereen zabaan di jayengi phir umar e isa isa alay salam
ki umar dedi jayengi jo isa alay assalam ki 33 sala umar joh
33 crore saal bhi 33 hi rahegi quluq e Muhammad swas kay
aqlaq diyen jayengay yeh sari cheezay ekdam aata
farmaiyengay phir ek kay saath 5 cheezau aur hogi jism kay
baal gayab hojayengay sirf sar ay baal baki rahengay
urrdam(dadigayab hojayengi) jhurdan(sar kay baal jhunguru
hojayengay) muqhahaleen( ankhon mein surmein lag
jayengay) phir allah tala kahengay kay pehnawoh issa izzath
ka jhoda toh 100 jhoday pehnadiyen jayengay toh itna
wazan kaisay uthaeyga toh jannath kya kapda noor kya hota
hai aur noor be wazan hota hai wazan nahi hota. Uske sar pe
motiyon ka taj pehenaya jayenga toh uskay sar ka ek chota
sa moti is sari kayenath ko roushan kar de. Duniya ka sab
say kheemthi heera Kohinoor jo sirf 3-4 foot tak raushani
deta hai. Phir allah tala kahengay kay ja apne khush kabri
sab koh dedo toh woh jayenga chalan marte huwe kahengay
haaaumm woh kahengay kya baat hai woh kahenga (iqra hu
kitabiya--- dekho mera paper dekho ) toh woh kahengay tu
paas kaisay hogaya woh kahenga kay(inni zalantu anni
mulaqen hisabiyah mujhe yaqeen tha mera hissab hona hai
aur mein tayyari karta raha) phir iskay jawaab mein allah
kahengay (fahuwa fi eishatin raziya fi jannatin aaliyan
qutuhuha daniyah quluh ashrabu hanihamera banda
kamiyab ho gaya aala zindagi ka malik hogaya mazedar
zindagi kya waris hogaya jaaon tune mujhe khush kardiya
khao piyo khaogya paikhana nai peyogay peshaab nahi
budafa nahi zindagi hai maut nahi sayhat hai bimari nahi

hamesha hamesh kya


mehmaan khanay mein

waris

banadega

aajao

http://www.hadayatonline.com/hadiths-about-jannat/

meray

Das könnte Ihnen auch gefallen