Sie sind auf Seite 1von 112

Masail E Sajda E Sahw 1

1 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 2

Masail E Sajda E Sahw


Tasneef:

Ashraful Fuqaha Ustaaz Ul


Ulama Peer E Tareeqat Mufti E
A’zam Maharashtra Khalifa E
Huzoor Mufti E A’zam E Hind

Mufti Muhammad Mujeeb


Ashraf Sahab Qibla Razavi Al
Qadri Madda Zillahul Aali
Baani o Mohtamim Darul Uloom
Amjadia
Nagpur, Maharashtra, INDIA

2 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 3

Fehrist E Mazameen

Sr. Unwanaat Page


No. No.
1 Namaz ke liye kul 6 shartein hain 13
2 Sharayet e Namaz ki tafseelaat 13
3 Namaz mein kul 7 Farz hain 14
4 Faraiz E Namaz ki tafseelaat 14
5 Namaz ke wajibaat aur unki tafseelaat 16
6 Namaz ki Sunnatein aur unki tafseelaat 18
7 Namaz ke mustahibaat aur unki tafseelaat 22
8 Jamahi rokne ka mujarrab amal 23
9 Sajda e Sahw ki Haqeeqat 23
10 Sajda e sahw wajib hone ki sooratein 24
11 Sajda e Sahw ke 3 tareeqe 24
12 Tareeqa no.1 24
13 Tareeqa no. 2 25
14 Tareeqa no. 3 25
15 Sajda e Sahw se muta’lliq chand ahadith e kareema 26
16 Namaz ki ibteda 27
17 Qayaam 27
18 Tanbeeh Mazeed: Chalti Train par namaz 28
19 Qayaam kis tarah ho 29
20 Niyat 29
21 Takbir E Tahreema 30
22 Jis namaz mein qayaam farz hai usmein tahreema ke liye qayam 30
farz hai
23 Mareez bhi takbir e tahreema khade ho kar kahe 31
24 Takbir e tahreema imam se pehle keh diya 31
25 Jaldi mein takbir e tahreema kehte huye imam ke sath mila 31
26 Takbir mein ALLAHU Akbaar ya ALLAHU Aakbar kahna 32
27 Rafa’ Yadain 32
28 Masail e Sajda e sahw 32
29 Takbir e Tahreema mein sahw 33
30 Takbir e tahreema ke ba’d shak hua 33
31 Qira’at shuru kar di phir takbir e tahreema mein shak hua 33
32 Takbir e Tahreema keh kar hath nahin baandha chhod diya 33
33 Sana’, ta’uz, aur tasmiya mein bhool 34

3 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 4

Sr. Unwanaat Page


No. No.
34 Sana’, ta’uz aur tasmiya bhool gaya ya awaaz se ya khilaf e tarteeb 34
padha
35 Faida e Jalilah 34
36 Qira’at mein bhool par sajda e sahw 35
37 Surah Fatiha padhne mein bhool 36
38 Surah Fatiha ya iska koi lafz bhool gaya 36
39 Farz ki pichhli rak’aton mein “Alhamd” padhna bhool gaya 37
40 “Alhamd” 2 bar padha 37
41 Pehle surah ba’d mein “Alhamd” padha 37
42 Alhamd bhool gaya surah shuru kar di 38
43 Alhamd ke ba’d sochta raha ki kya padhuN? 38
44 Alhamd bhool gaya to pichhli rak’aton mein iski qaza nahin 38
45 Alhamd ke ba’d aameen aur bismillah ke liye khamosh rehna 39
46 Qayaam mein Alhamd se pehle ya ba’d attahiyyaat padhna 39
47 Aameen kehne mein bhool 40
48 Aameen bhool gaya ya buland awaz se kaha 40
49 Aameen mein kuchh badal diya 40
50 Dusre ke walad-daaleen ya dua par aameen keh dena 40
51 Aameen ke ba’d hath chhod kar phir baandh lena 40
52 Zamm e Surah mein bhool 41
53 Surah milana bhool gaya ya ek do chhoti aayatein padh kar ruku 41
kiya
54 Surah milana bhool gaya sajde mein ya sajde ke ba’d yaad aaya 41
55 “Alhamd” ke ba’d jis surah ka irada tha us ke alawa padh dena 41
56 Farz ki pichhli rak’aton mein surah milayi ya “attahiyyaat” padh di 42
57 Khilaaf e tarteeb suratein padhi 42
58 Khilaaf e tarteeb surah shuru kar ke phir tarteeb se padhi 43
59 Dusri rak’at mein pehli se taweel qira’at ki 43
60 Ek chhoti surah darmiyan se chhod kar padhi 43
61 Bhool kar dusri rak’at mein upar ki surah shuru kar di 44
62 Ek hi surah donon rak’aton mein padhi 44
63 Ek hi ayat bar-bar dohraya 45
64 Farz ki ek hi rak’at mein 2 suratein padhi 45
65 Surah padhne ke dauran sochne laga ki kya padhu? 45

4 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 5

Sr. Unwanaat Page


No. No.
66 Surah padhte huye bhool gaya phir shuru se padhi 46
67 Surah padhte huye bhool gaya aur dusri surah mein chala gaya 46
68 3 aayaton ke ba’d qira’at mein galti huyi 47
69 Qira’at karne mein koi kalma chhut gaya 47
70 Qira’at karte huye kisi lafz ka tarjuma padh diya 47
71 3 aayaton ke ba’d bhoola aur fauran ruku mein chala gaya 47
72 Farz ki aakhri rak’at mein kuchh nahin padha 48
73 Munh band kar ke qira’at ki 48
74 Kisi ki khaatir qira’at lambi ki 48
75 Qira’at mein galti par sajda e sahw kiya aur kuchh log ek rak’at 48
ke ba’d shaamil huye
76 Tajweed ki ria’yat ke baghair qira’at ki 49
77 Namaz mein jehar aur sirr se padhne par sajda e sahw 49
78 Jehar aur sirr ke ma’ani 49
79 Kin namazon ki kin rak’aton mein jehar aur sirr wajib hai 49
80 Imam ne jehri mein aahista aur sirri mein awaz se padha 50
81 Munfarid ne sirri mein jehar kiya 50
82 Jehri namaz ki qaza din mein aur sirri ki raat mein jama’at se 51
padha
83 Ghair namazi ke kehne se imam ne aahista padha ya uska 51
luqma liya
84 Witr aur taraweeh mein aahista qira’at ki 52
85 Juma’ aur Eidain mein jehar wajib hai 52
86 Sajda e tilawat mein sahw 52
87 Namaz mein sajda e tilawat fauran wajib hai 52

88 Sajda e tilawat karna bhool gaya 53

89 Sajda e tilawat ruku mein 53


90 Sajda e tilawat bhool gaya to jis rukn mein yaad aaye kar le 54

5 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 6

Sr. Unwanaat Page


No. No.
91 Aayat e sajda ke ba’d fauran namaz ka sajda kiya 54
92 Aayat e sajda ek ya sab rak’aton mein bar bar padhi 55
93 Imam ne sajda e tilawat kiya aur muqtadiyon ne ruku kiya 55
94 Sajda e tilawat karna yaad tha aur salam pher diya 56
95 Sajda e tilawat ke ba’d 3 aayat ki miqdaar taakhir kar di 56
96 Surah Haj ke aakhri sajde ka hukm 56
97 Ruku o Sujood mein sahw 56
98 Ruku ki haqeeqat 56
99 Ruku ka tareeqa 56
100 Ruku ki takbir bhool gaya ya lafz badal diya 57
101 Ruku se pehle khada kuchh sochne laga 58
102 Ruku mein ek tasbeeh se kam thehra 58
103 Ruku ki tasbeeh mein bhool 59
104 Ek ruku ke bajaye do ruku kar liye 59
105 Ruku bhool gaya aur sajde mein chala gaya 59
106 Ruku ke ba’d khada sochta raha 60
107 Muqtadi ki tasbeeh puri hone se pehle imam khada ho gaya 60
108 Ruku o sujood mein aayat ya “Bismillah” padha 60
109 Sajde ki haqeeqat 60
110 Sajde ka tareeqa 60
111 Ek sajda bhool gaya 62
112 Ek hi ra’kat mein 2 sajdon se zyada kiye 62
113 Sajde mein tasbeeh bhool gaya 62
114 2 sajdon ke darmiyan waqfa na kiya 63
115 Ruku mein sajde ki aur sajde mein ruku ki tasbeeh padhi 63
116 Sajde mein shak hua ki 2 kiye ya ek 63
117 Imam ke pichhe ruku ya sajda chhut gaya 64
118 Sajda ki jagah ruku, ruku ki jagah sajda kar liya 64
119 Imam ne bhool kar 3 sajde kar liye 64
120 Imam bhool kar baith gaya to yaad aane par dobara takbir kehte 65
huye uthe
121 Ruku ya sajde mein “attahiyyaat” ya “Bismillah” padhi 65
122 Qauma ya jalsa mein ujlat karna 65
123 Sajda e sahw mein shak 66
124 Mahaz shub’ha se sajda e sahw wajib nahin 66

6 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 7

Sr. Unwanaat Page


No. No.
125 Sajda e sahw mein shak hua 66
126 Shak ki wajah se sajda e sahw kiya 66
127 Sajda e sahw mein sahw ho gaya 66
128 Sajda e sahw wajib nahin tha bhool kar kar liya 67
129 Imam ne sajda e sahw nahin kiya to muqtadi se saaqit ho jayega 67
130 Be salam phere sajda e sahw kiya 67
131 Ta’daad e rak’at mein sahw 67
132 Pehli ya teesri rak’at mein baith gaya 67
133 Fajr ki 4 aur Asr ki 6 rak’at padh li 68
134 Ek shub’ha ke izaala 68
135 Rak’at ki ta’daad mein shak hua 68
136 “Attahiyyaat” ke ba’d shak hua ki 3 huyi ya 4 69
137 4 rak’at mein bhool kar 2 rak’at par salam pher diya 69
138 Imam ne 4 wali 3 padhayi 69
139 Chauthi mein “Attahiyyaat” padh kar paanchwi ke liye khada ho 70
gaya
140 Bhool kar 5 rak’atein padh li 70
141 Bimari ki wajah se rak’at ka shumaar nahin kar sakta 70
142 Musafir ne bajaye 2 rak’at ke 4 rak’at padhi 71
143 Musafir ne sajda e sahw kar ke iqamat ki niyat ki 71
144 Musafir imam ke sath muqeem sajda e sahw kare 72
145 Paanchwi ya chhati mein kisi ne iqteda ki 72
146 Yaqeen hai ki 4 rak’at padhi Salam ke ba’d kisi ne shak dilaya 72
147 Baaligh hone ke ba’d pehli bar ta’daad e rak’at mein shak hua 73
148 Imam ko rak’at mein shak hua aur kankhiyon se dekha 73
149 4 rak’ati sunnat e mokkadah mein 2 par salam pher diya 73
150 Namaz mein hadas hua aur wazu karne gaya us waqt ta’dad e 74
rak’at mein shak hua
151 2 rak’at mein sahw hua, sajda e sahw ke ba’d 4 rak’at ka irada 74
kiya
152 Shak ki sab sooraton mein sajda e sahw wajib hai 75
153 Qa’dah aur Attahiyyaat 75
154 Qa’dah kise kehte hain? 75

7 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 8

Sr. Unwanaat Page


No. No.
155 Qa’dah ka masnoon tareeqa 75
156 Tashah’hud 76
157 Attahiyyaat ke alfaaz ye hain 76
158 Qa’dah e ula aur uske tashah’hud mein sahw 76
159 Qa’dah mein dono paun khada ya bichha hua rakha 76
160 Qa’dah e ula bhool gaya 77
161 Imam qa’dah bhool kar khada ho raha tha ki muqtadi ne luqma 77
diya
162 Imam baithne ke qareeb tha ki muqtadi ne luqma diya 78
163 Qa’dah e ula bhool gaya qa’dah e akhirah mein yaad aaya 78
164 Witr ki namaz mein qa’dah e ula bhool gaya 78
165 Nafl mein qa’dah e ula bhool gaya 79
166 Qa’dah e ula mein “Attahiyyaat” bhool gaya 79
167 Attahiyyaat ki jagah Fatiha ya koi surah padh di 80
168 Attahiyyaat qa’dah e ula mein 2 bar padhi 80
169 Muqtadi attahiyyaat bhool gaya 80
170 Qa’dah e ula mein imam khada ho gaya aur muqtadi ki 81
attahiyyaat baqi hai
171 Qa’dah e ula mein attahiyyaat ke ba’d durood sharif padh liya 81
172 Qa’dah e ula mein attahiyyaat ke ba’d khaamosh baitha raha 81
173 Qa’dah e ula mein muqtadi ne “Allahumma salli ‘ala Muhammad” 82
ke ba’d luqma diya
174 Lafz “Attahiyyaat” keh kar luqma diya 82
175 Nafl ke Qa’dah e ula mein durood sharif padh liya 83
176 Taraweeh mein Q’adah bhool gaya 83
177 Qa’dah e ula mein shak ho gaya 83
178 Qa’dah e ula mein bhool kar salam pher diya 83
179 Namaz ki teesri aur chauthi rak’at 84
180 Teesri rak’at mein kaanon tak hath utha kar baandha 84
181 Teesri rak’at mein “Bismillah” bhool gaya 84
182 Teesri rak’at mein sana aur ta’auz padh liya 84
183 Namaz ki chauthi rak’at 85
184 Qa’dah e akhirah mein sahw 85

8 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 9

Sr. Unwanaat Page


No. No.
185 Qa’dah e akhirah sote mein guzar gaya 86
186 Qa’dah e Akhirah mein nahin baitha khada ho gaya 86
187 Baith kar Namaz padhne mein bhool 86
188 Qa’dah e akhirah mein tashah’hud bhool kar qira’at shuru kar di 86
189 4 rak’ati namaz baith kar padhne wale ne qa’dah e ula mein 87
qayaam ki niyat ki
190 Baqadre tashah’hud baithne ke ba’d sajda e tilawat yaad aaya 87
191 Sajda e sahw se Qa’dah baatil nahin hota 88
192 Qa’dah e akhirah mein tashah’hud bhool gaya ya tashah’hud ke 88
bajaye Alhamd padhi
193 Jahan jahan Qa’dah e akhirah ka shub’ha ho wahan qa’dah karta 88
jaye
194 Qa’dah e akhirah mein durood aur dua e masura nahin padhi 89
195 Durood sharif do bar ya aadha padha 89
196 Attahiyyaat aur durood ke ba’d sajda e sahw yaad aaya 89
197 Qa’dah e akhirah mein Salam se pehle kuchh sochta raha 89
198 Khurooj e bi-sun’ihi 90

199 Namaz e Witr mein sahw 90

200 Witr mein qa’dah e ula bhool gaya 90


201 Takbir aur Qunoot bhool kar ruku mein chala gaya 91
202 Imam ne bhool kar qunoot padhe baghair ruku kar diya aur 91
muqtadi ne luqma diya
203 Dua e qunoot surah Fatiha ke ba’d padhi aur surah milana bhool 92
gaya
204 Witr ki aakhri rak’at mein Alhamdu bhool gaya 92
205 Dua e Qunoot chhod kar imam ruku mein chala gaya to muqtadi 92
kya kare?
206 Witr ki ruku mein shak hua ki kitni hui? 93
207 Dua e Qunoot pehli ya dusri mein padh li 93
208 Dua E Qunoot buland awaaz se padhi 93

9 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 10

Sr. Unwanaat Page


No. No.
209 Masbooq imam ke sath qunoot padhe 93
210 Dua e Qunoot ke bajaye dusri dua padhi 94
211 Dua e qunoot ki jagah surah Ikhlaas padha 94
212 Eidain ki zayed takbiron mein sahw 95
213 Eidain ki sab ya ba’az takbirein bhool gaya 95
214 Takbir e Eidain 6 se zayed ya ghair mahal mein kahi 95
215 Eidain ki zayed takbirein chhod kar imam ruku mein chala gaya 95
216 Imam Eidain mein dusri rak’at ki takbir e ruku bhool gaya 95
217 Salatut-Tasbeeh 96
218 Salatut-tasbeeh ki fazilat 96
219 Salatut-Tasbeeh ka tareeqa 97
220 Salatut-tasbeeh mein sahw hua 97
221 Kisi jagah tasbeeh bhool gaya ya kam padh di to kya kare 97
222 Masbooq aur laahiq par sajda e sahw ke masail 98
223 Muqtadiyon ke qismein 98
224 Mudrik 98
225 Masbooq 98
226 Laahiq 98
227 Masbooq e Laahiq 98
228 Masbooq imam ke sath sajda e sahw kare 98
229 Masbooq sahw ka salam imam ke sath na phere 99
230 Masbooq ne Imam ke sath dono taraf salam pher diya phir yaad 99
aaya
231 Masbooq ko apni chhuti hui rak’aton mein sahw ho gaya 99
232 Masbooq ne Maghrib ki 2 chhuti hui rak’aton ke darmiyan qa’dah 99
nahin kiya
233 Masbooq Imam ke sajda e sahw karne ke ba’d jama’at mein 100
shaamil hua
234 Masbooq sajda e sahw ke dusre sajde mein shareek hua 100
235 Masbooq sahw ke Salam ko aakhri salam samajh kar khada ho 100
gaya
236 Imam ne salam pher kar kuchh der ba’d sajda e sahw kiya to 100
masbooq kya kare
237 Masbooq ne Imam ke sath sajda kiya phir us ko khud sahw ho 101
gaya
238 Masbooq ne bhool kar salam pher diya aur dua bhi maang li phir 101
yaad aaya

10 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 11

Sr. Unwanaat Page


No. No.
239 Masbooq ne zayed rak’at mein imam ki iqteda ki 101
240 Masbooq qa’dah e akhirah mein imam ke sath sirf attahiyyaat 102
padhe
241 Masbooq ne qa’dah e akhirah mein imam ke sath durood sharif 102
padh liya
242 Salam se zara pehle shareek hua to attahiyyaat padh kar uthe 102
243 Imam ke “As-salam” keh dene ke ba’d masbooq shareek hua 103
244 Masbooq witr ki teesri rak’at mein shareek hua 103
245 Masbooq sana kab padhe 103
246 Imam musafir hai aur masbooq muqeem to baqiya namaz kis 103
tarah padhe?
247 Musafir Imam ke pichhe muqeem misl e masbooq ke hai 104
248 Laahiq Imam ke sath sajda e sahw na kare 104
249 Laahiq apni namaz kis tarah puri kare 105
250 Laahiq ko wazu ke waqt shak hua aur kuchh der sochta hua 105
thehra raha
251 Ta’deel e arkaan aur sajda e sahw 105
252 Ta’deel e arkaan 105
253 Ta’deel e arkaan bhool gaya to sajda e sahw wajib hai 106
254 Ta’deel e arkaan aadatan ya jaan-bujh kar ada nahin kiya 106
255 Namaz mein padhi jaane wali duayein aur tasbeehaat ma’ 106
istalahaat
256 Takbir E tahreema 106
257 Sana’ 106
258 Ta’auz 107
259 Tasmiyah 107
260 Surah Fatiha 107
261 Ta’meen 108
262 Zamm e surah 108
263 Takbir e Ruku 108
264 Tasbeeh e Ruku 108
265 Tasbeeh e qauma 108
266 Takbir e Sajda 108
267 Tasbeeh e sajda 108
268 Takbir e jalsa 108

11 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 12

Sr. Unwanaat Page


No. No.
269 Qa’ada E ula 108
270 Attahiyyaat 108
271 Qa’dah e akhirah 109
272 Durood e Ibrahim 109
273 Dua e Ma’sura 110
274 Salam 112

12 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 13

Namaz ki kul 6 shartein hain:

Naam:

1) Taharat
2) Satr e aurat
3) Istaqbal e Qibla
4) Waqt
5) Niyyat
6) Takbir e Tahreema

Hukm:

Upar jin sharton ka zikr hua hai, in mein se agar koi ek shart bhi bila-uzr sahi
na payi jaye, qasdan ho ya bhool kar to namaz hogi hi nahin.

Sharayet e Namaz ki tafseelaat:

1) Taharat:
Y’ani namazi ke badan ka hads e akbar (jis se ghusl wajib hota hai) hads e
asgar (jis se wazu tut’ta hai) aur najasat e haqeeqiya qadr e maane’ (yani
itni najasat jis se namaz durust na ho) se pak hona, yunhi kapde aur
namaz padhne ki jagah ka najasat e haqeeqiya qadre maane’ se pak hona
namaz ki pehli shart hai.
2) Satr e aurat:
Y’ani namazi ke badan ke wo tamam hisse jinka chhupana farz hai, unko
namaz ki haalat mein chhupa hua rakhna namaz ki dusri shart hai.Mard
ke liye satr e aurat naaf ke niche se lekar ghutnon ke niche tak hai, aur
aurat ke liye uska saara badan, siwaye munh ki tikli, hath ki hatheliyon
aur paun ke talwon ke.
3) Istaqbal e Qibla:
Y’ani namaz ki haalat mein K’abah ki taraf munh karna, namaz ki teesri
shart hai.
4) Waqt:
Y’ani Islam ne namazon ke liye jo awqaat muqarar kiye hain unka shuru’ ho
jana, namaz ki chauthi shart hai, agar waqt se pehle namaz padhi to na
hogi.
5) Niyyat:

13 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 14

Y’ani Takbir e Tahreema se pehle jis namaz ke padhne ka irada hai uska dil
mein pukhta irada karna, namaz ki panchwein shart hai. Niyyat dar asl dil
ke irade ka naam hai, magar zaban se niyyat ke alfaaz keh lena mustahab
hai.
6) Takbir e Tahreema:
Yani niyyat ke b’ad namaz shuru’ karne ke irade se wo alfaaz kehna jo
khaas ALLAH Ta’ala ki ta’zeem par dalalat karte hain, jaise ALLAHU Akbar,
ALLAHU Ajal, ALLAHU A’zam, ALLAHU Kabeer, La ilaha illal laah,
TabarakAllah, Sub’han ALLAH, ya Alhamdulillah wagairha, in alfaaz ke keh
lene se namaz shuru ho jayegi magar lafz ALLAHU Akbar kehna wajib hai,
isko dusre alfaaz se badalna makrooh e tahreemi hai, takbir e tahreema
namaz ki chhati shart hai.

Namaz mein kul 7 Farz hain:

Naam:

1. Takbir E Tahreema

2. Qayaam

3. Qira’at

4. Ruku’

5. Sajda

6. Qa’dah e Akhirah

7. Khuruj e Bisun’ihi

Hukm: Upar zikr kiye gaye farzon mein se koi bhi bila uzr e sahi qasdan ho
ya bhool kar agar chhut jaye to namaz faasid ho jayegi, bahr soorat namaz
lautani padegi, sajda e sahw se kaam nahin chalega.

Faraiz E Namaz ki tafseelaat:

1. Takbir e Tahreema:

Iska bayan sharayet e namaz mein guzar chuka.

2. Qayaam:

14 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 15

Yani khada hona, qayaam ki kam se kam had ye hai k hath ko agar
niche ki taraf badhaye to ghutnon tak na pahunche, aur pura qayaam ye
hai ki seedha khada ho, ba-sharte ki koi uzr na ho, farz, witr, sunnat e
fajr, juma’ aur eidain ki namazon mein qayaam farz hai, nafl namazein
baith kar padhi ja sakti hai.

3. Qira’at:

Yani farz ki 2 rak’aton mein, witr, sunnat aur nafl ki sab rak’aton mein,
imam aur munfarid ( tanha namaz padhne wale) par mutlaqan qira’at
farz hai, ya’ni Qur’an mein se kam az kam ek chhoti ayat ki miqdar
padhna.

Mas’ala:

Imam ke pichhe padhne walon ko kisi bhi namaz mein qira’at jaiz nahin,
na surah Fatiha na aur koi surah.

4. Ruku’:

Y’ani ruku’ ke liye itna jhukna ki hath badhaye to ghutnon tak pahunch
jaye, ye ruku’ ki kam se kam had hai aur pura ruku’ ye hai ki peeth
seedhi bichha de.

5. Sajda:

Y’ani peshani ka zameen par tik jana sajde ki haqeeqat hai, aur paun ki
ek ungli ka pet zameen par lagna sajde ke liye shart hai, lihaza haalat e
sajda mein donon paun zameen se uthe rahe to namaz na hui, sirf ungli
ki nok zameen par lagana kaafi nahin hai, har rak’at ke donon sajde farz
hain.

6. Qa’dah e akhirah:

Y’ani namaz ki sab rak’atien puri karne ke b’ad itni der baithna ki puri
“attahiyyaatu....’abduhu wa Rasooluhu” tak paadhi ja sake.

7. Khuruj e Bi-sun’ihi:

Y’ani qa’dah e akhirah ke b’ad salam wagaira koi aisa f’el karna jo namaz
ke manafi ho, ki agar us kaam ko namaz ke andar kiya jata to namaz tut
jati, magar khayal rahe salam ke alawa namaz ke manafi koi f’el bil-

15 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 16

qasad paya gaya to farz ada ho gaya magar namaz wajib-ul-i’ada hogi,
kyunki lafz “as-salam” kehna wajib hai.

Namaz ke wajibaat aur unki tafseelaat:

Mandarja e zel baatein namaz ke liye wajib aur zaroori hain, agar in
mein se koi wajib bhool kar chhut gaya to sajda e sahw wajib hai, aur
agar jaan-bujh kar chhoda to sajda e sahw se kaam nahin chalega,
namaz dobara padhni padegi.

1) Takbir e Tahreema mein lafz “ALLAHU Akbar” kehna

2) Surah Fatiha ko is tarah padhna ki uska ek lafz bhi na chhute

3) Surah Fatiha ke b’ad kam se kam 3 chhoti ayatein ya ek badi ayat jo


3 chhoti ayaton ke barabar ho padhna

4) Farz namaz ki pehli 2 ra’katon mein surah Fatiha ke sath surah


milana

5) Witr, sunnat aur nafl ki har ra’kat mein “Alhamdu… ” ke sath surah
milana

6) Alhamdu sharif ka surah se pehle padhna

7) Surah padhne se pehle Alhamdu sharif sirf ek hi bar padhna

8) Alhamdu sharif aur surah ke darmiyaan fasl na karna y’ani aameen


kehne aur Bismillah sharif ke alawa kuchh na padhna, na hi
khamosh rehna

9) Qira’at ke b’ad foran ruku’ karna

10) Qauma y’ani ruku’ se seedha khada hona, aur kam se kam ek bar
Sub’han ALLAH kehne ki miqdaar theharna

11) Har ra’kat mein ek hi ruku’ hona

12) Har ra’kat mein 2 sajde hona, 2 se kam ya 2 se zyada na hona

13) 2 sajde ke darmiyaan jalsa y’ani seedha baithna

14) Ek sajde ke b’ad foran dusra sajda karna ki donon ke darmiyaan koi
rukn faasil na ho

16 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 17

15) Sajda karte waqt donon paun ki 3 -3 ungliyon ka pet zameen par
lagana

16) T’adeel e arkaan y’ani har rukn ko itminaan se ada karna y’ani
ruku’, sajda, qauma aur jalse mein ek bar Sub’han ALLAH kehne ki
miqdaar theharna.

17) Dusri ra’kat se pehle qa’dah na karna

18) Qa’dah e ula karna agarche nafl namaz ho

19) Qa’dah e ula aur qa’dah e akhirah mein puri “Attahiyyat” padhna.

20) Farz, witr, aur sunnat e mokadah ke qa’dah e ula mein “Attahiyyat”
ke b’ad kuchh na padhna, na khamosh baithe sochte rehna

21) 4 ra’kat ki namaz mein teesri ra’kat par qa’dah na karna aur
chauthi ke liye foran khade ho jana

22) Jehri namazon mein imam ka buland awaaz se qira’at karna

23) Sirri namazon mein imam aur munfarid (tanha namaz padhne wala)
ko aahista qira’at karna

24) Witr mein dua e qunoot ke liye takbir ALLAHU Akbar kehna

25) Witr ki namaz mein dua e qunoot padhna

26) Eidain ki namaz mein 6 zayed takbirein kehna

27) Eidain ki namaz mein dusri ra’kat ke ruku’ mein jane ke liye
“ALLAHU Akbar” kehna

28) Ayat e sajda padhne par sajda e tilawat karna

29) Sajda e sahw wajib hone ki soorat mein sajda e sahw karna

30) Har farz aur har wajib ko apni jagah ada karna y’ani tarteeb ke
khilaaf na karna

31) 2 farz ya 2 wajib ya wajib aur farz ke darmiyaan 3 martaba


“Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar waqfa na karna

32) Jehri aur sirri namazon mein imam ke pichhe ba-waqt e qira’at
chup rehna

17 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 18

33) Qira’at ke siwa tamam wajibaat mein imam ki mutabe’at karna

34) Donon salam mein lafz “As-salam” kehna, alaykum wajib nahin.

