Sie sind auf Seite 1von 6

MUBARAK RAATON KI SHARAI HAISIYAT.

ALLAH RABBUL IZZAT nay Makhlooque me baaz ko baaz par fauqiyat bakshi, yani baaz cheezo ki fazilat
ko baaz doosri cheezo par zaahir FARMAYA, Maslan sitarayn hain,laykin chand k samnay unki roshni
maad pad jaati hai,yuhi jab suraj tulu hota hai toh chand ki roshni apna wajoood kho baitthi hai. Isi
tarekay say baaz dinon ko b ALLAH TAALA nay doosray dinon par fazeelat BAKSHI hai, yuhi kuch
raatayn b aati hai jinkizaahiri taarikiyon k pas-e-parda, anwar-o-tajalliyat ki baarish hoti hai aur
BANDON ko us say sairab kiya jata hay. Unhi Ba-Barkat raaton may say SHAB-E-MERAJ SHAB-E-
BARAAT aur SHAB-E-QADR hay.

Laykin kuch GUMRAH LOG nay in Mubarak raaton may IBADAT karnay aur ROZA rakhnay ko HARAAM-
O-BIDDAAT karaar daytay hai aur kehtay hai ki makhsoos tareekay par NAMAZ padnay ka koi
hukmRASOOLULLAH nay nahi diya. Isliye in raaton may NAMAZ padhna, din me ROZA rakhna BIDAT
hai, aur aisa karnewalon ko ALLAH TAALAAZAAB DAYGA.
MAAZ ALLAH
Aur koi HADEES uskay JAWAZ may pesh ki jaati hai toh kehtay hai ki MOZU, MANGHADAT aur ZAIF
hai.DALEEL MAY KUCH NAHI BAS UN GUMRAHON KA JABRUTI HUKM MANO.
MAAZ ALLAH
MUSALMANON
SHAB-E-MERAJ MUBARAK raat hai, jiski 27vi SHAB ko SIAYYADUL
MUSALEEN(Sallallahualaihiwassallam) ko MERAJ hui aur AAP(Sallallahualaihiwasallam) nay APNI
sar ki AANKHON se APNAY RAB KA DEEDAR KIYA aur usi raat ko RAB ki BARGAH say AAP ki
UMMAT ko NAMAZ jaisi PAKEEZAH aur BUZRUG IBADAT ka TOHFA MILA.
Toh jis raat may NAMAZ ka tohfa RASOLLULLAH(sallallahualaihiwasallam) ko mila,us raat may NAMAZ
padhna BIDAT-O-HARAAM q kar hosakta hai ???????
ALLAH TAALA k woh BANDAY baday khushnaseeb hai jo in MUBARAK raaton may khoob NAMAZ
padhtay hai aur din may ROZA rakhtay hai.
HAZRAT SHAIKH ABDUL HAQUE MUHADDIS DELHVIAlaihirrehma nay
(MASABTA BISSUNNAH MUTRAJJIM P-185/186) par ALLAMA IBN-E-HAJAR MAKKI Alaihirrehma aur
BEHQI k hawalay se aur HUJJATUL ISLAM HAZRAT IMAM MOHAMMED GHAZALI Alaihirrehma nay
APNI kitab (AHYAUL ULOOM J-1,P373) par yeh HADEES naqal kartay hay jo : HAZRAT ANAS
(radiallaanhu) say marwi hai SAIYYAD-UL-MURSALEEN(Sallallahualaihiwasallam) nay farmaya RAJJAB
ki 27vi raat may IBADAT karnay walaon ko 100 saal IBADAT ka sawaab milta hai aur jis nay is raat may
12 rakaat NAMAZ is tarah padhi ki har rakaat may SUREH FATIHA k baad QURAN MAJEED say koi
SURAT padhay aur 2 rakaat par tashahhud(attahiyat) aakhir tak baad DUROOD SALAM pharay aur 12
rakaat padnay k baad 100 martaba yah Tasbeeh SUBHANALLAHI WAL HAMDULILLAHI WALA ILAHA
ILLALLAHU WALLAHUAKBAR fir 100 martaba ASTAGHFIRULLAH aur 100 martaba DUROOD SHAREEF
padhay aur subah ko ROZA rakhay fir duniya aur aakhirat k mutalliq jo (jiaz dua) mangayga IN SHA
ALLAH...ALLAH QUBOOL FARMAYEGA.
HUJJATUL ISLAM HAZRAT IMAM MOHAMMED GHAZALI Alaihirrehma APNI kitab (AHYAUL-
ULOOM, J-1, BABUS SALAAT) k aakhir may SALAAT UR RAGHEEB par FARMATEY HAIN YEH AHADEES
KHABRAY AHAAD HAIN,LAYKIN HAMNAY BADAY-BADAY ULMA-E-RABBANEEN KO USPAR AMAL KARTAY
DAYKHA HAI.
