Sie sind auf Seite 1von 4

QURAAN :- Haklakat hai un nap tol karne walaun ke liye, jo lagaun se nap kar lete hai

topure latein hai, aur jab dete hain to kami karte hai .

HADEES :- Jo Tahajjud me 10 aayaten padta hai, wo us raat Allah ki ibadat se gafil rahne
walaun me nahi likha jayega IBN E KHUZAIMA.

HADEES :- Awaaz aisi hai ke duniya aur aakhirat me jis par lanat hai : 1, Khushi ke
mauque par baje ki awaz. 2, musibat ke waqt rone ki
Awaaz. (AL-RAS)

HADEES :- Huzur SAW ne farmaya : “Roza rakhne wale ki iftari ke waqt ki huwi dua
wapas nahi ki jati” (Dua qubool hoti hai) (AL-RAS)

QURAAN :- “Jab Quraan padha jaye to use kan laga kar suna karo aur chup raha karo,
taketum par raham kiya jaye.” AL.RAAF24

QURAAN :- “Aur jinko ye (karif log) Allah ke siwa pukarte hai, wo koi chiz bhi nahi
bana sakte hai, ke wo khud kisi dusre ke banaye huye
Hai.” NAHAL:20

QURAAN :- “Jod zarra barabar bhi nekkam karega wo usko (Anjam) dekh lega,aur jo
zarra barabar bhi bura kam karega wo uska (Badla)
Dekh lega.” (ZILZAL)

HADEES :- RZ:”Mujhe koi aisi chiz bata de jise main mazbuti se pakde rahu”, huzur
SAW :”Is ko (Zuban Ko) qabu main rakho”. TABRANI

HADEES :- huzur SAW :”Jis maal ke sath zakat ka malmil jata hai, wo zakar ka mal us
baqi mal ko halak kiye bagair nahi rahta.” MISHKAT

QURAAN:- Kon hai jo allah ke qarz e hasan(Achcha Qarz) de, take wo uske liye kai
guna bada chada kar wapas kar de”. AL BAQARAH

HADEES:- SAW “Ramzak ke aakhiri ashre ka maut tak aetikar farmate rahe.”
BUKHARI, MUSLIM

HADEES:- “Jab tumne apne mal ki zakat ada kar di to tum par jo zimmedari thi tumne
use pura kar diya” TARMIZI , IBN-E-MAZA

HADEES:- “Jab lpo qai, zalat rok leti hai, Allah n par qahat musallat kar dete hai, aur
aasman se barish band ho jati hai.” TABRAIN

QURAAN:-“Jo log sone aur chandi ko jama karte hain. Aur Allah ke traste me karch nahi
karte, un ko dard wale azab ki khush khabri suna do.”
HADEES:-Huzur SAW ne farmaya:”Bhuke momin ko khana khilana magfirat ko wajib
karne wale aamal me se hai.” BAIHAQI

HADEES:-RZ Allah ke rasul aisa amal bataiye jo mujhe jannat me dakhil kar de?, Huzur
SAW ne farmaya :” Allah par iman lawo aur bhali baat kho

HADEES:-SAW ne farmaya “ badtarin shakhs wo hai jo dusre ki dunya ke liye apni


aakhirat barbad karde”

HADEES:-RZ:”Mujhe kioi aisi chiz bata denjise may mazbooti se pakde rahu?” Huzur
SAW :”Is ko (ZUBAAN KO) qabu main rakho.” TABRINI

QURAAN:- Jo kuch tumhare paas hai (Dunya me) woe k din khatam ho jayega, Jo Allah
ke pas hai wo hamesha baqi rahne wali chij hai NAHAL

QURAAN:- Apne gharaun me hi ruki raho, aur jis tarah jahili zamane me auraten apni
khubsurati ko dikhaya karti thi, us tarahtum mat dikhao AHZAB

QURAAN:- “Allah insaf aur bhalai ka aurrishtedaro ke sath achcha suluk karne ka
hokum deta hai, aur behayaei aurburi bat aur zulm se rokte hai.”

HADEES:- “Aapas me musafa kiya karo, isse keena dur hoga, aapas me tohfa diya karo,
muhabbat paida hogi, aur dushmani dur hogi.”

QURAAN:- Tumhare rab ki taraf se samajh ki baten aa chuki jisne dekha usne apna
bhala kiya aur jo andha raha usne apne liye burai ki ….. (Sureh ANAAM)

HADEES:- Huzur SAW ne farmaya munafiq ki 3 nishaniya hai:-


1. Joot bolna.
2. Wade ke khilaf karma.
3. Amanat me khiyanat karma. (BUKHARI)

HADEES:- “Allah qayamat ke din us shakhs ki taraf dekhnega bhi nahi, jo takabbur se
apni lungi (pent) takhne se niche pahne.” (BUKHARI)

HADEES:- “Zina aur sood kisi basti me zahir ho jaye, to samajh lo ke unhaune apne upar
allah ke azaab ko dawat di hai. (HAKIM,AHMED TABRANI)

HADEES:- Jo shakhs har farz namaz ke bad “ Ayatal kursi” padega wo dusri namaztak
allah ki hifazat me rahega .