Namaz ki Sunnatein aur unki tafseelaat:

Mandarja e zel baatein namaz mein sunnat hain, inka ada karna ba’is e sawab
chhodna bura aur mehroomi hai , sunnaton ko hargiz chhodna nahin chahiye
qasdan chhodne se sawab mein kami aur namaz naaqis ho jati hai, magar
sajda e sahw wajib nahin hota aur sunnat chhodne ki aadat bana lena sakht
bura aur ‘ataab aur ‘azaab ka sabab hai.

1) Takbir e Tahreema ke liye donon haathon ko uthana

2) Mardon ko Takbir e Tahreema kehne se pehle donon haathon ko kaanon tak


uthana

3) Aurton ko mondhon tak donon haathon ko uthana

4) Hatheliyon aur ungliyon ke pet Qible ki taraf rakhna

5) Haathon ki ungliyon ko apne haal par rehne dena na khoob kushada karna
na aapas mein mili hui rakhna

6) Takbir kehte waqt sar na jhukana balki seedha rakhna

7) Witr mein Qunoot ki takbir se pehle donon haathon ko uthana – mard


kaanon tak aur aurat mondhon tak

8) Eidain mein zaayed takbiron se pehle donon hathon ka uthana

9) Har takbir mein lafz ALLAHU AKBAR ki “ra” ko jazam padhna

10) Ek rukn se dusre rukn ki taraf muntaqil hote huye rukn ko ALLAH ki
“Alif” se shuru karna aur AKBAR ki “ra” par khatm karna

11) Imam ka buland awaaz se “ALLAHU AKBAR” aur “samiALLAHU liman


hamidah” kehna

12) Takbir E Tahreema ke b’ad haath ko na latkana foran baandh lena – mard
naaf ke niche aur aurat seene par

13) Imam ki takbiron ki awaaz muqtadiyon tak pahunchane ke liye ba-waqt e


zarurat Mukabbir muqarar karna

18 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 19

14) Qayaam mein paun ke donon panjon ke darmiyaan 4 angul ka faasla


rakhna

15) Qayaam ki haalat mein thodi der ek paun par zor dena thodi der dusre
paun par wazan dena

16) Imam aur munfarid (tanha namaz padhne wala) ko sana’, Auzubillah, aur
Bismillah padhna aur aahista padhna aur muqtadi ko sirf sana’ padhna

17) Pehle Sana’ phir Auzubillah iske b’ad Bismillah padhna aur inke
darmiyaan waqfa na karna

18) Eidain ki Takbir E Tahreema ke b’ad Imam aur muqtadi ko sana’ padhna
aur takbiraat e waajiba ke b’ad y’ani pehli rak’at ki chauthi takbir ke b’ad sirf
Imam ka T’auuz aur Tasmiyah padhna

19) Surah Fatiha khatm hone par Aameen kehna aur Aameen aahista kehna

20) Pehli rak’at ke b’ad har rak’at ko Bismillah padh kar shuru’ karna

21) Ruku’ mein jate waqt ALLAHU AKBAR kehna

22) Ruku’ mein kam se kam 3 bar “Sub’hana Rabbiyal Azeem” kehna

23) Ruku’ ki haalat mein mard ka ghutnon ko haathon se pakadna aur


haathon ki ungliyon ko khoob khuli hui rakhna

24) Ruku’ mein aurat ka sirf ghutnon par haath rakhna aur ungliyon ko mili
hui rakhna

25) Ruku’ mein mard ka itna jhukna ki peeth seedhi ho jaye

26) Aurat ka sirf itna jhukna ki haath ghutnon tak pahunch jaye

27) Ruku’ mein mard ka sar ko peeth ke barabar rakhna na bilkul jhukaye na
uncha karke rakhe

28) Aurat sar ko peeth se uncha rakhe

29) Mard ka ruku’ ki haalat mein taangon ko tedhi na rakhna bilkul seedhi
rakhna

30) Aurton ko ruku’ mein taangon ko tedhi rakhna mardon ki tarah seedhi na
rakhna

19 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 20

31) Ruku’ se khade hone ke liye Imam ka “samiALLAHU liman hamidah”


kehna aur buland awaaz se kehna

32) Muqtadiyon ko ruku’ se khade hone ke liye “Rabbana lakal hamd” ya


“Rabbana wa lakal hamd” kehna

33) Tanha farz namaz padhne wale ko “samiALLAHU liman hamidah” aur
“Rabbana lakal hamd” donon kehna

34) “ samiALLAHU liman hamidah” ki “ ha” ko saakin (jazam) padhna aur


“daal” ko khinch kar na padhna k “d” ke bajaye “da” m’alum ho

35) “SamiALLAH” ki “Seen” se sar uthana shuru’ karna aur “liman hamidah” ki
“ha” par seedha khada hona

36) Ruku’ se khade hokar haathon ko na baandhna balki latka hua chhod
dena

37) Sajde mein jate huye aur sajde se sar uthate huye “ALLAHU AKBAR”
kehna

38) Ruku’ se seedha khada ho kar sajde mein jate waqt pehle donon ghutne
zameen par rakhna phir donon haath phir naak phir peshani jabki koi uzr na
ho

39) Donon sajdon ke b’ad khade hote waqt zameen se pehle peshani phir naak
phir donon haath phir ghutne uthana

40) Har sajde mein kam az kam 3 bar “Sub’hana Rabbiyal a’la” kehna

41) Sajde mein donon paun ki dason ungliyon ke pet zameen par lagna, aur
unka Qibla rukh hona, jabki koi uzr na ho

42) Sajde ki haalat mein donon haath ki ungliyaan aapas mein mili hui Qible
ki taraf hona

43) Sajda mein mard ka apne baazu ko karwat se aur pet ko raan se juda
rakhna

44) Aurat ko simat kar sajda karna, y’ani baazu ko karwat se, pet ko raan se,
raan ko pindliyon se, aur pindliyon ko zameen se chipkaye rakhna

20 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 21

45) Sajde mein mard ka apni kalaiyaan aur kohniyaan zameen par na
bichhana balki hatheliyaan zameen par rakh kar kohniyaan upar ko uthaye
rakhna

46) Aurat ka sajde mein kalaiyaan aur kohniyaan zameen se lagaye rakhna

47) Donon sajdon ke darmiyaan mard ka is tarah baithna ki baayaaN (ulta)


qadam bichha kar y’ani mod kar is par baithe aur daayaaN (seedha) qadam is
tarah khada rakhe ki ungliyaan Qible ki taraf hon agar koi uzr na ho

48) Aurat donon paun daahini (seedhi) taraf nikaal de, aur baayein (ulte) surin
ko zameen par rakh kar baithe, donon q’adon mein isi tarah baithe

49) Donon sajdon ke b’ad khade hote waqt donon panjon ke bal ghutnon par
haath rakh kar khada hona

50) Q’adah e ula ke b’ad teesri rak’at ke liye uthte waqt zameen par haath ko
tek kar na uthna, balki ghutnon par rakh kar uthna

51) Mard o aurat ka donon q’adon mein isi tarah baithna jis tarah 2 sajdon ke
darmiyaan baithe the

52) Q’adah mein daayaaN haath daahini raan par aur baayaaN hath baayein
raan par is tarah rakhna ki ungliyon ke sire ghutnon ke paas Qibla-ru rahein,
aur ungliyon ko apni haalat par rehne dena, na khuli rahein na mili hon

53) Sunnat e ghair mokadah aur nafl namazon ke q’ada e ula mein attahiyyaat
ke b’ad durood sharif aur dua e maasoora padhna

54) Dua e maasoora ko ‘Arbi zabaan mein padhna

55) Attahiyyaat mein “Ash’hadu-al-la-ilaaha-illal-laah” padhte waqt daahine


haath ki shahadat ki ungli uthana, is tarah se ki daayein haath ki chhungliya
(chhoti karan ungli) aur iske paas waali ungli ko band karna, aur bich ki ungli
aur anguthe ko mila kar halqa ki shakl mein bana dena phir “la” par shahadat
ki ungli uthana aur lafz “illa” par gira dena, aur haath ki hatheli ko pehle ki
tarah seedhi bichha dena, na ki mutthi baandhe huye rakhna

56) Namaz puri karne ke b’ad “As-salamu alaykum wa rahmatullah” kehna

57) Salam 2 bar kehna, pehle daayein taraf phir baayein taraf

58) Imam ka donon salam buland awaaz se kehna

21 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 22

59) Salam pherne mein chehra itna pherna ki pichhe se ek taraf ka rukhsaar
dikh sake

Tanbeeh: Salam ke b’ad sunnat ye hai ki Imam daayein ya baayein taraf


ghoom jaye aur muqtadiyon ki taraf bhi munh karke baith sakta hai basharte
ki saamne koi namaz na padh raha ho magar daahini taraf munh karke
baithna afzal hai.

Mas’ala: Zuhr aur Maghrib aur Isha ke b’ad chunki sunnatein padhni hain
isliye mukhtasar dua maang kar sunnatein padhein. Taweel dua na maange ki
sunnaton mein taakhir makruh hai, isi liye bade bade wazeefon ki bhi ijazat
nahin, albatta Fajr aur Asr ke b’ad ikhtiyaar hai jis qadar zikr, wird aur dua
karna chahe kar sakta hai magar muqtadi jab Imam ke sath dua mein shaamil
hon ki lambi dua se ukta jayein to Imam taweel dua na kare.

Namaz ke mustahibaat aur unki tafseelaat:

Mustahab wo hai jis ki adayegi par ajr o sawab milega aur chhodne par kisi
qism ka azaab o ‘ataab na hoga phir bhi jahan tak ho sake isko ada karne ki
koshish karni chahiye taaki namaz ke husn o sawab mein izafa ho.

1. Niyyat ke alfaaz ‘arabi zaban mein ada karna

2. Mard ka hath agar chadar wagaira kapde mein chhupa hua ho to takbir e
tahreema ke waqt hath ko bahar nikaalna. Aurat ko apna hath chhupaye
rakhna

3. Baghair musalla aur chatayi wagaira bichhaye huye khuli zameen par
namaz padhna (jabki jagah saaf suthri ho)

4. Qayaam mein sajde ki jagah nazar rakhna

5. Surah Fatiha ke b’ad jab koi surah shuru’ se padhe to pehle Bismillah
padhna

6. Muqtadi ka imam ke sath namaz shuru’ karna taakhir na karna

7. Haalat e ruku’ mein qadam ki pusht par nazar rakhna

8. Sajda karte waqt naak ki taraf nazar rakhna

9. Qa’dah mein god ki taraf nazar rakhna

22 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 23

10. Pehle Salam mein dayein shaane ki taraf, aur dusre salam mein bayein
shaane ki taraf nazar rakhna

11. Jamahi aaye to munh ko band rakhne ki koshish karna aur agar na ruke
to hont ko daanton se daba dena. Agar phir bhi na ruke to qayaam ki haalat
mein daahine hath ki pusht se munh band kar lena. Qayaam ke alawa
bayein hath ki pusht se munh ko band karna

12. Hattal imkaan khansi aaye to isko rokna

13. Jab mukabbir Hayya ‘alal falaah kahe tab hi imam aur muqtadi ka khade
hona

14. Aur jab Qadqaamatis-salaah kahe to namaz shuru’ karna magar behtar
hai ki iqamat puri hone par shuru’ kare

Jamahi rokne ka mujarrab amal:

Jamahi rokne ka mujarrab amal ye hai ki dil mein khayal kare ki Ambiya e
Kiram ko jamahi nahin aati thi, ye khayal karte hi jamahi In sha ALLAH Ta’ala
ruk jayegi.

(Namaz ke sharayet, faraiz, wajibaat, sunan aur mustahibaat jo upar bayan


huye wo sab ke sab Durre Mukhtar, Raddul Muhtar, Alamgiri, Fatawa
Razaviyya aur Bahar e Shariat wagaira mustanad kitabon se maakhuz hain)

Sajda e Sahw ki Haqeeqat:

Sahw ka ma’ana hai bhoolna, namaz mein jo baatein wajib hain in mein se
agar koi wajib bhool kar chhut jaye to namaz mein kami zyadati ho jati hai,
maslan farz ki pehli 2 rak’aton mein, nafl, sunnat aur witr ki har rak’at mein
Alhamdu sharif ka ek bar padhna wajib hai. Agar bhool kar Alhamd chhut jaye
to namaz mein kami ho gayi aur 2 bar padh liya to zyadati ho gayi jis se namaz
mein nuqsaan aa gaya, is qism ke nuqsaan ko dur karne ke liye shariat ne
sajda e sahw (bhool ka sajda) karne ka hukm diya hai, sajda e sahw kar lene
se namaz puri ho jati hai lautane ki zarurat nahin hoti albatta sajda e sahw
wajib hone ki soorat mein agar na kiya gaya to namaz dobara padhni wajib hai
haan agar sajda e sahw karne ke liye mauqa aur mahal na raha to saaqit ho
jayega maslan fajr ki namaz mein sahw hua abhi pehla salam phera tha ki
sooraj nikal aaya to sajda e sahw saaqit ho gaya, yun hi juma’ aur eidain ki
namaz mein zyada hujum ki wajah se imam ne sahw ki soorat mein sajda e
sahw nahin kiya to bhi namaz ho jayegi lautane ki zarurat nahin.

23 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 24

Khayal rahe: Namaz mein agar koi farz jaise ruku’ o sujood chhut gaya bhool
kar ho ya qasdan (jaan-bujh kar) ya koi wajib qasdan chhod diya to phir sajda
e sahw se kaam nahin chalega, namaz lautani hi padegi.

Sajda e sahw wajib hone ki sooratein:

1. Namaz ke wajibaat mein se koi wajib bhool kar chhut jaye maslan farz ki
pehli 2 rak’aton mein surah Fatiha bhool jaye ya surah milana bhool jaye

2. Ya kisi wajib ko us ki jagah se muqaddam ya muakhkhar (aage ya


pichhe ) kar de maslan surah pehle padhe aur Alhamd iske b’ad padhe

3. Ya kisi wajib ki adayegi mein ek rukn y’ani 3 bar Sub’han ALLAH kehne
ki miqdaar khada sochta raha ki kya padhun?

4. Ya kisi wajib ko dobara ada kare, maslan surah Fatiha ko farz ki pehli 2
rak’aton mein 2 – 2 bar padhe ya sirf pehli mein 2 bar padhe.

5. Ya kisi wajib ko badal de maslan imam jehri namaz mein aahista aur
sirri mein buland awaaz se qira’at kare

6. Ya namaz ke farzon mein se kisi farz ko uski jagah se hata kar b’ad mein
ada kare maslan pehle sajda b’ad mein ruku’ kare

7. Ya kisi farz ko mukarrar ada kare y’ani jis farz ko ek rak’at mein ek hi
bar ada karna hai us ko 2 bar ada kare jaise ruku’ 2 bar ada kare ya jis
farz ko 2 martaba ada karna hai us ko 2 se zyada bar ada kare maslan
ek rak’at mein 2 sajde ke bajaye 3 ya 4 sajde kare. In sab sooraton mein
sajda e sahw wajib hai.

Sajda e Sahw ke 3 tareeqe:

Tareeqa no.1:

Sajda e sahw kisi kami ki wajah se wajib hua ho ya kisi zyadati ki wajah
se isko ada karne ke liye Hanafi maslak mein 3 tareeqe hain. Pehla
tareeqa ye ki aakhri qa’dah mein puri attahiyyaat padhne ke bad dahini
(seedhi ) taraf salam phere, iske ba’d 2 sajde kare aur donon sajdon mein
hasbe dastoor “Sub’hana Rabbiyal a’la” padhe, phir sajde se sar utha kar
qa’dah mein baithe aur dobara attahiyyaat, durood sharif aur dua e
maasura padh kar namaz se nikalne ke liye donon taraf salam phere.

(Alamgiri pg. 65, J1)

24 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 25

Mas’ala:

Sajda e sahw ke waqt attahiyyaat ke b’ad agar salam nahin phera aur
sajda e sahw kar liya to bhi jaiz hai magar aisa karna makrooh e
tanzihi hai.

(Alamgiri pg. 65 J1)

Mas’ala:

Agar bhool kar donon taraf salam pher diya aur fouran yaad aa gaya ki
sajda e sahw karna hai to usi waqt sajda e sahw kare phir attahiyyaat
wagirah padh kar salam phere, namaz ho gayi, ba-sharte ki koi aisi chiz
jo namaz ke manafi ho na payi gayi ho, magar qasdan donon taraf salam
pher diya aur yaad tha ki sajda e sahw karna hai to is soorat mein
namaz lautani padegi, sajda e sahw se kaam na chalega.

(Alamgiri pg. 65 J1, Fatawa Razaviyya pg. 638, J 4)

Mas’ala:

Agar munh saamne kiye huye salam ke alfaaz kahe chehra phera nahin
aur sajda e sahw kar liya to bhi namaz ho gayi lautane ki zarurat nahin.
Imam Fakhrul Islam Alaihir Rahma ne isi ko ikhtiyaar farmaya hai.

(Fatawa Amjadiya, pg. 281, J1)

Tareeqa no. 2:

Dusra tareeqa ye hai ke aakhri qa’dah mein attahiyyaat, durood sharif


aur dua padh kar dahini taraf salam phere aur sahw ke liye 2 sajde kare,
phir qa’dah mein baith kar sirf attahiyyaat padhe aur donon taraf salam
phere, durood sharif aur dua padhne ki zarurat nahin.

(Fatawa Amjadiya pg. 281, J1)

Tareeqa no. 3:

Teesra tareeqa ye hai ki aakhri qa’dah mein attahiyyaat, durood sharif


aur dua padh kar dahini taraf salam phere aur sahw ke 2 sajde kare,
phir baith kar qa’dah mein dobara attahiyyaat, durood sharif aur dua e
maasura padh kar donon taraf salam phere.

(Alamgiri pg. 65, J 1, Fatawa Amjadiya pg. 281, J 1)

25 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 26

Hazrat e Sadrush Shari’ah Maulana Amjad Ali Sahab Azmi Musannif e


Bahar e Shari’at Alaihir Rahma war-ridwan mazkura teenon tareeqon ke
bare mein farmate hain, sab durust hain in mein se koi soorat makruh
bhi nahin hai aur ye sab tareeqe mazhab e Hanafi ke mutabiq hain.

(Fatawa Amjadiya pg. 281 J 1)

Mas’ala: Behtar aur ehtiyaat ye hai ki dono qa’adon mein attahiyyaat ke


ba’d durood sharif padhe ya’ni sajda e sahw se pehle aur ba’d.

(Alamgiri pg. 65, J 1)

Sajda e Sahw se muta’lliq chand ahadith e kareema:

Hadith: Hazrat e Mughira bin Sh’uba radi ALLAHU Ta’ala Anhu se


marwi hai ki Nabi Kareem SallAllahu Ta’ala Alaihi wa Sallam ek roz 2
rak’at padh kar khade ho gaye baithe nahin phir salam ke b’ad sajda e
sahw kiya.

(Tirmizi Sharif ba-hawala Bahar e Shari’at Pg.28 J 4)

Hadith: Sayyiduna Abdullah Bin Mas’ood Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se


marwi hai k Sayyid E Aalam SallAllahu Ta’ala Alaihi wa Sallam ne zuhar
ki namaz 5 raka’tein padhayein to Aap ne salam ke b’ad sahw ke 2 sajde
kiye.

(Bada’i As-sana’i pg. 183 J 1)

Hadith: Sayyiduna Imran ibne Haseen Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se


marwi hai ke Huzur e Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi wa Sallam ne sahw
ke sajde salam ke b’ad kiye, is hadith ko Hazrat e Imran ke alawa
Ummul Mu’minin Aisha Siddiqa, Sayyiduna Abu Huraira, Sayyiduna
Mughirah bin Shu’ba aur Sayyiduna Sa’ad bin Waqqaas Ridwanullahi
Ta’ala Alaihim Ajmaeen ne bhi riwayat kiya hai.

(Bada’i As-sana’i pg. 183 J 1)

Hadith: Hazrat Sayyiduna Saubaan Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se marwi


hai ki Rasool e Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Sallam ne farmaya ki
sahw ke liye salam ke b’ad 2 sajde hain.

(Bada’i As-sana’i pg. 183 J 1)

26 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 27

Hadith: Sayyiduna Abdullah ibne Mas’ud Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se


marwi hai ki Sayyid e Aalam SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Sallam ne
farmaya: Jis ko apni namaz mein shak ho jaye aur uski samajh mein na
aaye ki 3 ra’katein padhi hain ya 4? to wo sawaab ko ikhtiyar kare (y’ani
jitni ra’kat par dil jam jaye) usi par bina kare (y’ani agar 3 padhne par dil
jamta hai to ek aur padh le aur 4 par jamta hai to qa’dah mein baith
jaye) aur 2 sajde (sahw ke ) salam ke b’ad kare.

(Bada’i As-sana’i pg. 183 J 1)

Hadith: Sayyiduna Amirul Mu’minin Umar e Farooq Radi ALLAHU Ta’ala


Anhu se marwi hai ki Huzur Sayyid E Aalam SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa
Sallam ne farmaya: jo muqtadi imam ke pichhe hain unke sahw ka
aitbaar nahin. Agar imam ko sahw hua to sajda e sahw imam aur
muqtadi donon par hai.

(Bazaz, Baihaqi, ba-hawala Fatawa Razaviyya pg. 641, J 3)

Namaz ki ibteda:

Qayaam: Y’ani khada hona, panj waqta farz, juma’, witr, aur eidain ki
namazon mein aur fajr ki sunnat mein qayaam farz hai (y’ani khade
hokar padhna) bila uzr e sahih ye namazein baith kar padhi gayi to
durust na hongi dobara khade hokar padhna farz hai.

(Durre Mukhtar pg. 414, J 1)

Mas’ala: Agar asa ya khadim ya deewaar par tek laga kar khada ho
sakta hai to farz hai ki khada ho kar padhe baith kar padhna jaiz nahin
hai.

(Ghuniya ba-hawala Bahar e Shari’at, pg. 70 J 3)

Mas’ala: Khade hone se thodi takleef hoti hai to uzr nahin hai balki
qayaam us waqt saaqit (ma’af) hoga aur namaz baith kar padhne ki ijazat
hogi jabki bilkul khada na ho sake, ya khada to ho sakta hai magar
khada hokar phir sajda nahin kar sakta, ya koi aisa zakhm hai ki khade
hone se ya sajda karne se bahne lagta hai ya peshab ke qatron ki
shikayat hai ki khade hone se qatra aata hai ya koi aisa marz hai jaise
saans phoolna,haanp aana ki iski wajah se bilkul qira’at karne se
majboor ho jata hai ya aisa marz hai ki khade hone se wo marz badh

27 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 28

jayega ya der mein achha hoga ya khade hone mein naqaabil e bardasht
takleef hogi to baith kar padh sakta hai. (ye hai uzr e sahih aur majboori)

(Bahar e Shariat pg.70 J 3)

Mas’ala: Agar utni taaqat hai ke khada hokar sirf takbir e tahreema
ALLAHU AKBAR keh sakta hai to farz hai ki khada ho kar takbir e
tahreema kahe phir baith kar namaz padhe.

(Bahar e Shariat pg.70 J 3)

Tanbeeh:

Huzur Sadrush Shari’ah Maulana Amjad Ali Sahab Qibla Musannif e


Bahar E Shari’at Alaihir Rahmatu war-ridwan Bahar e Shari’at mein
farmate hain ki aaj kal umuman ye baat dekhi jati hai ki zara bukhar
aaya, ya thodi si takleef hui, baith kar namaz shuru’ kar di, halanki wahi
log isi haalat mein 10 -15 minute , adha ghanta idhar –udhar ki baatein
karte khade rehte hain, unko chahiye ki in masail ko khayal mein
rakhein jitni namazein khade hone ki taaqat ke bawajood baith kar
padhi hai unka lautana farz hai. ALLAH Ta’ala taufiq ata farmaye.

Tanbeeh Mazeed:

Chalti Train par namaz:

Aaj kal ye bhi dekha ja raha hai ki log chalti hui train aur bus mein seat
par baithe baithe bila takalluf namaz padh lete hain halanki chalti hui
sawaari par baghair kisi shara’i majboori ke farz, wajibaat aur sunnat e
fajr padhni jaiz nahin hai.

Is liye ki jis chiz par ye namazein padhi jayein uska thahra rehna shart
hai. Zaahir hai ke chalti hui sawaariyaan thahri hui nahin to ek shart hi
mafqud ho gayi hasb e qaida mash’hura “iza faatash-shartu faatal
mashroot” namaz durust hi na hogi, dusri baat ye hai ke qayaam jo farz
hai isko bhi log chhod dete hain, teesri baat ye hai ki aksar Qibla se
inheraaf hota hai Qibla ki taraf munh karna ye shart bhi faut ho jati hai.

Nafl namaz chalti hui sawaari par padhne ki ijazat hai, wo bhi haalat e
safar mein, haan aisi sawaari ki zameen par uska thaharna mumkin
nahin jaise samundari jahaaz wagaira ki agar namaz na padhe to qaza
ho jayegi to jis tarah mumkin ho padh le.

28 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 29

Train aur bus wagaira sawaariyaan jab khadi hon to train mein agar
jagah ho ya phir station par utar kar farz aur wajib namazein padhein;
log is mas’ale se ghaafil hain.

Qayaam kis tarah ho?

Banda jab namaz ke tamam sharayet o aadaab ki ria’yat karte huye ALLAH
Rabbul Izzat Jalla Majduhu ki bargah e azmat o jalal mein sajda guzari ke liye
jazba e khulus ke sath hazir ho, to basad ijz o niyaz ba-adab is tarah khada ho
ki donon paun ke panjon ke darmiyan 4 angul ka faasla ho. A’la Hazrat Alaihir
Rahma Fatawa e Razaviyya mein farmate hain yahi adab yahi sunnat hai aur
yahi humare Imam e Azam Abu Haneefa Radi ALLAHU Ta’ala Anhu se manqul
hai. nazar sajdagaah par ho, sar na utha hua ho na hi bilkul jhuka hua ho,
aur munh qibla ki janib ho, purey adab aur waqaar ke sath khada ho. ALLAH
Ta’ala ka irshaad hai “Qumu lillahi qaaniteen” (ALLAH ke huzur adab ke sath
khade ho), ab is ke bad namaz ki niyyat kare.

Niyyat:

Niyyat namaz ke liye shart hai, bila niyat padhi to namaz na hogi, niyat asl
mein dil ke pukhte irade ka naam hai, lihaza jo namaz padhni ho, pehle iska
dil mein is tarah pukhta irada kare ki agar puchh liya jaye k kaun si namaz
padhna chahte ho, to fauran bila ta’mmul bata sake ki falaan waqt ki falaan
namaz padhne ka irada hai, agar haalat aisi nahin balki soch kar batana pade
to ye niyat kaafi nahin.

(Shaami, pg. 385, J 1)

Mas’ala:

Farz namazon mein farz e waqt aur us khaas namaz ki niyat zaruri hai jo
padhna chahta hai. Maslan yun niyat kare ki maine aaj ke zuhar ya asr ke farz
ki niyat ki, aur agar kisi imam ki iqteda mein padh raha ho to muqtadi ko
imam ki iqteda ki niyat bhi zaruri hai. Ya’ni yun niyat kare ki maine niyat ki
falaan namaz ki is imam ke pichhe ya iqteda mein.

(Aammah Kutub)

Mas’ala:

29 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 30

Nafl, Sunnat aur Taraweeh mein mutlaq namaz ki niyat kaafi hai, magar
behtar ye hai ki taraweeh mein taraweeh ki aur sunnaton mein sunnat ki niyat
kare.

(Bahaar E Shari’at, pg. 54, J 3)

Mas’ala:

Niyat mein rak’at ki ta’dad ka t’ayyun zaruri nahin, afzal hai maslan yun niyat
ki ke maine aaj ke zuhar ke farz ki niyat ki ya yun niyat ki ke maine aaj ke
zuhar ke 4 ra’kat farz ki niyat ki. Donon durust hain, magar ra’kat ki ta’dad ke
sath niyat karni afzal hai.

