Sie sind auf Seite 1von 12

2/27/13

Khawateenon Hazraat , salaam valekum , thodi si sher oo Shayari ho jaye Janaab.

This Page is an outdated, user-generated website brought to you by an archive.It was mirrored
from Geocities at the end of October, 2009.
For any questions about this page contact the respective author. To report any malicious content send the URL to
oocities[at]gmail[dot]com. For any questions concerning the archive visit our main page:OoCities.org.

"Qisse t

Waise yeh muaamla zara peycheedah hai...Qaadeem(ancient) zamane se insaan


us kastoori ke khoj mein bhatak raha hai, jo usi ke dil mein chupi hui hai.
Shayad is khoj ke dauraan use bepanaah azaab(agony) bhi sahna manzoor hai.
Khalish(anxiety) use pareshaan kar dalti hai...Beqarari use jeene nahi
deti...haalat maflook( beggarly)...yeh woh waqt hai jab shabab par bahar
thi...aur nikal pada woh us zeenat(beauty) ki talaash mein ....raaton ko neend
nahi aati..yeh mukhtasar(brief) bechaini tab taqmeel(complete) hoti hai jab badi
mushaqqat(labour) ke baad , kastoori uski bahon mein hoti hai aur dono
shareek-e-hayat ke khwaab dekhte hain..Kya yehi zindagi ka dastoor hai?Aaj
ek baar phir yeh kambakht dil, us kafir sanam ki yaad mein dooba jaa raha
hai...lekin
Sitaaron se aagey jahan aur bhi hain, Abhi Ishq ke imtihaan aur bhi hain...Kabhi sonchti hoon ki "woh agar mil ke bichadta tou
koi baat thi...jise paaya hi na tha, use khona kaisa?.."..Kisi ne sach kaha hai ki "gham hi tou pyaar ki sabse badi daulat hai" ..
Dear readers,
Here I've compiled some of the very best nazms, ashaars, gazals and shairis from various poets..Enjoy...!..The ones that
are in italics are my favorites... Make sure to read them..! :-)

Ye raaten, ye mausam, ye hansnaa, hansaana


mujhe bhool jaanaa, inhe na bhulana...
Aasoon ko ankhon ki dehleez par laya na karo,
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo ,
Log muthhi bhar namak liye ghooma karte hain,
Apne zakhm kisi ko dikhaaya na karo !
Mujhko yaqin hai, sach kahti thi.n, jo bhi ammii kahti thi.n
jab mere bachpan ke din the, chaand mein pariyaan rahti thi.n ....
Ik ye din ...jab apno ne bhi hamse rishta tod liya
ik vo din ....jab ped ki shaakhen bojh hamaara sahtii thi.n ........
Ik ye din ......jab laakhon gham aur kaal padaa hai aansoo ka
ik vo din....... jab ek zaraa si baat pe nadiyaan bahati thi.n ......
Ik ye din ........jab saari sadken ruthii ruuthii lagti hain
ik vo din jab .......'aao khelen' saari galiyaan kahtii thi.n .............
Ik ye din....... jab jaagi raaten diivaaron ko takatii hain
ik vo din .....jab shaakhon ki bhi palaken bojhal rahti thi.n ..........
www.oocities.org/rpusala/shayari.htm

1/12

2/27/13

Khawateenon Hazraat , salaam valekum , thodi si sher oo Shayari ho jaye Janaab.

Ik ye din .......jab zahan mein saari ayyaari ki baaten hain


ik vo din........ jab dil mein saari bholi baaten rahti thi.n ...........
Ik ye ghar .......jis ghar mein mera saaz-o-saamaan rahtaa hai
ik vo ghar ........jis me meri buudhii naani rahti thi.n ...Javed Akhtar
Maana ke aapke nazron main kuch nahin hain hum !
Magar unse jaakar poochiye .. jinhe haasil nahin hain hum !
Nahin lag sakta kabhi maikhane main taala, Ek nahin..do nahin...Saara shahar hai peene waala !

Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa


aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.......
Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa....
Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham
tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa .........
kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa.....
ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa...
ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden
ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa ....Ahmed faraz
The following ashaar are by Talib Baghpati but have been sung as part of this Gazal.
Maana ki mohabbat kaa chipaana hai mohabbat
chupke se kisii roz jataane ke liye aa ....
jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
aise hi kisi roz na jaane ke liye aa.......
kuchh na kisi se bolenge
tanhaaii mein ro lenge
ham be-rahabaron ka kyaa
saath kisi ke ho lenge
[be-rahabaron = pathless travellers]

Khud tou huye rusvaa lekin


www.oocities.org/rpusala/shayari.htm

2/12

2/27/13

Khawateenon Hazraat , salaam valekum , thodi si sher oo Shayari ho jaye Janaab.

tere bhed na kholenge


jeevan zahar bharaa saagar
kab tak amrit gholenge
neend tou kya aaegii 'Faraz'
maut aai to so lenge.....Ahmed Faraz
Ab ke ham bichade to shaayad kabhi khwabon mein milen..
jis tarah suukhe huye phool kitabon mein milen..
Dhundh ujade huye logon mein wafa ke moti..
ye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon mein milen..
Tu khudaa hai na mera ishq farishton jaisaa..
dono insaan hain to kyon itne hijaabon(veil) mein milen..
Gam-e-duniyaa bhi gam-e-yaar mein shaamil kar lo..
nashaa badhta hai sharaabii jo sharaabon mein milen..
Ab na woh main hoon na tu hai na woh maazii hai `Faraaz'..
jaise do shaks tamannaa ke saraabon mein milen... Faraaz
Yun na mil mujhse, khafa ho jaise
saath chal, mauj-e-sabaa ho jaise
Log yun dekh kar hans dete hain,
tu mujhe bhool gaya ho jaise,
Ishq ko shirk ki had tak na badha,
yun na mil hamse Khudaa ho jaise,
Maut bhi aai tou is naaz ke saath,
mujhpe ehsaan kiya ho jaise,
Aise anjaan bane baithe ho,
tum ko kuch bhi na pata ho jaise,
Hichkiyaan raat ko aati hi rahin,
tu ne phir yaad kiya ho jaise,
Zindagi beet rahi hai "daanish",
ek bejurm sazaa ho jaise... Ehsaan Danish
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain...Yeh haqeeqat to nigahon say bayan hoti hain !
Woh na aaye tou satati hai khalish see dil ko...Woh jo aaye to khalish aur jawan hoti hain !
Rooh ko shaad karey dil ko jo purnoor karey...Har nazaaray mein yeh tanveer kahan hoti hain !
Sabt-e-sehlaabay mohabbat ko kahan tak rokay... Dil mein jo baat ho aankho say ayaan hoti hain !
Zindagi ek sulgati see chita hai `Sahir'...Shola banti hain na yeh bhuj kay dhuaan hoti hain !
Kaun kehta hai mohabbat ki zuban hoti hain,Yeh haqeeqat to nikhaon say bayan hoti hain !
Jab kisi se koi gilaa rakhanaa, saamane apne aaina rakhnaa,
Yun ujaalon se waasta rakhanaa, shammaa ke paas hi hava rakhnaa,
Ghar ki taamiir chaahe jaisi ho, is mein rone ki jagah rakhnaa,
Masjiden hain namaaziyon ke liye, apne ghar mein kahin Khudaa rakhnaa,
Milnaa jhulnaa jahaan zaroori ho, milne-jhulne ka hauslaa rakhnaa...
Aisa lagta hai zindagi.... tum ho Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon...... Aasmaanon-ki chandni tum ho
Ab koi aarzoo nahin baaki......... justajoo meri aakhri tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!........ Kis zamaane ke aadmi tum ho?
Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam tou hai
www.oocities.org/rpusala/shayari.htm

3/12

2/27/13

Khawateenon Hazraat , salaam valekum , thodi si sher oo Shayari ho jaye Janaab.

tere haathon ki lakiiron mein mera naam tou hai .......


Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam tou hai .....
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam tou hai ....
Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam tou hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir"
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam tou hai ...Sabir Jalalabadi
Zindagi tune lahu leke diya kuch bhi nahin, ......Teray daaman mein mere waaste kya kuch bhi nahin...
Mere in haathon ki chaho tou talashi ley lo,........ Mere in haathon mein lakiron kay siva kuch bhi nahin...
Humne dekha hai kayi aise khudaon ko yahan,...... Saamne jinke woh sach-much ka khuda kuch bhi nahin...
Ya khuda! ab ke yeh kis rang mein aayi hai bahaar, ........Zard hi zard hain pedon pay, hara kuch bhi nahin...
Dil bhi ik zid pay ada hai kisi bacche ki tarah, ...........Ya to sab kuch hi isay chahiye ya kuch bhi nahin..!
Kaun aayega yahan koi na aaya hoga, Mera darwaaza hawaon nay hilaaya hoga !
Dil-e-naadan na dhadak..Ai, dil-e-naadan na dhadak, Koi khat leke padosi kay ghar aaya hoga !
Gul say lipti hui titli ko gira kar dekho, Aandhiyaan tumne darakhton ko giraaya hoga !
'Kaif' pardes mein mat yaad karo apna makaan, Ab kay baarish ne use tod giraaya hoga !
Kaun aayega yahan koi na aaya hoga, Mera darwaaza hawaon nay hilaaya hoga !...Kaif bhopali
Badanaam mere pyaar kaa afsana hua hai
deewane bii kahte hain ki deewana hua hai ........
Rishta tha tabhi tou kisi be-dard ne todaa
apnaa tha tabhi tou koi be-gaanaa hua hai ........
Baadal ki tarah aake baras jaaiye ik din
dil aap ke hote huye viraana hua hai ....
Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghunghroo
kuch din se mera ghar bhi pari-Khaanaa hua hai .....
Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi
jis phool ko dekhun wahi paimana hua hai ...
Apne haathon se yun chehre ko chhupaate kyon ho,
mujh se sharmaate ho tou saamne aate kyon ho,
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,
pyaar karte ho tou phir pyaar chupaate kyon ho,
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho,
dil bhar aataa hai tou phir dil ko dukhaate kyon ho,
In se vaabastaa hai jab mera muqaddar phir tum,
mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,
Roz mar mar ke mujhe jeene ko kahte kyon ho,
milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho ...
Madhur swapn hain wahi tum jinme aate ho....
Behoshi mein sahi,pyaar tou kar jaate ho..
Har shikwey,har gile ka uttar paas tumhare...
Hairaani se taak rahen hain chaand sitarey...
Shahad meri neendo mein ..Priyatam ! ghol rahe ho...
Dil ko chu leta hai,jo kuch bol rahe ho..
Un barson ki baaton ka anmol khazana ...Liye yun hi aksar mere sapno mein aana..
Is zariye se har ek uljhan chaant sakenge...Jo kuch lamhe baaqi hai wo baant sakenge...
Is zariye se hum tum phir badnaam na honge...Duniya bhar ke, hum tum par ilzaam na honge...
Aaoge...! tou yeh bhi ek ahsaan rahega...Na aaye tou yeh bhi ek armaan rahega...
Aas lagaye neendo ko beaas na karna..Mere in tajveezon(imagination) par parihaas(making fun) na karna!
www.oocities.org/rpusala/shayari.htm

4/12

2/27/13

Khawateenon Hazraat , salaam valekum , thodi si sher oo Shayari ho jaye Janaab.

