Sie sind auf Seite 1von 5

Thyroid ka ilaj ke 10 Aasan Upay- Ayurvedic Treatment in

Hindi
kyakyukaise.com /thyroid-ka-ilaj-ke-gharelu-upay-ayurvedic-treatment-in-hindi/
Govind
Thyroid ka ilaj: Thyroid ek gland hai jo gale mein hoti hai jisse thyroxin harmon nikalta hai. Jab is harmon ka
balance bigadta hai tab ye bimari ka roop le leta hai. Jab harmons kam hone lagte hai to body ka metabolism bahut
tej ho jata hai aur energy bhi jaldi khatam hone lagti hai, aur jab harmons badh jaye to metabolism slow ho jata hai,
jisse body mein energy banni kam ho jati hai jiske karan thakan aur susti badh jati hai. Is article mein hum janenege
thyroid treatment in hindi.
Thyroid granthi ke badh jane se aur bhi kai samasyae ho sakti hai. Thyroid maanspeshiyo, haddiyo, cholesterol aur
heart ko bhi parbhavit karti hai. Bacho mein ye bimari hone se kai baar shareer failna shuru ho jata hai aur lambayi
(height) badhni ruk jati hai. Thyroid 2 parkar ka hota hai Hypothyroid aur Hyperthrroid.
1. Hypothyroid Isme vyakti ke andar thyroid harmons ki kami hone lagti hai.
2. Hyperthyroid Isme thyroid harmons jada hone lagte hai.

Thyroid Granthi Kya Kam Karti Hai


Thyroid hamari body ka ek aisa hissa hai jo body ke dusre hisso ko ache se kaam karne mein madad karti hai. Iske
liye thyroid iodine ka paryog karti hai taaki jarurat ke anusar harmons ko bana sake aur shareer ke dusre hisso mein
pahuncha sake. Jab ye harmon jarurat se jada ya fir kam banane lage tab thyroid ke upchar ki jarurat hoti hai.
Bacho ke sharirik aur mansik vikas mein is granthi ka vishesh yogdaan hai.
Body ka temperature control karne mein help karti hai.
Shareer se vishale padarth bahar nikalne mein madad karti hai.

Thyroid Kyu Hota Hai Causes of Thyroid

1/5

Protein, powder ya capsul ke roop mein soya products ka jarurat se jada sevan karne se thyroid ho sakta hai.
Khane mein iodine ki kami ya fir jada istemal se bhi thyroid ki problem ho jati hai.
Jada tanav ke karan thyroid granthi par asar padta hai.
Kai baar medicines ke side effect se bhi thyroid ka rog ho jata hai.
Agar family mein kisi ko thyroid ki bimari hai to aapko thyroid hone ke chances jada hote hai. Ye thyroid hone
ka sabse bada reason hai.
Pardushan (pollution) ki wajah se hamari health par bura asar padta hai. Iski wajah se saans se jude kai rog
hote hai aur pardushan ke karan hawa mein maujood vishale kan hamari thyroid granthi ko bhi nuksan
pahunchate hai.
Pregnant women ko bhi thyroid hone ke chances jada hote hai kyuki pregnancy ke dauran body mein kai
parkar ke harmon changes hote hai aur garbwati mahila tanav grast rehti hai.

Thyroid ke Lakshan Kya Hai Symptoms of Thyroid


Thyroid ki samasya hone par vyakti depression mein rehne lagta hai aur uska kisi kaam mein man bhi nahi lagta.
Dimag ki sochne samajhne ki shakti kamjor hone lagti hai aur yaddasht bhi kamjor ho jati hai. Agar sahi samay par is
bimari ko pehchan liya jaye to isse badhne se roka ja sakta hai.
Jane Depression ka ilaj Kaise Kare
Jane Yaddasht Badhane ke Upay

Hypothyroid ke lakshan
Weight badhna
Aawaj bhari hona
Garden , Sir aur jodo mein dard
Bhukh kam lagna
Chehre aur ankho par sujan
Kabz rehna
Skin dry hona
Jada thand lagna

Hyperthyroid ke Lakshan
Weight kam hona
Haath pairo ka kap-kapi hona
Heartbeat badhna
Jada paseena aana

2/5

Thyroid Kaise Check Karte Hai


Agar aapko thyroid ke symptoms dikh rahe hai to sabse pahle thyroid ke test karwaye. T3, T4, TSH test
karwa ke body mein thyroid ka level pta kiya ja sakta hai.

Thyroid ka ilaj ke Gharelu upay Home Remedies in Hindi

1. Hara Dhaniya
Thyroid ke treatment ke liye hari dhaniya ko pees kar chatni bana le aur 1 chammach chatni 1 glass pani mein ghol
kar pi jaye. Har bar is upay ko karne ke liye taaji chatni hi paryog mein laye. Dhaniya aesa hona chahiye jiski
sugandh achi ho. Is gharelu upay ko niyamit roop se karne par thyroid control ho jayega.

2. Akhroat aur Badam


Akhroat aur badam mein selenium namak tatav hota hai jo thyroid ka ilaj karne mein faydemand hai. Isse gale ki
sujan bhi kam hone lagti hai. Ye upay hypothyroid ki samasya mein adhik fayda karta hai.

3. Lauki ka Juice
Subh khali pet lauki ka juice, gehu ke javare ka juice piye. Iske baad 1 glass paani mein 25 se 30 ml aloevera juice
aur 2 boond tulsi ki daal kar piye. Is sab ke baad aadhe ghante tak kuch khaye piye nahi aur pranayam kare.

