Sie sind auf Seite 1von 23

Poetry Series

Azhar Sabri
- 21 poems -
Publication Date:
September 2014
Publisher:
PoemHunter.Com - The World's Poetry Archive
Poems are the property of their respective owners. This e-book was created by Azhar Sabri on
www.poemhunter.com. For the procedures of publishing, duplicating, distributing and listing of the poems
published on PoemHunter.Com in any other media, US copyright laws, international copyright agreements and
other relevant legislation are applicable. Such procedures may require the permission of the individuals holding
the legal publishing rights of the poems.
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 2
Azhar Sabri (10-01-1990)
Azhar Sabri (Urdu: ???? ?????) born 10 January 1990, is an Indian Urdu
Poet, Writer, and Engineer. He has written poetry of various genres including
Love, Love lost, Motivational/Nationalism, Social, and young adult.
Education and Career:
After high school in 2005 (SSC) and higher secondary studies in college
Higher Secondary (School) Certificate HSC from mirza ghalib college
Gaya in 2007, he studied computer at the Jetking Infotrain, an affiliated
institute and graduated from Magadh University in 2014 with an English
language degree After graduation, he worked at a Pc Solution for a while.
Basically belong from a remote village belwar which is in gaya distt bihar,
very backward in the field of education, but very tough life not so easy to
manage. completed matriculation and moved to gaya for intermediate. He
involved in the field of writing from there faced alot of problem for the
english language.
He got admission with english(hons) in degree for language improvement,
but not get response very well, becouse of there were not any source to
promote my skills, also participated many social and college function to
improve language and remove hesitation which was intend inside. but never
think to pen down as per intention, after completion of graduation from
magadh university joined pc solution as a Desktop support engineer and
served around 2 years. and continued to write and written on many genres
of poetry. and also penning up for write a book and hope it would be come
out soon.
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 3
Akelapan
Fakhar karta hai khud pe fighar karke akelapan
Bahein filaye baitha hai firaq me akelapan
Har simt gulshan me bhi hamesha akela hi raha
Saaye ki tarah lipta hai har waqt akelapan
Main chal raha tha bheed me tanhai ko soch soch kar
Awaaz de raha tha har shay me akelapan
Furkat ko dekh dekh kar khush hota hai wo har ghadi
Fitrat se aa baitha hai mere daman me akelapan
Khushi ka talab kiya to kismat bhi saath chhod diya
Wo le gaya khushi ka pal or de gaya akelapan
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 4
Anshu
Aaghaz mohabbat ka ek daur aisa tha
Farsh pe thamte nahi the kadam uske
Mila sila muhabbat me judai ka to
Anjam ki surat dekh tham gaye faham uska
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 5
Azal se aashna...
Azal se aashna ka aaghaz kiya usne
Zehan me ek khawab aabad kiya usne
Maine to taamir talaf bhi na kiya
Ek din taamir sukhan shaad kiya usne
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 6
Bewafa E Mohabbat
bewafa naam hai mohabbat me chod jane ka,
kyu intezar ab bhi itna hai uske aane ka.
wo gayi to meri duniya khilawat sa ho gaya
or khilawat kar diya is duniya me mere ashiyane ka
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 7
Chahat
Suhani shaam hai tanha or tumhara naam hai,
Is mausame bahar me tumhari ek jhalak chahta hun.
Koi mujhse puchhe mai kya chahta hun,
Main tumhe tumhari zindagi or khushi chahta hun.
Main tumhe bhula dun to jaan nikal jaegi,
Kyunki tum basti ho mere sanso me isliye zindagi chahta hun.
Tum chale bhi gaye ek lamho ke bina danish,
Jaha bhi raho mai sada tumhari raza chahta hun.
Wo khud hi nawaze is nemat se azhar,
Yahi mai dua bakhuda chahta hun.
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 8
Daga-e Mohabbat
Yu to har lamho ko sanwara tha is kadar,
Kamyab zindagi ko magmoom kar gaya koi.
Usne ijhare mohabbat kiya hi kyu tha,
Is alam me mujhe posidah kar gaya koi.
Tumne to use chand se umdah samjha hamesha,
Is chand si roshni ko bhi gamgin kar gaya koi.
Tumne badi zafukash se bhula diya us manjar ko,
sabik us chiragah me magloob kar gaya koi.
Sabar rakhne walo ko manjil dikha de ya rab,
sare jahan me ye dua kar gaya koi.
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 9
Dikha de rasta...
Dikha de rasta manzil ka wo asbab mil jaye to kya
Chalein us raah me nazafat ka ek khawab mil jaye to kya
Fasana yun hua azhar Khila ek khawab bagho me
Khushboo bhari mazmaan me ek ghulab mil jaye to kya
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 10
Dil nahi milta....
Dil nahi milta saro-baazar mil gaya
Is kaum ki kafash me kya karar mil gaya
Chaha tha ek lamha khushi ka baa-adab
Bad-kismati se dard ka sansar mil gaya
Fulon ko dekhta tha uljhe hue kanto se
Or bagho ko berukhi ka deewar mil gaya
Thaa fasla deewaro ka kuchh hamare darmiyan
Isme bhi ibtida ka ek daraar mil gaya
Gurbat me kaat di hai har lamha zindagi ka
Aakhir me jo mila hai sab bekaar mil gaya
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 11
Dost
Tamam tazkirah me azeem tajkirah hai dosk ka,
Mano to sabse ohda or nirala safar hai dost ka.
Dosti me har sakhsee pahlu ka zikra kar lete hai log,
Itemade itna hai ki dil se qadar karte hai dost ka.
Kabhi tabit karke lagta hai zamane me kuchh talaf kiya,
Milne ke baad utna hi fikr maloom hota hai dost ka.
Kisi ke dosti ka tazkirah jab bhi dekhta hu main
Guzastah zamane ka manjar nazar ata hai dost ka.
Tumne to dosti ka har farz kamil ki hai Azhar,
Is hayat-e safar me hamesha mutaffir ho dost ka.
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 12
Fasana-e isqu
Wo byan kar gaya ek manzar aligar se
Har pal ko trasha or arz kiya apne yar se
Kya pata ye sila milta hai dil lagane ka
Pyar ki kashti ko utara tha bade pyar se
Jakaham jo banta hai wo dikhta nahi jism pe
Or abae chashme bhi rukta nahi abesaar se
Aksar roshni se ek aas dikhti hai zindagi ki
Chiragein jalaei baitha hai us intezar se
Arzemand hai wo sabar rakhte hai nasaaz ke baad
Jeete hai wo hamesha akubat ke ashrar se
Qamar ki chandani rato me wo pal yaad aye to
Dua karna ki shifa mile parwar digar se
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 13
Gunahgaar hun uska....
gunahgaar hun uska jispe harkat ubaal rakha hai
ukoobat ke bawajood bhi sabka khayaal rakha hai
har pahlu ko nazar-andaaz usne kiya faham ke saath
wo hai meri biwi jo ghar ko sambhaal rakha hai
fitna nahi hai ab bhi bagh-e-chaman me koi
jo tha mere tabiyat me sab kuchh nikaal rakha hai
aadil hai bekasoor hai nazish nahi hai wo
har shai me uska faisla uske aamaal rakha hai
noor-e-tabassum ka sabab kuchh yun hua Azhar
fakat usi ke waste khud ko khangaal rakha hai
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 14
Haseen Gulab
Jab maine apne gulab ko haseen sa gulab diya
Ye nazara dekh kar chand bhi sharma gaya
Bikher di chandani hamari sadakat ke waste
Uska noor sa chehra bahut khoob nazar aaya
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 15
Hindustan
'' '' ''
' ' '' '
' ' ' '
''


Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 16
Inteqaam
Abae talkh ki nisbat mujhe bekraar kiya hai
Is hararat me jaam nafsh nisar kiya hai
Arzmand bhi tha mai par nazarah kuchh ajeeb hua
Ye manzar usne kayam saro bazaar kiya hai
Kya pata tha badle ki aag sulag uthegi aaj
Usne bade mijaz se ye waar kiya hai
Zehan me aabad hai beete fasane aaj bhi
Ajeeb waqt ki fitrat ne ye qarar kiya hai
Maine dakhal diya tha kisi zamane me azhar
Aur aaj usne paimana aar paar kiya hai
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 17
Khawab
Likh diya hai naam mere naam ki tarah
Kar gaya ye kaam bhi har kaam ki tarah
Main bhi kaatib tha ek zamaane ka adeeb
Tohfe me de gaya kalam aan baan ki tarah
Usne chhed di mujhe ghazlon ki waar se
Takraata raha har waar daro deewar se
Likh deta shahro saaj ek shaam ki tarah
Tha dil me pukhtagi mere imaan ki tarah
Nafrat nahi tha mujhko kabhi us daur me
Ye sila mila hai chahat me jaam ki tarah
Keemti waqt dekar kharide the kuchh khawab
Bik gaya har khawab saajo samaan ki tarah
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 18
Naraazgi
Yun humse rooth kar kab tak rahogi jaaneman
Nashaad hone ka shabab ek baar to de de.
Kar dun tumhare naam gulishtan sare jahan ka
Chehre pe tabassum ki jhalak ek baar to de de.
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 19
Parwaaz kar gayi...
Parwaaz kar gayi raatein per baat kyun nahi jaati
Kat gayi har raat per ye raat kyun nahi jaati
Saaye ki tarah lipta hai is hayate safar me
Per waqt to zayad nahi aukaat kyun nahi jaati
Kar gaye chiraghon ko bhi fiza ki hawale
Bujhane ke waste koi aukaat kyun nahi aati
Bah gaye har khawan ankho se ashk ke sath
Is khawab ko dhone koi shailaab kyun nahi aati
Mousam hain ghani wadiyo sa ye suhana shaam
Is alam bhari shahar me barshat kyun nahi aati
Udi hai khaak basti me shahar me kyun hai sannata
Shahar se chalkar aati thi per ab wo kyun nahi aati
Use jab bhi dekhta hun dil ke darinchon se
Ankh lagti to hai magar chain ki neend kyun nahi aati
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 20
Roshni ke waste...
Roshni ke waste ankhein taras gai
Ghurbat me kat di hai har lamha zindagi ka
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 21
Waadein kiye the...
Waadein kiye the pyar ke wo jan bujhkar
Bite the kai saal wo bhi jaan bujhkar
Maine kiya tha haq ada aabru ke saath
Usne kiya bimaar mujhe jaan bujhkar
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 22
Ye hai deewano...
Ye hai deewano ka shahar jara dekh dekh kar
Main bhi is shahar ka jara dekh dekh kar
Deewane kai ghumte hai is shahar me aaj bhi
Magar rakhna apna kadam jara dekh dekh kar
Azhar Sabri
www.PoemHunter.com - The World's Poetry Archive 23

'' '' ''


' ' '' '
' ' ' '
''


Azhar Sabri

Das könnte Ihnen auch gefallen