GARJAY KI ULMA AUR AWAAM SAB USPAR AMAL KARTAY HAI AUR ULMA KA AMAL B HUJJAT HAI.
ISLIYE HAZRAT IMAM BUKHARI Alaihirrehma ULMA K AQWAL PAYSH KARTAY HAIN AUR IMAM
TIRMIZI alaihir rehma jaise AZEEM MOHADDIS JAGAH-JAGAH FARMATAY HAIN YAH HADEES ZAIF HAI
LEKIN ULMA KA ISPAR AMAL HAI ISLIYE YEH MAQBOOL HAI
Aur yeh b maalum rahay ki HADEES SAHIH, HASAN, ZAIF. MAUZU sirf sanad k aitbar say hoti hai,warna
NAFS-E-HADEESk aitbar say ho sakta hai ki jo HADEES ZAIF ho,woh SAHIH ho aur jo HADEEES SAHIH
ho,woh ZAIF ho.
(Dekho MUQADDAMA TBN-E-SALAH aur MOZUAT-E-KABEER WAGAIRAH)
Aur ZAIF HADEESON par AMAL bil-ittifaq e-ULMA FAZAIL-E-AMAL may na sirf motbar hay balki AMAL
karna mustahab hai. (Dekho AL HADIQATUNNADIYA FI SHAREH TARIQATIL MOHAMMEDIYA J-1, P-181
AUR FATHUL QADEER KUBAIL FASL HAMLUL JANAZAH WAIGAIRAH)
ZAIF to ZAIF hai munkir HADEES b FAZAIL-E-AMAL may bil-ittfiaq motbar hai(mulahayza ho TAQUBAT-
E-SUYUTI FIAKHRI JANIZ aur FATWA RAZVIYA, J-2).
Aur agar koi HADEES kisi MOHADDIS k Nazdeek SAHIH ,HASAN, ZAIF ho ya MOZU ho to woh unki
SANAD k aitbar say hoti hai aur agar FAZAIL-E-AMAAL may ZAIF HADEESO par AMAL karna NAJAIZ-O-
GUNAAH hai toh FAZAIL-E-AMAAL k munkiro ko chahiye ki puri UMMAT k kisi b MOTBAR AALIM ka
QAUL-E-RAKAYH pesh karen.
Aur yeh b koi zaruri nahi ki duniya k saaray MOHADDISEEN tamam HADEESO par muttafiq ho aur kisi
nay kisi HADEES par kalaam na kiya ho.
Warna bahot saari HADEESE hai (Jaisa ki AHLAY ILM say poshida nahi) baaz k nazdeek SAHI hai aur baaz k
Nazdeek ZAIF hai, hatta koi MOZU b hai.
Warna khud ko AHLAY HADEES kehlanaywala yah bataye ki kitni HADEESE hai jin par Duniya k Tamam
MOHADDISEEN ka ittfaq hai ?????
Agar GUMRAH firqon ki baat maan li jaaye toh tamam KUTB-E-AHADEES k teen chauthai hisay say
haath dhona padega, yaha tak ki BUKHARI-MUSLIM b mehfooz na rahaygi NAUZBILLAH
In Tamam baaton say yah saabit hua ki har ehkaam k alag-alag kamon aur usool hai aur FAZAIL-E-AMAL
may ZAIF HADEESON par AMAL na sirf yah ki JAIZ hai balki uspar AMAL karna MUSTAHAB hai aur agar
koi kehta hai har Hukm k liye SAHIH HADEES ka hona zaruri hai toh uska khudsakta QANOON aur ZAPTA
hai MAZHAB-E-ISLAM say koi wasta nahi...
MUSALMANON yeh toh un ULMA-E-RABBANEEN k aqwal thay jo AHADEES-E-KAREEMA k AAMEEN-
O-MUHAFIZ hai, jinhonay FAZAIL-E-AMAL k baab may ZAIF HADEESON par AMAL karnay ko MUSTAHAB
bataya aur AMAL b kiya.
Laykin ab khud SAIYYADUL MURSALEEN(Sallallahualaihiwasallam) ka farman suno jo FAZAIL-E-AMAAL
k talluk say hai aur jo GUMRAH FIRQA in MUBARAK RAATON may IBADAT karnay ko SHIRK-O-BIDAT
qaraar detey hai woh b ALFAZ-E-AHADEES par ghaur karen aur agar ALLAH TAALA taufeeq de to Amal
b karen aur apni zubaan par lagaam dayn.
SUNO jis HADEES ko HASAN IBN-E-URFA nay APNAY JUZW-E-HADEES may aur ABU SHAIKH nay
MUKARIMUL AKHLAQUE may aur JAAMIUL HADEES may HAZRAT ABDULLAH IBN-E-ABBAS
(radiallahuanhuma) say aur IBN-E-HABBAN aur HAFIZ ABDUL BIR nay KITABUL ILM may HAZRAT-
E-ANAS say DAR-E-QUTNI aur MOHBI nay KITABUL ILM may HAZRAT-E-ABDULLAH IBN-E-
UMAR(raziallahuanhuma) say RAWAYAT FARMATEY HAI..