HADEES:- Huzur SAW ne farmaya” Rishte ko todne wala jannat me dakhil nahi hoga.”
(BUKHARI)

HADEES:- Huzur SAW me farmaya” Juma ke din ajar ki namaz jamat ke sath panda
tamamnamaz se afzal hai.
HADEES:- Huzur SAW” log jab koi buri baat dekhe kphir badalne ki koshish na kare, to
warib hai ke Allah un sab par azab bhej de.”

HADEES:- “Jo kahin (Gaib ka dawa kerne wale) ke pass aaye, aur uski baat ko sach
mane, to Muhammad SAW par uteri hui chiz ka inkar kiya.

HADEES:- “Jo aurat eitr aur khushbulaga kar mard ke paas se guzre, take mard uski
khushbu mahsus kare, wo zina karne wali aurat hai.”

QURAAN:- Keh do ke agar insane aur jinnat is baat par jama ho jaye ke is Quraan jaisi
koi kitb le aaye, to is jaisi hargiz nahi la sakte

QURAAN:- Logo apne rab ki ibadat karo jisne tum ko aur tum se pehle ke logaun ko
paida kiya, take tum uske azab se bach jawao (AL BAQRA)

QURAAN:- Ae imaan walo koi qaum dusri qaum ka mazaq na Karen, kiya khabar ke wo
inse behtar ho, aur koi aurat dusri aurat ka mazaq na kare (HUZRAT)

QURAAN:- Jo Allah se darega, Allah uske liye mushkilat se nikalne ka rasta paida
karega, aur aisi jage se rozi dega jiskausko guman bhi na hoga.

QURAAN:- “Aur jo allah par bharosa rakhega to Allah use liye kafi ho jayega, Allaj to
apna kam jis ko wo chahta hai pura kar hi deta hai.”

QURAAN:- “Ae hamari qaum! Allah ki taraf bulane wale ki baat lp qabool karo, aur us
par iman le aawo, tumhare gunah maaf karega”

QURAAN:- “Kya insane nahi janta ki ek din qabar ke murde bahar nikale jayenge, aur
dilaun main hai wo sab zahir kiya jayega.”

*KAABA- THE HOUSE OF ALLAH IN MECCA. THEKAABA IS COVERED BY A


BLACK CLOTH KNWN AS “KISWA”WHICH IS PRODUCED & CHANGED EVERY
YEAR SPECIAL FACTORY DECIGNED FOR THE MAKING OF “KISWAN” IN
MECCA WDW… IT COSTS APPROXLY SR 17 MILLION. THE CLOTH IS MADE
OF 670Kg OF SILVER & DYED BLACK ABOUT 120Kg OF PURE GOLD & 50Kg
OF SILVER USED IN WRITING THE QURANIC VERSES OVER THE CLOTH THE
TOTAL AREA OF CLOTH IS 658 sqr meter.

QURAAN:-“Aur allah ke raste me kharch kiya karo, aur apne aap ko apne hathaun
hilakat me mat dalo, aur jo kam karo achchi tarah karo.”

QURAAN:-“Beshak jin lagaun ne kah diya ke Allah hi hamara rab hai phir ispar jam
gaye, un ke liye na koi dar hai, aur na wo gamgeen honge.
QURAAN:-“Mominmardaun se keh do ke wo apni nazraun ko nichi rakha Karen, aur
apni sharamgah ki hifazat kiya Karen.”

HADEES:- Huzur SAW ne farmaya “2 waqt ki dua wapas nahi ki jati :-


1. Azan ke waqt ki dua
2. Islam ke dushman ke sath sakht ladai shuru hone ke baad

QURAAN:-“Aur jis ka Nam-E-Aamal pith piche se diya jayega. Wo maut ko


pukaregaaur dozakh me dakhil hoga. Ye apne ghar walaun main mast raha karta tha

HADEES:- SAW ne farmaya “Jis kedil me zara barabar bhi takabbur hoga, Allah usko
chehre ke bal aag me dal denga”

QURAAN:- “Aur neki aur taqwa ke kamaun me ek dusre ki madad kiya karo, aur
gunahaur zulm ke kamaun par ek dusre ki madad mat kiya karo

Das könnte Ihnen auch gefallen