Sie sind auf Seite 1von 137

EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 1 of 137

I.N.D.E.X
WAFATH E RASOOLE QHUDA ............................................................................................................. 5
AYE MOMINO YASRAB ME AJAB NOWHA GARI HAI ........................................................... 5
SHAHADATH HZT FATIMA ZEHRA A.S ........................................................................................... 6
BILQEES PAASBAN HAI YE KISKI JANAAB HAI ............................................................. 6
JAB DAAQILE BEHISHT RASOOLE QUDA HUWE ................................................................... 7
JAB UTT GAYE MEHBOOBE KHUDA DAARE FANNAH SE ................................................... 9
KAHTI THI ROKE ZAINAB -E- NALAAN JAWAB DO ......................................................... 10
ROKE KEHTI THI FATEMA ZEHRA ............................................................................................ 11
SHAHADATH HZT ALI A.S ................................................................................................................... 12
AYE HYDERIYO RAHLATHE HYDER KI YE SHAB HAI ................................................... 12
AYE ROZEDAARO AAHO BUKA KE YE ROZ HAI ................................................................. 14
HYDER BA KHUDA UGH -DA KUSHAYE DOOSRA HAI ......................................................... 15
IMAAN KI JAAN KYA HAI MOHABBAT ALI KI HAI ...................................................... 16
SHAHADATH IMAM E HASSAN A.S ................................................................................................ 18
JIS DAM HASSAN KA ZAHER SE TUKDE JIGA R HUWA ................................................. 18
SHAHADATH HZT MUSLIM A.S ........................................................................................................ 19
INSAAN KELIYE MOUT HAE GHAM BEWATANI KA ........................................................... 19
MUSLIM PA LAEENOUN KI CHADAAI HAI SAHAR SE ................................................... 20
SHAHADATH PISRANE MUSLIM A.S .............................................................................................. 22
DARBAAR ME JAB KATKE YATIMOUN KE SAR AAE ......................................................... 22
PARDES ME MUSLIM KE YATIMOUN PA JAFAA HAI ...................................................... 23
QAID SE JAB PISARE MUSLIM -E BEPAR CHUTE ........................................................... 25
SAFARE IMAM E HUSSAIN A.S ......................................................................................................... 26
DASHT-E- GHURBAT ME WATAN SE SHAH -E- DEEN JAATE HAIN ........................ 26
GHAR SE JAB BAHRE SAFAR SYED -E- AALAM NIKLE ................................................. 28
WAAR IDE KARBALA .............................................................................................................................. 29
AYE MOMINO HUSSAIN SE MAQTAL QAREEB HAI ........................................................... 29
MUSAFEROUN KI MADINE ME JAB RASEED AAI .............................................................. 30
FATIMA SUGHRA A.S ............................................................................................................................. 32
KISI BEEMAR NE KHAT APNE MAS IHA KO LIKHA ......................................................... 32
HAZRAT E HURR A.S .............................................................................................................................. 33
RAN ME JAB SHAH KI TARAF SE HURR -E- DEENDAR AAYA ................................... 33
SHAHZADE AOUN -O-MOHD A.S ....................................................................................................... 35
DOZAQ SE JAB AAZAD KIYA HURR KO QUDA NE ........................................................... 35
JAB ZAINAB -E- GHAREEB KE RAN ME PISAR LADE ................................................... 36
YEH ZIKR ABHI THA KAY SADAA RONEY KI AAYI ...................................................... 37
SHAHZADE ALI ASGHAR A.S ............................................................................................................. 39
BANO KE SHEER QHWAAR KO HAFTUM SE PYAAS HAE ................................................. 39
BANO PICHLE PAHAR ASGHAR KE LIYE ROTI HAI ...................................................... 40
HAAE KIS BEKAS -O MAZLOOM KA YE MAATAM HAE ...................................................... 41
LO MOMINO QULAASA SUNO IS BAYAAN KA ...................................................................... 42
RAN ME ABRU KAMAAN KI AAMAD HAE ................................................................................. 43
RAWANA NAHR-E- LABAN KO JO SHEERQHWAR HUWA ................................................... 45
SHAHZADE ALI AKBAR A.S ............................................................................................................... 46
DASHTEY BALAA MEY GUMH ALI AKBAR KI LAASH HAI ........................................... 46

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 1 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 2 of 137

KISI KA QAANA-E- UMMED BE CHARAAGH NA HO ......................................................... 47


MAALIK SE BHARE GHAR KE UJAD JAANE KO POOCHO .............................................. 48
PIDAR KI MOUTH HAI MARNA JAWAAN BETE KA ........................................................... 50
RAN SE JAB KHAKE SINAAN AKBAR -E- ZISHAAN AAYE ........................................ 51
ZAQMI SINAAN SE RAN ME JO SHAH KA PISAR HUWA .............................................. 52
SHAHZADE QAS IM A.S .......................................................................................................................... 53
AYE MOMINO JUDAAI HAI DULHA DUL HAN ME AAJ ...................................................... 53
NARGHA HAE DILBAR -E- HASSAN-E- SABZ POSH PAR .............................................. 55
QASIM JO HAMSHABEEH -E- JANAAB-E- AMEER THA ................................................... 56
ROTE THEY DHAADEY MAARKAY NAAMOOSEY SHAAHEY DEEN ................................... 57
ZAQMI JO RAN ME QAASIM -E- GUL PAHRAHAN HUWA ................................................. 59
SHAHZADE KUBRA A.S ........................................................................................................................ 60
HAI QAID QAANE SHAAM ME EK SHAB KI BHI DULHAN ........................................... 60
SHAAH-E- WAALA KI AAN HAI KUBRA ................................................................................. 61
HAZRAT -E- ABBAS A.S ........................................................................................................................ 62
AHL-E- HARAM KA MOUNIS-O- GHAMQHAAR MARGAYA ................................................. 62
JAB IBN-E- BUTURAAB BAROO-E- ZAMIN GIRAA ......................................................... 63
JAB IZN PAANI LAANE KA ABBAS KO MILAA ................................................................. 65
JAB KATT GAYE DARIYA PEY ALAMDAAR KAY BAAZU ................................................. 66
JAB QATL KIYA NAHAR PA SAQQA -E- HARAM KO ......................................................... 68
JAB SADR-E- ZEEN SE GIR PADE ABBAS -E- BAAWAFAA ........................................ 69
IMAME HUSSAIN A.S ............................................................................................................................. 70
AAH HUVEY KAABA-E QURBAANI -E DAAWAR HAI HUSSAIN ...................................... 70
AYE MOMINO HUSSAIN PE SHIDDAT KI PYAAS HAI ................................................... 72
IBN-E- ALI JO BAAGH-E- RISAALATH LUTAA CHUKA .............................................. 73
JAB KATGAYE HAFTAAD DOH TAN RAHE QUDAA ME ...................................................... 75
JAB NOUJAWAAN PISAR SHAH -E- DEEN SE JUDA HUWA ........................................... 76
JAB PARISHAAN HUWI MOULA KI JAMAA ATH RAN ME .............................................. 77
JAB QAATEMA BA QAIR HUWA FOUJ -E SHAAM KA ......................................................... 79
JAB RAN ME SIBT-E AHMED-E MUQTAAR GHIR GAYA ................................................. 80
JISDUM NAGIN -E QAATIM-E PAIGHAMBARAAN GIRAA ................................................. 81
KISKI ZABAAN SE PYAAS NE PAAI HAI AABROO ......................................................... 83
ZAQMI JO RAN ME FATEMA KA GULBADAN HUWA ........................................................... 84
DAR HAAL HAAZRI ................................................................................................................................ 85
LIKHTHE HAIN RAAVIYAAN -E JIGAR SOUZ YE KALAAM ........................................... 85
SHAHZADI SAKINA A.S ........................................................................................................................ 86
KAHTHI THI RAN ME AAKE SAKINA JAWAAB DO ........................................................... 86
JAB DAAGHE BEKASI NA SAKINA UTHAA SAKI .............................................................. 86
ZINDAAN ME MUQAYAAD HUWE JIS DAM HARAM -E SHAAH ........................................ 87
ROKAR KAHAA YEH MAA NEY KAY DILBAR JAWAAB DO .............................................. 89
BAANU KI AAJ KIS LIYE SUNSAAN GODH HAI .............................................................. 90
BAANO SE DAM BADAM YE SAKINA KA THA BAYAAN ................................................... 91
JAB MAHFIL -E YAZEED ME DAAQIL H ARAM HUWE ......................................................... 92
JAB GAYI ITHRATH-E MAHBOOB-E QUDA ZINDAAN ME .............................................. 93
IMAME ZAINUL ABEDIN A.S .............................................................................................................. 94
SHAHEED SE KOYI SHAMSHEER KA MAZAA POOCHE ...................................................... 94

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 2 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 3 of 137

SHAH-E WAALA NE SHAHAADAT KA SAR ANJAAM KIYAA ........................................... 96


QAID QAANE ME TALAATUM HAI KE HIND AATHI HAI .............................................. 96
DARBAAR .................................................................................................................................................... 98
JAB LUT KE KARBALA SE ASEER -E- SITAM CHALE ................................................... 98
MAHSAR KI SUBHA AAJ NUMAYAAN HAI SHAAM ME ...................................................... 99
AAMADH HAI AHLE- BAITH-E PAYAMBAR KI SHAAM ME ......................................... 100
AHLEY HARAM PEY AAJ QAYAMAT KI RAAT HAI ......................................................... 101
AZEEZO HAADESA NOU FALAK DIKHATA HAI .................................................................. 102
IMAME RAZA-E- GHAR IB A.S .......................................................................................................... 104
MOMINOU AAJ QURASAAN ME HAI TAAZA MAATAM ....................................................... 104
AAJ IMAAM-E- RAZA SHAHEED HUWE .................................................................................. 105
REHAAI AHL-E-HARAM ...................................................................................................................... 106
QAID SE CHUT KE AAI HAI ZAINAB .................................................................................. 106
CHEHLUM 72 SHOHDA-E-KARBALA ............................................................................................ 107
BALAA UTTHAAKAY HARUM KARBALA MEY AATHAY HAI ............................................ 107
BHAIYYA MY BIN TUMHAAREY WATAN KO NA JAAOONGI ......................................... 108
CHAHLUM JO KARBALA ME BAHATTAR KA HO CHUKA ................................................. 109
WAPASI -E- AHL-E-HARAM .............................................................................................................. 110
JAB BAAD-E- DAFN-E- SHAAH WATAN KO HARAM CHALE ...................................... 110
DUROOD PADH KE WATAN KO CHALA HUSSAIN KA LAAI ......................................... 111
WAPASI -E- AHL-E-BAITH ................................................................................................................. 112
WATAN ME QAAFELA-E- KARBALA KI AAMAD HAI ....................................................... 112
JAB ZAAEREEN -E- SHAAH GHAREEBUL WATAN PHIRE ............................................... 113
BEQARAR I FATIMA SUGHRA A.S .................................................................................................. 115
JAB SHAAH KO SAFAR ME BAHOTH DIN GUZAAR GAYE ............................................ 115
MUSAFIROUN KI MADINEY MEY JAB RASEED AAYI .................................................... 116
SHAHZADI ZAINAB A.S ...................................................................................................................... 117
AZEEZO ZAINAB-E- MUZTAR KA AAJ MAATAM HAI .................................................... 117
TIFLI HI SE ZAINAB PE MUS IBATH HUWI KYA KYA ............................................... 119
GHURBAT ME KIS NE KI HAI RIFAAQAT HUSSAIN KI ............................................ 120
SAJJAD JAB DOBAARA ASEER -E JAFAA HUVEY ............................................................ 121
SHEHZADI UMME KULSOOM ........................................................................................................... 123
UMME KULSOOM KHWAAHAREY ZAINAB .................................................................................. 123
WIDAA-E AYYAM-E AZAA ................................................................................................................ 124
AYE SOUGWAARO AAH -O BUKA KA MUQAAM HAI ............................................................ 124
IMAM MOHAMMED-E BAQUAR A.S .............................................................................................. 125
BAQUAR BHI THE SHAREEK -E SHAHINSHAAH-E TASHNALAB ................................. 125
HAI QASD KUCH FAZAEL -E BAQUAR RAQAM KAROON ................................................. 126
IMAM-E JAFAR-E SADIQ A.S ............................................................................................................ 127
BECHAIN DIL THA HAZRATHE BAQUAR KI YAAD ME ................................................. 127
IMAM-E MOOSA-E KAZIM A.S ......................................................................................................... 129
SAR PEETO AAJ MOOSA -E JAAFAR HUWA SHAHEED .................................................... 129
ZINDAAN-E GHAM THA MOOSA -E KAAZIM KE WAASTHE ............................................ 130
IMAM MOHAMMED TAQI A.S .......................................................................................................... 131
KYA HAAL HO RAZAA KE JIGAR BAND KA BAYAAN .................................................... 131
IMAM ALI UN NAQI A.S ...................................................................................................................... 132

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 3 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 4 of 137

KIS UMR ME ALI -E NAQI BE PIDAR HUWE .................................................................... 132


IMAAM-E HASSAN-E ASKAR I A.S ................................................................................................. 134
SHORA JAHAAN ME HASSAN -E ASKARI KA HAI ............................................................ 134
INHIDAAM-E JANNATUL BAQHI .................................................................................................... 135
JAAN-E NABI-O QAASA-E DAAWAR HAI FAATEMA ....................................................... 135
AEY CHARKH TERAY ZULM KI KUCH INTEHA NAHIN ................................................. 136

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 4 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 5 of 137

WAFATH E RASOOLE QHUDA


AYE MOMINO YASRAB ME AJAB NOWHA GARI HAI
AYE MOMINO YASRAB ME AJAB NOWHA GARI HAI
ZEHRA KE LIYE DAGHE GHAME BE PIDARI HAI
LAB KHUSHK HAI MUH ZARD HAI AANKHON ME TARI HAI
PAIGHAMBARE KONAIN CHIRAGHE SAHARI HAI
HOTE HAIN JUDA KHAIRE BASHAR KHAIRUNNISA SE
MAHBOOBE KHUDA CHOOT-TEY HAIN SHER-E-KHUDA SE

JISKA KALMA PADHTHE HAIN SAB MOMINE DEENDA AR


AB AAZIME FIRDOUS HAI WO QHAASAYE GHAFFAR
MAKKE ME MADINE ME TABAHI KE HAIN AASAAR
AB HOTE HAIN UMMAT SE JUDA AHMED -E-MUQTAR
FAAQE KIYE GHAMGEEN RAHE DUNYA KE SAFAR ME
AAQHAR SAFAR-E-MARG KIYA MAAH-E-SAFAR ME

EK KAAFERA NE GOSHT ME THA ZAHER KHILAYA


US ZAHER NE AAQER YE ASAR APNA DIKHA YA
MOULA KO SARE BISTARE AAZAAR GIRAYA
HISSE ME HASSAN KE WAHI ZAHER -E SITAM AAYA
KAMZOR KIYA TAPH NE RASOOLE ARABI KO
TAAQATH NA RAHI BAITHNE UTHNE KI NABI KO

HAI AAQRI USS WAQT MERA WAAZ-O-NASIHAT


AB MIMBAR-O-MEHRAAB SE HOTA HOON MAI RUQSAT
AANA THA MINALLAH ILALLAH HAI RAHLATH
AB HOGI MULAQAT MERI ROZ-E-QAYAMAT
TUM GHAM ME MERE NALA-O-FARYAAD KAROGE
IN-SAAL MUJHE HAJJ ME BAHOT YAAD KAROGE

DO CHEEZEN MAIN CHO-DE HUWE JAATA HOON MAGAR HAAN


WO EK TO MERI AAL HAI AUR AIK HAI QURAAN
QURAAN KI HAFIZ MERI ITRATH HAI NIGAHBAAN
YE DONO BUZURGI WO FAZILAT H ME HAI YAKSAAN
QURAAN TO TUM SAB KI TILAWAT KAY LIYE HAI
AUR AAL-PAYAMBAR KI HIDAYAT KE LIYE HAI

GAR BAAD MERE PAHONCHEGA ZEHRA KO KUCH AAZAAR


MARQAD SE MERI PUSHT NAHI LAGNE KI ZA NHAAR
YE CHAAR BUZURG AALE PAYAMBAR HAIN QABARDAR
ZEHRA-O- HUSSAIN-O HASSAN-O HYDER-E- KARRAR
WAJIB MERE AS-HAAB PA INSAB KI WILA HAI
YARO YAHI TABLEEGHE RISALAT KA SILA HAI

FAAREGH JO HUWA WAAZ SE WO AASHIQ-E-DAAWAR


PHIR GHAR ME GAYE AUR GIRE FARSHE AJAL PAR
US ROZ SE TASHREEF NA PHIR LE GAYE BAAHAR
BAS QABR ME JAANE KO UTHE VA SE PAYAMBAR
HAIRAN-O PARISHAN-O DIL AFSURDA THI ZEHRA
BABA ABHI JEETHA THA MAGAR MURDA THI ZEHRA

PAR AHMED-E MUQTAR THE JAB HOSH ME AATE


ZEHRA KO BASAD YAAS KALEJE SE LAGATE
GEH PYAR SE YE DONO NAWASOUN KO SUNATE
MAIN ACCHA HOON TUM KISLIYE KHANA NAHI KHATE
WO KAHTE THE KYA QHAAK TAMANNAE GHIZA HO
ALLAH KARE JALD KAHEEN TUM KO SHIFA HO

SHAH KAHTE THE SEHAT HO NA HO KHANA TO KHALO


NANA KE NAWASOU DILE MUZTAR KO SAMBHALO
CHILLATI THI ZEHRA KE NA YE ZIKR N IKALO
BABA MERE FARZANDOUN KO DULHA TO BANALO
ARMAN THA TUM KO TO NAWASOUN KI DULHAN KA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 5 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 6 of 137

KYA BYAAH NA DEKHOGE HUSSAIN AUR HASSAN KA

EK AAH KI, RONE LAGE AUR GHASH H UWE MOULA


DARWAZE SE NAGAAH SADA YE HUYI PAIDA
DO IZN HUZOOR AY-HARAME SYEDE WALA
JAKAR KAHA ZEHRA NE KEY, BEHOSH HAI’N BABA
PHIR AAI NIDA PHIR WAHI FARMAGAYI ZEHRA
PAR TEESRI AWAAZ ME THARRAGAYI ZEHRA

FURSATH JO HUWI GHASH SE TO HAZRATH NE BHI PUCHA


ZEHRA NE KAHA AIK ARAB AYA HAI TANHA
WO MAANGTHA HAI IZN HUZOOR AE MERE BABA
KITNA HI KIYA UZR NAHI USKO PAZIRA
HAZRAT NE KAHA YE MALAKUL MOUT HAI ZEHRA
HANGAM MERI ZEEST KA AB FOUTH HAI ZEHRA

YE IZN KISI SE BHI NAHI MANGTA WALLAH


PAR HAAN MERE DARWAZE KE RUTBE SE HAI AAGAH
ALLAH RE AZZ-O-SHARAFE SYEDE ZIJAAH
BE HUKM NA GHAR ME MALKUL MOUT KO THI RAAH
PAR KARBOBALA ME YAHI GHAR THA YAHI DAR THA
KUFFAAR KA AMBOH THA AATISH KA GUZAR THA

SHAHADATH HZT FATIMA ZEHRA A.S


BILQEES PAASBAN HAI YE KISKI JANAAB HAI
BILQEES PAASBA’N HAI YE KISKI JANAAB HAI
MARYAM DUROOD-E-KHA’N HAI YE KIS KI JANAB HAI
SHAN-E- QUDA AYAA’N HAI YE KISKI JANAAB HAI
DAHLEEZ AASMAA’N HAI YE KISKI JANAAB HAI
KURSI ZAMI’N SE LETI HAI GOSHE PANAAH KAY
BAITHA HAI ARSH SAAYE ME KIS BARGAAH KAY

ULFATH QUDA KE BAAD HABEEB -E QUDA KI HAI


MUNSIF KE PAAS YE BHI VILA KIBRIYA KI HAI
PARVA-NA FAAQE KI, NA SHIKAYAT GHIZA KI HAI
EIZA FAQAT JUDAAI-E- KHAIRUL WARA KI HAI
AAB-O- GHIZA KI FIKR NA SONE KA DHYAN HAI
AANKHOUN ME SHAKL BAAP KI RONE KA DHYAN HAI

BETEY PUKARTE HAIN KE LILLAH BAHAR AAO


AMMA NA ITNA ROWOH GHULAMOUN PA RAHAM KHAO
NANA KAHAN GAYE HAIN, BULALAYEN HAM BATAO
HAM KAPDE PHADTE HAIN NAHI TO GALE LAGAO
NANA KE BAAD HAAE YE BE QADR HAM HUWE
SAB EK TARAF HUZOOR KE BHI PYAAR KAM HUWE

AAQIR WAFURE GIRYA SE AAJIZ HUWE ARAB


HYDER KE PAAS RONE KI FARYAAD LAAYE SAB
KI ARZ FATIMA SE KAHO AYE WALI-E-RAB
YA SYYEDA TUMHARI RA-E-YATH HAI JAA’N BALAB
KHANE KA KOI WAQT, NA SONE KA WAQT HAI
JO WAQT HAI WO AAP KE RONE KA WAQT HAI

BAHAR SE MURTAZA GAYE GHAR ME JHUKAAE SAR


MU DHA-PE RORAHI THI AKELI WO QUSH SEE R
DENE LAGE PAYAAME ARAB SHAH-E- BAHROBAR
GHABRA KE BOLI HAYE KAROON KYA MAIN BE PIDAR
KHAABU ME MOUT HOWE TO MARJAUN YA ALI
BABA KA SOG LEKE KIDHAR JAUN YA ALI

MERI TARAF SE AHL-E- MADINA KO DO PAYAAM


LOGO QAFAA NA HO MERI RUQSATH HAI SUBH A SHAAM

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 6 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 7 of 137

DO CHAAR DIN TUMHARE MUHALLE ME HAI MUQAAM


RONE KI DHOOM HO CHUKI AB KAAM HAI TAMAAM
GHABRATI HOON WATAN ME SAFAR KE MAHINE SE
BABA SIDHARE KAAM MUJHE KYA MADINE SE

EK DIN NIGAH KARTE HAIN KYA SHAH -E- LA FATAH


MADBAQH HAI GARM AARIDE JO HAI GUNDHA HUWA
NAHLA RAHI HAI BACHOWN KO MALMAL KE DAST -O- PA
PHAILA DIYE HAIN KURTE BHI DHOKAR JUDA JUDA
PUCHA KE ITNE KAMOUN KA JO SHUGUL AAJ HAI
IS WAQT KUCH BAHAAL TUMHARA MIZAAJ HAI

BOLI KE AAJ RAAT KO HO JAUNGI BAHAAL


KAL MERE KAROBAR ME TUM HONGE QUD NIDHAL
QIDMATH KA MERE BACHOWN KI HOGA KISE QHAYAAL
NAHLA DHULA DIYA KE PARISHAN THA UNKA HAAL
KURTE BHI DHOWE KHOOTH BHI KAL TAK KA DE CHALI
SEHRA NA DEKHA AIK YE ARMAAN LE CHALI

PHIR TO HAR EK MUHALLE ME MAHSHAR BAPA HUWA


APNE PARAAE DOWDHE KE HAI HAI YE KYA HUWA
FIZZA PUKARI SYEDA KA WAQEYA HUWA
HUJRA BATOOL-E- PAAK KA MATAM SARA HUWA
CHAATI KHALAQ SE DEKHNE WALOUN KI PHAT GAYI
MUH RAKH KE MUH PE MURDE KE ZAINAB LIPAT GAYI

MAI DOODH BAQSHWANE NA PAAI KE CHAL BASEY


SHARBATH BANAKE LANE NA PAAI KE CHAL BASEY
KUCH HAALE DIL SUNANE NA PAAI KE CHAL BASEY
MAI BE NASEEB AANE NA PAAI KE CHAL BASEY
KYA JAID TAR ZAMANA HUWA INTEQAAL KA
HAI HAI ABHI TO SIN THA KUL ATTHARAH(18) SAAL KA

AYE MERI FAAQA KASH MERI NAADAR AMMA JAAN


AYE MERI BE DAWA MERI BEEMAR AMMA JAAN
KAABE KI AABRO MERI SARDAAR AMMA JAAN
AYE MERI SABERA MERI NAACHAR AMMA JAAN
NANA MU-EE TO THI KOI TAAZA QITAAB DO
AMMA JAWAB DO MERI AMMA JAWAB DO