This nazm was written by a son who couldnt go to his country at the time of his father's death.
Buri Kismat thi apni alwidaa bhi kah nahi paaya...
Na jaane kya dum-e-ruksat zubaan par aapki aaya
Tum hi ne the sikhaye din-o- duniya ke sabak humko...
Kiya raushan dilon ko noor-e-shafqat hum pe barsaya...
Mujhe nafrat si hoti hai khud apni zindagani par..
Watan ko chod kar mai... kyon daya-e-ghair mein aaya...
Meri bimariyon mein tum..., meri dushwariyon mein tum...
Mere thode se gam ne bhi tumhe taqleef pohochaya...
Wo kya mere liye tha ...
Kya bataoon mai ki sab kuch tha..
Kiya hai dafn jo usko.., Mujhe bhi kyon na dafnaya...
Bhala is pasti-e-kismat pe ( NAME) kab talak roun?
Mai apne baap ke tudfeen mein bhi jaa nahi paaya....
Dost ban ban ke mile mujhko mitaane vaale
mai ne dekhe hain kai rang badalane vaale ........
Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaayaa mujh par
tumse acche hain mere haal pe hansne vaale...
Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa kartaa hoon
aur honge tere baazaar mein bikne vaale ......
Aakhrii daur pe salaam-e-dil-e-muztar le lo
phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale ...Saeed rahi
Nahin lag sakta kabhi Meh-khaane main taala Ek nahin...do nahin...Saara shahar hai peene waala !
"Bhoolne waale se koyi keh de zara, is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin, phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi, Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera, Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya, Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi, Aashiaan par girane se kya faaida"
Ret par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo ...Mohsin Naqvi
Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
be-qaraari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi
Bebasii jurm hai hauslaa jurm hai
zindagi teri ik-ik adaa jurm hai
ai sanam tere baare mein kuch sochkar
apne baare mein kuch sochna jurm hai
yaad rakhna tujhe mera ek jurm tha
bhool jana tujhe doosra jurm hai
kya sitam hai ke tere hasin shehar mein
har taraf gaur se dekhna jurm hai
www.oocities.org/rpusala/shayari.htm

5/12

2/27/13

Khawateenon Hazraat , salaam valekum , thodi si sher oo Shayari ho jaye Janaab.

Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,


badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kai saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di,
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki...
Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana
na jaane kahan kho gaya vo zamana
tumhen bhuulane ki main koshish karunga
ye vaada karo ke na tum yaad aana
mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai
tumhen bevafaa kah raha hai zamana
Khudara meri qabr pe tum na aana
tumhen dekh kar shaq karega zamana ...Qamar Jalalwi
Shola tha jal bujha hoon hawayein mujhe na do
main kabka jaa chuka hoon sadayein mujhe na do
jo zahar pee chuka hoon tumne mujhe diya
ab tum to zindagi ki duaein mujhe na do
Yeh nazm mujhe behad pasand hai....aap bhi iska poora maza lijiye!

Bohot dino ki baat hai... fiza ko yaad bhi nahin


yeh baat aaj ki nahin
bohot dino ki baat hai... shabab(youth) per bahar thi... fiza bhi khushganwar thi
na jaane kyon machal pada... main apne ghar se chal pada... main chal pada
kisi ne mujhko rok kar.... badi ada se tok kar
kaha tha laut aaiye.....meri kasam na jaiye
magar mujhe khabar na thi.... mahaol per nazar na thi
na jaane kyon machal pada ...main apne ghar se chal pada
shahar se phir aagaya.... khayal tha ke paa gaya
use jo mujhse door thi... magar meri zaroor thi
aur ik haseen shaam ko.... main chal pada salaam ko
gali ka rang dekhkar... nai umang dekhkar... mujhe badi khushi hui
main kuch isi khushi mein tha... kisi ne jhank kar kaha
paraye ghar se jaiye.... meri kasam na aiye
wohi haseen shaam hai... bahar jiska naam hai
chala hoon ghar ko chodkar.... na jaane jaoonga kidhar
koi nahin jo rok kar... koi nahin jo tok kar
kahe ki laut aiye meri kasam na jaiye
Dekha to mera saaya bhi mujhse judaa mila
socha to har kisi se mera silsila mila
shehar-e-vafaa mein ab kise ahal-e-vafaa kahen
hamse gale mila to woh hi bevafa mila
fursat kise thi jo meri haalaat puchtaa
har shakhs apne baare mein kuch sochtaa mila
usne to khair apno se moda tha muh haae !
main ne ye kya kiya ke main gairon se ja mila ...
Jaane wale humari mehfil se chaand taron ko saath leta ja,
Hum khiza se nibah kar lenge, tu baharon ko saath leta jaa...
Khiza ke daur mein ahd-e-bahar leta hoon,
Koi bhi waqt ho, hans kar guzar leta hoon...
www.oocities.org/rpusala/shayari.htm

6/12

2/27/13

Khawateenon Hazraat , salaam valekum , thodi si sher oo Shayari ho jaye Janaab.