(Bahaar E Shari’at, pg. 54, J 3)

Mas’ala:

Niyat mein zabaan se alfaaz kehna zaruri nahin, agar keh liya to behtar hai,
Ulama e Kiraam ne is ko mustahab bataya hai, agar bila-niyat namaz shuru
kar di phir khayal aaya ki niyat nahin ki hai to dobara niyat karke phir takbir
e tahreema kahe warna namaz hi na hogi.

(Bahaar E Shari’at pg. 54, J 3)

Takbir E Tahreema:

Mas’ala:

Takbir e tahreema namaz ke liye shart hai, baghair takbir e tahreema ke


namaz shuru hi nahin hogi, takbir e tahreema mein lafz “ALLAHU AKBAR”
kehna wajib hai, iske alawa aise alfaaz jo ALLAH Ta’ala ki azmat o kibriyaai ke
liye khaas hain agar un se tahreema baandhi to bhi namaz shuru ho jayegi,
magar aisa karna makrooh e tahreemi hai maslan ALLAHU Kabeer, Ar-
Rahmanu Akbar, Sub’han ALLAH, Alhumdulillah, TabaarakALLAH, ya sirf
ALLAH ya ALLAHUMMA kaha (Alamgiri pg. 76, J 1) magar is se sajda e sahw
wajib na hoga kyunki ye karahat namaz se khaarij hai.

Jis namaz mein qayaam farz hai usmein tahreema ke liye qayam farz hai:

Mas’ala:

30 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 31

Jin namazon mein qayaam farz hai in namazon mein takbir e tahreema bhi
khade ho kar kehna farz hai, agar baith kar ALLAHU AKBAR kaha phir khada
ho gaya to iski namaz shuru hi nahin hui.

(Durre Mukhtar; Aalamgiri; ba-hawala Bahaar E Shari’at, pg. 68, J 3)

Mas’ala:

Nafl namaz mein qayaam farz nahin is liye is mein takbir e tahreema baith kar
kehna jaiz hai.

Mareez bhi takbir e tahreema khade ho kar kahe:

Mas’ala:

Aisa mareez jo puri namaz khade ho kar nahin padh sakta lekin takbir e
tahreema ke liye khada ho sakta hai, to uske liye zaruri hai ki takbir e
tahreema khade ho kar kahe, phir baith kar namaz puri kare baghair aisi
takleef ke jo na-qaabil e bardasht ho qayaam ka tark karna jaiz nahin, agar
qayaam tark kar diya to namaz hogi hi nahin.

(Sagheeri pg. 143)

Takbir e tahreema imam se pehle keh diya:

Mas’ala:

Imam ki takbir e tahreema ALLAHU AKBAR se pehle muqtadi ne ALLAHU


AKBAR keh diya, ya imam ne lafz ALLAHU khatm nahin kiya tha ki muqtadi ne
ALLAHU keh diya to in donon sooraton mein muqtaadi ki namaz shuru hi na
hui, usko chahiye ki phir se ALLAHU AKBAR kahe aur imam ke sath shaamil
ho.

(Sagheeri pg. 143)

Jaldi mein takbir e tahreema kehte huye imam ke sath mila:

Mas’ala:

Kabhi aisa hota hai ki koi namazi Masjid mein aaya aur us waqt imam ruku
mein chala gaya hai to muqtadi jaldbazi mein ALLAHU AKBAR kehte huye
ruku mein chala jata hai aur ALLAHU AKBAR ki awaaz ruku mein jakar khatm
hoti hai, is tarah imam ke sath namaz mein shirkat na hui kyunki tahreema se
faarigh hone tak qayaam farz hai ya’ni seedha khade hone ki haalat mein

31 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 32

ALLAHU AKBAR ki awaaz khatm honi chahiye, iske baad ruku mein jana
chahiye warna namaz hi na hogi.

(Sagheeri pg. 143)

Takbir mein ALLAHU Akbaar ya ALLAHU Aakbar kaha:

Mas’ala:

Ba’az log takbir khwah tahreema ki ho ya ruku o sujood ki, is mein badi be-
ehtiyaati karte hain, “ALLAHU Akbar” kehne ki bajaye “AALLAHU Akbar” lafz
“ALLAH” par “khada zabar” ya “madd” karte hain ya “ALLAHU Akbaar”, “ba”
aur “ra” ke darmiyan “alif” badha dete hain aisa karna galat hai, is se namaz hi
na hogi agar takbir e tahreema is tarah kahi to sire se namaz shuru hi na hui
aur agar in alfaaz ke kharaab ma’ani samajh kar qasdan kaha to “KAFIR” ho
jayega.

(Sagheeri pg. 142)

Rafa’ Yadain

Ya’ni takbir e tahreema ke waqt donon hathon ke uthane ka tareeqa:

Takbir e tahreema “ALLAHU Akbar” kehne se pehle, donon hathon ko utha kar
donon kaanon tak is tarah le jeyein ki donon anguthe donon kaanon ki lau se
chhu jayein aur ungliyon ko apni haalat par rehne dein, na inko milayein aur
na khoob khuli hui rakhein, aur donon hatheliyaan qible ki taraf hon, iske ba’d
niyat karke “ALLAHU Akbar” kehte huye hathon ko niche layein aur naaf ke
niche baandh lein, ye khayal rakhein ki jab “ALLAHU Akbar” ka pehla harf
“alif” zaban se nikalein to hathon ko niche lana shuru kar dein aur “Akbar” ki
“ra” par hathon ko bandh lein, aisa na ho ki kaanon tak hath uthaye huye
“ALLAHU Akbar” kahein phir baandhein. Na aisa ho ki hathon ko baandh kar
phir “ALLAHU Akbar” kehein, aisa karna sunnat ke khilaaf hai.

Masail e Sajda e sahw

Tanbeeh:

Agar ek namaz mein chand wajib bhool kar chhut gaye to sab ke liye wahi 2
sajda e sahw ke kaafi hain, sab ke liye alag sajda karne ki zarurat nahin.

(Aammah Kutub)

Mas’ala:
32 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 33

Jis tarah farz mein wajib chhut jaane se sajda e sahw wajib hai, isi tarah nafl
namaz mein bhi wajib tark ho jaane se sajda e sahw wajib hai.

(Aalamgiri pg. 67, J 1, Shaami pg. 694, J 1)

Takbir e Tahreema mein sahw

Takbir e tahreema ke ba’d shak hua:

Mas’ala:

Kisi ne namaz shuru ki aur shak hua ki takbir tahreema “ALLAHU Akbar”
kaha hai ya nahin phir yaad aaya ki keh liya hai aur sochne mein ek rukn 3
bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdar takhir ho gayi to us par sajda e sahw
wajib hai warna nahin.

(Fat’hul Qadeer pg. 438, J 1)

Qira’at shuru kar di phir takbir e tahreema mein shak hua:

Mas’ala:

Kisi ne takbir tahreema keh kar namaz shuru ki, aur qira’at bhi kar li phir
shak hua ki takbir e tahreema kahi hai ya nahin isliye dobara takbir kahi aur
qira’at ka i’ada kiya phir khayal aaya ki takbir e tahreema shuru mein keh li
thi, to is soorat mein is par sajda e sahw wajib hai.

(Mabsoot Al Sarkhasi, pg. 232, J 1)

Takbir e Tahreema keh kar hath nahin baandha chhod diya:

Mas’ala:

Agar kisi ne takbir e tahreema keh kar naaf ke niche hath baandhne ke bajaye
chhod diya phir ba’d mein yaad aaya aur hath naaf ke niche baandh liya, to is
par sajda e sahw nahin.

Mas’ala:

Takbir e tahreema ke waqt rafa’ yadain (donon hathon ko kaanon tak uthana)
bhool gaya aur kaanon tak hath uthaye baghair baandh liya, to is par sajda e
sahw nahin.

(Aalamgiri pg. 65, J 1)

33 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 34

Sana’, ta’uz, aur tasmiya mein bhool

Sana’, ta’uz, tasmiya, bhool gaya ya awaz se ya khilaf e tarteeb padha:

Mas’ala:

Sana’ ya’ni “Sub’hanaka Allahumma wa bihamdika..” aakhir tak, ta’uz ya’ni


“A’uzubillahi minash-shaitaanir- rajeem”, tasmiya ya’ni “Bismillahir-rahmanir-
raheem” ko takbir e tahreema ke ba’d hath baandh kar aahista padhna sunnat
hai jab ki imam ho ya tanha namaz padh raha ho, aur agar imam ke peeche
namaz padhe to sirf sana’ padh kar khaamosh ho jaye, A’uzubillah aur
Bismillah na padhe.

(Aammah Kutub)

Mas’ala:

Sana’, ta’uz aur tasmiya mein se koi ek ya sab bhool kar chhut jaye to na sajda
e sahw hai na namaz mein karahat aayegi, albatta jaan-bujh kar chhodna
makruh hai.

(Shaami; Bahaar e Shari’at pg. 54, J 4)

Mas’ala:

Sana’ ta’uz aur tasmiya tarteeb se padhna sunnat hai ya’ni pehle “Sub’hanaka
Allahumma”, phir “Auzubillah”, iske ba’d “Bismillah” padhna chahiye, magar
kisi ne khilaf e tarteeb padha to sajda e sahw nahin magar qasdan aisa karna
bura hai.

(Aammah Kutub)

Faida e Jalilah:

A’la Hazrat Imam Ahmad Raza Alaihir Rahmatu war-ridwaan Fatawa e


Razaviyya Jild 3, pg. 53 par farmate hain ki har ra’kat mein “Alhamdu shareef”
se pehle aur surah milane ke waqt shuru surah par “Bismillah shareef”
aashista padhna mustahab aur mustah’san hai. Khwah sirri namaz ho ya
jehri, sab aimma e kiraam is ko achha aur behtar jaante hain. Is mein kisi ka
ikhtelaaf nahin, ikhtelaaf sirf sunnat hone mein hai ki ibteda e surah fatiha
par jis tarah Bismillah shareef padhna sunnat hai isi tarah ibteda e surah par
bhi sunnat hai ya mustahab, Sayyiduna Imam Muhammad Radi ALLAHU
Ta’ala Anhu ke nazdeek sirri namazon mein sunnat hai.Muheet, Muzmiraat,

34 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 35

Inaya, aur Mustasfa wagairha mein isi ki tasreeh farmayi aur mazhab e Imam
e Azam Abu Haneefa Radi ALLAHU Ta’ala Anhu mein sirf iske sunnat hone ki
nafi farmayi hai, aur isi par fatwa hai, aur jahan jahan Mutawween mein “ La
ya’ti wala yasma” farmaya gaya hai wahan murad sirf nafi istenan (sunnat ki
nafi) hai, bahar-haal us ki khoobi o husn par humare sab aimma ka ittefaq
hai.

(Mulkhisan)

Qira’at mein bhool par sajda e sahw

Tanbeeh:

Namaz mein jo qira’at wajib hai iske 2 hisse hain, ek hissa puri surah fatiha
padhna, ya’ni “Alhamd” se “walad-daaleen” tak ek ek lafz ka padhna wajib hai,
dusra hissa surah ka padhna hai, ya’ni surah fatiha padhne ke ba’d surah
milana, ya’ni kisi surah mein se itna padhna ke 3 chhoti aayaton ke barabar
ho jaye. Fuqaha e Kiraam Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen ne 3 chhoti
aayaton ki miqdar “summa nazara summa ‘abasa wa yasara summa adbara
wastakbara” se mut’ayyan farmayi hai.

(Sagheeri pg. 150)

In teenon aayaton mein kul 27 huruf hain, aur agar teenon “summa” ki
“meem” jo mushaddad hai isko 2 harf maanein to kul 30 huruf huye jaisa ki
Allama Shaami ne farmaya hai:

“Aye mislu summa nazar…. alkh. Wahiya salasuna harfan falao qara’a aayatan
taweelatan qadra salaseena harfan yakunu qad aati biqadri salasi aayaatin.”

Ya’ni “summa nazar” akhir tak ye kul 30 huruf hain, to agar kisi ne ek aayat
itni lambi jo 30 huruf ke barabar hai padh li to ye maan liya jayega ki us ne 3
aayaton ki miqdar padh liya.

Lihaza “Alhamd shareef” ke ba’d kisi surah mein se itna padh liya jo 27 ya 30
huruf par mushtamil hai to wajib ada ho gaya, iski namaz ada ho jayegi.

Mas’ala:

Surah fatiha ya zam e surah farz namazon ki pehli 2 rak’aton mein, yunhi nafl,
sunnat aur wajib namazon ki har rak’at mein wajib hai aur mutlaqan qira’at
farz hai. Imam aur tanha namaz padhne wale (munfarid) par qira’at karna

35 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 36

wajib aur farz hai. Imam ki iqteda mein namaz padhne walon par nahin hai
kyunki imam ki qira’at muqtadi ke liye kaafi hai.

Surah Fatiha padhne mein bhool

Surah Fatiha ya iska koi lafz bhool gaya:

Mas’ala:

Farz ki pehli 2 rak’aton mein, wajib, nafl, sunnat, aur taraweeh ki kisi rak’at
mein puri Alhamd Sharif * ya iski ek aayat ya ek lafz bhi padhne se reh gaya to
sajda e sahw wajib hai.

(Shaami pg. 426, J 1; Bahaar E Shari’at pg. 54, J 4)

(*) Namaz mein surah fatiha wajib hai lekin Fuqaha e Kiram
Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen ka is mein ikhtelaf hai ki aaya puri
surah fatiha padhne se wajib ada hoga ya aksar padh le to bhi ada ho
jayega. Aalamgiri J 1, pg. 65 par hai “ namazi ne surah fatiha ka aksar
hissa padh liya aur baqi bhool gaya to is par sajda e sahw nahin aur
agar aksar hissa reh gaya to sajda e sahw hai”, aur Durre Mukhtar
Sharah Tanweer ul Absaar bar Hashiya Shaami J 1, pg.26 par hai “surah
fatiha ka aksar hissa chhut jane par sajda e sahw hai kam par nahin”
lekin Kitab Mujtaba mein hai ki “surah fatiha ki ek aayat bhi chhut gayi
to sajda e sahw wajib hai aur yahi aula hai”, main kahunga ki is qaul ki
bina par surah fatiha ki har aayat padhna wajib hai aur Durre Mukhtar
ki mazkura ibarat par tabsara karte huye Allama Shaami Alaihir Rahma
farmate hain ki “ jo kuchh sahib e Mujtaba ne farmaya hai ki “har aayat
ka padhna wajib hai, is ka madaar Sayyiduna Imam e Azam Radi Allahu
Ta’ala Anhu ke qaul par hai, unke nazdeek namaz mein puri surah
fatiha ka padhna wajib hai aur sahib e Mujtaba ka ye farmana ki har
aayat ka padhna wajib hai mahaz tamseel ke taur par hai qaid ke liye
nahin, lihaza fatiha ki ek aayat ya kam agarche ek lafz ho, padhne se reh
gaya to wajib ada nahin hua, kyunki puri surah ka padhna wajib hai”.
Ma’lum hua ki fatiha ka ek lafz bhi chhut jaye to sajda e sahw wajib hai.
Isi ko Hazrat Sadrush Shari’ah Alaihir Rahma ne Bahaar e Shari’at mein
ikhteyaar farmaya hai. Farmate hain “Alhamd” ka ek lafz bhi reh gaya
to sajda e sahw wajib hai. (Durre Mukhtar) aur ehtiyaat bhi isi mein
hai.

WAllahu Ta’ala A’lam

36 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 37

Farz ki pichhli rak’aton mein Alhamd padhna bhool gaya:

Mas’ala:

Farz ki teesri ya chauthi rak’at mein Alhamd padhna bhool gaya to sajda
e sahw nahin.

(Aalamgiri pg. 65, J 1)

“Alhamdu” 2 bar padha:

Mas’ala:

Surah milane se pehle Alhamd ko 2 bar padha, ya aadhi se zyada padh


kar phir shuru se dobara padha to sajda e sahw wajib hai.

(Aalamgiri pg. 65, J 1)

Mas’ala:

Alhamd ke ba’d surah padhi is ke ba’d dobara Alhamd padhi to is soorat


mein sajda e sahw wajib nahin.

(Aalamgiri pg. 65, J1)

Mas’ala:

Farz ki teesri ya chauthi rakat mein Alhamd 2 bar padhi to sajda e sahw
wajib nahin.

(Aalamgiri pg. 65, J 1; Bahaar e Shari’at pg. 50, J 3)

Mas’ala:

Nafl, sunnat aur witr ki kisi rak’at mein khwah pehle wali ho ya ba’d wali
surah milane se pehle Alhamd agar 2 bar padh liya to sajda e sahw
wajib hai.

(Aalamgiri pg. 65, J 1)

Pehle surah ba’d mein Alhamd padha

Mas’ala:

37 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 38

Kisi ne Alhamd se pehle surah padhi phir iske ba’d Alhamd padhi to is
par sajda e sahw wajib hai.

(Aalamgiri, pg. 65, J 1; Bahaar E Shari’at, pg. 50, J 3)

Alhamd bhool gaya surah shuru kar di

Mas’ala:

Farz ki pehli ya dusri ra’kat mein, nafl, sunnat aur witr ki kisi rak’at
mein Alhamd padhna bhool gaya aur surah shuru kar di aur ek chhoti
aayat ki miqdar padh liya (*) ab yaad aaya to us ko chhod de aur Alhamd
padh kar surah milaye sajda e sahw ki zarurat nahin namaz ho gayi.

(Aalamgiri, pg. 65, J 1)

(*) Hazrat e Imam Abu Lais Samarqandi Alaihir Rahma ke nazdeek aayat
ki qaid nahin, agar ek lafz bhi padh liya to sajda e sahw wajib.

Mas’ala:

Agar puri surah padh lene ke ba’d yaad aaya, ya ruku mein ya ruku se
sar uthane ke bad yaad aaya ki Alhamd padhna bhool gaya hai to
Alhamd padhe phir dobara ruku kare aur ba’d mein sajda e sahw kare.

(Aalamgiri, pg. 65, J 1)

Agar dobara ruku nahin kiya to namaz faasid ho jayegi namaz dobara
padhni zaruri hai.

Alhamd ke ba’d sochta raha ki kya padhu?

Mas’ala:

Alhamd ke ba’d itni der tak sochta raha ki kya padhu jitni der mein 3
bar “Sub’han ALLAH” keh leta to is par sajda e sahw wajib hai warna
nahin.

(Fatawa e Razaviyya, pg. 630, J 3)

Alhamd bhool gaya to pichhli rak’aton mein iski qaza nahin:

Mas’ala:

38 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 39

Farz ki pehli 2 rak’aton mein Alhamd padhna bhool gaya, na ruku mein
na ruku se uthne ke ba’d, qauma mein yaad aaya balki sajda mein ya
sajda karne ke ba’d kisi waqt yaad aaya to ab sajda e sahw kare aur
pichhli rak’aton mein iski qaza nahin.

(Durre Mukhtar; Shaami; Bahaar e Shari’at pg. 53, J 3)

Alhamd ke ba’d aameen aur bismillah ke liye khaamosh rehna:

Mas’ala:

Alhamd padhne ke b’ad agar imam ne saans li aameen kahi aur surah
shuru karne se pehle Bismillah padha to itni der mein ek rukn 3 bar
“Sub’han ALLAH” keh lene ke barabar der ho jayegi, magar is mein harz
nahin balki ye sab baatien sunnat ke mutabiq hain. Isliye is se sajda e
sahw nahin, albatta inke alawa itni der tak khaamosh raha to sajda e
sahw wajib hai, agar sajda e sahw nahin karega to namaz lautani padegi.

(Fatawa E Razaviyya, pg. 658, J 1)

Qayaam mein Alhamd se pehle ya ba’d attahiyyaat padha:

Mas’ala:

Farz ki pehli ya dusri rak’at mein Alhamd padhne ke ba’d attahiyyaat


padhi to sajda e sahw wajib hai aur Alhamd se pehle padhi to nahin.

(Aalamgiri, pg. 66, J 1; Bahaar E Shari’at pg. 53, J 3)

Mas’ala:

Farz namaz ki pichhli rak’aton ke qayaam mein attahiyyaat padh li to


sajda e sahw wajib nahin hai.

(Aalamgiri, pg. 66, J 1)

Mas’ala:

Nafl, sunnat, aur witr ki kisi rak’at mein Alhamd ke ba’d attahiyyaat
padhi to sajda e sahw wajib hai khwah puri ya aadhi ya sirf
“attahiyyaatu lillahi” tak padhe bahr surat sajda e sahw wajib hai. (*)

(*) ye isliye hai ki Alhamd ke ba’d aameen wagairah ada karne ke ba’d
muttasilan zamm e surah wajib hai darmiyan mein ajnabi ka fasl ya ek

39 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 40

rukn ki miqdar khaamoshi se tark e wajib hua. Isliye sajda e sahw wajib
hai.

Aameen kehne mein bhool

Aameen bhool gaya ya buland awaz se kaha:

Mas’ala:

Alhamd ke ba’d imam, muqtadi aur munfarid ko har namaz mein aahista
aameen kehna sunnat hai agar koi shakhs aameen kehna bhool gaya ya
buland awaz se keh diya to is par sajda e sahw nahin namaz ho gayi.

(Shaami, pg. 665, J 1)

Aameen mein kuchh badal diya:

Mas’ala:

Agar kisi ne aameen mein kuchh radd o badal kar diya jaise “aameen”
kehne ke bajaye “ammeen”, “ ammain”, ya “ameen” ya “aman” kaha to
uski namaz faasid ho jayegi,namaz dobara padhe.

(Shaami, pg. 665, J 1)

Dusre ke walad-daaleen ya dua par aameen keh di:

Mas’ala:

Namazi ne imam ke alawa kisi dusre shakhs se “walad-daaleen” sun kar


aameen keh di to uski namaz faasid ho jayegi.

Mas’ala:

Kisi ne namaz se baahar dua maangi, namazi ne is par aameen keh di to


iski namaz faasid ho jayegi namaz lautaye, sajda e sahw se kaam nahin
chalega.

Aameen ke ba’d hath chhod kar phir baandh lena:

Mas’ala:

Jis rak’at mein surah milana tha kisi ne “Alhamd” ke ba’d aameen kahi
aur ruku mein jane ke irade se bhool kar hath chhod diye, fauran yaad
aaya ki surah milana hai to hath baandh le aur surah mila kar ruku

40 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 41

kare sajda e sahw wajib nahin hai kyunki hath baandhna wajib nahin
sunnat hai.

Zamm e Surah mein bhool

Surah milana bhool gaya ya ek do chhoti aayatein padh kar ruku kiya:

Mas’ala:

Farz namaz ki pehli ya dusri rak’at mein aur nafl, sunnat aur witr ki kisi rak’at
mein “Alhamd” padhne ke ba’d surah milana bhool gaya ya sirf ek ya do chhoti
aayat ke barabar padh kar ruku mein gaya phir yaad aaya to khada ho jaye
aur kam az kam 3 chhoti aayaton ki miqdaar ya zyada padh kar phir ruku
kare aur akhir mein sajda e sahw kare namaz ho jayegi, agar qira’at ke ba’d
dobara ruku nahin kiya to namaz dobara padhni padegi sajda e sahw se kaam
na chalega.

(Durre Mukhtar pg. 427; Aalamgiri J 1, pg. 66; Fatawa e Razaviyya J 3, pg.
638)

Surah milana bhool gaya sajde mein ya sajde ke ba’d yaad aaya:

Mas’ala:

4 rak’at wali farz namaz ki pehli 2 rak’aton mein surah milana bhool gaya aur
isi rak’at ke sajde mein ya sajde karne ke ba’d yaad aaya to ba’d wali rak’aton
mein iski qaza kare ya’ni ba’d ki rak’aton mein “Alhamd ” ke ba’d surah milana
wajib hai, agar ek mein bhoola hai to teesri ya chauthi mein padhe , agar
donon mein bhoola hai to teesri aur chauthi donon mein padhe aur magrib ki
pehli donon rak’aton mein bhoola hai to teesri mein padhe aur ek rak’at ki
qira’at jati rahi. In tamam sooraton mein fatiha ke sath surah padhega. Agar
jehri namaz mein hai to fatiha aur surah donon buland awaz se padhega
warna aahista aur akhir mein sajda e sahw kare, agar ba’d wali rak’aton mein
jaan-bujh kar surah na milayi to namaz dobara padhe.

(Shaami pg. 665, J 1; Bahaar e Shari’at J 3)

“Alhamd” ke ba’d jis surah ka irada tha us ke alawa padhi:

Mas’ala:

“Alhamd” ke ba’d agar kisi surah ke padhne ka irada kiya tha magar iske
bajaye dusri surah padh daali to is par sajda e sahw nahin.

41 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 42

(Aalamgiri pg. 65, J 1)

Farz ki pichhli rak’aton mein surah milayi ya “attahiyyaat” padh di:

Mas’ala:

Agar kisi ne farz namaz ki pichhli rak’aton mein “Alhamd” ke ba’d surah milayi
khwah bhool kar ya qasdan(*) donon sooraton mein is par sajda e sahw wajib
nahin magar imam ko aisa karna na chahiye.

(Aalamgiri J 1, pg. 65; Bahaar e Shari’at J 4, pg. 50)

(*) A’la Hazrat Imam Ahmad Raza Alaihir Rahma farmate hain balki ba’az
aimma ne iske istehbab ki tasreeh farmayi hai, faqeer ke nazdeek zaahiran
istehbab tanha padhne wale ke haq mein hai, imam ke liye zarur makruh balki
muqtadiyon par giraan guzre to haraam hai.

(Fatawa e Razaviyya J 3, pg. 737)

Mas’ala:

Agar farz ki pichhli rak’aton mein kisi ne qayaam ki haalat mein “Attahiyyaat”
padh di to is par sajda e sahw wajib nahin.

(Aalamgiri J 1, pg. 67; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 102)

Khilaaf e tarteeb suratein padhi:

Mas’ala:

Qasdan Quran Sharif ulta padhna namaz ke andar ho ya namaz ke baahar


dono makruh e tahreemi aur gunaah hai, is ke liye sakht waeedein aayi hain.
Hazrat e Sayyiduna Abdullah bin Mas’ood Radi Allahu Ta’ala Anhu farmate
hain jo Quran tarteeb ke ulta padhe to kya wo khauf nahin karta ki ALLAH
Ta’ala uska dil hi ulat de. (al ayaaz billahi ta’ala)

Albatta bacchon ki ta’leemki garz se khilaaf e tarteeb jo padhaya jata hai iski
fuqaha e kiraam ne ijazat di hai.

Mas’ala:

Kisi ne pehli rak’at mein “iza ja’a” aur dusri mein “qul ya ayyuhal kaafirun”
padha, agar bhool kar aisa hua to na is par gunaah hai na sajda e sahw aur
qasdan aisa kiya to is par sirf gunaah hoga sajda e sahw nahin hoga.

42 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 43

(Shaami J 1, pg. 426; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 49)

Iski wajah ye hai ki Quran shareef tarteeb ke sath padhna tilawat ke wajibaat
se hai namaz ke wajibaat mein se nahin hai, isliye tarteeb ke khilaaf padhne se
sajda e sahw wajib nahin.

Khilaaf e tarteeb surah shuru kar ke phir tarteeb se padhi:

Mas’ala:

Kisi ne bhool kar dusri rak’at mein khilaaf e tarteeb surah shuru kar di maslan
pehli rak’at mein “iza ja’a” padhi aur dusri mein “Qul ya ayyuhal kaafirun”
shuru kar di phir yaad aaya to isko chhod kar tarteeb ke muwafiq “tabbat
yada” padhi to sajda e sahw wajib nahin namaz ho gayi magar aisa karna
makruh hai balki jo surah az khud be-ikhtiyaar zabaan par jaari ho jaye isi ko
padhe, isko chhodna nahin chahiye.

(Shaami J 1, pg. 51; Bahaar e Shari’at J 3, pg.102)

Dusri rak’at mein pehli se taweel qira’at ki:

Mas’ala:

Donon rak’aton mein Quran ki tilawat barabar hona chahiye ya phir dusri
rak’at mein pehli ki ba-nisbat kuchh kam ho, dusri rak’at mein itni lambi
qira’at karni ke donon mein numaya farq mehsoos hone lage to aisa karna
makruh hai (*) magar is se sajda e sahw wajib nahin.

