Sie sind auf Seite 1von 172

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 1

ARZ-E- MUSANNIFAH
Tamam Ta'rif Rabb e Kaynaat Ke Liye Jis Ne Lafz e
Kun Se Kaynaat Ki Takhliq Farmaai - Aur Salato
Salam Mere Pyare Aqa Par Social
Network Par Main Kafi Dino Se Dekhi Ke
Badmazhab Waghairah Log Ghalat Aqidah Bata Kar
Logon Ko Gumraah Karte Hain - Kisi Ka Manna Hai
Ke Wahabi Devbandi Shiya Qadyani Waghairah Sab
Muslim Hain Kisi Ka Manna Hai Ke Bas Muslim Name
Kafi Hai Islaam Men Firqa Nahi Hai Sabko
Musalmaan Mante Hain Bas Inhi Chizon Ko Dekhte
Huwe Ulma e Islaam Ke Kitabon Se Main Sirf Aqaaid
Ke Fatwon Ko Roman Ki Take Nayi Nasal Jo
Bilkhusus Social Media Ka Aaye Din Us Karte Hain
Unke Aqaaid Pukhta Hon Aur Badmazhabon Se
Door Rahe Isi liye 100 aqaaid Ke Fatwon Ko Main
Roman Karne Ki Koshish Ki Aur InshaALLAH Main
Aqaaid Ke Aur Bhi Post Jo Abhi Hamare Grp Men
Kam Ho Rahe Hain In sha ALLAH Main Awaam Tak
Pahunchane Ki Koshish Karungi Agar Is Likhne Men
Type Mistake Ho Gai Ho To Hame Zarur Agaah
Karen -

Jazak Allah Khair


Fatima Qadriya
+918441094321
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 2

KIYA HUZUR ALAIHISSALAM BASHAR THE


SAWAAL :Zaid Khata Hai Ke Huzur Bashar Hain - Is
Liye Ke Unke Abwain Bashar The ?
JAWAAB :Huzur Sayyad e Alam Noor e Mujassam
Ki Noorani Bashariyat Se Kisi Momin Ko Inkar
Nahi Lekin Bashariyan Ki Aad Le Kar Ye Kahna
Ke Ham Jaise Bashar The Ghustakhi Aur BeAdbi
Hai . Huzur Ka Farman Tawazo Aur
Inkisari Ke Taur Par Hai - Wahabiyon Ke Peshwa
(Sardar ) Molvi Rashid Ahmad Gangohi Ne
Tawazo Ke Taur Par Ahqarunnas Rashid Ahmad
Likha Hai - Ahqarunnas Ke Ma'ana Hain Logon
Men Zalil , Kamina To Kiya Koi Devbandi Ya
Wahabi Ye Kah Sakta Hai Ke Maulana Rashid
Ahmad Ahqarunnas Aur Kamina The . Koi
Wahabi Hargiz Nahi Kah Sakta Balke Kahne
Wale Ko Jawab Dega Ke Hamare Peshwa
(Sardar)Ne Ye Kalam Bataur e Inkesar Iste'mal
Kiya Hai - Is Misal Ki Raushni Men Ham Ahle
Sunnat Ye Kahte Hain Ke Hamare Aqa Wa Maula
Ne Bataur e Tawazo Ke Farmaya
Hai . Lehaza Kisi Ko Ye Haq Nahi
Pahunchta Ke Woh Hamare Paighambar Ko
Apne Jaisa Bashar Kahe _
Fatawa Faiz Al Rasool vol 1 Page No 26
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 3

MAR KAR ZINDAH HONA


SAWAAL:Zaid Kehta Hai Ke Allah Ta'ala Murdon Ko
Dobarah Zindah Karne Par Qadir Hai Lekin
Qayamat Ke Din Murdon Ko Zindah Na Karega
To Dariyaft Talab Amr Ye Hai Ke Zaid Ke Liye
Shar'ai Ka Kya Hukm Hai ?
JAWAAB :Marne Ke Ba'ad Qayamat Ke Din Dobarah
Zindah Ye Aqidah Zaruriyat e Deen Mein Se Hai Lihaza Ye Kehna Ke Khuda e Ta'ala Qayamat Ke
Din Murdon Ko Zindah Na Karega Kafir Hai Ke
Quraane Kareem Ki Bahot Si Aayaton Ka Inkar
Hai -Parah 18 / Surah Mominoon Ke Pehle Ruku
Me Hai


Parah 22 Surah Yaseen Ke Akhri Ruku Men Hai

Parah 24 /Zumar Ke 7Ven Ruku Me Hai

Parah 30 Surah Naba'a Ke Pehle Ruku Me Hai
Raeesul Fuqha Mulla Jiwan Tahrir
Farmate Hain _ Yani Marne Ke
Ba'ad Dubarah Zindah Hone Ka Aqeeda Wajib
Hai Aur Iska Inkaar Karne Wala Kafir Hai _
Tafseerat e Ahmadiya Safa No 433
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 4

Aur Bahare Shariat Hissa 1 Mein Hai . Jo Ye Kahe


Sirf Roohen Uthengi Jism Zindah Na Honge Woh
Bhi Kafir Hai..Lihaza Shakhs E Mazkur Par Is Kufri
Aqeeda Se Taubah Karna Farz Hai Aur Biwi Wala
Ho To Tajdeed e Nikah Karna Zaruri Hai Agar
Woh Aisa Na Kare To Sab Log Uska Islami
Boycott Kare Warna Wo Bhi Gunahgaar Honge

Fatawa Faiz Ul Rasool Vol 1 page No 39/40

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 5

Jiska Koi Peer Nahi Uska Peer Shaitan


SAWAAL :Murdah Qabr Mein Huzur Ko Kaise
Pehchanega Jab Ke Kabhi Dekha Nahi Aur Silsila
E Chishtiya Walo Ka Kehna Hai Ke Apne Peer Ki
Shakl Mein Huzur Tashrif Laaenge - Aur Jiska
Koi Peer Nahi Uska Peer Shaitan Hai Lehaza Woh
Jahannami Yaqeeni Hai To Isme Kiya Asl Hai?
JAWAAB :Murdah Jab Ke Momin Hoga BaTaufiq e Ilaahi
Woh Qabr Mein Huzur Ko Pehchaan Lega Agarche Usne Kabhi Dekha Nahi Hai . Aur Agar
Kafir Hai To Nahi Pehchan Sakega Agarche Usne
Dekha Ho . Silsila E Chishtiya Ka Koi Zimmedaar
Buzurg Aisi Baat Hargiz Nahi Keh Sakta . Aur
Beshak Jiska Koi Peer Nahi Uska Peer Shaitan
Hai Aisa Hi Auliya E Karaam Ke
Irshadat Se Sabit Hai Awarif ul Ma' arif Hazrat
Shaikh Shahabuddin Soharwardi
Tahrir Farmate Hain
- Yani Sayyeduna Ba Yazid
Bustami Se Marwi Hai Unhone
Farmaya Ke Jiska Koi Peer Nahi Uska Imam
Shaitan Hai. Lekin Murshid Ki 2 Qismen Hain _
Ek Murshid e Aam Ke Kalamullah Wa
Kalamurrasool wa Kalam e aimma e Shariat O
Tariqat wa Kalam e Ulma e Din Ahle Rushd o
Hidayat Hai - Isi Silsila E Sahiha Par Awaam Ka
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 6

Haadi Kalam e Ulma Ulma Ka Rahnuma Kalam E


Aimmah ' Kalam e Aimmah Ka Murshid Kalam e
Rasool Aur Kalam e Rasool Ka Peshwa
Kalamullah _ Dusre Murshid
e Khas Ke Bandah Kisi A'alim Sunni Sahihul
Aqidah , Sahih ul A'amal . Jam'e Shara'it e Bai'at
Ke Hath Men Hath De . Lehaza Jo Shakhs Kisi
Murshid e Khas Ka Murid Nahi Hai Uska Murshid
Murshid e Aam Hai Agar Woh Ulma e Karaam
Wa Auliya E Ezaam Ka Sachche Dil Se Mu'ataqid
Hai To Na Woh Be Peera Hai Na Uska Peer
Shaitan -Hazrat Abul Hasan Noorul Millatihi
Waddin Ala Qud Sirruhu Behjatil Asrar Sharif
Men Tahrir Farmate Hain Ke Huzur Pur Noor
Sayyedina Ghaus e Azam Se Arz Kiya
Gaya Ke Agar Koi Shakhs Huzur Ka Name Lewa
Ho Aur Us Ne Na Huzur Ke Dast e Mubarak Par
Bai'at Ki Ho Na Huzur Ka Khatqah Pahna Ho
Kiya Woh Huzur Ke Mureedon Mein Shumar
Hoga Farmaya : - Jo Apne Apko Meri Taraf
Mansub Kare Aur Apna Name Mere Ghulamon
Ke Daftar Mein Shamil Kare Allah Ta'ala Use
Qubul Farmaega .Aur Agar Woh Kisi Na
Pasandidah Raah Par Ho To Use Tauba Ki Taufiq
Ataa Farmaega Aur Woh Mere Muridon Ke
Zumre Mein Hoga Aur Beshak Mere Rab
Ne Mujh Se Wa'da Farmaya Hai Ke Mere
Muridon' Ham Mazhabon Aur Mere Har Chahne
Wale Ko Jannat Mein Dakhil Farmaega
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 7

-

Fatawa Faiz Al Rasool vol 1 page No 40/41

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 8

Peshwae Devband ke aqaaid


SAWAAL:Imdadullah muhajir Makki , Ashraf Ali Thanvi ,
Rashid Ahmad Gangohi, Qasim Nanotvi Bani
Madrasa Devband , Khalil Ahmad Ambethhvi ,
Ismail Delhvi , Musannif Taqwiyatul Imaan ,
Husain Ahmad Aayodhya Bashi , Murtaza Hasan
Bhangi , Khawaja Hasan Nizami , Ilyas Ahmad
Kandhelvi Bani Tablighijama'at Aur Maulana
Abul Kalam Azaad -In Sab Ke Aqaaid Kaise The
In Logon Ko Akaabir e Auliya Samajhna Kaisa
Hai ? In Sab Ko Musalman Janna Ya Janne
Walon Ko Musalman Janna Kaisa Hai ? Qur'an o
Hadis Ki Raushni Men Aur Aqwal e Buzurgaan Se
Sabit Karen?
JAWAAB :
- Hamare Ilm Men Haji
Imdadullah Muhajir Makki Ka Koi Kufr Aur
Gumrahi Sabit Nahi - Balke Wahabi Devbandi
Agar Haji Sahab Ke "Faisla Haft Mas'ala " Ko Man
Len To Sunni Wahabi Ke Darmiyan Kai Ikhtilafi
Mas'alah Ka Khatma Ho Jae - Rahe Molvi Ashraf
Ali Thanvi , Qasim Nanotvi, Rashid Ahmad
Gangohi Aur Khalil Ahmad Ambethhi To Ye Log
Apni Ibaraat e Kufriya Qat'iyyah Mundarja (Yani
Jo Likha Huwa Hai Unki Kitabon Men ) Hifzul
Imaan Page No 8, Tahzirunnas Page 3/14/28 ,
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 9

Aur Barahin E Qati'ah Page No 51 Ki Bina Par


Bamutabiq Fatwa" Husamul Harmain " Aur
Assawarimul Hindiya Kafir O Murtad Hain Is
Tarah Ke Jo Unki Kufriyat Par Yaqeeni Itla'a Pane
Ke Bawajud Unhe Musalman Samjhe Ya Unke
Kafir Hone Men Shak Kare Woh Bhi Musalman
Nahi Aur Ismail Delhvi Ki Chunke Taubah
Mash'hoor Raza Khani Kahna
SAWAAL:Ek Sahihul Aqidah Sunni Imam Ko Raza Khani
Kah Kar Qabr Parast Hone Ka Ilzam Lagana
Mushrik Qarar Dena Aur Uske Pichhe Namaz Na
Hone
Ka
Fatwa
Kaisa
Hai
?
JAWAAB:Sunni Sahihul Aqidah Imam Ko Raza khani Kah
Kar Qabr Parast wa Mushrik Qarar Dena Aur
Uske Pichhe Namaz Na Hone Ka Fatwa Dena
Sarasar Ghlat Aur Batil Hai Balke Kufr Hai Ke
Sunni Sahihul Aqidah Ko Bila Wajah Mushrik
Kahna Khud Shirko Kufr Men Mubtila Hona Hai
Is Liye Ke Sunni Qabr Ko Pujta Nahi Balke Uski
Ziyarat Karta Hai-Hazrat e Buridah Se
Marwi Hai Ke Sarkar Aqdas Ne Farmaya -
Yani Main Ne Tum Logon Ko
Qabron Ki Ziyarat Se Mana Kiya Tha (Lekin Ab
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 10

Main Tumhe Ijazat Deta Hun ) Unki Ziyarat Kiya


Karo
Mishkat Sharif Page 154

Yahan Tak Ke Huzur Ne Farmaya


Yani Jo Shaks Mere Qabr Ki Ziyarat Karega
Uske Liye Meri Shafa'at Wajib Hai ()
Isi liye Sari Dunya Ke Musalman Qabr e Mubarak Ki
Ziyarat Karte Hain . Lehaza Qabr Ki Ziyarat Karne
Wale Ko Qabr Parast Kah Kar Use Mushrik Qarar
Dena Sari Dunya Ke Musalmano ko Mushrik
Thhahrana Hai _

Hai Is Liye Aalahazrat Imam Ahmad Raza Barelvi Ne
Use Kafir Kahne Se Kafe Lesan Kiya Hai (Woh Kafir
Nahi Kahte uski Taubah Mash'hoor ki waja se Lekin
Agar Koi Kafir Kahe Ismail Delhvi Ko To Aalahazrat
Mana Nahi Karenge ) Aur Husain Ahmad Ayodhya
Bashi , Murtaza Hasan Darbhangi , Hasan Nizami ,
Ilyas Kandhelvi , Aur Abul Kalam Azad Ye Sab
Aqaaid e Batila Aur Khayalat e Fasidah Rakhte The
Is Liye Un Men Se Ba'az Ke Liye Kufriyat Sabit Hain
Aur Ba'az Agar Kaafir o Murtad Nahi To Kam Az
Kam Gumrah Zarur Hain Jaisa Ke Unki Kitabon Se
Zahir Hai In Sab Ko Sahih Musalman Janne Wala
Jahil Nahi To Gumrah Hai Aur Gumrah Nahi To Jahil
Hai

Fatawa faiz al Rasool Vol 1 Page No 42/43
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 11

Tablighi Jama'at Mein Jana Kaisa Hai?


SAWAAL:Maulana Ilyas Kandhelwi Ke Aqaaid Kaise The
Aur Unhone Jo Jama'at Banai Aur Naam
Tablighi Jama'at Rakha Is Jama'at Ka Qayam
Kaisa Hai... Is Jama'at Ke Chille Ko Jana Aur Is
Jama'at Ke Ijtima'a Mein Baithna Unke Sath
Gasht Karna Kaisa Hai Jab Ke Us Ijtima'a Mein
Woh Kitab Jiska Naam Tablighi Nisaab Hai Jis
Mein Sarkar e Do Alam Ki Hadisen Naqal Ki Gai
Hain Padhte Hain - Uske Sunne Ke Liye Baithhne
Mein Kya Harj Hai - Shan e Risalat Mein
Gustakhi Ismail Delhvi Ashraf Ali Thanvi
Waghairaham Ne Ki - Maulana Ilyas Sahab Ki
Zaat Tauhin E Rasool Se Bari Hai Unki Jama'at Ka
Kam Sirf Kalma Namaz Ki Tabligh Hai - Jab Ke
Sarkar Ne Bhalai Ka Hukm
Dena Burai Se Mana Karne Ka Hukm Dena Har
Musalman Ke Liye Farmaya Hai Is Jama'at Mein
Shirkat Sahih Hai Ya Nahi? Tafseel Se Agaah
Farmaen
JAWAAB :Ilyas Ke Aqaaid Wahi The Jo Maulvi Ashraf Ali
Thanvi Ke The Aur Maulvi Ashraf Ali Thanvi Ke
Aqaaid Kufri The Jaisa Ke Uski Kitab " Hifzul
Imaan " Page No 8 Se Zahir Hai Jiske Sabab
Makkah Muazzama , Madina Tayyebah, Aur
India, Pak , Waghairah Ke 100 Senkdon Ulmae
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 12

Karam Wa Muftiyan e Ezam Ne " Husamul


Harmain " Aur " Assawarimul Hindiyah " Mein
Maulvi Ashraf Ali Thanvi Ke Kafir-o-Murtad Hone
Ka Fatwa Diya Aur Tahrir Farmaya Ke
Aur Maulvi Ilyas Kandhelvi Ki
Tablighijama'at Ka Maqsad Chunke Ashraf Ali
Thanvi Aur Rashid Ahmad Gangohi Waghairah
Ki Kufri Ta'lim Ki Nashr-o-Asha'at Aur
Musalmanane Ahle Sunnat Ko Wahabi Banana
Hai Isliye Uska Qayam Na Jaiz Hai . Tablighi
Jama'at Ke Chille Ko Jana , Uske Ijtima'a Mein
Baithhna Aur Unke Sath Gasht Karna Jaiz Nahi
Ke Din-o-Imaan Ke Liye Zahr e Qatil Hai - Aur
Tablighi Nisab Jo Ijtima'a Mein Padha Jata Hai
Agarche Uski Sab Batein Galat Nahi Hain Ke Is
mein Qur'an Majid Ki Aayatain Aur Hadisain Bhi
Hain Magar Bad Mazhab o Gumraah Se Qur'an o
Hadis Ka Ilm Hasil Karna Bhi Jaiz Nahi . Muslim
Sharif Ki Hadees Hai Yani Jisse
Apne Din Ka Ilm Hasil Karo Use Dekh Lo Ke
Gumraaho Bad Mazhab To Nahi Hai (Mishkat
Sharif Page No 37)
Maulvi Ilyas Kandhelvi Ki Zaat Agarche Bazahir
Tauhin E Rasool Se Bari Hai Lekin Jab woh
Maulvi Ashraf Ali Thanvi Waghairah Tauhin E
Rasool Karne Walon Ko Apna Peshwa(Sardar)
Maante Hain Aur Unki Taeed Karte Hain To Woh
Bhi Mujrim Hain . Sirf Zahir Mein Unki Jama'at Ka
Kaam Kalma Wa Namaz Ki Tabligh Hai Haqiqat
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 13

Mein Musalmanane Ahle Sunnat Ko Wahabi


Banana Hai Isliye Us Jama'at Mein Shareek Hona
Haramo Na Jaiz Hai

Fatawa faiz al Rasool vol 1

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 14

ALLAH TA'ALA KI TARAF KISI AIB KI NISBAT


KARNA
SAWAAL :Kya Farmate Hain Ulmae Deen Is Baare Mein Ke
Ek Shakhs Jo Bazahir Musalman Hai ALLAH
Ta'ala Ke Liye Ye Aqidah Rakhta Hai Ke Who :
1. To 1 Lakh Nabi Paidah Kar Sakta Hai .
2. Chahe To Jhoot Bol Sakta Hai .
3. Chahe To Zina Kar Sakta Hai .
4. Chahe To Aulad Bana Sakta Hai .
Kya aise aqaaid Rakhne Wala shakhs Musalman
Kehla Sakta Hai Ya Dayr e Islam Se Kharij Hai?
Qur'an o Hadis Ki Raushni Mein Mudallal Jawab
Inayat Farmain
JAWAAB :Is Qism Ki Wahiyat Baten Karne Wala Sakht
Gunahgar ' Gustakh Aur Allah Ki Tauheen Karne
Wala Hai - Is Liye Uske Musalman Hone Ka
Sawaal Hi Paida Nahi Hota ' Woh Kafir Hai - Woh
Qudrat Ka Ma'na Janta Hai Aur Na Hi Aisi
Bunyadi Baat Janta Hai Ke Allah Har Aib Se Paak
Hai - Tafseel Ke Liye Aalahazrat Maulana Shah
Ahmad Raza Ki Kitab
" Aur Dusre Ulma e Ahle Sunnat Ki Is Mauzu
Par Likhi Gai Kitaabo Ka Muta'ala Kare _

Waqar al Fatawa 68

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 15

Maududi Aur Jama'at e Islami Ke Aqaaid


SAWAAL :Aqaaid-o-khayalat Ke Aitebar Se Maududi
Jama'at wa Jama'at e Islami Hind Mein Kya Farq
Hai ? Aur Aise Aqaaid Wale Musalman Hain Ya
Kafir Neez Unko Masajid Ka Imam, Ya Muazzin,
Ya Mutawalli Banana Ya Shadi Byaah Ka Muamla
Karna ,Qazi e Nikaah Banana ,Unki Majaliso
Ijtima'aat Mein Sharik Hona, Unki Kitaben
Padhna Padhana, Unke Sath Salamo Qayam
,Khana Pina ,Dosti Wa Mohabbat Ka Rishta Qaim
Karna, Az Rue Shara'a Kaisa Hai ?
JAWAAB : Maududi Jama'at Aur Jama'at
e Islami Hind Mein Koi Farq Nahi Ke Aqaaid o
Khayalat Ke Eitebaar Se Ye Dono Jama'aten Ek
Hain Ulma e Ahle Sunnat Ne Tafhimat
Waghairah Ki Kufri Ibaraton Ke Sabab Is Jama'at
Ke Bani Abul A'ala Maududi Ko Kafir Qarar Diya
Hai Jis Ki Tafseel Mufti Mahboob Ali Khan
Ke Risala "MAUDUDI AQAAID MA'AROOF
KUFRIYAT " Mein Hai Lehaza Jo Log Maududi Ki
Kufri Ibaraton Par Yaqeeni Ittila'a Paakar Bhi Use
Musalman Jante Hon Woh Bhi Usi Ke Hukm
Mein Hain - Aur Jin Logon Ko Maududi Kufriyat
Ki Yaqeeni Ittila'a Nahi Magar Unka Tariqa e
Kaar Maududiyon Aur Wahabiyon Ki Tarah Hain
Woh Gumrah Aur Bad Mazhab Hain , Unko
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 16

Masaajid Ka Imam Banana Ya Mua'zzin wa


Mutawalli Banana , Unke Sath Shadi Byaah Ka
Muamla Karna , Unse Nikah Padhwana , Unki
Majaliso Ijtima'aat Mein Shirkat Karna , Unki
Kitaben Padhna Padhana- Unse Kid Qism Ka
Islami Ta'alluq Rakhna Shar'an Na Jaiz Hai
Musalmano Par Lazim Hai Ke Aise Logon Ka
Bycott Karen _
) )Is Ayat Ke Tehat
Hazrat Mulla Jiwan Tafseerat e
Ahmadiya Mein Tahrir Farmate Hain
Aur Hazrat
Abu Hurairah Se Marwi Hai Ke Rasool
Allah Ne Farmaya :- Badmazhab
Agar Bimar Paden To Unki Ayadat Na Karo Agar Mar Jaen To Unki Namaze Janaza Mein
Sharik Na Hona - Unse Mulaqat Ho To Salam Na
Karo - Unke Janaze Ki Namaz Na Padho Aur Na
Unke Sath Mil Kar Namaz Padho (muslim Sharif )
Aur Is Hadis Ko Abu Dawud Ne Hazrat e Ibn e
Umar Se Aur Ibne Maja Ne Hazrat e Jabir Se Aur
Aqeel Ibn e Huban Ne Hazrat e Anas Se Bhi
Riwayat Kiya Hai
Fatawa Faizurrasool vol 1 page No 44/45

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 17

Allah Ki Zaat Ke Liye Upar Wala Bolna Kaisa Hai?


SAWAAL :Allah ki zaat ke liye upar wala bolna kaisa hai ? Is
jumla se jehat ka suboot
hota hai ya nahi ? Agar koi ye jumla bolkar
buland-o-baala aur bartari ke ma'ana me
istemaal kare to uski taweel masmu hogi ya
nahi?
JAWAAB:
Khuda-e-ta'ala ki zaat ke liye upar wala bolna
kufr hai ke is lafz se uske liye jehat ka suboot
hota hai aur iski zaat jehat se paak hai jaisa ke
Hazrat Allama Sa'aduddin Tahrir
farmate hain
)
23 )
Aur Hazrat Allama Ibn-e-Najeem Misri
Tahrir farmate hain
5 )
120
Lekin agar kui shakhs ye jumla bulandi-o-baala
aur bartari ke ma'ana me istemaal kare to qaail
par hukm-e-kufr na karenge...magar is qaul ko
bura hi kahenge aur qaail ko is se rokenge

Fatawa faizurrasool Jild 1 page no 3
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 18

ISLAM SE KHARIJ HONE KA IRADAH KARNA


SAWAAL :Kya Farmate Hain Ulma e Din Is Mas'ale Mein Ke
Zaid Ne Khud Ki Bargah Mein Wa'adah Kiya Tha
Ke Main Fulan Gunah Nahi Karunga Aur Agar
Karunga To Musalmaniyat Se Kharij Ho Jaunga '
Ya'ni Musalman Nahi Rahunga - Kya Zaid Ab
Musalman Nahi Raha ? Kyonke Zaid Se Ye Gunah
Sarzad Ho Gaya Hai - Zaid Ne Phir Kalma Padh
Kar Ghusl Kar Liya Khuda Se Taubah Karke
Dobarah Musalman Ho Gaya - Kya Zaid Sahih
Tariqa Se Dobarah Musalman Ho Chuka Hai?
Agar Nahi To Phir Kis Tarah Se Musalman Hoga ?
Kya Aaindah Kabhi Zaid Us Gunah Ka Murtakib
Huwa To Phir Musalmaniyat Se Kharij Ho Jaega ?
Ya Ek Daf'a Usne Wa'adah Tod Diya To Kya Ye
Wa'adah Hamesha Ke Liye Khatam Ho Gaya Ya
Baqui Rahega ? Iske Ilawa Bhi Zaid Ne Bahut Se
Aur Gunahon Ke Bare Mein Allah Ta'ala Se
Wa'ade Kiye The Ke Agar Maine Fulan Gunaah
Kiya To Musalman Nahi Rahunga - Phir Baad
Mein Zaid Ko Ehsas Huwa Ke Use Ye Wa'ade
Nahi Karne Chahiyen The - Kya Woh Ab Apne In
Wa'adon Ko Wapas Le Sakta Hai ?
Barae Meharbani in Masail Ka Tafseel Se Jawaab
Likhen Mashkur Rahunga
JAWAAB :Koi Musalman Agar Kisi Feil Ke Karne Ya Na
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 19

Karne Ki Shart Par Apne Kafir Hone Ya Islam Se


Kharij Hone Ki Baat Kahe Jaisa Ke Sawal Mein
Mazkur Hai Ke Agar Main Fulan Kam Karun To
Muslamaniyat Se Kharij Ho Jaunga Ye Baat Jis
Waqt Boli Usi Waqt Kafir Ho Gaya ' Feil Kare Ya
Na Kare - Imaan, Tasdiq Aur Yaqeen Ka Name
Hai - Yaqeen ' Zaail Hone Ka Ehtimaal Nahi
Rakhta - Jab Koi Shakhs Kisi Shart Par Us Ke Zaail
Hone Ki Baat Muallaq Karta Hai To Goya Usi
Waqt Use Yaqeen Nahi - Is Liye Fiqha Ne Ye
Hukm Diya Hai Ke Usne Jitne Kamo Ke Liye Bhi
Is Qism Ke Alfaaz Istemal Kiye The Un Sab Se
Fauran Tauba Karni Chahiye Aur Naye Sire Se
Kalma Padhna Chahiye , Agar Shadi Shudah Hai
To Nikah Bhi Dobarah Kare - Gunah Karna
Hamesha Bura Hai Magar Us Shakhs Se Aaindah
Woh Af'aal Sadir Hon Jin Ke Na Karne Ki Us Ne
Ye Qasam Khai Thi To Unse Ye Kafir Na Hoga

Waqar Al Fatawa 60/61

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 20

Ibne Taimiya Ke Aqaaid


SAWAAL :Ba'az Log Ibn-e-Taimiya Ki Bahut Tarif Karte Hain
To Ibn e Taimiya Kaun Tha Aur Uske Khayalat
Kaise The ?
JAWAAB : . Jo Log Ibne Taimiya Ki
Bahut Ta'rif Karte Hain Ya To Woh Log Gumrah
o Badmazhab Hain Aur Ya To Unhe Ibn e
Taimiya Ke Bare Mein Sahih Maloomat Nahi Ke
Woh Gumrah wa Badmazhab Aadmi Tha Usne
Bahut Se Masail Mein Kharq e ijma'a Kiya Aur
Deen Mein Bahut Se Fitne Paida Kiye Jaisa Ke
Fatawa Hadisiya Mein Hai- Halat e Haiz (period )
Mein Aur Jis Tahr Mein Ham bistari Ki Hai Talaq
Nahi Waqe Hoti Namaz Agar Qasdan Chhod Di
Jae To Uski Qaza Wajib Nahi Halat e Haiz (period
) Mein Baitullah Sharif Ka Tawaf Karna Jaiz Hai
Aur Koi Kaffarah Nahi 3 Talaq Se Ek Hi Talaq
Padti Hai .
Tel (Oil ) Waghairah Patli Chizen Chuha
Waghairah Ke Marne Se Najis Nahi Hoti
Baad Ham bustari Ghusl Karne Se Pehle Raat
Mein Nafil Namaz Padhna Jaiz Hai Agarche
Shahar Mein Ho Aur Jo Shakhs Ijma e Ummat Ki
Mukhalifat Kare Use Kafir O Fasiq Nahi Qarar
Diya Jaega
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 21

