Sie sind auf Seite 1von 1

Char gaj//meri manzilein

Karta raha khwabo se aksar ladae ,


Chahta raha mere lakshya se karibi.
Manzile aur bhi he jahan me baki,
Char gaj ki duniya nahi he kafi

Inhe Hasil karna he mera junoon ,


Par raste ki khoobsurti se nazar nahi hat pati.
Chalta rahunga isi rah par har pal ,
Char gaj ki duniya nahi he kafi

Apni jarurat ho is jaha ko ,,


Jeete ji kuch esa karna he.
Marne par na bhule mujhe ,,
Kyunki tab to char gaj bhi honge kafi.

-----sagar

Das könnte Ihnen auch gefallen