Gulon se rang, sitaron se roshni lekar,


jamaal-e-yaar ka naksha utaar leta hoon...
Yeh jo deewane se do chaar nazar aate hain,
Inme kuch sahib-e-asraar nazar aate hain,
teri mehfil ka baram rakhte hain,so jaate hain,
warna yeh log tou bedaar nazar aate hain...
Mere daaman mein kanton ke siwa kuch bhi nahi,
aap phoolon ke kharidaar nazar aate hain...
Hashra mein kaun gawahi meri dega "Sagil",
Sab tumhare hi tarafdaar nazar aate hain...
Umr jalwon mein basar ho yeh zaroori tou nahi,
Har shab-e-gham ki sahar ho yeh zaroori tou nahi...
Neend tou dard ke bistar pe bhi aa sakti hai,
Unki aagosh mein sar ho yeh zaroori tou nahi...
Aag ko khel patanga ne samajh rakha hai,
Sabko anjaam ka dar ho, yeh zaroori tou nahi
Shaikh, karta hai jo masjid mein khuda ko sajde,
Iske sajde mein asar ho yeh zaroori tou nahi...
Sabki saqi pe nazar ho , yeh zaroori hai magar,
Sabpe saqi ki nazar ho yeh zaroori tou nahi...
Koi dil mein liye armaan chala jata hai...
Koi khoye huye ausaan chala jata hai...
husm walon se kahdo ki na nikle bahar,
Dekhne walon ka imaan chala jata hai...
"Koyi dost hai na koi rakeeb hai, Tera shaher kitna ajeeb hai"
"Yahan kiska chehra pada karoon, Yahan kaun itna qareeb hai"
"Main kis se kahoon mere saath chal, Yahan sab kay sar par saleeb hai"
"Daman sanam ka haath mein aaya tha ek pal, din raath uss hi pal se mehak thi hain oonglian"
"Pathar taraash kar na bana "Poet" ik nya fankaar, ki jahaan mein kat-ti hain ungaliyaan"..Rana Sahri
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi ....Jigar Moradabadi
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
Mai usse chupa ke bhi chupa na payi kabhi
har sanse har lamha bhi na bhul payi kabhi
Kadam dosra uthti kaisay
itne kareeb jaa ke bhi mai bichadti kaise..
Mai wahan hoon jahan hai na koi
phir bhi har soo chera hai wohi
Yeh aaina hai, ya usee ka saya
www.oocities.org/rpusala/shayari.htm

7/12

2/27/13

Khawateenon Hazraat , salaam valekum , thodi si sher oo Shayari ho jaye Janaab.

Maine is mein bhi usee ko paya...