Khuda e Ta'ala Ki Zaat Mein Taghayyur o


Tabddul Hota Hai . Aur Allah Ta'ala Ke Jism
Hone Aur Uske Liye Jehat Aur Ek Jagah Se Dusri
Jagah Muntaqil Hone Ka Qaail Hai
Kehta Hai Ke Khuda e Ta'ala Bilkul Arsh Ke
Barabar Hai Na Us Se Chhota Hai Na Bada .
Aur Ye Bhi Kehta Hai Ke Jahannam Fana Ho
Jaegi .
Aur Ye Bhi Kehta Hai Ke Ambiya e Karam
Ma'soom Nahi Hain . Aur Rasool Allah
Ka Koi Martaba Nahi Hai Unko Waseela
Na Banaya Jae Aur Huzur Ki
Ziyarat Ki Niyat Se Safar Karna Gunaah Hai Aise
Safar Mein Namaz Ki Qasr Jaiz Nahi Jo Shakhs
Aisa Karega Woh Huzur Ki Shafa'at Se Mahroom
Rahega
Inhi Aqaaid Ki Bunyad Par Jab Khatimul Fuqha
Wal muhaddiseen Hazrat Shahabuddin Bin
Hajar Haitimi Makki Se Zikr Kiya Gaya
Ke Ibn e Taimiya Ne Muakhirin Sufya Par Aiteraz
Kiya Hai To Unhone Farmaya : Yani Ibn e Taimiya
Aisa Shakhs Hai Ke Khuda e Ta'ala Ne Use Na
Muraad Kar Diya Aur Gumrah Farma Diya Aur
Uski Basarat o Sama'at Ko Salb Farma Liya Aur
Usko Zillat Ke Gadhdhe Mein Gira Diya Aur In
Baton Ki Tasrih Un Imamo Ne Farmai Hai
Jinhone Uske Ahwaal Ke Fasaad Aur Uske
Aqwaal Ke Jhoot Ka Pol Khola ..Jo Shakhs In
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 22

Baton Ka Tafseeli Ilm Hasil Karna Chahta Hai Use


Lazim Hai Ke Woh Us Imam Ke Kalam Ka Mutala
Kare Jinki Imamat o Jalalat Par Sab Ulma e
Karam Ka Ittifaq Hai Aur Jo Martaba e Ijtihad Par
Faaiz Hain . Yani Hazrat Abul Hasan Subki
Aur Hazrat Tajuddin Subki Ke
Farzand Aur Hazrat Shaikh Aizuddin Bin Jimaa'a
Aur Unke Ham Asr Shafei' Maliki Aur Hanfi Ulma
Ki Kitabon Ko Padhe Aur Ibne Taimiya Ke
Aiterazat Faqat Muta'akhkhirin Sufiya Hi Par
Nahi Balke Woh To Is Qadar Had Se Badh Gaya
Ke Hazrat Umar bin Al Khattab Aur Hazrat
Ameerul Mominin Hazrat Ali Bin Abi Talib
Jaisi Muqaddas Zaton Ko Bhi Apne Aiterazat
Ka Nishana Bana Dala - Khulasa Ye Hai Ke Ibn e
Taimiya Ki Bakwason Ka Koi Wazan Nahi Balke
Woh Is Qabil Hain Ke Gadhhon Aur Kuwon Mein
Phenk Di Jaen Aur Ibn e Taimiya Ke Bare Mein
Yahi Aiteqad Rakha Jae Ke Woh Bud'ati Gumrah
. Dusron Ko Gumrah Karne Wala - Jahil Aur Had
Se Tajawuz Karne Wala Hai - Khuda e ta'ala Usse
Intiqam Le Aur Ham Sab Logon Ko Uski Rah Aur
Uske Aqaaid Se Apni Panah Mein Rakhe Ameen
Fawata Hadisiya

Aur Aarif Billah Hazrat Shaikh Ahmad Sawi


Maliki Tahrir Farmate Hain :- Yani Ibne
Taimiya Hambali Kehlata Tha . Halanke Us
Mazhab Ke Imamon Ne Bhi Uska Radd Kiya Hai MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 23

Yahan Tak Ke Ulma Be Farmaya Ke Woh Gumrah


Aur Dusron Ko Gumrah Karne Wala Hai Sawi Jild 1 page 94

Fatawa faiz al Rasool vol 1

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 24

Tamam Firqe Ko Haq Samajhna


SAWAAL:Umaro Jo Ke Namaz Roza Ka Paband Ho
Buzurgan e Din Ka Fatiha Qayam o Salam Ka Bhi
Qail Ho . Lekin Devbandi Wahabi Waghairah Ke
Pichhe Namaz Padhta Ho Aur Ye Kehta Ho Sab
Firqe Haq Par Hain Kisi Ko Bhi Bura Nahi Kehna
Chahiye Hamare Deen Mein Kisi Ko Bhi Bura
Kehne Ko Nahi Kehta To Kiya Umrao Haq Par
Hai.... Umrao Ke Liye Kya Hukm Hai ?
JAWAAB :Umrao Batil Par Hai Is Liye Ke Sarkaar Aqdas
Ne Farmaya :-
Yani Anqarib Meri Ummat 73 Firqon
Mein Bath Jaegi Unme Ek Firqa Jannati Hoga
Baqui Sab Jahannami Honge - Lehaza Umrao Ka
Ye Kehna Ke Sab Haq Par Hain Gumrahi Hai Aur Agar Devbandi Wahabi Ke Aqaaid e Kufriya
Par Yaqeeni Ittila Pane Ke Bawajood Unhe Haq
Par Samajhta Hai Aur Musalman Jaan Kar Unke
Pichhe Namaz Padhta Hai To Bamutabiq Fatwa
Husamul Harmain Kafir Hai - Namaz Ka Paband
Hona - Buzurgan e Din Ka Fatiha Dilana Aur
Qayam o Salaam Waghairah Ka Qaail Hona Use
Kafir Hone Se Nahi Bachaega , Aur Umrao Ne Jo
Ye Kaha Ke Hamare Deen Ne Kisi Ko Bhi Bura
Kehne Ko Nahi Kehta Hai To Wahabiyon Ka
Khud Sakhta Deen Zarur Bure Ko Bura Kehne Se
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 25

Rokta Hai Lekin Mazhab e Islam Kafir Ko Kafir


Kehne Aur Sarkar e Azam Ke
Gustakho Ko Bura Kehne Ka Ta'lim Deta Hai
Jaisa Ke Allah Ta'ala Ne Mein Kafiron
Ko Kafir Kehne Ka Hukm Diya Hai . Aur Abu
Lahab, Walid Bin Mughirah Aur Aas Bin Waail
Waghairah Kuffar e Quraish Ne Jab Huzur Ki
Shaan Mein Gustakhi Aur BeAdbi Ki To Huzur Ne
Unhe Koi Jawab Nahi Diya Magar Allah Ta'ala
Ne Unki Burai Mein Aayat e Karima Nazil Farmai
Jis Se Sabit Huwa Ke Hame Koi Bura Kahe Aur
Hamari Shan Mein Gustakhi Kare To Jawaab Na
Dena Sunnat e Rasool Hai Aur Agar
Huzur Ki Shaan Mein BeAdbi Kare To Use Sakhti
Ke Sath Jawaab Dena Aur Bura Kehna Sunnat e
Ilaahiya Hai
Hum Ahle Sunnat Wal Jama'at Sunnat e Rasool
Aur Sunnat e Ilahiya Dono Par Amal Karte Hain
Ke Hame Koi Bura Kehta Hai To Hum Khamosh
Rehte Hain Lekin Jab Sarkar Ki Shaan Mein
Tauhin Karta Hai To Use Munh Tod Jawaab Dete
Hain Lekin Qaum E Wahabiya Uske
Bilkul Bar Aks Karte Hain Yani Unhe Koi Gali
Deta Hai To Woh Bhi Use Gali Dete Hain Aur
Ladne Jhagadne Ko Taiyaar Hote Hain Lekin Jab
Sarkar Ki Shaan Mein Koi Gustakhi Karta Hai To
Khamosh Rehte Hain Balke Gustakhi Karne
Walon Ka Sath Dete Hain Aur Jawab Dene Wale
Ko Jhagdalu Fasadi Qarar Dete Hain - Khuda e
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 26

Ta'ala Inhe Samajhne Aur Mazhab e Haq Qubul


Karne Ki Taufiq Ataa Farmae
Fatawa Faiz Al Rasool Vol 1 page No 49

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 27

73firqa Aur Wahabi Qadyani ka Zikr


SAWAAL:Huzur Ne Irshad Farmaya Ke Meri Ummat
73Firqon Men Bat Jaegi - Un Men Se Ek Firqa
Naji (Jannati ) Hoga Baqui Sab Nari (Jahannami )
- Aur Ghuniyatut'Talibin Men Un 72 Gumrah
Firqon Ka Zikr Hai Lekin Un Men Qadyani Aur
Aur Wahabi Waghairah Ka Kahin Name Nahi Jis
Se Zaid Ye Natija Nikalta Hai Ke Zamana e
Maujudah Ke Tamam Firqe Farzi Hain Gumrah
Nahi To Iska Kiya Jawab Hai ?
JAWAAB:Huzur Sayyad e Alam Ka Irshad Haq Hai Aur
Ghuniyatut'Talibin Men 72Firqon Ka Jo Zikr Kiya
Gaya Hai Woh Bhi Sahi Hai Lekin Zaid Ka Is Se
Natija e Mazkoor (jo Upar Zikr Huwa ) Nikalna
Gumrahi Hai Haqiqat Ye Hai Ke Zamana e
Maujudah Ke Tamam Gumrah Firqe Qadyani ,
Chikdalwi Aur Wahabi Waghairah Har Ek Un 72
Firqon Men Se Kisi Ek Ki Shakh Hain Aur 72 Asl
Hain Balke Qayamat Tak Jitne Gumrah Firqe
Paidah Honge Sab Ke Sab Inhi Naslon Aur Shakh
Ki Furu'a Honge -
Fatawa faiz al Rasool vol page no 49

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 28

Huzur Ke Qabr e Mubarak Ka Woh Hissa Ka'ba


Arsh o Kursi Se Bhi Afzal
SAWAAL:Kya Ye Aqidah Haq Hai Ke Huzur Ke Jism-eMubarak Se Zameen Ka Jo Hissa Laga Huwa Hai
Woh Ka'ba Sharif Se Afzal Hai JAWAAB :Sarkaar Aqdas Ke Jism-e-Anwar Se Zameen Ka
Jo Hissa Laga Huwa Hai Woh Ka'aba Sharif Se
Balk-e-Arsh-o-Kursi Se Bhi Afzal Hai .
Beshak Ye Aqidah Haq Hai Alaa Hazrat Imaam
Ahmad Raza Khan Fazil-e-Barelvi Tahrir
Farmate Hain Ke Turbat-e-At'har Ya'ni Woh
Zamin Ke Jism-e-Anwar Se Muttasil Hai Ka'aba
Sharif Balke Arsh Se Bhi Afzal Hai
Fatwa Razviyyah Jild 4 687Men Hai .

...

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 29

Huzur Ghaib Dan Hain


SAWAAL:
Zaid aur Umrao mein is baat par guftagu huwi
ke Huzur mazhar-e-khuda hain Allah Aalimul
ghaib hai Huzur bhi Aalimul ghaib, Allah hayyo
qayyum hai huzur bhi hayyo qayyum hain wa ba
Ata-e-ilaahi to bakar ne kaha ke bande par
Aalimul ghaib ka ya hayyu wa qayyum ka itlaaq
jaiz nahi Huzur Aalim-Ghaib ya'ani ghaib daan
zarur hain usi tarah qayyum nahi qeem zarur
hain waghairah waghairah in masaail ko
waazeh taur par tahrir farmaen _
JAWAAB:
Huzur Aalim-e-Ghaib ya'ni ghaib daan zarur
hain lekin Aalimul ghaib ka itlaaq Huzur par jaez
nahi aur beshak
Huzur hayyo qayyum hai ya'ani zindah hain
HADEES SHARIF mein hai
magar Huzur ko
qayyum kehna jaiz nahi ke ye khuda-e-ta'ala ke
asmaa khasa se hai jaise rahmaan.

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 30

Kya Allah Ta'ala Har Jagah Maujud Hai ?


SAWAAL:
(1)Hum logon ka aqidah hai ke khuda hazir-onazir hai - to ye durust hai ya nahi ?
(2) Jab log ek jagah baith kar baat chit karte
hain to unke darmiyan khuda maujud hota hai
ye kahna chahiye ya nahi ?
JAWAAB:
(1)Agar hazir-o-nazir ba ma' Ana shahid-o baseer
Eitiqaad rakhte hain , ya'ani har maujud Allah
Ta'ala ke saamne hai aur woh har maujud chiz
ko dekhta hai to ye aqidah haq hai magar is
aqeedah ki taabir lafz-e-hazir-o-nazir se karna
yani Allah ke baare mein hazir-o-nazir ka lafz
istemaal nahi karna chahiye lekin phir bhi agar
koi shaks is lafz ko Allah ke baare mein bolega to
wo kufr na hoga jaisa ke durre mukhtaar ma'a
shaami jild 3 page no 307 mein hai

(2)Jab log ek jagah baith kar baat chit karte hain
to unke darmiyaan khuda maujud hota hai .ye
nahi kehna chahiye is liye ke Allah ta'ala jagah
aur makaan se paak hai .Aqaaid e nisfi mein hai .
ke tehat sharah aqaaid e nisfi page
no 33 par hai

Aur parah 28 ruku 2 mein hai
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 31

to is aayat e Karima ka matlab ye hai ke


Allah ta'ala unhe mushahidah farmata hai aur
unki wagah ko janta hai Iska matlab ye nahi ke
unke darmiyaan khuda-e-ta'ala maujud hota hai
Tafseer-e-jalaalain mein hai aur
Allama saawi ne farmaya
aur Tafseer-e-madaarik mein
is aayat e Karima ke tehat hai
.

Fatawa Faizurrasool jild no 1 page no 3

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 32

Khizir Wali The Ya Nabi


SAWAAL:Khizir Alaihissalam Wali The Ya Nabi ? Agar Wali
The To Hazrat Musa Mansab-E-Nabuwat
Par Faaiz Hote Huwe Unke Samne Kaise
Pareshaan The Jab Ke Ummati Apne Nabi Ka
Mohtaj Huwa Karta Hai . Ya Phir Dusre Musa The
Jo Nabi Na The . Aur Agar Jalilul Qadr
Paighambar Hazrat Musa Kalimullah
Murad Hain To Ek Wali Ke Samne Nabi Ke
Pareshaan Hone Ka Kya Sabab Hai ? Bittafseel
Jawab Se Ba Hawala e Kutub Matla'a Farmaen ?
JAWAAB:
Hazrat e Khizir Wali The Ya Nabi ? Is Men
Mufassirin Karam Ka Bada Ikhtilaf haI... Ba'az
Logon Ne Kaha Woh Aksar Ke Nazdik Nabi Nahi
The Jaisa Ke Tafseer e Khaazin Mualimul Tanzil
Men Aayat e Karima
ke tehat hai Aur
Tafseer e Jalalain Men Hai
Magar Hazrat Allama
Imam Raazi Tahrir Farmate Hain Ke
Woh Aksar Ke Nazdik Nabi Hain . Aur Allama
Sulemaan Jumal Likhte Hain Sahih Ye Hai Ke
Woh Nabi Hain Jaisa Ke Tafseer e kabir Jild5
Page No 514 Men Hai
Aur Tafseer e Jumal Men Hai
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 33

Aur Khizir
Nabi Hon Ya Ghair Nabi Bahr e Surat Ba'az
Uloom Men Woh Ek Nabi Se Badh Sakte Hain Is
Liye Ke Jin Uloom Par Nabuwat Mauquf Nahi Un
Uloom Men Nabi Se Badh Kar Ghair Nabi Ho
Sakta Hai Jaisa Ke Allama Imam Raazi
Tahrir Farmate Hain
Tafseer e Kabir Jild 5 Page No
515 Aur Ba'az Uloom Jo Khizir Ko Hasil
The Agarche Use Hazrat e Musa Nahi
Jante The Magar Jo Uloom Ke Hazrat e Musa
Ko Hasil The Hazrat e Khizir Bhi Us
Se Waaqif Nahi The Jaisa Ke Hadis Sharif Men
Hai Ke Hazrat e Khizir Se Hazrat e Musa
Ne Kaha

Bukhari Sharif Jild 2 Oage No 688
Aur Hazrat e Musa Hazrat e Khizir
Se Pareshan Nahi The Balke Muta'ajjub The
Aur Iski Waja Ilmul Asraar Se A'dm Wuquf Hai .

Fatawa Faiz Al Rasool Vol 1 page No 39

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 34

Kafir Ko Kafir Na Kahne Ka Hukm


SAWAAL :Kya Farmate Hain Ulma Deen Wa Muftiyaan
Shara E Mateen Is Mas'alah Men Ke Zaid Ne Ek
Baar Kaha Tha (Ke Kafir Ko Kafir Nahi Kehna
Chahiye) us Ke Is Qoul Par Bakar Ne Aalim e
Shariat Se Fatwa Poocha Jawab Men Mufti Ne
Zaid Ke Is Qoul ki Tardeed Ki Aur Us Ko Is Bina
Par Kafir Bataya Bakar Ne Zaid Ko Jawab Se
Mutl'a Kiya Aur Usko Touba Par Majboor Karna
Chaha.Lekin Zaid Ne Apne Is Qoul Se Inhiraaf
Kiya Aur inkaar Kardiya Ke Aisa Qoul Maine
Hargiz Nahi Kiya Hai.
Lihaza Daryaft Talab Amr ye Hai Ke Zaid Ke Is
Inkar Par (Ba Wajood Ye kebIs Ke Qoul Par Do
Mufti Parhezgar Ki Nishandehi Moujood hai)
Neez Zaid Imam Hai Iske Muqtaddiyo Par Zaid Ki
Is Qoul Ki Ittila Ho Chuki Hai Aur Wo Bhi Yahi
Jaante Hai Ke Shariat Ne Zaid Ko Gumrah
Bataya Hai Is Se Har Tour Par Alag Rehne Ki
Taqeed Farmayi Hai Uske Peeche Jab Tak Touba
Na Kare Namaz Padhne Se Mana Farmaya Hai Us
Ke Baawajood Uske Muqaddiyo Ne Kisi Qism Ki
Bezaari Ka Izhaar Nahi Kiya Uske Peeche Namaz
Padha,Shaq Nahi Kiya Balke Us Ke Moeen-oMadadgaar Bane Rahe.
Lihaza Ab Awaam Kya Hukm Hai
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 35

JAWAAB :Zaid Ka Ye Qoul Kafir Ko Kafir Nahi Kehna


Chahiye Farman e Ilahi Ke Khilaf Hai Quraan E
Majeed Ka Irshaad Hai:
Yani Pukar Kaho ke Ae Kafiro Mai Uski Ibadat
Nahi Karta Jis Ko Tum Poojte Ho Is Ayat Paak
Mai Allah Azzawajal Ne Hukm Diya Ke Kafiro Ko
Kafir Kahe Aur Zaid Uska Inkar Karta Hai Ye Zaid
Ki Jahalat Hai Aur Bad Deeni Hai,Bad Deenwi,
Wahabiyo Ne Apne Kufriyat par Parda Dalne Ke
Liye Ye Masala Gadha Hai Ke Kafir Ko Kafir Nahi
Kehna Chahiye,Wahabiyo Se Sunkar Baz
Jahiliyon Ne Bhi Kehna Shuru Kardiya Hai.Zaid
Agar Sahab E Ilm Hai To Ye Qoul Us Ki Bad Deeni
Aur Wahabiyat Par Daleel Hai Aur Jabke Do
Muttaqi Shahid Ya Shahadat dete Hai Ke Zaid Ne
Un Ke Saamne Kaha Ke Kafir Nahi Kehna
Chahiye To Zaid Ka Ye Qoul Sabit Hogaya Ab
Zaid Ka Inkaar Karna Ye Ye Kehna Ke Aisa Qoul
Maine Hargiz Nahi Kiya Ye Shahadat Moujood
Hote Huwe Hargiz Nahi Suna Jayega,Agar
Shahadat Na Hoti To Zaid Ka Inkar Us Ke Qasam
Ke Saath Maan Liya Jata . Lekin Jabke Do
Mu'atabar Shahadat De Rahe Hai To Zaid Agar
Qasam Kha Kar BHi Inkar Kare Tab Bhi Hargiz
Mu'atabar Nahi Hadees Mai Hai:
(Bukhari Kitaab Ar Rehn)
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 36

Yani Maddai Par Shahadat Hai agar Shahadat Na


Huwi To Maddai Alai Par Qasam Hai.
Lihaza Shahadat Moujood Hote Huwe Zaid Ka
Inqaar Hargiz Muatbar Nahi Ta Waqteka Zaid
Apne Qoul Aur Wahabiyat Se Aslan Khalis
Tauba Na Kare iqtda durust Nahi Jo Musalman
Ba Wajood Mutla Hone Us Halat Mai Zaid Ke
Maeen Aur Madadgar Hai Aur Uske Peeche
Namaz Padte Hai Wo Sakht Gunahgaar Hai In Ko
Apne Is Feil Se Touba Karna Chahiye Aur Zaid
Jabtak Touba Na Kare Us Se Kat E Ta'alluk Kare.
Wallahu Ta'ala A'alam.

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 37

Rasool Allah Sallallaho Alaihi Wasallam Aur


Firishton Par A'ib Lagana
SAWAAL:Bakar Ne Bazaar Se Samaan Kharida Aur Usko
Ghar Le Kar Aya Aur Ghar Par Khalid Se
Mulaaqat Huwi To Khalid Ne Bakar Se Kaha Ke
Ye Saman Kharab Hai Aur Aibdaar Hai To Bakar
Ne Kaha Aib Kiske Andar Nahi Hai Aib To Allah
Ke Ilaawah Sab Ke Andar Hai To Us Par
Khalid Ne Kaha Ke Kiya Aib Rasool e Paak
Ke Andar Bhi Hai? .To Bakar Ne Kaha
Han Phir Khalid Ne Kaha Kiya Firishton Ke Andar
Bhi Hai ?- To Bakar Ne Kaha Han . Firishton Ke
Andar Bhi Hai ! Phir Bakar Ke Is Kahne Par
Khalid Ne Kaha Ke Taubah Karo . To Bakar Ne
Kaha Ke Main To Barabar Taubah Karta Rahta
Hun Aise Taubah Karne Se Kiya Faydah? . To
Mazkoorah Surat Men Bakar Islaam Se Kharij
Huwa Ya Nahi Aur Us Par Taubah Aur Tajdid e
Nikaah Zaruri Hai Ya Nahi ? Aur Uske Pichhe
Namaz Padhna Aur Uska Zabiha Khana Kaisa
Hai?
JAWAAB:
Surate Mustafsirah Huzur Aur
Malaaikah Men A'ib Maan Kar Kafir-o-Murtad Ho
Gaya . Lehaza Bakar Par Eilaniya Taubah Wa
Istighfaar Karna Niz Tajdid-e-Imaan Aur Bivi
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 38

Wala Ho To Phir Se Nikah Karna Farz Hai . Agar


Khuda Na Khaasta Woh Aisa Na Kare To Tamam
mMusalman Uska Bycortt Karen . Uske Pichhe
Namaz Na Padhen Aur Na Uska Zabiha Khaen Is
Liye Ke Aise Shaks Ke Pichhe Namaz Padhna Aur
Aise Shakhs Ka Zabiha Khana Haram-o-Na Jaez
Hai Aur Khalid Bhi Taubah Kare Is Liye Ke Usi Ke
Ghalat Sawal Ne Bakar Ko Kufr Tak Pahunchaya
Hai _


Fatawa Faiz Al Rasool Jild 1 Page No 24

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 39

Rooh Ka Munkar
SAWAAL:1. Rooh Ka Munkar Kaisa Hai
2. Nafkhaa-e-Ulaa Aur Nafkhaa-e-Saania k
darmiyan jo 40 saal ki muddat hogi kiya use bhi
Qayaamat ka kahege? Aur agar kehte hai to us
40 saalaa muddat ko Qayaamat na maanne
waala Az Roo-e-Shara kaisa hai?
JAWAAB :
(1)Rooh ke insaan jisse zinda rehta hai us ka
munkar gumraah-o-Badmazhab Hai
-
(2)Lafze Qayamat Masdar hai jiske loghvi ma'ani
khade hone k hai aur Chuke Mehshar ke din
murde zinda hoke khade honge is liye use
Qayamat ka din kehte hai Gayasullugaat me hai
Qayamat Bakasr-e-Awwal Masdar Ast chuke
Qayaamat bamaani musibat bhi musta'mil hai.
Isiliye Nafkhaa-e-ulaa ko bhi Qayaamat kehte
hai. Bahaar-e-Shariat hissa awwal safah 34 per
hai. "Jab Qayaam Qayamat ko sirf 40 baras reh
jaaynge ek khusboodaar thandi hawa chalegi jo
logo ke bagalao k niche se guzrengi jiska asar ye
hoga k Musalmaan ki Rooh qabz hojaaigi aur
kaafir hi kaafir reh jaaynge aur unhi per
Qayaamat Qaayam hogi" aur usi kitaab ke usi
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 40

hissa safaa 28 per hai. Jism agarche gal jae Sad


jae khaak ho jae magar uske Ajzaa-e-Asliya
Qayamat tak baaqi rehege wo Maurud o Azaabo-Sawaab honge aur unhiper roz Qayamat
dobaaraae tarkeeb jism farmaai jaegi maloom
huwa ke Nafkhaa-e-ulaa aur Nafkhaa-e-Saania
aur dono k darmiyaan sab Qayamat hai
darmiyaani muddat ko na manne wala jaahil hai

Fatawa Faiz Al Rasool vol 1 page No 42

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 41

Sare Nabi Wali Allah Ke Mohtaj Hain


SAWAAL :
bakar kahta hai ke sare nabi aur wali Allah ke
mohtaaj hain aur zaid kahta hai ke sab nabi
Allah ta'ala ke mohtaaj hain - lekin huzur Allah
ke mohtaaj nahi , is liye ke khuda e ta'ala ne
unhe sab kuch ata kar diya aur mukhtaar e kul
banaya , to in men kis ka qaul sahih hai
JAWAAB.
Bakar ka ye qaul ke '' sare nabi aur wali Allah ke
mohtaaj hain " sahih hai - Qur'an majid men hai
( surah mohammad parah 26)
Aur Allah be niyaaz hai aur tum mohtaaj
Is ayat ki tafseer men allama ismaail haqi
tahrir farmate hain



.
Aur zaid ka ye qaul ke khuda e ta'ala ne unhe
sab kuch ata kar diya hai aur mukhtaar e kul
bana diya yaqinan haq hai aur har momin ka us
par imaan hai - huzur sadrush-shariah
tahrir farmate hain :
Huzur aqdas Allah ke naak e mutlaq hain
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 42

, tamam jahan huzur ke tehat tasarruf kar diya


gaya jo chahen Karen jise chahen wapas Lelen ,
tamam jahan men unke hukm ka pherne wala
koi nahi , tamaam jahan unka muhkim hai aur
woh apne rab ke siwa kisi ke mahkum nahi
Bahar e shariat hissa 1 page no 22
In ikhtiyaraat ki bina par zaid ka ye kahna ke
huzur allah ta'ala ke mohtaaj nahi kufr hai us
par taubah tajdid e imaan wa nikaah laazim hai
jaisa ke ayat e mazkurah us par daal hai

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 43

Hazrat Abdul Mutalib Tauhid Parast The Ya


Nahi?
SAWAAL :Huzur Aqdas Ke Dada Abdul Mutalib Tauhid
Parast The Ya Nahi ? Agar Tauhid Parast The To
Khana e Ka'aba Ki Kalid (kunji 'chabhi ) Unke
Hathon Mein Hote Huwe Khana e Ka'aba Ke
Andar 360 Buth Kaise Rakhe Huwe The ? Jab Ke
Unko Pura Ikhtiyaar Tha Chahte To Rakhte Ya
Nikaal Dete - Aur Unki Tauhid Parasti Waqia e
Abraha Se Sabit Hai _
JAWAAB :Sarkar Aqdas Ke Dada Hazrat Abdul Mutalib
Tauhid Parast The Jaisa Ke Aala Hazrat Imam
Ahmad Raza Barelvi Ne Apne
Risala E Mubarka Mein
Wazeh Daleel Ke Sath Ifadah Farmaya Hai Lekin
Unhone Khana e Ka'aba Ke Buton Se Paak Nahi
Kiya Isliye Ke Pura Arab Buton Ki Ibadat Aur
Unki Mohabbat Mein Gharq Tha Yaha Tak Ke
Hazrat Abdul Muttalib Ka Khandan Bhi , To Is
Surat Mein Buton Ki Mukhalifat Karna Aur
Khana e Ka'aba Se Unko Nikalna Pure Arab Se
Ailaan E Jang Ke Mutaradif Hota . Jo Unki Taqat
Se Bahar Tha _


Fatawa faiz UL Rasool vol 1 Safa No 25
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 44

Isa alaihissalam ka Ana


SAWAAL:Qayamat Ke Asaar Men Se Ye Bhi Hai Ke Hazrat
Isa Damishq Ki Jama Masjid Ke Minare
Par Utrenge Aur Imam Mehdi Ke
Pichhe Namaz Ada Farmaenge Aur Aulaad Bhi
Hogi Aur Phir Huzur Ke Rauza
E Anwar Men Dafan Honge _ Zaid Kahta Hai Ke
Is Par Mera Imaan Hai Aur Bakar Kahta hai Ke
Main In Baton Ko Nahi Manta . To Zaid Ka Qaul
Ahaadis e Karima Se Sabit Hai Ya Nahi ? Aur
bakar Ke Bare men Shari'at Ka Kiya Hukm Hai

JAWAAB :Zaid Ka Qaul Ahaadis e Karima mo'atabera Se


Sabit Hai Aur bakar Jo Mazkurah (Jo Upar Zikr
Huwa ) Baton Ko Nahi Manta Woh Gumrah Hai
Us Par Taubah Lazim Hai
Fatawa Faizurrasool vol 1 page No 40

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 45

Mar Kar Zindah Hona


SAWAAL:Zaid Kahta Hai Ke Allah Ta'ala Murdon Ko
Dobarah Zindah Karne Par Qadir Hai Lekin
Qayamat Ke Din Murdon Ko Zindah Na Karega
To Dayaft Talab Amr Ye Hai Ke Zaid Ke Liye
Shar'a Ka Kiya Hukm Hai ?
JAWAAB :Marne Ke Ba'ad Qayamat Ke Din Dobarah
Zindah Ye Aqidah Zaruryat e Din Men Se Hai Lehaza Ye Kahna Ke Khuda e Ta'ala Qayamat Ke
Din Murdon Ko Zindah Na Karega Kafir Hai Ke
Qur'an Karim Ki Bahut Si Ayaton Ka Inkar Hai Parah 18 / Surah Mominoon Ke Pahle Ruku Men
Hai
Aur Parah 22 Surah
Yaseen Ke Akhri Ruku Men Hai
Aur Parah 24 /Zumar Ke 7Ven Ruku Men Hai
Aur Parah 30 Surah
Naba'a Ke Pahle Ruku Men Hai
- Raisul Fuqha Mulla Jiwan
Tahrir Farmate Hain _ Yani
Marne Ke Ba'ad Dubarah Zindah Hone Ka
Aqidah Wajib Hai Aur Iska Inkar Karne Wala
Kafir Hai _
Tafseerat e Ahmadiya page No 433
Aur Bahare Shariat Hissa 1 Men Hai . Jo Ye kahe
Sirf Ruhen Uthhengi Jism Zindah Na Honge
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 46