NANHE SE SAR KHULE HAIN NAHI SAR PA TOPIYAN


KAHTE HAIN KUCH TO MUH SE NIKALTA HAI HAAE MAA
LIKHA HAI JAB JANAZE PA PAHONCHE WO NEEM JAAN
HASRATH SE DEKHA MURDE KA MUH AUR YE KI FUGHAAN
AMMA GHULAAM AAYE HAIN RUQSATH KE WAASTE
JAATI HO TUM NABI KI ZIYARATH KE WAASTE

JAB DAAQILE BEHISHT RASOOLE QUDA HUWE


JAB DAAQILE BEHISHT RASOOLE QUDA HUWE
YAANI JAHAN SE RAAHI-E- MULKE BAQAA HUWE
MAHZOO-WO DIL MALOOL SHAH-E- LAFATHA HUWE
SIBTAIN GHAM ME NANA KE SARF-E BUKA HUWE
SADMA HAR AIK KO THA JANAB -E- RASOOL KA
PAR HAAL GHAIR SAB SE HUWA THA BATOOL KA

GAAHEY ALI SE KAHTI THI ROKAR WO DARDNAAK


WAALI NABI KO TUM NE SULAYA BA ZERE KHAAK
KYUN KAR CHUPAYA QABR ME TUMNE W O ROO-E-PAAK
HAI HAI PIDAR HALAAK HO BETI NA HO HALAAK
ITNA TO KAHTE PAAINTI KISKO SULAOGE
PUCHA TO HOTA FATIMA KO KAB BULAOGE

BHULA THA IS QALQ ME HUSSAIN-O HASSAN KA PYAR


AUR PYAR THA TO YE THA KE KAHTI THI BAAR BAAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 7 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 8 of 137

KANDHE PA APNE NANA KE HOTE NAHI SA WAR


AB GESU-E- NABI KO BANATE NAHI MEHAAR
BETE TO MAA SE KAHTE THE NANA KIDHAR GAYE
MAA POOCHTI THI BETOUN SE BABAA KIDHAR GAYE

BISTAR SE THARTHARA KE UTHEY THAM KAR ASAA


QABRE NABI PA FATEHA-E- AKHRI PADHA
HAMSAIOUN KE GHAR GAYE RUQSAT KO AUR KAHA
LO SAHEBO BAHEL KARO AB KOOCH HAI MERA
EIZAA THI TUM SABOUN KO MERE SHOUR -O SHAIN SE
KAL FATIMA NA HOYEGI TUM SONA CHAIN SE

HAM SAAIYAAH KE HUQOOQ SE AAGAH HAI JAHAAN


LOGO MERE YATIMOUN SE R EHNA NIGAH BAAN
AB SATH INKA AUR TUMHARA HAI HAM KAHAN
BIN MAA KI HOTI HAIN MERI DUKHYARI BETIYAN
BACHPANN PA APNE BACHCHOUN KE AANSU BAHATI HOON
TUM PAR HASSAN HUSSAIN KO MAIN CHO DDE JAATI HOON

ROKAR KABHI HASSAN KO GALE SE LAGA A LIYA


AAGHOSH ME HUSSAIN KO GAAHE BITHA LIYA
RUQSATH KIYA KISI KO, KISI KO BULAA LIYA
PADHNE KE WAASTE KABHI QURAAN UTHA LIYA
KAHTI THI GAAH BACHOWN SE MU APNA MODD KAR
KAL SOONE GHAR ME SONA HAI BASTI KO CHO DD KAR

SUNLO WASEEYATEY MERI IS WAQT YA IMAM


FIZZA SE MERE BAAD ADALATH SE LENA KAAM
HUSHYAR FATIMA KI AMANATH SE SUBH-O SHAAM
DOH BETIYAN, DOH BETE HAIN BAS AUR QUDA KA NAAM
MAIN NE BADEY DUKHOUN SE YE SAB BACHE PAALE HAIN
HAQ KE HAWALE TUM YE TUMHARE HAWALE HAIN

SAB HASHMI QASAM MERI ISMATH KI KHATE HAIN


MUJH KO ARAB KI RASM SE ANDESHE AATE HAIN
AURATH KA MURDA TAQTHE PA RAKH KAR UTHAATE HAIN
AASAAR IS ME MURDE KE SAB PAAE JAATE HAIN
DETI HOON MAIN QASAM TUMHAIN ROOH-E RASOOL KI
WAALI NA YUN UTTHA-E-YO MAYYATH BATOOL KI

HAI AARZU KE QABR ME MUJH KO HASSAN LITAAE


SHABBIR MERE LAASHEY(MURDE) KA MU QIBLA ROO PHIRAAE
PHIR QUD KAHA, NAHI NAH I BACHCHA HAI DAR NA JAAYE
NAGAAH KHELTE HUWE DONO YATEEM AAYE
CHAATI LAGAA KE BOLI KE, LO HAM TOH MARTE HAIN
TUM SE SULOOK DEKHIYE KYA LOG KARTE HAIN

LEYKAR BALAAYEN BETI KI ZEHRA NE YE KAHA


ROTI TOH HOON ZIYADAH NA ZAINAB MUJHE RULAA
KUCH BHAAEYOUN KE SOUNP-NAY KA SAMJHI MUDH-DUAA
TOO UNKI RONE WALI HAI ZEHRA TERE FIDAA
KYA BAS MERA, JO MARZI-E- PARWARDIGAAR HAI
ZAINAB TAMAAM KUNBE KI TOO SOGWAAR HAI

YE KAHTI THI KE GHASH NE DIYA MAUTH KA PAYAAM


HUJRE SE NIKLE ROTE HUWEY AQROBA TAMAAM
TARTEEB-E- LAASH KAY LIYE BAHAR GAYE IMAM
ZEHRA NE YAA MUSALLE PA APNA KIYA MUQAAM
LIKHA HAI BAS NAMAAZ ISHAA KI ADAA HUWI
AUR GHUL UTHA KE BINTE NABI KI QAZAA HUWI

MAATHA HASSAN NE LAASHEY(MURDE) KE MAATHE PE RAKH DIYA


RO RO KE AMMA AMMA KAHA AUR GHASH HUWA
TALWOUN SE APNE MAATHE KO SHABBIR NE MALAA
PAAUN ME DAM NA PAYA, TO YE KAAN ME KAHA
MAIN AAP KA GHULAM HOON AUR NOOR -E AIN HOON

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 8 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 9 of 137

AAWAZ DO HUSSAIN HOON, AMMA HUSSAIN HOON

JAB UTT GAYE MEHBOOBE KHUDA DAARE FANNAH SE


JAB UTT GAYE MEHBOOBE KHUDA DAARE FANNAH SE
MATAM KI SADA AANE LAGI ARZOU SAMA SE
SAR PEETTEY THE AHMED-E MURSAL KE NAWASE
EK TEHALKA THA FATEMA ZEHRA KI BUKA SE
NA RAAT NA DIN KO BUKA KARTI THI ZEHRA
BABA KE LIYE PEET KE SAR ROTHI THI ZEHRA

CHILLATHI THI HAI HAI MERE BABA MERE BABA


TANG AAYE HAI IS RONE SE HAMSA-E-YE ZEHRA
HYDER SE KIYA FATEMA KE RONE KA SHIKWA
NEENDH UDH GAYI ZEHRA SE YE KEHDEEJIYE AAQA
YAA DIN KO BUKA KEEJIYE, YA RO-E-YE SHAB KO
RONE SE SHAB-O ROZ KE TAKLEEF HAI SAB KO

FARZANDOUN KO PHIR FATIMA ZEHRA NE BULAYA


CHAATI SE LAGAYA KABHI SEENE SE LAGAYA
BALAAE JABEY BOSE DIYE AUR YE SUNAYA
LO PYARO KE HANGAAM JUDAAI KA AB AAYA
AB TUM SE JUDA HOTI BAT OOL-E UZRA HAI
YE AAQRI ZEHRA NE TUMHE PYAR KIYA HAI

HYDER SE KAHA INKO NA PAHONCHE KOI EEZA


YE HAIN MERE PYARE KABHI INKO NA GHURAKNAA
AUR AAP SE EK ARZ YEH AB KARTI HAI ZEHRA
PADHIYO MERE LAASHEY(MURDE) PE NAMAZ, AE MERE AAQA(MOULA)
FURQAT ME NA IN DONO KO TADPAIYO SAAHEB
BACHHOWN KO MERI QABR PEY TUM LAAIYO SAAHEB

NAZUK HAI MIZAAJ INKA YE MAALUM HAI MOULA


HAR BAAT ME BE SAAQTA RODE YTA HAI CHOTA
HAI KHOUF ULATT JAAE NA SEENE ME KALEJA
TUM USKO MERE LAASHEY(MURDE) PE BHI RONE NA DENA
SAB GOUDH ME LEY MARTABA QURAAN KA SAMAJH KAR
GHUR-KE NA KOI AB ISE BIN MAA KA SAMAJH KAR

YE KAHKE KIYA BAND DARE HUJRA -E ATHER


SAB KHURD-O-KALAA’N AAN KE RONE LAGE BAHER
AAWAZ SUNI KALMAE TAYYAB KI BARA ABAR
PHIR KUCH NA SADA AAI KAHA SAB NE YE ROKAR
RAHLAT HUWI BAS AAJ RASUL-E ARABI KI
LO UTH GAYI DUNYA SE NISHANI BHI NABI KI

PHIR KHOLKE HUJRE KO BASAD NAALAO AFGHAN


MATAM KA KIYA FATIMA KE MURDE PA SAAMAN
FARZANDOUN NE BHI AAKE KIYA CHAAK GAREBAAN
CHILLATE THE QURBAAN HON HAM BOLO TO AMMA
FIZZA NE KAHA FATIMA TO MARGAYI PYARO
AMMA KAHAN AMMA TO QAZAA KARGAI PYARO

AL QISSA WO DIN MATAM-E ZEHRA ME JO GUZRA


SHAB AAYI KHULE GESUOUN SE DENEY KO PURSA
HYDER NE KIYA GHUSL KA SAMAAN MO HIYYA
MASOOMA KE EK HAATH ME JO ZAQM LAGA THA
WO DASTE BATOOL AAH QAMEEDA NAZAR AAYA
YE DEKHTE HI MUH KO ALI KE JIGAR AAYA

NEHLA KE JO KAFNANE LAGE MAYYAT-E ZEHRA


ZAINAB NE KAHA HATHOWN SE SAR PEET KE APNA
AMMA KA MERE HATH TOU SEEDHA KARO BABA
WO ROKE PUKARE YE QAMEE DA HI RAHEGA
TABOOTH ME PHIR MAYYAT-E ZEHRA KO LITA KAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 9 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 10 of 137

SABSE KAHA LO BIBIYO RUQSAT KARO AAKAR

KEHTE THEY ALI FATEMA KE LAASHEY(MURDE) SE YE BAATH


BAS FATEMA BAS HO CHUKI BETOU SE MULAQAATH
FARZANDOU KI GARDAN SE JUDA KIJIYE AB HAATH
RUQSATH BHI HO AB ZINDOU’N KA AUR LAASHE KA KYA SAATH
CHALNE MEY MUSAFIR KE YE DEYRI NAHI HOTI
MAYYATH SE SADA AAYE KE SE YRI NAHI HOTI

SAHEB MERE BACHOWN KO CHUDHAAO NA QUDARA A


QAATIR SE MERI DEYR KARO AUR GAWAARAA
HOEGA MERI ROOH PA AHSA AN TUMHARA
BACHOWN SE ZIYADA MUJHE KOI NAHI PYARA
MASOOMOUN SE DAM BHAR ME BICHAD JAAEGI ZEHRA
PHIR KAAHE KO YUH SEENEY SE LIPTAEGI ZEHRA

KAHTI THI ROKE ZAINAB -E- NALAAN JAWAB DO

KAHTI THI ROKE ZAINAB-E- NALAAN JAWAB DO


QAAMOSH KYUN HO AYE MERI AMMA JAWAB DO
KYA HOGAYA YE HASHR KA SAMAAN JAWAB DO
HOTI HAI BETI AAP PA QURBAAN JAWAB DO
AB TO BARA-E QALEQ-E YAZDAAN JAWAB DO
AMMA JAWAB DO MERI AMMA JAWAB DO

HAMSAA-E-YOUN KI THI, THI YE SHIKAYATKE AMMAJAA’N


YA DIN KO ROYE YA TOH KAREY RAAT KO FUGHA
RONE SE AAP KE HAI QALAL KAAM ME YAHA
NANA KE BAAD PHIR GAYE JO JO-THE MEHERBAAN
KAISE THE KALMA GOWO MUSALMAA JAWAB DO
AMMA JAWAB DO MERI AMMA JAWAB DO

NANA KA SAYA SAR SE UTHA SABR KARLIYA


PAHLU PA DAR GIRAYA GAYA SABR KARLIYA
UMMATH NE JOJO ZULM KIYA SABR KARLIYA
IS ZULM KA GILA NA KIYA SABR KARLIYA
KAISI THI SAABERA MERI AMMA JAWAB DO
AMMA JAWAB DO MERI AMMA JAWAB DO

BHAAI HASSAN HUSSAIN HAIN GIRYAN UTHO UTHO


KUNBA HAI AB TUMHARA PARISHAN UTHO UTHO
KUCH BOLTI NAHI MERI AMMA UTHO UTHO
KAISI LAGI HAI NEEND MAI QURBAA’N UTHO UTHO
ZAINAB KAHEGI AB KISE AMMA JAWAB DO
AMMA JAWAB DO MERI AMMA JAWAB DO

BHAI KA BYAAH BHI NA RACHANA HUWA NASEEB


HAI HAI DULHAN KO GHAR ME NA LANA HUWA NASEEB
BAS HAAE TUM KO RONA RULANA HUWA NASEEB
DIL MEY NA CHAIN TUMKO BASANA HUWA NASEEB
KYA KYA THA DIL ME AAP KE ARMAAN JAWAB DO
AMMA JAWAB DO MERI AMMA JAWAB DO

AYE GHAM NASEEB MADAR-E- MUZTAR UTHO UTHO


AAEGA SABR AB MUJHE KYUNKAR UTHO UTHO
AB TO BARA-E- QHALEQHE AKBAR UTHO UTHO
SAR PEET-TI HAI AAPKI DUQTAR UTHO UTHO
MAHBOOB-E KIBRIYA KI DIL-O JAA’N JAWAB DO
AMMA JAWAB DO MERI AMMA JAWAB DO

DENE LAGE JO GHUSL TO ROE BAHOT ALI


THAAMA JIGAR KO PAHLU PA JISDAM NAZAR PADI
FAAREGH JO GHUSL SE HUWE ROKAR SADA YE DI
ZAINAB AB AAO DEKHLO DEEDAR AAQRI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 10 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 11 of 137

BETI TUMHARI AATI HAI NALAA’N JAWAB DO


AMMA JAWAB DO MERI AMMA JAWAB DO

BHAI HUSSAIN ROTE HAIN UTHKAR GALE LAGAO


GHAM MEY TUMHARE PEET THE HAIN SAR INHE MANAO
KUNBE SE APNE AAQRI MILTE HUWE TO JAAO
PHIR AIK BAAR BETI KO APNI SADA SUNAAO
KYA SO RAHE HO TUM PA MAIN QURBAAN JAWAB DO
AMMA JAWAB DO MERI AMMA JAWAB DO

AYE MERI GHAMZADA-O DILAFGAAR AMMA JAAN


MAHBOOB-E- KIBRIYA KI AZADAAR AMMA JAAN
KYA HOGAYI JAHAAN SE BEZAAR AMMA JAAN
KUCH TOU KAHO ZABAAN SE EK BAAR AMMA JAAN
BETI KHADI HAI MUZTAR-O- HAIRAAN JAWAB DO
AMMA JAWAB DO MERI AMMA JAWAB DO

BABA HAI SARFEY GIRIYA-O ZARI UTHO UTHO


DEKHO TOH SAARE GHAR KI TABAHI UTHO UTHO
TUM KO KHASAM HAI HAQH KI MY WARI UTHO UTHO
LO AAGAYI TUMHARI SAWARI UTHO UTHO
AAYE HAI DAR PE BU-ZARO SALMA JAWAB DO
AMMA JAWAB DO MERI AMMA JAWAB DO

JANNAT KO AY NABI KI DILO JAAN JAEYE


AB GHAR HAMARA HOGAYA SUNSAAN JAEYE
PHIR EK BAAR HOLOO TOU QURBAAN JAEYE
QHALEKH HAI AB TUMHARA NIGEHBAAN JAEYE
KYA DAAGH HUM KO DEY GAYEY AMMA JAWAB DO
AMMA JAWAB DO MERI AMMA JAWAB DO

GHAM ME HAI SOGWAAR HIMAYAT BHI AAP KA


YE MARSIYA BHI AAP KA PURDARD HAI LIKHA
TALIB HAI ROZE HASHR SAHARA HO BA MALA
FARYAAD IS KI AAP SUNE BEHRE KIBRIYA
BAARE GUNAH SE HAI WO HIRAASAA’N JAWAB DO
AMMA JAWAB DDO MERI AMMA JAWAB DO

ROKE KEHTI THI FATEMA ZEHRA


ROKE KEHTI THI FATEMA ZEHRA
SUNLO RUDAAD YA HABEEBE QUDA
GHAM SE JALTA HAI AB JIGAR MERA
KYA YAHI AJR HAI RISALATH KA
LAB PE UMMATH KA HAI GILA BABA
QOOB PURSA MUJHE MILA BABA

AAP KE BAAD MUJH PE ZULM HUWE


MUJH KO UMMATH NE HAI DIYE SADME
WO MASAYAB UTHAYE HAI MAINE
DIN PE PADTHE TO RAAT HOJAATI
ACH-CHA HOTA JO MAI GUZAR JAATI
AAP SE PEHLE KAASH MARJAATI

BE-SABAB MERE GHAR PE AAE BALA


KYA THA MERA QUSOOR AYE BABA
LAKDIYA LEKE AAGAYE AADA
MERE DARWAZE KO JALA DAALA
QATM JORO JAFA HUWI MUJHPAR
ZULM KI INTEHA HUWI MUJHPAR

SUN SAKO TO SUNO MERI RUDAAD


DHA-EE UMMATH NE MUJH PE HAI BEDAAD
RO RAHA HAI MERA DILE NASHAAD
HAAI KIS SE KAROO MAI AB FARYAAD

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 11 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 12 of 137

AAG LE LE KE DUSHMAN AAYE HAI


ZULM MUJH PAR LAYEE’N NE DHAAYE HAI

JALTA DARWAZA JAB GIRA MUJH PAR


KHADI DEWAAR SE THI MAI LAG KAR
RAHEM KHAYA NA MUJH PE BAA-NIYE SHAR
PAAOU MALOON NE RAKHA DAR PAR
MUJH KO DARWAAZE SE DABA DALA
AAG SE PAIRAHAN JALA DALA

ZARB MERE SHIKAMP PE AISI LAGI


JISKI TAKLEEF BATTH’N TAK PAHUCHI
PEHLU TUTA MERA JAFA YE HUWI
DARO DEWAAR SE MAI DABTI RAHI
KOI FARYAAD KO NAHI AAY A
KOI IMDAAD KO NAHI AAYA

SHIDDAT-E ZARB SE HUWI EE-ZA


DARD MERE SHIKAMB MEY HONE LAGA
MAI IDHAR TADPI WO UDHAR TADPA
MARGAYA BATTH’N MEY MERA BACH -CHA
KIS SE FARYAAD MAI KAROO BOLO
AB MAI KIS TARAH SE JEYU BOLO

MERE MOHSIN KO HAAYE WAWAILA


BEHAYA-O NE QATL KAR DALA
BESABAB MUJH PE ZULM HAI DHAYA
AB NAHI KOI POOCHNE WALA
MU KO ASHKO SE DHOTI RAHTI HUN
APNE MOHSIN KO ROTI RAHTI HUN

MERA PURSANE HAAL KOI NAHI


JEENE KA AB SAWAL KOI NAHI
KARNE WALA MALAAL KOI NAHI
ZAQM KA AN-DH MAAL KOI NAHI
JISM RAH RAH KE SARD HOTA HAI
MERE PEHLU ME DARD HOTA HAI

SIDDAT-E DARD KA ASAR YE HUWA


JISM SE TUTA JAAN KA RISHTA
JAAN LEVA THA DARD KA HAMLA
HUWI BEJAAN FATEMA ZEHRA
MUJTABA KARKE BAINN RONE LAGE
PEET KAR SAR HUSSAIN RONE LAGE

SHAHADATH HZT ALI A.S


AYE HYDERIYO RAHLATHE HYDER KI YE SHAB HAI

AYE HYDERIYO RAHLATHE HYDER KI YE SHAB HAI


BE WARISA-E AALE PAYAMBAR KI YE SHAB HAI
AYE MATAMIYO ROWO KE MAHSHAR KI YE SHAB HAI
LO WAQEYA-E- FAATHA-E- QAIBAR KI YE SHAB HAI
KUL MOMINOUN KE SAR SE YADULLAH UTTHEGA
TAABOOT-E- JANABE ASADULLAH UTTHEGA

LO MOMINO TUM HOGAYE BE WARIS -O- WAALI


LO DOSTOU HAI TUM SE WIDAA-E- SHAH-E- AALI
KAL SUBHA WO CHILAENGE HYDER KE MAWALI
AAJ AHMED-E- MUQTAAR KI MASNAD HUWI QAALI
TUKDE KIYE ZEHRA NE GIREBAAN-E KAFAN KE
KOI NA RAHA SAR PA HUSSAIN AUR HASSAN KE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 12 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 13 of 137

MASJID ME SITAMGAAR NE KAABE KO GIRAYA


BE QADR SHAB-E- QADR KA KUCH DHYAAN NA LAYA
MEHRAAB ME QANDEEL-E IMAMATH KO BUJHAYA
SAIDAANIYOUN KO EID KE NAZDIK RULAYA
DARDA SHAHE LOULAAK KE DA-MAAD KO MAARA
FARYAAD KE JIBREEL KE USTAD KO MAARA

AB WAAQEYA-E- SHERE QUDA KARTA HOON TAHREER


QAATIL KO PAKAD LAYE JU-HI SHABBAR-O- SHABBIR
MASHKEY THI BA’NDHI KANPTA THA QOUF SE BEY PEER
LAANATH KI TARHA TEGH THI QAATIL KEY GULOGEER
RAHEM AAGAYA ZALIM KE LARAZ N PE ALI KO
FARMAYA MERE AAGE SE SARKAO SHAQI KO

JAB LE CHALE QATIL KO TO BOLE SHAH -E- ABRAAR


YE DUSHMANI-E SHERE QUDA, AYE SAG-E MAKKAR
IS MAAHE MUBARAK ME KIYA ZULM JAFAAKAAR
KYA TERI IMAMATH KA ALI THA NA SAZAWAAR
KI SHARM NA MAHBOOB-E- QUDA SE NA QUDA SE
LE DEKH YE ROTE HAIN PAYAMBAR KE NAWASE

THA SAATH LAEEN MASJIDE KOOFA SE SARASAR


GHAR LE CHALE SIBTAIN-E- NABI SHAH KO UTHA KAR
THE GIRD TOU IS LAASH KE SAB SHIYYA-E HYDER
FARZAND-E- YATEEM AAGE THE SAR NANGE BARABAR
ZAINAB PE YATIMI KI MUSIBATH JO PADI THI
CHILLATI THI SAR PEET TI THI DAR PA KHADI THI

ABBAS SE HYDER NE KAHA CHUPKE SE JAAO


HAAN FATIMA KI BETI KO DEWDHI SE HATAAO
SAMJHAO KE BAS ARSHE QUDA KO NA HILAAO
RAHGIROUN KO AWAAZ NA RONE KI SUNAAO
EK WAQT YE THA AIK WO AAFATH KI GHADI THI
RAN ME YAHI ZAINAB THI KE SAR NANGE KHADI T HI

