Sie sind auf Seite 1von 3

Jalne aur Katne ke Nishan ko Hatane ke 10 Upay Hindi

Mein
kyakyukaise.com /jalne-ke-nishan-hatane-ke-upay-skin-burn-home-remedies-in-hindi/
Govind
Jalne ke Nishan Hatane ke Upay: Ghar mein kaam karte waqt jalna aur katna ek aam baat hai. Kai baar kisi
laparwahi ya kisi hadse ki wajah se bhi skin burn ki problem ho jati hai. Pareshani tab hoti hai jab ghaav gehra
ho ya fir jalne aur katne ke nishan reh jaye. Agar ye nishan face par ho to ye chehre ki khubsurati bigad dete hai
isliye samay par jalne ka ilaj karna jaruri hai. Is article mein hum padhenge Skin Burn Treatment in Hindi.
Agar jalne ke ghav chote (minor) hai to ye skin ki upari parat ko nuksaan karte hai aur skin laal ho jaati hai, halke
fafole ban jate hai aur dard hone lagta hai. Agar in fafolo ka samay par ilaj na kiya jaye to ye jakham ban sakte
hai aur thik hone ke baad nishan chod jate hai. Ghar par rojana isteemal hone wali home remedies ke paryog
se hum burning skin ke marks ka upchar kar sakte hai.
Jane Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe

Skin Jalne ke Karan Causes of Skin Burning


Bijli(electricity) ka current lagne se
Garam paani se
Aag lagne se
Dhoop ki roshni se
Kisi cheej se allergy hone se
Galat medicine khane se bhi skin problem aati hai
Diabeties bhi ek karan hai skin jalne ka

Skin Jalne Par Kya Kare : First Aid Treatment


Jalne ke foran baad skin par thanda paani dale aur ek kapda thande paani mein bhigo kar us jalne wali
jagah par rakh do.

1/3

Aaloo ko beech se kaat kar ek hisse ko jalne wali jagah par rakhe. Aaloo ke paryog se jalan kam hoti hai
aur skin ko aaram milta hai. Jalne ke turant baad is nuskhe ko karne se fafole nahi bante.
Jalan se turant rahat paane ke liye 10 se 15 minute ke liye jale hue bhag ko doodh mein duba kar rakhe.

Jalne ke Nishan ke Gharelu Upay


Home Remedies for Skin Burn in Hindi
Tavacha chahe aag se jali ho, sun burn ho ya koi aur karan ho yaha hum kuch gharelu nuskhe bata rahe hai jise
jalne ke jagah pe lagane se jalan kam ho jaati hai and kafi aaram milta hai.
1. Aloe vera mein dard khatam karne ke gun hote hai. Jali hui jagah par aloevera ka patta kaat kar lagane se
pain kam hone lagta hai aur jalne ke nishan bhi saaf hote hai. Alovera gel ya alovera creame ke isteemaal se bhi
burn marks nahi rehte or jalan kam ho jaati hai.
2. Skin burn hone par baking soda jalne wali jagah par lagaye. Is paryog se jalne ke baad daag aur foda nahi
hota aur jalne ke pain se bhi rahat milti hai.
3. Garam paani ya bhaap se hue ghavo par nariyal ka tel aur nimbu ka ras lagane se jaldi fayda milta hai.
Nariyal ka tel aur nimbu ka ras mila kar jalne ke ghavo par lagaye. Nariyal ka tel skin par kisi bhi parkar ka
infection kam karta hai aur nimbu ka ras ghaav ke nishan kam karta hai.
4. Kele(Banana) ke chilke ko jali hue jagah pe ragadne se jale hue jagh pe nishan nahi banta or jalan se jaldi
aaram mil jaata hai.
5. Doodh(Milk) mein vasa aur protein hota hai jo jali hui tvacha ke upchar mein kaafi labhdayak hai. Doodh or
haldi ka paste bana ke jale hui jagah pe lagane se araam mil jaat hai or nishan bhi nahi rehta.
6. Pyaaj ke ras mein sulfur hota hai jo dard kam karta hai aur jale hue hisse ko thik karke chale, fode funsi hone
se rokta hai. Ek pyaaj le aur use tod kar us ka ras nikal le aur skin ke jale hue hisse par iska paryog kare.
7. Aksar chote bache garam garam doodh, chay aur soup pi lete hai jisse jeebh jal jati hai aur muh mein chale
hone ki aashanka hoti hai. Aesi situation mein koi burf ka tukda (ice cube) le aur use chuse. Burf ko paani se dho
le taaki vo jeebh par chipke nahi.
8. Sirka (Vinegar) mai thoda paani mila ke ek kapde se bhigo de fir usko jale hue jagh pe rakh de aisa 5-6 baar
kare to kafi araam milta hai.
9. Tooth paste se bhi jala hue jagah pe lagane se turant rahat milti hai.
10. Shahd(Honey) bhi ek acha treatment hai, kache shahd ka leep jale hue jagah pe lagane se kafi aaram milta
hai.

Jalne Ke Nishan Ko Kaise Hataye How to Remove Burn Mark


Tamatar aur nimbu mein vitamin C hota hai jo daag dhabbe saaf karta hai. Tamatar aur nimbu ke ras ko
mila kar har roj aadhe ghante ke liye skin par lagaye. Is gharelu upay se skin saaf hoti hai, nishan khatam
hote hai aur skin par chamak aati hai. Nimbu ka ras ek natural bleech ki tarah kaam karta hai jo chehre
ko nikharne mein bhi upyogi hai.
Jalne aur katne ke nishan par pudeene ki pattiya pees kar uska ras lagaye. Isse jalan kam hogi aur
nishaan bhi thik hoga.
Gulab jal, multani mitti aur nimbu ka ras mila kar ek pack banaye aur burn mark par lagaye. Is pack ko 8

2/3

se 10 minute tak lagane ke baad thande paani se dho le. Dhyaan rahe ki tavacha ko ragde nahi.
Chehre ke nishan aur daag dhabbe saaf karne ke liye raat ko paani mein methi daana bhigo kar rakhe
aur subh iska paste bna kar nishan par lagaye aur aadhe ghante baad face dho le.

Skin ke Purane Nishan Kaise Saaf Kare


Kaali masur daal ko bhun kar pees le aur nariyal tel mein mila kar jale ke nishan par lagaye. Kuch din
lagatar is paryog ko karne se nishan saaf hone lagega.
Aanwle aur tilo ko doodh mein pees kar isme 4 se 5 bunde gulab jal ki milaye. Is paste ko raat ko sone
se pahle jalne aur katne ke nishan par lagane se nishan hatne lagega.
Mulli ke ras ka lep nishan par lagane se bhi fayda milta hai.

Iske alawa burning pain kam karne ke liye aap kisi doctor ya ayurveda vaid ki salah se kuch
allopathic, homeopathic or ayurvedic medicine ka paryog kar sakte hai.

Chahre se Til aur Masse Hatane Ke Upay


Rajiv Dixit ke Gharelu Nuskhe aur ilaj
Dosto Jalne Ke Nishan Ko Kaise Hataye, Skin Burn Home Remedies in Hindi ka ye leekh kaisa laga hame
comment kar ke bataye aur agar aap ke pass skin burn mark hatane ke home made treatment or ayurveda
ilaaj hai to hamare sath bhi share kare.

3/3

Das könnte Ihnen auch gefallen