Woh Bhi Kafir Hai _ Lehaza Shakhs E Mazkur Par


Is Kufri Aqidah Se Taubah Karna Farz Hai Aur
Bivi Wala Ho To Tajdid e Nikah Karna zaruri Hai
Agar Woh Aisa Na Kare To Sab Log Uska Islmi
Bycort Kren Warna Woh Bhi Gunahgaar Honge

fatawa Faiz Ul Rasool Vol 1 page No 39/40

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 47

Sarkar Ka Jism Be Saya


SAWAAL :Nabi Akram Huzur Sayyad e Alam Noor e
Mujassam Sallallaho Alaihi Wasallam Ke Jism e
Mubarak Ka Saya Nahi Padta Tha Ye Riwayat
sahih hai ya is men ulmae Karam ka ikhtilaf hai is
Ke Bare Men Ahlesunnat wal Jama'at Ne Koi
Kitab Book Tasnif (likhi ) Ki Ho To Tahrir
Farmaen _
JAWAAB : . Beshak Huzur Pur Noor
Sarkar Aqdas Ke Jism e Aqdas Ka
Saya Nahi Padta Tha Jaisa Ke Hadis Sharif men
hai. - ya'ni Surah Aur
Chand No Ki Raushni Men Huzur Ka Saya Nahi
Padta Tha Lekin Ba'az Logon Ka Is Mas'alah Men
Zarur Iktilaf Hai Lekin Saya Na Hone Ke Dalaail
Qawi (Mazboot) Hain Is Mas'alah Men
Aalahazrat Imam Ahmad Raza Barelvi
Ka Risala Aur Allama
Arshad UL Qadri Ne Jism Be Saya
Tahrir Farmaya Hai
Fatawa Faiz ul Rasool vol 1 page No 26/27

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 48

Qura'n Afzal Hai Ya Sahab E Qur'an


?
SAWAAL :Qur'an afzal Hai Ya Sahab e Qur'an? Mafzul Aur
mafzul alaih Men Se Har Ek Ki Sharai Wa Aqli
Illat Bayan Farmaen _
JAWAAB :Qur'an afzal Hai is Liye Ke Woh Kalam e ilahi Hai
makhlooq Nahi Hai Balke Qadim(Puran ) Bizzat
Hai Sharah Fiqah Akbar page No 38 Men Hain

Aur Sahab e Qur'an Sari Makhluqat
men Sab Se Afzal Hain


Fatawa faiz Al Rasool vol 1 page No 26

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 49

Musalman Ko Kafir Kahna Ya Samajhna


SAWAAL :Agar Kisi Musalman Shakhs Ko Ye Kah Diya Jae
Ke Tum Kafir Ho To Kiya Kahne Wala Islam Se
Kharij Ho Jata Hai ? Kiya Us Shakhs Ko Kalma
Padh Kar Tajdid e Imaan Karna Zaruri Hai Ya Jis
Shakhs Ko Us Ne Kafir Kaha Hai, Sirf Us Se Muafi
Mang Le Ke Mujhe Tum Muaaf Kar Do Main
Tumhe Aaindah Nahi Kahunga ?
Ek Sahab Ye Farmate Hain Ke Agar Koi
Musalman Kisi Dusre Musalman Ko Kafir Kah De
To Kahne Wala Jab Tak Kalma Nahi Padhega Us
Waqt Tak Musalman Nahi Ho Sakta Yani Us Par
Kalma Padhna Lazim Ho Jata Hai - Jab Tak Kalma
Nahi Padhega Uski Koi Namaz Aur Koi Ibadat
Qubul Hi Nahi Hogi Khawah Woh Kitna Hi
Parhezgaar Aur Panchon Waqt Ki Namaz Hi
Kiyon Na Padhta Ho JAWAAB :Musalman Ko Kafir Kahna Bahut bura Hai - Lekin
Iski Do Suraten Hain Ek Ye Ke Gaali Ke Taur Par
Kaha Jae ' Us Se Kahne Wala Kafir Nahi Hota Dusra Ye Ke Islam Se Kharij Ke Ma'ana Men Kafir
Kaha Jae To Is Surat Men Kahne Wala Kafir Ho
Jata Hai - Use Tajdid e Imaan Karni Hogi Aur
Agar Shadi Shudah Hai To Tajdid e Nikah Bhi
Karni Hogi Aur Jab Tak Tajdid e Imaan Nahi
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 50

Karega Uski Namaz ' Rozah Waghairah , Ibadaat


Qubul Nahi Hongi _


Fatawa Alamgiri jild 2 Page No 278 maktabah


Rashidya , koitah
Is Qism Ke Masail Men Mufta Bihi Qaul Ye Hai Ke
Is Qism Ke Aqwal Agar Mahaz Gaali Ke Taur Par
Hain Na Ke Eitiqadan To Kahne Wala Kafir Na
Hoga Aur Agar Kahne Wala Waqiatan Use Kafir
Samajhta Hai Aur Usi Bina Par Us Ne Is Tarah (Ae
Kafir ! Kah Kar ) To Woh Khud Kafir Ho JaegaLehaza Dono Suraton Men Us Shakhs Se Muafi
Mangni Hogi Jise Kafir Kaha Tha _

Waqar Al Fatawa 59/60

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 51

Qabr Men Zindah Hona


SAWAAL:Kiya Qabr me Sawaal-o-Jawaab Azaba-o-Sawaab
murde ko zinda karne k baad kiya jaata hai?
JAWAAB :me Sawaal-o-Jawaab Azaab-o-Sawaab murda ko
zinda karne k baad kiya jaata hai ya kisi dusre
zariye se. Isme ikhtelaaf hai lihaaza Iske
baare.me sirf is qadar aqidah rakhna kaafi hai ke
marne ke ba'ad bhi rooh ka taalluq jism ke saath
baaqi rehta hai aur khudaa-e-Taala murda me
aisi aadat paida kardeta hai jisse wo dekhta
sunta baate karta sawaal ka jawaab deta aur
Azaab-o-Sawaab se Ranj-o-Raahat paata hai.
Hazrat Sadarush-Shariya Rehmatullahe Taala
Alaihe [Bahaar-e-ShariAt hissa,1 safa,25] tehrir
farmaate hain ke marne ke baad bhi rooh ka
ta'alluq badan e insaan k saath baaqi rehta hai.
Agarche rooh badan se juda hogai ho. Phir
chand satar(line) k baad usi safah per tehrir
farmaate hain ke marne ke baad musalmaan ki
rooh hasbe martaba mukhtalif makaamo par
rehti h. magar kahi bhi ho apne jism se uska
taalluq badastur rehta h aur Hazrat Shaikh
AbdulHaque Muhaddis Dehlvi Rehmatullahe
Taala Alaihe tehrir farmaate hain :-

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 52




Ash'atul Lill Mu'A'at jild 1 page No 114
Fatawa faiz al Rasool vol 1 page No 61

Page | 53

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Khud Ko Kafir Kahna


SAWAAL:Kiya Farmate Hain Ulma e Din Wa Sharae Matin
Is Mas'alah Mein Ke Abadi Ka Ek Qabristan Hai
Jis Par Ek Hindu Pardhan Qabza Karna Chahta
Hai Is Bunyad Par Uska Muqadma Chal Raha Hai
- To Sare Musalmano Ne Us Hindu Pardhan Ka
Bycourt Kar Diya , Magar Zaid Uske Pass Uthhta
Baithta Hai - Jab Use Mana Kiya Gaya To Woh
Kahta Hai Ke Main Uska Sath Nahi Chhodunga
Chahe Sare Musalman Mujh Ko Chhod Den Main
Kafir Hoon Kafiron Ka Sath Nahi Chhodunga Aur Zyadah Dabao Dalenge To Main Suwar Kha
Lunga - Agar Qabristan Men Hamare Murdon Ko
Musalman Nahi Dafan Hone Denge To Talab Ke
Kinare Jahan Bhi Unchi Jagah Milegi Wahin
Apne Murdon Ko Jala Dunga - To Aise Shakhs Ke
Bare Men Shariat Ka Kiya Hukm Hai?
JAWAAB :Zaid Ne Jab Ye Kaha Ke main Kafir Hoon Kafiron
Ka Sath Nahi Chhodunga - To Apne Is Iqrar Ke
Sabab Kafir Ho Gaya Is Liye Ke Hadis Men Hai "
" Lehaza Use Kalma Padha Kar Phir
Se Musalman Kiya Jae Aur Biwi Wala Ho To Uska
Tajdid e Nikah Kiya Jae - Aur Hindu Pardhan
Mazkoor (Jo Zikr Huwa ) Ka Agar Kisi Surat Men
Sath Chhodne Ke Liye Woh Tayyar Na Ho To Use
Uske Haal Par Chhod Diya Jae
Fatawa Faqeeh e Millat Jild 1 Page No 2
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 54

Namaz Ke Liye Kisi Ka Kahna Aur Ghalat jawaab


Dena
SAWAAL:Kiya Farmate Hain Ulma e Din Wa Muftiyan e
Din Zaid Ko Umar Aur Bakar Ne Jum'ah Ke Din
Namaz e Jum'ah Padhne Ko Kaha Ke Chalo
Namaz e Jum'ah Padhne Us Par Zaid Ne Umar
Aur Bakar Ko Jawab Diya Ke Main Kafir Ho Gaya
Namaz e Jum'ah Padhne Kaise Chalen -Jab Ke
Zaid Sunni Sahihul Aqidah Musalman Hai - Zaid
Ke Is Jumla Ko Jama Masjid Ke Khatib o Imam Ne
Suna To Namaz e Jum'ah Men Hi Logon Ko
Mas'alah Bataya Ke Zaid Ka Nikaah Tut Gaya Ab
Woh Tajdid e Imaan Wa Tajdid e Nikah o Bai'at
Kare Daryaft Talab Ye Hai Ke Zaid Ke Is Jumle Se
Zaid Par Inda'a Shar'a (Shar'a Ke Nazdik) Kiya
Qanun Nafiz Hote Hain Zaid Ke Is Jumla Se Kufr
Sabit Huwa Ke Nahi Aur Agar Zaid Par Kufr Sabit
Nahi Huwa To Khatib o Imam Par Inda'a Shara'a
Kiya Qanun Nafiz HOte Hain ?
JAWAAB :Zaid Ne Agar Waqai Jumla e Mazkoor ( Jo Zikr
Huwa ) Kaha Ya'ni Us Par Ye Jhuta Ilzam Nahi
Hai To Woh Kafir Ho Gaya - Us Par Farz Hai Ke
Eilaniya Taubah Istighfaar Kare Kalma Padh Kar
Phir Se Musalman Bane Biwi Wala Ho To Tajdid e
Nikah Kare Agar Kisi Se Murid Ho Aur Uski Bai'at
Ko Baqui Rakhna Chahe To Tajdid e Bai'at Kare _
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 55

Fatawa Faqeeh e Millat Vol 1 page No 4


Main Shariat Ko Nahi Manta Kahna Kaisa Hai ?
SAWAAL :Kiya Farmate Hain Ulma e Din Wa Muftiyan e
Din Is Mas'alah Men Ke Zaid Sunni Sahihul
Aqidah Molvi Hai Jo Kabhi Kabhi Imamat Bhi
Karta Hai Shara'i Guftagu Ke Dauran Us Ne Kaha
Ke Main Bahar e shariat Aur Qanun e Shariat Ko
Nahi Manta Hoon - Phir Dusre Mauqa Par Us Ne
Kaha Ke Tum Log Jaao Ham Ko Shariat Se Alag
Hi Rahne Do To Aise Shakhs Ke Bare Men Kiya
Hukm Hai ?
JAWAAB:Zaid Eilaniya Taubah Kare Ke Main Bahar e
shariat Aur Qanun e Shariat Ko Manta Hoon Aur Uska Ye Jumla Bahut Sakht Hai Ke Tum Log
Jao Ham Ko Shariat Se Alag Hi Rahne Do Lehaza Agar Woh Biwi Wala Ho To Tajdid e
Nikah Bhi Kare - Agar Woh Aisa Na Kare To Sab
Musalman Uska Boycott Karen Aur Uske Pichhe
Namaz Hargiz Na Padhen Khuda e Ta'ala Ka
Irshad Hai : -

Fatawa faqeeh e millat vol 1 page No 2
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 56

Main Qur'an Sharif Ko Nahi Manti/ Manta Kahna


Kaisa Hai
SAWAAL:Kiya Farmate Hain Ulma e Din Wa Muftiyan
Shara'ae Matin Is Mas'alah Men Ke Zaid Aur
Umar Ke Darmiyan Zamin Ke Silsile Men Jhagda
Huwa Yahan Tak Ke Zaid Ne Ye Kaha Ke Agar
Apko Yaqeen Nahi Hai Main Qur'an Sharif Bhi
Uthhane Ko Tayyar Hoon Itne Men Bakar Ki Biwi
Jo Wajib Par Thi Us Ne Kaha " Main Qur'an Sharif
Ko Nahi Manti Ab Daryaft Talab Amr Ye Hai Ke
Bakar Ki Biwi Jis Ne Jumla e Mazkoorah ( Jo
Upar Zikr Huwa ) Kaha Us Par Az Rue Shara'a
Kiya Hukm Hai ?
JAWAAB :Bakar Ki Biwi Ko Kalma Padha Kar Use Eilaaniya
Taubah Karwae Aur Uska Nikah Phir Se Padhaya
Jae - Ta Waqt e Ke Ye Sari Baten Woh Na Kare
Uska Boycott Kiya Jae -
-

Fatawa e faqeeh e millat vol 1 Page No 4

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 57

Qur'an Sharif Ka Phenk Dena


SAWAAL:Kiya Farmate Hain Ulma e Din Wa Muftiyan e
Din Ke Hindah Qur'an Padh Rahi Thi Shauhar Aa
Kar Kisi Dusri Waja Se Ladne Laga - Jab Dono
Men Tu Tu Main Main Badh Gai To Hindah Ne
Mare Ghusse Ke Qur'an Pak Palang Par Se Niche
Phenk Diya - Jis Waqt Qur'an Sharif Ko Phenka
Us Waqt Is Qadr Ghusse Men Thi Ke Us Ke
Makhsus A'aza Bhi Khule Huwe The - Lekin Ab
Baad Men Woh Sharminah Hai To Hindah Par
Kiya Hukm e Shara'a Lagega ?
JAWAAB :Surat e Mas'ulah Men Agar Hindah Ne Ba Niyyat
e Tauhin Qur'an Majid Ko Palang Se Niche
Phenka To Ye Kufr Hai Is Surat Men Us Aurat Se
Taubah Istighfar Karaya Jae Aur Uska Nikah Phir
Se Padhaya Jae - Aur Agar Ba Niyyat e Tauhin
Nahi Phenka Balke Shauhar Par Ghussa Aa Jane
Ke Sabab Phenka Aur Surat e Hal Se Zahir Yahi
Hai To Is Surat Men Tajdid e Nikah Zaruri Nahi Magar Taubah Istighfaar Lazim Hai -Aur Use
Qur'an Khawani Wa Milad Sharif Karne Karne
Ghurba Wa Masakin Ko Khana Khilane Aur
Masajid Men Lota Chatai Rakhne Ki Talqeen Ki
Jae Ke Ye Chizen Qubul e Taubah Men Muawin
Hongi ....
Fatawa faqeeh e millat vol 1 page No 6
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 58

Khud Ko Tablighi Jama'at Wala Kahna


SAWAAL:Kiya Farmate Hain Ulma e Din Wa Muftiyan e
Din Is Mas'ala Men Ke Chand Muamlat e Masajid
Se Muta'alliq Mubahis (Bahes ) Ke Baad Zaid Ye
Kahta Hai Ke " Ap Sunni Bane Rahen Ham Ko
Tablighi Hi Samjho Ham Tablighi Hi Behtar Hain
" Bakar Ne Sun Kar Ye Kaha Ke Tablighiyon Ke
Yaha Mazhabi Eitebar Se Bat Chit Karna ' Khana
Pina ' Salam Karna Ya Salam Ka Jawaab Dena '
Kafano Dafan Ya Kisi Qism Ke Rasmo Riwaj Men
Shamil Hona Shariat Ki Janib Se Mana Hai - Kiyon
Ke Ham Sunni Tablighyin Ko Kafir Se Bhi Bartar
Samajhte Hain - Ab Jab Tak Zaid Nae Sire Se
Imaan Lane Ka Tahriri Ya Taqriri Eilaan Na Kare
Tab Tak Hamari Sunni comety Se Unka Koi
Ta'alluq Nahi Rahega - Bakar Ka Ye Kahna Kahan
Tak Durust Hai ? Qur'an O Hadis Ki Raushni Men
Mufassal Wa Mudallal Jawaab Inayat Farmaen JAWAAB:Maulvi Ashraf Ali Thanvi , Qasim Nanotwi ,
Rashid Ahmad Gangohi Aur Khalil Ahmad
Ambethhwi Ko Unke Kufriyat Qatiya Mundarja
(Jo Likha Hai ) Hifzul Imaan Page No 8
Tahzirunnas page No 3/13/128 Barahin e
Qatiah Page No 51 Ki Bunyad Par Makka
Muazzama Madina Tayyebah ' Hindustan
'Pakistan ' Bangladesh Aur Barma Waghairah Ke
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 59

100 senkdon Muftiyan Kram Wa Ulmae Izaam


Ne Unke Kafir O Murtad Hone Ka Fatwa Diya Jis Ki Tafseel (detail ) Husamul Harmain Aur
Assawarimul Hindiya Nami Book Men Hai Lehaza Agar Zaid Tablighi Jama'at Ke Un
Peshwaon Ko Kafir O Murtad Nahi Samajhta Ya
Unke Kufr Men Shak Karta Hai To Woh
Musalman Nahi - Is Surat
Men Bakar Ka Kahna Sahi Hai - Musalmano Par
Lazim Hai Ke Jab Tak Zaid Taubah Wa Istighfaar
Ke Baad Nae Sire Se Imaan Lane Ka Eilaan Na
Kare Aur Tajdid e Nikah Na Kare Us Se Sunni
Commety Aur Sare Musalman Koi Ta'alluq Na
Rakhen - Khuda e Ta'ala Ka Irshad Hai
- Para 7 Ruku 14
Aur Hadis Sharif Men Hai
- Yani Tm Badmazhabon Se Door Raho Aur
Unko Apne Se Door Rakhi Woh Tum Ko Gumrah
Na Kar Den - Kahin Woh Tmhe Fitne Men Na Dal
Den
Muslim Sharif Jild 1 Page No 10

Aur Agar Zaid Tablighi Jama'at Ke Un Peshwaon


Ke Kufriyat Qatiyah Ko Nahi Janta Ghalat Fehmi
Se Tablighi Jama'at Se Ho Gaya To Is Surat Men
Bhi Jab Tak Woh Taubah Na Kare Aur Un Se
Door Rahne Ka Ahd Na Kare Sunni Musalman Us
Se Door Rahen Aur Usko Apne Qarib Na Ane
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 60

Den - Allah Ka Farman Hai -


parah 13 Surah Hood Ayat No 113

Fatawa faqeeh e millat vol 1 page No 11

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 61

Wahabiyon Ki Kitaben Bechna


SAWAAL:Kiya farmaate hai Aulmaa-e-Deen Aur Muftiyaan
is Fatwa k baare me ek Sunni haafiz saahab hai
wo chhoti moti kitaabo ki tijaarat karte hai ek
shakhs haafiz saahab se behaishti zevar talb kiya
us k Order par Haafiz saahab ne manga kar de
diya kyuke taajir ki fitrat hoti hai k wo gaahak ko
khush kare chand logo ne keh diya k aap haafiz
saahab wahaabi hogaye. Wahaabi kitaab
mangaa kar dete hai aap par toba Tajdid-eImaan waajib hogaya hai. Ab hamaare kehne ka
matlab ye hai k hamaara sunni imaan ya
massAla kiya itna kamzor hai k sirf ek kitaab
mangaane se wahaabi hojaata hai ya wahaabi
darAsl wo hai jo wahaabi aqeeda dil me jamaay
aur us per amal kare aur uski tableegue kare
khulaasa farmaay. Kiya waaqai haafiz saahab
wahaabi hogaye aur toba Tajdid-e-Imaan un par
laazim hogaya? Maiherbaani hogi.
JAWAAB:Wahaabi Aqeeda rakhne waale ko hi wahaabi
kehte hai. Haafiz saahab mazkoor agar Aqaaid-eAhlesunnat ke maanne waale hai to behaishti
zaiver kharidne aur baichne k sabab wahaabi
nahi hogaye magar chuke behaishti zaiver
gumraah kun kitaab hai is liye uski kharid-oFarokht jaaiz nahi haafiz gunehgaar huwe toba
kare aainda is qism ki gumraah kun kitaab na
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 62

bechne ka Ahaid kare.



Fatawa faiz al Rasool vol 1 page No 63/64

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 63

Badmazhabon Ki Nishaniyan
SAWAAL:Kiya Farmate Hain Ulma e Din Wa Muftiyan e
shara'e Matin Is Mas'alah Men Mishkat Sharif
Page No 308 Ki Hadis Men Sar Mundana
Badmazgabon Ki Nishani Qarar Diya Gaya Hai
To Kiya Sar Mundane Wale Ko Badmazhab Qarar
Diya Jaega ?
JAWAAB:Hadis Sharif Men Sar Mundana Jo Badmazhabon
Ki Nishani Qarar Diya Gaya Hai - Woh Yaqinan
Haq Hai Lekin Sirf Sar Mundana Hi
Badmazhabon Ki Nishani Nahi Balke Is Ke IlAwa
Aur Bhi Nishaniyan Hain Woh Ye Hain Ke Woh
Log Musalmano Ko Qatl Karenge Aur But Pujne
Wale Ko Chhod Denge Mishkatul Masabih Page No 525

Aur Woh Achi Baten Karenge Lekin Unka Kam


Bura Hoga Mishkatul Masabih Page No 308
Aur Woh Jhoot Bolne Wale Aur Fareb Dene
Wale Honge Woh Musalmano Ke Samne Aisi
Baten Laenge Jinko Unhon Ne Kabhi Na Suna
Hoga Na Unke Bap Dada Ne Mishkat page No 28

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 64

Aur Woh Aise Honge Jinki Namazon Aur Rozon


Ko Dekh Kar Musalman Apni Namaz Aur Rozon
Ko Haqeer Samjhenge - Woh Qur'an Padhenge
Lekin Qur'an Unke Halaq Se Niche Nahi Utrega Woh Din Se Aise Nikal Jaenge Jaise Shikaar Teer
Se Nikal Jata Hai Mishkatul Masabih Page No 545

Aur Woh Achi Baten Karenge Lekin Unka Kam


Bura Hoga Mishkatul Masabih Page No 308

Aur Woh Jhoot Bolne Wale Aur Fareb Dene


Wale Honge Woh Musalmano Ke Samne Aisi
Baten Laenge Jinko Unhon Ne Kabhi Na Suna
Hoga Na Unke Bap Dada Ne Mishkat page No 28

Aur Woh Aise Honge Jinki Namazon Aur Rozon


Ko Dekh Kar Musalman Apni Namaz Aur Rozon
Ko Haqeer Samjhenge - Woh Qur'an Padhenge
Lekin Qur'an Unke Halaq Se Niche Nahi Utrega Woh Din Se Aise Nikal Jaenge Jaise Shikaar Teer
Se Nikal Jata Hai Mishkatul Masabih Page No 545

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 65

Lehaza Jo Tawaqteke Tahqiq Na Kar Li Jae Sirf


Sar Mundane Wale Musalman Ko Hargiz
Badmazhab Nahi Samjha Jaega - Is Liye Ke Bahut
Se Badmazhab Aur Gumrah Apni Badmazhabi
Aur Gumrahi Ko Phailane Ke Liye Saleheen Aur
Buzurgan e Din Ki Khaslaton Ko Ikhtiyaar Kar
Lete Hain Mirqatul Mafatih Sharah Mushkatul Masabih
jild 7 Page No 113
Fatawa Faqeeh e Millat Jild 1 page No 14

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 66

Be Namazi Kafir Hai Ya Musalam ?


SAWAAL:Kiya Farmate Hain Ulmae Din Wa Shara e Matin
Is Mas'alah Men Ke Be Namazi Kafir Hai Ya
Musalman ? Daleel Ke Sath Tahrir Farmaen JAWAAB:Be Namazi Musalman Hai Lekin Sakht
Gunehgaar Mustahiq e Azab Ne Naar Hai - Hadis
Sharif Men Hai Ke Huzur Ne
Farmaya :- Yani 5 Namazen Khuda Ne Bandon
Par Farz Ki Jo Unhe Na Padhe Uske Liye Khuda
Ke Pass Koi Ahad Nahi Agar Chahe To Use Azab
De Aur Chahe To Jannat Men Dakhil Kare "Fatwa Razviyyah Jild 2 Page No 190
Jamahir e Ulma e Din Wa Aimma e Mu'Tamidin
Tarik e Namaz Ko Sakht Fajir Jante Hain Magar
Daira e Islam Se Kharij Nahi Kahte - Hazrat Imam
Azam Abu Hanifa Hazrat Imam Shafei Aur
Hazrat Imam Malik Ka Bhi
Yahi Mazhab Hai Aur Hazrat Imam Ahmad Bin
Hambal Se Bhi Ek Riwayat Men Yahi
Hai Ke Be Namazi Kafir Nahi - Alahazrat Imam
Ahmad Raza Khan Fazil e Barelvi
Hulliya Ke Hawale Se Tahreer Farmate Hain :-

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 67

Fatawa Razviyyah jild 2 Page No 190


Khulasa Ye Hai Ke Be Namzi Musalman Hai
Magar Sakht Fasiq Hai Kafir Nahi - Durre
Mukhtar Jild 1 Page No 259 Men Hai "
...

Fatawa Faqeeh e Millat vol 1 page No 14

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 68

Sawal1:
Aqaid ke imaam kitne hain?
Jawab1:
Do (2) Hain.Ek Sayyiduna Imam Abu Mansoor
Ma Turidi Doosre Sayyiduna Shaikh Imaam Abul
hassan Ashshari Rahmatullahi TaAllah Alaihuma
(Rodatul bahiya )
Sawal2;
Kiya Yeh Donon Imam Barhaq Hain,Agar Donon
Bar Haq Hain Toh Ikhtelaaf Kis Baat Mein Hain?
Jawab 2;
Yeh Dono Imam Bar Haq Hain,Usool Aur Aqaid
Mein Dono Ek Hain,Albatta Ikhtelaaf Hai To Sirf
Faroee Aqaid Mein Aur Unka Ikhtelaaf Aisa Hi
Hai Jaise Shaafa'ee Hanafi Ka Ikhtelaaf Hai Balke
Muhaqiqeen Un Ikhtilaafat Ko Lafzi Kehte hain,
Haqeeqi Nahi. (Bahare shariah Hissa Awwal)
Sawal 3:
Jo Shaks In Dono imaamo Ke Khilaaf Koi
Aqeeda Rakhe Wo Ahle Sunnat Mein Dakhil Hai
Ya Nahi?
Jawab 3:
Ke Phool Hai Aur Phoolo Ka Ikhtelaaf Hi Zeenate
Chaman Hai Maslan Mashi Raas Ke Silsale Mein
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 69

Aimaa E Deen Mein Ikhtilaaf Hai,Imam E Azam


radia Allahu Ta'ala Anhu Apne Ijtihaad Se
Chauthai Sar Ka Masah Farz Qaraar Karte Hain
Aur Imam Shaafi (Radi Allahu Anhu) Mutlaq
Masah Ko Farz Qarar Dete Hain Chahe Ek Do
Baal Hi Sahi Aur Imaam Malik RadiAllahuAnhu
Ka Kahna Hai Ke Pura Sar Ka Masah Farz Hai
Maqsoode Illahi Chahe Jo Bhi Ho Magar Is
Ikhtelaaf Se Ummate Muslima Ko Mukhtalif
Andaaz Mein Amal Karne ka mouqa mila Yahi
Mafhoom Hai/i
Ikhtelaaf Mein Raaste Mukhtalif Hote Hain Lekin
Maqsood Mutahid Hota Hai Jaise Ke Ek Shaks
Ziyaarat Kabaah Ke Liye Baghdaad Se Makkah
Muazzama Rawana Huwa Aur Dusra Isi Ziyarat
Ke Liye Mulke Shaam Se Makkah Mukarrama
Chala, Agararche Pohchne Ke Raaste Mukhtalif
Hain Magar Maqsood Dono Ka Mutahid Hai Aur
Khilaaf Mein Raaste Bhi Mukhtalif Hotay Hain
Aur Maqsood Bhi, Jesa Ke Do Shaks Hindustaan
Se Mukhtalif Simt Pakistaan Aur Bangladesh Ki
Taraf Rawana Ho,Zahir Hai Ke Yaha Dono Ke
Raaste Bhi Mukhtalif Hain Aur Maqsood Mein
Bhi ittehhad Nahi Makhzan e Maloomat

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 70

Sawal1;
Masail ke Imaam Kitne hai?
Jawab1;
Is Waqt Sirf Chaar (4) Hai. Imaam E Azam,Imaam
E Shaaf'ee,Imaam E Malik,Imaam Ahmed Bin
Hambal,Dusri Sadi Ke baad Ummat Ne Unhi
Chaar Imaamo Par Itefaq Karliya Hai,Isse Pehley
Kuch Imaam Aur Bhi Huwey Lekin Unke
Mazahib Kuch Zamane Tak Chaley Aur Khatam
Ho Gae
Fatawa Razwiya Jild 3

SAWAAL 2;
Kiya Un Chaar Imaamo Mein Se Kisi Ek Ki
Taqleed Zaruri Hai?
JAWAAB2:
Haan Masaile Shariya Par Amal karne Ke Liye
Kisi Ek Imaam MuAyyan Ki Taqleed Zaruri
Hai.Warna Wo Shariat Par Amal Karne Wala
Nahi Hoga Balke Apni Khwahish Par Amal
Karega Aur Gumrah Hoga-Is Waqt Un Chaar Ke
Siwa Kisi Ki Taqleed Jayiz Nahi Ab Mazhabe Haq
Unhee Chaaro Mein Muksar Hai Aur Jo Un
Chaaro Se Khaarij Hai Gumrah Aur Be Deen Hai.
Tahawi Jild 4 page No 153

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 71

Sawal:
Ahlesunnat Kisse Kehtey Hai?
Jawab:
Huzur Akram ,Sahaaba e kiraam,Taabaeen Aur
Tabbe Taabaeen Ke Tareeqe Pe Chalne Walo Ko
Ahle Sunnat Kehtey Hai.
Balafze Deegar Ashaaira Aur MaTuridiya Ko
AhleSunnat Kehtey Hai.
Sawal:
Wahabi Kisse Kehtay Hai Aur Unka Aqeeda Kiya
Hai?
Jawab:
Mohammed Bin Abdul Wahhab Ke Maanne
Walo Ko Wahabi Kehtay Hai,Us Mazahab Ka
Baani Mohammed Bin Abdul Wahab Najd Hi Hai
Jiske Baare Mein Shaiyk Ul Islaam Molana
Hussain Ahmed Tandvi Devbandi Apni Kitab
Alshahab assaqib Mei Likhtey Hai K Muhammad
Bin Abdul Wahab Najdi Ibtidai Teyrwi Sadi Mei
Najd Arab Se Zahir Huwa Aur Chunke Ye
Khyalat E fasida Aur Aqaid E Batila Rakhta Tha
Islie Isne Ahlesunnat W Jamaat Se Qatl W Qital
kya Unko Biljabar Apne Khyalat Ki Taklif Deta
Raha In Ke Amwal Ko Ganimat Ka Maal Aur
Halal Samjhta Raha Inke Qatal Krne Ko Baise
Sawab W Rehmat Shumaar Karta Raha Ahle
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 72

Harmain Ko Khususan Aur Ahle Hijaz Ko


Amuman Isne Takleef e Shaqa Phonchayi,Salf E
Saaliheen Aur Ittaba Ki Shaan Mei Nihayat
Gustakhi Aur Be Adbi ke Alfaz Istemal Kiye, Boht
Se Logo Ko Bewaja Iski Takleef Shadida Ke
Madinah Munawwara Aur Makkah Muazma
Chorna Para Aur Hazaro Admi Uske Aur Uski
Fouj Ke Hath Shahid hogye.
Isne Apna Mazhab E Batil Phailane Ke Liye Ek
Kitab Likhi Jiska Naam Kitab Ul Tawhid Rakha
Uske Zariye Ambiya Auliya Alayhi Salato
Wasslamam Aur Khud Huzur Ki Dil Khol Kar
Tauhin Ki Phir Ussi Ka Tarjuma Hindustan Mei
Ismail Dehlvi Ne Kiya Jiska Naam Takwiyatul
Iman Rakha Ussine Yha Wahabiyat Phailayi Is
Waqt Ismail Dehlvi Rashid Ahmed Gangohi
Kasim Nanotavi Ashraf Ali Thanvi Aur
Taqwiyatul Iman Ko Mannewala Ya Iss Ke
Mutabik Aqaid Rakhne wala Wahabi he.
Muhammed Bin Abdul Wahab Ka Aqida Tha K
jumla Ahle Alim W Tamam Muslman Dyar
Mushrik W Kafir Hai Aur Unse Qatl W Qital
Karna Unke Amwal Ko Inse Chin Lena Halal W
Jayiz Balke Wajib Hai, Wo Sirf Apne Aap Ko
Muslman Samjhtey Hai.