YE KAHTE HI BE-CHAIN HUWE HYDER-E- KARRAR


SHABBIR KI GHURBAT PA JIGAR HOGAYA AFKAAR
EK SIMT SE ITNE ME SUNA NOUHA KAYEE BAAR
LETEY THE PA UTT BAITEY , YE KARTE HUWE GUFTAAR
KIS DARD RASIDAH KI YE FARYAAD-O- BUKAA HAI
YE TO MERE ABBAS KE RONE KI SADA HAI

ROKAR KAHA MOULA NE ABAS ISKO HAI WISWAAS


KYON KYON MERA ABBAS NAHI AATA MERE PAAS
YE SUNKE PHIRE SAR KO JHUK AAE HUWE ABBAS
AUR BAANDH KE HATHOUN KO YE KI ARZ BASAD YAAS
WO DARD HAI MUJHKO KE EFAQA NAHI BABA
IN SOB KA HAI AAQA MERA AAQA NAHI BABA

FARMAYA ALI NE KE NARO AYE MERE DILDAAR


KYUN ROTE HO JEETHA HAI ABHI HYDER -E- KARRAR
BE WAARIS-O WAALI TUMHE CHOWDUNGA NA ZINHAAR
LO DOULAT-E- KONAIN TUMHEN DETA HAI GHAFFAR
ALLAH SALAMATH RAKKHE MOULA KO TUMHARE
ROOTHOU NA BULAATA HOON MAIN AAQA KO TUMHARE

PHIR ROKE KAHA RAAZI-E TAQDEER KO LAAO


MAZLOOM KO LAAO SHAH-E- DILGEER KO LAAO
SHAMME LAHA-DE SAAHIBEY TATHEER KO LAAO
SHABBIR KO LAAO, MERE SHABBIR KO LAAO
LAAO USE AAFATH KA FALAK JISPEY GIREGA
SAR JISKA ISI KOOFE ME NEZE PA PHIREGA

YE KAHTE HI SHABBIR SE GHASH KARGAYE HYDER


AUR JAANIB-E- ALLAH-O PAYAMBAR GAYE HYDER
DIDAAR KE PYASE LABE KOUSAR GAYE HYDER

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 13 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 14 of 137

HYDER KE PISAR RONE LAGE MARGAYE HYDER


GHUL PADH GAYA SHAA-HINSHAH-E- ZEEJAAH SIDHARE
JANNAT KO JAHAN SE ASADULLAH SIDHARE

AYE ROZEDAARO AAHO BUKA KE YE ROZ HAI


AYE ROZE-DAARO AA-HO BUKA KE YE ROZ HAIN
SADAATH PAR NUZOOL-O BALA KE YE ROZ HAIN
SARTAAJ-O AOUSIYA KI AZAA KE YE ROZ HAIN
TUM SE WIDA-E SHERE KHUDA KE YE ROZ HAIN
ZAQMI HUWA IMAM TUMHARA NAMAZ ME
ZALIM NE ROZEDAAR KO MAARA NAMAAZ ME

MAAHE MUBARAK-E RAMAZAN AUR QUDA KA GHAR


TADHKA WO NOOR KA WO SHAB-E- QADR KI SAHAR
PESH-E QUDA WO SAJDE ME SHERE QUDA KA SAR
AUR HAAE TEGHE ZULM KI ZARBATH WO FARQ PAR
FAWWAARE KHOON KE ZAQME JABEEN SE BAHA KIYE
SAJDE ME AAP RABBI-UL- AALA KAHA KIYE

SAR PEETO MOMINO SARE HYDER HUWA DO NEEM


IMAAN KE BURJ KA MY-ANWAR HUWA DO NEEM
SOCHO TO FARQ SHAAH KA KYUN KAR HUWA DO NEEM
LIKHA HAE MAGHZ TAKSAR-E ATHER HUWA DO NEEM
ZEHRA NE BAAL KHOLE NABI NANGE SAR HUWE
TUM BE IMAM AUR HASSAN BE PIDAR HUWE

LIKHA HAI JAB DO NEEM HUWA FARQ-E MURTAZA


SIDRE SE JIBRAEEL KE RONE KA GHUL UTHA
PHENKI SAROUN SE ZAINAB -O KULSOOM NE RIDA
CHILLAKE BHAIYOUN KO PUKARI GHAZAB HUWA
SUNTE HO JIBRAEEL NE IS WAQT KYA KAHA
WO BOLE PEET KAR QATAL-E MURTAZA KAHA

DOWDHE YE KAHKE JAANIB-E MASJID WO NAIK ZAAT


DOOBI HUWI LAHU ME MILI KASHTI-E NAJAAT
MAATHE PE KHOON BAAP KA MALKAR KAHI YE BAAT
HAE HAE UTHAYA QIBLA-O KAABA PA KISNE HAATH
RULWAYA NANA JAAN KO DARUS SALAM ME
BIN BAAP KA KIYA HAME MAAHE SIYAAM ME

NAGAAH NAMAZIYOUN KA GUROH AAYA NANGE SAR


HYDER NE MUJTABA SE KAHA AANKHEN KHOL KAR
PADHWAO TUM NAMAAZ JAMA -ATH KI AYE PISAR
HAM BAITHE BAITHE PADHTHE HAIN APNE MAQAM PAR
LEKIN JABEEN KE ZAQM PE ROOMAL BANDH DO
MERA SAR HAE SHIGAFTA AYE LAAL BANDH DO

BAANDHA HASSAN NE ZAQM-E SAR-E SHAH-E ZULJALAAL


BOLE ALI KE AUR KASO DARD HAI KAMAAL
SHABBAR NE JAB KASA TO KIYA PHIR WAHI MAQAAL
PHIR CHUST BAANDH KAR YE PUKARA YE QUSHQISAAL
AB DARD KAISA HAE ASAD-E ZULJALAAL KA
HATHOWN SE SAR PAKAD KE KAHA KE WAHI HAE HAAL

PADHWA KE PHIR NAMAAZ JAMA -ATH KI MUJTABA


BABA KE SAR PA PADHNE LAGE AAYA-E SHIFA
NAGAAH AAKE YE KISI AURATH NE DI NIDAA
ZEHRA KE PYARO TUM SE YE ZAINAB NE HAI KAHA
BABA KO MERE JALD JO GHAR ME NA LAAOGE
TO SAR BARAHNA MUJH KO BHI MASJID ME PAAOGE

BOLE ALI HAWAAS ABHI SE BAJA NAHI


ZAINAB SE KAHDO KOOFA HAE YE KARBALA NAHI
MAIN BE DAYA-RO BEKAS-O BE ASHNA NAHI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 14 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 15 of 137

SHIYAA HAIN GIRD NARGHA -E AHLE JAFAA NAHI


PARDE SE NANGE SAR TU ABHI KYUN NIKALTI HAI
KYA HALQ PAR HUSSAIN KE TALWAR CHALTI HAI

UMMUL BANEEN KO PAYA JO SADME ME MUBTELA


BAAHEN GALE ME DAAL KE ABBAS NE KAHA
AYE AMMA SADQA DENE SE RAD HOTI HAE BALA
BHAI HASSAN HUSSAIN HAIN ZEHRA KE DILRUBA
ROSHAN KARO JAHAAN ME TUM APNE NAAM KO
SADQA UTAARO SHAH-E NAJAF PAR GHULAM KO

YE SUNKE US HIRAAS ME SAMBHILI WO BEQARAAR


LEKE BALAAEN BOLI CHALO MERE GUL - EZAR
BABA PA TUM NISAAR HO TUM PAR YE MAA NISAAR
CHILLAI BADH KE MAJMA-E MATAM ME AIK BAAR
SAIDANIYO RANDAPE KE GHAM SE PANAAH DO
SADQA UTAARNE KO MAI AAI HOON RAAH DO

BOLE ALI TO HOSH ME AYE NOWHA GAR NAHIN


ABBAS KE WIQAAR KI TUJH KO QABAR NAHIN
YE FATIMA KA BETA HAI TERA PISAR NAHI
SHABBIR KELIYE KOI AISI SIPAR NAHI
ZEHRA SE RUTBA POOCHIYE IS NOOR-E AIN KA
YE KARBALA ME HOEGA FIDYA HUSSAIN KA

HYDER BA KHUDA UGH -DA KUSHAYE DOOSRA HAI

HYDER BA KHUDA UGH-DA KUSHAYE DOOSRA HAI


KAMZORON KI TAAQATH HAI ZAEEFOU KA ASA HAI
MARDOUN KA MASIYA HAI MARIZOU KI DAWA HAI
WALLAH HADISOU KI KITAABOU ME LIKHA HAI
AAGHAAZ ME YEJAAZE IMAAMATH KI SANAH HAI
ANJAAM ME AB KHAAT-MAYE SHER-E KHUDA HAI

WARID HUWI NAGAAH SHAB-E ZARBATH-E HYDER


BAS KHOLTE HI ROZA KAMAR BAANDHI AJAL PAR
US SHAB THEY KABHI SAHEN ME GAHEY HUJRE KE ANDAR
HAM SAAYA KO HAR BAAR NIDAA DETE THE ROKAR
HYDER KI SAWARI SUYE FIRDOUS CHALI HAI
JAAGO YE SHAB-E QADR, SHAB-E QATL-E ALI HAI

WALLAH MY DOH RAATHOU KA MEHMAAN HU’N TUMHAARA


TAR DEKHOGE KAL KHOON SE RESH -E RUKH-E ZEBAA’N
BARSEGA LAHOO TEEN DIN AFLAAK SE HARJAA’N
AYE SAHEBO IMSAAL ALI HAJJ MEY NA HOG AA
TUM EID KE DIN ROVOGE SHABBAR SE LIPAT KAR
ROYEGA HASSAN BAAP KE MIMBAR SE LIPAT KAR

KULSUM NE ROKAR KAHA WA HASRATO DARDA


KYA BETIYA AB SABR KAREY AAP KO BABA
KIS TARHA YAKEEN TUM KO HUWA APNI AJAL KA
FARMAYA JO IRSHAAD-E PAYAMBAR HAI WOH HOGA
DO ROZ HAI DUNYA ME BAS AB KOOCH HAMAARA
EK-KISVI KO UTHEGA TAABOOTH HAMAARA

HAR GHAR ME SADA HOVEGI KAL HAYE ALI KI


KAL ROTI HUWI AAYEGI YAA ROOH NABI KI
HAALATH MERE GHAM ME NA BAJAA HOGI KISI KI
KAL AAYEGI YAHA LAASH PAYAMBAR KE WASI KI
KAL SHIA BHI SAR KHOLENGE AUR AHLEHARAM BHI
ZEHRA KI SADA AAYE KAFAN PHADENGEY HAM BHI

ZAINAB SE RIVAYATH HAI KE THI CHAR -GHADI RAAT


MUSHTAAQ-E-QAZAA GHAR SE CHALE SYED-E QUSH ZAATH

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 15 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 16 of 137

TASBEEH BAKAFF JAMA HUWE DEWDI PE SAADAATH


WAA’N SHEH NE AZA DEE, YAHA KI SAB NE MUNAJAATH
GULDASTA HO HYDER SE SAR AFRAAZ HAMESHA
YA RAB RAHE DUNYA ME YE AAWAZ HAMESHA

PHIR BAAD-E AZAAN KAAN ME AAWAAZ YE AAYI


AY SHIYO ALI QATL HUWE HAQ KI DUHAAI
IS NOUHE SE AAGHA HUVI SAARI KHUDAARI
CHEHRE PE NABI ZAADIYOU NE KHAAK UDAAYI
JANNATH SE NABI PHAAD KE DAAMAN-E KAFAN AAYE
SAR PEET-THEY MASJID ME HUSSAIN AUR HASSAN AAYE

BABA KA LAHU PEHLE TOU CHEHROU PE LAGAYA


PHIR DONOU NE MA BAINEY GHALEEM UNKO UTHAYA
LEKAR JO CHALE RONA ALI KO BAHUTH AAYA
SHABBIR NE POOCHA TOU YE HYDER NE SUNAYA
RONAA YE HAI JAB HALQ TU KATWAAYEGA PYAARE
KOI TERA LAASHA NA UTHA -LAAYEGA PYAARE

SAB ROTE HUWE DOWDHE KE LAASHA WAH EEN AAYA


HUJRE ME YADULLAH KO MASNADH PE LITAYA
ABBAS KO ABBAS KI MAADAR NE BULAAYA
SADQHE KI TARA GIRD-E ALI US KO PHIRAYA
AUR BOLI KE YARAB MERE WAALI KO SHIFA DE
SADQHA YE PISAR DETI HUN WARIS KO BACHALEY

THARRAKE ALI NE KAHA GU SSE SE YE US AAH


HA THAAM ZABAA APNI KIDHAR KO HAI TERA DHYAAN
ABBAS PE TOU SADQE MAI ABBAS PE KHURBAAN
ABBAS KI TU KOUN HAI YE FATEMA KI JAAN
BIBI KAHIN ZEHRA KA ATAAB AAYE NA TUJH PAR
SHABBIR KE FIDYA KO FIDA KARTHI HAI MUJH PAR

PHIR SHAAM KO IFTAAR JO KARNE LAGE MOULA


EK SAGAR-E SHEER AAP NE QAATIL KO BHI BHEJA
ZARBE DAME SHAMSHEER KA BADLA THA YE GOYA
US NE NA PIYA PHEER DIYA BOLE YE AAQA
KEHDO ARE QUSH HO TERA ZAQMI NA JIYEGA
POOCH AA-OON MERE HAATH SE SHARBATH TOU PIYEGA

PHIR BOLE KE PARDA KARO QAATIL KO BULAAO


HAA KHOL KE MASHQ-KE MERE AAGE USE LAAOO
SHARBATH KE BHI AUR DOODH KE KOOZE BHI BANAOO
JO MEVE KE TOUFE SE HO, TOUFA WO MAGAAVO
ISDAM KOI SAMJHE NA HAKIR US KO NAZAR ME
QAATIL KI ZIYAFATH HAI YADULLAH KE GHAR ME

IMAAN KI JAAN KYA HAI MO HABBAT ALI KI HAI

IMAAN KI JAAN KYA HAI MOHABBAT ALI KI HAI


RAAHAT JO QABR KI HAI WO ULFAT ALI KI HAI
SAAIL BAKAF HAIN SAB WO SAQAWAT ALI KI HAI
KHAATIL KO DI AMAAN WO MURAWWAT ALI KI HAI
AADIL HO, PESHWA HO, MADAARUL MAHAAM HO
GAR HO NABI KE BAAD TO AISA IMAM HO

SADQHE GHULAM TERI MUSIBAT KE YA ALI


AYE JAANASHIN JANABE RISALATH KE YA ALI
QURBAAN LAHU BHARI TERI SURAT KE YA ALI
AYYAM HAIN YE TERI SHAHADATH KE YA ALI
YE ZULM BEY JEHAT YE SITAM BEY SABAB HUWA
TALWAR TERE SAR PE LAGI KYA GHAZAB HUWA

UNNISWIN SE AAPKA MATAM HAI YA ALI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 16 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 17 of 137

KHOON HOGAYE DILOUN KA YE AALAM HAI YA ALI


DAFTAR JAHAN KA DARHAM-O- BARHAM HAI YA ALI
MAAHE SIYAM MAAHE MUHARRAM HAI YA ALI
MOULA KI NAZR KO GOHAR -E ASHK LAAYE HAIN
YE ROZEDAAR AAPKE PURSE KO AAYE HAIN

MOULA SHIGAFTA HUWA SAJDE ME SAR TERA


SYED TABAH HOGAYA KUFE ME GHAR TERA
SARWAR ALAM DILOUN KO HAI SHAAM-O- SAHAR TERA
AAQA INHI DINOUN ME HUWA THA SAFAR TERA
AALAM SE BE QABAR THE KHUZU-O KHUSHU ME
TALWAR JAB LAGI THI JHUKE THE RUKU ME

GHAR ME QUDA KE QATL HUWA ROZEDAAR HAAE


HAI HAI IMAM HAAE SHAH-E ZULFIQAR HAAE
AYE KHANAZAD HAQ SHAHE-E- TAA-AT GUZAAR HAAE
MOULUD HARAM ME HAI TOU NAJAF ME MAZAAR HAAE
YE BANDAGI NISAAR JANABE AMEER KE
NIKLE TO GHAR SE MARKE QUDAYE QADEER KE

LAYA THA ZEHAR ME WO JAFA JO BUJHA KE TEGH


MOULA GIRE ZAMEEN PA SAJDE ME KHAKE TEGH
GHUL PADHGAYA KE SAR PA LAGI MURTAZA KE TEGH
KHAAI QHUDA KE SHER NE GHAR ME QUDA KE TEGH
GEHRA HAI ZAQM FARQE IMAME HIJAAZ PAR
SAR SE TAPAK RAHA HAI LAHU JAA- NAMAZ PAR

SHERA KHUDA JO HATHOUN SE THAME THE APNA SAR


KHOON DONO KOHNIYOUN SE TAPAKTA THA KHAAK PAR
BHAGA JO IBN-E MULJIM-E MALOON-O BAD SIYAR
PAKDA USE ALI KE MUHIBBOU’N NE DOUD KAR
LAAYE JO HAATH BAANDH KE MOULA KE SAAMNE
QAATIL PA MUSKURA KE NAZAR KI IMAM NE

FARMAYA MAIN NE KOUNSI KI THI TERI QATAA


PADAASH NEKIYOUN KI YAHI HAI JAHAN ME KYA
KYA MAIN BURA IMAM THA AYE BANIYE JAFAA
ROYA JO SAR JHUKA KE TO MOULA NE YE KAHA
IS DARD ME BHI SAB KE MARAZ KI DAWA HAIN HAM
BAANDHO NA ISKE HAATH KE MUSHKIL KUSHA HAIN HAM

DONO SHABEY ALI KO TADAPTE HUWIN BASAR


LETE THE IS TARAF KABHI KARWAT KABHI UDHAR
ROKAR DABAATE PAUN JO SHABBIR -E- NAAMWAR
REH JAATE THE IMAM-E- DO ALAM HILAKE SAR
RUDAAD THI NAZAR ME MUJASSAM HUSSAIN KI
AWAAZ SUN KE ROTE THE ZAINAB KE BA IN KI

JAB BEES-WI KA DIN BHI TADAPKAR HUWA TAMAAM


UMMUL BANEEN SE CHOUNK KE KAHNE LAGE IMAM
DO DIN SE AAH SAB MERE BACHE HAIN BE TA -AAM
FAAQE ME IN-PE GUZREGI KYA AAJ KI BHI SHAAM
ACCHA HOON AB TO MY YE ABAS BE QARAAR HAIN
KHANA INHE KHILAO KE SAB ROZEDAAR HAIN

BOLE HUSSAIN BAAP SE HATHOUN KO JOOD KAR


SAB KHAAEN PHIR JO AAP TANAWUL KAREN AGAR
FARMAYA RIZQ UTTH GAYA MAJBOOR HAI PIDAR
PAANI BHI AB GALE SE UTARTA NAHI PISAR
DAAWATH ALI KI AAJ HAI GHAR ME ILAAH KE
ROZA KHULEGA SAATH RISALATH PANAH KE

CHUP HOGAYE YE KAHKE SHAHINSHAH-E KAAENATH


SAMJHE YE SAB KE GHASH ME HAIN SHAH -E- NIKO SIFATH
JIS WAQT BAAQI RAHGAYI KUCH KAM GHADI WO RAAT
TEGHE AJAL NE QHATA KIYA RISHTA-E- HAYATH

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 17 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 18 of 137

TADKA THA NOOR KA KE SAFAR KAR GAYE ALI


SAB SHIYA BEY IMAM HUWE MAR GAYE ALI

SHAHADATH IMAM E HASSAN A.S


JIS DAM HASSAN KA ZAHER SE TUKDE JIGAR HUWA

JIS DAM HASSAN KA ZAHER SE TUKDE JIGAR HUWA


SE PAARA DIL KA AAHON SE ZEY-RO- ZABAR HUWA
SAM KA JO ROO-E- PAAK PA ZAAHER ASAR HUWA
HAAL US IMAM-E- PAAK KA IS DAM DIGAR HUWA
RAAHAT ME FARQ AUR SHIKAM ME QALAL PADA
KAT KAR KALEJA TASHT KE ANDAR NIKAL PADA

BISTAR PA DARD-E- DIL SE TADAPNE LAGE IMAM


SADME SE SABZ HONE LAGA ROOE SURQ FAAM
CHILLIAE HAATH SE YE KALEJE KO THAM THAM
DOWDHO BAHAN KE KAAM HAMARA HUWA TAMAM
YE KAHTE KAHTE ZARD RUQ-E- PAAK HOGAYA
CHILLATE THE KE HAAE JIGAR CHAAK HOGAYA

DOWDHIN JANAB-E- ZAINAB-E BEKAS BARAHNA PA


DEKHA KE LOTT-TEY HAIN BICHONE PE MUJTABA
BOLI YE SARKO PEET KE WO GHAM KI MUBTELA
HAI HAI BAHAN NISAR HO BHAI YE KYA HUWA
KYA PHIR KISI NE ZAHER -E DAGHA SE PILADIYA
KIS NE MERE KALEJE PE KHANJAR PHIRA DIYA

TAKYA LAGA RAHE THE HARAM JO IDHAR UDHAR


BAAZU KO THAAM LETI THI KOI, TO KOI SAR
FARMAYA LAAO TASHT, HUWA ZAHER KA ASAR
REH REH KE KOI KAAT THA HAI TEGH SE JIGAR
BADHTA THA JAB KE DARD JIGAR ME IMAM KE
JHUKTE THE BAAR BAAR KALEJE KO THAAM KE

ZAINAB NE JALD LAAKE RAKHA SAMNE LAGAN


HATHOUN SE DIL PAKAD KE JHUKE SARWAR -E- ZAMAN
AAI JO QHAI TO KAANE JAWAHAR BANA DAHAN
ALMAS KHAKE LAAL UGALNE LAGE HASSAN
RANGE ZAMRUDI KA ASAR AB AYAAN HUWA
MERAAJ KI HADEES KA MATLAB AYAAN HUWA

FARMATE THE HASSAN KE BULAAO HUSSAIN KO


THA DAMBADAM YE HUKM, KE LAAO HUSSAIN KO
BHAAI KA HAALE ZAAR SUNAAO HUSSAIN KO
TUKDE MERE JIGAR KE DIKHAO HUSSAIN KO
KAHDO KE JALD AAIYE RAHLAT KA WAQT HAI
SUN JA-E-YE KUCH AAKE WASIYAT KA WAQT HAI

AAE HUSSAIN ITNE ME BAA CHASHM ASHKBAAR


CHILLATE THE KE AAPKI GHURBATH KE MAIN NISAAR
SHABBAR GALE KO CHOOM KE KAHTE THE BAAR BAAR
MAIN TUM PA SADQE AYE MERE NANA KE YAADGAAR
MUJH SE ZIYADA ZULM-O- SITAM TUM PA HOENGE
HAM QABR ME TUMHARI MUSIBATH PA ROENGA

BHAYYA TUMHARI GODH ME NIKLEGA MERA DAM


TUM DOGE HAMKO GHUSL-O- KAFAN JAB MARENGE HAM
HOGA TUMHARE PAAS NA KOI BAJUZ ALAM
KHATIL SARHANE HOEGA YA KHANJAR-E- SITAM
SHABBAR TO BAAD-E MARG BHI RAAHAT SE SOEGA
LAASHA TUMHARA GHODOUN SE PAMAAL HOEGA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 18 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 19 of 137

BOLE KATORA LEKE HUSSAIN-E FALAK JANAAB


DEKHOON TO PEEKE MAIN BHI KE KIS TARHA KA HAI AAB
BHAI SE LIPTI DOUD KE ZAINAB JIGAR KABAAB
PAKDA HASSAN NE DASTE BARADAR BASAD SHITA AB
JALDI SE PEE NA LE YE QALAQ THA IMAM PAR
EK HAATH THA KALEJE PA EK HAATH JAAM PAR

DARDE JIGAR SE GHASH HUWE SHAAH-E- FALAK JANAAB


GHAMGEEN TO THE HUSSAIN HUWA AUR IZTERAAB
HAAZIR THI ROOH-E AHMED-O- ZEHRA –O- BUTURAAB
WA AASMAAN PE HOGAYE BAAGH -E- JINAAN KE BAAB
SAR PEETO MOMINO KE KHAZAA KAR GAYE HASSAN
BIN BHAI KE HUSSAIN HUWE MARGAYE HASSAN