Tarjuma : Jisko ALLAH ki taraf say kisi baat may kuch fazeelat pahuchay woh banda apnay yaqeen aur
uspar sawaab panay ki ummeed usay uska sawan inayat FARMAYEGA agarchay khabar sahi naho
aur
Dar-E-QUTNI ki Hadees yeh hai
Tarjuma: ALLAH TAALA usay uska sawaab ATA KAREGA agarchay woh hadees Mujhsay marwi ho ya
naho
aur
HAAFIZ ABDUL BIR k ALFAZ yeh hai.

Tarjuma: Agarchay us Hadees ka rawi jhoota ho
In IRSHADAD ki roshni may yeh maalum hua ki FAZAIL-E-AMAL k baab may agar kisi MUSALAMAN nay un
HADEESO par Amal kiya jo DarHaqeeqat ZAIF hai, par HUSN-E-NIYYAT ki buniyad par usko uska
sawaab milega.
Aur agar koi GUMRAH uspar Amal karnay say rokta hai toh us k baaray may SAIYYADUL
MURSALEEN(sallallahualaihiwasallam) IRSHAD FARMATE HAIN
Jis HADEES ko ABU YALA nay aur TIBARNI nay MOAJM-E-AUSAT may HAZRAT-E-ANAS
(raziallahuanhu) se rawayat kiya ki RASOOLULLAH(Sallallaahualaihiwasallam) FARMATE hain

Tarjuma: Jis ko ALLAH TAALA ki taraf say kisi cheez may fazeelat ki khabar pahuchi aur usnay usko
tasleem na kiya toh woh shaks us fazeelat say mehroom rehgaya (MAKHUZAZ FATWA RAZVIYA J-2)

Zubaan se IMAAN ka dawa kar k jo GUMRAH log awaam ko SHAB-E-MERAJ SHAB-E-BARAAT SHAB-
E-QADR may baydar hokar IBADAT karnay aur Din may ROZA rakhnay say bayja Koshish kartay hai aur
yeh kehtay hai ki NABI-E-KAREEM nay nahi kiya. SAHABA-E-KIRAM ne nahi kiya.Awaam ko MUSHRIK
aur BIDATI karaar dete hain unhay chahiye ki NABI-E-KAREEM (Sallallahualaihiwasallam) k in tamam
FARAMEEN par agar IMAAN rakhte hai toh Khud apna ehtisab karen aur BUGZ-O-INAT ka shikar hokar
logon ko IBADATON say rokna band karayn.
Jab ki SHAB-E-MERAJ SHAB-E-BARAAT SHAB-E-QADAR k talluq say bahit saari HADEESO par
AMAL ki targheeb dilayi gai hai jo ULMA-E-AHLE SUNNAT say aap sunte rehte hai uspar AMAL karen.

