Sie sind auf Seite 1von 17

Hindi movie Pustak

By jagadish

Scene 1

Shahrukh khan : pustak likh raha hoon


Salman khan : kis khushi Mein
Shah rukh khan : bhaya pachas saal ho gaye mere , ghar Mein boring to socha kuch pustak hi likh doo
Salman khan : achi soch Hai
Shah rukh khan : thanks
Salman khan : par kis cheez pe likh rahe ho
Shah rukh khan : non fiction biography
Salman khan : wo to apke siva koi likh hi nahi sakta
Shahrukh khan : tumne kya socha
Salman khan : Maine
Shahrukh khan : haa tumne
Salman khan : mere pe jaoge to aisa likhna padega ki zameen khisak jayegi
Shahrukh khan : bata to sahi
Salman khan : current affairs of India
Shah rukh khan : wo maine bhi likhna chaha par jab anuman lagaya to samajh mein aya ki teen char
mahine bikegi uske baad koi lega bhi nahi
Salman khan : oh!!!
Shahrukh khan : isliye intelligent log biography likhte hain jo koi copy paste nahi kar sakta
Salman khan : phir to theek hain
Shah rukh khan : jab kitab puri hogi to tumhe jaroor yaad karoonga
Salman khan : thanks , best wishes

Shah rukh khan : thanks , phir milenge dost


Salman khan : mujhe bhi ab chalna hoga , biwi intezaar kar rahi Hai , phir milenge , best wishes once
again , bye
Shah rukh khan : bye

Scene 2

Aishwarya rai : kya hua khush dikh rahe ho


Salman khan : shahrukh khan pustak like raha hai , apni biwi ke nidhan ke baad
Aishwarya rai : kab huyi thi nidhan
Salman khan : yahi kuch do teen saal pehle
Aishwarya rai : umr biwi ki
Salman khan : yahi 52 saal
Aishwarya rai : aur shahrukh khan ki umr kitni
Salman khan : yahi 53 years
Aishwarya rai : haa yaad aya , breast cancer se mari thi, 52 still young by todays standard
Salman khan : oh!!!!
Aishwarya rai : murjaye phool ko bhi kushboo soong jaati hi jab chanchal madhosh hawa aaye to
Salman khan : kavita bolne mein to tu mahir hain , yeh duniyawale ko bata dena , hum to sun sun ke
kaan pak gaye
Aishwarya rai : itni bhi kya gustakhi jab ho aapka ashirwad , bata denge kiski biwi hai hum is baar
Salman khan : kuch aur kaam karne ki umr to thi shahrukh ke paas but unnecessary istifa de diya
Aishwarya rai : biwi guzarne ke baad sab mard kabhi apne aap ko sambhal hi nahi sakte
Aishwary rai : unke bete ka kya hua

Salman khan : we , oh , lene ke liye aye the apne papa ko , par khuddari thi, pension foreign mein nahi
mil sakti to unke bete ne unko yehi pe chod diya , bete ne kaha bhi nahi ki pension chod dijiye , ulta
pension ke bina aap reh nahi sakte to ulta bete ne khuddari ki baat karke unko yehi pe chod diya

Aishwarya rai : aajkal ke bache kabhi bhi papa maa ko dekh hi nahi sakte , bahanabaji number 1
Salman khan : haa, wo to sahi hai, humare bache bhi aise hi nikle
Aishwarya rai : isliye main aapko tokti nahi jab aap shahrukh khan ki baat karte hain
Salman khan : thank you
Aishwarya rai : bacho ko kya pata zindagi ka sabak, saath rehte to jujhna kise kehte hain yeh pata chalta
Salman khan : sab weaklings
Aishwarya rai : pustake padne se nahi banti zindagi, wo to utar chadav bujurg ko dekh kar milti hain
seekh jab apne paraye hote hain aur paraye waise bhi paraye

Scene 3

Ranbir : papa kaise hai


Shahrukh : acha hun
Ranbir : jab meri job yaha par settled USA Mein hogi to main jaroor aapko usa ane ka nimantran doonga
Shahrukh khan : beshak beta
Ranbir : ab aap India mein time pass kaise karte hain
Shah rukh : pusktak likh raha hoon , apni biography
Ranbir : agar ho sake to likhiye hi mat
Shah rukh : kyon beta
Ranbir : agar kuch galat likh denge to main paise bhej hi nahi sakta
Shahrukh : yeh to tumhara veham Hai , kuch nahi hoga
Ranbir : aap jante nahi , ghar mein bahut tension hai , biwi bahut khafa hai , dar lagta hain