(Durre Mukhtar; Shaami; Bahaar E Shari’at pg. 102, J 3)

(*) agar donon suraton ki aayatein barabar hain to 3 aayat ki zyadati se


karahat hogi aur agar aayatein chhoti badi hon to aayaton ki ta’dad ka aitebar
na hoga huruf wa kalmaat ka aitebar hoga, agar kalmaat o huruf mein bahut
zyada kami-beshi ka farq ho to karahat hai. Agarche donon suraton ki aayatein
ginti mein barabar hain, maslan pehli mein “Alam Nashrah” aur dusri mein
“Lam yakun” padhi to karahat hai agarche donon mein 8 – 8 aayatein hain
magar kalmaat o huruf mein bahut zyada tafawut hai.

(Durre Mukhtar; Raddul Muhtar)

Ek chhoti surah darmiyan se chhod kar padhi:

Mas’ala:

43 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 44

Pehli rak’at mein koi surah padhi aur dusri rak’at mein ek chhoti surah
darmiyan se chhod kar padhi to ye makruh hai. Agar wo darmiyaan wali surah
badi hai ke agar is ko padhta hai to dusri rak’at ki qira’at pehli se taweel ho
jayegi to is soorat mein harj nahin. “Wat’teen” ke ba’d “ Inna anzalna” padhne
mein harj nahin aur “ iza ja’a” ke ba’d “Qul huwallah” darmiyaan se “tabbat
yada” chhod kar na padhna chahiye.

(Durre Mukhtar pg. 465, J 1; Bahaar E Shari’at pg. 102, J 3)

Mas’ala:

Farz ki pehli rak’at mein ek surah ki chand aayatein ek jagah se padhi aur
dusri rak’at mein isi surah ki chand aayatein padhi to harj nahin.

(Shaami pg. 465, J 1; Bahaar e Shari’at pg. 102; J 1)

Mas’ala:

Agar kisi ne ek hi rak’at mein kisi surah ki chand aayatein padhi phir kuchh
chhod kar dusri jagah se isi surah ki aayatein padhi to aisa karna makruh hai
aur agar bhool kar aisa hua to yaad aate hi lautaye aur chhuti huyi aayatein
padhe, magar is par sajda e sahw wajib nahin.

(Shaami; Bahaar E Shari’at pg. 101, J 1)

Bhool kar dusri rak’at mein upar ki surah shuru kar di:

Mas’ala:

Kisi ne bhool kar dusri rak’at mein upar ki surah shuru kar di ya ek chhoti
surah ka faasla ho gaya phir yaad aaya to jo surah shuru kar chuka hai usi ko
pura kare agarche abhi ek hi harf padha ho maslan pehli mein “Qul ya ayyuhal
kaafirun” aur dusri mein “Alam tara kaifa” ya “Tabbat yada” shuru kar di, ab
yaad aane par isi ko khatm kare, chhod kar “Iza ja’a” padhne ki ijazat nahin.
Aisa ho jaane se sajda e sahw nahin.

(Bahaar e Shari’at pg. 102. J 3)

Ek hi surah donon rak’aton mein padhi:

Mas’ala:

Farz ki donon rak’aton mein ek hi surah ki takraar makruh e tanzeehi hai jab
ki koi majboori na ho. Majboori ki soorat mein bilkul karahat nahin, maslan

44 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 45

pehli rak’at mein “Qul auzu birabbin-naas” padhi jo Quran ki sab se aakhri
surah hai, lihaza dusri rak’at mein bhi isi ko padhe ya dusri rak’at mein bila
irada wahi surah zabaan par aa gayi jo pehli rak’at mein padh chuka hai, ya
iske alawa koi dusri surah yaad nahin aa rahi hai to in sab sooraton mein wahi
pehli surah padhe, namaz bila-karahat ho jayegi sajda e sahw nahin.

(Shaami, pg. 465, J 1; Bahaar E Shari’at pg.101, J 1)

Mas’ala:

Nawafil ki donon rak’aton mein ek hi surah mukarrar (bar - bar) padhna, ya ek


hi rak’at mein ek hi surah bar - bar padhna bila-karahat jaiz hai.

(Bahaar e Shari’at pg. 101, J 1)

Ek hi aayat bar-bar dohraya

Mas’ala:

Imam ne kisi ek aayat ko bar-bar dohraya ki ek rukn 3 bar “Sub’han ALLAH”


kehne ki miqdaar der ho gayi to bhi sajda e sahw nahin, isi dauran muqtadi ne
bar-bar luqma diya yahan tak ki ek rukn ki miqdaar taakhir ho gayi to bhi
sajda e sahw wajib nahin aur na hi luqma dene wale ki namaz faasid hui.

Farz ki ek hi rak’at mein 2 suratein padhi:

Mas’ala:

Farz ki ek hi rak’at mein 2 suratein ek hi sath mila kar padh di agar munfarid
(tanha namaz padh raha ho) to harj nahin, ba-sharte ki donon suraton mein
faasla na ho, agar darmiyan se ek ya chand suratein chhod kar padhi to
makruh hai aur imam ko bahre soorat aisa na karna chahiye magar sajda e
sahw wajib nahin.

(Bahaar E Shari’at pg. 54, J 4)

Surah padhne ke dauran sochne laga ki kya padhu?

Mas’ala:

Qira’at karne ke dauran ruk kar sochne laga ki kya padhu? Isi soch mein ek
rukn ya’ni 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar taakhir ho gayi to sajda e
sahw wajib hai.

45 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 46

(Shaami; Bahaar e Shari’at pg.54, J 4)

Mas’ala:

Qira’at ke ba’d ruku mein jaane se pehle ek rukn ki miqdaar khada sochta
raha phir ruku mein gaya to is par sajda e sahw wajib hai.

(Aalamgiri pg.65, J 1)

Surah padhte huye bhool gaya phir shuru se padhi:

Mas’ala:

Kisi ne surah shuru ki aur aadha hissa ya kam ya zyada padh kar bhool gaya
phir dobara shuru se padh kar khatm kiya to namaz ho gayi sajda e sahw
wajib nahin hai.

(Fatawa E Sirajiya bar hashiya Qazi Khan pg. 72)

Surah padhte huye bhool gaya aur dusri surah mein chala gaya

Mas’ala:

Imam ne surah “wal-asr” ko “illal lazeena aamanu wa ‘amilus saalihaat” tak


padha phir bhool kar surah “wat’teen” mein pahunch gaya aur padh diya
“falahum ajrun ghairu mam’noon” aur aakhir tak padh daala to namaz ho gayi
sajda e sahw ki zarurat nahin.

(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami pg. 592, J 1)

Mas’ala:

Surah shuru ki abhi 3 chhoti aayaton ki miqdaar nahin padh paya tha ki
bhool gaya phir ise dohraya magar yaad na aaya aur ise chhod kar dusri surah
ya aayatein padhien to namaz ho gayi sajda e sahw ki zarurat nahin, aur agar
sochne mein 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar der ho gayi phir iske
ba’d padhna shuru kiya to is soorat mein sajda e sahw wajib hai.

(Fatawa e Razaviyya pg. 125, J 3)

Mas’ala:

Agar 3 aayat ki miqdaar padh chuka hai iske ba’d bhoola to chahiye ki ruku
kare aur baqiya namaz puri kare sajda e sahw ki zarurat nahin.

46 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 47

3 aayaton ke ba’d qira’at mein galti huyi:

Mas’ala:

Imam ne surah fatiha ke ba’d 3 chhoti aayatein ya 1 badi aayat padh li, iske
ba’d kahin galat padh diya agar ye galti aisi hai jis se namaz faasid ho jayegi to
muqtadiyon ko luqma dena zaruri hai warna sab ki namaz faasid ho jayegi, aur
agar is galti se namaz faasid nahin hoti to luqma dena jaiz hai magar sajda e
sahw wajib nahin hai.

(Kabeeri pg. 417)

Qira’at karne mein koi kalma chhut gaya:

Mas’ala:

Namaz mein qira’at karte huye darmiyan se koi kalma chhut gaya agar iski
wajah se ma’ani mein aisi tabdili nahin aayi jis se namaz faasid ho jaye to
namaz ho jayegi, sajda e sahw ki zarurat nahin. Jaise “jaza’u sayya’atin
sayya’atum mathluha” mein pehle wale “ sayya’atin” ke lafz ko chhod kar
“jaza’u sayya’atum mathluha” padh diya aur agar tabdili aisi hai jis se ma’ani
faasid ho jata hai to is soorat mein namaz lautani padegi sajda e sahw se kaam
nahin chalega.

(Kabeeri pg. 452)

Qira’at karte huye kisi lafz ka tarjuma padh diya:

Mas’ala:

Namaz mein qira’at kar raha tha ki galti se kisi lafz ka tarjuma munh se nikal
gaya to namaz faasid ho gayi dobara padhe, sajda e sahw se kaam na chalega.

(Shaami J 1, pg. 340)

3 aayaton ke ba’d bhoola aur fauran ruku mein chala gaya:

Mas’ala:

3 chhoti aayaton ki miqdaar ya ek lambi aayat padhne ke ba’d bhool gaya aur
fauran ruku mein chala gaya to namaz bila-karahat ho gayi sajda e sahw wajib
nahin, agar ek rukn 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ke barbar sochne mein der
lagayi iske ba’d ruku mein gaya to sajda e sahw wajib hai.

47 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 48

(Shaami J 1, pg. 427)

Farz ki aakhri rak’at mein kuchh nahin padha:

Mas’ala:

Farz ki aakhari rak’aton mein kuchh nahin padha bilkul khaamosh raha ya
tasbeeh “Sub’han ALLAH” padha to bhi namaz ho gayi magar aisa na karna
chahiye phir bhi is se sajda e sahw wajib nahin hua.

(Aalamgiri J 1, pg. 65)

Munh band kar ke qira’at ki

Tanbeeh:

Ba’az log namaz mein is tarah Quran padhte hain ki munh bilkul band rehta
hai ya dil mein padhte hain is tarah padhne se qira’at jo namaz ka ek rukn
(farz) hai wo ada hi nahin hota namaz faasid ho jati hai. Iska khayal rakhna
zaruri hai, bahut se log is mas’ale se ghaafil hain, yaad rahe jahan kahin
kuchh padhne ka hukm hai usko is tarah padhna chahiye ki agar shor o gul
na ho to khud apni awaz sun sake.

Kisi ki khaatir qira’at lambi ki

Mas’ala:

Imam ko apni jaan pehchan wale ke liye qira’at ko lamba karna ya namaz mein
tul dena makruh e tahreemi hai magar sajda e sahw wajib nahin aur agar kisi
khaas shakhs ka lihaaz kiye baghair aam logon ko namaz mein shaamil hone
ke liye aisa kiya to “ianat alas salaah” ki wajah se harj nahin.

(Durre Mukhtar J 1 pg.462)

Qira’at mein galti par sajda e sahw kiya aur kuchh log ek rak’at ke ba’d
shaamil huye

Mas’ala:

Imam ne qira’at ki, muqtadi ne luqma diya imam ne luqma qubool kar ke isko
sahi kar liya phir aakhir mein isi galti par sajda e sahw kiya jis ki zarurat
nahin thi to is soorat mein imam aur in muqtadiyon ki namaz ho gayi jo pehli
rak’at se hi imam ke sath shareek the. Magar wo log jo ek rak’at ke ba’d ya
sajda e sahw ka salam pherne ke ba’d is namaz mein shaamil huye unki

48 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 49

namaz faasid ho gayi, dobara padhein jab ki unko ma’lum ho ki imam par
sajda e sahw nahi tha aur kar liya.

(Tahtawi alal maraqi pg.253)

Tajweed ki ria’yat ke baghair qira’at ki

Mas’ala:

Namaz mein agar kisi ne tajweed ki ria’yat ke baghair Quran padha to is par
sajda e sahw wajib nahin haan agar aisi galti hui jis se namaz faasid ho jati hai
to namaz ka iadah wajib hoga namaz dobara padhni hogi.

(Aalamgiri J 1, pg. 66)

Namaz mein jehar (awaz se) aur sirr (aahista) se padhne par sajda e sahw

Jehar aur sirr ka ma’ani:

Jehar ya’ni awaz se padhna, Shari’at mein jehar se padhne ka matlab ye hai ki
jo log pehli saf mein hain wo awaz ko sun sakein, ye jehar ka adna (kam se
kam) darja hai. A’la ke liye koi hadd muqarrar nahin albatta zarurat se zyada
is qadar buland awaz se padhna ki apne ya dusre ke liye ba’is e takleef ho
makruh hai. Is se bachna zaruri hai aur itna aahista padhna ki qareeb ke do
ek admi sun sake jehar nahin kehlayega.

(Shaami; Durre Mukhtar; Bahaar e Shari’at wagaira ammah kutub)

Sirr:

Ya’ni aahista padhna. Sirr ka adna darja ye hai ki khud sune agar sirf hont
hilaye ya is qadar aahista padhe ki khud bhi na sun sake to is ko sirr na
kahenge. Is tarah namaz mein Quran padhne se namaz hi nahin hogi, bahar-
haal aahista padhne mein itna zaruri hai ki agar shor o gul nahin hai to apni
awaz ko khud sune.

Kin namazon ki kin rak’aton mein jehar aur sirr wajib hai

Maghrib aur Isha ki pehli dono rak’aton mein , Fajr, Juma’, Eidain, Taraweeh
aur Ramzan ul Mubarak mein Witr ba-jama’at ki har rak’at mein imam par
wajib hai ki “Alhamdulillah” aur surah ko jehar ke sath (buland awaz se) padhe
aur jin namazon mein imam par jehar wajib hai inko “jehri namaz” kehte hain.

49 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 50

Namaz e Maghrib ki teesri aur Isha ki teesri aur chauthi rak’at mein “Alhamd”
aahista padhi jayegi, Zuhar aur Asr ki sab rak’aton mein imam aur munfarid
(tanha padhne wale) par aahista qira’at karni wajib hai. In namazon ko jinki
har rak’at mein sirr (aahista) padhna wajib hai, inko “sirri namaz” kehte hain.

Mas’ala:

Din ki nafli namazon mein qira’at aahista karni wajib hai, raat ki nafli
namazon mein ikhtiyaar hai aahista padhe ya buland awaz se padhe donon
jaiz hai.

Mas’ala:

Jehri namazon mein munfarid (tanha namaz padhne wale) ko ikhtiyaar hai
jehar kare ya aahista padhe jaiz hai, magar jehri namaz mein buland awaz se
padhna afzal (behtar) hai.

(Aammah Kutub)

Imam ne jehri mein aahista aur sirri mein awaz se padha

Mas’ala:

Jehri namaz mein imam ne bhool kar ek aayat ki miqdaar jis se qira’at ka farz
ada ho jaye aahista padha, sirri namaz mein buland awaz se padh diya to
sajda e sahw wajib hai, aur agar ek aadh kalma aahista ya zor se padh diya to
sajda e sahw wajib nahin.

(Aalamgiri pg. 65, J 1; Durre Mukhtar; Shaami pg. 694, J; Fatawa e Razaviyya
pg. 91, J)

Jaise “Alham” ya “Alhamd” sirri mein awaz se padh diya aur jehri mein aahista
to sajda e sahw nahin, aur “Alhamdulillah” padh diya to sajda e sahw wajib
hai, yun hi “Qul” padha to sajda e sahw nahin aur “Qul huwallahu” padha to
sajda e sahw wajib hai.

Munfarid ne sirri mein jehar kiya

Mas’ala:

Munfarid ya’ni jo akela namaz padh raha hai isko ikhtiyaar hai ki jehri namaz
mein aahista qira’at kare ya buland awaz se padhe, magar sirri namaz mein
buland awaz (jehar) se padhne ki ijazat nahin. Is liye agar munfarid ne sirri

50 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 51

namaz mein buland awaz se bhool kar qira’at ki to is par sajda e sahw wajib
hai.

(Shaami pg.394, J 1; Bahaar E Shari’at)

Jehri namaz ki qaza din mein aur sirri ki raat mein jama’at se padha

Mas’ala:

Raat wali namaz jis mein buland awaz se qira’at wajib hai agar kisi uzr e sahih
se chhut gayi aur log raat mein isko padh na sake ab din mein isi namaz ki
qaza jama’at ke sath padhna chahein to imam par wajib hai ki ba-awaz e
buland qira’at kare. Yun hi din ki sirri namaz ki qaza agar raat mein padhien
to aahista qira’at karni wajib hai, agar bhool kar iske khilaaf kiya to sajda e
sahw wajib hai, agar qasdan kiya to namaz lautani wajib aur zaruri hai.

(Aalamgiri baab wajibaat al salah)

Ghair namazi ke kehne se imam ne aahista padha ya uska luqma liya

Mas’ala:

Zuhar ya Asr ki namaz mein bhool kar imam ne buland awaz se qira’at shuru
ki aur kisi dusre shakhs ne jo iske sath namaz mein shareek nahin hai kaha ki
aahista padho, iske kehne se kuchh tauquf karne ke ba’d aahista padhna
shuru kiya to namaz ho gayi aur agar iske kehne par fauran bila-tauquf
aahista padhna shuru kiya to namaz lautani padhegi.

(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami pg. 581, J 1)

Tanbeeh:

Khayal rahe ki agar ek chhoti aayat ki miqdaar jis se qira’at ka farz ada ho jata
hai buland awaz se padh liya to is soorat mein sajda e sahw wajib hoga, warna
nahin.

Mas’ala:

Agar imam qira’at karte huye bhool gaya aur kisi dusre shakhs ne jo iske sath
namaz mein shareek nahin hai luqma diya aur imam ne iska luqma le liya aur
fauran bila tauquf iske batane se padhna shuru kiya to namaz faasid ho gayi,
lautani padegi, aur kuchh tauquf ke ba’d padha to namaz ho gayi, sajda e
sahw ki zarurat nahin.

51 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 52

(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami pg. 581, J 1)

Tanbeeh:

Khayal rahe, batane ya luqma dene ke ba’d itna tauquf kiya ki jitni der mein ek
rukn ya’ni 3 martaba “Sub’han ALLAH” kaha ja sakta hai, to is soorat mein bhi
is par sajda e sahw wajib hoga agar sajda e sahw nahin kiya to namaz lautani
padegi.

Witr aur taraweeh mein aahista qira’at ki

Mas’ala:

Ramzan ul Mubarak mein ba-jama’at witr mein ya taraweeh ki namaz mein


imam ne aahista qira’at ki to sajda e sahw wajib hai.

(Aalamgiri pg.66, J 1)

Mas’ala:

Ramzan ke alawa ya ramzan mein tanha witr padhe to qira’at aahista kare,
agar buland awaz se qira’at ki to sajda e sahw wajib hoga.

Juma’ aur Eidain mein jehar wajib hai

Mas’ala:

Juma’ aur Eidain ki namazon mein imam par jehar (buland awaz se qira’at)
wajib hai, agar bhool kar tark kiya to sajda e sahw wajib hai.

(Aalamgiri pg. 67, J 1)

Mas’ala:

Agar namaz e Juma’ aur Eidain mein hujum zyada hai aur imam ne sajda e
sahw nahin kiya to bhi namaz ho gayi.

Sajda e tilawat mein sahw

Namaz mein sajda e tilawat fauran wajib hai

Mas’ala:

Jis ne namaz mein aayat e sajda tilawat ki, is par fauran sajda e tilawat wajib
hai. Agar sajda karne mein taakhir karega to gunahgaar hoga. Taakhir se

52 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 53

muraad ye hai ki aayat e sajda ke ba’d 3 chhoti aayaton ki miqdaar padh le,
agar is se kam padha to is taakhir ka aitebar nahin. Khayal rahe jo aayat e
sajda namaz mein padhi gayi hai iska sajda namaz ya hurmat e namaz mein hi
ada hoga, bairun e namaz iski adayegi nahin ho sakti, agar namaz mein
qasdan sajda nahin kiya to gunahgaar hoga.

(Durre Mukhtar pg. 721 J 1)

Sajda e tilawat karna bhool gaya

Mas’ala:

Agar kisi ne namaz mein aayat e sajda padhi aur sajda karna bhool gaya to jab
tak namaz ya hurmat e namaz mein hai to yaad aate hi sajda e tilawat ada
kare aur ba’d mein sajda e sahw kare.

(Durre Mukhtar; Shaami pg.721, J 1)

Khayal rahe ki hurmat e namaz mein hone ka matlab Fuqaha ke nazdeek ye


hai ki namaz ka salam pher chuka ho magar salam ke ba’d abhi tak koi aisa
kaam na kiya ho jo namaz ke munafi hai. Maslan baat chit karna, khana
peena wagaira.

Mas’ala:

Aayat e sajda tilawat ki aur abhi is ke ba’d 3 chhoti aayaton ke barabar nahin
padha tha ki yaad aaya aur fauran sajda kar liya to is soorat mein is par sajda
e sahw wajib nahin hai.

(Durre Mukhtar; Shaami pg. 721, J 1)

Sajda e tilawat ruku mein

Mas’ala:

Agar kisi ne sajde ki aayat namaz mein padhi aur fauran bila taakhir ruku kiya
aur is ruku mein sajda e tilawat ki niyat kar li to is se is ka sajda e tilawat ada
ho jayega, lekin agar imam hai to ye soorat munasib nahin, kyunki is se sirf
imam ka sajda ada hoga, muqtadiyon ka sajda e tilawat reh jayega, is liye ki
imam ki niyat ke sath muqtadiyon ko bhi niyat karni zaruri hai aur yahan
imam ki niyat ka haal muqtadiyon ko ma’lum na ho sakega magar aisa karne
se is par sajda e sahw nahin.

(Shaami pg.723, J 1)
53 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 54

Mas’ala:

Ruku mein jate waqt sajda e tilawat ki niyat nahin ki balki ruku mein jane ke
ba’d ya ruku se uthne ke ba’d niyat ki to ye niyat kaafi nahin. Is tarah ruku se
sajda e tilawat ada na hoga, dobara karna hoga.

(Aalamgiri; Bahaar E Shari’at pg 70, J 4)

Mas’ala:

Aayat e sajda e tilawat karne ke ba’d imam ruku mein gaya aur niyat e sajda
kar li magar muqtadiyon ne na ki, to unka sajda ada na hua. Lihaza jab imam
salam phere to muqtadi sajda e tilawat kar ke qa’dah kare aur salam phere, is
qa’dah mein bhi tasha’hud padhna wajib hai agar sajda e tilawat ke ba’d
qa’dah na kiya to namaz faasid ho jayegi kyunki qa’dah e akhira jata raha, ye
hukm jehri namaz ka hai sirri namaz mein chunki muqtadi ko ilm nahin lihaza
ma’zoor hai.

(Shaami; Bahaar e Shari’at pg. 70 J 4)

Sajda e tilawat bhool gaya to jis rukn mein yaad aaye kar le

Mas’ala:

Namaz mein aayat e sajda padhi aur sajda e tilawat karna bhool gaya, phir
ruku ya sajda ya qa’dah mein yaad aaya to usi waqt sajda kare, aur jis haalat
mein tha usi haalat ki taraf laut aaye, maslan ruku mein tha to ruku mein
waapas aaye, agar is rukn ko pura ada kar liya tha to iska iadah nahin namaz
ho gayi, magar qa’dah e akhirah ka lautana farz hai, kyunki sajda e tilawat ki
adayegi se qa’dah e akhirah baatil ho gaya is liye dobara qa’dah e akhirah kare,
bahar-haal is soorat mein is par sajda e sahw wajib hai.

(Durre Mukhtar)

Aayat e sajda ke ba’d fauran namaz ka sajda kiya

Mas’ala:

Aayat e sajda namaz mein padhne ke ba’d fauran namaz ka sajda kar liya ya’ni
aayat e sajda ki tilawat ke ba’d fauran bila-tauquf ya 3 chhoti aayaton se kam
miqdaar par padh kar ruku kiya phir sajda kiya to agarche sajda e tilawat ki
niyat na ho phir bhi ada ho jayega aur is soorat mein is par sajda e sahw bhi
wajib na hoga. (*)

54 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 55

(Aalamgiri; Durre Mukhtar)

(*) Ala Hazrat Imam Ahmad Raza Barelwi Alaihir Rahmatu war-ridwan Fatawa
E Razaviyya J 3, pg. 654 par ek sawal ka jawab dete huye farmate hain : soorat
e mustafsira mein tilawat ke liye mustaqil sajda na kiya balki aayat e sajda
padhte hi ma’an namaz ka ruku baja laya aur is mein niyat e sajda na kiya
phir qauma ke ba’d fauran namaz ke sajda e ula mein jaye aur is mein niyat e
sajda kare, ab na koi qabahat ya karahat ya tafwiyat fazilat laazim hui, na
muqtadiyon par kuchh diqqat hui agarche unhone niyat e sajda e tilawat na ki
ho, ke sajda e namaz jab fil faur kiya jaye to is se sajda e tilawat khud ba-khud
ada ho jata hai agarche niyat na ki ho. Iske chand satr ba’d farmate hain : ye
soorat isi haalat mein ban padegi ki aayat e sajda ke ba’d namaz ke ruku aur
sujood mein der na ki ho fauran baja laya, warna agar aayat e sajda padh kar
3 – 4 aayatein aur padh li to ab sajda e tilawat hargiz be khaas mustaqil sajda
ke ada hi na hoga aur taakhir ka gunaah hua.

Is se ma’lum hua ki aayat e sajda ke ba’d fauran ruku karke namaz ka sajda
karne se dono qism ke sajde bila-karahat ada ho jayenge, na tark e wajib hoga
na hi taakhir e wajib laazim aayegi, na gunaah hoga na hi sajda e sahw wajib
hoga.

Aayat e sajda ek ya sab rak’aton mein bar bar padhi

Mas’ala:

Kisi namaz ki ek hi rak’at mein ek hi aayat e sajda ko bar bar padh kar ya ek
bar padh kar sajda e tilawat kiya, phir sajde se sar utha kar isi rak’at mein isi
aayat ko phir dobara aur sahbara padha to in sab sooraton mein wahi ek sajda
uske liye kaafi hai. Yunhi namaz ki sab rak’aton mein ya do ya teen mein wahi
ek aayat e sajda padhi to sab ke liye ek hi sajda kaafi hai aur in tamam
sooraton mein is par sajda e sahw nahin, basharte ki pehli rak’at mein is ne
fauran sajda e tilawat bila taakhir kar liya ho, aur agar is ne pehli rak’at mein
fauran sajda nahin kiya, taakhir se kiya ya aakhir rak’at mein kiya, to in
sooraton mein is par sajda e sahw wajib hai.

(Aalamgiri pg.77, J 1)

Imam ne sajda e tilawat kiya aur muqtadiyon ne ruku kiya

Mas’ala:

55 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 56

Imam ne aayat e sajda tilawat ki aur fauran sajde mein chala gaya aur
muqtadiyon ko ruku ka gumaan hua aur ruku mein chale gaye, to hukm ye
hai ruku tod kar sajda karein. Jis ne ruku aur ek sajda kiya uska sajda ada ho
gaya aur namaz bhi ho gayi aur jis ne ruku karke 2 sajde kiye to uski namaz hi
nahin hogi, dobara padhe.

(Durre Mukhtar pg. 52, J 1)

Sajda e tilawat karna yaad tha aur salam pher diya

Mas’ala:

Namaz mein aayat e sajda tilawat ki aur sajda karna bhool gaya phir namaz ke
andar hi yaad aaya bawajud iske qasdan salam pher diya to sajda e tilawat
saaqit ho gaya magar wajib ko qasdan chhod dene se namaz makruh e
tahreemi hui iska lautana zaruri hai.

Sajda e tilawat ke ba’d 3 aayat ki miqdaar taakhir kar di

Mas’ala:

Kisi ne namaz mein aayat e sajda padhi aur sajda e tilawat karne mein 3
chhoti aayaton ki miqdaar ya zyada taakhir kar di to sajda e sahw kare.

(Ghuniya ba-hawala Bahaar e Shari’at J 3, pg. 77)

Surah Haj ke aakhri sajde ka hukm

Hazrat e Imam Shafa’i Alaihir Rahma war-ridwan ke nazdeek surah Haj ka


aakhri sajda wajib hai agar koi Hanfi muqtadi Shafa’i mazhab imam ke peeche
namaz padh raha ho to Hanfi muqtadi ko bhi chahiye ki imam ki iqteda mein
surah Haj ka aakhri sajda kare.

(Shaami J 1, pg. 78)

Ruku o Sujood mein sahw

Ruku ki haqeeqat:

Ruku kam az kam itne jhukne ko kehte hain ki haath badhaye to ghutne tak
pahunch jaye aur pura ruku ye hai ki peeth bilkul seedhi bichha de.