BARPA THA AHLE BAITH-E-PAYAMBAR ME SHOUR-O SHAIN


BEHNEY PACHA-DEY QHAAK PA KAHTI THEEN KARKE BAIN
CHAATI PE HAATH MAARKE CHILLATE THE HUSSAIN
AB UTH GAYA ZAMANE SE HAM BEKASOUN KA CHAIN
DIL AB HAMARA TOOT GAYA WA MUSIBATA
BAAP AAJ HAMSE CHOOT GAYA WA MUSIBATA

EK EK KO ROKTHE THE IMAM-E- FALAK SAREER


AANE LAGE JANAZE PA JO US TARAF SE TEER
KAANPI ZAMEEN HILGAYA SADME SE CHARQE PEER
NIKLI LAHAD SE FATIMA JE-BE- KAFAN KO CHEER
TABOOT PAR NAWASE KE BIDAT JO HOTI THI
ROOHE RASOOLE PAAK JANAZE PA ROTI THI

SHAHADATH HZT MUSLIM A.S


INSAAN KELIYE MOUT HAE GHAM BEWATANI KA

INSAAN KELIYE MOUT HAE GHAM BEWATANI KA


JAANKAH HAE ANDOW-O- ALAM BEWATANI KA
SADMA NAHI KUCH MOUT SE KAM BEWATANI KA
AAATH HAE QAYAMATH HAE SITAM BEWATANI KA
KANTOUN KE ALAM SYED-E- SAJJAD SE POOCHO
EIZAA-E- SAFAR MUSLIM-E- NASHAAD SE POOCHO

KI SAQT DAGHA KUFIYOUN NE GHAR SE BULA KE


SAB PHIR GAYE JIN LOGOUN KE D AAWE THE WAFA KE
LAKHOUN HAI ADU JAAEN KIDHAR JAAN BACHAKE
AAFATH ME GIRAFTAR HUWE KUFE ME AAKE
YAWAR NAHI HAMDAM NAHI GHAMKHWAR NAHI HAE
NARGHE ME HAIN AUR KOI MADADGAR NAHI HAE

HAIN SANGDIL AISE WO JAFAAKAR -O- SITAMGAR


KOTHOWN SE LAGANE LAGE MAZLOOM PA PATHAR
NOORANI BADAN HOGAYA MAJROOH SARASAR
AUR SAAMNE SE MU PA LAGA ZULM KA QANJAR
KYUN GIR NA PADA HAAE FALAK PHAT KE ZAMIN PAR
LAALE LAB-E- JAAN BAQSH GIRE KATKE ZAMIN PAR

MUH KARKE SOO-E- CHARQ KAHA SHUKR KHUDAYA


RAAHATH HAE YE BANDE NE JO KUCH ZULM UTHAYA
GHAM YE HAI KE HAI DOOR YADULLAH KA JAAYA
SHABBIR KE HATHOWN SE KAFAN HAM NE NA PAYA
DUNYA SE SUE QULD KOI DAM ME SAFAR HAE
YAAN HAMPE JO KUCH BANGAYI KYA UNKO QABAR HAI

YE KAHTE THE MUSLIM KE LAEENOUN NE KHAZAARA


EK SANGE SITAM IS LABE MAJROOH PA MARA
RESH AUR GAREBAAN ME LAHU BHAR GAYA SAARA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 19 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 20 of 137

JAB HAAL YE POOCHA TO KAHA JANG KA YAARA


AADA SE KAHA DIL ME ZARA RAHAM TO JAA DO
GHASH AATA HAE PAANI MUJHE THODA SA PILADO

KAB SUNE THE BBAS KA SUQAN ZULM KE BAANI


THA QATL KI TADBEER ME WO DUSHMANE JAANI
LE AAI ZAEEFA WAHIN EK JAAM ME PAANI
QISMATH NE MAGAR BUJHNE NADI TISHNA DAHANI
SOOKHI HUWI THI GUL SI ZABAAN QUSHK GULU THA
US PAANI KO MU SE JO LAGAYA TO LAHU THA

PHAINKA USE JAB KHAAK PA BAA DIDAE GIRYAAN


EK JAAM ZAEEFA NE DIYA PHIR UNHE US AAN
PEENE BHI NAHI PAYA KOI GHOONT WO ZISHAN
PAANI ME JUDA HOKE GIRE GOUHAR-E- DANDAN
FARMAYA KE SAABIT HUWA PYASE HI MARENGE
AB SAAQIYE KOUSAR HAME SAIRAAB KARENGE

DUSHMAN TO KAL SOW THE YE BE YAAR-O- MADADGAR


BARCHI KABHI PADHTI THI KABHI PADHTHI THI TALWAR
ANDOWH PE ANDOWH THE AAZAD PA AAZAD
KIS AAS SE EK AIK KA MU TAKTE THE HAR BAAR
BAAZU KO SITAMGAAR JO BAANDHTHE THE RASAN SE
FAWWARA KHOON CHUT-TA THA HAR ZAQME BADAN SE

AL-QISSA LABE BAAM JO LAAYE UNHEN SAFFAK


TAR AANSUOUN SE HOGAYA MUSLIM KA RUQ -E- PAAK
FARYAAD SUE KAABA YE KI BAADIL-E- GHAMNAAK
ROOHI BE FIDAK AY PISAR -E- SYED-E- LOULAAK
KARTA HAE SAFAR QALQ SE GHAMQHAAR TUMHARA
MOUQOOF HAE AB HASHR PA DEEDAR TUMHARA

FARMAAKE YE GARDAN TARAFE QHIBLA JHUKAAI


SHAMSHEER JAFAAKAAR NE CHAMKA KE UTHAAI
AAWAAZ YE MAQDOOMA-E- KOUNAIN KI AAI
MARTA HAE HAR AWWAL MERE BACCHE KA DAHAAI
IS ZULM SE BAAZ AA, JO KHUDA KA TUJHE DAR HAI
ZAALIM SAR-E- MUSLIM PA MERA HAATH SIPAR HAI

MERE LIYE KAM HASHR KE DIN SE YE NAHI KAM


TURBAT SE MAIN NIKLI HOON LIYE LAASHA -E- MOHSIN
MAZLOOM KOTO QHATI TU KARTA HAE WO LEKIN
BIN BAAP KE HOJAAENGE BACCHE KAYI KAMSIN
KHOON SAR PE NA LE CHODH DE AAWARAH WATAN KO
KAR RAAND NA ABBAS-E- DILAWAR KI BAHAN KO

ZEHRA NE KAI BAAR TADAP KAR YE PUKARA


KYA DIL THA KE MUTLAQ NA DARA WO SITAM AARA
ZALIM NE KAYI ZARB ME SAR TAN SE UTAARA
PHAT- TA HAE JIGAR AB NAHI GOYAAI KA YAARA
LIKHA HAI CHALA LEKE JO KHAATIL SAR-E- MUSLIM
KOWTHE KE TALE PHAINK DIYA PAIKAR -E- MUSLIM

MUSLIM PA LAEENOUN KI CHADAAI HAI SAHAR SE

MUSLIM PA LAEENOUN KI CHADAAI HAI SAHAR SE


TOWE PA QAYAMAT GHAZAB AAI HAE SAHAR SE
AUR EK TANE TANHA PA LADAAI HAE SAHAR SE
DAM LENE KI FURSATH NAHI PAAI HAE SAHAR SE
MAZLOOM PA EK NARGHA-E- AFWAAJE JAFAA HAI
YAAN DAAY-RE ME NUQTA-E- ANWAAR-E- KHUDA HAI

ZILHIJ KI NAMI ARFE KA DIN QATL KA SAMAA’N


PAR EID YE HO AAP PE HOTA HU’N MAY QURBAA’N

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 20 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 21 of 137

SHAHZAADOU KA AUR SHAH KA ALLAH NIGEBAA’N


KARTA HUN RUQAYYA KI SIFARISH MAGAR IS AAN
KUD KUD KE MERE GHAM ME NADAM USKA NIKAL JAAY E
SADQHE ME SAKINA KE RUQAYYA MERI PAL JAAYE

LIKHA HAE NAWIN RAAT THI ZILHIJ KI BASAD AAH


MUSLIM NE KAFAN DHOKE MOATTAR KIYA NAAGAAH
SAR SAJDE ME LAB ZIKR ME AUR DIL SUE ALLAH
JAB AATI THI TOWAA TO YE KAHTE THE WO ZEEJAH
FIRDOUS KI KHANJAR KE TALE DEED KARENGE
KAL ARFAA KO QURBANI KI HAM EID KARENGE

AL QISSA SAHAR KO HUWI AADA KI CHADHAAI


TOWA KA MAKAAN GIRGAYA AAFAT NAHI AAI
CHILLATI THI THOWA KE DUHAAI HAE DUHAAI
KYUN KARTE HAIN HYDER KE BHATIJE SE LADAAI
KYUN LAD-NE KO SAB AAYE HO YE KIS SE LADA HAI
BECHARA MERE HUJRE ME FAAQE SE PADA HAI

AL QISSA BARAMAD HUWA WO NAAEBE SHABBIR


BAADAI KI TARHA CHAAGAYE SAB ZAALIM -O- BE PEER
HAATHOUN ME TALL BARCHIYAAN CHULLO SE MILE TEER
PADNE LAGI MAZLOOM PA SHAMSHEER PA SHAMSHEER
DEEWAR PA ANBOH THA AUR BAAM KE OO PAR
BALWAH THA AJAB MUSLIM-E- NAAKAAM KE OOPAR

YE SUNKE BARAMAD HUWA WO NAAYABE SHABBIR


BADAL KI TARHA CHAGAYE SAB ZAALIME BE -PEER
HAATHOUN ME TALI BARCHIYA CHULLU SE MILEY TEER
PADNE LAGI MAZLOOM PE SHAMSHEER PE SHAMSHEER
DEWAAR PE AMBOOH THA AUR BAAM KE UPAR
BALWA THA JAB MUSLIM-E NAKAAM KE UPAR

EK PHAINKTA THA CHOB KO AATISH SE JALAA KE


MUSLIM PA GIRATA THA KOI SANG UTHAKE
YAAN VALVALE ME NAARA THA YA SHERE KHUDA KE
DEEWAR HATA DETE THE GHODE KO BADHA KE
JO PADHTHA THA JAB HATH KAMAR BAANDHE ADU PAR
GHODE SE WAHIN PHAINKTE THE BAAM KE OOPAR

NAGAAH LAB-O- DANDA’N PA LAGA SANG -E- JAFAKAAR


QHAM HOGAYE AUR MU SE LAHU DAALA KA -EE BAAR
PAR DABDABA YE THA KE NA PAAS AATE THE KUFFAAR
AAQIR KO DAGHA KI YE PUKARE WO SITAM GAAR
PHIR LADNA ZARA POOCHLO BHAI KI QABAAR KO
WO NAAQHA SAWAAR AATA HAE KAABE SE IDHAR KO

MUDDAT SE SUNA THA JO NA HAALE SHAH -E- WALAA


YE SUNKE HI BE SAAQTA TALWAR KO ROKA
BAS MU KO PHIRATE HI AJAL NE KIYA MUJRA
BARCHI TO KALEJE ME THI, BARCHI ME KALEJA
MU SOOE NAJAF KARKE KAHA APNE CHACHA SE
MAZLOOM BHATIJE KO TERE MARA DAGHA SE

YE KEHTE HI GHASH HOGAYE GHODE SE GIRE HAYE


MAZLOOM KO ZAALIM DA-RE KOOFA SE UTHA LAAYE
MUSLIM PE WAHA PYAAS KA GHALBA HUWA AY WAYE
DARWAZE PE PAANI KE ZAROOF UNKO NAZAR AAYE
DARBAANO KO DIKHLAAKE ZABAAN BOLA WO PYAASA
MEHMAAN HU’N AUR PYAASA HU’N PAANI DO ZARA SA

PHIR TOWA NE HOTOU SE LAGAYA JO PYALA


PEENE JO LAGEY MU SE LAHU PAANI ME DAALA
DANDAA BHI GIRE JAAM BANA KHOON KA THALA
RO RO KE PUKAARE MALAK-E AALAM-E BALA
AB SAQIYE KOUSAR TUMHE SAIRAAB KARENGE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 21 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 22 of 137

PYASE MARO SHABBIR BHI PYASE HI MARENGE

HAMRAAN KE FARZAND SE HAAKIM HUWA GOYA


AB DAER NA KAR BAAM PA MUSLIM KO TOO LEJA
LATKA DE DARE KOOFA ME SAR KAAT KE ISKA
AUR BAAM SE BALAAE ZAMEEN PHAINKDE LAASHA
HAAN BAANDH KE PHIR LAASH KE PAAUN ME RASAN KO
TASHHEER KARO MUSLIM-E- AWARAH WATAN KO

KAABE SE ISI ROZ RAWANA HUWE THE SHAAH


MUSLIM TO LABE GOUR THE SHABBIR SAR -E- RAAH
JIBREEL NE KOOFE KI ZAMEEN SE KAHA NAGAAH
HAAN HUKME KHUDA HOTO BALAND ITNA HI WALLAH
MUSLIM SHAHE MAZLOOM KI TASVEER KO DEKHE
SHABBIR USE DEKHE WO SHABBIR KO DEKHE

KUFE KI TARAF SHAAH NE CHEHRE KO PHIRAYA


SAIDANIYOUN NE MAHMILOUN SE PARDA UTHAYA
ALLAH NE MUSLIM KA JAMAAL UNKO DIKHAYA
BAITHA HUWA TALWAR KE NEECHE NAZAR AAYA
BAAHAM THI NAZAAROUN ME SADA HAAE AQI KI
YAAN FATIMA ROTI THI WAHAN ROOH ALI KI

CHEHROUN PA TAMANCHE HARAM -E- SHAH NE LAGAAE


MILNE KELIYE HAATH RUQAYYA NE BADHAAE
CHILLAI KE LO AMMA WO BABA NAZAR AAE
SAB KAHTE THE BABA NE WAHAN SHAHR BASAAE
NAA FARSH HAE NA SAAYA-E- DEEWAR KE NICHE
BABA TO MERE BAITHE HAIN TALWAR KE NICHE

KYA ROTE HO LOGO’N MERE BABA KO PUKAARO


LEJAAKE RUQAYYA KO PIDAR PAR KOI WAARO
ZAINAB PHUPI ASHTAR SE MUJHE JALD UTAARO
YA HAZRATE ABBAS IMAAYATH KO SIDHARO
DETI HUN SAKINA KI KASAM JAAKE BACHALO
BABA KO MERE TEGH KE NEECHE SE UTHALO

SHAHADATH PISRANE MUSLIM A.S


DARBAAR ME JAB KATKE YATIMOUN KE SAR AAE

DARBAAR ME JAB KATKE YATIMOUN KE SAR AAE


DOOBE HUWE DO CHAND LAHU ME NAZAR AAE
GHUL PADGAYA MUSLIM KE YE LAQHTE JIGAR AAE
GHURBATH ZADA-O- BE WATAN-O- BE PIAR AAE
SHAMSHEER-E- SITAM CHAL GAYI IN NOWHAGAROUN PAR
KYA BEKASI-O- YAAS BARASTI HAI SAROUN PAR

HAAKIM SE YE TAB KEHNE LAGA HAARIS -E- BAD KAAM


SAR BACHOWN KE LAAYA HOON MILE QILLAT -O- INAAM
PAHCHAAN LE MUSLIM KE PISAR HAIN YAHI GULFAAM
YE WO HAIN JO ZINDAAN SE BHAAGE THE SAR -E- SHAAM
MAIN DHOONDTHA PHIRTA THA NA HAATH AATE THE DONO
PAAT ETHE JIDHAR RAAH NIKAL JAATHE THE DONO

HAAKIM NE KAHA TUNE KAHAN PHIR INHAIN PAAYA


TAARIKIYE SHAB ME NAZAR AATA NAHIN SAAYA
WO JOUD KE HAATHOUN KO SUQAN LAB PA YE LAAYA
ZOWJA NE MERI THA UNHEN HUJRE ME CHUPAYA
MAIN KAHTA THA DIL ME KE KAHAN JAAKE CHUPE HAIN
ISKI NA KHABAR THI MERE GHAR AAKE CHUPE HAIN

AZ BAS KE THAKA THA, MUJHE NEEND AAGAYI USDAM

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 22 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 23 of 137

KYA DEKHTA HOON AALAM-E-ROOYA ME BASAD GHAM


EK HUJRE ME DO TIFI NAZAR AATE HAIN BAAHAM
SAR PEET KE KAHTE HAIN WO BAA DIDAE PURNAM
AAFAT ME PHANSE HAM DAR -E- ZINDAAN SE NIKAL KE
MALOOM HUWA PADGAYE PHANDE ME AJAL KE

CHILLA JO WO HAAE PIDAR KAHKE DILAFGAAR


THA NEED ME YA AANKH MERI KHUL GAYI EKBAAR
KHUSH HOGAYA MAIN TALA-E- QAFATH HUWE BEDAAR
BISTAR SE UTHA HAATH ME KH ENCHE HUWE TALWAAR
EK HUJRE ME MUSLIM KE WO PYARE NAZAR AAE
BALAAE ZAMIN ARSH KE TAARE NAZAR AAE

JAKDA JO UNJE MAIN NE TO KARTE THE YE FARYAAD


MEHMAAN TERE GHAR ME HAIN HAM BEKAR -O- NASHAD
BIN BAAP KE HAIN HAM PA TARAS KHA SITAAM EIJAAD
LE MINNATEN KARTE HAIN TERI CHODHDE JALLAD
KAR RAHEM KE MASOOM HAIN DUKH PAAYE HAIN ZAALIM
HAM CHUPNE KO DAAMAN ME TERE AAYE HAIN ZAALIM

MAIN NE KAHA TUM DONO KE BABA KA HAI KYA NAAM


RO KAR KAHA KAHTE HAIN UNHEN MUSLIM -E- NAKAAM
BE JURM-O- QATAA UNKE GALE PAR CHALI SAMSA AM
HAM JAB SE CHUTE BAAP SE HAMKO NAHI AARAM
DAHSHAT SE TERI SEENE ME DIL HILTE HAIN ZAALIM
AB DHEELI RASAN KAR KE GALE CHILTE HAIN ZAALIM

YE SUNTE HI MASOOMOUN PA GHUSSA MUJHE AAYA


HUJRE SE UNHEN KHENCHTE DAILAAN ME LAAYA
UN DONO NE JO ZULM NA DEKHA THA DIKHAYA
MUJRIM KI TARHA BAANDH DIYA RAHAM NA DIKHAYA
BAAHAR UNHEN LE AAYA JO ZULFOUN KO PAKAD KAR
ISTAADA KIYA CHOD SE RASSI ME JAKAD KAR

SAMJHA NA WO HARGIS NA MERE DHYAAN ME LAAI


JUNJLA KE USE TEGHE SITAM MAIN NE LAGAAI
EK WAAR ME SAA- ID SE GIRI KAT KE KALAAI
CHILLA KE LAGI DENE PAYAMBAR KI DUHAAI
HAE HAE MERE AAGHA MERI IMDAD KO PAHONCHO
AYE SHAH-E- GHARIBAAN MERI FARYAAD KO PAHONCHO

JAB MAAR CHUKA USKO TO MASOOMOUN KO KHAINCHA


PAKDE HUWE ZULFEN UNHEN LAYA LABE DARYA
ROKAR KAHA BACHOWN NE HAME KHATAL NA KARNA
MAAREEGA JO HAMKO TERE KYA HAATH LAGEGA
BEKAS HAIN MUSAFIR HAIN AUR AAWARAA WATAN HAIN
YE KYA HAI SAZA KAM KE GIRAFTAARE MEHAN HAIN

KAR -RAHEM SITAMGAAR GHARIBI PA HAMAARI


DEWEGA SILA ISKA TUJHE QAALEQ -E- BAARI
LE AANKH NA DIKHLA NAHI AB KARNE KO ZAARI
CHAL KAR SAR-E- BAAZAR HAME BECHLE NAARI
BACH JAAENGE HAM QILLAT -O- ZAR PAAEGA ZALIM
GAR KHATI KIYA HAMKO TO PACHTAEGA ZALIM

YE SUNKE BADHA MAIN JUNHI KHENCHE HUWE TALWAR


PAHLU ME BARADAR KE BARADAR GIRA EKBAAR
MAIN CHAATI PA EK TIFI KI AAQIR HUWA SAWAAR
JAB HALQ PA BACCHE KE RAKHA QANJAR -E- KHOONKHAR
EK HASHR BAPAA HOGAYA QANJAR KE CHILE PAR
BHAI NE GALA RAKH DIYA BHAI KE GALE PAR

PARDES ME MUSLIM KE YATIMOUN PA JAFAA HAI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 23 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 24 of 137

PARDES ME MUSLIM KE YATIMOUN PA JAFAA HAI


DARYA PA PA-E KHATI ADU LEKE CHALA HAI
CHOTA TO BADE BHAI KA MU DEKH RAHA HAI
ROZ ISKO MADAD KA NAHI MASHGHULE BUKA HAI
BE RAHEM KE QAABU ME HAIN DO NAAZOUN KE PAALE
HAR SOO NIGARAAN HAIN KE KOI AAKE BACHAALE

CHOTE KO BADE BHAI HAE BADH BADH KE BACHATA


HAR BAAR HAE MASHAF KI TARHA BEECH ME AATA
RO DETA HAI KUCH KAHNE KA MOUQA NAHI PAATA
BE SAAQATHA EK BAAT ZABAAN PAR HAI YE LAATA
SUN HAAI GHARIBOUN KA KHUDA KELIYE DAM LE
AB HAM TERE GHAR ME KABHI AAEN TO QASAM LE

KUCH GHAR ME TERE CHAIN NAHI PAYA HAI AISA


TODAA HAI FAQATH PANI SE FAAQA KAYI DIN KA
KHUD AAE NAHI KI TERI ZOWJA NE TAMANNA
HUJRE ME NAMAZEN HAIN PADHE AUR KIYA KYA
HAM BACCHE HAIN TOO APNI BUZURGI PA AMAL KAR
TAQSEER JO KUCH HAMSE HUWI HO WO BAHAL KAR

YE JURM HAE BIN POOCHE JO AAYE HAIN TERE GHAR


HUJRE ME RAHE SHAB KO BHI BEDAR BARABAR
KURTE PHATE, GESU CHIDE, SELI LAGI HAMPAR
TAKLEEF BAHUT DE CHUKA AB CHOWDH SITAMGAR
JANGAL ME KAHIN BAITH KE HAM ROENGE ZAALIM
MU KARKE TERE GHAR KO NA AB SOENGE ZAALIM

SUNTA NA THA MAZLOOMOUN KI EK BAAT SITAMGAR


DETE THE NIDA ZOUJA-E- HARIS KO YE BADH KAR
YE JAANTE TO HAM KABHI AATE NA TERE GHAR
MEHMANOUN KO APNE TU BACHATI NAHI MAADAR
CHUDHWADE KE PAKDE HUWE ZULFOUN KO ADU HAI
AMMA NAHI BABA NAHI JO KUCH HAI SO TU HAI

BALOUN KO BIKHERE HUWE MOMINA THI SAATH


MAZLOOMOUON KO ZALIM SE CHUDHATI THI WO QUSH ZAAT
KAHTI THI KHUDA KELIYE KYA KARTA HAI BADZATH
GAH PAAUN PA SAR RAKHTI THI GAH BAANDHTHI THI HAATH
BAS BAS KE ZAMIN AB TO HILL JATI HAI ZALIM
ZEHRA MUJHE SAR NANGE NAZAR AATI HAI ZALIM

ZALIM NE TAH-E- TEGH KIYA ZOUJA KO US AAN


YA FATIMA KAH KAR HUWI ZEHRA PA WO QURBAN
DARYA PA ADU LAYA UNHEN PAKDE GAREBAAN
DI TEGH GHULAME HABASHI KO WAHAN URYAAN
GHUSSE SE KAHA DONO KO UNGLI SE DIKHA KAR
HAAN KATHLE SAR UNKE KINARE PA TU JAAKAR

TALWAR KO CHAMKA KE BADHA WO HABASHI AAH


YE TEGH TALE SAR KO JHUKA KAR HUWE HAMRAAH
LIKHA HAE KE THA WO HABASHI MARDE HAQ AAHGAH
RASTE ME KHITAAB USE SE KIYA DONO NE NAGAAH
HAMSHAKL BILAAL-E- SHA-E- LOULAAK KA TU HAE
SACH KAH KE PAYAMBAR KA MOHIB HAI KE ADU HAI