Shahrukh : usa mein rehkar dar , waha pe to pustak ki fauz lag jati Hain
Ranbir : haan par Europeans Ki, bahut kam log Indians likhte Hai , aur khamakha jhanjat bhi hoti Hai ,
hora hori chalti Hain aur kabhi kabar job bhi kho jati Hain
Shahrukh khan : ohh!!! Par main to India Mein likh raha hoon
Ranbir : yaha pe hi pustako Ki khili udate Hain aur paise nahi milta aur aap bolte Hain India is safe, ho hi
nahi sakta, usa Mein knowledge yeh hain ki ek doosre Ki copy kar dete Hain aur mukadma chale to paise
hi jate hain aur izzat bhi par paisa kabhi mil hi nahi sakta
Shahrukh khan : par maine to pustak likhna bhi shuru kar diya aur do teen mahine main khatm bhi ho ja
sakti hain
Ranbir : papa be sensible , usa main hi thikana nahi hain , india ki to koi puchta bhi nahi hain, aur aapki
pustak wo bhi apni biography , kaun padega
Shahrukh khan : mere dosto ne to bol diya ki wo kharidenge jaroor jab bani to
Ranbir : wo to paanch dus log bas itne mein khush
Shahrukh khan : budda ho gaya hoon time pass
Ranbir : please papa kuch aur sochiye , family cant take tension of yours at this time, recession chal raha
hain aur aapko abhi pustak likhne ki bimari
Shah rukh khan : theek hain dosto se mashuvrah le loonga , ab khush
Ranbir : we nahi jante hamari tension , please stop, age aapki marji, kaha par bhatak bhatak kar publish
karenge is umr mein, please be sensible
Shahrukh khan : fine , bye
Ranbir : bye , take care and be sensible and responsible towards family

Scene 4
Bomman irani : morning walk
Shah rukh khan : yes , fresh air
Bomman irani : salman khan bata raha tha ki tumne pustak likhna shuru kar diya
Shahrukh khan : bahut jhanjhat se gujar raha hoon , family ne inkar kar diya likhne ko , tension seh nahi
sakte
Bomman irani : kyon aisa

Shah rukh khan : family leads a middle class life in usa


Bomman irani : oh !!! try karna buri baat nahi hain ,agar na likh sake to waise bhi khali kaun baith sakta
hain aajkal ki duniya mein., kya kehte ho
Shah rukh khan : 3/4th biography to likh di , bas ending likhna hain bas , tumhare nazar mein koi hain jo
mere is biography ko success de sake
Bomman irani : haan , amir khan
Shahrukh khan : wo kaun
Bomman irani : mera damaad
Shah rukh khan : phir to kal milunga usse
Bomman irani : fine , but office , wo kaam ka shaukeen , ghar usko pasand nahi hain baatcheet ke liye to
mein keh deta hoon usse ki tum miloge kal if you prefer
Shahrukh khan : beshak , profile
Bomman irani : army mein naukri karta tha , took a vocational training and pustako ka shaukeen aur
dimag mera kha jata hain, to maine kaha why dont you set up a publishing house , upcoming hain , do
teen magazines mein naam bhi Kama chukka Hain, puri kahani to usise se suno , par mahanti , you
would pass , I would guarantee you
Shahrukh khan : done
Bomman irani : mein milvata hun anupam kher se
Anupam kher : hi , me anupam kher
Shahrukh khan : hi
Anupam kher : kaise aana Hua , humare old age dwaar par
Bomman irani : bhai , inko apni family se padti nahi to tashreef dene chal pade
Anupam kher : hamari bhi yahi kahani ,
Shatrughan Sinha : yaha par to wohi kahani Hain
Anupam kher : meet the politician but semi retired
Shatrughan Sinha : bhai , humne aapka naam suna Hain
Shahrukh khan : kaise

Shatrughan sinha : humari constituency mein pehla shaks biography likh raha hain aur hume na pata , ho
hi nahi sakta
Shahrukh khan : thanks , but it is only 150 pages
Shatrughan sinha : jyaada likhna bhi nahi chahiye , media bada chada ke tod fod kar deti hain
Anupam kher : wo to sahi hain , budde hain to buddo jaisa vyevhaar
Bomman irani : theek farmaya
Shahrukh khan : done

