Sie sind auf Seite 1von 3

All Online Islam

Fajr Namaz Ka Tarika Aur Us Ki Rakaten in Hindi Urdu


 Online Islam
10 months ago



Note: Jin ko Namaz bilkul nahi aati wah is article ko read karen Namaz Parhne Ka
Tarika in Hindi Urdu

Fajr Ka Starting Aur Ending Time


Din ki sab se pahli namaz fajr ki namaz hai, is me total 4 rakats hain: 2 rakat
Sunnat e Muakkada, aur 2 rakat farz, is ka waqt Subah Sadiq yani din nikalne ek
der hour pahle start hota hai, aur suraj nikalte hi end ho jata hai, lekin is ka
main waqt yah hai ki is ko andhere me start kiya jaye aur subah ka ujala hote hote
us ko khatam kiya jaye.

Fajr Ke Time Se Related Hadison Ka Combination


Fajr ki namaz se related jo hadisen hain un me se kuchh hadison me yah hai ki:
Huzur (S A W) fajr ki namaz andhere me padhte the, aur kuchh hadison me yah hai ki:
aap (S A W) ujala hone ke baad padhte the, dono tarah ki hadisen sahi hain, to in
dono waqton ke combination ke liye behtar yah hai ki fajr ki namaz ko andhere me
start kare aur ujaale me end kar de.

Fajr Ki Sunnat
Sab se pahle 2 rakat Sunnat padhe, aur yah sunnat bahut hi important hai, 5 waqt
ki namaz me jitni sunnaten hain un me yah sab se badh kar hai, Huzur (S A W) ne is
ki bahut takeed ki hai, ek hadees me aaya hai:

‫عللى لشبيءء حملن الن ص للواحفحل أ للش صلد صملعالهلدةة حمن بصه ل‬
‫ ]صحيح‬.«‫عللى لرك بلعتلي بحن لقببلل ال صصببحح‬ ‫ »أ ل صلن الن ص لحب ص لي لص ص للى اللصه ل‬،‫عاحئلشلة‬
‫عل لي بحه لولسل صللم ل لبم يلك صبن ل‬ ‫عبن ل‬
‫ل‬
[1254 :‫ سنن أبي داود‬،724 :‫مسلم‬

Translation: Harat Aisha (R Z) se riwayat hai ki: Nabi Kareem (S A W) Fajr ki


sunnat ka sab se zada khayaal karte the. [Sahih Muslim: 724, Sunan e Abi daud:
1254]

Ek aur Hadees me aaya hai:

‫ مسند‬،1258 :‫ ]سنن أبي داود‬.«‫خيبصل‬


‫ لوحإبن لطلرلدتبك صصم ال ب ل‬،‫عوصهلما‬ ‫ لقالل لرصسوصل الل ص لحه لص صللى اللصه ل‬:‫ لقالل‬،‫عبن أ لحبي صهلري بلرلة‬
‫ »للا تللد ص‬:‫عل لي بحه لولسل ص للم‬ ‫ل‬
[2/405 :‫أحمد‬

Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai, Rasulullah (S A W) ne


farmaya:”Fajr ki sunnat ko kabhi bhi na chhoro chahe tum ghode raund dalen”. [Sunan
e Abi Daud: 1258, Musnad e Ahmad: 2/405]

Note: is hadees ki agar Sanad ki baat karen to yah hadees ki sanad yani us me ek
rawi zayieef hai, kyun ki us ki help bahut sari riwayten kar rahi hain, for
example: hazrat Aayisha wali hadees jis ko hum ne abhi bataya hai, is riwayat ka
maqsad Fajr ki sunnat ki ahmiyat ko batana hai, jo sahi hadison se bhi maloom ro
raha hai, is liye is hadees ki sanad ke zayeef hone se koyi farq nahi padta.

Masjid me dakhil hone baad agar jamat khadi ho aur jamat pane ka thoda bhi chance
ho tab bhi is sunnat ko chhor jamat me shamil nahi hona chahiye, jab ki dosri
sunnaton ke bare me yah hai ki agar jamat khadi ho jaye to sunnat chhor kar jamat
me shamil ho jaye.

fajr ki sunnat ki pahli rakat me Alhamdu ke baad “Qul Ya Ayyuhal Kafiroon” aur
dosri rakat me Alhamdu ke baad “Qul Huwallahu Ahad” padhna Masnoon hai, Muslim
Shareef ki hadees me aaya hai:

Fajr Ki Sunnat Me Kya Padhna Chahiye?