Ruku ka tareeqa:

56 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 57

Surah milane ke ba’d “ALLAHU Akbar” kehte huye fauran ruku mein jaye,
ruku karne ka sunnat tareeqa ye hai ki donon ghutnon ko donon hathon se is
tarah pakdein ki hatheliyaan ghutnon par jami rahein aur ungliyaan ek dusre
se alag alag khoob phaili hui hon, sab ungliyon ko ek jagah mila kar rakhna ya
4 ungliyon ko ek taraf aur anguthe ko dusri taraf rakhna na chahiye ki ye
sunnat ke khilaaf hai, aur aurat ruku mein thoda jhuke, ya’ni sirf is qadar ki
hath ghutnon tak pahunch jayein, mardon ki tarah peeth khoob seedhi karke
bichhi na rakhe aur ghutnon par zor na de balki mahaz haath rakh de aur
haathon ki ungliyaan mili hui rakhe aur paun jhuke huye rakhe. Mardon ki
tarah khoob seedhe na kar de.

Aur ruku mein jate waqt bhi ye khayal rakhein ki “ALLAHU Akbar” ki “alif” jab
kehna shuru karein to usi waqt se sar ko jhukana shuru kar dein. “Akbar” ki
“ra” jab khatm ho to purey taur par ruku mein jhuk jayein , ba’az log pehle
ruku mein chale jate hain, phir “ALLAHU Akbar ” kehte hain yunhi ba’az log
“ALLAHU Akbar” khade khade keh lene ke ba’d ruku mein jate hain ye donon
tareeqe galat hain, is aadat ko badalni chahiye.

Mas’ala:

Jis ki peeth mein itna kubdapan hai ki hadd e ruku ko pahunch gaya hai aise
shakhs ke liye hukm ye hai ki ruku ke liye sar se ishara kare iske liye itna hi
kaafi hai.

(Aalamgiri)

Mas’ala:

Agar koi shakhs baith kar namaz padhe to iske liye pura ruku karne ka
mo’tadil tareeqa ye hai ki peshaani jhuk kar ghutnon ke muqabil aa jaye is
tarah ruku karne ke liye surin uthane ki hajat nahin aur sar ko itna jhukana
ki zameen ke qareeb ho jaye aur peeche se surin uth jaye abas aur beja hai jo
na-pasandidah aur makruh e tanzihi hai.

(Fatawa e Razaviyya J 3, pg. 51)

Mas’ala:

Namaz ki har rak’at mein ruku karna farz hai aur ek se zyada ruku na karna
wajib hai.

Ruku ki takbir bhool gaya ya lafz badal diya

57 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 58

Mas’ala:

Farz, witr, sunnat aur nafl ki har rak’at mein ruku mein jate waqt “ALLAHU
Akbar” kehna aur ruku se sar uthate waqt “samiALLAHU liman hameedah”
kehna sunnat hai.

Mas’ala:

Agar koi shakhs ruku mein jate huye “ALLAHU Akbar” kehna bhool gaya ya
bajaye “ALLAHU Akbar” ke “Sub’han ALLAH” ya “samiALLAHU liman
hameedah” wagairah keh diya yunhi ruku se uthte waqt “samiALLAHU liman
hameedah” kehna bhool gaya ya is ke bajaye “ALLAHU Akbar” ya “Sub’han
ALLAH” keh diya to sajda e sahw wajib nahin, namaz ho gayi.

(Aammah Kutub)

Mas’ala:

Eidain ki namaz mein dusri rak’at ke ruku mein jate waqt jo takbir kahi jati
hai wo wajib hai lihaza agar ye takbir bhool gaya to sajda e sahw wajib hai
magar zyada hujum ki wajah se sajda e sahw nahin kiya to bhi namaz ho gayi
kyunki bahut hujum ke waqt sajda e sahw karne ki wajah se namaz mein afra
tafri ho jaane ka andesha hai, is liye sajda e sahw saaqit ho jata hai.

Ruku se pehle khada kuchh sochne laga

Mas’ala:

Surah Fatiha aur surah padh lene ke ba’d fauran ruku wajib hai, agar koi
shakhs surah padh lene ke ba’d itni der khaamosh sochta raha jitni der mein 3
bar “Sub’han ALLAH” keh leta to is par sajda e sahw wajib hai.

(Shaami J 1, pg. 710)

Ruku mein ek tasbeeh se kam thehra

Mas’ala:

Ruku mein kam se kam itni der theharna ki har azu apni jagah qaraar pa jaye
aur ek bar “Sub’han ALLAH” kaha ja sake wajib hai, agar kisi ne bhool kar is
ko tark kar diya ya’ni “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar ruku mein na thehra
to is par sajda e sahw wajib hai aur qasdan aisa kiya to namaz dobara padhni
zaruri hai.

58 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 59

(Tahtawi pg. 166)

Ruku ki tasbeeh mein bhool

Mas’ala:

Ruku mein kam se kam 3 bar “Sub’hana Rabbiyal Azeem” kehna sunnat hai,
aur 3 se zyada afzal hai magar khatm taaq adad par hona chahiye, 5, 7 ya 9
par.

(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 83)

Mas’ala:

Ruku ki tasbeehaat agar bhool gaya ya sirf ek bar ya do bar keh kar uth gaya
to is par sajda e sahw nahin namaz ho gayi, magar bila uzr jaan-bujh kar aisa
karna achha nahin.

Ek ruku ke bajaye do ruku kar liye

Mas’ala:

Namaz ki har rak’at mein ek se zyada ruku na karna wajib hai lihaza agar kisi
ne bhool kar ek se zyada ruku kar liya to is par sajda e sahw wajib hai aur
agar qasdan aisa kiya to namaz lautani wajib hai sajda e sahw se kaam na
chalega.

(Bahaar E Shari’at J 3 pg. 73)

Ruku bhool gaya aur sajde mein chala gaya

Mas’ala:

Surah padhne ke ba’d ruku bhool gaya aur sajde mein chala gaya aur dusri
rak’at shuru karne se pehle yaad aaya to usi waqt fauran khada hokar ruku
mein jaye iske ba’d phir dobara sajda kare aur akhir mein sajda e sahw kare
namaz ho gayi, aur agar dusri rak’at se pehle yaad nahin aaya to dusri rak’at
ka ruku pehli rak’at ka ruku maan liya jayega aur ye dusri rak’at pehli rak’at
ho jayegi, is soorat mein bhi sajda e sahw wajib hai.

(Aalamgiri J 1, pg. 67)

Aur pehli rak’at jo bila ruku padhi hai wo baatil ho gayi kyunki farz chhut
gaya, lihaza ye rak’at namaz ki rak’aton mein shumaar na hogi.

59 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 60

Ruku ke ba’d khada sochta raha

Mas’ala:

2 Farz ya 2 wajib, ya wajib aur farz ke darmiyaan 3 tasbeeh ki miqdaar waqfa


na hona wajib hai.

(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 74)

Lihaza agar koi shakhs ruku se uthne ke ba’d bhool kar 3 tasbeeh ki miqdaar
khada sochta raha to is par sajda e sahw wajib hai, aur agar qasdan itni der
khada raha to namaz lautaye.

Muqtadi ki tasbeeh puri hone se pehle imam khada ho gaya

Mas’ala:

Muqtadi ne abhi 3 bar “Sub’hana Rabbiyal Azeem” nahin kaha tha ki imam ne
ruku se sar utha liya to muqtadi bhi sar utha le itni der tak na jhuka rahe ki
imam ki mukhalifat laazim aaye, sunnat ki adayegi mein imam ki muta’be’at
sunnat hai basharte ki ta’aruz na ho aur ta’aruz ho to is ko tark kar de.

(Bahaar E Shari’at)

Ruku o sujood mein aayat ya “Bismillah” padha

Mas’ala:

Namaz mein qayaam ki haalat ke alawa ruku ya sajda ya qa’dah ki haalat mein
Quran ki koi aayat yahaan tak ki Bismillah padhna jaiz nahin agar ruku ya
sajda ya qa’dah mein Quran ki koi aayat padhi to sajda e sahw wajib hai.

(Aalmagiri; Fatawa e Razaviyya J 3, pg. 134; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 151)

Sajde ki haqeeqat

Peshani ka zameen par jamna sajde ki haqeeqat hai aur paun ki ek ungli ka
pet zameen par lagna shart hai, lihaza agar kisi ne is tarah sajda kiya ki donon
paun zameen se uthe rahe ya sirf ungli ki nok zameen par lagi rahi ungli ka
pet na laga to is soorat mein uski namaz hi na hogi, is mas’ale se bahut se log
ghaafil hain.

(Durrre Mukhtar; Fatawa E Razaviyya)

Sajda ka tareeqa

60 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 61

Ruku se khada hone ke ba’d “ALLAHU Akbar” kehte huye sajde mein jaye.
Sajda ka sunnat tareeqa ya hai ki pehle ghutne zameen par rakhe phir hath,
phir donon hathon ke bich mein sar rakhe, is taur par ki pehle naak phir
peshaani aur naak ki haddi zameen par jam jaye, aur nazar naak ki taraf rahe,
aur bazuon ko karwaton se aur pet ko raanon se aur raanon ko pindliyon se
juda rakhe, aur donon paun ke sab ungliyon ko qible ki janib rakhe, is tarah k
donon paun ki sab ungliyon ke pet qibla ru jame rahein aur hatheliyaan bichhi
hon aur ungliyaan qible ki taraf hon aur aurat simat kar sajda kare, ya’ni
baazu karwaton se mila de aur pet ko raan se, aur raan ko pindliyon se aur
pindliyaan zameen se.

(Aalamgiri wagairah)

Aur sajde mien kam az kam 3 bar “Sub’hana Rabbiyal A’la” kahe.

(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 64)

Mas’ala:

Sajde mein naak ka zameen par is tarah tikana wajib hai ki narm hissa haddi
tak dab jaye, agar narm hissa haddi tak na daba to namaz makruh e tahreemi
hui lautana wajib hai.

(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 72)

Mas’ala:

Har rak’at mein 2 sajde farz hain (*) aur har rak’at mein 2 sajdon se zyada
sajda na karna wajib hai.

(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 72; wa ammah kutub)

(*) Har rak’at mein 2 sajde bil-ijma’ farz hain, kuchh logon ka ye khayal hai ki
pehla sajda farz hai aur dusra wajib hai ye durust nahin, ijma’ e ummat ke
khilaf hai.

Sayyiduna Ala Hazrat Imam Ahmad Raza Alaihir Rahma Fatawa E Razaviyya J
4, pg. 57 par farmate hain:

Ba-ijma’ e ummat dono sajde farz hain aslan ismein kisi Aalim ka ikhtelaaf
nahin, iska munkir ijma’ e ummat ka munkir hai.

Mas’ala:

61 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 62

Agar koi shakhs kisi uzr ki wajah se sajda karte waqt peshani ko zameen par
nahin laga sakta hai to sirf naak par sajda kare phir bhi naak ki nok lagana
kaafi nahin hai, balki naak ka narm hissa haddi tak zameen par dabna zaruri
hai.

(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 72)

Mas’ala:

Ghaas, rooi, qaalin aur gadde wagaira narm chiz par sajda kiya aur peshani
agar khoob jam gayi ke ab dabane se na dabegi to jaiz hai warna nahin.

(Aalamgiri; Bahaar E Shari’at J 3, pg. 72)

Tanbeeh:

Logon ko sajda karne mein is baat ka pura pura khayal rakhna chahiye ki
peshani aur naak ka narm hissa haddi tak khoob achhi tarah dab jaye warna
namaz makruh e tahreemi wajib ul iadah hogi. Ya’ni is tarah padhi hui namaz
ko lautana wajib hai.

Ek sajda bhool gaya

Mas’ala:

Agar kisi rak’at ka ek sajda bhool kar chhut gaya to jab yaad aaye kar le
agarche salam pherne ke ba’d yaad aaya basharte ki koi fa’el jo namaz ke
munafi ho, na kiya ho aur phir uske ba’d sajda e sahw kar le namaz ho gayi.

(Durre Mukhtar; Bahaar E Shari’at J 3, pg.77)

Ek hi ra’kat mein 2 sajdon se zyada kiye

Mas’ala:

Kisi ne ek hi rak’at mein 3 ya 3 se zyada sajde bhool kar kar liye to sajda e
sahw kare, namaz ho jayegi.

(Durre Mukhtar; Bahaar E Shari’at J 3, pg.77)

Sajde mein tasbeeh bhool gaya

Sajde mein kam se kam 3 bar “Sub’hana Rabbiyal A’la” kehna sunnat hai, 5, 7
ya 9 bar kehna afzal hai, agar kisi ne is tasbeeh ko chhod diya ya ek do bar hi

62 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 63

kahi to is par sajda e sahw nahi namaz ho gayi, agar qasdan chhoda to khilaaf
e sunnat kiya.

2 sajdon ke darmiyan waqfa na kiya

Mas’ala:

2 sajdon ke darmiyan ek bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar seedha hokar


baithna chahiye, lihaza agar koi seedha baitha nahin aur dusra sajda kar liya
to ta’deel e arkaan ada na hone ki wajah se namaz wajib ul iadah hogi aur
agar bhool kar ittefaqiya aisa ho gaya hai to sajda e sahw kare.

Tanbeeh:

Bahut se log ruku o sujood mein itni jaldi karte hain ki abhi seedhe khade bhi
nahin huye ki sajde mein chale gaye, sajde se sar uthaya peeth seedhi bhi na
hui ki jhat dusre sajde mein chale gaye, is tarah namaz ka wajib ta’deel e
arkaan tark ho jata hai jis ki wajah se namaz makruh e tahreemi hoti hai, aisi
namazon ka lautana wajib hai, har rukn ko itminaan se ada karne ki aadat
daalni chahiye, ALLAH Ta’ala sab ko sahi taur par namaz padhne ki taufiq ata
famaye, Aameen.

Ruku mein sajde ki aur sajde mein ruku ki tasbeeh padhi

Mas’ala:

Agar kisi ne ruku mein sajde ki tasbeeh “Sub’hana Rabbiyal A’la” aur sajde
mein ruku ki tasbeeh “Sub’hana Rabbiyal Azeem” padh di to is par sajda e
sahw wajib nahin, agar usi waqt yaad aa jaye to ruku ki tasbeeh ruku mein
aur sajde ki tasbeeh sajde mein keh le taaki sunnat ke mutabiq ho jaye.

(Durre Mukhtar pg. 461, J 1)

Mas’ala:

Ruku ki tasbeeh sajde mein aur sajde ki tasbeeh ruku mein qasdan padhna
makruh e tanzihi hai, is se bachna chahiye. (Durre Mukhtar pg. 461, J 1)
magar sajda e sahw wajib nahin.

Sajde mein shak hua ki 2 kiye ya ek

Mas’ala:

63 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 64

Kisi ko namaz ke sajde mein shak ho jaye ki maine ek sajda kiya hai ya 2, aur
kisi taraf zan e ghalib nahin to aisi haalat mein hukm ye hai ki ek sajda aur
kare aur akhir mein sajda e sahw kare.

Mas’ala:

Agar shak ki soorat mein ek jaanib ghalib gumaan ho to isi par amal kare ya’ni
ghalib gumaan ye hai ki ek sajda kiya hai to ek aur kare aur ghalib gumaan ye
hai ki 2 sajde kar liye hain to mazeed sajda karne ki zarurat nahin namaz puri
kare, is soorat mein is par sajda e sahw bhi nahin hai.

(Durre Mukhtar, pg. 103, J 1)

Imam ke pichhe ruku ya sajda chhut gaya

Mas’ala:

Imam ke pichhe namaz padhte huye kisi ka ruku ya sajda chhut gaya jis waqt
yaad aaye to is ko ada kar ke imam ke sath ho jaye aisi soorat mein is par
sajda e sahw nahin, aur agar yaad aane par na kiya to imam ke salam pherne
ke ba’d ada kare phir sajda e sahw kare aur agar in dono sooraton mein se koi
soorat ikhtiyaar na ki to iski namaz na hui dobara padhe.

(Aalamgiri pg. 66, J 1)

Sajda ki jagah ruku, ruku ki jagah sajda kar liya

Mas’ala:

Namaz mein kisi rukn ko muqaddam ya muakh’khar kiya maslan pehle sajda
kar liya ba’d mein ruku kiya to is par sajda e sahw wajib hai.

(Aalamgiri pg. 66, J 1)

Imam ne bhool kar 3 sajde kar liye

Mas’ala:

Agar imam bhool kar teesre sajde mein chala gaya muqtadi iski iqteda na kare,
is soorat mein sirf imam par sajda e sahw hoga muqtadi is sajda e sahw mein
imam ki itteba’ na karenge aur agar sab ya ba’az muqtadiyon ne imam ke sath
teesra sajda kar liya to in muqtadiyon par bhi sajda e sahw wajib hai jo imam
ke sath teesre sajde mein gaye, lihaza wo bhi imam ke sath sajda e sahw
karenge.

64 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 65

(Durre Mukhtar pg. 439, J 1)

Imam bhool kar baith gaya to yaad aane par dobara takbir kehte huye
uthe

Mas’ala:

Imam bhool kar pehli ya teesri rak’at mein baith gaya aur muqtadiyon ne
luqma diya, ya isko khud yaad aaya to chahiye ki dobara takbir kehta hua
khada ho.

(Kabeeri pg. 313, J)

Mas’ala:

Agar itni der baith kar utha jitni der mein 3 bar “Sub’han ALLAH” keh leta to
is par sajda e sahw wajib hai warna nahin.

Ruku ya sajde mein “attahiyyaat” ya “Bismillah” padhi

Mas’ala:

Ruku mein ya sajde mein “attahiyyaat” (puri ya kuchh) padhi to is par sajda e
sahw wajib nahin.

(Tahtawi pg. 250)

Mas’ala:

Ruku ya sajde mein bajaye tasbeeh ke “Bismillahir-Rahmanir -Raheem” padh


diya to sajda e sahw wajib nahin.

(Hidaya pg. 140, J 1)

Qauma ya jalsa mein ujlat karna

Mas’ala:

Agar koi shakhs ruku se uth kar qauma ki haalat mein itminaan se khada
nahin hua ya sajde se uth kar jalse ki haalat mein seedha itminaan se nahin
baitha to agar bhool kar aisa hua to sajda e sahw wajib hai aur agar qasdan
aisa kiya ya is tarah ki aadat bana li hai to aisi namaz ka lautana zaruri hai
sajda e sahw se talafi na hogi.

(Shaami pg. 425, J 1)

65 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 66

Sajda e sahw mein shak

Mahaz shub’ha se sajda e sahw wajib nahin

Mas’ala:

Agar kisi ko namaz ke kisi wajib ke chhut jane ka shak hua to is shak ki wajah
se sajda e sahw wajib nahin hoga albatta ghalib gumaan hai ki wajib chhut
gaya hai to phir akhir mein sajda e sahw kare.

(Shaami pg. 352, J 1)

Sajda e sahw mein shak hua

Mas’ala:

Kisi par sajda e sahw wajib tha lekin qa’dah e akhirah mein is ko sajda e sahw
ke bare mein shak ho gaya ki sajda e sahw kiya ya nahin, to aisi haalat mein
apne ghalba e zan par amal kare ,aur agar ghalib gumaan ye hai ki sajda e
sahw kar liya hai to namaz puri kare sajda e sahw ki zarurat nahin, aur agar
ghalib gumaan ye hai ki sajda e sahw nahin kiya to sajda e sahw kare aur agar
karne na karne mein donon taraf rujhaan barabar hai to is soorat mein bhi
sajda e sahw kare.

(Shaami pg. 529; J 1)

Shak ki wajah se sajda e sahw kiya

Mas’ala:

Kisi par sajda e sahw wajib nahin tha khwam-khwah use sajda e sahw wajib
hone ka shak ho gaya aur isi shak ki wajah se usne sajda e sahw kiya to fatwa
is qaul par hai ki iski namaz ho gayi.

(Shaami pg. 560, J 1)

Sajda e sahw mein sahw ho gaya

Mas’ala:

Agar kisi ko sajda e sahw karne ki haalat mein sahw ho gaya aur haalat e
sajde mein thodi der tak sochta raha to is par dobara sajda e sahw wajib
nahin.

(Mabsoot J 1 pg. 242)

66 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 67

Sajda e sahw wajib nahin tha bhool kar kar liya

Mas’ala:

Kisi imam ko sahw nahin hua tha magar bhool kar us ne sajda e sahw kar liya
to imam aur un muqtadiyon ki namaz ho gayi jo shuru se imam ke sath rahe
ya sajda e sahw ke salam pherne se pehle shareek huye magar un logon ki
namaz nahin hogi jo sajda e sahw ka salam pherne ke ba’d imam ke sath
namaz mein shareek huye, khwah ye shirkat sajde mein ho ya iske ba’d qa’dah
mein ho, bahar-soorat inko namaz lautani padegi.

(Fatawa E Razaviyya J 3 pg. 365)

Imam ne sajda e sahw nahin kiya to muqtadi se saaqit ho jayega

Mas’ala:

Agar imam par sajda e sahw tha aur nahin kiya to muqtadiyon se saaqit ho
jayega, agar muqtadi ko imam ka sahw ma’lum hai to wo apni namaz lautaye
warna nahin.

(Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 653)

Be salam phere sajda e sahw kiya

Mas’ala:

Sajda e sahw karne ke liye dahini taraf salam nahin phera, ya bhool kar bayein
taraf phera, ya chehra phiraye baghair salam ke alfaaz keh kar sajda e sahw
kar liya tab bhi durust hai, sajda e sahw ho gaya.

(Shaami J 1, pg. 556)

Mas’ala:

Agar sajda e sahw ke liye qasdan bayein taraf salam pherega to namaz lautani
padegi.

(Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 638)

Ta’daad e rak’at mein sahw

Pehli ya teesri rak’at mein baith gaya:

67 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 68

Mas’ala:

Koi shakhs pehli ya teesri rak’at mein bhool kar baith gaya aur 3 bar “Sub’han
ALLAH” kehne ki miqdaar se kam baith kar utha to sajda e sahw wajib nahin
hai aur agar 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar taakhir kar ke utha to
sajda e sahw wajib hai.

(Aalamgiri J 1, pg. 65)

Fajr ki 4 aur Asr ki 6 rak’at padh li:

Mas’ala:

Agar kisi ne bhool kar Fajr ki namaz 2 rak’at ke bajaye 4 rak’at ya Asr ki
namaz 4 ke bajaye 6 rak’at padh li aur qa’dah e akhirah karne ke ba’d ye zayed
rak’atein padhi hain to farz ada ho gaya aur wo 2 zayed rak’atein nafl ho
jayengi magar akhir mein sajda e sahw karna wajib hoga.

(Shaami J 1, pg. 700)

Ek shub’ha ke izaala:

Mas’ala:

Namaz e Fajr ke ba’d sooraj nikalne tak yun hi Asr ke ba’d sooraj doobne tak
Nafl namaz makruh hai to is se ye shub’ha ho sakta hai ki Fajr aur Asr mein 2
zayed rak’atein jo nafl ho gayi hain wo makruh hongi, is ka jawab ye hai ki in
dono namazon ke ba’d nafl namaz padhni us waqt makruh hai jab ki qasdan
padhe agar bhool kar ya kisi majboori ke sabab padhi to makruh nahin hai.

(Shaami J 1, pg. 700)

Rak’at ki ta’daad mein shak hua:

Mas’ala:

Agar rak’at ke shumar mein bhool ho gayi to ghalib gumaan par amal karke isi
par bina kare sajda e sahw ki zarurat nahin magar ghair mahal mein itni der
sochta raha jis mein ek rukn ya’ni 3 bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar
taakhir ho gayi to is taakhir ki wajah se is par sajda e sahw wajib hoga aur
agar ghalib gumaan kisi taraf nahin to kam ko ikhtiyar kare maslan 3 aur 4
mein shak ho to 3 maane, 2 aur 3 mein shak ho to 2 qaraar de aur teesri
chauthi rak’at par qa’dah kare kyunki teesri rak’at mein chauthi ka ehtamaal
baaqi hai, phir chauthi mein qa’dah karke sajda e sahw kare phir salam phere.
68 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 69

(Durre Mukhtar pg. 705, J 1; Hidaya; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 57)

“Attahiyyaat” ke ba’d shak hua ki 3 huyi ya 4:

Mas’ala:

Kisi ko “Attahiyyaat” padhne ke ba’d ye shak hua ki 3 rak’atein huyi ya 4 aur 3


bar “Sub’han ALLAH” kehne ki miqdaar sochta raha phir yaqeen ho gaya ki 4
ho gayi hain, to is soorat mein is par sajda e sahw wajib hai aur agar ek taraf
salam pherne ke ba’d aisa hua to kuchh nahin.

(Aalamgiri; Bahaar E Shari’at J 4’ pg. 75)

4 rak’at mein bhool kar 2 rak’at par salam pher diya:

Mas’ala:

4 rak’at wali namaz padh raha tha ye khayal karke ki 4 puri ho gayi, 2 par
salam pher diya to khayal aate hi 4 puri kare aur akhir mein sajda e sahw
kare, basharte ki usne koi aisa kaam na kiya ho jo namaz ke munafi hai.

(Bahaar E Shari’at J 4, pg. 57)

Mas’ala:

4 rak’at wali namaz padh raha tha isko ye gumaan hua ki mai musafir hoon
mujh par 2 hi rak’atein hain ya zuhar ki namaz ko juma’ ki namaz samajh kar,
isha ki namaz ko taraweeh ki namaz samajh kar 2 rak’at par salam pher diya
to in sab sooraton mein iski namaz gayi dobara padhe.

(Durre Mukhtar; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 57)

Imam ne 4 wali 3 padhayi:

Mas’ala:

Kisi imam ne 4 rak’at wali namaz bhool kar 3 rak’at padha di aur salam pher
diya, iske ba’d muqtadiyon mein charcha hua ki imam ne 3 par salam pher
diya hai, imam ne muqtadiyon ki guftagu sun kar baghair kisi se kuchh
puchhe aur baat kiye “ALLAHU Akbar” keh kar chauthi rak’at ke liye khada ho
gaya aur 4 puri karke sajda e sahw kiya aur salam phera to imam aur na bolne
wale muqtadiyon ki namaz durust ho gayi,lekin jin muqtadiyon ne baat-chit
kar li hai inki namaz na hui dobara padhein.

69 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 70

(Shaami J 1, pg. 691)

Chauthi mein “Attahiyyaat” padh kar paanchwi ke liye khada ho gaya:

Mas’ala:

Imam agar chauthi rak’at mein “Attahiyyaat”padh kar paanchwi ke liye bhool
kar khada ho gaya to muqtadi intezaar karein, agar panchwi ka sajda karne se
pehle laut aaya to muqtadi imam ke sath ho jayein, ya’ni imam ke sath salam
pherein aur sajda e sahw karein aur agar paanchwi ka sajda kar liya lauta
nahin to is soorat mein muqtadi tanha salam pher dein imam ka sath dene ki
zarurat nahin, aur jin muqtadiyon ne imam ke sath paanchwi ka sajda kar liya
hai is mein ek aur rak’at milayein taaki 6 puri ho jaye aur akhir mein sajda e
sahw karein, 4 pehli wali farz aur 2 ba’d wali nafl shumaar hongi.

(Kabeeri pg. 141; Aalamgiri pg. 67, J 1; Bahaar E Shari’at pg. 139, J 3)

Mas’ala:

Agar muqtadi ne imam ko paanchwi rak’at ka sajda karne se pehle luqma diya
aur imam baith gaya to sajda e sahw kare, attahiyyaat waghaira padh kar
salam phere, namaz ho gayi.

Mas’ala:

Agar chauthi rak’at mein qa’dah e akhirah nahin kiya tha aur paanchwi ke liye
khada ho gaya to yaad aate hi laut aaye aur sajda e sahw karke namaz puri
kare aur agar palta nahin paanchwi ka sajda kar liya to is soorat mein sab ki
namaz faasid ho gayi, agar kisi muqtadi ne imam ka sath na diya aur
tashahhud padh kar salam phera to bhi iski namaz nahin hui.

(Aalamgiri pg. 67, J 1; Bahaar E Shari’at pg. 119, Hissa 3)

Bhool kar 5 rak’atein padh li:

Mas’ala:

Kisi ne 4 rak’at padh kar qa’dah e akhirah kiya phir bhool kar paanchwi ke liye
khada ho gaya aur 5wi ka ruku aur sajde bhi kar liya, to is par sajda e sahw
wajib hai uski 4 rak’at namaz durust ho gayi aur 5wi rak’at bekaar ho gayi.