Scene 5
Shahrukh khan : bhai ek help chahiye thi
Salman khan : beshak
Shahrukh khan : bhai buda ho gaya hoon, beta to hain nahi to aapse madad mangne ki cheshta
Salman khan : hum bhi khali hi baithe hain , kuch chai pani
Shahrukh khan : haan ghar ka khana , biwi acha nashta banati thi jab wah zinda thi tab
Salman khan : azi aishwarya, shahrukh aya hai , thoda chai aur biscuits
Aishwarya : beshak
Aishwarya : zameen chata di , pustak achi thi , par publish kaun kar raha hai , aapki pustak ka
Shahrukh khan : bhai , bomman irani ka damad, kya naam tha , haa amir khan , wahi jana Hai
Aishwarya rai : hum saath chale , thoda boring Hain ghar , kuch bahane mulakat hogi logo ke saath
Salman khan : tum , mardo ka kaam hain
Aishwarya rai : mahilaye bhi hoti hain , kaam karne ke liye, har waqt ghar mein nahi baiththi aajkal Ki
aurate
Shah rukh khan : wo to theek farmaya , rani mukherjee bhi kabhi ghar mein baith hi nahi sakti thi, wo jab
hoti to har waqt bahar chehal pehal
Aishwarya rai : aisi hi honi chahiye aajkal ki aurate, finance agar seekh gaye to mard chahiye hi nahi
Shahrukh khan : finance
Salman khan : haa, finance Investopedia website,
Shah rukh khan : haan aajkal agar interest ho to internet mein sab kaam ho jata hain

Aishwarya rai : aapne baat Ki amir khan se internet mein , kaisa aadmi hain
Shah rukh khan : nahi, main purane jamane ka shaks, is computer ki duniya mein ab bhi bhi baatcheet to
face to face honi chahiye, nahi to behrupiya aksar paisa aith jate hain
Salman khan : internet mein apni credit card kabhi nahi deni
Aishwary rai : theek farmaya , yeh lijiye chai
Shahrukh khan : wah , aapki chai ,ki mehak , rani Mukherjee Ki yaad aati hain
Aishwarya rai : thanks , to main bhi chaloo , aapke is publisher se milne
Salman khan : jaroor, main to tayar kab jana hain
Shahrukh khan : bhai , do teen dino mein
Salman khan : iktilah kar dijiye ki ek nahi teen Hain
Shahrukh khan : beshak
Aishwarya rai : done
Salman khan : done
Shahrukh khan : fine done, more happy than before

Scene 6

Sushmita Sen : bomman irani Ki letter padi


Amir khan : haa, aaj unse milna hai, shahrukh khan sir
Sushmita sen : Umar more than 50+
Amir khan : haa, aajkal India sab bujurg hi likh rahe Hain pustake
Sushmita sen : politicians ne to updrav macha chuke , saare non fiction biography Mein aye Hain
Amir khan : pata nahi yeh log apni youth mein kyun nahi likhte
Sushmita sen : wo isliye patidev kyonki storyline kaha se milegi
Amir khan : haa haa malum hain ,daddy
Bomman irani : haa , kya hua
Amir khan : daddy aapne had kar di

Bomman irani : maine kya kiya


Sushmita Sen : aap baap ho kar apne daamad se baat karne ke liye email bheja , ek hi chath par hote
huye
Bomman irani : wo isliye , ki aapke patidev kal gyaarah baje aye the aur mein dus baje ko so jata hoon
Sushmita Sen : wo to sahi hain , early to bed , early to rise , aapse hi sikhte Hain
Bomman irani : isliye chust furth
Amir khan : job hain job , paisa mil hi nahi raha, aur aapke yeh mahashray bas 150 pages hi likhe jabki
aajkal foreign mein ek hazar pages ki pustake likhne main mahir hain
Bomman irani : sorry for reference, bhai pucha to batana padta Hain, akhir apni business Hain
Sushmita Sen : to reference bas 150 pages ki, business hamari chaupath
Bommani irani : par beti business is business
Amir khan : aapko nahi malum bapuji , 150 nahi kam se kam 350 to 600 pages Mein business Hain 150
pages ka zamana gaya
Sushmita sen : aur father aajkal , waqt nikal kar business mein wo bhi 150 pages Mein , we cant allow
that
Bomman irani : sorry, kaise na kaise sort out kar do , age se nahi hogi
Sushmita sen : fine , but aap yeh reference section bhi chod de to behtar, nahi to aapke yeh sab bujurg
log ko dekhte dekhte hamari jawani chali jayegi
Bomman irani : sorry , very very sorry, friend tha to socha kuch business
Amir khan : fine is baar , aage se nahi
Bomman irani : fine aage se nahi