Raddul Mukhtaar Jild soum, Fatwa razviya jild


nawam,Ash shuhaab as Saqib.
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 73

Devbandi Kise Kahte Hain Aur Unka Aqidah Kiya


Hai ?
JAWAAB:Maulvi Rashid Ahmad Gangohi , Maulvi Ashraf
Ali Thanvi , Maulvi Qasim Nanotvi , Aur Molvi
Khalil Ahmad ambethwi Ke Manne Wale Ko
Devbandi Kahte Hain Unka Aqidah Ye Hai :(1)Huzur Ke Baad Dusra Nabi Ho Sakta Hai (2) Shaitan e Laeen Ka Ilm Huzur Ke Ilm Se
Zyada Hai
(3) Iblees Ki Wus'at e Ilm Nass e Qat'ee Se Sabit
Hai Aur Huzur Ki Wus'at e Ilm Ke Liye Koi Nass
e Qat'ee Nahi (4) Khuda Jhoot Bol Sakta Hai Balke Bola Bhi Hai
(5)Huzur Ke Liye Baaz Uloom e Ghaibiya Ka
Subut Bacha wa Pagal Balke Tamam Haiwanat
Wa Bahaim Ke Ilm Ke Mushabeh Hai Ye Charon Apne aqide Ke Eitebar Se Kafir O
Murtad Hain Jo Unke Kufro Azab Men Shak Kare
Woh Khud Kafir Hai --- Aj Ke Daur Men Devbandi
Wahabi Dono Ka Hukm Ek Hi Hai Ke Ye Log Un
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 74

Khubsaa Ke Aqwaal e Batila Aur Aqaaid e


Fasidah Ko Sahih Aur Haq Mante Hain Is Liye Ye
Bhi Kafir O Murtad Hain Fatawa Razviyyah jil 9 Page No 39 To 42

Note
Details Ke Liye Husamul Harmain & assawarimul
Hindiya Book Ka Mutala Karen

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 75

SAWAAL:Ghair Muqallid Kise Kahte Hain Aur Unka


Aqidah Kiya Hai ?
JAWAAB:Ghair Muqallid Jise Ahle Hadis Bhi Kahte Hain Ek
Gumrah Aur Bad Din Firqa Hai Jo Taqlid e
Aimmah Aur Ijma'a O Qiyas Ke Munkar Hain '
Taqlid Ko Haram Aur Bid'at Batate Hain Aur
Aimma e Din Ko Sibbo Shitam Se Yad Karte Hain
Aur Taqleed Karne Wale Ko Mushrik Batate Hain
' Is Firqa Ne Apna Name Aamil Bil Hadis Rakha ,
Is Ke Peshwa Ismail Delhvi Aur Siddiq Hasan
Bhopali Aur Nazeer Husain Delhvi Hain - Ismail
Delhvi Ne He Naya Mazhab Nikala Aur
Hindustan Men Phailaya , Unka Aqeedah Wahi
Hai Jo Wahabi Devbandi Ka Hai Balke Unse Bhi
Ek Darja Aage Mazid Uske Mazhab Men Ye Hai
Ke Ram Laxman , Krishna Jo Hinduon Ke Peshwa
Hain Nabi Hain ' Kafir Ka Zebah Kiya Huwa
Janwar Halal Uska Khana Jaez Hai - Mard Ek
Waqt Men Jitni Aurton Se Chahe Nikah Kar
Sakta Hai Uski Had Nahi Ke Char Hi Hon - Mani
Pak Hai muta'a Jaez Hai Waghairah Izhar Al Haque Page No 4 To 18

Fatwa razviyyah jild 9 page No 41

Ghair Muqallidon Ke Fareb page No 59 To 64


MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 76

SAWAAL:Tabligi Jamat Kise Kehte Hai?


JAWAAB :Tabligi Jamat Wahabi Devbondi Hi Ki Ek Shaakh
Hai,Is Ke Baani Moulwi ILYAS Khandelwi Hain
Un Ki Jamat Ka Maqsad Sirf Ashraf Ali Thanwi
Aur Rasheed Ahmed Gongohi Wagerah Ki Kufri
Taalim Ki Nashr W Ishaa'at Hai Aur Musalmanan
Ahle Sunnat Ko Wahabi Banana Hai.Lekin Is
Jamat Ke Muballigeen Saadah Loh Awaam Ko
Dhoka Dene Ke Liye Yeh Kaha Kartey Hai Ke
Tableegi Jamaat Ka Yeh Tareeqa Ambiya Aur
Sahaaba Ka Tareeqa Hai-Yeh Un Ka Sareeh Jhoot
Aur Nihayat Sharmnaak Fareb Hai -Un Ke Aqaid
Wahi Hai Jo Ashraf Ali Thanvi Ke The
Fatawa Faizul Rasool jild awwal Safa 34,
Tableegi jamaat Safa 12

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 77

SAWAAL:Mowdoodi Kise Kehte Hain Aur Unka Aqida Kya


Hai?
JAWAAB:Abul'ula Mowdoodi Ke Manne Wale Ko
Mowdoodi Kehte Hain Isika Dusra Naam Jamat E
Islami Bhi Hai Inka dawa To Islam Ki Tableegh W
Asha'at Hai Magar Haqiqat Mai Inki Tehrik Islam
Mai Rakhna Narazi Tafrik Baynl Muslimin Aur
Kufr Sazi Aur Kafir Giri Hai Wo Islam Ke Ma'ani
Se Juda Batate Hai Aam Muslimin Ko Muslman
Nahi Samjhtey Balke Jahalat Ke Sath Muslman
Hona Hi Namumkin Batate Hai Inka Aqida Ye Bhi
Hai Ke Ambiya E Kiram Apni Koshish Se Khuda
Ko Pehchante Hain Ambiya Ke Nafs Bhi sharir
Hote Hai Hazrat Musa Se Bahut Bada
Gunah Sarzad Ho gaya Tha Wagerah
Maududi Mazhab Iqbal Ahmad noori 126
Makhzan e maloomat

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 78

SAWAAL:Ahle Quran Kise Kehte Hain Aur Unka Aqida Kya


hai?
JAWAAB :Ahle Quran Ek Murtad W Gumarah Firqa Hai Jo
RasoolAllah Ki Pairwi Ka Munkar Hai Tamam
Ahaadis Ko Sarahatan Batil Mardud Na Qabil
Amal Batata Hai Sirf Qur'an Majid Ke Ittiba'a Ka
Iddia Rakhta Hai Is Firqe Ka Bani Abdullah
Chakdalwi Hai Jisne Apni Jama'at Ke Liye Ek
Naee Namaaz Gadhi Jo Ahle Islam Ki Namaz Se
Bilkul Mukhtalif Hai Raat W Din Mein Sirf Teen
Waqt Ki Namaz Rakhi Aur Har Waqt Mein Faqat
Do Hi Raka'at Inka Aqida Hai Ke Muslmano Ki
Moujuda Namazen Qur'an Ke Mutabiq Nahi Sirf
Quran Ki Sikhai Huwi Namaz Padhni Farz Hai
Iske ilawa Koi Aur Namaz Padhni Kufr W Shirk
Hai Ek Aqida Ye Bhi Hai Ke Muhammed E Arabi
Kisi Nabi Ya Rasool Se Afzal Nahi WagerahHashiya Fatwa razviyyah Jild 1 page No 191
Mazahib Al Islam page No 680

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 79

Sawaal;
Qadiyaani Kisse Kehtay Hai Aur Unka Aqida Kiya
Hai?
Jawab;
Qadiyaani Ek Maloon W Murtad Firqa Hai,Jo
Mirza Gulam Ahmed Qadiyaani Pero Hai,Usne
Apni Nabuwwat Aur Risalat Ka Dawa Kiya,Apne
Kalaam Ko Kalaam E Ilaahi Bataya,Khatamun
Nabiyeen Mein Istisna Ki Parchar Lagai ,Ambiya
E Kiraam Ki Shaan Mein Nihaayat Bebaaki Ke
Saath Gustaakiyan Ki Khususan Hazrat Eisa
Aur Unki Walidah Hazrat Mariyam Ke Baare
Mein Wahyaat O Karafaat Aur Behoodah
Kalemat Istemal Kiye,Jinke Zikar Se Musalmaan
Ka Dil Dehal Jaata Hai-Unka Aqeeda Yeh Hai--1) Main Wahi Ahmed Hu Jiski Basharat Quran E
Majeed Mein Di Gayi Hai
2)Main Muhaddis Hoon Aur Muhaddis Bhi Ek
Ma'ani Se Nabi Hota Hai
3)Sacha Khuda Wahi Hai Jisne Qadiyaan Mein
Apna Rasool Bheijah
4)Baraheen Ahmadiya Mein Is Aajiz Ka Naam
Ummati Bhi Rakah Hai Aur Nabi Bhi
5)Mein Baaz Nabbiyo Se Afzal Hu

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 80

6)Apne Baarey Mein Likah Ibne Mariyam Ke


Zikar Ko Choro Usse Behtar Gulaam Ahmed Hai
Wagerah wagerah
37/26
57

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 81

SAWAAL:Raafzi Kise Kehtey Hai Aur Unka Aqida Kya Hai?


JAWAAB:Raafzi Ek Gumrah Firqa Hai Jo Khulfa E Salaasa
Ya'ani Hazrat Abu-Bakar Hazrat Umar Hazrat
Usman E Gani RadiAllahu Anhum Ki Khilafat
Rashida Ko Khilafat Gasiba Kehtey Hai Aur
Hazraat E Shaikhain W Digar Sahaaba E Kiram
Ko Galiya Dete Hai Aur moula Ali Ko Tamam
Sahaba Se Afzal Batatey Hai.Inka Aqida Ye Hai1) Moujuda Quran Nakis Hai Usme Se Kuch
Surtein Hazrat Usman Gani Ya Digar Sahab E
Qiram Ne Ghata Di,Koi Kehta Hai Kuch Aayte
Kam Kardi Koi Kehta Hai Kuch Lafz Badal Diye
Wagerah.
2) Hazrat Ali Aur Digar A'ima Tahireen Ambiya
Sabikeen Se Afzal Hai.
3)Naikiyo Ka Khalik Allah Hai Aur Burayio Ka
Khalik Khud Insaan Hai.
4) A'ima Isna Ashra Masoom Hai.
5)Allah Azzwajal Par Islah Wajib Hai Yaani Jo
Kaam Bande Ke Haq mai Nafe Hai Allah Ta'ala
Par Karna Wajib Hai Wagerah
(Fatawa Razviya,Bahare shariat Hissa awwal)

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 82

SAWAAL-:
Kharji Kise Kehte Hain Aur Unka Aqida Kya Hai?
JAWAAB:Kharji Ek Gumrah Firqa Hai Jo Jung E Siffin Ke
Mauqe Par Zahir Huwa Wajah Ye Huwi Ke Ye
Log Hazrat Ali Ke Sath Mil Kar Hazrat Ameer E
Muawiyah Ke Sath Jung Kar Rahe The,Douraane
Jung Hi Hazrat Ameer Muawiyah Aur Hazrat Ali
Ke Ma bain Masaalihat Ki Baat Cheet Hone LagiToh Ye Log Ye Keh Kar Ya'ani Allah Ke
Siwa Kisi ka Hukm Nahi, Hazrat Ali Se Juda Ho
gye Aur Aap Par Tabarra Karne Lage Aur
Baghawat Par Utar Aaye Yaha Tak Ke Ab Ye Log
Un Sahaba Ki Jinho Ne ,Bahm Ladaiyan Ladi Jese
Hazrat Talha Hazrat Zubaair, Hazrat Usmaan,
,Hazrat Ali, Hazrat Ameer E Muawiyah, Hazrat
umar Bin Aas, Ki Takfeer Karte Hain Aur
Musalmaano Ke Khoon Aur Unke Maal Ko
Mubah Samjte Hain. Unka Aqida Ye Bhi Hai Ke
Gunah E Kabiraa Ka Murtakib Kaafir Hai.
2) Qiyas W Ijma Koi Daleel Nahi Balke In Dono
Ke Munkir Hai.
3)Imam E Waqt Par Kharuj W Qitaal Rawa Hai.
4)Imam Ka Qarshi Hona Zaruri Nahi Aadil Hona
Kaafi Hai Wagerha(Raddul Mukhtaar Jild soum,Fatawa Azizi Jild
Awwal,Mazahibul Islaam)
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 83

SAWAAL:
Tafzeeli Kise Kehte Hain Aur Unka Aqida Kiya
Hai?
JAWAAB :
Muhibbane Ali Mein Se Un Logo Ko Kehte Hain
Jo Hazrat Maula Ali Ko Hazraat-E Shaikeen Par
Fazilat Dete Hain Aur Hazrat Ali Ko Un Se Afzal
Maante Hain Baqi Tamaam Baaton Mein Ahle
Sunnat-Wa l- Jamaat Ke Saath Hain Ahle SunnatWal- jamaat Ke Nazdeek Aisa Aqida Rakhne
Wala Bid'ati Wa Gumrah Hai
(Fatawa Azeezi Jild Awwal,Azhaar Al Haq )
SAWAAL :
Ahle Qiblaa Kin Logo Ko Kehte Hain?
JAWAAB :
Un Logo Ko Kehte Hain Jo Kalmaa-Go Hokar
Humare Qible Ki Taraf Rukh Kar Ke Namaz
Padhte Hon Aur Tamaam Zaruriyaat E Deen Ki
Tasdeeq Karte Hon, Ya'ani Un Tamaam Baato Ko
maante Hon Jinka Saboot Sharan Yakeen Aur
Mash'hoor Hai Jaise Alim Ke Liye Hadwas,Jismo
Ke Liye Hashaz,Khuda Ke Liye Kulliyaat W
Juzziyaat Ka Ilm ,Namaz Wa Roza Ki Farziyat
Wagerah Jo shaks In mein Se Kisi Baat Ka Inkaar
Kare Wo Ahle Qibla Nahi AgarChe Ibaadato Ki
Mushqatein Bardaasht Karta HoMOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 84

(Sharah Fiqa Akbar)


Sawal:
Un Mazkoora Firqo Ke Liye Kiya Hukm Hai? Yaa
Un Se Mel jol Rakhna Jayiz Hai?
JAWAAB:
Wahabi,Devbondi,Raafzi,Tabarraee,Qadiyaani,M
owdoodi,Chikdaalwi,Gair Muqallid Jo Bhi
Zaruriyaat E Deen Mein Se Kisi Shaiy Ka Munkir
Hai,Sab Kaafir o Murtad Hain.Aur Jo Koi Unke
Aqwaal E Mal'oona Par Matla'a Hokar Unke Kufr
Mein Shak Kare Wo Bhi Kaafir Hai-Unke Saath
Mel Jol Rakhna,Khana Peena ,Salaam Wa kalaam
Isi Tarah Mout Wa Hayaat Mein Shareek Hona
Wagerah Sab Na Jaez Wa Haram Hai
(Fatawa Razviya Jild Awwal,Jild shashum)

SAWAAL :
Kiya Allah Miyan Aur Allah Saeen Kehna Jaez
Hai?
JAWAAB:
Sureh Bani Israel Ayat Number 110 Mein Irshaad
E Baari TaAllah Hai -"

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 85

(Aye Rasool) Aap keh dijiye Ke Tum Allah Keh


Kar Pukaro Ya Rehmaan Keh Kar Pukaaro,Jis
Naam Se Bhi Pukaaro,Us ke Sab Naam Hi Ache
Hain"
Allah TaAllah Ki Zaat Ko Taabeer Karne Ke Liye
Isme (name)Zaat ' 'Hai.Usse Qareeb Tar Sifaati
Naam ' ' Hai.Baqi Uske Boht Sifaati Naam
Hain,Jo Quraan Aur Hadees Mein Mazkoor
Hain,Massalan
Assattar,Algaffaar,Arraoof,Arraheem
Wagerah.Allah TaAllah Ke Zaat Ko Tabeer Karne
Ke Liye Jo Bhi Asmaaeiy,Sifaat Aur Kalemaat
Istemaal Kiye Jaaye Unkeliye Zaruri Hai Ke Zaat
E Baari TaAllah Ke Shaayaane Shaan Hon.Miyaa
Aur Saayein Ese Kalemaat Allah TaAllah Ke
Shaayaane Shaan Nahi Hain,Kyon Ke AgarChe
Istemaal Karne Wala Unhe Acha Maano Mein
Istemaal Karraha Ho,Lekin Un Mein Kam Tar
Ma'ani Ka Weham Paida Hosakta Hai.Isliye Allah
TaAllah Ke Ism E Jalaalat Ke Saath Un Kalemaat
Ka Istemaal Durust Nahi Hai,Balke Allah
TaAllah,Allah Jalla Shaanahu Aur Allah Subhana
Wa TaAllah Ya Baari E TaAllah Ke Kalemaat
Istemaal Karne ChahiyeZail Mein Hum Kitaab Luggat(dictionary ) Ke
Hawaale Se Lafz "Miyaan" Aur "Saayein" Ke
Maa'ani Darj Karrahe Hai ,Mulaahiza Farmaiye!
Miyaan:Urdu Zabaan
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 86

Mein Shohar,Khawajaa Sara,Ek Kalmaa Jis Se


Barabar Wale Ya Apne Se Kam Darje Shaks Ko
Khitaab Karte Hai,Beta wagera Maano Mein Bhi
istemaal Hota Hai(Qaid Alluggat,Feeroz
Alluggat)
Saayein:
Khaawand(hasband),Faqeer,Bhikaari,Wageraah
Mein Bhi Istemaal Hota Hai(Qaid Alluggat)
In Ma'Aani se Aap Khud Hi Andaaza Laga Saktey
Hai Ke Yeh Allah Jal Shaana Ke Shayaane Shaan
Nahi Hai,Un Mein Baaz Maani Ese Hai Jo Zaat E
Baari E TaAllah Ke Liye Nuqs Aur Ehaanat Ka
Pehlu Rakhte Hain.Lihaza Hamari Raae Mein
'Allah Miyaan' Aur 'Allah Saayein Aise Kalemaat
Bolne Se Bilkul Gureyz Karna Chahiye Aur Apne
Gharo,Daafatir,Majaalis Aur Bacho Ke Saath
Guftugoo Mein Allah Jale Shaana Ka Zikar Karte
Wakt Issi Ehtiyaat Par Amal Karna Chahiye.Allah
TaAllah Ki shaane Jalaalat Toh Boht BulandTar
Hai-Wo Har Nuqs Aib Aur Kamzoori Se Paak
Hai.Irshaad E Baari TaAllah Hai:
"Aapka Rab Jo Badi Izzat Wala Hai,Har Us Aib Se
Paak Hai Jo Wo Bayaan Karte Hai"
Zaat E Paake Risaalat Ma'Aab Sallalahu Alaiyhi
Wasslaam Ke Liye Bhi Allah Jalle Shana,Ne Esa
Zo Mani Kalma Istemaal Karne Se Mana Farmaya
Jiska Maani Shaane Risaalat Ke Mutaabiq Na
Ho,Khwaah Istemaal Karne Wale Ki Niyyat Bhi
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 87

durust Ho.Lekin Usse Koi Badniyyat,Badmazhab


Aur Bad Teenat Shaks Door Ka Aisa Maani
Muraad Le Sakta Hai,Jisse Ahaaniyat Aur
BeAdabi Ka Pehluu Nikalta Ho-Allah TaAllah Ka
Irshaad Hai"Ayee Imaan Walo(Agar Douraane Kalaam
RasoolAllah SallalahuAlaiyhiwassalm Ko Apni
Jaanib Mutawajja Karna Chaho To)
(Ya RasoolAllah) Na kaho Balke (ya
RasoolAllah) Aur(Adab Ka Taqaza Yeh Hai Ke
Rasool Allah Ki Baat Ko) Khoob Tawajjo Se
Suno,(Taake Unhe dubara,Batanee Mein Zehmat
Na Deni Pare) (Al Baqra 104)
Fatawa Razviya

Tafheem ul Masail vol 1


SAWAAL :
Quraan O Hadees E mubaraka Ki Roshani Mein
Azaab E Qabr Saabit Kijiye?
JAWAAB:
Azaab E Qabr Quraan O Hadees Ki Nusoos
Qatiyaa Se Saabit Hai Aur Us Par Ummat Ka
Ijmaa HaiAllah TaAllah Ka Irshaad Hai :
"Unhe(Qoum E Firon Ko ) Jahannam Ki Aag Par
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 88

Subah Wa Shaam Pesh Kiya Jaata Hai Aur Jab


Qayaamat Qaim Hogi(Toh Firishto Ko Hukum
Diya Jayega Ke)Firauniyoo Ko Ziyaada Sakht
Azaab Mein Daakhil Karo"
(Al momin:46)
Is Aayat Mein Qayaam E Qayamat Se Pehle
Firaun Aur Qoum E Firaun Ko Subah Wa Shaam
Naare Jahannam Par Pesh Kiye Jaane Ka Zikar
Hai,Yahi Azaab E Qabar Hai,Qabr se Muraad
Zameen Ka Wo Girhaa Hi Nahi Jisme Murde Ko
Dafan Kiya Jaata Hai Balke Aalame Barzakh
Hai,Yaani Insaan Ki Mout Aur Qayaam E
Qayaamat Ka Darmiyaani Arsa,Us Mein Us Ke
Wajood Ke zara'at,Khaak Ya Raakh Ki Shakal
Mein Ho Ya Kisi Aur Shakal Mein Jahaan Kahi
Bhi Ho,Un Ke Saath Qudrat Ki Taraf Se Rooh Ka
Koi Na Koi Ta'Aluq Qaim Hota Hai,Jiski Kaifiyat
Ka Hum Is Duniya Mein Auraaq Nahi Kar sakte
Aur Use azaab Wa Sawaab Pohnchta Hai.
"Woh(Qoum E Nooh) Apne Gunaahon Ke
Sabab(Toofaan Nooh Mein)Garq Kar Diye
Gae,Phir Aag Mein Daale Gae" (Nooh:25)
Yaha Garkkaab Hone Ke Baad Jis Ka Azaab Ka
Zikar Hai Wo Azaab Qabar Hi Hai-Azaabe Qabar
Ke Saboot Mein Kasrat Se Ahaadees Waarid
Huwi Hai Hadde sharat Ko Pohnchi Huwi Hai
Tatafhim Al Masail Vol 1

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 89

SAWAAL :
Baaz Hazraat Yeh Eiteraaz Karte Hain Ke "Kalma
E Tayyiba" Jise "Kalma E Islaam" Bhi Kehte
Hain,Us Ka Zikar Quraan Mein Nahi Hai.Kiya Itna
Bunyaadi Cheez Quraan Mein Nazar Andaaz Ki
Ja sakti Hai?
JAWAAB :
Quraan Kisi Ek Aayat,Kisi Ek Surat Ya Kisi Ek Juz
Ka Naam Nahi Hai Balke Puraa Quraan Allah Ka
Kalaam Hai ,Saare Quraan Par Lafz Wa Ma'ani
Imaan Farz E Ain Hai.Kisi Ek Aayat Ka Inkaar
Pure Quraan Ke Inkaar ke Mutarawaf
Hai.Quraan Majeed Saare Ka Saara Yak baargi
Nazil Nahi Huwa Balke Waqtan Fauqatan Allah
TaAllah Ki Hikmat Se Naazil Kiya jaata Raha.Isliye
Quraan E majeed Mein Aqaid Masaail Wa
Ehkaam Aur Qissas Wa Waaqiaat Mutafarriq
Taur Par Bayaan Kiye Gaye Hain."
" Ko Kalma E Tayyiba Bhi Kehte Hain Aur
Kalma E Islaam Bhi Kehte Hain.Iske Dono Ajzaa
Quraan E Majeed Mein Do Maqamaat Par Alag
Alag Aaye Hai. " " Quraan E Majeed Ki
37vi Surat Assaffaat Ki Aayat Number 35 Mein
Mazkoor Hai Aur " " Quraan E Paak Ki
48vi Surah 'Al Fatah' Ki Aakhri Aayat ,Aayat
Number 29 Ki Ibtida Mein Mazkoor Hai.In Dono
Yakjaa Karne Se Kalma E Tayyiba Banta HaiTafhimul masail Vol 1

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 90

Qayamat Ka Din
SAWAAL:Ye Kehna Kahan Tak Durust Hai Ke Qayamat Ka
Din 10 Moharram Al Haram Ba Roz Jummah
Namaz E Asar Ke Waqt Hoga ?
JAWAAB:Sahih Muslim Mein Jummah Ke Baare Mein
Hadis Hai ' Abu Hurairah Se Riwayat
Hai Ke Huzur Ne Farmaya ;' Behtrin Din Jis
Mein Suraj Tulu Hota Hai , Jummah Ka Din Hai,
Us Roz Hazrat Adam Ki Takhliq Huwi ,
Usi Din Unhe Jannat Mein Dakhil Kiya Gaya , Usi
Din Unhe Jannat Se Nikala Gaya Aur Qayamat
Bhi Jummah Hi Ke Din Qaaim Hogi - Ghunayatut
talebeen Mein ' Jiske Bare Mein Mash'hoor Hai
Ke Ghaus Al Azam Shaikh Abdul Qadir Jilani
Ki Tasnif Hai , Likha Hai Ke " Qayamat
Ashura Ke Din Qaaim Hogi Tafheem Ul Masail Vol 1 Page No 34

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 91

SAWAAL :
Qayamat Kis Din Qaim Hogi? Aur Qayaamt Ki
Nishaaniyan Kiya Hain?
JAWAAB :
Sahih Muslim Mein Hadees Hai Ke Qayamat
Jummah Ke Din Qaim Hogi,Ahaadis E Mubaraka
Mein Qayaamat Ki Kai Nishaaniyan Batai Gai
Hain,Un Mein Se Chand Yeh Hain:Ilm Uth
Jaega,Jahalat Ka Galba Hoga,Badkaari Aur
Sharaab Noshi Ki waba aam Hogi,Aabaadi Mein
Mardo Ki Ba Nisbat Aurton Ka Tanasab Badh
Jaega,Amanat Zaae (khatam) Kardi Jaaegi Aur
Us Ki Nishaani Rasool Allah Sallalahu Alaiyhi
Wassallam Ne Yeh Bataai Ke Musalmano Ki
Zamaame Iqtadaar Naa ehlo Ke Paas Chali
Jaaegi,Qoumi Doulat Ko Zaati Jaageer Samjh
Liya Jayega,Amaanat Ko Maale Ghanimat Samjh
Kar Us Par HaaTh Saaf Kardiya Jaayega,Log
Zakaat Ko Taawaan Aur Jurmana Samjhenge
Ya'ani Ya Toh Denge Nahi Aur Agar Denge Toh
be Dilli Se,Ilm E Deen,Deeni Maqaasid Keliye
Nahi Balke Dunyawi Maqaasid Ke liye Haasil
Kiya Jaaega,Mard Apne Biwi Ka Ataa'at Guzaar
Hoga Aur Maa Ka Naa Farmaan,Log zehani Aur
fiqri Tour Par Baap Se Door Hojayene Aur Dosto
Se Qareeb Tar,Masajid Mein Ladaiyan Jaghde
Aur Shour Aur Googa Hoga,Bad kaar Wa
Sarkash Log Sardaar Wa Rehnuma Ban
Jaenge,Nihaayat Kamina Shaks Qoum Ka Raees
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 92