(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami pg. 698)

Bimari ki wajah se rak’at ka shumaar nahin kar sakta:

70 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 71

Mas’ala:

Jis shakhs ko bahut zyada bhoolne ki bimari hai uske liye nihayat zaruri hai ki
ba-jama’at namaz padhe jab koi shakhs laiq e imamat na mile to apni yaad-
daasht par padhe agar rak’aton mein shub’ha ho to kam ko iktiyaar kare,
maslan ek aur do mein shub’ha ho to ek jaane, do aur teen mein shub’ha ho to
do samjhe, isi tarah jahan qa’dah e akhirah ka shub’ha ho wahan wahan
baithta jaye aur akhir mein sajda e sahw kare.

(Fatawa E Razaviyya pg. 448, J 3)

Musafir ne bajaye 2 rak’at ke 4 rak’at padhi:

Mas’ala:

Musafir par wajib hai ki qasr kare ya’ni 4 rak’at wali farz namaz ko 2 rak’at
padhe, qasdan 4 rak’at padhega to gunahgaar hoga iske haq mein 2 hi
rak’atein puri namaz hai, lihaza agar kisi musafir ne 2 rak’at qasr namaz
padhne ki bajaye bhool kar 4 rak’at padh li aur dusri rak’at ka qa’dah kar liya
hai to uski farz namaz durust ho gayi, lekin sajda e sahw wajib hai aur ba’d
wali 2 rak’atein nafl ho jayengi, magar is soorat mein agar imam musafir hai
aur muqtadi muqeem hai to muqtadi ki namaz na hogi.

(Shaami pg. 741, J 1)

Mas’ala:

Agar musafir ne qasdan 4 rak’atein padhi aur 2 rak’at par qa’dah kar liya hai
to iska farz ada ho jayega aur ba’d wali 2 rak’atein nafl ho jayengi, magar
qasdan wajib tark kar dene ki wajah se wo sakht gunahgaar hua, is liye tauba
bhi kare, aur agar 2 rak’at par qa’dah na kiya to farz ada na hua, iski ye namaz
nafl ho gayi farz ko dobara padhe.

(Hidaya; Aalamgiri; Durre Mukhtar waghaira ba-hawala Bahaar E Shari’at pg.


77, J 4)

Musafir ne sajda e sahw kar ke iqamat ki niyat ki:

Mas’ala:

Musafir ne qasr ki wajah se 2 rak’at ki niyat ki, namaz mein sahw ho gaya is
liye isne sajda e sahw bhi kar liya phir salam pherne se pehle iqamat ki niyat

71 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 72

kar li to ab is soorat mein isko 4 rak’at padhni zaruri hai aur akhir mein
dobara sajda e sahw bhi karna wajib hai.

(Aalamgiri J 1, pg. 67)

Musafir imam ke sath muqeem sajda e sahw kare:

Mas’ala:

Imam musafir hai, isko namaz mein sahw hua, aur iske pichhe muqeem
muqtadi bhi hain to jab 2 rak’at ke ba’d imam sajda e sahw karega to muqeem
muqtadi baghair salam phere imam ke sath sajda e sahw karenge, iske ba’d
muqeem jab apni namaz puri karne laga to us mein sahw hua to phir akhir
mein dobara sajda e sahw kare.

(Aalamgiri; Shaami; Fatawa e Razaviyya waghaira)

Mas’ala:

Agar muqeem ne imam ke sath sajda e sahw nahin kiya to apni namaz puri
karne ke ba’d akhir mein sajda e sahw kare warna namaz lautani padegi,yun
hi agar muqeem ne musafir imam ke sath qasdan salam pher kar sajda e sahw
kiya to namaz lautani padegi.

(Aalamgiri; Shaami aur Fatawa e Razaviyya waghaira)

Paanchwi ya chhati mein kisi ne iqteda ki:

Mas’ala;

Aakhri qa’dah karke imam bhoole se paanchwi ya chhati ke liye khada ho gaya
aur isi haalat mein kisi ne imam ki iqteda ki to iqteda karne wale ki farz namaz
durust nahin hogi kyunki ba’d wali rak’atein imam ki nafl hongi.

(Mustafad min al Hindiyah pg. 68 J 1)

Yaqeen hai ki 4 rak’at padhi Salam ke ba’d kisi ne shak dilaya:

Mas’ala:

72 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 73

Kisi ne apne yaqeen ke sath 4 rak’at padh kar salam phera, salam ke ba’d ek
do logon ne kaha ki tum ne 3 hi rak’at par salam phera hai, to aisi soorat mein
wo apne yaqeen ke mutabiq amal kare iski namaz ho gayi, jabki khabar dene
wale aadil (shar’an qaabil e aitemaad) na hon, aur agar khabar dene wala aadil
shakhs hai to namaz lautaye agarche iske khayal mein ye khabar galat hai.

(Aalamgiri; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 57)

Baaligh hone ke ba’d pehli bar ta’daad e rak’at mein shak hua:

Mas’ala:

Jis ko rak’at ke shumaar karne mein shak hua ki 3 hui ya 4, aur baaligh hone
ke ba’d ye pehla waqeya hai to salam pher kar namaz tod de ya ghaalib
gumaan ke mutabiq amal karke namaz puri kare magar bahr soorat is namaz
ko dobara padhe sajda e sahw se kaam na chalega.

(Bahaar E Shari’at J 4, pg.57)

Imam ko rak’at mein shak hua aur kankhiyon se dekha:

Mas’ala:

Imam ne 2 rak’at namaz padhayi, dusre sajde se uth’te waqt usko shak ho
gaya ki ek rak’at hui ya 2, is wajah se usne apne shak ko dur karne ke liye bila
munh phere gosha e chashm ya’ni kankhiyon se muqtadiyon ki taraf dekha ki
agar wo log uthein to uthu aur baithein to mai bhi baith jaun to is mein koi
harj nahin hai, na hi is par sajda e sahw wajib hai, albatta bila kisi garz e
sahih ke kankhiyon se idhar-udhar dekhna makruh e tanzihi hai.

(Aalamgiri J 1, pg. 66)

4 rak’ati sunnat e mokkadah mein 2 par salam pher diya:

Mas’ala:

4 rak’at sunnat e mokkadah ki niyat ki aur 2 rak’at par bhool kar salam pher
diya to yaad aate hi khada ho jaye aur 4 puri karke qa’dah e akhirah mein
sajda e sahw kare.

(Shaami J 1, pg. 630)

Mas’ala:

73 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 74

Agar kisi ne Zuhar ki pehli 4 rak’at sunnat e mokkadah ki niyat ki aur 2 rak’at
padhne se pehle jama’at khadi ho gayi to ise chahiye ki 2 rak’at puri karke
salam pher de aur jama’at mein shareek ho jaye phir farz ke ba’d ki sunnat e
mokkadah 2 rak’at ada karke 4 rak’at padhe, pehli wali 2 rak’at nafl ho gayi. *

(Shaami J 1, pg. 630)

(*) Ismein Ulama e kiram ka ikhtelaf hai, ba’az hazraat ne farmaya ki Juma’
aur Zuhar se pehle wali 4 rak’at sunnat e mokkadah shuru ki aur Khutba e
Juma’ ke liye Imam khada ho gaya ya Zuhar ki jama’at qayem ho gayi to 4
rak’at puri kare, 2 par salam na phere jab ki khutba aur jama’at ke faut hone
ka andesha na ho.

Isi ko Ala Hazrat Alaihir Rahma ne Fatawa Razaviyya J 3, pg. 612 par tarjeeh
di hai magar dono qaulon ko sahih aur unke dalail ko qawi bataya hai.

Farmate hain:

(Tarjuma): Ye mas’ala is qabeel se hai ki is ke dono qaulon mein se insaan jis


par chahe amal kare to koi aiteraaz nahin hai aur main khud dusre qaul ki
taraf apne aap ko mayel pata hoon.

Namaz mein hadas hua aur wazu karne gaya us waqt ta’dad e rak’at mein
shak hua:

Mas’ala:

Koi shakhs namaz padh raha tha ki namaz mein us ko hadas lahiq hua ya’ni
wazu tut gaya aur wazu karne gaya us waqt us ko shak hua ki us ne 3
rak’atein padhi hain ya 4 aur sochne mein kuchh der tak wazu karne se ruka
raha to jab wazu karke apni baqiya namaz padhega to is mein is par aakhir
mein sajda e sahw wajib hai.

(Aalamgir J pg. 66; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 58)

2 rak’at mein sahw hua, sajda e sahw ke ba’d 4 rak’at ka irada kiya:

Mas’ala:

Kisi ne 2 rak’at nafl ki niyat baandhi aur is mein sahw ho gaya aur sajda e
sahw bhi kar liya phir salam pherne se pehle 4 rak’at padhne ka irada kar liya,
to iski 4 rak’at nafl sahi ho jayegi lekin aakhir mein dobara sajda e sahw karna

74 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 75

hoga, aisi haalat mein iske liye behtar ye tha ki is par bina na karta 2 rak’at
alheda padhta.

(Aalamgiri J 1, pg.67)

Shak ki sab sooraton mein sajda e sahw wajib hai:

Mas’ala:

Shak ki sab sooraton mein sajda e sahw wajib hai, aur ghalib gumaan ki
soorat mein nahin, magar jab ki sochne mein ek rukn 3 bar “Sub’han ALLAH”
kehne ki miqdar taakhir ho gayi to sajda e sahw wajib hai.

(Shaami; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 58)

Qa’dah aur Attahiyyaat

Qa’dah kise kehte hain?

Dusri rak’at ke dono sajdon ke ba’d itni der tak baithna jitni der mein puri
“Attahiyyaat” padhi ja sake isi ko Shari’at mein qa’dah kehte hain, 4 rak’at wali
namaz mein har 2 rak’at par qa’dah kiya jayega.

Farz, Wajib aur Sunnat e Mokkadah namazon mein pehla qa’dah wajib hai,
aur qa’dah e akhirah (dusra qa’dah) farz hai, aur nafl namazon mein har
qa’dah qa’dah e akhirah hai ya’ni Farz hai.

(Bahaar E Shari’at J 4, pg. 52)

Qa’dah ka masnoon tareeqa

Mas’ala:

Qa’dah mein baithne ka sunnat tareeqa ye hai ki jab qa’dah karna ho to sajdon
se faarigh hone ke ba’d bayaaN (ulta) paun bichha kar dono surin ko us par
rakh kar baithe, aur dahina (seedha) qadam khada kar ke zameen par is tarah
rakhe ki paun ki ungliyaan qibla rukh rahein,ye hukm mardon ke liye hai, aur
auratein dono paun ko dahini taraf nikaal dein aur bayein surin ko zameen
par rakh kar baithein,iske ba’d dahina hath dahini raan par aur bayaaN hath
bayein raan par mard aurat dono is tarah rakhein ki dono hath ki ungliyaan
apni haalat par rahein, na mili hon aur na khoob phaili hui hon, aur ungliyon
ke kinaare ghutnon ke paas raan par qibla rukh rahein, ghutnon ko hath se
pakad kar na rakhein qa’dah ki haalat mein nazar god ki taraf rakhien aur
peeth ko seedha rakhein.
75 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 76

Tashah’hud

Mas’ala:

Qa’dah e ula aur qa’dah e akhirah mein puri attahiyyaat padhni wajib hai, nez
in donon qa’don ke alawa bhi jitne qa’de karne padein sab mein pura
tashah’hud padhna wajib hai, agar ek lafz bhi chhut gaya to tark e wajib
laazim aayega.

(Bahaar E Shari’at pg. 76; J 3)

Attahiyyaat ke alfaaz ye hain:

“Attahiyaatu lillahi was-salwatu wat’tayyibatu assalamu alaika ayyuhan


nabiyyu wa rahmatullahi wa barakatuhu assalamu alaina wa ala ibadillahis
saalihin ash’hadu alla ilaha illallahu wa ash’hadu anna muhammadan
ab’duhu wa rasooluhu.”

Is mein koi harf kam o besh na kare, isi ko tashah’hud kehte hain.

Mas’ala:

Jab kalma “La” ke qareeb pahunche dahine hath ki bich ki ungli aur anguthe
ka halqa banaye aur chhungliya aur iske paas wali ko hatheli se milaye aur
lafz “la” par kalme ki ungli uthaye magar isko jumbish na de aur kalma “illa”
par ungli ko gira de aur sab ungliyon ko fouran seedhi kar le.

(Bahaar E Shari’at J 3; pg. 66)

Qa’dah e ula aur iske tashah’hud mein sahw

Qa’dah mein dono paun khada ya bichha hua rakha:

Mas’ala:

Agar kisi ne qa’dah mein dono paun ko khada rakha ya bichha kar is par
baitha to is se sajda e sahw wajib na hoga, aisa karna sunnat ke khilaaf hai,
76 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 77

agar kisi uzr aur bimari ki wajah se hai to harj nahin namaz bila-karahat ho
jayegi.

Qa’dah e ula bhool gaya:

Mas’ala:

Qa’dah e ula (pehla qada’h) bhool gaya to jab tak seedha khada na hua ho
fauran baith jaye, is soorat mein is par sajda e sahw nahin hai, aur agar
seedha khada ho gaya to ab qa’dah ki taraf na laute namaz puri karke akhir
mein sajda e sahw kare namaz ho gayi aur agar seedha khada hokar qa’dah ki
taraf lauta to bhi sajda e sahw karna wajib hai magar aisa karna gunaah hai
lihaza hukm ye hai ki agar seedha khada hokar baitha hai to fauran khada ho
jaye.

(Shaami pg. 701, J 1; Bahaar E Shari’at pg. 51, J 3; Ghuniyah)

Imam qa’dah bhool kar khada ho raha tha ki muqtadi ne luqma diya:

Mas’ala:

Imam qa’dah e ula bhool gaya aur khada hone laga abhi pura khada na hua
tha balki baithne ki haalat ke qareeb tha ya’ni badan ke niche ka hissa seedha
na hone paya tha ki kisi muqtadi ne luqma diya ya imam ko khud yaad aa
gaya aur baith gaya to is soorat mein is par sajda e sahw wajib nahin imam
aur muqtadi sab ki namaz ho gayi.

Mas’ala:

Aur agar pura khada na hua tha balki seedha khada hone ke qareeb tha ya’ni
badan ka aadha nichla hissa seedha ho gaya tha magar peeth mein abhi kham
(tedhapan) baqi tha ki is haalat mein muqtadi ne luqma diya ya az khud palat
aaya to is par sajda e sahw wajib hai aakhir mein sajda e sahw kare namaz ho
gayi, aur luqma dene wale ki bhi namaz ho gayi.

Mas’ala:

Agar pura khada ho gaya ki peeth bhi seedhi ho gayi to ab palatne ki zarurat
nahin balki hukm ye hai ki baghair palte huye namaz puri kare akhir mein
sajda e sahw kare aur agar is soorat mein qa’dah ki taraf paltega to gunahgaar
hoga seedha khada hokar yaad aane par khud ba khud baghair kisi ke luqma
diye palta to hukm ye hai ki fauran khada ho jaye aur aakhir mein sajda e
sahw kare namaz ho jayegi aur agar fauran khada nahi hua qa’dah e ula pura

77 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 78

karke utha aur namaz puri ki to is soorat mein bhi is us par sajda e sahw
wajib hai, agar sajda e sahw kar liya to namaz ho gayi, nahin kiya to namaz
dobara padhni padegi.

Mas’ala:

Imam qa’dah e ula bhool kar seedha khada ho gaya ya seedha khada hone ke
liye qareeb tha aur muqtadi ne luqma diya aur muqtadi ke luqma dene ki
wajah se imam qa’dah e ula mein lauta to is soorat mein imam aur tamam
muqtadiyon ki namaz gayi, is namaz ko dobara padhni laazim hai sajda e sahw
se kaam na chalega (aksar log is mas’ale se ghaafil hain), agar imam ne
muqtadi ka luqma qubool nahin kiya ya’ni qa’dah e ula ki taraf nahin palta
namaz puri karke akhir mein sajda e sahw kar liya to imam aur dusre tamam
muqtadiyon ki namaz ho gayi magar luqma dene wale ki namaz na huyi usko
dobara padhni hogi.

(Fatawa E Razaviyya pg. 632, J 3; Fatawa E Faiz E Rasool pg. 387, J 1)

Imam baithne ke qareeb tha ki muqtadi ne luqma diya:

Mas’ala:

Imam qa’dah e ula bhool gaya aur khada hone laga magar abhi seedha khada
na hua tha balki baithne ke qareeb tha isi haalat mein muqtadi ne luqma diya
magar Imam luqma dene ke bawajud baitha nahin khada ho gaya to is soorat
mein imam ko baith jana zaruri hai agar baith gaya to namaz ho gayi sajda e
sahw ki zarurat nahin aur luqma dene ke ba’d na baitha to imam ne na baith
kar wajib ko qasdan tark kiya, is liye is soorat mein namaz dobara padhni
wajib hai sajda e sahw se kaam na chalega.

(Aalamgiri pg. 118)

Qa’dah e ula bhool gaya qa’dah e akhirah mein yaad aaya:

Mas’ala:

Agar kisi ne bhool kar qa’dah e ula chhod diya qa’dah e akhirah mein salam se
pehle yaad aaya to usi waqt sajda e sahw kar le phir attahiyyaat aur durood
sharif padh kar salam phere namaz ho gayi.

(Durre Mukhtar pg. 424, J 1)

Witr ki namaz mein qa’dah e ula bhool gaya:

78 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 79

Mas’ala:

Witr ki namaz misl e Maghrib ki namaz ke hai ya’ni witr ki namaz ka bhi
qa’dah e ula wajib hai, lihaza agar kisi ne witr ki namaz mein qa’dah e ula
bhool kar chhod diya to is par sajda e sahw wajib hai.

(Shaami pg. 623, J 1)

Nafl mein qa’dah e ula bhool gaya:

Mas’ala:

Sunnat e ghair mokkadah aur 4 rak’at wali nafl namaz mein agar qa’dah e ula
bhool gaya aur 4 rak’atein padh li to sahih mazhab par namaz ho gayi magar
aakhir mein sajda e sahw karna wajib hai.

(Nafl ki har 2 rak’at mustaqil namaz hone ke bawajud Fuqaha e Kiraam ne


bataure istih’saan in chaaron ko ek namaz ke hukm mein shumaar karte huye
qa’dah e ula bhool kar chhut jane par sajda e sahw kar lene se namaz ko jaiz
bataya hai.)

(Maraqil Falaah pg. 228; Bahaar E Shari’at pg. 15; J 4)

Mas’ala:

Agar kisi ne 4 rak’at wali nafl mein bhool kar qa’dah e ula tark kar diya aur 4
padh li aur aakhir mein sajda e sahw nahin kiya to ye chaaron 2 hi ke qayem
maqam gini jayengi.

(Fatawa Razaviyya pg. 520, J 3)

Qa’dah e ula mein “Attahiyyaat” bhool gaya:

Mas’ala:

Qa’dah e ula aur qa’dah e akhirah dono mein puri attahiyyaat padhni wajib
hai, isi tarah jitne qa’de karne pade sab mein pura tashah’hud padhna wajib
hai aur agar koi ek lafz bhi chhut gaya to wajib ka tark hoga, lihaza agar bhool
kar attahiyyaat ya iska kuchh hissa ya ek lafz bhi chhut gaya to sajda e sahw
wajib hai aur agar jaan bujh kar chhoda to namaz lautani wajib hai sajda e
sahw se kaam na chalega namaz khwah farz ho ya wajib, sunnat ho ya nafl ho.

(Aammah Kutub)

79 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 80

Attahiyyaat ki jagah Fatiha ya koi surah padh di:

Mas’ala:

Agar kisi ne attahiyyaat padhne ke bajaye bhool kar surah Fatiha ya aur koi
surah padh di aur usi waqt qa’dah mein hi yaad aa gaya to fauran yaad aate hi
attahiyyaat padh kar teesri rak’at ke liye khada ho, ya khada ho gaya phir yaad
aaya to Attahiyyaat padhne ke liye laute nahin, isi tarah namaz puri kar le aur
in dono sooraton mein is par sajda e sahw wajib hai, akhir mein sajda e sahw
kare namaz ho gayi.

Mas’ala:

Agar qa’dah e ula mein pehle attahiyyaat padhi phir bhool kar iske ba’d surah
Fatiha ya aur koi surah padh di to is par sajda e sahw wajib hai aur agar
Qa’dah e akhirah mein aisa hua to sajda e sahw wajib nahin.

(Tahtawi pg. 250)

Attahiyyaat qa’dah e ula mein 2 bar padhi:

Mas’ala:

Agar kisi ne qa’dah e ula mein 2 bar ya zyada attahiyyaat padhi to is par sajda
e sahw wajib hai.

(Aalamgiri pg. 66, J 1)

Muqtadi attahiyyaat bhool gaya:

Mas’ala:

Namaz ke pehle qa’de mein imam attahiyyaat padh kar khada ho gaya aur koi
muqtadi attahiyyaat padhna bhool gaya aur imam ke sath wo bhi khada ho
gaya to yaad aate hi baith jaye aur attahiyyaat padh kar imam ke sath mil jaye
agarche rak’at chhut jaye.

(Aalamgiri; Bahaar E Shari’at pg. 138, J 3)

Tanbeeh:

Mas’ala:

Attahiyyaat padhne ki wajah se jo rak’at chhut gayi hai isko imam ke salam
pherne ke ba’d padhe, namaz ho jayegi sajda e sahw ki zarurat nahin, aur agar

80 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 81

tashah’hud nahin padha to aur imam ki mutabe’at karke namaz puri kar li to
namaz ko lautana wajib hai kyunki yaad aane ke ba’d qasdan wajib ko chhod
diya hai.

Qa’dah e ula mein imam khada ho gaya aur muqtadi ki attahiyyaat baqi
hai:

Mas’ala:

Qa’dah e ula mein imam tashah’hud padh kar khada ho gaya aur muqtadi ne
abhi attahiyyaat puri nahin ki hai to muqtadi ko wajib hai ki attahiyyaat puri
padh kar khada ho.

(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 77)

Qa’dah e ula mein attahiyyaat ke ba’d durood sharif padh liya:

Mas’ala:

Farz, wajib aur sunnat e mokkadah namazon ke pehle qa’dah mein attahiyyaat
ke ba’d bhool kar durood sharif padh liya, ya sirf “Allahumma Salli ‘ala
Muhammad” ya “Allahumma Salli ‘ala sayyadina” tak padha ki yaad aa gaya
aur fauran teesri rak’at ke liye khada ho gaya to is par sajda e sahw wajib hai.
*

(Durre Mukhtar J 1, pg. 478; Bahaar E Shari’at J 3, pg. 77)

(*) Sajda e sahw is liye waijb nahin hua ki is ne durood sharif padha balki is
liye ki qa’dah e ula mein attahiyyaat ke ba’d fauran teesri rak’at ke liye khada
hona wajib tha. Is mein taakhir ho gayi aur wajib chhut gaya, is liye sajda e
sahw wajib hai. Yahi Imam E Azam Radi Allahu Ta’ala Anhu ka maslak hai.

Mas’ala:

Agar attahiyyaat ke ba’d sirf “Allahumma” ya “Allahumma Salli” ya


“Allahumma Salli ‘ala” kaha to in sab sooraton mein sajda e sahw wajib nahin
hai.

Qa’dah e ula mein attahiyyaat ke ba’d khaamosh baitha raha:

Mas’ala:

Qa’dah e ula mein attahiyyaat padh kar fauran khada nahin hua balki
khaamosh baitha raha, agar ye khaamoshi ek rukn ya’ni 3 bar “Sub’han

81 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 82

ALLAH” kehne ki miqdar hai to is par sajda e sahw wajib hai aur agar is se
kam hai to nahin.

(Aalamgiri J 1, pg. 66)

Qa’dah e ula mein muqtadi ne “Allahumma salli ‘ala Muhammad” ke ba’d


luqma diya:

Mas’ala:

Pehle Qa’dah mein imam ne attahiyyaat padhne ke ba’d durood sharif shuru
kar diya aur koi imam se itna qareeb tha ki iske durood padhne ko sun liya.
Abhi imam “Salli ‘ala” se aage nahin badha hai to muqtadi “Allahu Akbar” ya
“Sub’han Allah” keh kar luqma de. Agar imam ne luqma liya aur fauran khada
ho gaya to namaz ho gayi sajda e sahw ki zarurat nahin aur agar luqma qubool
nahin kiya aur “Allahumma Salli ‘ala” se aage “Muhammad” kaha ya Sayyadina
kaha to sabki namaz faasid ho gayi, dobara padhe, sajda e sahw se kaam
nahin chalega.

(Fatawa Razaviyya J 3, pg. 644)

Mas’ala:

Agar muqtadi ko ma’lum ho gaya ki imam “Allahuma Salli ‘ala Sayyadina” ya


“Allahumma Salli ‘ala Muhammad” tak padh liya hai to muqtadi ko is soorat
mein luqma dena jaiz nahin hai, balki intezaar karna chahiye, agar imam ko
khud yaad aa gaya aur khada ho gaya to theek hai, warna jab salam pherne
lage us waqt luqma de kar bataye, agar is se pehle luqma dega to luqma dene
wale ki namaz jati rahegi, aur agar imam ne luqma qubool kar liya to imam aur
sab muqtadiyon ki namaz jayegi, sajda sahw se kaam nahin chalega, namaz ko
lautani padegi.

(Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 644)

Lafz “Attahiyyaat” keh kar luqma diya:

Mas’ala:

Kisi ne apne imam ko “Allahu Akbar” ya “Sub’han Allah” ke bajaye


“attahiyyaat” keh kar luqma diya, to is se namaz mein koi kharabi nahin aayi
namaz ho gayi, jab ki “Allahu Akbar” ya “Sub’han Allah” keh kar luqma dena
sunnat hai, bahar-haal is se sajda e sahw wajib nahin.

82 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 83

(Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 644)

Nafl ke Qa’dah e ula mein durood sharif padh liya:

Mas’ala:

4 rak’at wali nafl namaz ke pehle qa’dah mein “attahiyyaat” padhne ke ba’d
durood sharif waghaira padh liya to sajda e sahw wajib nahin, balki 4 rak’at
wali nafl namaz ke qa’dah e ula mein “attahiyyaat” ke ba’d durood sharif
padhna mustahab hai.

(Durre Mukhtar J 1, pg. 95)

Taraweeh mein Q’adah bhool gaya:

Mas’ala:

Taraweeh ki namaz mein 2 rak’at par baithna bhool gaya aur teesri rak’at ke
liye seedha khada ho gaya to yaad aate hi qa’dah ki taraf laut aaye aur
“attahiyyaat” padh kar sajda e sahw kare, phir “attahiyyaat” padh kar salam
phere, aur agar lauta nahin balki teesri rak’at padh kar qa’dah mein baitha aur
“attahiyyaat” padh kar sajda e sahw kiya to as’hah (saheeh tareen) mazhab
par namaz na hui, is namaz ko dobara padhe, aur jitna Quran in 3 rak’aton
mein padha hai isko dohraye.

(Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 653)

Mas’ala:

Agar 2 rak’at padh kar nahin baitha, 4 rak’at par kar baitha, to ye 4 rak’atein 2
shumaar hongi magar sajda e sahw wajib hoga. Aur jitna Quran in charon
rak’aton mein padha hai, isko dobara lautane ki zarurat nahin.

(Shaami J 1, pg. 474; Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 653)

Qa’dah e ula mein shak ho gaya:

Mas’ala:

Kisi ko qa’dah e ula mein shak ho gaya ki qa’dah mein baitha ki nahin, to aisi
haalat mein sajda e sahw kare namaz ho jayegi.

(Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 658)

Qa’dah e ula mein bhool kar salam pher diya:

83 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 84

Mas’ala:

Agar kisi ne namaz ke pehle qa’dah mein bhool kar ek taraf, ya dono taraf
salam pher diya, aur fauran yaad aa gaya, aur koi aisa kaam jo namaz ke
munafi hai sarzad nahin hua, to fauran teesri rak’at ke liye khada ho jaye, aur
namaz puri karke aakhir mein sajda e sahw kare.