Yun kareeb aake door ho jate hain kyon
aur phir yeh zakhm meethe lagte hain kyon
jab nahi hai woh, tou kyon dil mein rehta hai woh
Jab kathin hain yeh raste, tou in pay chalta hai koi kyon
Hain yeh raaste mere, tou in mein koi ajnabi ulajhta hai kyon..............
Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
Rukh hawaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain.
Pahle har cheez thi apni magar ab lagta hai
Apne hi ghar me kisi doosre ghar ke hum hain
Rukh hawaon....
Waqt ke sath hai mitti ka safar sadion se
Kisko maloom kahan ke hain kidhar ke hum hain,
Chalte rehte hain ke chalna hai musafir ka nasib
Sochte rehte hain kis rah guzar ke hum hain
Rukh hawaon ka...
"Koi ummeed bar nahin aati, Koi soorat nazar nahin aati
maut ka ek din muayyan hai, need kyon raat bhar nahin aati
aage aati thi hale dil pe hansi, ab kisi baat par nahin aati
janta hoon sababe-taato-zahad, par tabeeat idhar nahin aati
hai kuchh aisi hi baat, jo chup hoon, varna kya baat kar nahin aati
kyon na cheehkoon ki yaad karte hain, meri awaaz gar nahin aati
dage dil gar nazar nahin aata, boo bhi e charagar nahin aati
ham wahan hain jahan se hamko bhi, kuchh hamari khabar nahin aati
marte hain aarzoo me marne ki, maut aati hai par nahin aati
kaba kis munh se jaoge Ghalib, sharm tumko magar nahin aati"
Kahne waale kabhi dil ki baat kehte nahin
bolne waale jhoot se daaman bachaate nahin... "
fikr-e-donyaa men sabhi shikwah karte hen
kissi ke waaste khoon lekin bahaate nahin... "
kabhi zikr-e-mausam pe bahaar aa jaati, magar
humaari duaa pe baadal paani barsaate nahin... "
waqt ke guzar pe aksar hum chane chabaate
guzar jaataa waqt lekin haat hum hilaate nahin... "
hum yaaron ki mehlfil mein hans to lete hain
yeh aur baat hai hum aansoo dikhaate nahin... "
chalo, hum yaaron se dil kaa haal hi keh den
aarzoo hai, magar dil kaa haal bataate nahin... "
thi woh ik baat, kahaani mokhtasir si, yaar
apnaa gham warnah hum bhi chopaate nahin... "
kyoon hai zameer dil se nalaan hotaa,
hum aag ko thandi aah se tou bujhaate nahin... "
Ek khilona samajh key mai toda gaya
dil key tukde kiye aur joda gaya
roshni ki taa-lub me, mai jitna bardha
utna mujh ko andheroon me choda gaya
Yun andheron me baitha hua mai kabhi
sonchta hoon kahi roshni bhi tou ho
rooh ko jazba miley... koi apna miley
jo basar ker sakoon zindagi bhi tou ho
Tapte maathe pe thunda koi haath ho
mere ander bhi khushiyon ki barsaat ho......
www.oocities.org/rpusala/shayari.htm

8/12

2/27/13

Khawateenon Hazraat , salaam valekum , thodi si sher oo Shayari ho jaye Janaab.

Koi hum nafas (companion) nahi hai, koi razdaan (confidante) nahi hai,
Fakat ek dil tha apna so woh meherbaan nahi hai.....
Marne ka tere gham mein iraada bhi nahi hai,
Hai ishq magar itna ziyaada bhi nahi hai......
Inhi patharon par chal kar agar aa sako to aao,
mere ghar ke raaste mein kahi kahkashaan nahi hai.....
Kyo dekhte rehte hai sitaaron ki taraf,
jab unse mulaaqaat ka vaada bhi nahi hai....bahadur shah zafar
Lagta nahi hai dil mera ujade dayar mein,
Kiskee bani hai alam-e-napaydaar(inconstancy/frailty) mein.....
Kah do in hasraton se kahin aur jaa basain,
Itni jagah kahan hai dil-e-daghdaar mein.......
Umr-e-daraz maang ke laaye the chaar din,
Do arzoo mein kat gaye, do intezaar mein......
Itna hai badnaseeb "Zafar" dafan key liye,
Do gaz zameen bhi na milee koo-e-yaar mein.........Bahadur shah zafar
Ai mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..
Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka "Shakeel",
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya.....
Aaj ujaali ki kiran kho gayi...zindagi veraan se ho gayi,
gaye woh din jab humne unse umeed rakha...
aaj yeh khoob ho gaya....ki hume mohabbat se nafrat ho gayi...
Is hasrat se mila kya mujhko, Ik jhalak mere dildaar ki
Is muhabbat se mila kya mujhko, Bechaini-o-beqarari yaar ki,
Is ashiqui se mila kya mujhko, Ik sunahari raah ishq ki,
Aur tere pyaar se mila kya mujhko, Ik raah jeene ki hamvaar si.
Sher dar'asal wohi hai, 'Hasrat',
jo sunte hi dil me utar jaaye
Mehtab na suraj na andhera na sawera...
Aankhon ke darichon mein kisi husn ke chilman...
Aur dil ki panahon mein kisi dard ka dera...
Shakhon mein khayalon ke ghane paer ki shayad...
Ab aa ke kare ga na koi khwaab basera...
Mana ke yeh sunsaan ghari sakht kari hai...
Lekin mere dil yeh to faqat ik hi ghari hai...
Himmat karo jine ko to ik umr pari hai...
Himmat karo jine ko to ik umr pari hai...!
Raaz-e-ulfat
www.oocities.org/rpusala/shayari.htm

