Sie sind auf Seite 1von 3

Ruk Ruk Kar Peshab Aane ka ilaj ke 10 Desi Nuskhe Hindi

Mein
kyakyukaise.com /peshab-ruk-ruk-kar-aane-ka-ilaj-ke-gharelu-desi-nuskhe-hindi-mein/
By Govind
Ruk ruk kar peshab aane ya fir na aane ki wajah se bladder mein peshab ki vedna hone lagti hai aur jab adhik
samay tak bladder khali na ho to tej dard bhi hone lagta hai. Urine mein blockage ho ya fir drop drop aaye to rogi
puri tarah bladder khali nahi kar pata jisse bladder mein bacteria jama hone lagte hai aur urine infection hone ka
khatra badh jata hai. Sahi samay par peshab na kar pane ki wajah se bladder kanp kar fool jata hai jisse rogi ko
baicheni hone lagti hai, ye pareshani kisi bhi male aur female ko ho sakti hai. Is article mein hum peshab ruk ruk
kar aane ka ilaj ke desi gharelu nuskhe janenge.
Jane Urine Infection Treatment in Hindi

Peshab Rokne ke Nuksan : Side Effects


Peshab sharir se gandagi bahar nikalne ki ek parkirya hai jise mehsus hone par 1 se 2 minute mein karna jaruri hai.
Bladder ke bharne par dimag ko bathroom jane ke sanket milne lagte hai. Peshab mein kai parkar ke vishale
padarth aur becteria hote hai jise jada der tak bladder mein rokne se kai parkar ki samasya ho sakti hai. Aaiye jane
peshab rokne par body par kya parbhav pad sakta hai.
Bladder mein urine kidney ke dawara bheja jata hai aur urine rokne se bladder ki manspeshiya kamjoor hone lagti
hai, agar sahi samay par bathroom na kiya jaye to urine wapis kidney mein jana shuru kar deta hai jisse peshab
mein maujood vishali chije khoon mein mil kar sharir mein vikar lane lagti hai. Peshab mein amino acid aur uriea
hota hai jo kidney ko nuksan pahuncha sakta hai jisse kidney mein pathri hona, infection aur kidney failure hone jesi
aur bhi kari bimariya ho sakti hai.
Peshab ko adhik der tak bladder mein rokne se urinary tract infection hone ka khatra adhik ho jata hai jise hum UTI
bhi kehte hai, ye samasya mahilao mein adhik hoti hai. Vese to urine infection (UTI) hone ke aur bhi karan hote hai
par adhik der tak urine pass na karna ek bda karan hai.
Jane Kidney ki Pathri ka ilaj Kaise Kare

1/3

Urine Ruk Ruk ke Aane ka Karan


Gurde mein koi kharabi hona.
Gurde ya bladder mein pathri hona.
Bladder mein infection hona.
Urine tract infection hona.

Peshab Ruk Ruk Kar Aane ka ilaj : 10 Desi Nuskhe in Hindi

1. Kidney mein infection ya kisi bimari ki wajah se peshab ka banna band ho jaye ya fir peshab mein koi
rukawat aaye to muli ka ras piye, is upay se pesab mein hone wali vedna bhi thik hoti hai.
2. Urine drop drop aata ho ya fir nahi aa rha ho to 1 litre paani mein 50 graam pyaaj daal kar ubaal le aur thanda
hone par chaan le. Ab is paani mein thoda shahad daal kar din mein 3 baar piye. Agar urine pass karne mein dard
ya jalan hoti hai tab bhi is upay se aaram milega.
3. Garam doodh mein thoda gud mila kar pine se bhi pessab mein aane wali rukawat door hoti hai. Agar pareshani
jada ho to ye gharelu upay din mein 2 bar kare.
4. Nimbu ke beejo ko pees kar pet ki nabhi par rakhe aur upar se thanda paani dale, is upchar se ruka hua peshab
aane lagega.
5. Peshab ka rang pila aa rha ho to shehtut ke ras mein thodi shakar mila kar piye, isse urine ka color saaf hoga.
6. Jeera aur chini ko brabar matra mein pees kar 2 chammach le, isse ruka hua urine khul kar aayega.
7. Shalgam aur mulli khane se bhi peshab ka boond boond aana thik hota hai.
8. Kakdi ka ras pine se paisab adhik banta hai, kharbuja khane se bhi peshab adhik matra mein banta hai. Jin logo
ko urine na banne ki problem ho unhe inka sevan karna chahiye.
9. Kele (banana) ke tane ka ras 4 chammach aur 2 chammach ghee mila kar din mein 2 bar pine se peshab khul
kar aata hai.
10. Peshab ruk ruk kar aa rha ho ya fir urine ki koi aur problem ho to treatment ke liye gunguna paani pina sabse
behtar aur utam upay hai, isse peshab ki vedna mein bhi aaram milta hai.
Jane Peshab Mein Dard aur Jalan ke Gharelu Nuskhe

Peshab Mein Khoon Aane ka Upchar Kaise Kare


Peshab karte hue khoon nikalna, ye samasya janelva nahi hai lekin iska sahi samay par upchar na kiya jaye to ye
ek gambhir samasya bhi ban sakti hai. Peshab mein khoon aane ke kaafi karan ho sakte hai, isliye jaruri hai ki
turant doctor se mile aur checkup karwaye taki sahi karan ka pta lgaya ja sake aur ilaj kiya ja sake. Yha hum blood
rokne ke gharelu nuskhe bta rahe hai jo is samasya ke ilaj mein asardar hai.

2/3

Peshab karte waqt agar khoon aata ho to saunth (sukhi adarak) pees kar chan le aur doodh mein mishri ke
sath mila kar din mein 2 bar le.
Peshab mein blood aata ho ya fir koi rukawat ho to raat ko kisi mitti ki handi mein aadha litre ubla hua paani
aur 30 graam kata hua dhaniya daal kar chod de. Agle din is paani mein dhaniya ko masal kar paani chaan le
aur isme 30 graam btaase daal le. Is paani ke 5 hisse kar le aur din mein 5 baar piye. Urine se judi koi bhi
samasya ho ye tarika ramban ilaj ka kam karta hai.

Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe


Swasth aur Sehatmand Kaise Rahe
Rajiv Dixit Ayurveda Treatment in Hindi
Dosto Peshab Ruk Ruk Kar Aane ka ilaj ke Desi Nuskhe in Hindi ka ye article aap ko kaisa laga hame comment ke
jariye bataye aur agar aap ke pass urine ke upchar ke gharelu aur ayurvedic nuskhe hai to hamare sath bhi
share kare.

3/3

Das könnte Ihnen auch gefallen