(Shaami J 1, pg. 694)

Namaz ki teesri aur chauthi rak’at

Mas’ala:

Qa’dah e ula ke ba’d “Allahu Akbar” kehte huye teesri rak’at ke liye khada ho
jaye aur hasb e dastoor naaf ke niche hath baandh le, aur “Bismillah” padh
kar Alhamdu Sharif padhe. Bismillah padhne ka hukm imam aur tanha namaz
padhne wale ke liye hai, jo log imam ke pichhe namaz padh rahe hain inhein
Bismillah nahin padhna hai kyunki Bismillah qira’at ke taabe’ hai aur
muqtadiyon par qira’at nahin, isliye inhein Bismillah padhne ki zarurat nahin.

Teesri rak’at mein kaanon tak hath utha kar baandha

Mas’ala:

Kisi ne bhool kar teesri rak’at mein “Allahu Akbar” kehte huye khade hokar
dono hathon ko kaanon tak utha kar baandha to is soorat mein is par sajda e
sahw nahin hai aur agar jaan-bujh kar aisa kiya to sunnat ke khilaaf kiya
magar sajda e sahw bahar-haal nahin hai.

Teesri rak’at mein “Bismillah” bhool gaya:

Mas’ala:

Teesri rak’at mein Alhamd se pehle Bismillah padhna bhool gaya, ya qasdan
nahin padha dono sooraton mein is par sajda e sahw nahin hai, magar qasdan
Bismillah chhodna achha nahin hai.

Teesri rak’at mein sana aur ta’auz padh liya:

Mas’ala:

Farz, Witr aur Sunnat e Mokkadah ki teesri rak’at mein khade hokar Alhamd
padhne se pehle kisi ne bhool kar sana ya ta’auz padh liya to sunnat ke khilaaf
kiya, namaz ho gayi, is par sajda e sahw nahin hai.

84 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 85

Mas’ala:

Sunnat e ghair mokkadah aur nafl namaz ki teesri rak’at mein jab khada ho to
pehle sana yani “Sub’hanaka Allahumma” phir “Auzubillah” iske ba’d
“Bismillah” padh kar “Alhamd” padhe.

Mas’ala:

Agar kisi ne Sana, Auzubillah, aur Bismillah in teenon ko ya ba’az ko nafl ki


teesri rak’at mein nahin padha to achha nahin kiya, magar is se sajda e sahw
wajib na hoga.

Namaz ki chauthi rak’at

Mas’ala:

Har namaz ki chauthi rak’at ke shuru mein Alhamd sharif se pehle Bismillah
padhna sunnat hai, is ke chhut jane se sajda e sahw laazim nahin hota.

(Makhuz Fatawa E Razaviyya wa Bahaar E Shari’at)

Qa’dah e akhirah mein sahw

Qa’dah e akhirah mein bhi usi tarah baithe jaise qa’dah e ula mein baitha tha,
jis ka zikr qa’dah e ula mein ho chuka hai.

Mas’ala:

Namaz ki kul rak’atein puri karne ke ba’d ya’ni 4 rak’ati namaz ki charon, 3
rak’at wali ki teenon, aur 2 rak’at wali ki donon rak’aton ko puri karne ke ba’d
aakhir mein itni der tak baithna jitni der mein puri attahiyyaat ya’ni “‘abduhu
wa rasooluhu” tak padhi ja sake farz hai, aur qa’dah e akhirah mein
attahiyyaat puri padhni wajib hai, agar ek lafz bhi chhuta to sajda e sahw
wajib hai.

Mas’ala:

Qa’dah e akhirah mein baitha, phir ye ghumaan kiya ki ek rak’at baqi reh gayi
hai, khada ho gaya phir yaad aaya ki sab rak’atein puri ho gayi hain baith
gaya, aur dono bar ka baithna majmu’i taur par itna ho gaya jismein puri
attahiyyaat padhi ja sake to farz ada ho gaya, is soorat mein attahiyyaat agar
bhool gaya hai to sajda e sahw kare namaz ho jayegi, aur agar attahiyyaat ko
qasdan chhod diya to namaz lautani padegi sajda e sahw se kaam nahin
chalega.
85 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 86

(Bahaar E Shari’at J 3 pg. 73)

Qa’dah e akhirah sote mein guzar gaya:

Mas’ala:

Pura qa’dah e akhirah sote mein guzar gaya, to bedaari ke ba’d iska i’ada kare
ya’ni baqadre attahiyyaat baithe aur sajda e sahw bhi kare warna namaz hi na
hogi.

(Bahaar E Shari’at j 3, pg. 73)

Qa’dah e Akhirah mein nahin baitha khada ho gaya:

Mas’ala:

Qa’dah e akhirah mein nahin baitha balki bhool kar khada ho gaya to jab tak
is rak’at ka sajda nahin kiya hai yaad aate hi qa’dah mein laut aaye aur
attahiyyaat padh kar sajda e sahw kare phir tashah’hud waghaira padh kar
salam phere, aur agar sajda e sahw nahin kiya to namaz lautaye.

(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 74)

Baith kar Namaz padhne mein bhool

Qa’dah e akhirah mein tashah’hud bhool kar qira’at shuru kar di:

Mas’ala:

Kisi ne 4 rak’at wali namaz kisi uzr ki wajah se baith kar padhi aur qa’dah e
akhirah ke mauqe par tashah’hud padhna bhool gaya, aur qira’at shuru kar di.
Qira’at ke ba’d ruku bhi kar liya to is ka hukm khade hokar namaz padhne
wale ki tarah hai jo bhool kar chauthi rak’at ke ba’d khada ho jata hai. Lihaza
is soorat mein baith kar namaz padhne wale ne jab tak paanchwi rak’at ka
sajda nahin kiya hai, to yaad aane par tashah’hud padhe phir sajda e sahw
kare, namaz ho jayegi.

(Bahaar e Shari’at J 4, pg. 59)

Mas’ala:

Aur agar paanchwi rak’at ka sajda kar liya to namaz jati rahi, dobara padhe,
sajda e sahw se kaam nahin chalega.

(Bahaar e Shari’at J 4, pg. 59)

86 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 87

4 rak’ati namaz baith kar padhne wale ne qa’dah e ula mein qayaam ki
niyat ki:

Mas’ala:

4 rak’at namaz baith kar padhne wale ne dusri rak’at ke dusre sajde se sar
uthane ke ba’d qa’dah e ula ke niyat ki bajaye qayaam ki niyat ki, magar
qira’at shuru nahin ki to yaad aate hi tashah’hud padhe aur namaz puri kare,
sajda e sahw ki zarurat nahin.

(Bahaar e Shari’at J 4, pg. 59)

Mas’ala:

Aur agar qayaam ki niyat karke qira’at shuru kar di tab yaad aaya to qira’at
chhod kar tashah’hud na padhe balki 4 rak’at puri karke akhir mein sajda e
sahw kare, namaz ho gayi. Jo hukm khade hokar namaz padhne ka aur qa’dah
e ula chhut jane ka hai, wahi hukm iska hai.

(Bahaar e Shari’at J 4, pg. 59)

Mas’ala:

Qa’dah e akhirah bhool kar khada ho gaya aur 4 rak’at wali namaz mein
paanchwi rak’at ka sajda kar liya ya maghrib mein teesri par nahin baitha,
chauthi ka sajda kar liya yunhi fajr mein dusri par nahin baitha teesri ka sajda
kar liya to in sab sooraton mein farz baatil ho gaya namaz dobara padhe, sajda
e sahw se kaam nahin chalega, albatta maghrib ke siwa aur namazon mein ek
rak’at aur mila le iski ye namaz nafl ho jayegi.

(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 74; Fatawa Razaviyya J 3, pg. 668)

Maghrib mein 3 ke ba’d ek rak’at aur padh li hai to 4 ho gayi ab agar ek aur
milayega to 5 be-jod ho jayegi.

Baqadre tashah’hud baithne ke ba’d sajda e tilawat yaad aaya:

Mas’ala:

Qa’dah e akhirah mein attahiyyaat padhne ke miqdar baithne ke ba’d yaad


aaya ki sajda e tilawat ya namaz ka koi sajda karna bhool gaya hai, yaad aane
par agar wo sajda kar liya to farz hai ki sajda ke ba’d dobara ba-qadre
tashah’hud baithe, kyunki pehla qa’dah jata raha, is soorat mein is par sajda e
sahw wajib hai agar dobara qa’dah na karega to namaz na hogi.
87 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 88

(Bahaar E Shari’at J 3, pg. 74)

Sajda e sahw se Qa’dah baatil nahin hota:

Mas’ala:

Sajda e sahw karne se wo qa’dah jo sajda e sahw se pehle kiya hai wo baatil na
hua baqi rahta hai, magar dobara tashah’hud padhna wajib hai, agar sajda e
sahw karke baghair attahiyyaat padhe salam pher diya to farz ada ho gaya
magar wajib chhod dene se gunahgaar hua, aisi namaz ko lautana wajib hai.

(Durre Mukhtar; Bahaar E Shari’at J 3, pg. 74)

Agar bhool kar Salam pher diya aur abhi hurmat e namaz mein hain, ya’ni koi
aisa kaam nahin kiya jis se namaz tut jati hai to phir dobara sajda e sahw kare
aur attahiyyaat waghaira padh kar salam phere namaz ho jayegi.

WAllahu Ta’ala A’lam bis-sawab.

Qa’dah e akhirah mein tashah’hud bhool gaya ya tashah’hud ke bajaye


Alhamd padhi:

Mas’ala:

Qa’dah e akhirah mein attahiyyaat padhna bhool gaya, ya attahiyyaat ke


bajaye Alhamd sharif padh diya aur salam pher diya to yaad aate hi laute aur
attahiyyaat padh kar sajda e sahw karke namaz puri kare.

(Aalamgiri J 1, pg.66)

Jahan jahan Qa’dah e akhirah ka shub’ha ho wahan qa’dah karta jaye:

Mas’ala:

Kisi ko rak’aton mein shub’ha hua ki kitni hui to is soorat mein kam ko maan
kar jitni baqi reh gayi hai isko padhe, maslan ek aur do mein shak hua to ek
mane aur do aur teen mein shak hua to do mane aur teen aur aur chaar mein
shak hua to teen mane, jahan jahan qa’dah e akhirah ka shub’ha ho wahan
wahan qa’dah karta jaye aur aakhir mein sajda e sahw kare.

Maslan do rak’at wali namaz mein shak hua ki do hui ya ek, to ek maan le aur
qa’dah karke dusri rak’at padhe, kyunki mumkin hai ki yahi dusri rak’at ho,
yunhi 4 rak’at wali namaz mein shub’ha hua ki 4 hui ya 3, to 3 maan le aur
qa’dah kare phir chauthi ke liye khada ho aur ek rak’at puri kare phir qa’dah

88 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 89

karke sajda e sahw kare, kyunki shak ki soorat mein ye mumkin hai ki jis ko
ek maana hai wahi dusri ho,yunhi jisko 3 maane wahi chauthi ho aur 2 rak’ati
mein 2 par aur 4 rak’ati mein 4 par qa’dah farz hai.

Isliye jahan jahan qa’dah e akhirah ka shub’ha rak’at mein shub’ha ki wajah
se ho wahan wahan qa’dah karta jaye taaki farz ada ho jaye aur aakhir mein
sajda e sahw kare namaz ho jayegi.

(Fatawa Razaviyya J 3, pg. 668)

Qa’dah e akhirah mein durood aur dua e masura nahin padhi:

Mas’ala:

Kisi ne qa’dah e akhirah mein durood sharif aur dua e masura ya dono mein se
ek bhool kar ya qasdan nahin padha to is par sajda e sahw nahin, kyunki in
dono ka attahiyyaat ke ba’d qa’dah e akhirah mein padhna sunnat hai wajib
nahin, albatta qasdan chhodna sunnat ke khilaaf hai, aur durood sharif ka
qasdan tark karna sakht mahroomi hai.

Durood sharif do bar ya aadha padha:

Mas’ala:

Agar kisi ne qasdan qa’dah e akhirah mein durood sharif ek bar padhne ke
bajaye do bar padh liya ya aadha padha to is par sajda e sahw wajib nahin aur
agar aadha durood sharif padh kar bhoole se dua e masura shuru kar di phir
khayal aaya to iske liye behtar hai ki dua chhod kar pura durood sharif padhe
phir dua padhe phir salam phere magar is par sajda e sahw nahin hai.

(Shaami J 1, pg. 445)

Attahiyyaat aur durood ke ba’d sajda e sahw yaad aaya:

Mas’ala:

Kisi par sajda e sahw wajib tha attahiyyaat ke ba’d sajda e sahw karna yaad na
raha, durood sharif ya dua e masura padhne ke ba’d yaad aaya, to usi waqt
sajda e sahw kare, phir attahiyyaat waghaira padh kar salam phere.

(Aalamgiri J 1 pg. 66)

Qa’dah e akhirah mein Salam se pehle kuchh sochta raha:

89 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 90

Mas’ala:

Qa’dah e akhirah mein attahiyyaat, durood sharif aur dua e masura padh lene
ke ba’d salam nahin phera balki khaamosh kuchh der tak sochta raha to is par
sajda e sahw wajib nahin.

(Shaami J 1 pg. 445)

Khurooj e bi-sun’ihi

Namaz ka aakhri farz “khurooj e bi-sun’ihi” hai, “khurooj e bi-sun’ihi” ka


matlab ye hai ki qa’dah e akhirah pura karne ke ba’d namazi apne qasd aur
irade se salam o kalam waghaira aisa kaam kare jo namaz ke munafi ho, ya’ni
agar wo kaam namaz ke andar kiya jata to namaz tut jati jaise namaz ke andar
“assalamu alaykum” kehna.

Khayaal rahe ki salam ke alawa koi aisa kaam namazi ne apne qasd o irade se
kiya jo namaz ko tod de to namaz ka farz ada ho jayega, magar namaz wajib ul
iadah hogi, ya’ni salam ke bajaye kalam kar liya ya qah-qaha laga kar hansa ya
kuchh kha pi liya to namaz lautani padegi, kyunki qa’dah e akhirah pura
karke “As-salam” kehna wajib hai, jisko jaan-bujh kar chhod diya hai, is liye
namaz lautani wajib hai, sajda e sahw se kaam nahin chalega, iski wajah ye
hai ki hurmat e namaz kalam waghaira kar lene se jati rahi, to ab sajda e
sahw ka mauqa o mahal bhi baqi na raha.

(Khulasa Aammah kutub)

Namaz e Witr mein sahw

Witr ki 3 raka’t namaz e Isha ki namaz ke ba’d padhni wajib hai, chunki ye
namaz dusri namazon se qadre mukhtalif hai, kyunki witr mein dua e qunoot
aur dua e qunoot se pehle takbir “Allahu Akbar” kehna wajib hai, is liye iske
masail e sajda e sahw ko alag se bayaan kar dena munasib malum hua.

Khayal rahe ki witr wajib hai, agar kisi ne sahwan ya qasdan na padha to
dusre waqt mein iski qaza wajib hai.

(Ammah Kutub)

Witr mein qa’dah e ula bhool gaya:

Mas’ala:

90 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 91

Witr ki namaz 3 rak’at hai, ismein bhi qa’dah e ula (2 rak’at par baqadre
tashah’hud baithna) wajib hai, sirf attahiyyaat padh kar khada ho jaye, durood
sharif waghaira na padhe, jaise maghrib ki namaz mein karte hain waise hi
kare aur agar qa’dah e ula bhool kar khada ho gaya to yaad aane par laute
nahin aakhir mein sajda e sahw kare namaz ho jayegi.

(Shaami J 1, pg. 623; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 4)

Mas’ala:

Witr ke qa’dah e ula mein attahiyyaat bhool gaya ya attahiyyaat ke ba’d durood
sharif padh liya to is par sajda e sahw wajib hai.

(Shaami J 1, pg. 648)

Takbir aur Qunoot bhool kar ruku mein chala gaya:

Mas’ala:

Witr ki namaz mein agar koi shakhs teesri rak’at mein takbir e qunoot aur dua
e qunoot bhool kar ruku mein chala gaya,phir yaad aane par laut aaya, aur
takbir keh kar dua e qunoot padhi to ba’d mein dobara ruku na kare pehla
ruku kaafi hai,aur namaz puri kare, ya phir bhool se dobara ruku kar liya, ya
dua e qunoot ke liye nahin lauta aur hukm yahi hai ki na laute, jab bhi namaz
ho gayi, magar in sab sooraton mein is par sajda e sahw wajib hai.

(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami J 1, pg. 627)

Mas’ala:

Agar jaan-bujh kar dobara ruku kiya to namaz dobara lautani padegi sajda e
sahw se kaam nahin chalega.

(Fatawa Razaviyya J 3, pg. 669)

Imam ne bhool kar qunoot padhe baghair ruku kar diya aur muqtadi ne
luqma diya:

Mas’ala:

Agar imam bhool kar dua e qunoot padhe baghair ruku mein chala gaya, aur
muqtadi ne luqma diya to muqtadi ki namaz faasid ho jayegi, aur agar imam
ne luqma qubool kar liya aur phir qunoot padhne ke liye khada ho gaya to

91 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 92

imam aur aur tamam muqtadiyon ki namaz faasid ho jayegi, dobara padhein
sajda e sahw se kaam na chalega.

(Fatawa E Razaviyya J 3, pg. 64)

Tanbeeh:

Imam Qunoot bhool kar ruku mein chala gaya to muqtadiyon ko luqma dena
jaiz nahin, log is mas’le se ghaafil hain.

Dua e qunoot surah Fatiha ke ba’d padhi aur surah milana bhool gaya:

Mas’ala:

Agar kisi ne witr ki teesri rak’at mein Alhamd padh kar dua e qunoot padh li
aur Alhamd ke ba’d surah milana bhool gaya, aur ruku mein chala gaya, to
zaruri hai ki ruku se khada ho kar surah milaye, phir dua e qunoot padhe,
phir dobara ruku kare aur aakhir mein sajda e sahw kare.

(Shaami J 1, pg. 627)

Witr ki aakhri rak’at mein Alhamdu bhool gaya:

Mas’ala:

Witr ki aakhri rak’at mein Alhamdu padhna bhool gaya aur surah padh li to is
par sajda e sahw wajib hai, agar ruku mein yaad aaya to laute, pehle surah
Fatiha padhe, phir surah milaye aur qunoot padh kar phir ruku kare aur
aakhir mein sajda e sahw kare.

(Aalamgiri J 1, pg. 65)

Dua e Qunoot chhod kar imam ruku mein chala gaya to muqtadi kya
kare?

Mas’ala:

Ramzan Sharif mein jab witr ki namaz jama’at se padhe us waqt imam dua e
qunoot chhod kar ruku mein chala gaya, to agar muqtadi dua e qunoot padh
kar imam ke sath ruku mein shareek ho sakta hai to padh kar ruku mein
shareek ho jaye, aur agar ruku chhutne ka andesha hai to baghair dua e
qunoot padhe ruku mein chala jaye, agar imam ko yaad aaya ki qunoot bhool
gaya hai aur khade ho kar padh li to dobara ruku karne ki zarurat nahin,
pehla ruku kaafi hai, bahr soorat is par sajda e sahw wajib hai.

92 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 93

(Aalamgiri; Shaami; Bahaar E shari’at J 4, pg.7)

Witr ki ruku mein shak hua ki kitni hui:

Mas’ala:

Witr mein shak hua ki ye pehli rak’at hai ya dusri ya teesri hai to us rak’at
mein bhi dua e qunoot padhe, aur qa’dah kare, iske ba’d 2 rak’atein aur padhe,
aur har rak’at mein dua e qunoot bhi padhe aur qa’dah kare, aur aakhir mein
sajda e sahw kare.

(Durre Mukhtar; Aalamgiri; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 7)

Mas’ala:

Yunhi agar ye shak hua ki ye dusri rak’at hai ya teesri to dono mein dua e
qunoot padhe aur qa’dah kare aur aakhir mein sajda e sahw kare.

(Durre Mukhtar; Aalamgiri; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 7)

Dua e Qunoot pehli ya dusri mein padh li:

Mas’ala:

Agar kisi ne dua e qunoot witr ki pehli rak’at mein ya dusri rak’at mein padh li,
to teesri mein phir padhe yahi raajeh hai, aur aakhir mein sajda e sahw kare.

(Ghuniya; Bahrur Raiq; Bahaar E Shari’at J 4, pg.7)

Ba’az Ulama ne farmaya hai ki jab dua e qunoot witr ki pehli ya dusri mein
padh li hai to ab teesri mein na padhe sirf aakhir mein sajda e sahw kare
namaz ho jayegi.

(Tahtawi pg. 166)

Dua E Qunoot buland awaaz se padhi:

Mas’ala:

Agar kisi ne witr ki namaz mein dua e qunoot buland awaaz se padhi to is par
sajda e sahw wajib nahin, sunnat ke khilaaf hai.

Masbooq imam ke sath qunoot padhe:

93 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 94

Masbooq us muqtadi ko kehte hain jo imam ke sath jama’at mein pehli rak’at
ke ruku ke ba’d kabhi bhi shaamil hua hai.

Mas’ala:

Ramzan sharif mein agar koi shakhs imam ke sath witr ki dusri ya teesri rak’at
mein aakar shareek hua to dua e qunoot imam ke sath padhe aur agar teesri
rak’at ke ruku mein mila to ba’d mein jab chhuti hui rak’at padhega to us mein
dua e qunoot padhne ki zarurat nahin hai.

(Aalamgiri; Bahaar E Shari’at j 4, pg. 7)

Mas’ala:

Agar ruku ke ba’d teesri rak’at mein shareek hua to phir ba’d mein dua e
qunoot padhe.

WAllahu Ta’ala A’lam.

Dua e Qunoot ke bajaye dusri dua padhi:

Mas’ala:

Agar kisi ne dua e qunoot ke bajaye dusri dua padhi jo hamd o sana par
mushtamil hai, to wajib ada ho jayega sajda e sahw ki zarurat nahin, kyunki
khaas isi dua e qunoot ka padhna sunnat hai wajib nahin.

(Fatawa Razaviyya J 3, pg. 488)

Mas’ala:

Agar dua e qunoot yaad na ho to yaad kar lena chahiye aur jab tak yaad na ho
“Allahumma Rabbana Aatina fid-dunya hasanataw wa fil aakhirati hasanataw
wa qina azaaban-naar” padh liya kare, agar ye bhi yaad na ho to 3 bar
“Allahummagh-firli” keh liya kare, ye bhi na aaye to “Ya Rabbu Ya Rabbu” 3
bar keh le, wajib ada ho jayega, Sajda e sahw ki zarurat nahin.

(Fatawa Razaviyya J 3, pg. 488)

Dua e qunoot ki jagah surah Ikhlaas padha:

Mas’ala:

94 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 95

Agar kisi ne witr mein bajaye dua e qunoot padhne ke “Qul huwallahu” sharif
padh diya to wajib ada ho jayega ki ye bhi sana par mushtamil hai aur har
sana dua hai.

(Fatawa Razaviyya J 3, pg. 488)

Eidain ki zayed takbiron mein sahw

Dusri namazon ke bar-khilaaf Eid aur Baqr Eid ki namazon mein 6 zayed
takbirein wajib hain, agar in mein se ba’az ya kul chhut gayi to wajib chhut
jayega.

Eidain ki sab ya ba’az takbirein bhool gaya:

Mas’ala:

Eidain ki sab wajib takbirein ya ba’az bhool gaya to sajda e sahw wajib hai.

(Aalamgiri; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 53)

Takbir e Eidain 6 se zayed ya ghair mahal mein kahi:

Mas’ala:

Agar Eidain ki namaz mein imam ne 6 takbiron se zyada keh daali ya ghair
mahal mein kahi to sajda e sahw wajib hai.

(Aalamgiri; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 53)

Eidain ki zayed takbirein chhod kar imam ruku mein chala gaya:

Mas’ala:

Imam Eidain ki namaz mein zayed takbirein bhool gaya aur ruku mein chala
gaya, to yaad aate hi laute, aur khada ho kar takbirein kahe aur phir ruku aur
sajde kare namaz ho jayegi, magar is soorat mein sajda e sahw wajib hoga.

(Shaami J 1, pg. 782)

Imam Eidain mein dusri rak’at ki takbir e ruku bhool gaya:

Mas’ala:

95 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 96

Agar imam eidain ki namaz mein dusri rak’at mein ruku mein jate huye takbir
kehna bhool gaya to sajda e sahw wajib hai, aur rak’at ki takbir bhoola to
nahin.

(Aalamgiri; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 53)

Tanbeeh:

Juma’aur Eidain ki namaz mein sahw hua, aur hujum zyada hai to behtar ye
hai ki sajda e sahw na kare.

(Aalamgiri; Raddul Muhtar; Bahaar E Shari’at J 4, pg. 53)

Salatut-Tasbeeh

Salatut-tasbeeh ki fazilat:

Is namaz ko salatut-tasbeeh isliye kehte hain ki ismein har rak’at mein 75 bar
tasbeeh padhi jati hai, is namaz mein be-inteha sawab hai, Ulama e Kiram
Ridwanullahi Ta’ala Alaihim farmate hain ki is namaz ki azmat o buzurgi
sunne ke ba’d koi deendar musalman isko chhod hi nahin sakta, agar koi isko
nahin padhta to wo deen ke muamle mein bahut susti aur kaahili karne wala
hoga.

Hadith:

Hadith Sharif mein hai ki Huzur E Akram Sayyid E Aalam SallAllahu Ta’ala
Alaihi wa Sallam ne apne chacha Hazrat e Abbas Radi Allahu Ta’ala Anhu se
ek roz irshad farmaya ki:

“Aye Chacha kya main aap ko kuchh ata na karu?

Kya main aap ko bakhshish na karu?

Kya main aap ko kuchh na du?

Kya aap ke sath ehsaan na karu? ”

Iske ba’d farmaya ki:

“ 10 khaslatein aisi hain ki jab aap inko karein to Allah Ta’ala aap ke agle
pichhle chhote bade,naye puraane poshida zaahir sab gunah bakhsh dega,
bhool kar kiya ho ya jaan-bujh kar kiya ho.”

96 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 97

Is irshad ke ba’d Huzur E Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa sallam ne


“Salatut-tasbeeh” padhne ka tareeqa bayaan farmaya.

Salatut-Tasbeeh ka tareeqa

Tirmizi Sharif mein Hazrat e Sayyiduna Abdullah bin Mubarak Radi Allahu
Ta’ala Anhu ki riwayat mein Salatut-tasbeeh ka jo tareeqa mazkur hai wo ye
hai ki sab se pehle 4 rak’at Salatut-tasbeeh ki niyat karke Takbir E Tahreema
“Allahu Akbar” keh kar hasbe dastoor hath bandh le phir “Sub’hanaka
Allahumma wa bihamdika wa tabaarakas-muka wa ta’ala jadduka wala ilaha
ghairuka” padhe phir ye tasbeeh “Sub’han Allahi walhamdulillahi wala ilaha
illal-lahu wallahu akbar” 15 bar padhe, iske ba’d auzubillah phir bismillah aur
Alhamd sharif aur koi surah padh kar 10 bar yahi tasbeeh padhe phir ruku
kare, ruku mein “Sub’hana Rabbiyal Azeem” 3 martaba padhne ke ba’d 10 bar,
phir ruku se sar utha kar jab khada ho 10 bar,phir sajde mein jakar “Sub’hana
Rabbiyal A’la” ke ba’d 10 bar, phir sajde se sar utha kar jab baithe us waqt 10
bar, phir dusra sajda kare ismein bhi 10 bar yahi tasbeeh padhe, yunhi 4
ra’kat padhe, is tarah har rak’at mein mein 75 aur charon mein 300 tasbeeh
huyi.

Mas’ala:

Pehli rak’at puri karne ke ba’d jab dusri rak’at ke liye khada ho to pehle 15 bar
isi tasbeeh ko padhe phir bismillah ke ba’d alhamd waghaira hasbe saabiq
padh kar dusri rak’at puri kar ke qa’dah e ula kare, qa’dah e ula mein
attahiyyaat aur durood sharif waghaira padhe aur salam phere baghair teesri
rak’at ke liye khada ho jaye, ab teesri rak’at mein pehle sana padhe, phir
tasbeeh 15 bar padhe iske ba’d auzubillah, bismillah waghaira hasbe saabiq
ma’ tasbeeh padh kar 4 rak’at puri karke salam phere.

Salatut-tasbeeh mein sahw hua:

Mas’ala:

Agar kisi ko salatut-tasbeeh mein sajda e sahw wajib hua to sahw ke dono
sajdon mein ye tasbeeh na padhi jayegi.