ALLAH TAALA ki yeh shaan nahi ki MOMINON ki IBADATON ko raighan karen, albatta HUSN-E-
NIYYAT shart hai..
In tamam tauzeehat say agar FAZAIL-E-AMAAL ka munkir na maane toh woh khud apnay ghar ki khabar
le.Dekhiye SIRAT-E-MUSTAQEEM URDU, P-132 us k MUSANNAF DEOBANDI aur GAIRMUQALLIDON k
pehswa MOLVI ISMAIL DELHVI hai.
KASHF-O-ISTIKHARA k Talliuq say tareeka bayaan kartay hue likhte hai Agar inkay shafay matloob
haasil na ho toh usi waqt yaani raat k TEESRAY PEHER ko inkay shafay waqya k liye 2 rakaat NAMAZ
padhe aur har rakaat may 3 baar SUREH FATIHA, 3 baar AYAT-AL-KURSI aur 15 baar SUREH-IKHLAS us
k baad sar sajday may rakhkar nihayat khushu-o-khuzu k sath HUSUL-U-KASHF k liye 101 baar YA
KHABIRO AKHBIRLI padhe fir so jaye IN SHA ALLAH khwaab may waqiya ka haal zaahir ho jayega
Ab UN k motaqid aur pairokar AHLE HADEES (dar haqeeqat GAIRMUQALLID) hi bataye agar NABI-E-
KARIM(Sallallahualaihiwasalam) say kisi makhsoos tareeqay par NAMAZ padhna manqool hi nahi aur na
is silsilay may koi HADEES laik-e-aitbar hai to AAP k peshwa MOULVI ISMAIL DELHVI nay jo HUSUL-e-
KASHF k liye NAMAZ padhnay ka makhsoos tareeqa bataya hai aaya apni marzi say ya
NABIsallallahualaihiwassalam say koi HADEES is silsilay may marwi hai???
Agar apni rai say yeh tareeqa bayaan faramaye toh zaahir hai ki yah DEEN-E-
MOHAMMADI(sallallahualaihiwasalam) may 1 nayi cheez ijaad karna aur BIDAT failana hai aur agar is
silsilay may koi HADEES marwi hai ??? to phir woh HADEES ZAOF-O-SAYHAT wagairah digar ausaf k lihaz
say is HADEES ki kya rawaiyyat hai aur kya Duniya k tamam MOHADDISEEN ka is HADEES par ittifaq
hai????
MAH-E-RAJAB aur SHABAAN waigairah may BUZURGAN-E-DEEN k naam FATIHA aur ISAAL-E-SAWAB
kiya jaata hai
Usko b GUMRAH FIRQA SHIRK-O-BIDAT batata hay YAH DEEN MAY DAKHALANDAZI KARNA HAI JO
KHULI HUI GUMRAHI HAI
ISAAL-E-SAWAAB HAQUE HAI AUR AHLAY SUNNAT WAL JAMAAT KI IJMAI AQEEDA HAI ki maiyyat ko
uska sawaab pahuchta hai.
SHAIKH SADRUDDIN ABU ABDULLAH DIMASHQI(alaihirrehma) say REHAMTULUMMAH FI IKTHILAFIL
AIMMA may likhtay hai..

TARJUMA: Is par ijma hai ki istighfar, dua , sadqa, hajj aur ghulam azad karna maiyat ko nafa deta hai
aur unka sawaab maiyyat ko milta hai.
Aur khud AHLE HADEES (GIARMUQALLID) k SHAIKH-UL-FIL KUL???
MOULVI NAZEER HUSSAIN nay FATWA NAZEERIYA J-1, P-564/565 par likhtay hai
rajayh qaul yeh hai ki ISAAL-E-SAWAB maiyat ko pahuchta hai chahay woh TILAWAT-E-QURAN ho,
SADQA KAHIRAT Wagairah ho ya phir BADNI IBADAT ho maiyyat ko sawaab pahochta hai yahi qaul
daleel ki roo say zyada rajayh hai.
Aur dono GUMRAH JAMAATON k MUSHTARIKA MUJADDID ??? MAULVI ISMAIL DELHVI nay na sirf
yah ki woh FATIHA ko JAIZ kehte hai balki BUZURGON k naam FATIHA karne ka HUKUM b dete hai.
SIRAT-E-MUATQEEM, Press Deoband, Urdu, P-126 likhte hai
Taalib ko chahiye k ba wazu dozanu baithkar BUZURGON yani HAZRAT MOINUDDIN SANJARI aur
QUTUBUDDEEN BAKHTAYAR KAKI wagairah k naam FATIHA padhkar BARGAH-E-KHUDAWANDI may un
BUZURGON k TAWASSUL aur WASEELA say iltija kar k NIYAZ-E_BAYANDAZ ZARI BAYSHUMAR kartay
hue apnay kaam k FATEH BAAB k liye Dua kar k ZIKR-E-DOZARBI shuru kare

NOTE: YAHI SHAH ISMAIL DELHVI sahab nay APNI KITAB TAQWIYATUL IMAAN may WASEELA
wagairah ko SHIRK-o-BIDAT qarar day kar WASEELA k QAILEEN ko MUSHRIK bana chukay hai.
Ab un k naam lewa apnay ko GAIRMUQALLID kehlakar ANDHI TAQLEED karnay walay sochey ki khud un
k peshwa SHIRK-O-BIDAT ki kis bahayanak daldal me phasay hue hai.

ALLAH RABBULIZZAT
APNAY HABEEB(Sallallahualaihiwasallam) k tufail BABARKAT RAATON me baydar hokar APNI
IBADAT karne ki Taufeeq ATAA FARMAYE.
AAMEEN SUMMA AAMEEN
BIJAH-E-HABEEBIHIL KAREEM
(Sallallahualaihiwasallam).

Das könnte Ihnen auch gefallen