4. Kali Mirch
Thyroid ke upchar mein kali mirch ka paryog bahut faydemand hota hai. Kaali mirach aap kisi bhi tarike se le aapko
fayda hi karegi.

5. Vitamin A
Thyroid se pidit vyakti ko apni diet mein vitamin A ki maatra jada leni chahiye. Hari sabjiyo mein vitamin A jada hota
hai. Gajjar mein bhi vitamin A adhik hota hai jo thyroid ko balance karne mein help karta hai.

6. Juice aur Water


Thyroid se grast vyakti ko din mein v3 se 4 litre paani jarur pina chahiye, ye shareer ko detoxify karke body se
vishale padarth bahar nikalne mein madad karta hai. Iske sath 1 se 2 glass fruit juice bhi piye aur hafte mein 1 din
nariyal paani bhi piye.

7. Ashwgandha

3/5

Raat ko sote samay gay ke garam doodh ke sath 1 chammach ashwgandha churan ka sevan kare.

8. Iodine
Thyroid ko control karne ke liye iodine kaafi kargar hai par hum aapko salah denge ki natural iodine jada le jese ki
pyaaj, tamatar aur lehsun.

9. Exercise
Har roj kam se kam aadhe ghante ke liye exercise jarur kare. Isse thyroid control mein rehta hai aur badhta nahi
hai.

10. Baba Ramdev Medicine


Agar aap swami ramdev ki ayurvedic dawa lena chahte hai to uske liye Divya Kachanar Guggulu le sakte hai.

Yoga aur Pranayam se Thyroid ka ilaj


Yoga aur pranayam se thyroid ko kafi had tak thik kiya ja sakta hai. Rojana subh yoga karne ke liye samay nikale.
Aap meditation bhi kar sakte hai. Yoga se thyroid treatment karne ke liye aap Baba Ramdev ke bataye ye 3 aasan
aur ujjayi pranayam kar sakte hai.
Viparitakarani
Haladana
Matsyasana

Ujjayi Pranayam
Is pranayam ko karne ke liye padmasan ya sukhasan ki position mein baith jaye. Ab apni jeebh ko taalu se
satta de aur gale se saans ko is parkar khinche ki gale se kampan aur aawaj aane lage. Is pranayam ko
rojana subh khali pet 10 se 15 baar kare.

Homeopathy se Hypothyroidism ka Treatment


Agar aap thyroid ka treatment homeopathic medicines se karna chahte hai to hum yha top 5 homeopathy remedies
ke naam bta rahe hai, aap kisi homeopathic doctor se salah le kar ye dawa shur kare. Doctor se in dawao ko lene
ka sahi tarika aur sahi maatra bhi jane.
Calcarea Carbonica
Sepia Officinalis
Lycopodium Clavatum

4/5

Graphites
Nux Vomica

Acupressure se Thyroid ka ilaj Kaise Kare


Hamare dono hatho aur pairo par sharer ke lagbhag sabhi hisso ke points hote hai. Acupressure mein un
points par pressure daal kar treatment kiya jata hai. Iske liye ye jaruri hai ki points ki sahi position malum ho.
Accupressure se thyroid ka treatment karne ke liye aapko dono haatho aur pairo ke anguthe ke bilkul niche
uthe hue bhag par pressure dena hota hai.
Humne ye sirf jankari ke liye bataya hai, hamari yahi salah hai ki agar aapko acupressure se ilaaj karna hai to
kisi expert se hi karwaye kyuki acupressure mein pressure dene ka sahi tarika aur points ki sahi position sirf
expert hi bta sakta hai.

Thyroid Mein Parhej Kya Kare


Bazar mein milne wale safed namak ka sevan bilkul bhi na kare, chahe kitni bhi achi company ka kyu na ho.
Sirf kala ya sendha namak hi istemal kare.
Kisi bhi parkar ke nashile padartho ka sevan na kare. Cigrate, bidi ya hukka pine se ye problem aur badh
sakti hai.

Thyroid Treatment Tips in Hindi


Agar kisi ko thyroid hai to use bilkul bhi laparwahi nahi karni hai, turant iska ilaaj shuru karna chahiye.
Pursho ke comparison mein mahilao ko thyroid ka rog adhik hota hai.
Thyroid ke patients ko har 3 mahine baad test karwana chahiye aur dhyaan rahe ki test karwane se 12
ghante pahle tak kuch na khaye piye.
Agar kisi shadishuda mahila ko thyroid ki bimari hai aur vo garbh dharan karna chahti hai to use pahle doctor
ki salah jarur leni chahiye aur thyroid ko control karne ke baad hi pregnancy ke bare me sochna chahiye.

Thyroid ki bimari 1 hafte ya 1 mahine mein thik hone wali bimari nahi hai, isliye iske upchar ke liye
pura parhej kare aur niyamit roop se upay kare.

Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe


Rajiv Dixit Ayurveda Treatment in Hindi
Dosto Thyroid ka ilaj ke Gharelu upay, Ayurvedic Natural Home Remedies in Hindi ka ye lekh kaisa laga hame
comment kar ke bataye aur agar aapke pass thyroid ka treatment karne ke liye koi sujhaav , nuskhe, tips ya koi
anubhav hai to hamare sath share kare. Aapki di hui jankari se kisi aur ko bhi benefit mil sakta hai.

5/5

Das könnte Ihnen auch gefallen