Sie sind auf Seite 1von 7

Janiye Aasan Steps mai How to

Remove Blackheads in Hindi

HRELATE.COM

Ladka ho ya ladki chehre mai blackheads ki samasya kisi ko bhi ho sakti hai. Yeh
hamare chehre ki sundarta ko kam kar dete hai aur itna hi nahi ye hamare liye
hanikarak bhi hote hai. Kabhi-kabhi pareshan hoke hum ise dabakar nikalne ki
koshish karte hai, jo ki nuksaandeh bhi ho sakta hai.
Logo mai yeh myth hota hai ki blackheads bahar ki dhool,tanav, nind ka pura na
hona, hygiene mai kami aur sharir mai poshak tatvon ki kami hona aadi ki wajah
se hota hai. Parantu aesa nahi hai. Jab sebum ya twacha ki koshikaye hawa se
sampark mai aati hain tab iske oxidization ki wajah se blackheads ho jate hai.
Yeh tab hota hai, jab aapki twacha ke pores khul jate hai aur oxidization twacha
ko kala bana deta hai. Yeh paya gaya hai ki purusho ki tulna mai mahilayen naak
mai blackheads hone par jyada pareshan ho jati hain. Halaki, aaj ke daur mai,
mahilaye hi nahi balki purush bhi isse chhutkara paane ke tarike dhundne lage
hai. Halanki isse chhutkara pana thoda mushkil hota hai, lekin naa munkin nahi
hai. Isse nijat ke liye kayi upay hote hai. Aaiye jante haiHow to Remove
Blackheads in Hindi.
hrelate.com

How to Remove Blackheads in Hindi: Paye


Swasth Twacha

Blackheads ke chalte twacha kali aur gandi dikhai deti hai. Iske liye
aap beauty parlor ke chakkar katate hai. Lekin ab aapko aesa nahi
karna hoga kyonki ham aapko bata rahe haiHow to Remove
Blackheads
at Home in Hindi:hrelate.com

1. Extractor ka Surakshit Istemal


Agar aap blackheads ko apne hath se nikalne ka prayas karte hai, to yeh
apki twacha par nishan chhod sakta hai. Aese mai extractor ke surakshit
upyog se bina dag-dhabbe aur khoon ke aap saaf twacha pa sakte hain.
Step by step janeBest Way To Remove Blackheads.

Twacha Ke Pores Khole:


Extractor ka prayog karne se pehle blackheads ko saaf aur nam karne se
ise dur karne mai aasani hoti hai. 2 se 3 minutes tak garam aur gili toliye
se chehra dhakne se ya fir chehre par steam karne se pores open ho jate
hai.
Hatho Ko Saaf Kare Ya Dastane Pahne:
Apne hatho ko face ke sampark mai aane par bacteria se bachane ke liye
hathon ko achhe se dho le. Ya vaikalpik roop se, extractor ka prayog
karne ke liye apne hath mai dastane pahne. Iss tarah,blackheadsko
hrelate.com
hatane ke liye aapki safalta ka star aur bhi badh jaega.

Blackheads Ko Sterilize Kare:


Extractor tool ko upyog karne se pehle blackheads ko achhe se saaf karle taki
bacteria pores mai na ja sake. Aakhirkar, hamara mukhya lakshya to bacteria
ko hi pores se nikalna hai. Jis kshetra mai aapko tool ka prayog karna hai, waha
toop ke istemal se pehle thodi si alcohol se rub karke use achhe se saaf kar le.
Iske alawa extractor tool ko bhi achhi tarah se dho kar saaf kar le taki bacteria
se bach sake. Ek cottn mai thodi sa alcohol leke tool ko achhe se rub kar le.
Sahi Extractor Tool Chune:
Blackheads ko hatane ke liye come dome extractor tool ka istemal kiya jata hai,
wahi whiteheads ko extractor se nikalne se pahle ek tej lancet ki madad se
pierce karne ki avashyakta hoti hai. Blackheads ke liye upyog kiya jane wala
sasbe aam extractor tool 2-ends wala hota hai, jiske dono ends alag alag size
ke hote hain. Chehre se blackheads nikalne ki prakriya shuru karne se pehle
aap apne blackhead ke size ke anusar tool ke end ka size chun sakte hain. Aur,
tool ka istemal bahut hi savdhani se kiya jana chahiye.
hrelate.com

Extractor Se Blackheads Nikale:


Extractor ko blackheads ke kshetra mai kendrit karke blackheads ko nikale aur
thoda pressure ke sath extractor se dhire dhire aspas ke kshreta ke blackheads
ko nikale. Iss tarah blackheads puri tarah se follicle se nikal jaega aur aap pores
se tel rista dekhenge.
Bahe hue Khun ko Treat kare:
Kuch cases mai, extractor tool ke upyog karne ke bad twacha se thoda khoon
bhane lagta hai. Mahin ya reshmi kapde ki madad se twacha par lagaye, taki
khoon absorb ho sake. Agar ise achhi tarah se kiya jae, to kuch hi palo mai
khoon bahna band ho jayega.
Aakhiri Charan:
Sankraman ko rokne ke liye atirikt satark rehna jaruri hai. Blackhead rahit
twacha ko saaf karne ke liye alcohol pads se twacha ko rub kare. Extractor tool
ko bhi acchi tarah se dho lena chahiye. Yaad rakhe, acche hygiene aur saf-safai
ke liye satark rahne se blackheads ke ilaaj mai achhe aur behtar parinam milte
hrelate.com
hai.

2. Stripes Ka Istemal:
Stripes ka upyog chehre mai pores se blackheads ko nikalne ke liye kiya jata
hai. Stripes ka kushalta se prayog karne par bina kisi nishan ke pores chhote ho
jate hai. Jane ise istemal karne ki prakriya;
Sabse pehle naak achhe se saaf kar le.
Saaf pani se nak ko dho le.
Ab nak ke blackhead pores par stripe ko chipkaye aur ungaliyon ki madad se
dabaye.
15-20 minutes ke bad ise dhire dhire se nikal le.
Upar aapne janaHow to Remove Blackheads in Hindi. Yeh do mahatvpurn tariko
ki madad se aap bhi aasani se aur badi kushalta se blackheads se chhutkara pa
sakte hai.
hrelate.com

Das könnte Ihnen auch gefallen