Scene 7

Amir khan : haa bhejiye anil Kapoor saab ko aur unke vakil ko
Sushmita Sen : oh , wohi log phir se
Amir khan : haa, ab Kya afat aan padi apni business ko, chain se kaam bhi nahi kar sakta

Anil Kapoor : hello , pehchana , competitor Kapoor and sons


Sushmita Sen : kahiye , kaise aana Hua , khushkhabari to ho hi nahi sakti, wo to apno se manate Hain
Anil Kapoor : theek farmaya , body shopping ke silsiley Mein
Amir khan : body shopping , kaun shaksiyat
Anil Kapoor : Pankaj Kapoor , hamara chaheta , brand manager
Amir khan : unko aye paanch din bhi nahi huye
Anil Kapoor : aap samjhe nahi , paanch din se lapata hamare office se, pata chala ,apke yaha kaam karte
Hain, to puchne chale
Amir khan : Pankaj Kapoor ko bulayiye
Sushmita Sen : hume shauk nahi jo body shopping hum kare , wo business to humne chod di thi
Anil Kapoor : sun kar khushi huyi, par business is business
Pankaj Kapoor : yes amir sir
Amir khan : Kya aap anil Kapoor ko Jante hain
Pankaj Kapoor : yes sir , apke pehle inka namak khaya Hain
Anil Kapoor : ab namak harami, humari company Ki information inko
Pankaj Kapoor : no sir , beti bimar thi , paisa chahiye tha, anil Kapoor Ki company ne dene se inkar kar
Diya isliye yaha ana pada
Anil Kapoor : aur hamara business information bhi shauk se de diya , terms and conditions yaad hain
Sushmita Sen : Kya terms and conditions
Pankaj Kapoor : sir , anil Kapoor ke company Mein terms and condition the Ki pehli paanch saal tak
company bond ke anusar I cannot work in another company
Amir khan : ab kitne saal huye
Pankaj Kapoor : yahi cheh saal complete
Sushmita Sen : phir to solved said to anil Kapoor
Anil Kapoor : wo cheh saal hain , paanch saal nahi
Pankaj Kapoor : sir , cheh saal hone ko teen din baki Hain
Anil Kapoor : isliye hum tashreef laye

Amir khan : sorry, hume aapke terms and conditions nahi jante
Anil Kapoor : aur jaan bhi nahi sakte kyonki internal affair hota hain
Sushmita Sen : beshak, Pankaj Kapoor you can leave
Anil Kapoor : aapne jane diya
Pankaj Kapoor : thanks madam
Anil kapoor : I will see you in court
Amir khan : shauk se

Scene 8

Sushmita Sen : koi baithe Hai to andar ane ko boliye


Shahrukh khan : me shahrukh
Amir khan : yes waiting for you only , please be seated
Shahrukh khan : meet Salman khan , aishwarya rai if you dont mind them coming along
Sushmita Sen : no not at all
Amir khan : haa maine aapki kahani biography padi Hai, par standard thodi kum Hai
shah rukh khan : oh !!! First time writer so
Amir khan : no problem regarding but agar thodi effort lagate to achi baat hoti thi
Salman khan : hum bujurg hai , aise hi likh di
Sushmita Sen : jo padne aate Hai wo puchte nahi Ki bujurg Hai ya jawani ka josh
Aishwarya rai : kuch takdeeli karne ka Hai , kya
Amir khan : kar sakte Hain to achi baat hogi , phir se redraft
Shah rukh khan : ek baar likh saka , phir se redraft is Umar Mein karna mushkil Hain
Sushmita Sen : oh !! To phir hum proceed karte Hain , aapki biography ko lekar
Shah rukh khan : thanks
Salman khan : ek baat puchni thi
Amir khan : ha batayiye