FARZAND KO DI HAARIS-E- MALOON NE TALWAAR


AUR BOLA KE SAR KAATLE IN DONO KE EKBAAR
WO BOLA KE MUJHSE YE NAHI HOEGA ZINHAAR
YE TU HI HAE BAD BAQT SIYAH ROO WO JAFAKAAR
HAARIS TU PIDAR KIS KA SHAQI-E- AZALI HAE
MAA FATIMA HAE MOMINOUN KE, BAAP ALI HAI

TO KAR HAE ZALIM NAZAR AAE TUJHE KYUN KAR


LE DEKH NABI ROTE HAIN DARYA PA KHULE SAR
YE SUNKE UTHA HAARIS-E- MALOON-E- SITAMGAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 24 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 25 of 137

ZALIM NE KAHA MUJH KO NAHI KOWF-E- PAYAMBAR


EK TEGH TALE DONO BARADAR KO BITHA KAR
SAR KAATA BADE BHAI KA CHOTE KO DIKHAKAR

SAR PAAS RAKHA LASH KO DARYA ME BAHAYA


BHAI KE GALE KA JO LAHU KHAAK PA PAAYA
ULFATH SE BARADAR KA LAHU JOUSH ME AAYA
TAB JOUD KE HAATH APNE YE QATIL KO SUNAYA
POUNCHUN YE LAHU KURTE SE TALWAR JHUKADE
LOTOON BADE BHAI KE LAHU ME JO RAZA DE

WO BOLA KE WO SHOUQ SE GHALTAN MUJHE KYA DAR


BHAI KE LAHU ME WO LAGA LOUTNE GIRKAR
KAHTA THA BADE BHAI KAHAN DHOONDE BARADAR
TUM TO ABHI BAITHE HUWE THE MERE BARADAR
KIS NE HI NASEEB AISE ULAT - THE HUWE DEKHA
BHAI NE GALA BHAI KA KAT- TE HUWE DEKHA

QAID SE JAB PISARE MUSLIM -E BEPAR CHUTE

QAID SE JAB PISARE MUSLIM-E BEPAR CHOOTE


BEKASOU BE WATAN WA AAJIZO MUZTAR CHOOTE
BAAD EK SAAL KE WO DO-NOU BARADAR CHOOTE
CHOTE SE SIN MEY BADE RANJ UTHAKAR CHOOTE
DOUDTHE THE KABHI GHABRAAKAR KABHI GIRTHE THEY
SHAB-E TAARIK MEY DO CHAND PADEY PHIRTE THEY

ROKE KEHTA THA BADEY BHAI SE CHOTA HARDAM


BAYT KAR AB KAHI DAM LELO NAHI UTH -TEY QADAM
DOUDTHEY DOUDTHEY SEENE MEY SAMATHA NAHI DAM
MANZILOU CHALNE SE BHAI KABHI WAAKIF NAHI HAM
BAAP KE SAATH TOU RAHAT SE IDHAR AAYE THE
TAABA KUFA HAMEY GOODEE MEY PIDAR LAAYE THE

IS SE KEHTA THA BADA BHAI BACHASHMEY GIRYAA


TUM MERI GODH ME AAO MY TUMHARE QURBAA
BAAP KE WAQT KI RAHATH KA BHALA KYA HO BAYAA
AB TOU HAM BEKASOU TANHA HUWE BABA HAI KAHA
JO MUQADDAR MEY HAI WO JORO JAFA DEKHENGE
KYA KHABAR THI KE YATEEMI KI BALA DEKHENGE

NAGAAH CHARQ PAR ZAAHIR HUWE AASAARE SAHER


SUBHA KE HOTE HI FAQ’H HOGAYE WO LASHKE KAMAR
DEKHA EK CHASHMAYE SHEERI KE KINARE YE SHAJAR
JAKE IS NAQL MEY PANAY HUWE MUSLIM KE PISAR
AUR RAHAT NA KAHIN GESUVO WAALOU KO MILI
AMAN KI JAA’N WAHI INTAAZA NIHAALOU KO MILI

AFTAAB LIYE WAARID HUWI WA EK ZANE PEER


EK JAAN US KO NAZAR AAGAYE DO MAHE MUNEER
IS KA MU DEKH KE GHABRA GAYE WO TIFLE SAGEER
TAB ZA-YEFA NE KHAREEB AAN KE YE KI TAKREER
YE TOU MY SAMJHI KE AAWARA WATAN HO DONO
KOUN SE BAAGH KE TUM GUNCHA-DAHAN HO DONO

ROKE WO BOLE KE KYA HAAL KAHE AY MADAR


HAM HAI GURBATH ZADA WA BEWATAN WAS QASTA JIGAR
MA TO YASRAB MEY HAI KUFE HUWE QATL PIDAR
BAAP HOTA TOU YE DUKH KAHEKO PADTA HAMPAR
DO DO DIN TAK NAHI GHURBATH ME GHIZA MILTI HAI
NA TOU MOUTH AATI HAI NA AMR KI JAA’N MILTI HAI

TU NE RO RO KE JO EHWAAL HAMAARA POOCHA


MAA KI SAFQATH HAMEY YAAD AAGAYE IS DAM BA QUDA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 25 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 26 of 137

SAHEBE DARD HAI DEY-VE TUJHE ALLAH JAZA


GIR KE KHADMOU PE PUKARI KE YE LAOUNDI HO FIDA
SAMJHI MY BURJE IMAAMATH KE SITAARE HO TUM
HAI GHAZAM MUSLIM-E MAZLOOM KE PYAARE HO TUM

TA ATHEY HAQ SE YATEEMOU NE JO FURSATH PAAYE


MAA HAZR SAAMNE DONO KE ZAEEFA LAAYE
DIN TOU RAAHATH SE KATA SHAAM MUSIBATH AAYE
SO GAYA HUJRE ME BHAI SE LIPAT KAR BHAI
NISF SHAB THI KE WO MALOON WO BAD ANJAAM AAYA
NEEND YA AAYI WAHA MOUTH KA PAYAAM AAYA

KEHKE YE GUSSE MEY BISTAR PAR GIRA WO GADDAR


AAGAYA KHWAABE AJAL DUSHMANEY DEEN KO EK BAAR
WA KAZAARA HUWE HUJRE MEY WO LADKE BEDAAR
CHOTE BHAI NE BADEY SE YE KAHA BA-DILEZAR
QWAAB ME SYED-E LOULAAKH KO DEKHA MAINE
ABHI BABA KE RUQHE PAAK KO DEKHA MAINE

ROKE USDAM YE BADE BHAI NE CHOTE SE KAHA


MAINE WALLAH YAHI QWAAB ABHI DEKHA THA
KEHKE YE ROYE GALE MILKE BASAD AAHO BUKA
AAMAD-E MARG HUWE QWAAB SE HAARIS CHOUKA
POOCHA MAADAR SE YAHA AAO BUKA KAISI HAI
GHAR KE HUJRE MEY YE RONE KI SADA KAISI HAI

BOLI GHABRAKE ZAYEFA TUJHE IN BAATOU SE KYA


SO BHI RAH TU KOI HAMSAYA MEY ROTA HOGA
NANGI TALWAR LIYE HAATH MEY ZAALIM UTTHA
JAATE DAILAAN KE DARWAAZE KO JALDI KHOLA
DAR KE KHULTE HI AJAB TARHA KA AALAM DEKHA
EK GHAR ME MY WO KHURSHEED KO BAHAM DEKHA

TEGH UTHAKAR YE KAHA KIS KE HO TUM NOOR -E NAZAR


DAR KE VO BOLE KE HUM DONO HAI MUSLIM KE PISAR
TERE MEHMAAN HAI TALWAAR ALAM HAM PE NA KAR
YE SUKHAN SUNTE HI DOUDA WO LAEE’N BAD AQTAR
DONO BACH-CHOU PE JHUKA TEGE JAFA JO PAKDE
EK KA HAATH AUR EK BHAI KA GESU PAKDE

SAFARE IMAM E HUSSAIN A.S


DASHT-E- GHURBAT ME WATAN SE SHAH -E- DEEN JAATE HAIN

DASHT-E- GHURBAT ME WATAN SE SHAH-E- DEEN JAATE HAIN


SAATH SAB GHUNCHA DAHAN MAAH-E- JABEEN JAATE HAIN
GHUL HAI KOUNAIN-E- IMAMAT KE HASEEN JAATE HAIN
QAAK HONE KE LIYE ARSH NASHIN JAATE HAIN
GULSHAN-E BAAD-E- SHAH-E KHILA SHIKAN LUT- THA HAI
JIS ME JANNAT KI FIZA THI WO CHAMAN LUT -THA HAI

HARAM-E- SHAH ME HAI FARYAAD-O BUKAA SE KOHRAAM


BIBIYAN AAI HAIN RUQHSAT KO MUHALLE KI TAMAM
SAB SE MILTI HAI GALE RORO KE HAMSHEER -E- IMAM
HAATH MAL MAL KE YE HAMSAIYAN KARTI HAIN KALAAM
KYA QAYAMAT HAI KE VEERAN YE GHAR KARTE HAIN
HAAE IS GARMI ME SHABBIR SAFAR KARTE HAIN

ZIKR YE THA KE SHAH-E YASRAB-O BATHA AAE


GHAR ME MAGHMOOM-O HAZEEN SYED-E WALA AAE
KAHA MADAR SE SAKINA NE KE BABA AAE
BOLI BEEMAR KE HAAN MERE MASIHA AAE
SHAH NE ZAINAB SE KAHA AUR QHALAQ BADHTA HAI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 26 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 27 of 137

AAO SUGHRA SE BHI RUQSATH HO KE DIN CHADHTA HAI

KAH KE YE AAE QHAREEN FATIMA SUGHRA KE IMAM


KANPTE HAATON SE BETI NE KIYA UTH KE SALAAM
BOLAY CHAATI SE LAGAKAR YE SHAH-E- ARSH MAQAAM
BAITHO BAITHO KE BADAN ZOUF SE LARZAN HAI TAMAAM
JO MUQADDAR ME HAI WO RANJ NAHI TALTA HAI
TAP SE TUM JALTI HO, GHAM SE MERA DIL JALTA HAI

KAHKE YE BAIT GAYE PAAS IMAM-E DO SARA


BAAD ALHAMD PADHI AAP NE SEHAT KI DUA
AUR BEEMAR KO CHAATI SE LAGAKAR YE KAHA
BETI TUM GHAR ME RAHO, HAI YAHI MARZI -E- QUDA
SAATH LEYTE JO TAWANA TUMHE PAATE BIBI
AISE BEEMAR SAFAR ME NAHI JAATE BIBI

GIR KE BISTAR PA YE CHILLAI BASAD AAH -O- FUGHAN


ARE LOGO MUJHE THAM-O- KE CHALI JISM SE JAAN
EK BAEK PHIR GAYI QISMATH YE HUWA KYA SAMAA
HAAE BABA MUJHE YAAN CHOWDH KE JAOGE KAHAN
MERI FURQAT HUWI KIS TARHA GAWARA BABA
BE AJAL AAP NE BEEMAR KO MAARA BABA

NA JIYEGI, NA JIYEGI YE MAREEZ-E- RANJOOR


HAAE MAIN GHAR ME RAHOON AUR HOON SAB SE PAAS DOOR
CHOWDH DE BETI KO BABA YE NAYA HAI DASTOOR
AFU KIJIYE KOI SUGHRA SE HUWA HO JO QHUSOOR
AATISH-E- RANJ-O ALAM SE NA JALOONGI BABA
KUCH HO MAIN AAP KE HAMRAAH CHALUNGI BABA

HAATH MAIN JODTHI HOON AB MERE ACHCH E BABA


PAAUN PAR GIRTI HOON MAIN, MUJH KO NA CHOWDHO TANHA
REHAM KIJIYE MERI MINNAT PA YE LOUNDI HO FIDA
MERI BIMARI KA HAZRATH KO AGAR HAI DHADHKA
ACCHI MAIN HO LOON TO HO YAAN SE RAWANA BABA
YA MAIN DUNYA SE GUZAR JAAUN TO JAANA BABA

BATEN SUGHRA KI YE SUNTE THE SHAH-E- KOUN-O MAKAAN


AAE JO ITNE ME HAMSHAKLE RASOOL-E- DO JAHAN
DEKH KAR BHAI KO BOLI WO BASAD AAH -O FUGHAN
AAO BHAYYA ALI AKBAR MAIN TUMHARE QHURBAAN
APNA KUCH BAS NAHI BABA TO HAME CHOWDH CHALE
TUM BHI KYA QHAHAR-E- NASHAD SE MU MOD CHALE

HAM TO MEHMAAN KOI DIN KE HAIN JAAO BHAAI


AB YAQEEN HAI KE HAME AAKE NA PAAO BHAAI
BU MUJHE ZULFE SAMAN BU KI SUNGHAO BHAAI
LOON BALAYEN MAIN ZARA PAAS TO AAO BHAAI
ALAME HIJR ME DUNYA SE SAFAR KARTE HAIN
KOI HASRAT TO NA RAHJAAE KE HAM MARTE HAIN

MERE AASHIQ, MERE SHAIDA, MERE PYARE BHAYYA


TUM PA IS QASTA JIGAR KO KOI WAARE BHAAYA
MUJH SE AB CHUT-THE HO SADQE MAIN TUMHARE BHAYYA
TUM CHALE AUR HAI BAHAN GOR KINARE BHAYYA
PAHLE TURBAT PA MERI ASHK BAHATE NA GAYE
QABR BEEMAR KI YASRAB ME BANATE NA GAYE

DEKHIYE KHAIR SE IS SHAHR ME KAB AAOGE


BHAI PHIR CHAND SI SURAT HAME DIKHLAOGE
APNI SHADI ME BHI NASHAAD KO BULWAOGE
DAER SE AAE TO BAHNA KO NA PHIR PAAOGE
YE WASIYATH HAI KE TUM GHAR ME NA JAANA PAHLE
SEHRA LATKAAE MERI QABR PA AANA PAHLE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 27 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 28 of 137

GHAR SE JAB BAHRE SAFAR SYED -E- AALAM NIKLE

GHAR SE JAB BAHRE SAFAR SYED-E- AALAM NIKLE


SAR JHUKA-E- HUWE BA DIDA-E- PURNAM NIKLE
KHAI- SHO FARZAND KAMAR BAANDH KE BAAHAM NIKLE
ROKE FARMAYA KE IS SHAHAR SE AB HAM NIKLE
RAAT SE GIRYA-E- ZEHRA KI SADA AATI HAI
DEKHEN QISMATH HAME KIS DASHT ME LE JAATI HAI

RUQ KIYA SHAH NE SU-E QABR-E- SHAHINSHAH-E ANAM


BAHRE TASLEEM JHUKE MUTTASILE BAABE SALAAM
IZN PADH KAR JO GAYE QABR KE NAZDEEK IMAM
ARZKI AAYA HAI AAJ AAQRI RUQSATH KO GHULAM
YE MAKAAN HAM SE AB AYE SHAH-E- ZAMAN CHUT-THA HAI
AAJ HAZRAT KE NAWASE SE WATAN CHUT -THA HAI

CHAIN SE SAB HAIN GHAROUN ME, MUJHE MILTA NAHIN CHAIN


SAQT AAFAT ME HAI AB AAPKA YE NOORUL AIN
TUKDE DIL HOTA HAI JAB ROKE HARAM KARTE HAIN BAIN
NANHE BACHOWN KO BHALA LEKE KIDHAR JAAE HUSSAIN
SHAHER ME CHAIN NA JANGAL ME AMAAN MILTI HAI
DEKHIYE QABR MUSAFIR KO KAHAN MILTI HAI

AB MERE SAR KE LIYE TEZ HUWE HAIN QANJAR


AHL-E- KEEN SHAR PA KAMAR BANDHE HAIN YA QAIR -E- BASHAR
AAP NE DI THI ISI ROZ KI AMMA KO KHABAR
WAALEDA ROI THI DO ROZ TALAK PEET KE SAR
IS NAWASE KO MAGAR BHOOL NAJAANA HAZRAT
ZIBHA KE WAQT MADAD KARNE KO AANA HAZRAT

YE WO DIN HAIN KE PARINDE BHI NAHIN CHODHTHE GHAR


MUJHKO DAR PAISH HAI IN ROZOUN ME AAFATH KA SAFAR
HAI KAHIN QATL KA SAMAAN KAHIN LUTJAANE KA DAR
SAATH HAI BACHOWN KA AYE BAADSHAH-E JIN-O- BASHAR
TANG JEENE SE HOON PAAS APNE BULALO NANA
APNI TURBAT MEY NAWASE KO CHUPALO NANA

YE BAYAAN KARKE JO TAAWEEZ SE LIPTE SARWAR


YUN HILI QABR KE THARRAI ZAREE-E- ANWAR
AAYI TURBATH SE YE AAWAZ-E- HABEEB-E DAWAR
TERI GHURBATH KE MAIN SADQE MERE MAZLOOM PISAR
KOI SAMJHA NA MERI GOD KA PALA TUJHKO
HAAE AADA NE MADINE SE NIKALA TUJHKO

AYE MERE GESUOUN WALAY MERE SABER SHABBIR


MERE BEKAS MERE MAZLOOM MUSAFIR SHABBIR
NA RAHA KOI TERA YAWAR-O- NASER SHABBIR
HAAE AYE GOR-E GHARIBAAN KE MUJAWER SHABBIR
TOO JAHAN JAEGA PYARE WAHEE CHALTA HOON MAIN
KHAAK UDATA HUWA TURBAT SE NIKALTA HOON MAIN

KAYEE DIN SE TERI MADAR KO NAHI QABR ME CHAIN


AAI THI SHAB KO MERE PAAS YE KARTI HUWI BAIN
GHAR MERA LUTTHA HAI FARYAAD RASOOLUS- SAQALAIN
SUBHA KO APNA WATAN CHOWDH KE JATA HAI HUSSAIN
KAHNE AYE HOON KE MU QABR SE MOUDUNGI MAE
APNE BACCHE KO AKELA TO NA CHODHUNGI MAE

SUNKE YE SHAH NE KIYA AAQRI RUQSAT KA SALAAM


NIKLE ROTE HUWE JAB ROUZA-E- ANWAR SE IMAAM
SHAH SE USDAM YE KIYA RORO KE ZAINAB NE KALAM
QABR PAR MAA KI MUJHE LE CHALO YA SHAH -E- ANAAM
LOG HAMRAAH HAIN MAHMIL ME, MY KYUN KAR ROU -OON
MAA KI TURBATH SE PHIR EK BAAR LIPAT KAR ROU -OON

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 28 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 29 of 137

MAA KI TURBATH PA GAYE SHAAH BA CHASHM -E- KHOON BAAR


UTRI MAHMIL SE BASAD AAH-O FUGHAN ZAINAB-E ZAAR
DOUDH KAR QABR SE LIPTE JO IMAM-E- ABRAAR
HAATH ZEHRA KI LAHAD SE NIKAL AAE EK BAAR
AAI AAWAZ NA RO DIL KO QHALAQ HOTA HAI
QABR HILTI HAI KALEJA MERA SHAQ HOTA HAI

HAAN BULAAO MERA ABBAS-E- DILAWAR HAI KIDHAR


WO FIDA HAI MERE BACHE PA MAE SADQE USPAR
SHIKAM-E- GHAIR SE GO HAI, PA WO MERA HAI PISAR
YE SADA SUNKE BARADAR KO PUKARE SARWAR
ABHI RAHWAAR KO AAGE NA BADHAAO BHAI
YAAD FARMATI HAIN AMMA IDHAR AAO BHAI

AAKE ABBAS NE SAR RAKH DIYA PAAENE MAZAAR


AAI ZEHRA KI SADA MAIN TERI GHURBAT KE NISAAAR
APNE PYAROUN KE BARABAR MAIN TUJHE KARTI HOON PYAR
DHYAAN BHAI KI HIFAAZAT KA RAHE AYE DILDAAR
KOI GHURBAT ME USE MAAR NA DAALE BETA
MERA SHABBIR HAI AB TERE HAWALE BETA

WAARIDE KARBALA
AYE MOMINO HUSSAIN SE MAQTAL QAREEB HAI

AYE MOMINO HUSSAIN SE MAQTAL QAREEB HAI


AAQIR HAE UMR MANZIL-E- AWWAL QAREEB HAI
SHAHR-E- MADINA DOOR HAE JANGAL QAREEB HAI
ZEHRA KA CHAND CHUPTA HAE BAADAL QAREEB HAI
LENE KE WAASTE MALAKUL MOUT AATE HAIN
MARAD KO APNE PAAUN SE SHABBIR JAATE HAIN

AL QISSA MANZIL-E- AAQIR AYAAN HUWI


LEKIN YE SUBHA SIBTE NABI KO KAHAN HUWI
JISJA SAWARI RUKI NA AAGE RAWAAN HUWI
HAIRAAN SIPAAH QUSRO KOUN-O- MAKAAN HUWI
CHE GHODE BADLE DOSH-E- NABI KE SAWAAR NE
LEKIN QADAM BADHAYA NA EK RAAHWAAR NE

JUMBISH NA MARKABOUN ME NA PAAI HUS SAIN NE


EK MUSHK QAAK JHUK KE UTHAAI HUSSAIN NE
QUD SUNGHI AUR BAHAN KO SUNGHAAI HUSSAIN NE
HAMSHEER KI SUNI YE DUHAAI HUSSAIN NE
HAE HAE YE QHAAK PHAINKO MERI JAAN JAATI HAI
BHAYYA TUMHARE KHOON KI BU IS ME AATI HAI

BASHINDOUN KO WAHAN KE, YE MOULA NE D I NIDAA


NAAM IS ZAMEEN KE JITNE HO LO TUM JUDA JUDA
WO BOL AAP KO HO MUBARAK HAREK BALAA
YE NAINAWA HAE, MAARIYA HAE, AUR KARBALA
MAABOOD YE QALEEL KA GUNBAD MASEEH KA
SHAH BOLE AB YE HOEGA MADFAN ZABEEH KA

ABBAS KO PUKARE NA AAGE ALAM BADHAAO


MANZIL YAHI HAE CHAONI PARDESIYOUN KI CHAAO
HAMSHAKL-E- MUSTAFA KO NIDA DI BADHE NA JAAO
BETA QANAATHEN GHERO SARACHE YAHIN LAGAO
GHURRAH KO TU HUWA BITHAA KE BAHAN KO SHAH -E- HUDA
DASWIN KO HOGA FATIMA ZEHRA KA GHAR TAMAAM

AL QISSA QAIME HOGAYE ISTAADA JA BAJA


AUR QAIMOU MEY UTHARNEY LAGE AALE MUSTAFA
DEWDI SE PAR KAJAAWE ZAINAB NAHI MILA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 29 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 30 of 137

KHUD EHTEMAAM KARNE LAGE SHAH -E KARBALA


ROKI QANAATH AKBAR-O KASIM NE AAN KAR
ABBAS GIRD PHIRNE LAGE NAIZA TAAN KAR

MASNAD PA YAAN BITHAA KE BAHAN KO SHAH -E- HUDA


KURSI BICHAA KE BAITHE QHARIBE HARAM SARA
THE DAST BASTHA GIRD JAWANAANE MAHTAQA
LELEKE NAZREN AAI ZAMEEN DAARE KARBALA
ISTAADAH FARTE GHAM SE JO SHABBIR HOGAYE
NAZROUN PA HAATH RAKH KE BAGHAI GEER HOGAYE

BITHLAKE PAHLUOUN ME UNHE YE KIYA BAYAAN


AYE KARBALAIYO MAIN TUMHARA HOON MEHMAAN
ZALIM MUJHE SATAATE HAIN JATA HOON MAIN JAHAN
BAECHO JO YE ZAMEEN TO CHAND DIN RAHOON YAHAAN
RAHNE SE YAAN HAMARE SAB AARAM PAAENGE
KHAAKE SHIFA TUMHARI ZAMEEN KO BANAENGE

DEENAR DEKE SAATT HAZAAR UNKO YE KAHA


MAIN NE TUMHE YE BAQSHI ZAMEEN TUM KARO HIBA
SHABBIR KE MAAMLE PAR SAB NE RO DIYA
LIKHNE LAGA QABALA ZAMINDAARE KARBALA
GHUL PADGAYA HUSSAIN WATAN KO NA JAENGE
LO MOUL- LI ZAMEEN YAHIN BASTI BASAENGE