Jo bhi Surat yaad ho padh sakte hain, but hadison me is ke related yah aaya hai:

‫ ]صحيح‬.”‫ لوصقبل صهلو اللصه أ للحدد‬،‫كاحفصرولن‬


‫ صقبل ليا أ لي صلها ال ب ل‬:‫جحر‬
‫عل ليبحه لولسل ص للم لقلرأ ل حفي لرك بلعتلحي ال بلف ب‬
‫ ” أ ل ص لن لرصسولل اللحه لص ص للى اللصه ل‬،‫عبن أ لحبي صهلري بلرلة‬
‫ل‬
[726 :‫مسلم‬

Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai ki: Rasulullah (S A W) Fajr


ki Sunnat me “Qul Ya Ayyuhal Kafiroon”, aur “Qul Huwallahu Ahad” padhte the. [Shaih
Muslim: 726]

Is hadees ko samne rakhte huye better yah hai Fajr ki sunnat me wahi surat adhe jo
hadees me aayi hai.

2 Rakat Farz Ka Tarika


2 rakat Sunnat padhne ke baad 2 rakat farz ki niyat kare, us ke baad Allahu Akbar
kahte huye hath bandh le, phir Sana, Aauzu billah, Bismillah padh kar Sure fatiha
aur koyi surat padh kar Ruku, sajda kare, is tarah ek rakat puri kare.

Dosri rakat me sirf Alhamdu aur surat padh kar ruku sajda kar ke Qada kare, Fajr ki
namaz me 2 rakat hi hoti hain is liye yahi Qada, Qada Ula aur Qada akhira dono ek
sath ho jaye ga, us ke baad Tashauhud, Darud, aur Duaaye Masura padh kar salam pher
de, fajr ki do rakat puri ho gayi.

Fajr ki Namaz Me Padhi Jane Wali Surten


Fajr me to 2 rakat hi hoti hain, us ke bawajood bhi yah namaz dosri namazon se
lambi hoti hai, to is namaz me jitni badi badi surten yaad hon wahi surten padhna
chahiye, waise is me main tarika yah hai ki: Sure Hujraat se lekar Sure burooj tak
ki Surten padhi jayen. aur in ko Tewal e Mufassal kahte hain agar badi surat yaad
na ho to chhoti surat bhi padh sakta hai namaz ho jaye gi.

Masla: Fajr ki namaz padhne ke baad suraj nikalne tak koyi Sunnat ya Nafal namaz
nahi hai, suraj nikalne ke baad sunnat ya nafal namaz padh sakte hain, jaisa ki ek
hadees me aaya hai:

‫جحر حإ ص للا لس ب‬
[419 :‫]سنن الترمذي‬.«‫جلدتلي بحن‬ ‫ أ ل ص لن لرصسولل الل ص لحه لص ص للى الل ص لصه ل‬،‫علملر‬
‫ »للا لصللالة بلبعلد اللف ب‬:‫عل لي بحه لولسل ص للم لقالل‬ ‫عبن اببحن ص‬
‫ل‬

Translation: Hazrat Abdullah Bin Umar se riwayat hai, Rasulullah (S A W) ne


farmaya: “Fajr ki namaz ke baad koyi namaz nahi hai (yani suraj nikalne se pahle)”.
[Sunan e Tirmizi: 419]

Hadees Ka Matlab
Is Hadees ko bayan karne ke baad imam tirmizi aage yah kahte hain:

‫ححدي ح‬
‫ للا لصللالة‬:‫ حإن صللما يلصقوصل‬:‫ث‬ ‫ لولمبعلنى لهلذا ال ل‬،‫جحر‬ ‫ ك لحرصهوا أ لبن ي صلصلح صلي ال ص لرصجصل بلبعلد صطصلوحع اللف ب‬:‫عل لي بحه أ لبهصل الحعل بحم‬
‫جحر حإ ص للا لرك بلعتلحي اللف ب‬ ‫لوصهلو لما ابجتللملع ل‬
[2/278 :‫ ]سنن الترمذي‬.‫جحر‬ ‫ حإ ص للا لرك بلعتلحي اللف ب‬،‫جحر‬‫بلبعلد صطصلوحع اللف ب‬

Translation: Ulma aur ahle ilm ka is baat par iffifaaq aur ijma hai ki Fajr Farz
Namaz ke baad koyi namaz padhna makrooh hai, aur hadees ka matlab yah hai ki subah
sadiq ke baad sifr fajr ki namaz padhna chahiye. [Sunan e Tirmizi: 2/278]

Masla: Fajr ki namaz ke baad sunrise se pahle Qaza yani Chhooti huyi namaz padh
sakte hain.

Masla: Fajr ki namaz ke baad Tasbeeh e Fatimi padhna chahiye hadees me is ke bahut
fayde bataye gaye hain.

Masla: Fajr Namaz ki farz se pahle Sunnat aur Nafal jitni chayen padh sakte hain.





Categories: Namaz
Leave a Comment
All Online Islam
Powered by WordPress

Back to top

Das könnte Ihnen auch gefallen