Hoga,Badey Logo Ki Taazeem (Un Ke Kisi


Ilmi,Adabi aur Iklaakhi Kamaal Ya Taqwaa Ki
Binaa Par Nahi) Balke Unke Shar Ke Khouf Se
Hoga.Aalaate Gina Wa Mouseeqi Aur Gaane
bajaane Ka bada shohra Hoga,Log Apne Aaba o
Ajdaad Aur Buzrugo Ki Yaani Aslaaf Ko La'an
Ta'an Karnege,Baandi Apne Aaqa ko Jane Gi,Wo
Log Jo Kabhi Charwahe The,Jhootey Aur Libaas
Tak Ke Mohtaaj The Bade bade Muhllaat
Taameer Karenge.Ahaades E Mubaraka Mein
Aur Bhi Boht Si Alaamat Mazkoor Hain.Lekin
Hume Khwaab E Ghaflat Se Bedaar Karne Ke
Liye Yeh Bhi Kaafi Hai,Ba Shart Ye Ke Humne
Qabool E Haq Ke liye Apne Zehan Ke Dariche
Aur Dil Ki Aankhein Band Na Kardi Ho.Irshaade
Baari TaAllah Hai: Aankhein Andhi Nhi Hoti
Balke Wo Dil Baseerat Se Mehroom Hojatey Hai
Jo Seeno mein Dhadakte Hain (Al Haj :46)
Aur Rabbe Kareem Ka Farmaan Hai:
Aur Jo Meri Naseehat(Ko Qabool Karne) Se Rukh
Pher lega Toh Uske liye Maeesat Tang Hojayegi
Aur Hum Use Qayaamt Ke Din Andhaa Kar Ke
Uthaenge,Wo (Hairat Ke Maare) Kahega:Aye
Parwardigaar! Tu Ne Mujhe Andhaa Kar Ke Kyn
Uthaya,Mein Toh Duniyaa Mein Acha Bhala
Beena Tha,Rab Farmaayega,Issi Tarah (Duniya
Mein) Tere Paas Meri Aayat Aayi Thi Toh,Tune
Unhe Bhulaa diya Tha,Tum Bhi Aaj Ussi Tarah
Nazar Andaaz Kiya Jaooge
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 93

Tafhim Al Masail Vol 1


SAWAAL :
Dajjaal Kya Hai?Uski Wajah e Tasmiya Kya Hai?
Tafseel Se Wazahat Farmaiye .
JAWAAB :
"Dajjaal" Ka Lafz "Dajl" Se Makhooz Hai,Jiska
Ma'Ana Hai "Chupana" Aur "Dhaanp Lena"
"Kizzab" Ko Bhi Dajjaal Isliye Kehtey Hain Ke Wo
Haq Ko Baatil Ke Sabab Se Chupa Deta Hai.Goya
Dajjaal Ka Ma'ana Faraib Aur Malmakaari Ke Hai.
Ahaadees E Nabi Kareem Huzur Ki Roshni
Mein "Dajjaal" Ki baabat Jo Irs Shaadat Aur
Alaamat Milti Hain Woh Yeh Hain:
1)Zuhoor E Dajjaal Alaamat E Qayamat Mein Se
Hai.
2)Uska Zahoor Qayamat Se Pehley Hoga.
3)Yeh Shaks Aoor(Kaana) Hoga Aur Uski Kaani
Aankhein Angoor Ki Tarah Phooli Huwi Hongi.
4)Us Ki Dono Aankho Ki Darmiyaan, Likha
Hoga

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 94

5)Us Ke Saath Aag Aur Paani ke Dariya


Honge,Wo Ek Aadmi Ko Qatal Kar Ke Phir Zinda
karega.
6)Wo Mashriq Ki Taraf Se Namoodaar
Hoga,Dajjaal Ka Laqab"Maseeh" Hoga Lekin Wo
Maseeh E Dalaalat Hoga,Jabke Hazrat Esa
Maseeh Hidayat Hain.
7)Hazrat Esa Dajjaal Ko Qatal Karenge.
Baaz Riwaayat Mein Hai Ke "Dajjaal" Pehle
Nabuwwat Ka Da'waa Karega Aur Phir Alwihiyat
Ka.
8)Quraan Majeed Mein Saraahat Ke Saath
Dajjaal Ka Zikr Nahi Hai,Albatta Baaz Akaabir
Ulmaa Jaise Haafiz Ibn e Hajar Asqalaani Ne
Likha Hai Ke Baaz Aayat E Mubarika Mein
Ishaaratan Dajjaal Ka Zikr Hai.
9)Dajjaal Ke Daawae Alwaihiyat Ko Baatil Saabit
Karne Keliye Baaz Ahaadees E Mubaraka
Hai.Huzur Ne Irshaad Farmaya Ke Wo Kaana
Hoga,Allah toh Kaana Nahi hai Aur Agar Wo
Apni Alwihiyat Ke Daawe Mein Saccha Hota Toh
Jismaani Nuqs Aur Aib Ko Door Na
Karta.Khulaasa e Kalaam Yeh Hai ke Dajjaal Ka
Zahoor Ahle Imaan Ki Ibtilaa,Aazmaish Aur
Imtehaan Ke Liye Hoga.Isi baais Uske Haath Par
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 95

"Kharqe Aadaat" Ya'ani Kar Shumaati Aur


Muhayyar Alaqool Umoor Ka Zuhoor Hoga.
10)Ahadees E Mubaraka Mein Yeh Nahi Hai Ke
Dajjaal Ka Zikar "Surah Al Kahf" Mein Hai Balke
Yeh Hai Ke Surah Al Kahf Ki Ibtadaai Teen Aayat
Ya ibtidyaayi 10 Aayat Ya Hosakey Toh Puri
Surah Kahf Ki Tilawat Karte Raha Karo,Us Ki
Barkat Se Allah Jalla Shanuhu Tumhe Fitnaa E
Dajjal Se Mehfooz Rakheyga.
Tafheemul Masaail Vol1 page No /34/35

SAWAAL:Kya Jannat Mei Dunyaavi Khaano Ki Tarah Bhi


Khaane Honge Yaa Khali Phal Aur Mewey
Honge?
JAWAAB:Allah Ta'ala Ka Irshad Hai: "Aur Aap Basharat
Suna Dijiye Un Logo Ko Jo Imaan Lae Aur
Unhone Nek Aamal Kiye Ke Unke Liye Aise
Baaghaat Hain Jinke Niche Nahren Jaari Hain
Jab Unhe In(Baaghaat)Ke Kisi Phal Ka Rizq Diya
Jaega To Wo Kahenge Ye Toh Wahi Hai Jo
Hame Pehle Mila Tha Aur Unko(Suratan)Milte
Julte Phal Diye Jayengey.
(Al Bakraa:25)"

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 96

"Aur Tumhare Us(Jannat)Mein Har Wo Cheez


Hai Jise Tumhara Jee Chahe Aur Tumhare Liye
Usme Har wo Cheez Hai Jise Tum Talab Karo
(haameem As sajda:31)"
"Aur Waha Har Wo Cheez Hogi Jisse Unke Dil
Chaahe Aur Aankhen Lazzat Paaye
(Az Zakhraf:71)"
"Aur Inme Phal Aur Khajooren Aur Anaar Hai.
(Arrahmaan:68)"
In Aayate Mubaraka Mein Phoolon Ka Bhi Zikr
Hai Aur Ye Bhi Zikr Hai Ke Ahle Jannat Ko Man
Pasand Chizen Milegi Jis Chiz Ki Khwahish
Karenge Unhe Mil Jaegi Zahir Hai Wo Kisi bhi
Cheez Ki Khwahish Kar Sakte Hain Aur Har
Tayyab Wa Tahir Aur Halal Cheez Unhe
Dastyaab Hogi-Baki Raha Ye Sawal Ke Wo Phal
Aur Khaane Kis Tarah Ke Honge?Toh Quran Ne
Farmaya Ke Duniya Ke Phalon Ki Mushabeh
Honge Take Tabiyat Unki Taraf Maa'il Ho Unsiyat
ho Lekin Jannati Phalo Mewon Aur Ta'aam Ko Jo
Lazzat Hogi Uska Hum Duniya Mein Tasawwur
Bhi Nhi Kar Sakte Iska Ek Mafhoom Ye Bhi Ho
sakta Hai Ke Ahle Jannat Ko Jo Phal Baar Baar
Diye Jaenge Wo Suratan Toh Pehel Phalon ki
Mushaben Honge Lekin Har Baar Zaika Naya
Hoga Lazzat Nayi HogiTafheemul Masaail Vol 1 page No 35/36
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 97

SAWAAL:Barzakh Se Kiya Murad Hai?


JAWAAB:"Barzakh" Do Cheezo Ke Darmiyan Hadde Faasil
Ko Kehte Hain.Ilm E Aqaid Ki Istilaah Mein
Insaan Ki Mout Se Lekar Qayamat Qaim Hone
Tak(Yaani Aalame Aakhirat Ki Aagaaz Tak) Ka Jo
Darmiyaani Waqfa Hai,Use Aalame Barzakh
Kehte Hain,Khawah Wo Arsa Insaan Ke Wajood
Khaki Kisi Qabar Mein Guzaare,Gal Sad Kar
Khaak Ban Chuka Ho Ya Jal Kar Raakh Ho Chuka
Ho,Kisi Darinde Ki Khurak Aur Uska Juz Bandan
Ban Kar Tahleel Ho Chuka Ho.Al Garz Jis Haalat
Aur Jis Kaifiyat Mein Bhi Us Par Yeh Dour Guzra
Hai,Guzar Raha Hai Ya Qayamat Tak
Guzrega,Wo Aalame Barzakh Kehlata Hai.Is Arse
Mein Uske Ajzaa E Badan Ke Saath Uski Rooh Ka
Kisi Na Kisi Qism Ka Ta'alluq Rehta Aur Az rooe
Quraan Wa Hadees Wo Azaab Aur Sawaab Aur
Ranj O Raahat Ki Kaifiyaat Se Guzarta Rehta hai.
Tafhimul masail Vol 1 page No 37

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 98

Jannat Ya Dauzakh Mein Jism Ke Sath Hona


SAWAAL:-Kya Jannat Ya Dauzakh Mein Insan
Mukamal Jism Ke Sath Rahega Ya Sirf Rooh
Waha Par Hogi?
JAWAAB:-Quran Wa Sunnat Ki Nusus Aur
Tasrihat Se Yahi Malum Hota Hai Ke Insaan Apne
Jism Ke Sath Jannat Ya Dauzakh Mein
Jayega_Irshad Bari Ta'Ala Hai:Bila Shuba Jin Logo Ne Hamari Aayat Ka Inkar
Kiya Anqarib Hum Unhe Aag Me Jhonk Denge
Jab Bhi Un(Ke Jismo)Ki Khalen Jal Kar Pak jaengi
Hum Unhe Dusri Khalo Mein Tabdeel Kar Denge
Take Woh Azab Chakhey.Aur Allah Ta'ala Ka
Irshad Hai.Dozakh Uske Peechhe Hai Aur Use
Pilaya Jaega(Jahanamiyo Ke Zakhmo Se Rasne
Wala) Peep Ka Paani Wo Bamushkil Uska Thoda
Lega Aur Wo Use Gale Se Neeche Na Utar
Sakega Aur Har Taraf Se Use Mout Gher Legi Aur
Wo Marega Nahi Aur Uske Peechey Ek Sakht
Azab Hoga.Isi Trah Ahle Jannat Ki Kayifiyat W
Ahwal Ke Baare Mei Allah Ta'ala Ka Irshad Hai
Bila Shuba Naik log Zarur Nematon Mein
Sarshaar(Izzat Ki Unchi)Masnado
Par(Bethe)Dekhte Honge Aap Unke Cheharon
Ko Rahat Ki Taro Tazgi(Ki Alamat) Se
Pehchanege Unhe Saaf Shaffaf Mahar Band
Sharab Pilai Jaegi Jiski mahar Mushak Hai.Algarz
Isi Trah Ki Mutarad Aayat Hai Jisse Katyiyat Ke
sath Sabit Hota Hai Ke Ahle Jannat Jannat Mein
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 99

aur Ahle Jahannam Jahannam Mein Apne


Jismon Ke Sath Honge
SAWAAL :
Africa Ke Ek Mulk Malawi Ke Indian Baashinde
Ne Jo Muslim Hai Aur Unka Naam 'Altaaf Allah'
Hai,Kaha Ke "Allah T'aala African Qoum Ke
Andar Aqal Daalna Bhool Gaya Aur Allah Se Gati
Hogayi "(Al'ayaazubillah) Waha Ek Aalim Ne
Unhe Mutawajjah Kiya Yeh Kalma E Kufar
Hai,Tauba Karo Aur Tajdeed E Nikah Karo,Lekin
Wo Us Par Aamda Nahi Hua, Ab Daryaaft Talab
Amar Yeh Hai Ke Kya Uska Nikah Baaqi Hai Ya
Uski Biwi Uske Nikah Se khaarij Ho Chuki
Hai,Shar'ee Hukam Bayaan Kijiye.
JAWAAB:
Firon Se Mukalame Ke Douraan Quraan Hazrat
Moosa Alaiyhissalaam Ka Qaul Naqal Karte
Huwe Farmata Hai:"(Tarjuma)Mera Rab Na
Batakhta Hai Aur Na Bhulta Hai(Taa:25)"
Issi Tarah Quraan Hazrat Mariyam Se Farishto Ka
Mukaalama Naqal Karte Huwe Farmata
Hai:"(Tarjuma)Hum Aap Ke Rab Hi Ke Hukm Se
Utaarte Hai Hamare Aage Aur Hamare Peechey
Aur Uske Darmiyaan Jo Kuch Hai Wo Ussi Ka Hai
Aur Aapka Rab Bhulne Wala Nahi
Hai(Mariyam;64)
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 100

Surat Masoola Mein Qaail Mazkoor Ne Zaate


Baari TaAllah Ki Taraf Sau Nisyaan Aur Galti Ki
Sareeh Nisbat Ki,Yeh Allah TaAllah Subhana Wa
TaAllah Wa Jalle Shaana Ki Sareeh Touheen Hai
Aur Kufar Hai Aur Aalim E Deen Ke Mutawajjah
Karne Ke Bawajood Uska Tauba Par Aamda Na
Hona Israar AlLalkufr Hai.
Yeh Kalamaat Adaa Karte Hi Uska Nikah Fisq
Hogaya Aur Iddat Ke Baad Uski Biwi Kisi Ke
Saath Bhi Apni Marzi Se Nikah Karne Ke Liye
Aazaad Hai.Albatta Agar Wo Sidq Dil Ke Saath
Kufr Se Taaib Hojaye Aur Shaane Alwihiyat Mein
Jo Gustaakhi Ki Hai Uspar Naawam Hokar Us Se
Rujoo Karle,Toh Wo Dono Baah

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 101

Daulatmand Ki Jannat Se Duri


SAWAAL:Kya Ameer Tareen Daulatmand Sarmaya Dar 500
Baras Tak Jannat Se Dur Kar Diye Jayegey?
JAWAAB:Mullah Ali Quari Ne Markatesharah Mishkat Aur
Allama Sharfuddin Hussain Tayyabi Ne Apni Sharah
Al Tayyabi Mein Ek Hadis Mubaraka Ki Tashrih Karte
Hue Likha Hai Ke Fuqra Muhajireen Sahaba E Kiram
RadiAllahu Ta'ala Anhu Amarah Se Paanch Sau
(500) Saal Pehle Jannat Mein Jayege ..Ye Sahaba E
Kiram Ki Nisbat Se Un Fuqra Aur Ahle Iman Ka Zikr
Hai Jo Mukammal Taur Par Shariat Par Aamil Ho Aur
Har Qism Ke Fisk Wa Fajoor Se Mehfooz Ho.. Zahir
Hai Jiska Parcha E Imtihaan Jitna Taweel Hoga Uska
Jawaab Aur Hisaab Bhi Utna Hi Tafseeli Hoga..
Chunke Fuqra Moaminin Ke Paas Zarurat Se Zyada
Daulat Hi Nahi Lihaza Unpar Jawaab Dene Ki
Zimmedaari Bhi Nahi.Iske Bar Aks Jin Ahle Sarwat
Ko Allah Ta'ala Ne Dafr Daulat Di Hai Unhe Is Daulat
Ki Aamad Wa Kharch Ka Tafseeli Hisaab Bhi Dena
Padega... Ye Amar(Hukm) Zahen Mein Rahe Ke Ye In
Ahle Sarwat Ka Zikr Hai Jo Apni Daulat Shariat Ke
Mutabik Jama Aur Kharch Karte Hai Aur Jo Log Is
Mamle Mein Shara'i Ehkaam Ko Nazar Andaaz Karte

Hai Unka Hisaab Kitaab Nihayat Hi Dushwar


Hoga-

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 102

Muflis Kaun ?
SAWAAL:Shariat Mein Muflis Kisko Kaha Gaya Hai?
JAWAAB:Sahi Muslim Mein Hadis Hai Hazrat Abu Hurairah
Bayan Karte Hain ke Rasool Allah
Ne(Sahaba Se) Farmaya Kya Tum Jante Ho Ke
Muflis Kaun Hai?? Unho ne Arz Kiya (Ya
RasoolAllah ) Humare Nazdik Toh
Muflis Wo Hai Naqad Raqam Aur Saazo Samaan
Duniya Na Ho Aap Ne Farmaya Meri Ummat
Mein Se Muflis Wo Hai Jo Qayamat Ke Din
Namaz Roza Aur Zakat(Ya'ni Ibadat Ka Zakhira
Aakhirat) Lekar Aayega Lekin (Bad qismati Se)
Us Ne (Duniya Mein)Kisi Ko Gaali Di Hogi Kisi Par
Na jaez Tohmat Lagai Hogi Kisi Ka Maal Batil
Tariqe Se Khaya Hoga Kisi Ka Na Haq Khoon
Bahaya Hoga Kisi Ko Maara Peeta Hoga Un me
Se Har Ek Mazloom Ko Iske Dhaye Huwe
Muzalim Ke Badle Mein Iski Nekiyan Muntaqil
Kar Di Jaegi Aur Agar Un Mazloomin Ke Huqooq
Ki Adaegi Ke Liye Uski Nekiyan Na Kaafi Hogi
Toh Unke Gunah Iske Khate Me Daal Diye Jaege
Aur Phir Us se Jahannam Mein Daal Diya JaegaTafhimul masail Vol 1

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 103

Kya Islam Ek Suna Sunaya Mazhab Hai?


SAWAAL:Kya Farmatey Hai Ulama E Deen Is Masley Mein
Ke Ek Shaks Jo Ke Deeni Ilm Rakhta Hai Usey
Pucha Gaya Suni Sunayi Baat Ko Bagair Tehkik
Ke Aage Badhane Wale Ke Bare Mein Kya Hadis
Hai? Farmaya Jhoote Ke Liye Ye Baat Kaafi Hai
Ke Wo Suni Sunayi Baat Ko Bagair Tehkik Ke
Aage Badha Deta Hai..Is Par Us Shaks Se Kaha
Gaya Ke Bas Yahi Amal Aap Ka Hai Ke Aapne Bhi
Falaa Suni Sunayi Baat Bagair Tehkik
Aage Badhaa di Jo Jhoot Hai To Usne Kaha Ke
Islam Bhi Hum Tak Suna Sunaya Aaya Hai Ab
Sawaal Ye Hai Ke Kya Waqai Islam Hum Tak
Suna Sunaya Aaya Hai?Shar'i Hukm Kya Hai?
JAWAAB:Hadis Ke Alfaz Muslim Mein Ye Hai Hadis Ka
Maqsad Ye Hai Ke Aadmi Ke Jhoota Hone Ke
Liye Ye Kaafi Hai Ke Har Suni Huwi Baat Ko
Bayaan Kar De Iska Zahir Matlab Ye Huwa Ke
Tamaam Suni Huwi Baato Mein Jhooti Aur
Sacchi Dono Qism Ki Baatey Hogi Agar Ye sab
Ko Bayaan Karega To Jhooti Ko Bhi Bayaan
Karega Jab Uski Zabaan Se Log Jhoothi Baat
Sunenge To Usko Jhoota Kahenge Us Kayil
(Kehne Wala) Jo Alfaz Sawal Mein Mazkoor Hai
Unka Matlab To Ye Huwa Ke Islam Suni Sunayi
Baato Ki Tarah Ek Mazhab Hai Ye Us Kayil Ki
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 104

Intihayi Jahalat Hai Kyuke Khabar Mutwatar


Mufeed Yakeen Hoti Hai Usme Ahtmale Kazb Bhi
Baki Nahi Rehta Islam Ki Buniyad Quran Par Hai
Quran Nabi E Karim Sallaho Alayhi Wasalam Ki
Zabaan Se Sahaba E Kiram Radiallahu Ta'ala
Alaihim Ajmayeen Ne Suna Aur Sahaba e Kiram
Ke Tawator Ke Sath Mankool Huwa Is Tarah
Ahaadise Imam Malik Iman Bukhari Aur Imam
Muslim Digar Hum Muhaddisin Tak Pohchi Aur
Unhone Raawiyo Ne Achi Tarah Taftish Karne Ke
Baad Apni Kitabo Mein Likhi Islam Ke Usool Suni
Sunayi Baato Par Maukoof Nahi lihaza Is Qayil
Ne Jo Jawaab Diya Wo Intihayi Jahalat Hai Usey
Touba Karni ChahiyeWaqaar Al fatawa vol 1

SAWAAL:Kya Farmate Hain Muftiyaane Deen O Millat Is


Mas'ale Mein Ke Juwabaaz Ne Tauba Ki Phir
Mazeed Tauba Par Saabit Qadam Rehne Ke Liye
Dil Mein Socha Ke Agar Mein Doubara Juwa
Khelun 'Maz'Allah' Kaafir Ho Jaunga Jabke Use
Yaqeen Tha Ke Agar Main Dobara Juwa Khel Bhi
Lunga Jab Bhi Muslim Hi Rahuga.Ab Daryaft
Talab Amr Ye Hai Ke Kya Juwabaaz Dobara
Juwa Khelne Se Kafir Ho Jayega? Bilfarz Agar Ho
Gaya To Usne Tauba Tajdeed E Imaan Tajdeed E
Nikaah Kiya Magar Wo Jis Peer Se Mureed Hai
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 105

Unka Inteqaal Ho Chuka Hai Aur Wo Unhi Se


Bai'at Rehna Chahta Hai.Lihaaza Surate Mas'oola
Mein Koi Aisi Soorat Hai Ke Wo Isi Bai'at Par
Barqaraar Rahe?Ya Us Peer Ke Tajdeed E Bai'at
Ka Koi Tareeqa Nikal Sakta Hai?
JAWAAB:
Sayeedna Alaa Hazrat Imaam Ahmed Raza Fazil
e Bareilvi Rabba Al Qawi Tehreer
Farmate Hain .Jinhone Yeh Iqraar Kiya Tha Ke Jo
Aisa Karega Wo Kalma Shareef Aur Quraan
Shareef Se Phire....Phir Us Iqraar Se Phir
Gaye.Unme Se Jiske Khayal Mein Yeh Ho Ke
Waqa'ee Aisa Karne Se Quraan Majeed Aur
Kalmaa E Tayyiba Se Phir Jaayega Aur Yeh
Samajh Kar Aisa Kiya Wo Kafir Ho Gaya.Uski
Aurat Nikah Se Nikal Gayi.Naye Sire Se Islaam
Laye.Uske Baad Aurat Agar Razi Ho To Use
Dobara Nikah Kare... Warna Musalmaan Use
Qat'an Chod de.Usse Salam Wa Kalam Uski Maut
Wa Hayaat Mein Shirkat Sab Haraam.Aur Jo
Jaanta Tha Ke Aisa Karne Se Quran Majeed Ya
Kalmaa E Taiyaba Se Phirna Na Hoga Wo
Gunehgar Ho Us Par Qasam Ka Kaffar Wajib Hai
Fatwa Razviya Jild 5

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 106

Lihaza Soorate Mas'oola Mein Agar Waqa'ee


Juwabaaz Ko Is Baat Ka Yaqeen Tha Ke Mein
Dobara Juwa Khelne Ke Baad Bhi Musalmaan Hi
Rahunga Toh Wo Kaafir Na Hoga Balke
Musalmaan Hi Rahega.Albatta Aisi Galat Baat Dil
Mein Sochne Aur Tauba Ke Baad Dobara Juwa
Khelne Ke Sabab Sakht Gunehgaar Mustahiq E
Azaab E Naar Huwa...Tauba Kare..Aur Aindaa
Aise Bure Kaam Se Door Rehne Ka Ehad Kare

Fatwa Faqeehe Millat vol 1 page No 16

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 107

Kafir Ka Musalmaan Hona


SAWAAL:
Ek Kafir Ne Ek Aalime Deen Se Kaha Ke Mein
Musalmaan Hone Ke Liye Aapke Pas Aaya Hoon
Mujhe Islaam Ka Kalma Padha Dijiye.Us Par
Aalim Sahab Ne Kaha Jao Ghusl Kar Ke Aao
Uske Mutalliq Shariat Ka Hukm Kya Hai?
JAWAAB:
Soorate Mas'oola Mein Aalime Deen Par Tauba
Tajdeed E Imaan Aur Tajdeed E Nikaah Lazim
Hai Ke Wo Ghusl Karne Ke Wakt Tak Kufr Par
Raazi Rahe Ke Jis Wakt Us Kafir Ne Aalime Deen
Se Kaha Tha Ke Mujhe Islaam Ka Kalma Padha
Dijiye Toh Aalim Par Farz Tha Ke Fouran Talqeen
Kar Ke Musalmaan Kar Dete Magar Usne Aisa
Nahi Kiya Balke Ghusl Karke Aane Ka Hukm Diya
Jabke Islaam Laane Ke Liye Ghusl Lazim Nahi
Tha Sharah Fiqa Akbar safa 218 Mein Hai


Aur Mufti E Azam Hind Tehrir Farmate
Hain


Fatawa Mustafwiya Hissa Awwal Safa 22
Fatawa Faqeeh e Millat vol 1 page No 17
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 108

Gair Muqalid Se Taleem Hasil Karna


SAWAAL:Kya Farmate Hai Muftiyan In Masail Meni Ke Zaid
Ek Zimmedaar Aalim Hai Wo Apne Madrase
Mein Gair Muqalid Wahabiya Moallima Ko Rakh
Kar Taleem Dilwate Hai...Wahabiyo Se Salaam
Wa Kalaam...Unke Marne Par Isale Sawaab Wa
Dua E Magfirat Karte Hai To Aise Sakhs Ke Baare
Mein Shariat Ka Kya Hukm Hai? Kya Uski Iqtida
Mein Namaz Durust Hai?
JAWAAB:Wahabiya Moallima Taleem Dilwana Imaan Ke
Liye Zaher Katil Hai Isi liye Hadees Shareef Mein
Hai Aur wahabiyo
Se Salam Wa Kalaam Karna Sakht Najaiz Wa
Haraam Hai Sayeedna Alaa Hazrat Imam Ahmad
Raza Muhadise Barailyi Tehrir Farmate
Hai...Wahabiyo Se Bacho Ko Taleem Dilwana
HARAAM Hai, HARAAM Hai,HARAAM Hai Aur
Jo Aisa Kare Wo Bad Khwah Itfal Wa Mubtila E
Asam Aur Hadis Shareef Mei Hai
Ya'ani Bad Mazhabo Se Mulakat Ho To Unhe
Salaam Na Karo Aur Alaa Hazrat Alaihi Rehmat
Wa Rizwaan Tehrir Farmate Hai Gair Muqalidin
Zamana Bahukme Fatha Wa Tasrihat Aama
Qutb Saqyah Kafir Thee Hi Jiska Roshan Bayaan
Risala Risala Aur
Wagairah Mein Hai Aur Tajurba Ne Sabit Kar
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 109

Diya Ke wo zarur Munkiran Zaruriyaat E Deen Hai


Aur Unke Munkiro Ke Hami Wa Hamrah Toh
Yakinan Kat'an Ijma Unke Kufar Wa Artrad Mein
Shak Nahi Aur Kafir Ke Liye Magfirat Ki Dua Karna
Jaiz Nahi...Hazrat Sadrush-Shariah Alaihi Rehman
Fatawa Alamgiri Ke Hawale Se Tehrir Farmate Hai
Kafir Ke liye Magfirat Ki Dua Hargiz Hargiz Na
kare.Lihaza Wahabiyo Ke Liye Magfirat Ki Dua
Karna Haraam Hai Aur Musalman Samjh Kar Dua
Karna Kufr Hai Aur Unhe Isaaley Sawaab Karna Bhi
Kufr Hai.Sayeedna Alaa Hazrat Alaihi Rehman Tehrir
Farmate Hai Qabar E Kafir Ki Ziyarat Haraam Aur
Use Isaale Sawab Ka qasd Kufr
Fatawa Razviya Jild Chahrum
Lihaza Aisa Shaks Sakht Gunahgaar Mutlaye Qaher
Qahaar Aur Mustahik Azaab Naar Hai Uski Iqtida
Mein Namaz Durust Nahi...Un Afaal Mein Maloom
Hone Ke Baad Jitni Namaze Uske Peechey Parhi
Gayi Unka Dobara Padhna Zaruri Hai Sharha Aqaid
Nasfi Mein Hai

Lihaza Uspar Lazim Hai Ke Tauba Tajdide
Iman Kare Aur Agar Shaadi Shuda Ho Toh Tajdide
Nikah Bhi Kare Naiz Gair Muqallid Moallima Ko
Fouran Barkhast Karde Agar Wo Aisa Na Kare Toh
Saare Musalman Uska Samaji Boycott Kare

" "
Para 12 Surah Hood Ayat 113

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 110

Ameere Muawiyah Ke Bare Aqidah


SAWAAL:Zaid Hazrat Ameer Muawiyah Ke Bare
Mein Ye Bhi Kehta Hai Ke Wo Haq Par Nahi The
Toh Kya Uska Ye Kehna Durust Hai?
JAWAAB:Hazrat Ameer Muawiyah Ke Bare Mein
Ye Kehna Ke Wo Haq Par Nahi The Badi Jihalat
Wa Gumrahi Hai Us Par Lazim Hai Ke Tauba Kare
Aur Kitab Khutabaat Muharm Mein Hazrat
Ameer Muawiyah Ka Bayaan Padhe
Fatawa faqeeh e Millat vol 1page No 1 8

SAWAAL:Ek Musalmaan Islam Se Phir Gaya Usne Ghar


Mein Hindu Devtao Ki Pooja Shuru Ki Aurto Ki
Saaree Pehenne Laga Peshaani Par Bindi Lagane
Laga Logo Ne Usey Islam Ki Dawat Di To Kabool
Nahi Kiya Jab Uska Intekaal Huwa Toh
Musalmano Ne Uske Haal Se Agah Hone Ke
Bawajud Islaami Tareeke Par Usey Ghusl Diya
Namaz E Janaza Padhai Aur Musalmano Ke
Qabrastan Mein Dafan Kiya Aur Imam Ne
Committee Ke Dabaw Se Namaze Janaza Padhai
Toh Imam Aur Jo Log Dafan Wagairah Mein
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 111

Sharik Huwe Sab Par Kya Hukam Hai?