9/12

2/27/13

Khawateenon Hazraat , salaam valekum , thodi si sher oo Shayari ho jaye Janaab.

i.Raaz-e-ulfat chupa ke dekh liya


Dil bahut kuch jalaa ke dekh liya.....
ii.Woh mere ho ke bhi mere na huwe
Un ko apna bana ke dekh liya......
iii.Aur kya dekhne ko baaki hai
Aap se dil laga ke dekh liya.....
iv.Faiz, taqmeel-e-gham bhi ho na sake
Ishk ko aazma ke dekh liya.......
[Taqmeel means to complete. So taqmeel-e-gham means the end of my sorrows.]

Abr aur sharaab


i.Aaye kuch abr, kuch sharaab aaye
Is ke baad aaye, jo azaab aaye.
ii.Kar raha tha gam-e-jahaaN ka hisaab
Aaj tum yaad be-hisaab aaye.
iii.Faiz, thi raah sar-ba-sar manzil
Hum jahaa pohche, kaamyaab aaye.... Faiz Ahmad Faiz
Ilzaam
i.Hum par tumhaari chaah ka ilzaam hi tou hai
Dush-naam (abuse, insult) to nahi hai, yeh ikraam (respect) hi tou hai....
ii.Karte hai jis pe ta'an, koi jurm tou nahi
Shauk-e-fazool-o-ulfat-e-nakaam hi tou hai....
iii.Dil na-umeed to nahi, na-kaam hi tou hai
Lambi hai gham ki shaam, magar shaam hi tou hai....
iv.Dast-e-falak mein, gardish-e-taqdeer tou nahi
Dast-e-falak mein, gardish-e-ayaam hi tou hai...
Dono jahaan har kar
Dono jahaan teri mohabbat mein haar ke
Woh jaa raha hai koi shab-e-gam guzaar ke.
Viraan hai maikadaah kham-o-saagar udaas hai
Tum kya gaye ke rooth gaye din bahaar ke.
Ek fursat-e-gunaah mili, woh bhi chaar din
Dekhe hai hum ne honsle parwar-digaar ke
Duniya ne teri yaad se begana kar diya
Tujh se bhi dil-fareb hai gam-rozgaar ke.
Bhoole se muskuraa tou diye the woh aaj "Faiz".
Mat pooch val-vale (ecstasy) dil-e-na-kirdahkaar (useless) ke
[Na-kirdakaar means something or someone that has no work to do. A good
for nothing.]
Hoon main tujhse door abhi, merzi ye meri nahi....
Gunjti hain awaaz, aur dil mein bas surat teri....
Hain wajah tujh se door rahne ki...
Dar lagta hai, badnaam tu ho na jaye kahee......
Ho shukarmand tu khuda ki, ke sabko saath mera milta nahi...
Hain jo Asad ab saath teray, to koi bhi bala tujhey choo sakti nahi.....

www.oocities.org/rpusala/shayari.htm

10/12

2/27/13

Khawateenon Hazraat , salaam valekum , thodi si sher oo Shayari ho jaye Janaab.

