Sie sind auf Seite 1von 2

Mera Aapki Kripa Se lyrics

Mera aapki kripa se sab kaam ho raha hai


Karte ho tum kanhaiya mera naam ho raha hai

Patwaar ke bina hi meri naav chal rahi hai


Hairan hai zamana manzil bhi mil rahi hai
Karta nahi mein kuch bhi sab kam ho raha hai
Karte ho tum kanhaiya

Tum saath ho jo mere kis cheez ki kami hai


Kisi aur cheez ki ab darkaar hi nahi nahi hai
Tere saath se Gulam ab Gulfam Ho raha hai

Mera aapki kripa se sab kaam ho raha hai


Karte ho tum kanhaiya mera naam ho raha hai

Main to nahi hun kabil tera paar kaise paun


Tuti hui vani se gun gan kaise gaun
Teri prerana se hi sab ye kamal ho raha hai
Karte ho tum kanhaiya mera naam ho raha hai

Mera aapki kripa se sab kaam ho raha hai


Karte ho tum kanhaiya mera naam ho raha hai

Jitana diya sarkar ne utani to meri aukat nahi


Ye to karam hai mere data ka

Varna mujhme to aisi koi bat nahi


Jo bunker hai unaki adaon ka wo ye bat bataye to
Kaun hai wo jiske daman me is dar ki khairat nahin
Gaur to kar shyam ki tujh par ye kaisi khas inayat hai
Das tu unka khas ye mamuli si bat nahi

Mai to nahi hun kabil tara pyar kaise paun


Is tuti hui vaani se gungan kaise gaaun
teri prerna se hi sab ye kamal ho raha
Karte ho tum kanhaiya
Mera aapki kripa se sab kaam ho raha hai 2
Karte ho tum kanhaiya mera naam ho raha hai

Radhe -2 govind govind radhe

Das könnte Ihnen auch gefallen