Salman khan : Kya koi bhi lekhak ban sakte hain


Amir khan : beshak
Aishwarya rai : Kisi bhi Umar Mein
Amir khan : haan
Salman khan : nahi main yeh janna chahta tha , ki agar kuch mahine baad main aavu to aap izazat denge
meri is kavita ko publish karne ke liye
Amir khan : jee jaroor janab
Shahrukh khan : kavita
Salman khan : actually meri biwi is Mein mahir Hain
Shahrukh khan : oh!!!
Aishwarya rai : to main aaa sakti hun aapse milne
Sushmita Sen : beshak , kya karti hain aap
Aishwarya rai : nahi housewife , but thodi bahut kavitaye likhne ki shaukeen
Sushmita sen : fine , we will go ahead
Shahrukh khan : ok
Amir khan : done
Salman khan : hamari
Amir khan : next time , kavitaye ke saath ayiye , hum dekh lenge
Aishwarya rai : dhanyavaad
Sushmita sen : fine dhanyavaad
Shahrukh khan : ok I will be in touch

Scene 9

Ranbir : papa ne pustak de di publish karne ke liye


Anushka sharma : maine tumko kaha tha baat karne ke liye
Ranbir : haa malum Hai, kiya tha , par mane hi nahi papa

Anushka sharma : ab mere samne giddane se kya faida , jo hona hain wo hoga
Ranbir : agar tum baat karo to
Anushka sharma : main abhi , sasuma ko mare kuch hi saal huye Hain, na baba na , mujhe nahi padna is
jhamele mein
Ranbir : agar paise ka jugad ho jaye to
Anushka sharma : tumhare papa ki pustak ke liye hum jugad, kyon kis khushi mein
Ranbir kapoor : akhir humare papa hain, agar beech raste mein thokar lagi to kuch to hak banta Hain
unko bachane ke liye
Anushka sharma : beshak , but pustak hamari marzi se likhe the kya
Ranbir kapoor : none, but
Anushka sharma : no ifs buts main nahi karoongi baat , pachas saal ho gaye , he should be concerned
about family
Ranbir Kapoor : ek baar , meri khatir , please
Anushka Sharma : beshak , ek baar, agar na mane to phasi se latak jana
Ranbir Kapoor : utna heroism mere Mein hain hi nahi
Anushka sharma : fine , ek baar
Ranbir kapoor : thanks
Anushka sharma : welcome

Scene 10

Anupam kher : bhaisaab kya baat Hain


Shahrukh khan : Bhai, publisher ne maan li pustak bechne ke liye
Anupam kher : yeh to Bhai khushi Ki baat Hain , hum log yahi baat kar rahe the
Shatrughan sinha : kya hua inke pustako ka
Shahrukh khan : janab ek pustak bas

Shatrughan Sinha : Bhai ek ho ya usse bhi badi , Bhai manna padega aapke diler ka
Shah rukh khan : thank you
Anupam kher : to mithai kab khila rahe hain
Shah rukh khan : jab aap kahe
Shatrughan Sinha : bhai hum wade ke pake aur ethical, jab aapki pehli pustak release hogi , tab
Shahrukh khan : beshak , shauk se
Anupam kher : to chale walk par
Shatrughan Sinha : chale , bhai shahrukh khan ne laaj rakh li mohalle ki
Anupam kher : sab log aap hi ka intezaar kar rahe hain
Shahrukh khan : abhi se
Anupam kher : Bhai , jab aapne bata diya ki pustak banne mein der nahi hain to abhi hi sahi ,
Shatrughan sinha : jashn to jashn hota hai, abhi hi sahi
Shahrukh khan : thankyou for support

Scene 11

Anil Kapoor : aapne farmaya


Judge : haa , aapki finalization karni Hain
Amir khan : sir , mamla saaf hain , teen din before completion of bond humne anjaane Mein Pankaj
Kapoor ko job pe liya
Anil Kapoor : sir yeh amir khan ki zimmedari thi ki Pankaj Kapoor se previous company ki information
Amir khan ; sir, yeh Mein kabhi bardaash nahi kar sakta Ki humne jaan bujh kar Pankaj Kapoor ko liya
hain unki company information cheenne ke liye
Judge : maan bhi lete hain ki information cheenne ke liye, phir bhi teen din to kum hain Pankaj Kapoor
ko company ko chodne ke liye
Anil Kapoor : sir , teen din company ke liye bahut bada samay hai
Amir khan : sir , we cant accept legal

Judge : to tum batao age kya karna hai


Amir khan : give me time
Anil Kapoor : given
Judge : done agar hal nahi mila to main tum dono Ki case forward karoonga , manjoor aur jo parinaam
milega dono ko bhugatna padega , manjoor
Amir khan : manjoor
Anil Kapoor : manjoor
Judge : done phir to abhi tak case not opened, you both can leave
Amir khan : thank you judge sahib