Dum bhar mein saare shahar ko bedaar kar gaye,


jo kaam hum na kar sake woh kaam aap kar gaye,
Sapno ko tootte dekha hai is tarha,
woh iqraaar karte karte inkaar kar gaye,
"Sagar", hum ajnabi sheher mein hain magar,
kitna buland mohabbat ka meaar kar gaye,
tum to kya khud say bhi chupaee hay,,,apni chahat ki daastan humne,
Khulne na paaye hount kabhi dhoop chaoun mein,
ankhen mileen to pyaar ka izhaar kar gaye......
Har ek baat zaher si kyon na humaari lage,
key hum ko dust-e-zumaana se zukhm kaari lage,
Faraz tere junoon ka khayaal hai warna,
yeh kiya zaroor key wou soorat sabhi ko piyaari lugey
Apni qismat sey maar khaata hoon,
mai jeet key bhi haar jaata hoon,
Mere aansoo sameet lenge woh,
khud ko aksar yun hi behlaata hoon....
Jaankar bhi kyon anjaan ban jaate hain hum..
Ek ke baad ek aur kyon gunaah kiye jaate hain hum..
Maaloom hai jab mit jayegi yeh hasti humari....
Phir bhi khud ko kyon barbaad kiye jaate hain hum...
Hoga na patthar-dil khuda par humari aahon ka asar...
Haath failaa kar phir kyon duaa kiye jaate hai hum..
Hai haath apne khaali aur beasar duaayen...
Phir bhi logon ke kyon ahsaan liye jaate hain hum.
Sookh chuka hai humari zindagi ke umeedon ka ped...
Phir bhi kyon ab tak paani diye jaate hain hum...
Odh liya hai zindagi ne humari gamon ka kafan...
Jeene ki nahi tamanna phir kyon jeeye jaate hain hum...
Patthar ki muraten hain is shahar ke log...
Sine mein yahan par kisi ke dil nahi hota..
Hota bhi hai agar to ek aas ka tukda...
Lekin wo bhi dhadakne ke kaabil nahi hota...
Yun to her ek dariya ka saahil hota hai lekin....
Har duubte ki kismat mein saahil nahi hota...
Masjid mein baithkar dua karte hain shekhjee...
Accha hai, magar isse kuch haasil nahi hota...
TANHAAI MEIN MILO TO TUMSE KAHENGE AI DOST.........
YUN ZIKRA KABHI DIL KA SARE MAHFIL NAHI HOTA......

taa-aruf roog ban jaaye tou us ka bhoolna behtar,


taa-aluq boojh ban jaaye tou us ka toodna accha,
wou afsaana jisey takmeel tuk laana na ho mumkin,
usey ek khoobsurat mod dey key chodna accha...

Tujh ko maaloom nahi, tujh ko bhalaa kiya maaloom


Jab bhi dekhaa hey tujhe dil ne yeh mahsoos kiya
Jaise mere seher-o-shaam ka mehwer hai yehi
Mere takhaieuol key aazir ne tarashaa hey jise
Mere khwaabon ka wo be-naam sa peker hai yehi
www.oocities.org/rpusala/shayari.htm

11/12

2/27/13

Khawateenon Hazraat , salaam valekum , thodi si sher oo Shayari ho jaye Janaab.

Us ki aankhoon ki woo maasoon see duzdeeda chamak


kitne naaguftaa fasaanon ki hai tumheed na pooch
Us ke gul rung laboon ka woh tubassum woh hijaab
kis tamannah ki hai be-saakhtaa taieed na pooch
Uske andaaz-e-takullum ki wo muhtaat ravish
kis nawaazish ki hai ghummaaz koi kya jaane
Paas rah kar bhi woh kuch door hi rahne ki adaa
Kis rafaaqat ka hai aaghaaz koi kya jaane...
Itna maanoos hai uska har ek andaaz ki dil
Us ki her baat ka afsaana bana deta hai
Us ke taraashe huye peker se chura ker kuch rang
Apney khwaaboon ka sanam khaana saja leta hai
Jaane us husn-e-tassawur ki haqeeqat kya hai
Jaane in khwaaboon ki qismat mein saher hai ki nahi
Jaane woh kaun hai maine use samjhaa kya hai
Jaane usko bhi mere dil ki khabar hey ki nahi...
Tujh ko maaloom nahi, tujh ko bhalaa kya maaloom
Tum bhi Khafaa ho, log bhi be-raham hain dosto
ab ho chalaa yaqin, ke bure ham hain dosto
Kisko hamaare haal se nisbat hai kyaa karen
ankhen tou dushmano ki bhi pu-nam hain dosto
Apne siva hamaare na hone ka gham kise
apnii talaash mein to ham hi ham hain dosto
Kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujhaa bujhaa
kuch shahar ke chiraag bhi maddham ha.n dosto
Is shahar-e-aarzoo se bhi bahar nikal chalo
ab dil ki raunaqen bhi koi dam hain dosto
Sab kuch sahi 'Faraz' par itana zaroor hai
duniya mein aise log bahut kam hain dosto ...Ahmed faraz
Tamaam..

www.oocities.org/rpusala/shayari.htm

12/12

Das könnte Ihnen auch gefallen