MARQOOM HORAHA THA QHABALA KE NAGAHAAN


QALME SE EK ZAN-E- ARABIYA HUWI AYAAN
SAR TA QADAM LIBAS ME SARA BADAN NEHAAN
PAR USPA BHI AYA SE LARAZTHE THE ISTEQAAN
BETAAB HOKE ULFATE AKBAR ME AAI THI
RAAVI NE YE LIKHA HAE WO ZEHRA KI JAAI THI

LEKAR BALAEN BHAI KE KUCH KAAN ME KAHA


AUR JALDI YUN PHIRI KE NA SAAYA NAZAR PADA
KURSI SE YAAN TADAP KE GIRE SHAH -E- KARBALA
ABBAS NE UTHA KE KAHA HAAE KYA HUWA
MOULA BATAA QHASAM TUJHE SHIREEN BUTOOL KI
KYA KAHGAYI NAWASI JANAB RASOOL KI

SHAH BOLE AAH MUJH SE YE ZAINAB KA THA KALAAM


BHAYAA QHABALA ME ALI AKBAR KA HUWE NAAM
YANI KE USKI MILK ME HO YE ZAMIN TAMAAN
ABBAS JAAO KAHDO KE MAJBOO HAE IMAAM
ATTARAH SAAL KE YE ZAMANE SE JAAENGE
KE QABR KI JAGAH ALI AKBAR BHI PAAENGE

ABBAS AAYE QAIME ME KEHNE KO YE PAYAAM


ZAINAB NE DEKHTE HI UNHEN YE KIYA KALAAM
KYUN BHAI MERI BAAT PA RAAZI HUWE IMAAM
LIKHA GAYA QHABALA ME AKBAR KA MERE NAAM
DULHA BANAAUNGI MAIN DULHAN BIYAAH LAUNGI
AKBAR KE NAAM KI YAHAN BASTI BASAUNGI

AB WAQT HAI DUA KA KE HAI SHIDDATH -E BUKA


AAYE KAHI DABEER MOHIB-BAANE MURTUZA
YARAB HAI JITNE SHIYYA SULTAANE LAAFATA
MAQSAD BARAAYE SABKE MY BAANIYE AZA
YA RAB NA KOI GHAM HO INHE JUZ GHAME HUSSAIN
IN DOSTOU KE HAATH HO AUR MAATAMEY HUSSAIN

MUSAFEROUN KI MADINE ME JAB RASEED AAI

MUSAFEROUN KI MADINE ME JAB RASEED AAI


KE WAADAGAAH ME FOUJ-E-SHAHE SAEED AAI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 30 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 31 of 137

RASEED AATE HI SUGHRA KE GHAR ME EID AAI


TAP-E- KOHAN GAYI AUR TAAQATE JADEED AAI
MALAAL DOOR HUWA AISH KE QAREENE SE
BUQAAR NABZ SE, GHAM DIL SE, DARD SEENE SE

GHARAZ KE HAZRATE UMMUL BANEEN KO BULWAAYA


WO AAYEE TO SARE TASLEEM UTH KE NEOHDAYA
WO HANS KE BOULI KE KYUN YAAD MUJH KO FARMAYA
KAHA MAREEZ NE QUSH HO KE SHAH KA QAT AAYA
HAMARE DIL KO FAQAT NAAMABAR NE CHAIN DIYA
MOHAMMADE HANAFI KO QATE HUSSAIN DIYA

YE KAHKE MADAR-E- ABBAS KO LIYA HAMRAAH


MOHAMMED-E- HANAFI KE GHAR AAI DUQTAR -E- SHAH
WO MUNTAZAR THAY LIYE NAAMA-E SHAH-E ZEEJAH
SALAAM KARTE HI KAHNE LAGI BA NALAO AAH
LO AB SUNAAO IMAM-E- GHAREEB KA NAAMA
PADHO MAREEZ KE AAGE TABEEB KA NAAMA

MOHAMMED-E HANAFI NE KIYA LIFAFE KO WA


NIKALA SHUQHAI PURNOOR SYEDUS SHOHDAA
PADHA JO NAAMAY ME ALQAAB APNA ROKE KAHA
HUSSAIN TERE KARAM PAR MY LAAKH JAAN SE FIDAA
KAHAAN MAIN TERA BARADAR BAJA BARAABAR HOON
TU JAANE QATME RASUL HAI, MAIN IBN -E- HYDER HOON

AQI KA LAFZ JO ALQAAB ME MERE LIKKHAA


FAQAT YE BANDA NAWAZI HAI YA IMAM-E- HUDA
TERA GHULAM HAI ABBAS, MAIN GHULAM USKA
HAZAAR HAIF QADAM SE HUZOOR KE HOON JUDA
LIYA JO NAAM-E- JUDAI TO AANSU BAHNE LAGE
SALAAM PADH KE ALAIKAS SALAAM KAHNE LAGE

KAHA YE FATIMA SUGHRA SE TAB BA DEEDA -E- TAR


LIKHA HAI BAAP NE TUM KO KE AYE MERI DUQTAR
DUA KE BAAD HO MALOOM MERI NOOR-E- NAZAR
KOI GHADI NAHI GHAFIL TERI TARAF SE PIDAR
QALAQ HAI SADMA HAI, RANJ-O MALAAL HAI SUGHRA
ADOO KE NARGHE ME ZEHRA KA LAAL HAI SUGHRA

WAFOOR-E- FIKR SE SUGHRA JO SAQT GHABRAAI


CHACHA KA APNE QALAMDAAN WO UTHA LAAI
AUR ILTEMAAS KIYA AYE HUSSAIN KE BHAAI
MUJHE TO HAI NA TAWAANAAI AUR NA BEENAI
MERI TARAF SE WO ALQAAB LIKHO BABA KO
KANIZEN LIKHTI HAIN JIS TARHA APNE AQHA KO

GHAREEB PARWAR-O-AALIM NAWAAZ-O QALQ-E- PANAH


MULK SIPAAHE FALAK BARGAH-E- SHAHINSHAH
IMAM BEKAS-O MAZLOOM O BE DAYAAR -O TABAAH
QALEEL KAABA-E- DEEN YOUSUF-E- RASOOLALLAH
AJAL RASIDOUN KE EISA, GHARIBOUN KE WAALI
HUSSAIN IBN-E- ALI MUDDEZILLAHUL AALI

PAS AZ SHUROOTE QADAM BOUSI BAAD TASLIMAAT


LIKHO ZABANI SE SUGHRA KE AYE SHAHE QUSH ZAATH
MAIN TUM SE CHOOT KE JAAN KUNDANI ME HOON DIN RAAT
NA AARZU-E- SHIFA HAI, NA AB UMEEDE- HAYAAT
NAHI KISI KO TAWAQQO KE AB TAHAR JAAUN
TUM AAKE SURA-E YASEEN PADHO TO MARJAAUN

RAJAB KI TEESRI KO TUM NE GHAR KIYA VEERAN


TUMHARE BAAD HUWIN TEEN EIDEN BABA JAAN
SHAB-E BARAT HUWI DOOSRE MAHINE AYAAN
BAROOH-E HAMZA NA THI FATEHA KI TAAB-O- TAWAAN
TAMAAM AAH TADAPTE TADAPTE RAAT HUWI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 31 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 32 of 137

HAMARE GHAR ME NA EID-E- SHABE BARAAT HUWI

WO EID TO GAYI DIN EID-E- FITR KA AAYA


GHAR AANKAR MUJHE HAMJOLIYOUN NE RULWAYA
KISI NE GEHNA, KISI NE LIBAAS DIKHLAYA
KOI YE BOLI KE EIDI ME HAM NE YE PAAYA
HAR AIK KHUSH THA MAGAR MERE LAB PA NAALE THE
SAFAR ME SAB MERI EIDI KE DENE WALE THE

NAZAR ME PHIRTA HAI EIDDE GUZISHTA KA AANA


WO IDDGAAH ME AKBAR KA DHOOM SE JAANA
BAHAN KE WAASTE MEWE QARID KAR LANA
WO AMMA BANO KA HAR DAM GALE SE LIPTAANA
BAJABR AB TO BAGHAL GEER JIS SE HOTI HOON
BAHAN SAKINA KO MAIN YAAD KARKE ROTI HOON

FATIMA SUGHRA A.S


KISI BEEMAR NE KHAT APNE MASIHA KO LIKHA

KISI BEEMAR NE KHAT APNE MASIHA KO LIKHA


HAAL BIMARIYOUN KA BETI NE BABA KO LIKHA
JOJO ARMAAN THA DIL ME SHAH-E- WAALA KO LIKHA
AUR SALAAM APNA PHUPI SANIYE ZEHRA KO LIKHA
DIL ME QUSH THI KE MERA KHAT JO PAHONCH JAEGA
HAI YAQEEN AB KOI LENE KELIYE AAEGA

KHAT ME ALQAAB YE BEKAS NE KIYA THA MARQOOM


CHAHNE WAALE PIDAR MERE IMAM-E- MAZLOOM
RAATH DIN ROTI PADI RAHTI HOON AB TO MAQHMOOM
AAP TO BHOOLGAE QAIR YE MERA MAQSOOM
NA GILAA TUM SE HAE NA KOI SHIKAYATH BABA
HAAN MUBARAK HO SAKINA SE MOHABBAT BABA

QAIR TUM KO NA SAHI, MUJH KO HAI TUM SE ULFATH


KISI SURATH MUJHE DIKHLAAO TUM APNI SURATH
JAANTI HOON KE SAKINA PA BAHUT HAE SHAFFQATH
ACCHA AYE BABA BAHAN KI MAI KAROONGI QIDMATH
MUJH KO BULWAKE WAHAAN MERA BHI DIL SHAAD KARO
LO KANIZI ME SAKINA KI MUJHE YAAD KARO

GAR NAHI MUJH KO BULAE HO TO AAO BABA


SHOUQ SE APNI SAKINA KO BHI LAAO BABA
USKO SINE PA SULAATE HO SULAAO BABA
HAM KO RULWATE HO TO QAIR RULAAO BABA
RANJ SAHTI HUWI DUNYA SE GUZAR JAAUNGI
AAP AAE NAHI EK ROZ MAIN MARJAAUNGI

AARZU HAE KE KISI TOUR YAHAN AAJAAEN


AAP KI JAAN SE DOOR, AAH JO HAM MARJAAEN
APNE HATHOWN SE KAFAN AAP MUJHE PAHNAAEN
AUR TAKLEEF LAHAD TAK BHI ZAA FARMAAEN
BAS ZIYADA NA SAWARI YAHAN TAHERAIGA
DAFN KARTE HI MUJHE AAP CHALE JAIEGA

MAA KE MARQOOM THA AYE MADAR-E- FARQANDA SEAR


SAQT BABA KA KI TARHA KARLIYA TUMNE BHI JIGAR
AAS BACHNE KI NAHI LIJIYE AB JALD QABAR
WARNA BIMAAR KA AB HOTA HAE DUNYA SE SAFAR
NAHI UMMED KE BACH JAAE YE MUZTAR AMMA
DOODH AB BAQSH DO BIMAAR KO AAKAR AMMA

THA RAQAM HAZRAT-E- ZAINAB KO PHUPI NAIK QISAL

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 32 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 33 of 137

TUM KO BHAYYA ALI AKBAR SE MOHABBAT HA KAMAAL


HAAE HAR DAM MUJHE REH REH KE YE AATA HAE QAYAAL
KE MERA BHAI PA BHARI HAI YE ATTHARWAN SAAL
HAAN TASADDUQ KELIYE DER NA FARMAAEGA
SADQE HONE KELIYE BHAI PA BULWAAEGA

THA ALAMDAR KO TAHREER KE ABBAS CHACHA


DOOR UFTADA BHATIJI SE HUWE TUM BHI QAFA
SUNTE HAIN AAPKI HAR BAAT KO MERE BABA
JUJH KO BULWAAIYE, YA LAAIYE, UNKE MAIN FIDAA
CHUMUNGI UNKE QADAM TUMKO DUAAEN DOONGI
UNKI BHI AUR TUMHARI BHI BALAEN LOONGI

LIKHA AKBAR KO KE AYE BAAP KE PYARE AKBAR


AUR PHUPI JAAN KE BHI RAAJ DULAARE AKBAR
MERE BABA KI ZAEEFI KE SAHARE AKBAR
HAE YE BIMAAR BAHAN GOUR KINA RE AKBAR
WAADA LEJAANE KA THA DEKHIYE KAB AATE HAIN
AAP TO AATE NAHI QALQ SE HAM JAATE HAIN

THA KHITAAB ASGHAR-E- NADAAN SE KE AYE RASHK-E- QAMAR


GHUTNIYOUN BHI NA CHALE HOEGA DARPESH SAFAR
MUJHE HAR DAM TERA RAHTA HAE QAYAAL AATH PAHAR
SOTE HO JHULE ME YA JAAGTE HO AYE ASGHAR
NEEND AARAM SE AUR CHAIN SE AATI HOGI
JAB SAKINA TERE JHOOLE KO JHULATI HOGI

YAAD AATE HAIN TUMHARE WO JHUNDULE MUJHE BAAL


SADOSI SAAL SALAAMATH RAHO AYE MERE LAAL
TUMKO BIMAAR BAHAN KA NAHI MALOOM AHWAAAI
MOUT NAZDEEK HAI AUR ZO UF-O- NAQAHATH HAE KAMAAI
MAIN JO MARJAAUN KAHIN BHOOL NA JANA ASGHAR
GHUNIYOUN CHALTE HUWE QABR PA AANA ASGHAR

YE NA THA ILM USE KAT GAYA SARWAR KA GALA


QASIM-O- AKBAR-O- ABBAS HUWE SHAH PA FIDA
TEER KHA KAR ALI ASGHAR BHI GAYE SOOE BAQAA
BAAQI EK BHAI THA SAJJAD SO WO QHAED HUWA
MAA, PHUPI, BAHNAIN LUTIN QAIME BHI TARAAJ HUWE
AIK CHAADAR KO HARAM SHAAH KE MOHTAAJ HUWE

HAZRAT E HURR A.S


RAN ME JAB SHAH KI TARAF SE HURR -E- DEENDAR AAYA

RAN ME JAB SHAH KI TARAF SE HURR -E- DEENDAR AAYA


KIS BASHASHAT SE UDDAATAA HUWA REHWAAR AAYA
GHUL HUWA SYED-E-MAZLOOM KA GHAMQHWAAR AAYA
JAAN NISAARE QHALAFE HYDER -E KARRAR AAYA
TATHQHEY NOOR SAREY RAAH NAZAR AATA HAE
JALWA-E QUDRAT-E ALLAH NAZAR AATA HAE

YE SUQAN SUNKE PUKARA PISAR-E SAAD-E SHAREER


HAAN TARAFDAAR-E SHAH-E DEEN PAY CHALEY NAIZA-O- TEER
LEKE HARBOUN KO BADHA FOUJ KA AM BOH-E KASEER
FATEHA PADH KE JAWAN MARD NE KHENCHI SHAMSHEER
HURR KA MU SURQ HUWA FOUJ-E- SITAM ZARD HUWI
SHOLA-E- TEGH SE BIJLI KI CHAMAK GIRD HUWI

BADH KE FARMATEY THE ABBAS ZAHEY IZZAT-O- JAAH


BAAREK ALLAH KI DETA THA SADA DILBAR-E SHAH
KAHTE THE IBN-E- HASAN WAAH HURR-E-GHAAZI WAAH
SHAH HAR ZARB PA FARMATE THE MASHA ALLAH

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 33 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 34 of 137

APNI JAAN-BAAZI KA GHAAZI JO SILAA PAATA THA


MUSKURATA HUWA TASLEEM KO JHUK JAATA THA

HAIF JHUKNE ME LAYEENOUN NE JO FURSAT PAAI


SAAMNA CHODDH KE SAB FOUJ AQAB SE AAI
LAAKH KHOON REIZ IDHAR AUR UDHAR TANHAAI
BAAG GHODEY KI PHIRAATA THA KAY BARCHI KHAAYI
AAGAYA MAUT KE PANJE ME NA KUCH DE YR LAGI
FARQH PAR GURZ LAGA DOSH PA SHAMSHEER LAGI

SEENA GHURBAAL HUWA TEER CHALE AADAA KE


RAKHDIYA SHER NE QARBOOZ PA SAR NEODA A KE
ALI AKBAR NE YE HAZRAT SE KAHA CHILLA KE
GAR HO IRSHAAD TO MEHMAAN KO BACHAAUN JAAKE
QAADIM-E- HAZRATE ZEHRA-O- ALI GIRTA HAE
KHAAK PAR AB WO SAEED-E- AZALI GIRTA HAE

SHAH RONE LAGE YE SUNTE HI MEHMAAN KI QABAR


HOGAI AANSUOUN SE RESH-E- MUBARAK SAB TAR
ALI AKBAR SE KAHA TUM ABHI TAHRO DILBAR
HURR KI IMDAAD KO HAM JAAENGE AYE NOOR -E NAZAR
KIS SE IS WAQT KAHOON MAIN JO QHALAQ MUJH PAR HAI
LAASH UTHAAUNGA KE MEHMAAN KA HAQ MUJH PAR HAI

YE SUQAN KAH KE CHALE RAN KO JANAB-E- SHABBIR


WAANH GIRA QHAAK PA GHODE SE HURR-E- BA TOUQEER
DEKH KAR SHAAH KO AATE HUWE BHAAGE BEPEER
PAHONCHE LAASHE PA IMAM -E- DO JAHAN WAQTE AQEER
CHAMAN-E- HASTI-E- MEHMAAN KO UJADTE DEKHA
QHAAK PA AEDIYAAN ZAQMI KO RAGADTE DEKHA

GIRKE LAASHE KE BARAABAR YE PUKAARE SARWAR


MERA MEHMAAN-O- MADADGAAR-O- MOIN-O- YAAWAR
GURZ KYA TUJHKO LAGA TOOT GAYI MERI KAMAR
GIRPADA GHODE SE AUR AAH NA KI HAMKO QABAR
DOST KE HUJR ME KAB DDOST KO CHAIN AAYA HAI
KHOLDE CHASHM KO BHAI, KE HUSSAIN AAYA HAI

NEEM WAAH CHASHM SE HURR NE RUQ-E- MOULA DEKHA


ZEEREY SAR ZANU-E- SHABBIR KA TAKYA DEKHA
MUSKURA KAR TARAF-E- AALAM-E-BAALA DEKHA
SHAH NE FARMAYA KE AYE HURR-E- JARI KYA DEKHA
ARZ KI HUSN-E RUQH-E HOOR NAZAR AATA HAI
FARSH SE ARSH TALAK NOOR NAZAR AATA H AI

MUJH KO LENE CHALE AATEY HAIN FARISHTE YA SHAH


MALAKUL MAUT BHI KARTA HAI MOHABBAT KI NIGAAH
QHULD SE SHER-E- KHUDA NIKLE HAIN ALLAH ALLAH
LO BARAMADH HUWE SHABBAR BHI PIDAR KE HAMRAAH
NANGE SAR AHMED-E- MUQTAR KI PYARI AAYI
DEKHIYE AAP KE NANA KI SAW AARI AAI

KAHKE YE GODH ME SHABBIR KE LI ANGDAAI


AAYA MAATHE PA ARAQ CHAHRE PA ZARDI CHAAI
SHEH NE FARMAYA HAMEN CHODD CHALE KYUN BHAI
CHAL BASEY HURR-E- JAREE PHIR NA KUCH AAWAZ AAI
TAAIR-E ROOH NE PARWAAZ KI TOOBA A KI TARAF
PUTLIYAAN RAHGAYEEN PHIR KAR SHAH-E- WALA KI TARAF

ROKEY AKBAR NE KAHA HURR-E- DILAWAR HAI HAI


AYE MADADGAARE JIGAR BANDEY PAYAMBAR HAI HAI
KHOON ME SAB TAR HAI TERA ROO HEY MUNAWWAR HAI HAI
TASHNA-O BEKAS-O MAZLOOM KE YAAWAR HA I HAI
IDHAR AANA THA KE TERI AJAL AAYI BHAI
GHAR ME SADAAT KE DAWAT BHI NA KHAAYI BHAAI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 34 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 35 of 137

SHAHZADE AOUN-O-MOHD A.S


DOZAQ SE JAB AAZAD KIYA HURR KO QUDA NE

DOZAQ SE JAB AAZAD KIYA HURR KO QUDA NE


KHUL-WADIYE FIRDOUS KE DAR UQDA KUSHA NE
ZAANU PA RAKHA SAR KO IMAM -E- DOSARA NE
AALA KIYA ADNA KO BUZURGOUN KI DUAA NE
SAB JISKE TALABGAAR THE JANNAT ME WO DAR THA
HOORAN-E- JINNAN GIRD THEEN AUR BEECH ME HURR THA

JAB DECHUKE SAB QAIR AZEEZO KI TARHA SAR


BEJAA HUWE DO EL-CHI SHAH KE DILBAR
MARNE PE KAMAR BAANDH-TE THE KASIM-E BE PAR
KEHTI THI JHUKAAYE HUWE SAR SHAH K I KOHAR
HAI SAQTH AJAB DONO KI DAANAYEE SE MUJH KO
IN BETOU NE MEHBOOB KIYA BHAI SE MUJH KO

YE ZIKR ABHI THA KE SADA RONE KI AAI


DARWAZE SE AKBAR NE YE AWAAZ SUNAAI
LOOTI GAYI HAI HAI PHUPI AMMA KI KAMAAI
MAARE GAYE DO SAATH KE KHELE HUWE BHAAI
ROTE HUWE ABBAS BHI HAMRAAH GAYE HAIN
QUD LAASHE UTHANE KELIYE SHAAH GAYE HAIN

FIZZA KI SADA AAI KE AYE PEETNE WALO


SAB MILKE ARE MERI QUZADI KO SAMBHALO
ROTI HAI KIDHAR BANO-E- AALAM KO BULALAO
LOOTA GAYA GHAR QAAK-E- AZAA BALOUN PA DAALO
MAQTAL SE HUSSAIN IBN-E-ALI LAATE HAIN LAASHE
SAIDAANIYO DEWDHI. PA CHALO AATE HAIN LAASHE

LASHOUN KO SHAH-E- DEEN SAF-E- MATAM PA JO LAAE


SAB AHL-E- HARAM PEET- TE ROTE HUWE AAE
ZAINAB NE NA FARYAAD KI NE ASHK BAHAAE
BAITHI RAHI SAR ZAANU-E- AQDAS PA JHUKAAE
LAB QUSHK THE MU FAQ THA, MIZA ASHKOUN SE TAR THI
NAE APNE NA BHAI KI NA LASHOUN KI QABAR THI

BANO NE RAKHE ZAANO-E- ZAINAB PA SAR UNKE


JO BIBIYAAN THI AAGAYE MU KO JIGAR UNKE
ZAINAB NE JO KI JHUK KE RUQOUN PE NAZAR UNKE
DIKHLAAI DIYE CHAND SE MU QOON ME TAR UNKE
RUQSAAR BHI MAJROOH THE, ABRU BHI KATE THE
SHANE BHI JUDA CHAND SE BAAZU BHI KATE THE

MU CHATIYOUN PE RAKH KE WO NASHAAD PUKARI


AARAM ME HOTI HAI GHASHI PYAS SE TAARI
HOTA HAI BAYAAN SHOUKATOU HIMMAT KA TUMHARI
TASLEEM KARO QIBLA-E- KOUNAIN KO WARI
SAMJHI MAI KE BA AS HAI YE BEDARIYE SHAB KA
PYARO YE TARIQHA NAHI ARBABE ADAB KA

TA-REEF-E IMAMA-E- DOSARA KARTE HAIN UTTHO


ABBAS-E- ALAMDAR SANA KARTE HAIN UTTHO
HAMSHAKLE NABI MADHE VIGHA KARTE HAIN UTTHO
SAB LOG NA UTHNE KA GILA KARTE HAIN UTTHA
AAQA SE MUSIBATH ME JUDA HO NAHI JAATE
SADQE GAYI YOUN JUNG KE DIN SO NAHI JAATE