JAWAAB:Jab Shaks Mazkur Kafir Wa Murtad Hokar Hindu
Dewtao Ki Pooja Karne Laga Aur Dobara Islam
Laye Bagair Issi Haalat Mein Mar Gaya Toh Islami
Tarike Par Usey Ghusl Wa Kafan Dena Uske
Janaze Ki Namaz Padhna Musalmano Ke
Qabarstan Mein Usey Dafan Karna Sab Najaiz Wa
Haraam Huwa Aisa Hi Fatawa Razwiyah Jild
Shashum Safa 150 Par Hai Aur Khuda E Ta' ala Ka
Irshaad Hai
"



"

(Surah Tauba Ayat 84)


Lihaza Jo Log Uske Haal Se Aaga Hone Ke
Bawajud Usey Ghusl Wa Kafan Dena Uski Namaze
Janaza Padhne Aur Dafan Karne Mein Sharik
Huwe Sab Par Tauba Wa Tajdide Imaan Aur Biwi
Wale Ho To Tajdide Nikah Ka Hukm Hai.Aur Imam
Ne Agarche Committee Ke Dabaw Se Namaze
Janaza Padhai Hai Us Par Bhi Tauba Wa Tajdide
Imaan Aur Tajdide Nikah Ka Hukm Hai Fatawa
Razwiyah Mein Hawale Se Hai

Aur Shami Jild Awwal Safa 523 Matbua Bairot


Mein Hai


Fatawa Faqeeh E Millat Jild 1

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 112

Muqallid Hona
SAWAAL:Khalid Kehta Hai A'ima e Karam Mein Se Kisi Ka
Bhi Koi Aisa Qaul Nahi Milta Jis me Unhone Apni
Taqleed Karne Ka Hukm Diya Ho Balke Wo is se
Mana Karte The To Malum Huwa Musalmano Par
Thonsi Jaane wali Taqleed Ba'az Mullaaon Ki
Ikhtra'a Karda Hai A'imae Karam Is se Bari Hain
Mahmud Kehta Hai Ke Imam Azam Abu Hanifa
Imam Shafa'i Imam Malik Aur Imam Ahmad Bin
Hambl Mein Se Kisi Ek Ki
Fiqhi Taqleed Daure Hazir Mei jamhur e Ummat
e Muslima Ke Liye Wajib Hai- Aur Unki Taqleed
Se Azad Rehna Mazhabi Awargi Aur Gumrahi
Hai- Daryafat Talab Amr Ye Hai Ke Mazkura
Dono Aqwal Mein Kiska Maslak Wa Khayal Sahi
Hai Aur Shariat E Mutahhirah Ki Raushni Mein
Tehqiqi Jawab Inayat Farmaiye ?
JAWAAB:Mehmud Ka Kehna Durust Hai Beshak A'ima
Arba Mein Se Kisi Ek Ki
Fiqhi Taqleed Ummat E Muslima Par Wajib Hai
Aur Unki Taqleed Se Dur Rehna Mazhabi Awargi
Wa Gumrahi Hai Aur Khalid Ka Ye Kehna Galat
Hai Ke A'imae Karam Taqleed Se Mana Karte The
Kyun Ke Taqleed Ke Bagair Koi Chaara e Kaar
Nahi Yhi Wajah Hai Ke Jahil Aur Padhe Likhe Sab
Ke Sab Gair Muqallid Apne Moulviyon Ki Taqleed
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 113

Zarur Karte Hain Is liye Ke Zahir Hai Tijarat Karne


Wale Kheton Mein Hal Chlane Wale Aur
Ghisyare Charwaahe Wagairah Saare Log Quran
Wa Hadee Se Masla Nikalne Ki qudrat Nahi
Rakhte To Woh Apne Moulviyon Ki Taraf Ruju
Karte Hain Phir Wo Jo Apne Qiyas Se Mas'ala
Batate Hain Us Par Amal Karte Hain Usi Tarah
Wo Apne Maulviyon Ki Taqleed Karte Hain
Maslan Ek Gair Muqallid Tanba Ko Pital Se
Bechna Chahta Hai Toh Ek Dusre Ke Barabar
Kam O Besh Karke Naqad Wa Udhar Bechna
Jaez Hai Ya Nahi?Is se Malum Karne Ke Liye Usko
Apne Moulvi Ki Taraf Ruju Karna Padega Isliye
Ke Us Masle Ki Wazahat Quran Wa Hadees Mein
Maujud Nahi To Gair Muqallid Moulvi Khud
Qiyas Karke Masla Bataega Aur Muqallid Maulvi
Quran Wa Hadees Ki Raushni Mein Apne Imam
Ke Batae Huwe Usool Par Amal Karte Huwe
Uske Jaez Wa Najaez Surton Ko Waazeh Karega
Is Tarah Gair Muqallid Apne Ilaqa Ke Maujuda
Moulvi Ki Taqleed Karta Hai Aur Muqallid Saari
Duniya Ke Maane Huwe Mujtahid Aalim E Din Ki
Taqleed Karta Hai Ab Agar Gair Muqallid Kahe
Ke Hum Apne Moulvi Ki Taqleed Nahi Karte
Balke Unki Baat Maante Hain To Ye Galat Hai Is
Liye Ke wo Sab Hujjat Wa Daleel Ke Ahl Nahi Lihaza Wo Daleel Wa Hujjat Ke Bagair Apne
Moulviyon Ki Baat Maante Hain Aur Isi To
Taqleed Kehte Hain Hazrat Allama Sayyed
Shareef Jarjani Tehrir Farmate Hain
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 114

Ya'ani Hujjat
Wa Daleel Ke Bagair Kisi Ki Baat Man lene Ko
Taqleed Kehte Hain( ) Aur Al
Munjad Mein Hai
Ya'ani Gauro Fikar Ke Bagair Usne Uski
Pairawi Ki Aur Rahe Un Ke Moulvi To Woh Bila
Daleel o Hujjat Apne Badon Ki Baat Mante Hain
Is Tarah Woh Ibne Taymiya Ibne Qayam Qazi
Shukani Ki Taqleed Karte Hain Ke Mash'hoor
Gair Muqallid Nawaab Wahid Az Zama Ne Likha
Hai Humare Ahle Hadis Bhaiyon Ne ibne
Taymiya Aur Ibne Qeem Aur Shukani Aur Shah
WaliAllah Aur Moulvi Ismail Sahab Ko Deen Ka
Thekedaar Bana Rakha Hai Jaha Kisi Musalman
Ne In Buzurgon Ke Khilaf Kisi Qaul Ko Ikhtiyar
Kiya Bas Uske Peeche Pad Gaye Aur Bura Bhala
Kehne Lage Bahiyon Zara Gaur Karo Aur Insaaf
Karo Ke Jab Tumne Abu Hanifa Imam Shafi Ki
Taqleed Chhid di Toh Ibne Taymiya Ibne Qeem
Aur Shukani Jo Inse Bhot Mutakhir(Peeche Paida
Huwe)Unki Takleed Ki Kya Zarurat Hai
Hayaate wahiduzzama Safa No 102

Lihaza Jo Taqleed Ko Bida'at Aur Gumrahi Kehte


Hain Wo Khud Bid'ati Aur Gumrah Hain Warna
Lazim Aaega Ke Ummat Marhuma Ka Sawad E
Azam Gumrahi Par Hai Jisme Lakho Musalman
Beshumar Ulma e Ezaam W Aulaiya E Karam
Dakhil Hain Maslan Shaikh Sayyad Abdul Qadir
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 115

Jilaani Baghdadi Sultanul Hind Hazrat Khwajah


Moinuddin Chishti Ajmeri Hazrat Khwajah
Bahaduddin Naqshbandi Hazrat Shaikh
Sahabuddin Aur Saare
Buzurgane Deen Ye Aise Mushaikh Hain Jinki
Azmat Shaan Sulah W Taqwa Aur Salahiyat
Deen Par Jamhur Ahle Sunnat W Jamat
Muttafiqa Taur Par Shahid Hai Ke Ye Sab
Mujtahid Nahi The Balke Muqallid Hi The To Kya
Ye Log Gumrah The( ) Halanke Ye
Log Aise Na The Is Liye Ke Huzur
Ne Farmaya

Ya'ani Beshak Allah Ta'ala Meri Ummat
Ko Gumrahi Par Jama Nahi Karega Aur Khuda E
Ta'ala Ka Daste Qudrat Jama'at Par Hai Jo
Jama'at Se Nikla Wo Aag Mein Jaa Pada Radaha
Tirmizi Aur Farmaya
Ke Tum Sawade Azam Ki Pairawi Karo Beshak Jo
Unse Nikla Wo Aag Mein Jaa Pada Lihaza
Lakhon Khaas o Aam Alhe Islam Muqallid
Mazhab Gumrah Nahi Hai Balke Ye Chand Shaks
Munkirin Taqleed Gumrah Hai Jo Huzur Ne
Irshad Farmaya
Ya'ani Jo Shaks Islam Ki Jama'at Se Ek
Balisht Bhar Nikla Toh Beshak Usne Islam Ka
Kulada Apni Gardan Se Nikal Diya Rawah
Ahmad Abu dawood- Ta'ajub Hai Un Jahilon Par
Jo Logo Ko Apni Taqleed Ki Taraf Bulate Hain
Aur Aimma e Mujtahidin Ki Taqleed Se Mana
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 116

Karte Hain Aur Is liye Bhi Zaruri Hai Ke Jo Aimma


Ka Daman Na Thame Wo Qayamat Tak Kisi
Ikhtlafi Masle ko Hadis Shareef Se Sabit Nahi Kar
Sakta Maslan Isi Cheez Ka Suboot De Ke Kutta
Khana Halal Hai Ya Haram Konsi Hadis Mein
Aaya Hai Ke Kutta Khana Haram Hai Aayat Mein
Toh Haram Khane Ki Cheezo Ko Sirf Char Par
Hasr Farmaya Murdaar, Ragon Ka Khoon,
Khinzir Ka Ghost Aur Jo Gair Khuda Ke Naam
Par Zabah Kiya Jaae To Kutta Darkinar To Suvar
Ki Charbi Gurde Aur Aujhadi Kahan Se Haram
Ho gai Hadis Shareef Mein Unki Tehrim Nahi Aai
Aur Mei Farmaya Jo Unko Shamil Nahi Lihaza
Awam Aur Khaas Kisi Ko Bhi Taqleed Se
Chhutkara Nahi
Fatawa faqeeh e Millat vol 1 page No 21

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 117

Qur'an Ko Halka Janna


SAWAAL:
Zaid Wa Hindah Dono Kisi Baat Par Jhaghad Rahe
The Darmiyaan Mein Hinda Ne Kaha Ke Quran
Uthaoge To Zaid Ne Kaha Tum Quran Ko Aisi Waisi
Kitaab Samjhti Ho To Hindah Ne Kaha Haan Main
Aisi Waisi Kitaab Jaanti Hoon To Zaid Ne Kaha Ke
Tum Aisi Waisi Kitaab Jaano Main To Quran Ko
Khuda Jaanta Hoon. Sawaal talab Amr Ye Hai Ke
indash-shar'a Zaid Wa Hindah Par Kiya Hukam Hai?
JAWAAB:
Hindah Ka Yeh Kehna Quran Majeed Ki Touheen
Hai Ke Haan Main Quran Ko Aisi Waisi Kitaab Jaanti
Hoon Aur Quran Majeed Ki Touheen Kufr Hai Aisa
Hi Bahare Shariat Hissa9Safa 171 Par Hai Aur Zaid
Ka Yeh Jumla Ke Tum Aisi Waisi Kitaab Jaano Main
To Quran Ko Khuda Jaanta Hoon Yeh Bhi Kalme
Kufr Hai Ke Us Ne Khuda Ke Kalaam Ko Khuda
Jaana AgarChe Dono Ne Apni Jihaalat Ki Buniyaad
Par Aisa Kaha Ho.Fatawa Alamgiri Jild 2 Safa
276276 Mein Hai
"
"
Lihaza Zaid Wa Hinda Dono Ko Kalma Padhaa Kar
Aelaaniya Tauba Wa Istigfaar Karaya Jaaye Aur
Shauhar Aur Biwi Wale Hon To Tajdeed E Nikah Bhi
Karaya Jaye.

Fatawa Faqeehe Millat Jild 1 Page No21/22
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 118

Nahi Sununga Chahe Tumhe Allah Ne Bheja Ho


Kahna Kaisa Hai
SAWAAL:
Zaid Ne Bakar Se Kaha Ke Mujhe Pardahaan Ne
Aap ke Paas Bheja Hai Ke Bees Kg Gandum
(Gehoon) Udhaar Dedo To Bakar Ne Kaha
Tumhen Chaahe Allah Paak Ne Hi Bheja Ho Main
Udhaar Nahi Dunga To Iske Baare Mein Kiya
Hukam Hai?
JAWAAB:Ala'Hazrat Se Sawaal Kiya Gaya
Ke " Zaid Ne Kaha Aap Ki Baat Nahi Sununga
Khuda Kahe Jab Bhi Nahi Sununga " Is Ke
Jawaab Mein Aap Tahrir Farmate Hain "Zaid Nae
Sire Se Islaam Laae Tauba Kare Kalma E Tayyiba
Padhe Baad Tajdeed E Islaam Tajdeed E Nikaah
Kare"
Fatawa Razwiya Jild6 Safa 112 Wa Fatawa
Alimgiri Ma'A Khaniya Jild 2 Safa 259 Mein Hai

" "
Lihaza Zaid Ka Yeh Kehna kufr Hai Ke"Tumhen
Chahe Allah Paak Ne Hi Bheja Ho Main Udhaar
Nahi Dunga"Us par Laazim Hai Ke Ailaaniya
Tauba Wa Istigfaar Kare Nae Sire Se Kalma
Padhe Aur Biwi Wala Ho Toh Tajdeed E Nikah
Bhi Kre Aur Ahad Kare Ke Aindah Is Tarah Ke
Kufri Alfaaz Nahi Kahega.Agar Wo Aisa Na Kare
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 119

Toh Musalmaan Uska Samaaji Boycott Kare.


Khuda E TaAllah Ka Irshaad Hai :



"
"

(Para 7Ayat14)

Fatawa Faqeehe Millat Jild 1Page 22

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 120

Wahabiyon Ke Sath Uthhne Baithne wale Par


Hukm e Shara'a
SAWAAL:Zaid Apne Aap Ko Sunni Kehta Hai Magar Uske
Aqaid Wahabi Ulama Se Milte Julte Hain
Madresa Furqaniya(Gonda)Se Uska Bahot Rant o
Zabt Hai Usme Uska Bhai Padhta Hai Zaid
Wahabiyon Ke Sath Tabligh Mein Bhi Jaata Hai
Namaz Bhi Unke Peechhe Padhta Hai Aur Ye Bhi
Kehta Hai Ke Sunni Ulama Apni Taqrir Mein
Khurafat Hi Bakte Hain Jo Meri Samajh Mein
Nahi Aata Lihaza Jis Aqaid Par Hum Hain
Humare Liye Wahi Theek Hai Aur Sunni Awam
Ke Samne Kehta Hai Ke Hum Sunni Hain Niyaz
Wa Fatiha Dilwate Hain Ab Shar'a Shareef Ka
Kya Hukm Hai?Aise Aadmi Ke Yahan Khana
Peena Aur Rishta Karna Aur Jo Log Uske Bhai Ki
Shaadi Mein Jo Khalis Wahabi Ke Yahan Huwi
Sharik Huwe Jisme Hamare Kuch Sunni Bhai Bhi
Sharik Huwe Hain Jinhon Ne Zidd Par Kaha Hai
Ke Hum Bhi Wahabi Ho jaege Aur Wahabi Se
Dunyavi Maqasid Ke Liye Ta'aluk Rakhna Kaisa
Hai?Aur Jo Log Bazid Hokar Sharik Huwe Hain
Wo Log Phir Maslak E Ahle Sunnat Aana Chahe
Toh Uske Baare Mein Shariat Ka Hukm Kya Hai?
JAWAAB:Surate Mustafsira Se Zahir Hai Ke Zaid Jo Apne
Aap Ko Sunni Kehta Hai Nazr Wa Fateha Dilwata
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 121

Hai Ye Uska Makr Wa Fareb Hai Haqiqat Mei Wo


Wahabi Hai Aur Kai Wajaho Se Uska Wahabi
Hona Zahir Hai Maslan Uska Wahabiyo Se Rabt o
Zabt Unke Madarse Mein Apne Bhai Ko Padhana
Unke Sath Tabligh Mein Jaana Unke Sath Rishta
Karna Aur Unke Peeche Namaz Padhna Aur
Ulama Ahle Sunnat Ki Tauheen Karna Aur
Hadees Shareef Mein Hai Huzur Ne
Irshaad Farmaya

Ya'ani Unke Sath Na Baitho Aur Unke Sath


Khana Na Khao Unse Nikah Na Karo Aur Un Par
Namaz Na Padho Aur Unke Sath Namaz Na
Padho
Anwaarul Hadis Safa No 1 0 2
Aur Mujaddide Azam Alahazrat Muhaddise
Bareilwi Irshad Farmate Hain Jise
Malum Ho Ke Devbandiyon Ne RasoolAllah
Ki Tauheen Ki Hai Phir Unke Peeche
Namaz Padhta Hai Use Musalman Na Kaha
Jaega Ke Peechhe Namaz Padhna Uski Zahir
Daleel Hai Ke Unko Musalman Samjha Aur
RasoolAllah Ki Tauheen Karne
Wale Ko Musalman Samjhna Kufr Hai Isi liye
Ulama E Haramain Sharifain Bil Ittefaq
Devbandiyon Ko Kafir Wa Murtad Likha Hai Aur
Saaf Farmaya
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 122


Jo Unke Aqaide Batila Par Matla'a Hokar Unhe
Musalman Jaanna Darkinar Unke Kufr Mein Shak Hi
Kare Wo Bhi Kafir Aur Zaid Ka Ye Kehna Uske
Wahabi Hone Ki Khuli Nishani Hai Ke Sunni Ulama
Khurafat Hi Bakte Hain Aur Jo Log Uske Bhai Ki
Shaadi Mein Sharik Huwe Aur Kaha Ke Hum Bhi
Wahabi Ho jaenge Wo Wahabi Ho gae Jaisa Ke
Alahazrat Muhaddise Bareilwi Is Tarah Ke
Ek Sawal Mein Tehrir Farmate Hain Jis ne Jis Firqe
Ka Naam Liya Us Firqa Ka Ho gaya Mazaq Se Kahe
Ya Kisi Aur Wajah Se
Fatawa Razwiyah Jild Sasham Safa 102 Aur
Ashbah Safa 1 5 Hai


Lihaza Un sabho Par Lazim Hai Ke Tauba Wa
Ishtighfar Kare Biwi Wale Hon to Tajdide Nikah Aur
Mureed Ho To Tajdide Bait Bhi kare Aur Wahabi Se
Dunyawi Khawah Apne Mafaad Ke Liye Ta'aluk
Rakhna Jaez Nahi Ke Murtad Se Har Tarah Ke
Muamlat mana Hai Jesa Ke Fatawa Razwiya 9 Nisf
Aakhri Safa 3 0 2 Mein Hai Murtad Ke Hathon Na
Kuch Becha Jae Na Kharida Jae Unse Baat Hi Karne
Ki Ijazat Nahi Nabi Farmate Hain
Unse Dur Bhago Unhe Apne Se Dur Rakho

Fatawa faqeeh e Millat vol 1 page No 23

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 123

SAWAAL:
Zaid Ne Kaha Ke Khuda Ko Bhi Maanta hoon
Magar Baap Ke Baad To Uske Mut'aliq Shariat Ka
Hukum Kya Hai ?
JAWAAB:
Zaid Ka Yeh Kehna Sara Sar Kufr Hai Ke Mein
Khuda Ko Bhi Maanta Hoon Magar Baap Ke
Baad Is liye Ke Usne Apne Baap Ko Allah TaAllah
Se Zyada Martaba Wala Jaana Aur Kisi Makhlooq
Ko Khuda E TaAllah Par Kisi Bhi Cheez Mein
Fazilat Dena Kufr Hai Jaisa Ke Fatawa Alamgiri
Ma'a Khaniya Jild Doum Safa
2 5 9 Mein Hai "
" Lihaza Zaid Par Ilzaam Hai Ke Wo
Tauba Wa Tajdeed E Imaan Kare Aur Biwi Wala
Ho To Tajdeed E Nikah Bhi Kare Aur Ainda Is
Tarah Ki Baat Na Kehne Ka Ahad Kare _

Fatawa Faqeeh e Millat Vol 1Page No 2 5

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 124

Ambiya Ka Zikr Alfaaz e Zamimah Ke


Saath
SAWAAL:Kya Farmate Hain Ulma E Deen Is Mas'alah Mein
Ke Quran Paak Mai Baaz Munhayyat Ki Nisbat
Baaz Hazraat Ambiya e Kiram Ki Zawate
Muqaddasah Ki Taraf Hai Masalan Zamb
,Asa,Zulm,Zil Wagairah. To Kya Aayate Quraniya
Ko Sanad Bana Kar In Alfaaz e Zamimah Ke sath
Hazraat Ambiya Ka Zikr Az Ruwe Shar'a
Sharif Jaez Hai Ya Nhi?
JAWAAB:
.!
Aayat E Muqaddasa Ya Ahaadis e Karima Mein
Jahaan Jahaan Alfaaz e Mazkura Wagairaha
Hazraat e Ambiya E Karam Ki Maasum
Shakhsiyaton Se Mutalliq Hain Bas Un Ko Wahi
Tak Mahdud Rakhna Wajib Hai. Yaani Gair
Tilawat E Quran Wa Ahadis Khwaani Mein Kisi
Bhi Nabi wa Rasool Ki Taraf Zamb Wa
Asa Zulm Wa Zal Wagairaha Alfaaz e Zam Ki
Nisbat Haram Wa Gunah Aur Laaiq Ta'zir Wa
Saza Hai Balke Ulma E Rahmoh Ullah Ki Ek
Jamaat Ne Use Kufr Bataya Hai .Aur Ikhtilaf e
Ulma Se Bachne Ke Liye Is Ke Qa'il Par Tajdide
Iman Wa Nikah (Agar Biwi Rakhta Ho ) Ka Hukm
Lagaya Jaega.Ibn AlHaaj Imam Abu Abdullah
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 125

Muhammad Al Madkhal 2/15 Mein Farmaate


Hain Ke.

.
.
Hamare Ulma Ne Farmaya Ke Tilawat
Ya Hadis Ke Ilawah Ambiya Mein
Se Kisi Ka Zikr Khair Un Ki Lagzish Ya Na
Farmaani Ke Saath Karna Kufr Hai Jisne Aisa
Kiya Usne Kufr Kiya.

Fatawa Europe 6 2

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 126

Murtiyon Par Haar Chadhana


SAWAAL:Moortiyon Par Phool Chadhana Kaisa Hai?
JAWAAB:
Ala Hazarat Imaam Ahmad Raza Muhaddise
Bareilvi Tehreer Farmate hain"Ma'bood
Un Kuffar Par Phool Chadhana Ke Un Ka
Tareeqa Ibadat Hai Ashad Wa Akhbas Kufrul
Ashbaah Wannazair Wagairah Mutamidaat
Isfaar Mein Hai "
Fatawa Razviya jild Shashum Safa 149
Lihaza Moortiyon Par Phool Maala Chadhaane
Wale Kafir Wa Murtad Hain Khawaah Wo Kisi Ki
Moorti Ho.Aise Logo Par Laazim Hai Ailaaniya
Tauba Wa Istigfaar Kare Aur Biwi Wale Ho Wo
Tajdeede Nikaah Bhi Karey.

Fatawa Faqeehe Millat Vol 1 Page No 2 5

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 127

SAWAAL:Jo Musalman Chechak Ki Bimari Ke Mauke Par


Apne Gharo Mein Maali Bulakar Laate Hai Ye
Samajkar Ke Uske Aane Se Uske Charhane
Bajane Se Bimari Theek Ho Jayegi To Aise
Musalman Ke Liye Shar'i Hukm Kya Hai......Zaid
Kehta Hai Ke Jo Musalman Aisa Karta Hai Uski
Biwi Ka Nikah Toot Jaata Hai To Aisi Surat Mein
Zaid Ka Kehna Kaisa Hai?
JAWAAB:Aise Musalman Jahil Gawar Hai Unhe Aise Kaam
Se Tauba Zarur Karaya Jaaye Aur Tajdide Nikah
Ka Hukm Unhe Jabran Taup Diya Jaata Hai
Taake Aainda Phir Wo Aisa Kaam Naa Kare...
Zaid Jo Aise Musalman Ke Nikah Toot Jaane Ka
Masla Batata Hai Wo Saboot Ke Liye Kisi
Mo'atamad Mufti Ka Fatwa Ya Kitab Mustanad
Ka Hawala Paish Kare.
SAWAAL:Zaid Ye Bhi Kehta Hai Ke Jo Musalman Chechak
Ke Mauke Par Apne Ghar Maali Ko Bula Kar
Laate Hai Ke Uske Aaney Se Bimari Theek
Hojaegi Toh Uss Musalman Ko Tauba Tajdide
Nikah Karane Se Pehley Agar Uska Inteqal
Hogaya Toh Uski Namaze Janaza jo Musalman
Padhaega Uski Biwi Ka Bhi Nikah Toot Jayega
Zaid Ka Ye Kehna Durust Hai Ya Nahi?
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 128

JAWAAB:Aise Musalman Ka Janaza Padhane Se Nikah


Nahi Tootega Zaid Agar Aisa Kehta Hai Ke Toot
Jayega Toh Saboot Paish Kare
SAWAAL:Ek Sunni Maulvi Sahab Ahle Hadis Ke Bare Mein
Kehta Hai Ke Shafi Maslak Walo Ko Ahle Hadis
Kehte Hai Aur Sath Hi Ye Bhi Kehta Hai Ke Ahle
Hadis Mein Bhi Ba'az Log Bahot Khare Kism Ke
Sunni Hotey Hai Toh Maulvi Sahab Ka Aisa
Kehna Shara'i Ke Nazdik Kaisa Hai?
JAWAAB:Ahle Hadis Gair Muqallid Ko Kehte Hai Jo Charo
Imamo Mein Se Kisi Imam Ki Taqlid Nahi Karte
Aur Shafi Maslak Wale Ahle Hadis Hargiz Nahi
Kehlate Aur Naa Ahle Hadis(Gair Muqallid) Mein
Koi Sunni Hota Hai Wo Kar Qism Ke Wahabi Aur
Ambiya E Karam Wa Auliya E Izam Ke Dushman
Hote Hai Lihaza Uss Maulvi Ki Dono Baate Galat
Hai
SAWAAL:Chand Musalman Ekhtha Huwe Aur Zaid Se
Madrasa Arbia Gausiya Mein Lakdi Dene Ke Liye
Kaha Zaid Ne Inkaar Kiya To Logo Ne Samjhaya
Ke Deen E Islam Ki Baat Hai Madrasa Wa Masjid
Mein Jaha Tak Hosake Imdad Karni Chahiye Iss
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 129

Baat Par Zaid Gusse Mein Aagaya Aur Usne Bure


Alfaz Mein Deen E Islam Ko Khuli Huwi Gaali Di
Toh Zaid Ke Baare Mein Kya Hukm Hai?
JAWAAB:Zaid Deen E Islam Ko Gaali Dene Ke Sabab Kafir
Hogaya Uss Par Lazim Hai Ke Tauba Wa Tajdide
Iman kare Aur Biwi Wala Hoto Tajdide Nikah Bhi
Kare Agar Wo Aisa Na Kare Toh Musalman Ko
Uske Boycott Karne Ka Hukm HaiSAWAAL:Kya Farmate Hai Ulama E Kiraam Us Baare Mein
"Hindustani Tableeghi Jamaat" Ke Haqaaiq Wa
Aqaaid Kya Hai? Unke Saath Tableeghi Dawrah
Ke Liye Chille Ke Naam Par Nikalna Ya Unke Dars
Mein Hisse Lena Kaisa Hai? Jawaab Ba-Sawaab
Se Nawaazkar Shukriya Ka Maukha De
JAWAAB:
Hindi Tableeghi Jamaat Wahabiya, Devbandiyo
Ki Muawan Shaakh Hai Jiska Mahrik Thane
Bhoon Ka Ghiroh Aur Bhaani Uska Chilla
Maulavi Ilyas Kandhlawi Tha, Us Naam Nihaad
Jamaat Ka Maqsad Namaaz, Roze Ki Adh Mein
Wahabiyat Wa Devbandiyat Ka Pharchaar Hai.
UnkeAqaaid, Aqaaid Baatilah Hai. Islaami
Aqaaid Ke Bahut Se Ajzaah Mein Wo Mukhaalif
Hai.
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 130

Agar Tafseeli Maloomaat Chahiye To Allamah


Irshaad Al Qaadri Zaid Majdah Ki Mashoor
Tasneef "Tableeghi Jamaat" Ka Muta'la Kijiye.
Mazkoorah Tableeghi Jamaat Ke Dars Aur Chille
SeBachna Laazim Hai. Hadeeth Paak Mai Irshaad
Huwa