Scene 12

Amir khan : welcome shah rukh khan sir


Shahrukh khan : welcome , aapne tashrif lane ko kaha
Sushmita sen : haan , kuch baat karni thi , humari policy ke baare mein
Shahrukh khan : wo to settle ho gayi thi usi din ,
Amir khan : sorry for inconvenience , humne thodi takdeeli ki hain , company policy mein
Shahrukh khan : wo kya
Sushmita Sen : yeh padiye
Shahrukh khan : ye to puri doosri policy hain company hain
Amir khan : haa, is baar writer has to pay 2 lakhs before we launch the book
Sushmita sen : aur age company ki policy hain ki agar aapki pustak national bestseller banti hain jo har
koi writer chahega hum half the payment wapis kar denge
Amir khan : is par agar aap sign kar de to hum aage ki karvahi shuru kar sakte hain
Shahrukh khan : par maine to mohalle mein ghoshna kar di

Sushmita sen : kya kaha aapne abhi


Shahrukh khan : kuch nahi , mere pass 1.5 lakhs hi hain aur khan paan ke paise to main de nahi sakta
Amir khan : aapko ek hafte ka time diya jata hain
Sushmita sen : paiso ka intezam agar aapne kar diya to hum age bade
Shahrukh khan : par yeh to fine I will talk to my family
Amir khan : sorry, agar aap ek hafte ke andar paise nahi leke aye to majburan aapki script cancel karni
padegi

Scene 13

Salman khan : Kya takleef Hain


Shahrukh khan : publisher ne do lakh mange
Aishwarya rai : par contract mein to unhe paisa dena tha , aap kaise
Shahrukh khan : contract suddenly badal gaya
Salman khan : aise kaise badal gayi
Aishwarya rai : aap kyon khamakha tension Mein Hain, hum Hain na
Shahrukh khan : thanks
Salman khan : hum jake paisa de denge bank se , aapko takleef uthane ki jaroorat nahi
Shah rukh khan : main aaoon
Aishwarya rai : koi takleef nahi , bhai saab , aap ghar mein aitman se baithe , aapka kaam , you solved

Few minutes later


Shahrukh khan : humare dost a rahe hain
Amir khan : kaun wo do , beshak
Shahrukh khan : main aa nahi sakta , ghutno Mein dard hain , aapko paise mil jayenge
Amir khan : thanks , to main aapka kaam kar deta hoon , paisa milte hi
Shah rukh khan : thanks

Scene 14

Amir khan : paisa laye


Aishwarya rai : haa pure do lakh
Amir khan : to aapke dost se kahiye , kaam ho gaya
Salman khan : yeh kavitaye publish aap kar de to
Sushmita sen : kyon nahi
Aishwarya rai : lambi hain , aur current affairs ke upar , kya aap koshish kar sakte hain
Sushmita Sen : kyon nahi,
Amir khan : aapko apne dost ne bataya hoga ki policy of company has changed
Salman khan : oh!!!!
Sushmita Sen : aapko kuch rakm jama karni hogi , kuch teen lakh ke aaspaas
Aishwarya : beshak pay kar sakte hain , yeh do lakh aur yeh ek lakh ka check
Amir khan : aur aapka dost
Salman khan : wo samjhdar hain , samajh jayenge, aap hamara kaam kar dijiye
Amir khan : beshak
Aishwarya rai : dhanyavad

Is tarah aishwarya rai ne apni kavitaye chaap di apne paiso se


Salman khan ne paisa gavaya aur badle mein thoda bahut paisa mil hi jata hain par apni biwi ki kavitaye
chapne par mohalle main apna naam kama liya shahrukh ke badle mein
Ranbir bhi khush ki paise dene hi nahi pade aur uski biwi ne baat apne sasurji shahrukh se karne se phir
se inkar kar diya, tanav bhi hain unke beech aur kam bhi nahi ho saka
Amir khan apni company bachane ke liye thodi si rakm anil Kapoor Kapoor and sons ko de diya aur
mamla jhatpat se suljha liya , unki biwi aap bhi kaam ki shaukeen
Akhirkar shahrukh ab bhi bhi dhar dhar bhatak rahe hain , ek baar cancelled script kaun lena chahega
aajkaal ki tension mein

Mohallah bhi khush kuch to naseeb hua salman khan ki wajah se

END

Das könnte Ihnen auch gefallen