PYARO TUM AKELE KABHI NIKLE NAHI GHAR SE


RASTOUN SE NA WAQIF NA SOOBAT -E- SAFAR SE
RAAHEN WO KE QAALI NAHI JO QOUF-O-QATAR SE
JO QAASA-E- BAARI HAIN WO THARRATE HAIN DAR SE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 35 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 36 of 137

IS QOUF SE RATOUN KO NA SOTE THE MOHAMMED


JAB MOUT KA ZIKR AATA THA ROTE THE MOHAMMED

HAE HAE WAHI RASTA TUMHEN DARPAESH HAI PYARO


TUM MARD HO JARRAR HO HIMMATH KO NA HAARO
AB AANKHOUN SE CHHUP JAAOGE AYE ARSH KE TAARO
BACHO MUJHE MANZIL KA PATA DEKE SIDHARO
VIRANE ME YA GULSHANE HASTI ME RAHOGE
TUM AAJKI SHAB KOUNSI BASTI ME RAHOGE

AB ZEEST SE AMMA KA BHI DIL SAIR HAI PYARO


JEETI HOON MAIN QISMAT KA MERI PHAIR HAE PYARO
KYA JAANE MERI MOUT ME KYA DEYR HAI PYARO
TUM MARGAYE DUNYA MUJHE ANDHER HAI PYARO
HAE KOUNSI DOULAT JISE KHONE KO RAHI HOON
MALOOM NAHI AB KISE RONE KO RAHI HOON

TAARIKI ME VAARI TUMHE NEEND AAYEGI KYON KAR


SHAB HOGI TO BACHOWN KO YE MAA PAAEGI KYON KAR
MAADAR DIL-E- BETAAB KO SAMJHAEGI KYON KAR
WAAN TAK MERE RONE KI SADA JAAEGI KYON KAR
NIKLOON JO TAJASSUS ME TO BEJAA NAHI WAARI
MAA HOON MERA PATHAR KA KALEJA NAHI WAARI

MAQTAL ME QIYAAM AAJ KAHAN HOGA BATADO


MAA SADQE MUQAAM AAJ KAHAN HOGA BATADO
DIN TUMKO TAMAAM AAJ KAHAN HOGA BATADO
BISTAR SAR-E- SHAM AAJ KAHAN HOGA BATADO
HAMWAAR ZAMEEN SHAB KE BICHONE KO MILEGI
KAISI HAE JAGAH JO TUMHEN SONE KO MILEGI

HAMRAAH NA TAKIYA HAI NA RAHATH KA BICHONA


DO BHAI HO TUM EK JAGAH RAAT KO SONA
MALOOM HAI CHOTE KA TUMHE CHOUK KE RONA
SADQE GAYI GAAFIL MERE BACH-CHE SE NA HONA
BE MA KE SEHAR RONE ME HOJATI THI USKO
PEHLU MERA MILTA THA TOU NEEDH AATI THI USKO

TUKDE THA KALEJA YE BAYAAN DARD KE SUN KAR


EK HASHR THA SAIDANIYAAN JAB PEET- TI THI SAR
BANO NE KAHA QIBLA-E- KOUNAIN SE UTH KAR
MARJAAEGI MAA LASHOUN KO LE JAIYE BAHAR
FARZANDOUN KA GHAM QHALEQE AALAM NA DIKHAE
ALLAH KISI MAA KO YE MAATAM NA DIKHAE

JAB ZAINAB -E- GHAREEB KE RAN ME PISAR LADE

JAB ZAINAB-E- GHAREEB KE RAN ME PISAR LADE


TANHA LADE YE, AAH WO SAB AHL -E- SHAR LADE
KIS KHOOBSURTI SE ALI KE JIGAR LADE
EK SHOUR PADGAYA KE GHAZAB SHER-E- NAR LADE
WIRSA UNHEN MILA HAE JANAB -E- AMEER KA
YE ZOUR SAB HAE SHER KI BETI KE SHER KA

ZAINAB JO NANGE PAAUN KHADI THI QARIB -E- DAR


ABBAS JAAKE DETE THE YE DAMBADAM QABAR
ROAIN NA AB HUZOOR MOHIM HOCHUKI HAE SAR
LAAKHOUN SE LAD RAHE HAIN GHAZAB AAPKE PISAR
ZOR AAJ PHIR DIKHADIYA QAIBAR KUSHAL KA
AB TO UNHIN KE HAATH HAE MAIDAN LADDAI KA

AANSU BAHA KE BINT-E- ALI NE KAHA KE HAAN


DE AUR HIMMATEN UNHAIN QALLQA -E- INS-O- JAAN
BACHCHE KAHAN, HAZAROUN KA WO MAAREKA KAHAN

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 36 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 37 of 137

KUCH HUWA UNHEY FALAK NE, NA HONE DIYA JA WAAN


BE-ASHOON AUR US PA MUJHE ETEMAAD HAE
QHAALEQ WO DEKE JO MERE DIL KI MURAD HAE

BHAYYA KUCH APNE BETOUN KA MUJH KO NAHI QAYAAL


MARJAEEN LADKE YA KE HO TAAPOUN SE PAAEMAAL
SADQE KAROON HAZAAR JO AISE HO NOUNIHAAL
SAB DOULATAIN LUTEN, PA BACHE FATIMA K A LAAL
AAE BAHAN PA WO JO BALAA UNPA AAI HO
DUNYA ME KOI O KE NA HO MERA BHAAI HO

YE ZIKR THA KE BHAAI KO HAZRATH NE DI SADAA


ABBAS AAO GHIR GAYE ZAINAB KE DILRUBA
DOWDHE SADAA YE SUNTE HI ABBAS-E- BAWAFAA
ASNAA-E- RAAH ME ALI AKBAR NE YE KAHA
ZINDA RAKHA FALAK NE YE AANSU BAHANE KO
CHALIYE HUZOOR JAATE HAIN LAASHE UTHAANE KO

PYAARI BAHEN KE BETOU KA DEKHA JO SHAY NE HAAL


TAN CHAAK CHAAK HAI GULESADH BARG KI MISAAL
ULJHE HAI PAICH KHAYE HUWE GESUWO KE BAAL
OODEY HAI HOTT CHAND SE CHEHRE LAHU SE LAAL
MATHE HAI SAKL SAROU SE AMAAMEY BHI DOOR HAI
SAB CHOTI CHOTI PASLIYA TEGHOU SE CHOOR HAI

CHILLAY GARDANOU KE TALE HAATH DEKE SHA


MU SE MILAO MU KE MERA HAAL HAI TABA
AAKHO MEY DAM THA BOLTE KYUN KAR WO RASH KE MAA
ROTE THE NABZ DEKHKE ABBAS SE ARSHJAA
DUNYA SE KOOCH KARTE THE BACH -CHE PALE HUWE
HAATHOU ME THE HUSSAIN KE MANKE DHALE HUWE

CHILLAY ROKE HAZRATHE ABBAS-E- NAAMWAR


CHOTA TAMAAM HOGAYA YA SHAH-E- BAHROBAR
HAZRATH PUKAARE HAATH KALEJE PA MAAR KAR
HAE HAE BADA BHI MAR GAYA VEERAN HUWA YE GHAR
MAA MUNTAZAR HAE CHAAK GAREBAAN KIYE HUWE
KIS MU SE JAAUN QAIME ME LAASHE LIYE HUWE

KUCH KUCH ABHI THA DAM KE UNHEIN LE CHALE IMAM


EK LAASH KO THO AAP LIYE THE SHAH-E- ANAAM
AURK AIK LAASH HAZRATHE ABBAS -E- NAIK NAAM
QAIMA THA SAAMNE KE BIZA-ATH HUWI TAMAAM
JEETE NA PAHONCHE HAAE GHAZAB QAIMAGAAH ME
DONO SAGHEER MARGAYE ASNAA -E- RAAH ME

ZAINAB KE DIL KO HOGAYI WAAN QUDBAQUD QABAR


JAA BAITHI AAP MATAMI SAF PAR JHUKA KE SAR
LAAE HUSSAIN DONO KE LAASHE LAHU ME TAR
FARMAYA HAAE LUT GAYA BEKAS BAHAN KA GHAR
DO QANJAR AIK BAAR KALEJE PA CHAL GAYE
AAYE THE TUM SE MILNE KO PAR DAM NIKAL GAYE

YEH ZIKR ABHI THA KAY SADAA RONEY KI AAYI

YEH ZIKR ABHI THA KAY SADAA RONEY KI AAYI


DARWAAZEY SEY AKBAR NEY YEH AAWAAZ SUNAAYI
LOOTI GAYEE HAI HAI PHUPHI AMMA KI KAMAAYI
MAAREY GAYE DOH SAATH KE KHELAY HUVEY BHAAI
ROTEY HUVEY ABBAS BHI HUMRAH GAYE HAIN
KHUD LAASHEY UTTHAANEY KAY LIYE SHAH GAYE HAIN

FIZZA KI SADAA AAYI KAY AYE PEETNAY WALO


SAB MILKEY ARAY MERI KHOOZAADI KO SAMBHAALO

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 37 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 38 of 137

ROTHI HAI KIDHAR BAANU-E AALAM KO BULAALO


LOOTA GAYA GHAR KHAAK-E AZA BAALOUN PAH DAALO
MAQTAL SAY HUSSAIN IBNE ALI LAATHAY HAIN LAASHEY
SAIDAANIYOUN DEODI PAY CHALO AATEY HAIN LAASHEY

LAASHOUN KO SHAHEY DEEN SAFAY MATAM PA JO LAAYE


SAB AHLEY HARAM PEETTHEY ROTEY HUVEY AAYE
ZAINAB NEY NA FARYAAD KI NEY ASHK BAHAAYE
BHAITTEE RAHEE SAR ZAANU-E AQDAS PA JHUKAAYE
LAB KHUSK THEY MOOUH FAQ THA MIJHA ASHKOUN SAY TARR THI
NEY APNI NA BHAAI KI NA LAASHOUN KI KHABAR THI

BAANU NAY RAKHEY ZAANU-E ZAINAB PAH SAR UNKAY


JO BIBIYAN THI AAGAYE MOOH KO JIGAR UNK AY
ZAINAB NAY JO KI JHUK KAY NUQHOUN PAR NAZAR UNKAY
DIKHLAAYI DIYE CHANND SAY MUH KHOON MAY TARR THEY
RUKHSAAR BHI MAJROOH THEY ABROOH BHI KATAY THEY
SHAANEY BHI JUDA CHAAND SEY BAAZU BHI KATEY THEY

MUH CHAATHIYOUN PA RAKH KAY WOH NAASHAAD PUKAARI


AARAAM MEY HOTHI HO YA GHASHI PYAAS SEY TAARI
HOTHA HAI BAYAAN SHOUKATH-O HIMMATH KA TUMHAARI
TASLEEM KARO QIBLA-E KAUNAIN KO WAARI
SAMJHI MAI KAY BAAS HAI YEH BEYDAARI SHAB KA
PYAARO YEH TAREEQAA NAHIN ARBAAB -E ADAB KA

TAARIF IMAAM-E DOH SARAA KARTAY HAIN UTTHO


ABBAAS-E ALAMDAAR SANAA KARTAY HAI UTTHO
HUM SHAKL-E NABI MADHEY VEGHA KARTEY HAIN UTTHO
SAB LOG NA UTTNAY KA GILAA KARTEY HAIN UTTHO
AAQA SAY MUSIBATH MAY JUDAA HO NAHIN JAATEY
SADQEY GAYEE YOUN JUNG KE DIN SO NAHIN JAATEY

TUM TOH KABHI YON RAAT KO GHAAFIL NAHIN SOYE


PAANI NAHIN KISTARHAA YEH MAA CHHROUN KO DHOYE
AB TUM NA MILOGAY JO KOYI JAAN BHI KHOYE
QISMATH MEY YEH LIKHAA THA KAY MAADAR TUMHEY ROYE
SAR DEKEY MERE HAQ SEY ADAA HOKAY PHIREY HO
SAMJHI MAI KAY MAAMU PAY FIDAA HOKAY PHIREY HO

PYAARO TUM AKELAY KABHI NIKLEY NAHIN GHAR SEY


RASTHEY SEY NA WAAQIF NA SOBATH-E SAFAR SEY
RAAHEIN WOH-KAY KHAALI NAHIN JO KHOUF -O QATAR SEY
JO KHAASA-E BAARI HAI WOH THARRATHEY HAI DARR SEY
IS KHOUFF SAY RAATHOUN KO NA SOTHEY THAY MOHAMMED
JAB MAUT KA ZIKR AATHA THA ROTEY THEY MOHAMMED

HAI HAI WOHI RASTHA TUMHEY DARPESH HAI PYAARO


TUM MARD HO JARRAAR HO HIMMATH KO NA HAARO
AB AANKHON SEY CHHUP JAAOGAY AYE ARSH KAY TAARO
BACHHO MUJHE MANZIL KA PATHAA DEKAY SIDHAARO
VEERAANEY MAY YA GULSHAN-E HASTHI MAY RAHOGAY
TUM AAJ KI SHAB KOUNSI BASTHI MAY RAHOGAY

TAAREEKI MAY WAARI TUMHEY NEEND AAYEGI KYONKAR


SHAB HOGI TOH BACHCHOUN KO YEH MAA PAAYEGI KYONKAR
MAADAR DIL-E BETAAB KO SAMJHAAYEGI KYONKAR
WAANH TAKH MEREY RONEY KI SADAA JAAYEGI KYON KAR
NIKLOON JO TAJASUS MAY TOH BEYJAA NAHIN WAARI
MAA HOON MERA PATTHAR KA KALEJAA NAHIN WAARI

MAQTAL MAY KHIYAAM AAJ KAHAAN HOGAA BATHA DOH


MAA SADQEY MUQAAM AAJ KAHAAN HOGAA BATHA DOH
DIN TUMKO TAMAAM AAJ KAHAAN HOGAA BATHA DOH
BISTHAR SAR-E SHAAM AAJ KAHAAN HOGAA BATHA DOH
HUM WAAR ZAMEEN SHAB KAY BICHHOUNAY KO MILEGI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 38 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 39 of 137

KAISI HAI JAGHEY JO TUMHEY SONEY KO MILEGI

TUKKDAY THA KALEJAA YEH BAYAAN DARD KA SUNKAR


EK HASHR THA SAIDAANIYAAN JAB PEETTHI THEE SAR
BAANO NEY KAHA QIBLA-E KOUNAIN SAY UTT KAR
MARJAAYEGI MAA LAASHOUN KO LEJAAIYEH BAAHAR
FARZANDOUN KA GHAM KHAALIQ -E AALAM NA DIKHAAYE
ALLAH KISI MAA KO YEH MAATAM NA DIKHAAYE

SHAHZADE ALI ASGHAR A.S


BANO KE SHEER QHWAAR KO HAFTUM SE PYAAS HAE

BANO KE SHEER QHWAAR KO HAFTUM SE PYAAS HAE


BACHCHE KI NABZ DEKH KE MAA BE-HAWAAS HAE
NAA DOODH HAI NAA PAANI KE MILNE KI AAS HAE
PHIRTHI HAI AAS PAAS YE JEENE SE YAAS HAE
KAHTHI THI KYA KAROON MAIN DUHAAI HUSSAIN KI
PUTHLI PHIRI HAI AAJ MERE NOOR -E- AIN KI

FARYAAD YA ALI MAIN KIDHAR JAAUN YA ALI


IN DAAGHOUN KO KAHAN SE JI GAR LAAUN YA ALI
KIS TARHA INKI SAANS KO TEHRAAUN YA ALI
PAANI KA QHAHAT HAI MAIN KAHAN PAAUN YA ALI
PICHLI KO AANKH KHOLE THE AB KHOLTHE NAHI
ROTE NAHI HUMAKTHE NAHI BOLTHE NAHI

AAQIR KAHA YE SAB NE, BULAAO IMAM KO


LAAO KHUDA KE WAASTHE LAAO IMAM KO
IS BEZABAAN KA HAAL SUNAAO IMAM KO
NEELI RAGEN GALE KI DIKHAAO IMAM KO
AKBAR KI LAASH LE GAYE HAIN QATLGAAH ME
KOI PUKAR LO WOH ABHI HONGEY RAAH ME

MU PAR JAWAAN BETE KA TAZA LAHU LAGAAE


MATAM SARAA ME GANJE SHAHIDAAN SE SHAAH AA YE
JHULE PA HAATH PAKDE HUWE AHLEBAITH LAYE
BACHCHE KE HAATH PAAUN HILA KAR INHEY DIKHAAYE
ROKAR KAHA KE SANS FAQATH AASHKAAR HAI
HO ISKA KYA HISAAB KE DAM KA SHUMAAR HA I

BAITHE SARHAANE JHULE KE SHABBIR SAR JHUKAA YE


ASGHAR KE KAAN SE LAB-E MOUJIZ NUMA MILAAE
CHUPKE SE KUCH KAHA KE WO SUNTE HI MUSKURAAYE
SOO-E- HUSSAIN HAATH BHI BE SAAQTHA BADHAAE
BOLI SAKINA BABA NE MUSHKIL KUSHAA YI KI
AMMA MUBARAK AANKH KHULI MERE BHAAI KI

HATHOUN PA ISKO LEKE CHALE SHAAH -E KARBALA


AUR SAATH SAATH GOUDH KO KHOLE HUWE QHAZAA
LIKHA HAE DHOOP TEZZ THI AUR GARM THI HAWA
ASGHAR PA MAA NE DAAL DI UJLI SI EK RIDAA
CHAADAR NA THI WO CHAHRA-E PUR AAB-O- TAAB PAR
TUKDA SUFAID ABR KA THA AAFTAAB PAR

PAHONCHE QAREEB-E- FOUJ TO TYORAA KE REH GAYE


CHAAHA KARE SAWAAL PA SHARMA KE REH GAYE
GHAIRATH SE RANG UDD GAYA THARRA KE RAH GAYE
CHAADAR PISAR KE CHEHRE SE SARKA KE RAH GAYE
AANKHEN JHUKA KE BOLE YE HAM INKO LAAYE HAIN
ASGHAR TUMHAARE PAAS GHARZ LEKE AA YE HAIN

PHIR HONT BEZUBAAN KE CHOOME JHUKA KE SAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 39 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 40 of 137

ROKAR KAHA JO KAHNA THA SO KAH CHUKA PIDAR


BAAQI RAHI NA BAATH KOI AYE MERE PISAR
SOOKHI ZABAAN TUM BHI DIKHADO NIKAAL KAR
PHERI ZABAN LABOUN PA JO IS NOOR -E- AIN NE
THARRA KE AASMAAN KO DEKHA HUSSAIN NE

MOULA FALAK KO DEKH RAHE THE KE NAAGAHAAN


LI HURMULA NE SHAANE SE DO TAANK KI KAMAAN
TARKASH SE JAB KE KHEENCH LIYA TEER-E JAAN FISHAAN
CHODDA KAMAAN SE TAAK-KE HALQOOME BE ZUBAAN
CHUT-THE HI HALQ BACHCHE KA CHEYDAA JO TEER NE
THARRA KE AASMAN KO DEKHA SAGHEER NE

KYA SIN THA TEER KHATEY HI BACHCHAA DAHEL GAYA


SOOKHE GALE SE KHOON KA DARYA UBAL GAYA
TADPA JO SHAY KE HATHOUN PA TO MANKA DHAL GAYA
TOPI GIRI ZAMEEN PA AUR DAM NIKAL GAYA
NANHI KALAIYOUN ME TASH-NUJH SE BAL PADEY
HICHKI JO AAI MU SE ANGOTTE NIKAL PADE Y

MU AASMAAN SE SHEH NE PHIRAYA KE KYA HUWA


DEKHA KE PAAR HALQ SE TEER -E JAFAA HUWA
BACHCHA TADAP RAHA HAI LAHU ME BHARA HUWA
AUR NANHA HAATH ZAQME GULU PAR DHARA HUWA
AANKHEN PHIRAAE DETE HAIN TEYWAR BADALTHE HAIN
AAGE TO DOODH UGLEY THEY AB KHOON UGALTHEY HAIN

KHAINCHA GALE SE BACHCHE KEY AAHISTHA SHAY NE TEER


AUR HATOUN PE BULANDH KIYA LAASHA-E SAGHEER
GARDAN JHUKA KE BOLE KE AYE KHALIQH-E QADEER
MAQBOOL HO HUSSAIN KA YE FIDYA-E- AQEER
SHASHMAHA KOI KUSHTA-E TEERE SITAM NAHI
YE BEZUBAAN NAAQA-O SAALEH SE KAM NAHI

BANO PICHLE PAHAR ASGHAR KE LIYE ROTI HAI

BANO PICHLE PAHAR ASGHAR KE LIYE ROTI HAI


AIK WO JAAGTHI HAI QHALQ-E- QHUDA SOTI HAI
SAR KO BHI PEET- THI HAI JAAN KO BHI KHOTI HAI
YE AJAB GHAM HAE KE TASKEEN NAHI HOTI HAI
PEET- THE PEET- THE BEHOSH JO HOJAATI HAI
ALI ASGHAR ALI ASGHAR KI SADAA AATI HAI

KABHI KONEY ME WO MU DHAAMP KE CHILLATI HAI


AUR KABHI SAHEN ME GHABRAAKE NIKAL AATI HAI
KOOKH PAKDEY HUWE HAR AIK TARAF JAATI HAI
DHOONDTHI HAI MAGAR ASGHAR KO NAHI PAATI HAI
TAN KO LARZISH HAI JUDA AUR HAI MU ZARD -E JUDA
DIL TADAPTHA HAI JUDA SINE ME HAI DARD -E JUDA

KABHI KAHTHI HAI KE GHAR ME MERE ANDHIYAARA HAI


ALI ASGHAR KI JUDAAI NE MUJHE MAARA HAI
HAAE MAIN GHAR ME HOON JUNGLE ME MERA PYAARA HAI
MEHERBAANI JO KARE MOUTH TO CHUTTKARA HAI
KAB TALAK RAATOUN KO HAM NALA -O FARYAAD KARAIN
YA ILAAHI ALI ASGHAR MUJHE AB YAAD KARAIN

GOUDH PEHLAAKE KABHI KAHTI HAI DILBAR AAJA


ROOH BE-CHAIN HAI AAJA ALI ASGHAR AAJA
DIL TADAPTHA HAI MERA GOUD H KE ANDAR AAJA
FATEMA KELIYE AAJA PAYE’H HYDER AAJA
BOOND PAANI KELIYE HAAE TERI JAAN GAYI
AA MAIN SADQE GAYI WAARI GAYI QURBAAN GAYI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 40 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 41 of 137

AAKE SEENE SE MERE SEENA LAGADO BETA


AAG BHADKI HAI KALEJE ME BUJHAADO BETA
QUSHK MU APNA MERE MU SE MILA DO BETA
EK NAZAR CHAND SI TASVEER DIKHADO BETA
JAAO PHIR QHULD ME MAA TUM KO NA BEHLAAEGI
AIK DAM SE NA ZIYADAH TUMHEN TAHRAAEGI

LORIYAAN HUM TUMHEN AYE LAAL DIYA KARTE THE


AAP LETE HUWE JHULE ME HASSA KARTE THE
GHUTNIYOUN GHUTNIYOUN GAR AAP CHALA KARTE THE
KURTA PAKDE HUWE HAM SAATH RAHA KARTE THE
HAAE MAA BAAP SE QISMATH NE CHUDHAYA TUMKO
SOONE JANGAL ME MERI JAAN SULAYA TUMKO

YAAD HAR CHEEZ TERI AATHI HAI AYE NAIK QHISAAL


MERI NAZROUN KE TALE PHIRTI HAE WO TERI CHAAL
JUTI JUTI WO BHAWAIN AUR JHANDOLE WO BAAL
CHOTI CHOTI WO TERI UNGLIYAAN AYE MERE LAAL
BU-YE GUL AATHI THI BETA TERE PAIRAAHAN ME
QHOOB KHILTI THI ALI BAND TERI GARDAN ME

QHALQ SAB SOTI HAI RAATOUN KO GHAROUN ME A PNE


HAM AGAR LETEY HAIN KARWAT TO QASAM LO HAMSE
NEEND AATI MERE PAHLU ME AGAR TUM HOTE
TUM TO AYE LAQTE JIGAR GOUDH ME MARQHAD KE GAYE
YAAD IS PAALNE WAALI KI BHULAAI TUMNE
PAAYENTHI BAAP KI AYE LAAL BASAAI TUM NE