(Raddul Muhtar; Bahaar E Shari’at pg.28, J 4)

Kisi jagah tasbeeh bhool gaya ya kam padh di to kya kare:

Mas’ala:

97 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 98

Agar kisi jagah tasbeeh padhna bhool gaya, ya 10 se kam padhi to iske ba’d
dusri jagah padh le ki tasbeeh ki ta’dad puri ho jaye aur behtar ye hai ki jab is
ke ba’d tasbeeh padhne ka dusra mauqa aaye wahin padh le jaise qayaam ki
tasbeeh ruku mein padhe magar ruku ki tasbeeh qauma mein na padhe sajde
mein padhe kyunki qauma ki miqdar thodi hoti hai yunhi pehle sajda mein
bhoola to jalsa mein nahin balki dusre sajda mein kahe bahr soorat is par
sajda e sahw nahin.

(Mustafaad az Aalamgiri pg. 65, J 1)

Masbooq aur laahiq par sajda e sahw ke masail

Muqtadiyon ke qismein:

Imam ke pichhe namaz padhne wale kayi tarah ke hote hain, muqtadiyon ki
pehli qism un logon ki hai jo imam ke sath pehli rak’at se aakhir tak jama’at
mein shareek rahe aise muqtadiyon ko “Mudrik” kehte hain. Dusri qism un
logon ki hai jo pehli rak’at ke ruku ke ba’d imam ke sath jama’at mein aakar
shaamil huye aur aakhir tak rahe aise muqtadiyon ko “Masbooq” kehte hain.
Teesri qism un logon ki hai jo awwal aur aakhir imam ke sath namaz mein
shareek hon aur bich ki ek do rak’at kisi uzr se chhut gayi maslan kisi ka wazu
tut gaya aur wazu karne mein isko itni der ho gayi ke imam ne ek do rak’at
padh li, phir aakar wo imam ke sath baqiya namaz mein shareek hua aise
muqtadi ko “Laahiq” kehte hain. Chauthi qism aise muqtadi ki hai jo ek rak’at
ke ba’d imam ke sath namaz mein shaamil huye phir wazu tutne ki wajah se
wo wazu karne chala gaya, jab wazu karke aaya to imam ek do rak’at padh
chuka tha, phir usne baqi namaz imam ke sath padhi, aise muqtadi ko
“Masbooq e Laahiq” kehte hain. Masbooq, Laahiq aur Mudrik ya’ni imam ke
sath puri namaz mein shareek rehne wale aur awwal ta aakhir jama’at mein
shareek na rehne wale muqtadiyon ke darmiyaan sajda e sahw ke masail mein
thoda bahut farq hai isliye isko alag bayaan kar diya gaya hai.

Masbooq imam ke sath sajda e sahw kare:

Mas’ala:

Masbooq imam ke sath sajda e sahw kare khwah imam ko sahw iske namaz
mein shareek hone se pehle ya ba’d mein hua ho, aur agar imam ke sath sajda
e sahw nahin kiya aur apni chhuti hui namaz padhne khada ho gaya to aakhir
mein sajda e sahw kare namaz ho jayegi, aur agar is masbooq se iski chhuti

98 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 99

hui namaz mein sahw ho gaya to aakhir mein jo sajda e sahw karega wo donon
ke liye kaafi hai.

(Aalamgiri pg. 87, J 1; Bahaar E Shari’at; Raddul Muhtar)

Masbooq sahw ka salam imam ke sath na phere:

Mas’ala:

Jab imam sajda e sahw ke liye salam phere to masbooq salam na phere sirf
sajda e sahw imam ke sath kare, agar jaan bujh kar salam pherega to namaz
jati rahegi, aur agar bhool kar phera aur iska salam bila waqfa imam ke sath
pura hua to is par dobara sajda e sahw nahin aur agar kuchh der karke phera
to khade hone ke ba’d apni namaz puri karke dobara sajda e sahw kare.

(Raddul Muhtar; Bahaaar E Shari’at pg. 55 J 4)

Masbooq ne Imam ke sath dono taraf salam pher diya phir yaad aaya:

Mas’ala:

Kisi masbooq ne bhool kar imam ke sath dono taraf salam pher diya, phir kisi
ke yaad dilane par fauran khada ho gaya to iski namaz faasid ho gayi, aur agar
kuchh der thehar kar ya khud yaad aane par khada hua to iski namaz ho
jayegi, magar is par sajda e sahw wajib hai.

(Shaami pg.533, J 1)

Masbooq ko apni chhuti hui rak’aton mein sahw ho gaya:

Mas’ala:

Masbooq ne apni chhuti hui rak’aton mein bhool kar koi wajib tark kar diya to
is par sajda e sahw wajib hai.

(Shaami pg. 557, J 1)

Masbooq ne Maghrib ki 2 chhuti hui rak’aton ke darmiyan qa’dah nahin


kiya:

Mas’ala:

Kisi ko Maghrib ki namaz Imam ke sath ek rak’at mili aur 2 rak’atein chhut
gayi to Imam ke salam pherne ke ba’d apni 2 rak’atein is tarah puri kare ki

99 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 100

dono rak’aton ke darmiyan qa’dah e ula nahin kiya, to is par sajda e sahw
wajib hai aur agar sajda e sahw nahin kiya to namaz dobara padhni zaruri hai.

(Shaami pg. 695, J 1)

Masbooq Imam ke sajda e sahw karne ke ba’d jama’at mein shaamil hua:

Mas’ala:

Kisi Imam par sajda e sahw wajib tha usne qa’dah e akhirah mein sajda e sahw
kar liya iske ba’d attahiyyaat padhne ki haalat mein kisi masbooq ne Imam ki
iqteda ki ye iqteda durust aur sahi hai aur ba’d mein iske zimme sajda e sahw
nahin.

(Raddul Muhtar bar hashiya Shaami pg. 526, J 1)

Masbooq sajda e sahw ke dusre sajde mein shareek hua:

Mas’ala:

Imam par sajda e sahw wajib tha is liye usne sajda e sahw kiya, jab dusre
sajde mein tha us waqt kisi ne aakar Imam ki iqteda ki ya’ni sajde mein imam
ke sath shaamil hua to pehle sajde ki qaza us masbooq ke zimme nahin.

(Aalamgiri pg. 66, J 1)

Masbooq sahw ke Salam ko aakhri salam samajh kar khada ho gaya:

Mas’ala:

Imam par sajda e sahw tha us ne sajda e sahw ke liye salam phera masbooq ne
isko namaz ka aakhri salam samajh liya aur apni chhuti hui namaz ada karne
ke liye khada ho gaya aur Imam ke sath sajda e sahw nahin kiya to masbooq
se sajda e sahw saaqit nahin hoga, isko akhir mein sajda e sahw karna zaruri
hai.

(Aalamgiri J 1, pg. 66)

Imam ne salam pher kar kuchh der ba’d sajda e sahw kiya to masbooq kya
kare:

Mas’ala:

Kisi Imam par sajda e sahw wajib tha aur use yaad na raha aur dono taraf
aakhri salam pher diya aur masbooq apni chhuti hui namaz padhne ke liye

100 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 101

khada ho gaya itne mein imam ko yaad aaya ki mujh par sajda e sahw karna
wajib tha lihaza fauran sajda e sahw mein chala gaya to is soorat mein
masbooq ko chahiye ki agar isne is rak’at ka abhi sajda nahin kiya hai to laut
aaye aur imam ke sath sajda e sahw kare, phir jab imam aakhri salam phere to
ye apni baqiya namaz puri kare aur is darmiyan mein masbooq ne jo qayaam,
qira’at aur ruku ada kiya hai inka shumaar nahin kiya jayega, sab ka la’dam
qarar payenge aur agar laut kar imam ke sath sajda e sahw nahin kiya jab bhi
iski namaz durust ho jayegi magar is soorat mein is par akhir mein sajda e
sahw karna wajib hoga albatta masbooq ne agar is raka’t ka sajda kar liya hai
to na laute agar lautega to iski namaz faasid ho jayegi.

(Aalamgiri J 1, pg. 66)

Masbooq ne Imam ke sath sajda kiya phir us ko khud sahw ho gaya:

Mas’ala:

Masbooq ne Imam ke sath sajda e sahw kiya phir apni chhuti hui namaz jab
padh raha tha ismein koi sahw ho gaya to dobara akhir mein is par sajda e
sahw karna wajib hai.

(Mabsoot Lilsarkhasi J 1, pg. 229)

Masbooq ne bhool kar salam pher diya aur dua bhi maang li phir yaad
aaya:

Mas’ala:

Masbooq ne bhool kar Imam ke sath salam pher diya phir hath utha kar Arabi
mein dua bhi maang li phir use yaad aaya ki mujhe kuchh rak’at padhni baqi
hai aur dua ke alawa koi baat chit manafi e namaz chiz nahin payi gayi to
fauran khada ho jaye aur chhuti hui namaz puri kare aur aakhir mein sajda e
sahw kare namaz ho jayegi.

(Shaami J 1, pg. 560)

Masbooq ne zayed rak’at mein imam ki iqteda ki:

Mas’ala:

Koi shakhs Maghrib ki namaz mein imam ke sath aakhari qa’dah mein shareek
hua aur usko ilm bhi hai ki qa’dah e akhirah hai magar imam ko shak ho gaya
ki shayad ye qa’dah e ula hai, isliye imam ek rak’at aur padhne ke liye khada

101 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 102

ho gaya to masbooq agar is zayed rak’at mein imam ke sath shareek ho gaya to
iski namaz faasid ho jayegi.

(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami J 1, pg. 560)

Is soorat mein masbooq ko apni chhuti hui namaz puri karne ke liye khade ho
jana chahiye.

Masbooq qa’dah e akhirah mein imam ke sath sirf attahiyyaat padhe:

Mas’ala:

Imam ke pichhe masbooq ko chahiye ki attahiyyaat padhe aur khoob thehar


thehar kar padhe ki imam ke salam pherne tak attahiyyaat khatm ho aur agar
imam ke salam pherne se pehle attahiyyaat puri kar li to is ko ikhtiyar hai ki
khaamosh baitha rahe ya “Ash’hadu alla ilaha illal lahu wa ash’hadu anna
Muhammadan ‘abduhu wa rasooluhu” padhe aur chahe to puri attahiyyaat
dobara padhe.

(Kabeeri J 1, pg. 441)

Masbooq ne qa’dah e akhirah mein imam ke sath durood sharif padh liya:

Mas’ala:

Masbooq ne imam ke pichhe qa’dah e akhirah mein attahiyyaat ke ba’d durood


sharif padha to ba’d mein is par sajda e sahw wajib nahin hai.

(Kabeeri J 1, pg. 441)

Salam se zara pehle shareek hua to attahiyyaat padh kar uthe:

Mas’ala:

Imam dahini taraf salam pherne wala tha ki masbooq aakar imam ke sath
qa’dah mein shaamil hua to imam ke salam pherte hi fauran khada na ho balki
puri attahiyyaat padh kar uthe.

(Shaami J 1, pg. 463)

Tanbeeh:

Agar takbir e tahreema keh kar khada hi tha ya baithne ja raha tha ki imam ne
“As-salam” ka lafz keh diya to uski ye namaz na hogi alag se padhe.

102 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 103

Imam ke “As-salam” keh dene ke ba’d masbooq shareek hua:

Mas’ala:

Agar koi imam ke pehle salam pherte waqt shareek hua ya’ni “as-salam” ki
“meem” ke ba’d aur “alaykum wa rahmatullah” se pehle shareek hua to iqteda
sahi na hui kyunki salam ki “meem” par namaz khatm ho jati hai is liye wo
shakhs apni namaz alheda padhe aur dobara takbir e tahreema bhi kare.

(Shaami J 1, pg. 436)

Masbooq witr ki teesri rak’at mein shareek hua:

Mas’ala:

Ramzan sharif mein agar koi witr ki namaz mein teesri rak’at mein shareek
hua aur teesri rak’at pa li, ya ruku mein shareek hua hai to dono sooraton
mein ise ba’d mein dua e qunoot padhne ki zarurat nahin aur agar ruku ke
ba’d shareek hua to akhir mein dua e qunoot padhe.

(Maraqil Falaah pg. 225)

Masbooq sana kab padhe:

Mas’ala:

Masbooq ke liye ye hukm hai ki jab wo apni chhuti huyi rak’at padhne ke liye
khada ho to us waqt sana padhe, jis waqt jama’at mein shareek hua hai agar
imam buland awaaz se qira’at kar raha hai to sana na padhe aur agar aahista
padh raha hai to padh sakta hai aur agar ruku ya sajda mein shareek ho aur
mauqa hai to takbir e tahreema ke ba’d hi padh lena chahiye.

(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami J 1, pg. 456)

Imam musafir hai aur masbooq muqeem to baqiya namaz kis tarah padhe?

Mas’ala:

Imam musafir hai aur muqeem 4 rak’at wali namaz mein imam ke sath us
waqt shareek hua jab ki imam ki ek rak’at ho chuki thi to muqeem masbooq
imam ke sath ek rak’at padh kar imam ke sath baithega, imam ke salam ke
ba’d khada hokar apni 3 rak’at chhuti hui namaz ko is tarah ada kare ki pehli
rak’at bila qira’at khaamosh ada kare, aur ruku o sajda karke qa’dah kare phir
attahiyyaat padh kar khada ho jaye aur dusri rak’at bhi bila qira’at khaamosh

103 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 104

ada kare, ruku o sajda kare, is rak’at mein bhi qa’dah kare aur attahiyyaat
padh kar teesri rak’at ke liye khada ho to ab teesri mein fatiha padh kar surah
milaye aur ruku o sajda karke qa’dah e akhirah kare.

Is qa’dah mein attahiyyaat ke ba’d durood sharif aur dua e masura padhe phir
salam phere, is tarah chaaron rak’at ke ba’d qa’dah karna hai, in mein 3 pehle
qa’de wajib hain, chautha farz hai, lihaza teenon mein se agar ek bhi bhoole se
chhut gaya to sajda e sahw wajib hoga, aur agar qasdan chhoda to namaz
dobara padhni padegi, agarche chautha qa’dah chhut gaya khwah qasdan
khwah bhool kar to bahar-haal namaz faasid ho gayi dobara padhni farz hai,
yunhi maghrib ki namaz mein koi shakhs teesri rak’at mein shareek hua to
imam ke salam ke ba’d jab apni chhuti hui padhega to pehli rak’at par qa’dah
karega phir dusri rak’at par qa’dah e akhirah karega aur salam pherega, is
mein bhi teen rak’atein aur teen qa’ade huye, in mein qa’dah e akhirah farz hai
aur 2 pehle wale wajib hain, in dono mein se ek imam ka sath ada kar liya hai
in mein se agar dusra qa’dah bhool gaya to sajda e sahw wajib hai, aur teesra
bhoola to namaz lautani padegi.

Musafir Imam ke pichhe muqeem misl e masbooq ke hai:

Mas’ala:

Kisi muqeem ne 4 rak’at wali namaz aise imam ke peeche padhi jo musafir hai
to imam ke salam pherne ka ba’d jab ye apni rak’at padhne ke liye khada ho to
dono rak’aton ko bila qira’at khaamosh ada kare jaise imam ke peechhe
khaamosh khada rahta hai aur agar isko apni chhuti hui namaz mein sahw ho
gaya to is par sajda e sahw wajib hai jaise masbooq par, aur agar is ko ek
rak’at mili hai to apni 3 rak’atein padhte waqt pehli 2 rak’at bila qira’at
khaamosh ada kare aur aakhri rak’at qira’at ke sath ada kare.

(Shaami pg. 55; Aalamgiri pg. 66, J 1)

Laahiq Imam ke sath sajda e sahw na kare:

Mas’ala:

Laahiq jo ke awwal o aakhir imam ke sath namaz mein shareek raha magar
wazu tutne ki wajah se bich ki ek do rak’atein iski chhut gayi hon, to aise
shakhs ke liye hukm ye hai ki wo imam ke sath sajda e sahw na kare, imam
jab tak sajda e sahw aur salam mein mashgul rahe wo chup chap qa’de ki
haalat mein baitha rahe, jab apni chhuti hui namaz ada kare to akhir mein

104 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 105

sajda e sahw kare, agar imam ke sath sajda e sahw kar liya to phir akhir mein
dobara sajda e sahw kare warna namaz na hogi.

(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami pg. 716, J 1; Fatawa Razaviyya pg. 665, J
3)

Laahiq apni namaz kis tarah puri kare:

Mas’ala:

Ek shakhs imam ke sath pehli rak’at se shareek raha bich mein iska wazu tut
gaya wo fauran wazu karne ke liye gaya, jab wazu karke aaya aur imam us
waqt teesri rak’at ya qa’dah e akhirah mein hai to wo pehle apni chhuti hui
namaz ko puri karega aur ismein qira’at nahin karega khaamosh rahega, phir
agar imam ki namaz khatm nahin hoti hai to imam ke sath namaz mein
shareek hokar baqiya arkaan purey kare, agar wo imam ke sath apni chhuti
hui namaz ko ada kiye baghair shaamil ho gaya to imam ke salam pherne ke
ba’d apni chhuti hui rak’at bila-qira’at puri kare iski namaz ho jayegi.

(Durre Mukhtar bar hashiya Shaami pg. 556, J 1)

Laahiq ko wazu ke waqt shak hua aur kuchh der sochta hua thehra raha:

Mas’ala:

Agar kisi ko namaz mein hadas hua ya’ni wazu tut gaya aur wazu karne ke liye
gaya, jaane ke ba’d usko shak hua ki wazu tuta hai ya nahin, isi soch mein der
tak thehra raha phir wazu kiya, is par sajda e sahw wajib hai.

(Aalamgiri pg. 66, J 1)

Ta’deel e arkaan aur sajda e sahw

Ta’deel e arkaan:

Namaz ke har rukn ko itminaan o sukoon se ada karne ko ta’deel e arkaan


kehte hain. Namaz mein ta’deel e arkaan wajib hai, ya’ni har rukn, ruku,
sajda, qauma (ruku ke ba’d seedha khada hona) jalsa (2 sajdon ke darmiyan
seedha baithna) mein kam se kam itni der theharna wajib hai jitni der mein ek
bar “Sub’han Allah” kaha ja sake, ise ta’deel e arkaan kehte hain.

Bahut se log namaz padhte waqt ta’deel e arkaan ka bilkul khayaal nahin
rakhte, ruku aur sajda waghaira mein bahut jaldbaazi karte hain, niyat
baandhte der nahin hoti ke fauran ruku mein chale gaye, ruku mein jate der
105 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 106

nahin lagi jhat se sar utha liya, abhi seedhe khade bhi na huye ke sajde mein
sar de maara, sajde se baalisht bhar sar uthaya nahin dusre sajde mein chale
gaye, Al-‘ayaz billahi ta’ala.

Is tarah se padhi hui namazein akaarat aur barbaad ho gayi, un par sawaab ki
ummeed rakhna ‘abas hai, balki is tarah namaz padhna sakht mahroomi aur
gunaah hai, aise namazi ko hadees e pak mein Huzur Sayyid E Aalam
SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Sallam ne namaz ka chor farmaya hai. Is liye
musalmano ko chahiye ki is tarah apni namazon ko barbaad na karein aur
ta’deel e arkaan ko sahi dhang se ada karne ki aadat dalein.

Ta’deel e arkaan bhool gaya to sajda e sahw wajib hai:

Mas’ala:

Agar kisi ka ta’deel e arkaan bhool kar chhut gaya to is par sajda e sahw wajib
hai.

(Bahaar E Shari’at pg. 51, J 4)

Ta’deel e arkaan aadatan ya jaan-bujh kar ada nahin kiya:

Mas’ala:

Agar kisi ne jaldi jaldi namaz padhne ki aadat bana li hai ke ta’deel e arkaan
ada nahin hota ya jaan-bujh kar ta’deel e arkaan ko ada nahin karta to in
dono sooraton mein namaz wajib ul ‘iadah hai, ya’ni namaz lautani padegi.

Namaz mein padhi jaane wali duayein aur tasbeehaat ma’ istalahaat:

Takbir E tahreema:

“Allahu Akbar”

Tarjuma: Allah sab se bada hai!

Sana’:

106 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 107

“Sub’hanaka Allahumma wa bihamdika wa tabaarakas-muka wa ta’ala


jadduka wala ilaha ghairuk.”

Tarjuma:

Aye Allah Tu Paak hai, aur main Teri hamd karta hoon, Tera naam barkat wala
hai, aur Teri azmat buland hai, aur Tere siwa koi Ma’bud nahin.

Ta’auz:

A’uzubillahi minash-shaitaanir-rajeem

Tarjuma:

Allah ki panaah maangta hoon, mardood shaitaan se.

Tasmiyah:

Bismillahir-Rahmanir- Raheem: Allah ke naam se shuru jo bada meherbaan,


raham farmane wala.

Surah Fatiha:

Tarjuma:

Tamam khoobiyaan Allah ke liye jo tamam jahanon ka paalne wala, bada


meherbaan, raham farmane wala, qayamat ke din ka maalik.

107 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 108

Aye Allah! Hum Teri hi ibadat karein aur Tujhi se madad chahein, humein
seedha raasta chala, un logon ka raasta jin par Tu ne ehsaan farmaya, na
(unka raasta) jin par Tera ghazab hua aur na gumraahon ka.

Ta’meen: Ya’ni Aameen kehna, iska matlab ye hai ki Aye Allah! Humari dua
qubool farma.

Zamm e surah: Ya’ni Alhamd Sharif aur aameen waghaira ke ba’d koi surah
milana ya kisi surah mein se 3 chhoti aayat ki miqdar ya zyada padhna.

Takbir e Ruku: Ruku mein jate huye “Allahu Akbar” kehna.

Tasbeeh e Ruku: Ruku mein “Sub’hana Rabbiyal Azeem” padhna.

Tarjuma: Paak hai mera Parwardigaar jo azmat wala hai.

Is tasbeeh ko kam se kam 3 martaba ruku mein padhe ya phir 5, 7, ya 9 bar.

Tasbeeh e qauma: Ruku se sar uthate waqt “Sami-Allahu liman hamidah”


kehna.

Tarjuma: Allah ne sun li uski jisne Uski hamd ki.

Imam ke pichhe muqtadi ye kahe: “Rabbana lakal hamd”; tarjuma: Aye


humare Rabb Tere liye hi hamd hai.

Takbir e Sajda: Sajde mein jate hue “Allahu Akbar” kehna

Tasbeeh e sajda: “Sub’hana Rabbiyal A’la” kehna

Tarjuma: Paak hai mera Rabb jo bahut bulandi wala hai.

Dono sajdon mein is tasbeeh ko kam se kam 3 bar, ya phir 5, 7, ya 9 bar


padhe.

Takbir e jalsa: pehle sajde se sar uthate huye “Allahu Akbar” kehna

Qa’dah e ula: 4 rak’at aur 3 rak’at wali namaz mein 2 raka’t ke ba’d itni der
baithna ke puri attahiyyaat padhi ja sake, ise qa’dah e ula kehte hain. Qa’dah
e ula wajib hai.

Attahiyyaat:

108 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 109

“Attahiyyaatu lillahi was-salawaatu wat-tayyibaatu assalaamu ‘alaika ayyuhan


nabiyyu wa rahmatullahi wa barakatuhu assalaamu ‘alaina wa ‘ala ibadillahis-
saalihin ash’hadu alla ilaha illallahu wa ash’hadu anna muhammadan
‘abduhu wa rasooluhu.”

Tarjuma: Tamam jaani maali aur badani ibadatein aur namazein aur jumla
pakeezgiyaan ALLAH ke liye hain. Salam ho Aap par Aye Nabi aur ALLAH ki
rehmatein aur barkatein Aap par naazil hon salam ho hum par aur ALLAH ke
nek bandon par, main gawahi deta hoon ki ALLAH ke siwa koi Ma’bud nahin
aur gawahi deta hoon main ke Muhammad SallAllahu Alaihi wa Sallam Uske
barguzeeda bande aur Rasool hain.

Qa’dah e akhirah:

4 rak’at wali namaz mein 4 ke ba’d, 3 wali mein 3 ke ba’d aur 2 wali mein 2
rak’at ke ba’d Attahiyyaat padhne ki miqdar baithna qa’dah e akhira kehlata
hai. Qa’dah e akhirah farz hai. Qa’dah e akhirah mein attahiyyaat padhna
wajib hai aur uske ba’d durood sharif aur dua e masura padhna sunnat hai.

Durood e Ibrahim:

109 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 110

Allahumma salli ‘ala sayyadina Muhammad wa ‘ala aali sayyadina Muhammad


kama sallaita ‘ala sayyadina Ibrahim wa ‘ala aali sayyadina Ibrahim innaka
hamidum majeed. Allahumma baarik‘ala sayyadina Muhammad wa ‘ala aali
sayyadina Muhammad kama baarakta ‘ala sayyadina Ibrahim wa ‘ala aali
sayyadina Ibrahim innaka hamidum majeed.

Tarjuma:

Aye ALLAH! Durood naazil farma humare sardar Muhammadur Rasoolullah


SallAllahu Alaihi wa Sallam par aur sayyadina Muhammadur Rasoolullah ki
aal par jaisa ki Tu ne durood naazil farmaya hai Sayyadina Ibrahim Alaihis
Salam par aur Sayyadina Ibrahim Alaihis Salam ki aal par beshak Tu saraha
hua buzurgi wala hai.

Aye ALLAH! barkat naazil farma sayyadina Muhammadur Rasoolullah par aur
Aap ki aal par jaisa ki Tu ne barkat naazil farmayi hai Sayyadina Ibrahim
Alaihis Salam aur unki ki aal par beshak Tu saraha hua buzurgi wala hai.

Agar durood e Ibrahim yaad na ho to jo durood yaad ho padhe magar durood e


Ibrahim ka padhna afzal hai.

Dua e Ma’sura:

Ya’ni wo duayein jin ka zikr ahadees mein aaya hai in mein se kuchh yahan
zikr ki jati hain.

1] Allahummagh-firli wali-waalidayya waliman tawaalida wali jami’al


mu’mineena wal mu’minaat wal muslimeena wal muslimaat al ahya’i minhum
wal amwaat innaka mujeebud-da’waat birahmatika ya ar-hamar-raahimeen.

110 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 111

Tarjuma:

Aye Allah! bakhsh de mujh ko aur mere maa – baap ko aur usko jo paida hua
aur tamam iman wale mardon aur auraton ko aur tamam musalman mardon
aur auraton ko aur jo in mein se zinda hain aur jo mar chuke, beshak Tu
duaon ko qubool karne wala hai Apni rahmat se Aye sab meherbaano se zyada
meherbaan.

2] Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kaseeraw wala yaghfiruz zunuba illa
anta fagh-firli magh-firtam min indika warhamni innaka antal ghafoorur
raheem.

Tarjuma:

Aye Allah! maine apni jaan par zulm kiya aur beshak Tere siwa gunahon ka
bakhshne wala koi nahin hai Tu apni taraf se meri maghfirat farma de aur
mujh par raham kar beshak Tu hi bakhshne wala meherbaan hai.

3] Allahuma inni auzubika min azaabil qabri wa auzubika min fitnatil


maseehid-dajjaal wa auzubika min fitnatil mahya’i wa fitnatil mamaat
Allahumma inni auzubika minal ma’simi wal maghrami, wa auzubika min
ghalbatid-daini wa qahrir-rajaal.

Tarjuma:

Aye Allah! Main Teri panaah maangta hoon qabr ke azaab se aur Teri panaah
maangta hoon kaane dajjaal ke fitne se aur Teri panaah maangta hoon zindagi
aur maut ke fitne se.

111 www.ashrafulfuqaha.com
Masail E Sajda E Sahw 112

Aye Allah! Teri panaah maangta hoon gunaahon se aur tawaan se aur Teri
panaah maangta hoon qarz ke ghalbe aur logon ke qahr se.

4] Allahuma Rabbana aatina fid-dunya hasanataw-wa fil aakhirati hasanataw-


waqina azaaban naar.

Tarjuma: Aye Allah! Aye humare Rabb! Hum ko duniya o aakhirat mein
bhalaiyaan ata farma aur hum ko jahannam ke azaab se bacha le.

Is dua ko “Allahumma” ke baghair na padhe.

Salam: Dua e masura ke ba’d “Assalamu alaikum wa rahmatullah” kehna.

Tarjuma: Tum sab par salamati ho aur Allah ki rehmatein naazil hon.

112 www.ashrafulfuqaha.com

Das könnte Ihnen auch gefallen