Fatawa Eorope

SAWAAL:Ek Peer Sahab Kehte Hai Ke Shariat To Humare


Hath Ki Mail Hai Aur Unhe Namaz Parhte Huwe
Kabhi Nahi Dekha Gaya Toh Aise Peer Ke Baare
Mein Kya Hukm Hai?
JAWAAB:Ye Kehna Kufr Hai Ke Shariat Humare Hath Ki
Mail Hai Kyuke Isme Shariat Ki Tahkir(Mazak) Hai
Aur Shariat Ko Haqir(Kamtar) Wa Halka Samjhna
Kufr Hai Hadayke Nadiya Jild Awwal Safa 299
Mein Hai
Aur Jo Shaks Namaz
Ba-Jama'at Na Padhta Ho Paband E Sharia Na Ho
Wo Hargiz Peer Nahi Balke Shaitan Ka Maskhra
Hai.
Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Muhaddise
Bareilyi Radi An Raba Al Qawi Tehrir Farmate
Hai Jo Bawasaf Baqa E Aqal Wa Isteta'at Qasdan
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 131

Namaz Wa Roza Tark Kare Hargiz Wali Nahi Wali


E Shaitan Hai(Fatawa Razwiyah Jild Sasham Safa
94) Aur Tafsir Sawi Jild 2 Safa 184 Par Hai
Lihaza Peer
Mazkur Mubtala E Kufr Gumrah Wa Gumrah
Garh Hai.Muslamano Par Lazim Hai Ke Usse Dur
Rahe Aur Hargiz Bai'at Na Ho Aur Jo Pehle Ho
Chuke They Kufr Ke Sabab Unki Bai'at Toot Gayi
Wo Kisi Sunni Sahih Ul Aqida Ba-Amal Paband
Sharai Peer Se Bai'at HoSAWAAL:Kamil Peer Ki Pehchan Kya Hai?
JAWAAB:Peer e Kamil Ki Pehchan Ye Ke Wo Sunni Sahih
Ul Aqida Ho Kam Az Kam Itna Ilm Rakhta Ho Ke
Bagair Kisi Ki Madad Ke Apne Zarurat Ke Masail
Kitabo Se Nikal Sake Uska Silsila Huzur Aqdas
Tak Mutasal (Jaari )Ho Aur Fasiq Maullim Na Ho
Aisa Hi Fatawa Razwiyah Jild12 Safa212 Bahar E
Shariat Hissa Awwal Safa79 Par HaiFatawa Faqeeh e Millat

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 132

SAWAAL:
Kya Farmate Hai Ulamaa E Deen Wa Muftiyaan E
Shari'a Mateen Maslae Zail MeinKe Ulamaa E Ahle Sunnat Ke Nazdeeq
Devbandi,Wahabi,Jamaat E Islaami Wagairah
Tamaam Jamaate Ghustaakhaan E Rasool Ko
Salaam Karna Aur Unke Salaam Ka Jawaab Dena
Ya Unke liye Salaam Likhna Ya Unke Liye Dua'iya
Kalimaat Jaise
Wagairah Ka Likhna
Kaisa Hai Aur Agar Koi Kahe Ya Likhe To Uske
liye Shari'an Kya Hukm Hai?
JAWAAB:
Devbandi, Wahabi, Jamaate Islaami Kisi Bhi BadAqeede Ko Salaam Karna Unke Salaam Ka
Jawaab Dena Unke Liye Salaam Likhna Ya Unke
liye Dua'iya Kalimaat Jaise
Wagairah Likhna Ya Kehna Sakht Na-Jaiz
Wa Haraam Hai Aur Agar Koi Aisa Kare To Wo
Naaqis Al Imaan Hai.Hadees Shareef Mein Hai
"

"
Yeh Hadees Muslim, Abu Dawood, Ibne Majah,
Aqeeli Aur Ibne Hubaan Ki Riwaayat Ka
Majmooah Hai
Fatawa Faqeehe Millat page No 27
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 133

SAWAAL:
Kiya Farmaate Hai Muftiyaan E Deen O Millat Is
Masle Mein Ke Bakar Ki Biwi Ko Bacha Paida
Nahi Ho Raha Tha,Ek Dua Taaweez Karne wale
Ne Dua Taweez ki Aur Dawa Wagairah Khilaya
Jis Par Bakar Ki Biwi Ko Abhi Hamal Thehra
Huwa Hai.Ek Din Khalid Ne Kaha Ke Taweez
Karne wala Na Namaz Padhta Hai Na Hi Aur Koi
Shareeat Ki Paabandi Karta Hai.Wo Kuch Nahi
Hai,Jis Par Bakar Ne Kaha Hamara Kaam Bana
diya Hamara To Wo Khuda Hai Hum To Usko
Apna Allah Maante Hain.Bakar UnPadh Hai Laailmi Mein Us Ne Yeh Baat Kahi,Ab Bakar Par Kiya
Hukam Aaid Hoga?
JAWAAB:
Bakar Ka Mazkoora Jumla Ke"Hamara To Wo
Khuda Hai Hum To Usko Apna Allah Maante
Hain "Sareeh Kufr Hai.Isliye ke Usne Gair Khuda
Ko Khuda Aur Allah kaha.Fatawa Alimgiri Ma'a
Khaniya Jild 2 Safa 276 Par Hai "

"
Aur Alahazrat Imaam Ahmed Raza Muhaddise
Bareilvi Tahreer Farmaate Hain
"Murshid Ko Khuda Kehne Wala Kaafir Hai Aur
Agar Murshid Use Pasand Kare To Wo Bhi Kaafir"
(Fatawa Razviya Jild 6 Safa 119)
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 134

Lihaza Jumlaa E Mazkoora Kehne Ke Sabab


Bakar Islaam Se Khaarij Ho Gaya Aur Uski Biwi
Uske Nikaah Se Nikal Gai Us Par Laazim Hai Ke
Fouran Tauba Wa Istighfaar Kare Kalmaa E
Tayyibah Padhe Aur Apni Aurat Ko Rakhna
Chaahe Toh Usi Ke Razamandi Se Naye Mehar
Ke Saath Dobara Nikah Kare Agar Wo Aisa Naa
Kare To Tamaam Musalmaan Use Boycott
Karen.Allah TaAllah Ka Irshaad Hai
"(" Para 7)

Fatawa faqeeh e Millat vol 1 page No 28

SAWAAL:Zaid Muslim University Ali Gadh Ka Ta'alim Yafta


Hai- Wo Haal Hi Mein Saudia Arabia Se Aaya Hai
Usne Masjid Ke Mehrab Mein
Ke Lage Huwe Istikar Padh Kar Phenk
Diya Aur Kehta Hai Mehrab Ki Zeenat Khatam
Ho Rahi Hai Isliye Hum Ne Aisa Kiya Aur Zaid
Masjid Mein Salaato Salam Padhne Se Bhi Rokta
Hai Toh Iske Bare Mein Kya Hukm Hai Aur Uske
Baap Bakr Ki Maujudgi Mein Istikar Phadne Ka
Waqia Huwa Jo Usi Masjid Ka Sadar Hai Magar
Wo Kuch Bola Nahi Toh Qabil E Sadaarat Hai
Wo Hai Ya Nahi?
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 135

JAWAAB:Zahir Yahi Hai Ke Wahabi Devbandi Hai Aur


Uska Ye Kehna Galat Hai Ke Mehrab Ki Zeenat
Khatam Ho Rahi Thi Is liye Humne Aisa Kiya
Uske Wahabi Hone Par Yaqeen Ke Liye Maulvi
Ashraf Ali Thanvi Qasim Nanotavi Rashid Ahmad
Gangohi Aur Khalil Ahmad Ambethvi Ki Kufri
Ibaaraten Mundarja Hifzul Iman Safa 8
Tehzirunnas Safa 3,14,28, Aur Barahine Qatiya
Safa 51 Taqrir Ya Tehrir Uske Samne Pesh Ki Jaye
Ke Jinke Sabab Makkah Mukarma Madinah
Munawwara Hindustan Pakistan Bangladesh
Aur Burma Wagairah Ke Sainkdon Ulma E Karam
Wa Muftiyane Izam Ne Maulviyan Mazkur Ko
Qata'an Ijma'a Kafir Wa Murtad Qarar Diya Jiski
Tafsil Fatawa Hussamul Harmain Aur Asawarmul
Hindiya Mein Hai Agar Zaid Un Maulviyan
Mazkurinn Ko Acha Kahe Ya Kam az Kam
Musalman Jaane Ya Unke Kufr Mein Shak Kare
To Bamutabiq Fatawa Hussamul Harmain Wo
Bhi Kafir Wa Murtad Hai Is liye Ke Fuqha E Islam
Ne Farmaya Lihaza Zaid
Ko Is Surat Mein Masjid Mein Aane Se Roka Jaye
Ke Uske Jama'at Mein Sharik Hone Se Saf Qat'a
Hogi Aur Qat'a Saf Haraam Hai Isi Tarah Ke Ek
Sawal Ke Jawab Mein Peshwa E Ahle Sunnat
Aalahazrat Muhaddise Bareilwi
Tehrir Farmate Hain Agar Wahabiya Ke Aqaid Se
Waqif Ho Kar Unhe Musalman Jaanta Hai To
Zarur Saf Mein Uske Khade Hone Se Fasl Lazim
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 136

Aayega Aur Saf Qat'a Hogi Aur Qat'a saf Haraam


Hai
Fatawa Razwiyah Jild Saum safa 374

Aur Hadees Shareef Mein Hai Huzoor Ne


Irshaad Farmaya
Ya'ani Jo saf Ko Milaega Usko Apni Rehmat Se
Milayega Aur Jo Saf Qat'a Karega Allah Use Apni
Rehmat Se Juda karega
Mishkat Sahreef Safa 99

Aur Zaid Muslamanane Ahle Sunnat Ko Aiza


Pahochane Wala Hai To Is Lihaz Se Bhi Usko
Masjid Se Rokna Wajib Hai

Durre Mukhtar Ma'a Shami Jild Awwal Safa


489
Mei Hai Aur Zaid Ke Istikar
Phadne Par Uska Baap Bakr Khamosh Raha To
Zahir Yahi Hai Ke Wo Uske Faisle Razi Raha
Lihaza Bakr Sadar Banne Ke Laiq Nahi Raha Use
Fauran Mansab E Sadarat Se Hataya Jaye Aur
Raha Masjid Mein Salaat Wa Salam Ka Masla To
Agar Baad Namaz Fajar Awaz Se Padhte Hai Toh
Is Wajah Se Baad Mein Aane Wale Muqtadiyo Ki
Namazo Mein Khalal Hoga Lihaza Musalman Par
Wajib Hai Ke Us Waqt Buland Awaz Se Salaat O
Salam Naa Padhen Balke Alag Alag Aahista
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 137

Aahista Padhe Aur Ya Toh Fajar Ki Jama'at Aise


Wakt Qaim Karey Ke Us Se Farig Ho Kar Sirf Do
Teen Band Salam Padhe Jis Mein Naye Aane
Wale Namazi Bhi Sharik Ho Jaye Phir Uske Baad
Wo Asani Suraj Nikalne Se Pehle Fajar Ki Namaz
Padh Sake Aur Is Tarah Salat Wa Salaam Padhe
Jaane Ka Baar Baar Ailan Karte Rahen Take Baad
Jama'at Aane Wale Khatam Salami Se Pehle
Namaz Naa Shuru Kar De Aawaz Ke Sath
Awrado Wazaif Ya Quran Majid Ki Tilawat Se
Logo Ki Namaz Mein Khalal Hoto Uske Mutaliq
Alahazrat Imam Ahmed Raza Muhaddise
Bareilwi Tehreer Farmate Hain Ke Aisi Surat
Mein Use Jahar(Aawaz Ke Sath) Padhne Se Mana
Karna Faqat Ja'iz Nahi Balke Wajib Hai
Fatawa Razwiyah Jild Saum Safa596

Fatawa Faqeeh e Millat Vol 1 Page No 30

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 138

Aisa She'r Padhna Kaisa


SAWWAL:Kya Farmate Hain Muftiyane Deen Wa Millat Is
Masle Mein Ke Ek Film Ka Naam Janwar Hai Jis
Ke Ek Gaane Mein Ye She'r Hai"
"Yaar Hamara Rab Se Pyara
Rab Se Zyada Tumhara Aitbaar Ho Gaya"
Daryafat Talab Amr Ye Hai Kya Is Gaane Ka
Gaana Ya Tab Ya Mobile Mein Audio Video Mein
Sunna Kaisa Hai Jo Mana Karne Ke Bawjood Is
Gaane Ko Gaae Uske Baare Mein Kya Hukm Hai?
JAWAAB:Mazkura Bala She'r Sarih Kufr Hai Jo Log Is She'r
Ko Padhte Hain Wo Sab Ke Sab Islam Se Kharij
Ho gaye Un Tamam Ke Nek Aamal Bekar Ho
gaye Agar Wo Shaadi Shuda Hain To Unki
Biwiyan Unke Nikah Se Nikal Gayi Kyuke Allah
Ta'ala Se Zyada Kisi Ko Mehboob Batana Aur Kisi
Par Allah Ta'ala Se Zyada Aitbaar Karna Kufr Hai
952Fatawa Aalamgiri Jild 2 Safa

Par Hai Lihaza Jis Kisi Ne Is She'r Ko Padha Ya


Sun Kar Pasand Kiya Us Par Farz Hai Ke Fauran
Bila Takhir Is Kufri She'r Se Tauba Kare Aur
Tajdide Iman Kare Agar Shaadi Shuda Hai To
Biwi Ki Raza Mandi Se Nayi Maher Ke Sath
Tajdide Nikah Bhi Kare Agar Ye Log Aisa Naa
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 139

Kare To Tamam Musalman Un Sab Ka Boycott


Karen Allah Ta'Ala Ka Irshaad Hai Para 7 Ruku 1
4 Par Tarjuma Kanzul Imaan Men Dekh Le Aur
musalmao Par Lazim Hai Ke Jiske Paas Is Qism Ke
Kufriya Gaane Ki Casatte Ya Mobile Mein Audio
Ya Video Hai Unko Fauran Mita Den Warna Wo
Bhi Gunahgaar Honge
92Fatawa Faqeeh e Millat Vol 1 Page No

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 140

Allah Ke Nazdik Mazhab Men Koi Farq Nahi


Kahna Kaisa Hai ?
SAWAAL:
Ek Sahib Jo Ke Sunniyon Ke Sarbarah Bane
Baithe Hain.Unke Ghar Sar Wa Dharam
Sammelan Huwa.Jisme Shahar Ke Namwar
Siyaasatdaan Aur Har Mazhab Hindu,Esaayi
,Bhudh Aur Warsho Ke Rehnuma Ko Bulaaya
Gaya.Taqreer Ke Douraan Shaks Mazkoor Ne
Kaha Ke "Allah Ke Nazdeeq Mazhab Men Koi
Farq Nahi" Iska Matlab Kiya Hai?Kiya Unho ne
Galat Kaha?Un Par Tauba Laazim Hai Ya
Nahi?Un Par Shar'ee Hukam Kiya Hai?
JAWAAB:
Shaks Mazkoor Ke Qoul ka Matlab zaahir Hai Ke
Hindu,Eesaayi, Aur Warsho Wageirah Mazhab
Aur Islaam Men Koi Faraq Nahi Allah Ke
Nazdeek Sab Yaksaan Hai.Yeh Allah Ta'alla Par
Iftaraa Aur Jhoot Bhaandhna Hai Ke Usne Saaf
Irshaad Farmaya ""
Yaani Beshak Allah Ke Yahan Islaam Hi Deen Hai
Para 3,Surah Al Imran Aayat 19
Aur Islaam Aur Kufr Ko Ek Jaanna Kufr Hai
Fatawa Alimgiri Ma'a Khaniya Jild2
Safa 358 Par Hai
"
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 141

Lihaza Shaks Mazkoor Par Tauba Wa Tajdeed E


Imaan Wa Nikaah Laazim Hai Agar Wo Aisa Na
Kare To Musalmaan Us Se Door Rahen Aur Usko
Apne Se Door rakhen Hadees Shareef Mein Hai
""
Yaani Tum Unse Door Raho Aur Unhen Apne
Qareeb Naa Aane Do,Kahi Wo Tumhe Gumrah
Na Karden.Kahi Wo Tumhe Fitne Mein Na Daal
De
Muslim shareef Jild1Safa 10

Fatawa Faqeeh e Millat Vol 1 Page No 30


MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 142

Ham Shariat Ke Bajae Aksariyat Dekhte Hain


Kahna Kaisa Hai ?
SAWAAL:
kiya Farmaate Hain Muftiyaane Deen O Millat Is
Masle Men Ke Madrase Ki Commity Ke Sadar Se
Ek Shaks Ne Kaha Ke Shari'at Khyaal Kijiye To Us
Par Sadar Ne Kaha"Hum Aksariyat Dekhte Hain
Shari'at Nahi Deikhte" To Aise Shaks Ke Baare
Men Kiya Hukm Hai?Wo Deeni Madrase Ke
Sadaarat Ke Laiq Hai Ya Nahi?Aur Jo Log Us Ki
Muwafiqat Karte Hain Un Ke Liye liye Kiya Hukm
Hai?
JAWAAB:
Shari'at Ke Muqable Men Aksariyat Dekhne wala
Aur Shari'at Ko Pas e Pusht Daalne waala
Gumrah Hai Balke Baaz Mashaaikh Ke Nazdeek
Aisa Kehna Kufr Hai.
Baahare Shari'at Hissa 9 Safa 172

Par Hai Ke "Kisi Shaks Ko Shari'at Ka Hukm


Bataya Ke Us Muamle Men Yeh Hukm Hai Us Ne
Kaha Hum Shari'at Par Amal Nahi Karege Hum
To Rasm Ki Paabandi Karenge Aisa Kehna Baaz
Mashaikh Ke Nazdeek Kufr Hai."Aise Hi Logo Ke
Baare Men Hadees Shareef Men "
"
"Yaani Un Se Door Raho Aur Unhe Apne Qareeb
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 143

Na Aane Do,Kahi Wo Tumhe Gumrah Na Kar


Den,Kahi Wo Tumhe Fitne Men Na Daal Den"
Muslim Jild 1 safa10

Aisa Shaks Hargiz Sadaarat Ke Laaiq Nahi Usko


Us Uhda Se Fouran Bar Taraf Kar Diya Jaae Aur
Aise Shaks Ko Sadar Muntaqab Kiya Jaaye Jo Har
Muamle Men Shari'at Ko Dekhe.Aur Jo Log Is Ki
Muwafiqat Kar Rahe Hain,Wo Sakht Galti Par
Hain Un Par Laazim Hai Ke Aise Shaks Ka Saath
Chhod de.Agar Wo Aisa Na Kare To Sab
Musalmaan Unse Bhi Door Rahen.Allah TaAllah
Ka Irshaad Hai
""
Quran Majeed Para7Ruku 14

Fatawa Faqeeh e Millat Vol 1 Page No3 1

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 144

Be Ilm Agar Chilla Men Chala Jae To Uske Liye


Kiya Hukm Hai ?
SAWAAL:Kiya Farmate Hain ulmae Din Daur e Hazir Men
TabligheJama'at Ke Chillon Men Jane Wale
Hazraat Tablighi Haisiyat Se Urdu Padhna Bhi
Nahi Jante Aur Wahabi Devbandi Ke Aqaaid e
Kufriya Se Na Waqif O Bekhabar Hote Hain Aur
Tablighi jamat Ke Muballighin Ke Zahiri Libas
Dekh Kar Aur Zahiri Aqwaal Sun Kar Sirf Aur Sirf
Din Ki Hamdardi Men Unki Chillah Kashi Ke Liye
Tayyar Ho Gae Aise Logon Ke Liye shariat e
Mutahhirah Ka Kiya Hukm Hai ?
JAWAAB:Tablighi Jamat Haqiqat Men Devbandi Mazhab
Hi No Ek Shaakh Hai Aur Devbandi Apne
Mazhab Ke Kufri aqaaid Aur Kufri Ibaraton Hifzul
Imaan Safa No8 Tahzirunnas Safa No3, 128Aur
Barahin e Qatiya Safa No 51
Waghairaha Ke Baais Kafir O Murtad Hain Aur
Jin Par Mulk Wa Birun e Mulk Ke Sainkdon Ulma
e Karaam Wa Muftiyan e Izaam Ne Kafir O
Murtad Hone Ka Fatwa Diya Aur Farmaya
" Ke Jo Unke Kufr o Azaab Men
Shak Kare Woh Bhi Kafir Hai Aur Jo Unke
Kufriyaat Par Matla'a Ho Kar Unko Apna Peshwa
Jane Ya Kam Az Kam Musalman Jane Ya Unke
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 145

Kufr o Azaab Men Shak Kare Woh Bhi Kafir Hai


Lekin Agar Koi Unke Aqaaid o Kufriyaat Par
Matla'a Nahi Apni Sada Lohi Aur Un Gandum
Numa Jau Faroshon Ke Zahiri Libaas Aur Shakl o
Surat Aur Riyakari Wa Makkari Ke Baais Unke
Daam e Tazwir Men Aa Gaya To Us Par Pahle
Unki Kufri Ibaraten Pesh Ki Jaen Agar Woh
Bezari Ka Izhaar Kare To Thik Warna Use Bhi
Unhi Men Shumaar Kiya Jae Aur Uske Sath Bhi
Waisa Hi Muamla Barta Jae Fatawa Mustafwiyah Safa No 117

Fatawa Markaz e Darul Ifta Jild 2 Safa No 46

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 146

Devbandiyon Ki Kufri Ibarat Par Kufr Ka Fatwa


De Magar Mufti Ibaraten Unki Na Mane ...Aise
Par Hukm e Shara'a
SAWAAL:Devband , Nadwa Ya Kisi Bhi Darul Uloom Se
Fariquttahsil Maulvi Hifzul Imaan, Taqwiyatul
Imaan , Barahin e Qatiya Aur Fatawa Rashidya
Aur Unke Musannifeen Jin Par Ulma e Ahle
Sunnat Ne Kufr Ka Fatwa Diya Hai Aur Ulma e
Harmain Sharifain Ne Ka
Hukm Nafiz Farmaya Hai Us Se Qata'ee Na
Aashna Hai Aur Jab Un Mardudon Ki Mufti
Ibaraten Unko Sunaai Jati Hain Us Par Woh
Muolvi Be Sakhta Kufr Ka Fatwa De Deta Hai Lekin Un Ke Musannifin Ne Ye Ibaraten Likhi
Hain Is Bat Ka Woh Qaail Nahi Jab Ye Kitaben
Unhe Dikhai Jati Hain To Woh Be Eitebari Ka
Dawa Karta Hai Aur Kahta Hai Ke Chhapne
Walon Par Mujhe Eitebaar Nahi -Agar
Musannifin Ne Waqai Aisa Hi Likha Hai To Woh
Bila Shubah Kafir Hain Lekin Aisa Hi Likha Hai Is
Par Mujhe Aetebaar Nahi - Ab Us Par Shariat e
Mutahhirah Ka Kiya Hukm Hai ? Aya Woh
Momin Hai Ya Kafir ?
JAWAAB:Devband , Nadwa Ya Kisi Bhi Wahabi Madrase
Ke Farighuttahsil Maulvi Ka Apne Peshwaaon
Rashid Ahmad Gangohi , Qasim Nanotwi , Khalil
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 147

Ahmad Ambethhwi , Ashraf Ali Thanwi Ki


Ibaraat e Kufriya Ke Ta'alluq Se Ye Da'wa Ke "
Chhapne Walon Par Mujhe Eitebaar Nahi " Aslan
Masmu'a Hai Hai Ke Ulma e Zil Ehtram Ne
Barsaha Baras Se Un Par Kufro Irtidaad Ka Fatwa
Sadir Farmaya Hai Aur Aj Tak Kisi Maulvi Ya
Unke Kisi Behi Khawaah Ne Us Se Bezari Ka
Eilaan Nahi Kiya Balke Khud Unke Muawinin Wa
Mutawassilin Zauq o Shauq Se Barabar Chhap
Rahe Hain Kisi Ne Bhi Uske Khilaaf Radd e Amal
Men Ye Nahi Tahrir Kiya Ke Ye Meri Tahrir Nahi
Hai Ya Ye Mere Akaabir Ki Tahrir Nahi Hai Balke
Kitne Bebaak To Aise Hain Jo Usko Haq Sabit
Karne Ke Liye Munazre Karte Hain - Lehaza Aisi
Surat Men Be Eitebari Ka Dawa Bilkul Masmu'
Hai Aur Matla' Ho Kar Unki Ghalat Tawil Bayaan
Karne Wala Aur Unke Sath Rahne Wala , Unko
Apna Muqtada Manne Wala Bhi Unhi Men Se
Shumar Kiya Jaega Aur Uske Sath Bhi Waisa Hi
Muamla Barta Jaega
Fatawa Markaz e Tarbiyat e Ifta Jild2 Safa
No46

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 148

Sunni Ki Tarif
SAWAAL:Kya Farmate Hain Ulmae Rabbani Muftiyaan e
Haqqani Is Baare Men Ke Maujudah Zamana
Men Sunni Se Kya Muraad Hai? Aur Sunni Ki
Sahih Taarif Kya Hai? Kyun ke Mukhtalif Firqe
Apni Apni Sunniyat Ke Da'awedaar Hain Awaam
Ko Ye Baawar Karaana Mushkil Hai Ke Asl Sunni
Kaun Hain Lihaza Tafsili Jawab Inayat Farma Kar
Shukriya Ka Mauqa'a Den Taake Aap Ke Jawab
Ko Hum Mukhtalif Zabanon Men Sha'ai Kar
Saken.
JAWAAB:Lafz e "Sunni" Ahlesunnat Wa Jamaat Ka
Mukhaffaf Hai Jab Mazhab Ke Ta'alluq Se Ye Lafz
Bola Jaata Hai To Is Se Muraad Ahle-Sunnat Wa
Jamaat Hi Hota Hai. Aur Ahle-Sunnat Wa Jamat
Use Kehte Hain Jo " " Ka Misdaaq
Ho Zaman o Makaan Aur Haalat Ke Ikhtilaaf Se
sunni Ki Tarif Mukhtalif Hoti Rahi Hai.
Chunanche Jab Sabaiyon Ne Shiya Firqa Ko
Janam Diya To Shiya Muddai e Islam Hone Ke
Baawujud Islam Ke Faraiz Wa Arkaan Men
Ikhtilaafat Karne Lage. Unke Baaz Mu'ataqidaat
o Nazaryaat Bhi Yaksar Badal Gaye. Hazrat
Sayyudana Sher E Khuda Moula Ali
Ko Hazrta Shaikhin Sayyeduna Siddiq E Akbar
Aur Sayyeduna Faruq E Azam Par
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 149

Fazilat Dene Lage. Balke Un Hazrat Ki shaan E


Aqdas Men Tabarra Bazi Karne Par Utar Aaye, To
Us Zamana Men Khair Al Qurun Se Mulhiq Khair
Az Minh Men Sunniyo Ke Liye Sirf "
" Hi Ka Musdaaq Hona Kaafi Na Huwa.
Balke Aimma Wa Mujhtahideen Khususan Imam
Ul Aimma Sayyeduna Imam E Azam Abu Hanifa
Ne " " Ke Saath
" " Yaani Sayyeduna Abu
Bakar Siddiq Aur Sayyeduna Umar
Faruq Ko Hazrat Sayyeduna
Usman e Gani Aur Hazrat Sayyuduna Moula Ali
Se Afzal Wa Bartar Manna Bhi
Ahle Sunnat Wal Jamat Ki Pehchaan Aur Sha'ar
Qarar Diya
Shiyon Ke Baad Naye Firqe Janam Lete Rahe
Jaise Raafzi,Naasbi,Kharji Zaidi Aur Mu'atazli
Wagairaham To Un Ki Nazaryaat Wa
Mu'ataqidaat Se sunniyon Ko Mumtaz Karne Ke
Liye Sunni Ki Tarif Men Bhi Hasbe Zarurat Wa
Imtiyaz Tabdili Hoti Rahi,Aakhir Az Zikr Firqa
(Mu'atazli) Ne To Intihaa Hi Kardi Ke Shayad
Baayad He Ishaairah Wa ma TuridYa Ka Koi Aisa
Aqidah Wa Nazarya Ho Jis Se Usne Ikhtilaf Na
Kiya Ho. Lekin Ulama E Mutakallimin Ne Unhe
Aisa Sabaq Sikhaya Ke Aaj Satah Zamin Par
Mu'atazli Naam Ka Koi Maddai e Islam Firqah
Moujud Hi Nahi Hai ,Haan Us Ke Baaz Nazaryat
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 150

Ko Abtak Baaz Firqa Batil Parwaan Chadhane Ki


Saee e La Hasil Kar Rahe Hain. Mu'atazliyo Ka Ye
Nazarya Tha Ke Zindo Ki Duaen Aur Unki Taraf
Se Sadqa Wa Khairat Murdo Ke Liye Kuch Bhi
Nafa'a Bakhsh Nhi To Un Ke Muqable Men
Hazraat Aimma Wa Mujtahidin
Ne Isale Sawab Ko Na Sirf Jaez Qarar Diya Balke
Use Sunniyon Ka Tariqa Aur Shia'ar Bataya.
Imam e Azam Sayyeduna Imam Abu Hanifa
Ki Mashur Wa Maaruf Kitab "Fiqha
Akbar" Ki Shara'a Aqaid Men Hai.




Zindo Ki Duaen Aur Un Ki Taraf Se Sadqa Wa
Khairat Murdon Ke Liye Nafaa Bakhsh Hai. Is
Amr Men Mutazila Khilaf Hain Aur AhleSunnat
Ke Nazdik Dar Asl Baat Ye Hai Ke Insaano Ke
Aamaal E Saaliha Masalan Namaz,Roza,Haj,Wa
Sadqaat Waghairha Ka Sawab Dusre Ahle Iman
Ko Pahunchaana Masroo'a Hai. Imam Al Aimma
Sayyeduna Abu Hanifah Apne Ashaab
Ke Saath Isale Sawab Ke Jawaz Ke Qail
Hain .
Isi Tarah 13vin Sadi Hijri Ki Aakhir Men Aur
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 151

14vin Sadi Hijri Ke Shuru Men Baatil Firqo Ne


Naye Naye Mu'ataqidaat Ke Saath Sar Uthaya To
Barre sagir Ke Ulmaa Ke Ilawa Harmain
Mohtarmain Aur Haj Ke Mauqa Par Se Aye Huwe
Aknaaf e Aalam Ke A'azim Ulma Kiram Wa
Muftiyaan E Izam Ki Talwaren Un Ke Hulkum Ka
Haar Ban Gain. Aur Ab Sunni Ki Taarif "
"Ka Misdaaq Hona Tafazzul Shaikhain Ka
Mu'ataqiad Hona Ya Isale Sawab Ka Qa'il Hona
Hi Nahi Rahi Balke In Sab Baato Ke Saath Is Amr
Ka Bhi Izaafa Ho Gaya Ke In Baatil Firqon Ke
Aqwaale Kufriyah Khabisah Par Itlaa Ho Jane Ke
Baad Unhe Kaafir Aur Deene Islam Se Khaarij
Jaanna Un Ke Saath Islami Ikhwat Wa Mura'aat
Ko Yaksar Khatam Kar Dena Sunni Hone Ke Liye
Zaruri Hai. Chunanche Husam Al Haramain Ala
Manharil Kufri Wal Main Ke Safha 42 Men Hai.


Ke Gulam Ahmed Qaadyaani Rashid Ahmed
(Gangohi) Aur Jo Bhi Unke Pairu Ho Jaise Khalil
Ahmed Ambhethwi Aur Ashraf Ali Thaanwi
Wagairaham Unke Kufr Men Koi Shubah Nahi
Na Shak Ki Majaal. Balke Jo In Ke Ahwaal Ko
Jaan Kar Unke Kufr Men Shak Kare Balke Unhe
Kaafir Kahne Men Tawaqquf Kare Us Ke Kufr Mai
Shubah Nhi.
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 152

Aur Ab Hamare Zamane Men Tabligh e Deen Ke


Naam Par BadAqidgi Ka Parchaar Shuru Kiya Hai
Aur Kuch Logon Ne Islah E Ummat Aur Ittihaad e
Millat Ke Naam Par Baatil Firqah Ke Lidaron Ko
Ittihaad Ki Daawat Di Hai Aur Is Sulehkulliyat Par
Gathjod Karne Chale Hain Ke Ab Hum Ek Dusre
Par Takfir Wa Tafsiq Ke Fatwe Nahi Lagaenge.
Niz Ek Dusre Ki Iqtida Men Namaz Padhenge Aur
Aapas Men Ek Dusre Ke Saath Mil Jul Kar
Rahenge Wagairah Wagairah.
Ye Firqaye Mutanawwaia e Jadida Jise Jadida e
Wahabiyat, Ilyasiyyat,Taahiryyat,Ya Sulehkulliyat
Wagairha Ka Naam Diya Jaa Sakta Hai
Musalmano Ke Liye Nihaayat Khatarnaak Aur
Muhlik e Iman Hai Aise Logon Ke Liye Quran e
Paak Farma Chuka
"ke Tum Men Se Jin Logo Ne Mukhalifin Ki Taraf
Haath Badhaya Wo Unhi Men Se Hai" .
Mazkura Baala Mukhtasar Wazahat Ki Roshni
Men Aap Ke Sawal Ka Mukhtasar Jawab Ye
Huwa... Ke Sunni Musalman Wo Hai Jo
Ka Masdaaq Ho. Khulfaaye Raashidin
Radi Allahu Taala Anhum Ki Afzaliyat Ka Hasbi
Tartib Khilafat Mu'ataqid Wa Qaail Ho, Sahaba e
Karam Ka Zikr Bhalai Ke Siwa Na Karta Ho
. Aimma Arba 4Men Se Kisi Ek Ka Muqallid Ho.
Baatil Mazhab Waalo Aur Bad Aqidon Ke Saath
Deeni Raah Wa Rasm Na Rakhta Ho. Husam Al
Harmain ki Tashrihaat Ke Mutabiq Gumrah
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 153

Firqon Ke Leadero Ko Kafir Jahannami Aur


Daaira e Islam Se Khaarij Jaanta Ho Aur Apne
Islaaf Ke Maslak Ka Pairokaar Ho.

Fatawa Europe page
62,63,64,65,66

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 154

Devbandiyon Aur Uski Iqtidaa Ki Mu'aminat


SAWAAL:Kya Farmaate Hain Ulmae Deen Sharae Mateen
Is Masalah Men Ke India Ke Darbhanga Distic
Men Ek Basti Gyaas Pur Naami Waqe Hai. Ye
Basti Do Muhallon Men Munqasim Hai Aur Dono
Muhallon Men Ek Ek Masjid Hai. Dono Masjidon
Ke Darmiyaan Paanw Paidal Chalne Men 10 Mint
Ka Faasla Hai Aur Un Men Se Ek Jaama Masjid
Kehlaati Hai magar Jaama Masjid Waale Muhalle
Ke Tamam Log Deobandi Wahabi Aqaid Se
Ta'alluq Rakhte Hain Aur Jis Muhalle Men Chhoti
Masjid Hai Us Muhalle Ke Tamam Log Sunni Sahi
Ul Aqida Hai . Jumma Ki Namaz Dono Masjidon
Men Hoti Hai Sirf Eid Aur Baqra Eid Ki Namaze
Mushtarika Taur Par Sabhi Log Jaama Masjid
Men Padhte Hain Aur Jaama Masjid Ke Imam
Deobandi Hai. Kya Aisi Surat Men Deobandi Ke
Peeche Sunniyo Ki Namaz Eidain Ho jaegi? Ya
Sunni Hazraat Apni Chhoti Masjid Men Namaz
PanjGaana Wa Jumma Aur Eidain Ki Namazen
Padha Karen? Jald Jawaab Inayat Farmaen
JAWAAB:Deobandi Apne Aqaaid e Kufriyah Khabisya Ke
Sabab Ba Hukme Shariat e Islamiyah Kafir Wa Be
deen Aur Mustahiqe Azab Ilaim Hain. In Ke
Iqtida Haram Nihayat Bad Anjaam Hai Agar Uski
Tafsil Dekhni Ho To Husam Al Harmain, As
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 155

Sawarimul Hindiyyah, Fatawa Ulma e Aalam


Wagairha Kutub Ka Mutaala Karen Musalmano
Ne Jo Bhi Namaz Unke Peeche Padhi Ho Un
Namazon Ka Phir Se Padhna Lazim Wa Zaruri
Hai. Fatah Al Qadir Ne Hamare Aimma Salasha
Se Naqal Kiya
Mazkurah Aabadi Jab Ke Gaunw (Village) Hai
Aur Is Aabadi Par Misr Ya Fanaye Misr ya
Pargana Wa Tehsil Wagerha Ki Taarif Saadiq
Nahi Aati Hai (Agrche Woh Islam Men Waaqe
Ho) To Waha Jumma Aur Eid Ka Qiyam Az Ruwe
Hadis Sharif Jaez Nhi.

Misr Jaame Aur Bade Shehar Ke Ilawah Kisi


Jagah Na Jummah Ho Sakta Hai Na Takbiraat Na
Namaz Na Eid Na Baqra Eid Fiqah Ki Darjano
Kutub Matwaan Wa Shuruh Men Sehat e
Jummah Wa Eidain Ke Liye Misr Ya Fanae Misr
Ka Hona Shart Likha Hai Kamani Tanwir Al
Absaar Waalid Al Mukhtar War Rad Al Mukhtaar
Wagairha ""
Haan Agar Giyaas Pur Par Misr Ya Fanae Misr Ya
Parganda Wagairah Ki Tarif Saadiq Aati Ho To
Waha Jummah Farz Hai Aur Agr Shehar Ki
Taareef Sadiq Aati Na Ho To Waha Bajae
Jummah Ke Zohar Hi Farz Hai . Phir Ahle
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 156

Giyaspur Ko Is Taklif Men Bhi Mubtila Nhi Kiya


Jaa Sakta Ke Wo Jummah Wa Eidain Ki Adaigi
Ke Liye Qarib Wa Baid Shehron Ka Rukh Kare
AlBatta Agr Koi Gao Ka Rehne Wala Shehar Men
Moujood Ho Aur Jummah Ki Namaz Padh Le To
Is Se Zuhar Ki Namaz Saaqit Ho jayegi Aur Eidain
Padh le To Aasim Nhi Hoga.
Phir Bhi Giyaspur Ke Sunni Baashindgaan Ko
Istihsaanan Ye Mashwara Diya Ja sakta Hai Ke
Agr Qarib Men Aisi Koi Aabadi Hai Jahan Jumma
Wa Eid Ka Qayam Jaiz Hai Aur Waha Koi Sunni
Sahi Ul Aqidah Saleh Imamat Shakhs Namaz
Padhata Hai To Wahan Ki Jamaat Men Sharik Ho
Kar Taksir E Jamat Ka Sabab Ban Sakte Hain.
Ahle Giyaspur Ko Mutnabeh Kiya Jaata Hai Ke
Kisi Bhi BAD AQIDAH Ki Iqtidah Men Apni
Namazo Ko Barbadi Se Bachaen Aur Apne
Aqidah Ki Hifazat Kare. Ab Tak Jo Namazen
Anjaane Menn Padh Li gain Hai Un Sab Ko Lota
Kar Bargah Ahdiyat Men Touba Wa Istighfar
Karen. Namaze Eidain Ki Qaza Nhi Wo Bhi Jab
ke Kisi Gaaun Men Padhi Gai Ho Wo Ek Fi'al Abs
Tha Jis Ki Bala Men Giriftaar Huwa. Albatta
BadMazhab Ki Iqtida Karne Ke Sabab Wo Sab
Gunahgaar Huwe Touba Wajib Hai.

Fatawa Europe 70, 71, 72
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 157

Kafir Ka Nabaligh Bacha Jannati Hai Ya


Jahannami
SAWAAL:Kya Farmate Hain Muftiyan e Deen o Millat Is
Mas'ale Men Ke Kafir Ka Nabaligh Bachcha Mar
Jae To Jannati Hai Ya Jahannami?Zaid Kehta Hai
Ke Har Bacha Fitrat Islam Par Paida Hota Hai Is
liye Wo Jannati Hoga Aur Bakar Ka Kehna Hai
Ke Bacha Khair Al Abwain Ka Tabe'a Hota Hai
Aur Yahan Waledain Kafir Hain Is liye Unke
Tabe'a Ho kar Jahannami Hoga To Dono Men
Kiska Qaul Moatabar Hai Aur Fatawa Amjadiya
Jild Awwal Masla No.419
Ke Jawab Ka Mafhoom Yahi Hai Samjh Men Aa
Raha Hai Ke Nabaligh Bacha Na Samajh Ho To
Uska Islam Moatabar Nahi Khair Al Abwain Ka
Tabe'a Hai Aur Walidain Kufriya Aqaid Rakhte
Hon To Uski Namaz e Janaza Men Shirkat Jaez
Nahi To Is Mafhoom Se Bhi Bakr Ke Qaul Ki
Taeed Ho Rahi Hai Lihaza Sahi Hukm Se Aagah
Farmaen
JAWAAB:Kafir Ka Nabaligh Bachon Ke Jannati Wa
Jahannami Hone Men Ulma E Kiram Ke
Darmiyan Ikhtelaf Hai Ba'az Kehte Hain Wo
Jannati Hai Aur Ba'az Ke Nazdik Jahannami Aur
Isi Ikhtelaf Ki Buniyad Par Imam e Aazam Abu
Hanifa RadiAllahu Ta'ala An Ne Khamoshi
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 158

Ikhtiyar Ki Hai Aur Unke Sawab Aur Azaab Ke Bare


Men Koi Raae Qaym Nahi Ki Jaisa Ke Raisul
Muhaddisin Abdul Haq Muhaddis Dehalwi Alayhi
Rehma Ki Kitab Takmil Ul Iman Urdu Safa 67 Men
Hai Ke Mushrikin Ke Atfal(Bachon) Ke Muta'aliq
Imam Azam Abu Hanifa RahamtuAllah Ta'ala Alay
Ne Tauquf Kya Hai Aur Unhon Ne Dalaeel Men
Ta'aruz Ki Wajah Se Khamoshi Ikhtyar Ki Hai Aur
Unke Sawab Wa Azaab Ke Muta'aliq Bhi Koi Wazeh
Raae Qaem Nahi Ki Lekin Ba'az Ulma Ka Khyal Hai
Ke Aise Bache Dozakh Men Jaenge Aur Ba'az Kehte
Hain Ke Bahishat Men Muhammed Bin Al Hussain
Farmate Hain Ke Mujhe Yaqeen Hai Ke Allah Ta'ala
Kisi Ko Be Gunah Azaab Nahi Karta Is liye Ye Bache
Mas'ool Nahi Honge Lihaza Zaid Wa Bakr Se
Guzarish Hai Ke Is Masle Men Hagiz Na Uljhen Aur
Imam Azam Alayhi Rehma Ki Pairwi Karte Huwe
Khamoshi Ikhtiyaar Karen Warna Bahr Amiq Men
Apne Aap Ko Dalne Ke Mutaradif Honge Aur
Fatawa Amjadiya Jild 1Masla No.414 414
Ke Jawab Se Bakr Ke Qaul Ki Taeed Nahi Ho Rahi
Balke Uska Matlab Ye Hai Ke Kafir Maa Baap Ke Na
Samajh Bache Ka Islam Moatabar Nahi Aur Mar
Jaaen To Duniya Men Us Par Hukm Wahi Hoga Jo
Uske Walidain Par Hukm Hai Aur Musalman Jaisa
Gusal Wa Kafan Bhi Nahi Diya Jaaega Aur Na Hi
Uski Namaz Janazah Padhi Jaaegi Baqi Aakhirat
Men Uske Sath Kya Mamla Hoga Khuda Hi Behtar
Jaanta HaiFatawa Faqeeh e Millat Vol 1 page No 32
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 159

Allah Se Pahle Meri Dawat Honi Chahiye Aisa


Kahne Wale Par Hukm e Shara'a
SAWAAL:Ek Shakhs Ne Apne Sasural Walon Se Kaha Ke
Allah Se Pehle Meri Dawat Honi Chahiye Kyu
Humko Baad Me Dawat Diya Aise Qayil Ke Baare
Men Kya Hukm Hai?
JAWAAB:Jisne Ye Kaha Ke Allah Se Pehle Meri Dawat Honi
Chahiye Wo Kafir Ho kar Islam Se Kharij Ho Gaya
Aur Uski Biwi Uske Nikah Se Nikal Gai Us Par
Lazim Hai Ke Ailaaniya Tauba Wa Istighfaar Kare
Aur Tajdeede Islam Wa Nikah Bhi KareFatawa Faqeeh e Millat Vol 1 Page No33

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 160

Tablighi Jama'at Men Jane Wale Par Hukm e


Shar'a
SAWAAL:Shaahid Khullam Khulla Tableegi Jama'at Ke
Ijtima Men Shareek Hota Hai Aur Unke Peeche
Namaaz Padhta Wa Padhhata Hai Aur
Giyaarhwin Shareef Ko Aur Kunde Ka Fatiha Bhi
Dilaata Hai To Us Par Shar'iat E Muttahhara Ka
Hukm Kiya Hai?Aur Jo Log Uski Halat Se Waqif
Ho kar Use Deeni Qaumi Tanzeem Ka Ohdedaar
Banae Unke Liye Kya Hukm Hai?
JAWAAB:
Tableegi Jama'at Ke Baani Maulvi Ilyaas
Kandhehlvi Ke Aqaid Wahi Hai jo Ashraf Ali
Tanvi,Qasim Nanotvi,Rashid Ahmed
Gangohi,Aur Khaleel Ahmed Anbethbi Ke Kufri
Aqaid Hain Jin Ke Sabab Makkah
Muazzama,Madeena Tayyibah,Barma,Wa
Bangaal Aur Hindustaan Wa Pakistaan
Waghairah Ke Sainkdon Ulama E Kiraam Wa
Muftiyaan E Izaam Ne Bil Ittefaaq Fatawa Diya
Ke Wo Islaam Se Khaarij Kafir Wa Murtad Hain
Aur Farmaya ""
Yaani Jo Unke Kufr o Azaab Men Shak Kare Wo
Bhi Kaafir Hai.Aisa Hi Fatawa Razviya Jild 4 Safa
No 1222 Aur Fatawa Husaamul Haramain Mein
Bittafseel Moujood Hai.

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 161

Aur Is Jama'at Ka Maqsad Apne Aaba o Ajdaad Ke


Kufri Aqaid Ki Taleem Aur Us Ki Nashr O Isha'at Hai
Jo Deen Wa Imaan Ke Liye Zehr e Qaatil
Hai.Tableeg Ke Zariye Wo Bhole Bhale Sunni
Musalmaano Ko Gumraah Kar Ke Devbandi,Wahabi
Banate Hain.Lihaza Is Jama'At Men Shareek Hona
Aur Un Ke Saath Tableegh Ke Liye Jaana Sakht
Haraam Hargiz Jaiz Nahi.Hadees Shareef Men Hai
""
Yaani Badmazhabo Se Door Raho Aur Unhe Apne Se
Door Rakho.Kahin Wo Tumhe Gumraah Na Karde
Kahin Wo Tumhe Fitne Men Na Daal Den.
Muslim Shareef Jild 1 Safa 10

Is liye Jab Tak Shaahid Ailaniya Tauba Wa Istighfaar


Na Kare Aur Logo Ko Uspar Mukkammal Taur Se
Itmenaan Na Ho Jaye Us Waqt Tak Use Kabhi Bhi
Tanzeem Ka Ohdedaar Na Banae.Neez Agr Shaahid
Ne Tableegi Jama'at Walo Ko Musalmaan Jaante
Huwe Unki Jama'at Men Shareek Huwa Aur Unke
Saath Namaaz Padha Wa Padhha Diya To wo Bhi
Musalmaan Na Raha.To Jo Log In Tamaam Baaton
Ko jaanta Huwe Use Kisi Tanzeem Ka Ohdedaar
Banaye Hain Wo Sakht Galti Par Hain Ke Unho Ne
Ek Faasiq Ul Aqide Ki Taazeem Ki jo Shari'at Men
Haraam Hai,Lihaza Wo Bhi Tauba Wa Istagfaar
Kare

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 162

Mirzaai Ke Kufr Men Taamul(Soch Wichar) Karna


SAWAAL:Kya Farmaate Hain Ulma E Deen Is Mas'alah Men
Ke Agar Koi sunni Musalman Qaadyani Aqaid Se
Ba khabar Hone Ke Baawujud Kisi Mirzaai
Qaadyani Ko Kafir Jaanne Ya Indas Sawal Kaafir
Kehne Men Taamul Kare Uske Muta'alliq Hukm
Shara'a Kya Hai? Barae Meherbani Jawab Se
Nawazen
JAWAAB:Mirza Gulam Ahmed Qadyaani Aur Uske
Mu'attabieen Khawah Laahori Hon Ya Qaadyani.
Apne Aqaaid Kufriyah , Khabisah , Bidiyah ,
Baatilah Ki Wajah Se Jamhur Ulma e Islam Ke
Nazdik Kaafir Aur Murtad Aur Jahannami Hai
(Tafsili Malumaat K Liye Risalah "QAADYANI
DHARM" Urdu Aur Dach Zubanon Men Mutala
Karen)
Shifa Sharif,Fatawa Bazaziyah, Aur Fatawa
Khairiyah Wagairaha Men Hai "
"
Ke Tamam Ahle Islam Ka Is Baat Par Ijma Hai Ke
Jo Bhi Shaane Risalat ( ) Men
Tauheen O Tanqees Kare Wo Aisa Kafir Hai Ke
Jo Bhi Uske Azab o Kufr Men Shak Kare Wo Bhi
Kaafir Hai.
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 163

Pas Jo Shaks Mizraai Wa Qaadyani K Aqaaid


Baatilah Par Matlah Ho Kar Use Kafir Wa
Jahannami Jaanne Men Zarra Barabar Shak Kare
Ya Indas Sawal Unhe Kafir Wa Jahannami Kehne
Men Taamul (Soch Wichar) Kare Wo Bhi Daira E
Islam Se Kharij Aur Mirzaai Wa Qaadyani Ka He
Hum Nawala Wa Hum Pyala Hai


Fatawa Europe 72,73

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 164

Bahalate Khwab Iman Laana


SAWAAL:Kya Farmate Hain Ulma e Deen Is Mas'alah Men
Ke Ek Yahudiyah Aurat Ne Khawab Men Nabi e
Karim Ya Kisi Buzrug Ko Dekha Aur Iman Le
Aai Kya Bedari Ke Baad Use Phir Se Iman Laana
Zaruri Hai? Jawab Ba Sawab Nawaz Kar Mashkur
Farmaen?
JAWAAB:Ye Ek Na Qabil e Inkar Haqiqat Hai Ke Khwaab
Men BAAZ Fuyuz o Barkaat Aur Bashaaraton Ke
Darwaaze Khulte Hain Jis Ke Zariyah Iman o
Iqaan Ki Daulat E Giranumaya Bhi Milti Hai.
Lekin Ambiya Wa Mursalin Ke
Ilawa Kisi Insan Ke Khwab Ko Wahi e Ilahi Ka
Sad Fi Sad Hissa Jaan Kar Use Ehkam e Shariyyah
Ke Sudoor o Nifaaz Ka Madar Nahi Banaya Ja
Sakta. Aam Insaan Khwab Ki Haalat Men Bacche
Aur Majnun Ba Hukm e Hadis Teeno Marfu Al
Qalam Hote Hai. In Haalat Men Jo Bhi Aqwaal
Wa Af'aal Saadir Ho Un Par Ehkaame Shariyyah
Ka Sudoor Nhi Hota Aur Iman To Touhid Wa
Risalat Niz Tamam Zaruriyyat E Deen Ko Ajmaali
Taur Par Maan Lene Ka Naam Hai Jis Ke Liye
Iqrar Wa Tasdiq Zaruri Hai. Jo Haalate Khwab
Men Waaqe Nahi Bil Farz Agr Kisi Ne Khawab
Men Iqrar Wa Tasdiq Bhi Kar Li Aur Bedaar Hone
Ke Baad Uske Afaal Wa Kirdar Ya Qaul Se Uski
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 165

Nafi Ho Gayi To Wo Hargiz Musalman Nahi


Huwa. Haan Agar Bedaar Hone Ke Baad Uske
Aqwaal Wa Af'aal Ne Us Ke Khawab Ki Tasdiq
Kardi To Wo Ab Musalman Wa Sahibe Iman Ho
gaya.

Fatawa Europe, 78,79

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 166

Wahabiyon Ki Ibaraton Par Kufr Ka Fatwa De


Aur Ya Rasool Waghairah Kahne Par Motariz Bhi
Ho
SAWAAL:Zaid Saudi Arab Ka Bashindah Hai Aur Saudi
Arab Men Aksar Log Aqaid e Batilah Se Wabasta
Hote Hain- Zaid Ke Samne Jab Ibn e Abdul
Wahab Najdi Ki Kitaab " Kitabuttauhid " Aur
Ashraf Ali Ki Kitaab " Hifzul Imaan " Aur Ismaail
Delhwi Ki Kitaab " Taqwiyatul Imaan " Aur Khalil
Ahmad Ambethhwi Ki "Baraheen e Qatiah "
Qasim Nanotwi Ki " Tahzirunnas " Aur Rashid
Ahmad Gangohi Ki Kitaab " Fatawa Rashidya " Ki
Ibaraten Pesh Ki Gain To Us Ne Bila Jhijhak Kufr
Ka Fatwa Diya Lekin Ya Rasool Allah, Ya Ghaus
Pukarne Par Aeteraaz Karta Hai Aur Hindustan
Men Salato Salam Men Bhi Moatariz Hai Aur
Sarkar Do Alam Ke Isme Garami Ke
Waqt Angoothe Bhi Nahi Chumta Hai Devbandi Aimmah Ki Iqtida Men Apni Namaz Ko
Jaez Samajhta Hai Goya Ke Zahiri Tamam
Aamaal Men Devbandiyon Se Mushabihat
Rakhta Hai - Us Shakhs Ke Bare Men Shariat Ka
Kiya Hukm Nafiz Karti Hai ?
JAWAAB:Zaid Bhi Unhi Bad Batin Wahabiya Wa Diyaniya
Se Shumaar Kiya Jae Aur Uske Sath Bhi Waisa Hi
Muamla Barta Jae Ke Ulma e Harmain Sharifain
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 167

Aur Digar Muftiyan e Izaam Ne Ye Hukm Sadir


Farmaya - "
Jo Unke Kufr o Azaab Men Shak Kare Woh Bhi
Kafir Hai Aur Sarkaar Do Aalam Ne
Irshaad Farmaya "
Bad Mazhab Agar Bimaar Pad Jaen To Unki
Ayaadat Na Karo Agar Woh Mar Jaen To Unke
Janaze Men Sharik Na Ho , Unse Mulaqaat Ho To
Unhe Salam Na Karo Unke Pass Na Baithho ,
Unke Sath Pani Na Piyo , Unke Sath Khana Na
Khao , Unke Sath Shadi Na Karo , Unke Janaze Ki
Namaz Na Padho Aur Unke Sath Namaz Na
Padho -''
Anwar Al Hadis safa No318
Niz Irshaad Farmaya " "
Mishkaat Sharif Safa No 28

Lezaha Zaid Ke Liye Falaah Isi Men Hai Ke Woh


Un Se Mukmmal Alahidgi Ikhtiyaar Kare- Aur
Unki Sohbat Ikhtiyaar Na Kare Farman e Risalat
Par Mukammal Taur Se Amal Paira Ho Aur Rahi
Uski Do Rukhi Paalisi Ke Woh Devbandiyon Ki
Ibaraton Par Kufr Ka Fatwa Deta Hai Aur Sath Hi
Unki Iqtida Men Namaz Ko Jaez Bhi Samajhta
Hai Balke Zahiri Tamam Af'aal Men Un Se
Mushabihat Rakhta Hai Is Se Saf Zahir Hai Ke
Woh Az Raah e Taqiya Ibaraton Ko Kufr To
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 168

Kahta Hai Magar Qaaileen Ko Kafir Nahi Manta Kafir Manta To Devbandi Mazhab Ke Imamon Ke
Pichhe Namaz Ko Jaez Kaise Kahta - Lehaza Uska
Hukm Bhi Wahi Hai Jo Devbandiyon Ka Hai Aur
Agar Waqiya Ye Ho Ke Koi Ibaraton Ke Qaaileen
Ko Bhi Kafir Kahta Hai Magar Wahabiyon Ke
Sath Rahne Ki Waja Se Unke Pichhe Namaz Padh
Leta Hai To Kafir Nahi Sirf Gunahgar Hai
Fatawa Markaz e Tarbiyat e Ifta Jild2 Page No
46

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 169

Mili Muamlaat Men Wahabiya Se Mel Jol Rakhna


Kaisa Hai ?
SAWAAL:Zaid Ek Sunni Bareilvi Aqaaid Ka Manne Wala
Hai Aur Aalahazrat Fazil E Bareilvi Ke Maslak Ki
Tasdiq Bhi Dil o Jaan Se Karta Hai Ulma e
Diyabina Aur Wahabiya Men Se Jis Ki Takfir
Aalahazrat Aur Digar Ulma e
Ahle Sunnat Ne Ki Hai Aur Ulma e Hind o Sindh ,
Arab O Ajam Aur Bil Khusus Harmain Sharifain
Ne Aalahazrat Ke Fatwa Ki Jo Tasdiq Ki Hai Un
Sabka Iqraar Bhi Karta Hai Lekin Duniwi Aur
Sarkari Muamlaat Men Devbandi Maulviyon Ke
Sath Uthta Baithta Hai - Halanke Aqaaid Ki Jab
Baat Aati Hai To Maslak e Aalahazrat Ki Apni
Haisiyat Ke Mutabiq Himayat Karta Hai Aur
Dalaail o Baraheen Bhi Pesh Karta Hai Lekin
Apne Tahaffuz O Tashakkhus Ke Sath Duniwi
Amwar Aur Goverment Ke Tamam Kam Kaaj
Men Unke Sath Nashisht o Barkhaast Karta Hai
Maslan Muslim Parcnl Low Board Ki ( Qiyadat )
Sadarat e Rabe Hasani Nadvi Kar Rahe Hain Uski
Miatingon Men Shirkat Karna , Unki Rukniyat
Iktiyaar Karna Aur Member Banna Niz Apne
Aqaaid Ke Tahaffuz O Tashakkhus Ke Sath Aise
Kul Hind Ijlaas Men Shirkat Karna Jo Aalami
Muslim Masaail Yani Dahshatgardi Waghairah
Ke Khilaaf Ittihaad Ke Name Par Mun'aqid Hote
Hain - Aisi Surat Men Shariat e Mutahhirah Ka
Kiya Hukm Hai ?
MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 170

JAWAAB:Aise Mushtarika Qaumi Wa Mili Masaail Jin Ke


Hal Ke Liye Bad Mazhabon Se Ikhtilaat Na Gurez
Ho Jaise Muslim Parcnl Low Ka Tahaffuz,
Musalmano Ki Jan o Maal Ka Tahaffuz, Masaajid
Ka Tahaffuz Aise Aham Masail Ke Liye Bawajhe
Zarurat o Hajat Sawaal Men Darj Sharaait Ki
Pabandi Tani Aqaaid Aur Mazhabi Tashakkhus
Ke Tahaffuz Ke Sath Rasikh Al Aqeedah
Mutasallib Tajurba Kaar Shakhs Ko Ba Qadr e
Zarurat O Haajat Makhloot Ijlaas Men Shirkat Ki
Gunjaaish Hai Fatawa Mustafwiyah Safa Men 458,457 Men
Hai :-

Us Conference Men Shirkat Baraa e Tahaffuz


Huquq e Islaam Ba Muqabla e A'adaa e Islaam
Zaruri Hai, Firq e Batila Ke Sath Woh Majalist Na
Jaez O Haram Hai Jo Bar Binaa e Mohabbat O
Muwalaat Ho Niz Woh Jo Be Zarurat O Hajat O
Maslihat e Shariyah Ho Woh Jo Tabligh O Radd
Ho -

Fatawa Markaz e Tarbiyat e Ifta Jild 2 Page No


47

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 171

IS APPLICATION KI PDF DOWNLOAD KARNE KE


LIYE NEECHAY CLICK KAREIN

DOWNLOAD PDF

GOOGLE PLAY STORE PAR HAMARE DUSRE


APPLICATION DOWNLOAD KARNE KE LIYE
NEECHAY CLICK KAREIN

GOOGLE PLAY

MOHAMMED AARIF WAGHOO QADRI RAZAVI AMJADI

Page | 172

Das könnte Ihnen auch gefallen