HAAE ASGHAR NA TERA DAEN HUWA MAA SE ADA A


BOJH KOI MERI GARDAN SE NA UTRAA TERA
NAA TERI SAALGIRAAH KI, NA TERA DOODH BAD DHA
NAA LAHAD TUJH KO MILI AUR NA KAFAN TUJH KO MILA
TUM TO MAARE GAYE CHAATI PA LITAAUN KISKO
CHOTE CHOTE YE SHALOOKE MAIN PAHANAOO KISKO

BAIN KARTI THI YAHI PEET KE BANO D UKHYA


AAGE ISTARHA SE HAI RAAVI-E PURNAM NE LIKHA
AAI EK SIMT SE WAAN PEETNE RONE KI SADAA
HAR TARAF BANO-E- BEKAS NE BA HASRAT DEKHA
ROKE KAHNE LAGI MAALOOM NAHI HOTA HAI
KOI BAITHA HUWA HAMRAAH MERE ROTA HAI

KOUN HAE MERI TARHA DUKH ME PHASA AYE DAAWAR


KOUN BEKAS HAI MERI TARHA SE ROTA AAKAR
YE WO KAHTI THI KE YE AAI SADAA US JAA PAR
AYE BAHU QHULD SE AAYA HAE YAHAAN PAIGHAMBAR
TERE RONE NE AZIYYATH MUJHE PAHONCHAI HAI
QHABR SE AAH TERI MUJH KO UTTHAA LAAI HAI

GHASH ME BANO NE JO YE FATEMA ZEHRA SE SU NA


HAATH PHAILA DIYE AUR GODME ASGHAR KO LIYA
MU SE MU USKE MALA AUR LABOUN KO CHOOMA
QHOOB LIPTA KE KALEJE SE YE RORO KE KAHA
THI JUDAAI NE TERI, AAG LAGAAI BETA
TUM NE WO AAG MERE DIL KI BUJHAAI BETA

HAAE KIS BEKAS -O MAZLOOM KA YE MAATAM HAE

HAAE KIS BEKAS-O MAZLOOM KA YE MAATAM HAE


FATEMA AAI HAI RONE KO YE KIS KA GHAM HAE
NANGE SAR SAATH HAIN HOOREN BHI AJAB AALAM HAE
RONE WALOUN SE YE IRSHAAD BHI TO PAIHAM HAE
RONE WAALO TUMHEN RONE KA SILAA DENE KO
FATEMA AAI HAIN TUM SAB KO DUA DENE KO

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 41 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 42 of 137

AYE AZADARO TUMHEN QHALEQE AKBAR KI QASAM


KOWN MAZLOOM HAE WO TUM KO PAYAMBAR KI QASAM
NAAM LO USKA ZUBAAN SE TUMHEN HYDER KI QASAM
BE ZABAAN HASLIYON WALE ALI ASGHAR KI QASAM
ROKE KAHDO KE KOI BEKAS -O MAGHMOOM NAHI
JUZ HUSSAIN IBN-E ALI AUR KOI MAZLOOM NAHI

YAHI MAZLOOM MADINE KA HAI RAHNE WALA


AIK SAIDAANI NE FAAQOUN ME JISE THA PAALA
NAYYAR-E BURJ-E IMAMAT KA YAHI HAE HAALA
AIK BEKAS PA SITAM HAE YE FALAK NE DALA
SUBHA SE ASR TALAK GHAR KO LUTAAYA IS NE
MARGAYE SOB TO GALA APNA KATAYA IS NE

SHABE HAF-TUMSE HUWA BANDH ISI PAR PAANI


ISI MAZLOOM KE QISMATH ME YE THI HAIRAANI
ZIBHA JAB HOTA THA RAN MEY JO ALI KA JAANI
PEET-TI PHIRTHI THI MAQTAL MEY KOI SAIDAANI
KON SAIDAANI WAHI FATEMA KI JAAYI THI
BHAI KE PYAR ME SAR NANGE NIKAL AAYE THI

HAAN PAYAMBAR KE MADINE KA MUSAAFIR HAI YAHI


APNE NANA KI LAHAD KA BHI MUJAAWER HAI YAHI
JISKO PAANI NA MILA THA DAM-E- AQIR HAE YAHI
JIS PA SADQE HUWE AYYUB WA SARWAR HAI YAHI
BEKAS-O BE WATAN-O TASHNADAHAN KAHTE HAIN
ISI MAZLOOM KO MOHTAAJ-E- KAFAN KAHTE HAIN

YA HUSSAIN AAPKI MAZLOOMI-O GHURBATH KE NISAAR


SAR KO KATWADIYA KIS SHAAN SE HIMMAT KE NISAAR
TAH-E- QHANJAR BHI KIYA SAJDA IBADATH KE NISAAR
NANGE SAR DEKHA NA HAMSHEER KO GHURBATH KE NISAAR
HOON FIDA AAP PA MU ASHKOUN SE DHONE WALE
YA HUSSAIN AAP PA SADKHE HON YE RONE WALE

DEKHA IS BEKAS-O- MAZLOOM KI SHANE GHURBATH


CHOTE BETEY KI LAHAD KHODI HAE UF YE HIMMATH
KAANPTHE HATOUN SE AAQA NE BANAAI TURBATH
KYA KAHEN KIS SE KAHEN KALB KI APNI HAALATH
CHAND KO APNE TAHE QHAAK CHUPAYA HAE ABHI
HASLIYON WALE KO TURBATH ME SULA YA HAE ABHI

KIS QADAR BEKAS-O MAZLOOM THA YE SHAH -E- GHAREEB


NAA KAFAN CHOTE SE SAYYAD KO HUWA US KO NASEEB
SAR KO KATWAAE HUWE SOTE HAIN SAB USKE HABEEB
PYAAS SE TEEN SHAB-O ROZ SE HAALAT HAE AJEEB
YA ALI KAHKE SAMBHALA HAE DIL -E- MUZTAR KO
QHOON BHARE KURTE ME DAFNAYA ALI ASGHAR KO

ROKE DETE HAIN SADA-E MAH-E ANWAR BOLO


AYE MERE CHOTE SHAHEED AYE MERE DILBAR BOLO
BAAP KO CHOWDH KE TANHA GAYE KYNKAR BOLO
DARD KAISA HAE GALE ME ALI ASGHAR BOLO
GOUD ME BAITH KE SAB HAAL SUNAANA BETA
TEER KA ZAQM BHI DAADI KO DIKHANA BETA

LO MOMINO QULAASA SUNO IS BAYAAN KA


LO MOMINO QULAASA SUNO IS BAYAAN KA
BANO KO PURSA DO CHE MAHINE KI JAAN KA
PAR HAAL KIS ZABAAN SE KAHOON BEZUBAAN KA
KYUN GIR PADA NA PHAT KE TABAQ AASMAAN KA
JHULE ME DI PANAAH NA MAA KAY KANAAR ME
KAATI ADOO NE GARDAN-E- ASGHAR MAZAAR ME

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 42 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 43 of 137

LIPTE HUWE AZIZOUN KE LASHOUN SE THE Y HARAM


JO AAH SAR SHAHIDOUN KE HONE LAGE QALAM
JINN JINN KE QHUD UMAR NE KIYE NEZOUN PAR ALAM
BOLA MULAZIMOUN SE ABHI AIK SAR HAI KAM
IS DAM MUJHE QAYALL-E- ITAAB-E YAZEED HAI
ARZI MAIN LIKH CHUKA HOON BAHATTAR SHAHEED HAI

PEETENGE IS BAYAN SE SAB K HODA-KHO JAWAAN


YE TAAZA WAAQIYA HAI GHAZAB KI HAI DAASTAAN
KYUN QUSHK HOGAYI NA SITAMGAAR KI ZABAAN
BOLA UMAR TALAASH KARO QABR KA NASHAAN
BACHCHE KI QABR KHODH KE SAR KO QALAM KARO
AKBAR KE SAR KE PAAS SINAA PAR ALAM KARO

BAAZ LARAZ LARAZ KE PUKARE KE AL - HAZARR


HAM TO NA QABR KHODENGE ZAALIM QUDA SE DAR R
IS BEZABAAN SHAHEED KE SIN PAR TOH RAHAM KAR
SOTA HAI SAARI RAAT KA JAAGA LAHU ME TA RR
DEKHAY NA CHAIN JHULE KAY NE MAA KI GODH KE
BACHCHE KE SAR NA KAATENGE HAM QABR KHOD H KE

KYA USKI QAB SE TUJHE DAAWAAH HAI AYE LAEEN


HAZRATH NE MOUL LI THI YE MAQTAL KI SA B ZAMEEN
BE DAFN HAIN MAHE RUFAQAA BAAD SHAAH-E- DEEN
BE GHAR HAIN AHLEBAITH-E- SHAHINSHAH-E- MURSALEEN
MURDOUNKO GOUR ZINDOUN KI QAATIR MAKAAN NAHIN
EK BACCHA QABR ME HAI USE BHI AMAAN NAHIN

ROTE THE HAAE LAASH-E SHAHIDAAN PA SAB HARAM


KYA DEKHTE HAIN AATA HAI EK BAANIYE SITAM
NOOKE SINAAN CHUBOTA HAI MITTI ME DAM BADAM
FIZZA PUKAARI QAIR KARE RABBE ZUL KARAM
YE QABR DHOONDTHA HAI KISI NAAZNEEN KI
NEZE SE DEKHTHA HAI YE NARMI ZAMEEN KI

BANO NE PUCHA DEEDA-E DIL SE BAHAKEY KHOON


JOYAA HAI KISKI QABR KA YE ZALIM -E- ZABOON
FIZZA PUKARI QAAK MERE MU ME KYA KAHOON
MAIN KIS ZABAAN SE SAAHIBE TURBAT KA NAAM LOON
KHODEGA MAQBARAA CHE MAHINE KI JAAN KA
MAANGAA HAI IBN-E-SAAD NE SAR BE ZABAAN KA

PAIKAAN JIS GALE SE ABHI HO CHUKA HAI PAAR


HAE HAE USI GALE PA PHIREGI CHURI KI DHAAR
ARAMGAH MURDOUN KA HAI GOSHA-E MAZAAR
BIBI KE LAQTEY DIL KO WAHAN BHI NAHIN QARAAR
NE FAATEHA NA PHOOL KISI NOOR-E- AIN KE
HOTE HAIN ZIBHA QABR ME BACHCHE HUSSAIN KE

RAN ME ABRU KAMAAN KI AAMAD HAE

RAN ME ABRU KAMAAN KI AAMAD HAE


ASGHAR-E- BEZABAAN KI AAMAD HAE
BHUKE KI NATAWAAN KI AAMAD HAE
PYAASE KI NEEMJAAN KI AAMAD HAE
YAHI QAIME ME SHOUR HOTA HAE
WADAA UNKA BHI PURA HOTA HAE

PYAAS NE KARDIYA HAI YE AALAM


GHASH PA GHASH AATE HAIN UNHEN PAIHAM
HILTE HAIN HAATH PAAUN BHI KAM KAM
SEENE ME AB NAHI SAMATHA DAM
GHAM SE MATAM ZADOUN KO SAKTA HAE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 43 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 44 of 137

NANHA SYED PADA SISAKTHA HAE

RO NAHI SAKTE MU BANAATHE HAIN


AANKHEN ULTI HUWI PHIRAATHE HAIN
QUSHK MU, WAA ZABAAN DIKHATE HAIN
GHUL SE RONE KE SAHME JAATHE HAIN
MU KHULA HAE DHADAKTHI CHATHI HAI
SAANS BHI AB ATAKTHI AATI HAI

SEENA GARMI KE MAARE JALTA HAE


NANHA SA DIL PADA UCHALTA HAE
DAM BA DAM RANG KO BADALTA HAE
BAS NAHI KUCH KISI KA CHALTA HAE
NAAM PAANI KA SAB JO LETE HAIN
MU KO GHABRA KE KHOL DETE HAIN

ROKE KAHTI HAE BANO-E DILGEER


MAIN KIDHAR JAAUN KYA KAROON TADBEER
HAAE BACCHE MERE TERI TAQDEER
NAA THO PAANI MILA TUJHE NAA SHEER
HAAL JAB DEKHTHI HAI BA D, ZAINAB
KAHTHI HAI YA ALI MADAD, ZAINAB

HAAE KYA WAQT HAE PADA HAM PAR


KARNE PAA-E- NA MAATAM-E AKBAR
HUWI DARPAESH RAHLATHE ASGHAR
AB MAIN NIKLOONGI ODH KAR CHAADAR
LASHKAR-E- SHAM PAAS JAAUNGI
HAAL BESHEER KA SUNAAUNGI

KAHUNGI JAAKE MAIN HOON SAIDA ANI


DEKHO MARTA HAI YE MERA JAANI
TISHNAGI KI HAI ISPA TUGHYAANI
WAAH KYA QHOOB KI HAI MEHMANI
KARO SAYRAAB LAAL KO MERE
PAANI DO NOUNEHAAL KO MERE

QAIME ME AAE SARWAR-E AALAM


JHULE SE BEZUBAAN KO LAYE HARAM
SHAY NE DEKHA KE HAI LABOUN PAR DAM
ROKE IRSHAD YE KIYA PAIHAM
MERE JAANI MERE JIGAR AAO
CHALO MAIDAN KI SAER KAR AAO

KAHKE YE ROE SARWAR-E- ZEEJAAH


LIYA HATHOUN PA APNE GHIRATH-E- MAAH
KIYA PINHAAN ABAA ME QAATIRQAAH
AUR KAHA LALLAAH – ILLALLAH
LEKE PYASE KO ASHBAAR CHALE
PUSHT QAM KARKE BE QARAAR CHALE

ROKE KAHNE LAGE IMAM-E- GHAYUR


GHAFILO KUCH NAHI HAI TUM KO SHAOOR
TUM SAMAJHNA NAHI QHUDA KO DOOR
MERE BACCHE KA KUCH NAHI HAI QUSOOR
BE GUNAAJ KI NA JAAN LO YAARO
MERE KAHNE KO MAANIO YAARO

ZALIMO WAASTHA PAYAMBAR KA


DAM NIKALTHA HAI MERE DILBAR KA
TAR KARO HALQ MERE ASGHAR KA
JAAM DOONGA MAIN TUM KO KAUSAR KA
HURMALA BOLA AAB MILTA HAI
TAHRO TAHRO JAWAB MILTA HAI

BOLE KARTA HAI KYA GHAZAB ZALIM

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 44 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 45 of 137

MAARTHA KYUN HAI BESABAB ZALIM


PAANI MAANGENGE HAM NA AB ZALIM
SUNTA THA SHAH KA KAHNA KAB ZALIM
TEER ABROO KAMAAN KO MAARA
CHE MAHINE KI JAAN KO MAARA

RAWANA NAHR-E- LABAN KO JO SHEERQHWAR HUWA

RAWANA NAHR-E- LABAN KO JO SHEERQHWAR HUWA


ZABAAN DEKHANEY PA GARDAN SE TEER PAAR HUWA
TADAP KE HATHOUN PA HAZRATH KE HAMK ANAAR HUWA
QIZAAN HUWA JO WO GUL TOU GALE KA HAAR HUWA
IDHAR TO SHAAH KO YE SADMA -E- JIGAR PAHONCHA
UDHAR MADINE SE SUGHRA KA NAAMABAR PAHONCHA

LAHU ME GHARQ KHADE THE KAMAR JHUKA -E- HUWE


PISAR KI NANHI SI MAYYATH GALE LAGAA -E- HUWE
LAHU BHARA HUWA DAAMAN USE UDHAAE HUWE
KAFAN KI FIKR ME QHAIME KO MU PHIRA-E- HUWE
YE HAAL DEKH KE QAASIDH KI AAS TOOT GAYI
HUWA YE RAASHA KE FOURAN MEHAAR CHOOT GAYI

UTAR KE NAAQHE SE AADAAB WO BAJAA LAAYA


MAGAR HUSSAIN THE BEHOSH KUCH NA FARMA AYE
WO NOUHA PADHTHA HUWA AUR MUTTASIL AAYA
NIGAAH-E- YAAS SE MU DEKH KAR YE CHILLAYA
QHARAAR DO MUJHE MAIN BEQARAAR HOTA HOON
HUSSAIN JAAN KE TUMPAR NISAAR HOTA HOON

KAHO BAQEEYA-E AULAD-E- MURTAZA HO TUM


AMEER-E- LASHKAR-E- ALLAH-O- MUSTAFA HO TUM
GAREEB-E KOOFA-O- MAZLOOM-E- KARBALA HO TUM
BATAA-O- QASIM-E- NASHAAD KE CHACHA HO TUM
JAWAAB DO PIDAR-E- NAMURAAD-E- AKBAR HO
JANAB-E HAZRATHE ABBAS KE BARAADAR HO

BAHAN HAI AAPKI ZAINAB SAKINA DUQTAR HAE


HAR AWWAL AAPKAY LASHKAR KA HURR-E- SAFDAR HAE
WATAN ME BHI KOI BETI ALEEL-O SHASHDAR HAE
HUZOOR KA KOI NANHA SA LAAL ASGHAR HAE
ZOHAIR AUR HABEEB AAP KE MUSAAHEB HAE
JANAB AUN-O MOHAMMED KAY MAAMU SAHEB HAE

HUSSAIN BHARKE DAM-E SARD BOLE AY GHAMKHAR


AMEER KOUN HAE MAIN TOH HOON BEKAS-O- NACHAAR
KAHAN HAIN AKBAR-O- QASIM KAHAAN ALAMBARDAAR
QHUDA KE BANDE THE YE SAB HUWEE QHUDA PA NISAAR
SIPAAHE ZULM NE TANHA SAMAJH KE GHERA HAI
HAZAROUN TEGH HAI AUR AIK HALQ MERA HAI

HATAAYI CHEHRE SE ASGHAR KE QHOON BHARI CHADAR


PASEENA MAUTH KA MAATHE SE POUNCHA SAR TA SAR
PUKARE LAASHEY(MURDE) KI AANKHOUN PA HONTOUN KO RAKH KAR
LIKHI HAE FATIMA NE DEEDAA BOSI-E ASGHAR
GAWAH RAHIYO KAY FAAQE SE JHOOMTHA HAI HUSSAIN
AUR UNKE BHAI KI AANKHON KO CHOOMTHA HAI HUSSAIN

BENAALOON NANHI SI QABR INKI AYE KHUJISTHA SIYAR


TOH LE CHALOON PISAR-E- NOUJAWAN KE LAASHE PAR
TO PADHIYO LASHA-E- AKBAR PA NAAMA-E- KHAAHAR
YE KAHKE GHODEY SE UTREY IMAM JINN-O- BASHAR
ZAMEEN QABR KI KHATIR PASANDH KARNEY LAGE
MAZAAR KHOD KE NAALE BALAND KARN EY LAGE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 45 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 46 of 137

LAHU SE GHUSL TO ASGHAR KO DEY CHUKI THI QAZAA


MALEE BASOORATH-E- KAAFOOR SHAY NE QHAAKE SHIFA
UTAARA QABR ME ASGHAR KA KHOON BHARA LAASHA
LITA-KE QHAAK PA QIBLA KI SIMTH MU PHE-RA
PHIR APNE CHAND KO JAB QHAAK ME CH IPANEY LAGE
TO YA ALI KAHA AUR HAATH THAR THARRAANEY LAGE

YE HAAL DEKH KE QAASID NE KI MADADGAARI


LAHAD ME UNGLIYOUN SE QHAAK DAALI EKBAARI
PUKARI QAIME KE DAR SE YE BANO DUKHIYAARI
YE KIS KI QABR KI HOTHI HAI RAN ME TAYYARI
HUSSAIN BOLE KE SADME NAYE GUZARTHE HAIN
TUMHARE HANSLIYAAN WAALE KO DAFN KARTE HAIN

GIRI ZAMEEN PA KALEJA PAKAD KE WO NACHAAR


PUKARI MERI KAMAAL HAI AYE ZAMEEN HUSHIYAAR
NA MURDA JAANIYO HAE MERI JAAN YE DILDAAR
ZAMEEN ME TERE SADQE TERE MAKEEN KE NISAAR
YE ZAIR-E- QHWAAB MERI MANNATOUN KA BAAGH MILA
MUJHE YE PHOOL MILA AUR DIL KO DAAGH MILA

BALAEN DOOR SE LELE KE PHIR KIYA YE BAYAAN


TUMHARI NANHI LAHAD KI MAI WAARI ASGHAR JAAN
ANDHERA GHAR HAI NA GHABRAIYO YE MAA QURBAAN
AKELE SONEY KI MUSHKIL QHUDA KARE AASAAN
TUMHARE CHAHNE WALE GALE LAGAAENGE
MUJHE YAQEEN HAI JANAAB -E AMEER AAENGE

SHAHZADE ALI AKBAR A.S


DASHTEY BALAA MEY GUMH ALI AKBAR KI LAASH HAI
DASHTEY BALAA MEY GUMH ALI AKBAR KI LAASH HAI
FARZAND-E FAATIMA KO PISAR KI TALAASH HAI
DAAGH-E JIGAR KO NAAKHOON-E GHAM KI KHARAASH HAI
SANGH-E ALAM SEY SHEESHA-E DIL PAASH PAASH HAI
BANU KO GHASH HAI AHLE-HARAM DARD MANDH HAIN
HAI HAI PISAR KI GHAR MEY SADAAYEIN BULAND H AIN

CHILLAATHAY HAIN KAY BAAP KAY PYAAREY KHIDHAR GAYE


AEY NOOR-E CHASHM AANKHON KAY TAAREY KIDHAR GAYE
AEY MERI ZINDAGI KAY SAHAAREY KIDHAR GAYE
PAHOONCHA KAY MUJHKO GOUR KINAREY KIDHAR GAYE
ANDHER HAI AGAR NA TUMHEIN PAAYEGA PIDAR
AAWAAZ DOGAY TUM TOH CHALAA AAYEGA PIDAR

ROTHEY HO KIS LIYE ALI AKBAR JAWAAB DO


SADQEY HO BAAP AEY MERAY DILBAR JAWAAB DO
AEY MERAY HUM SHABIHEY PAYAMBAR JAWAAB DO
TUM SEY BICHADD KAY ZEESTH HO KYUNKAR JAWAAB DO
JO RAAH HAI TUMHAARI WOHI APNI RAAH HAI
LAAZIM HAI RAHEM BAAP KI HAALAT TABAAH HAI

KIS JAAH PEY TUM PADDEY HO BATHAAO PIDAR NISAAR


AAWAAZ HUM KO APNI SUNAAO PIDAR NISAAR
HUM GIR PADDEY HAIN AA KAY UTTHAAO PIDAR NISAAR
CHAATI SEY PHIR PIDAR KO LAGAAO PIDAR NISAAR
RUKSATH HAI APNEY GHAR KO ZARAA DEKH BHA AL LO
LAGZISH HAI HAATH PAOON MEY AKBAR SAMBHAAL LO

KIS SEY MY PUCHOON KAUN TUMHAARA PATAA BATHAAYE


YEH BEYKAS-O GHAREEB MUSAAFIR KIDHAR KO JAAYE
QISMATH MEY MERI TTHOKAREIN LIKKHI HAI HAAYE HAAYE
IS ZINDAGI SEY KAASH KHUDA HUMKO BHI UTTHAAYE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 46 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 47 of 137

ANDHER HAI KAY GODH KAY PAALOUN SEY CHUTT GAYE


MANZIL PA AAKAY QAFILAY WAALOUN SEY CHUTT GAYE

AB HAATH BHI PAKADD KAY UTTHAATHA NAHIN KOYI


RONEY PA MERAY RAHEM BHI KHAATA NAHIN KOYI
YOUSUF KI MERI SHAKL DIKHAATA NAHIN KOYI
BETA TUMHAARI LAASH BATHAATHA NAHIN KOYI
HAALAT HAMAARI KAAHEY KO DEKHI HAI AAP NEY
TUM KO KHAYAAL HOGAA KHABAR LI NA BAAP NEY

AEY FOUJ-E ZULM BAANO KAY DILBAR KO KYA KIYA


BEYKAS KO TASHNAKAAM KO BEYPAR KO KYA KIYA
AEY ZAALIMO SHABIHEY PAYAMBAR KO KYA KIYA
MILTAA NAHIN MERAY ALI AKBAR KO KYA KIYA
LILLAH DO PATAAH KAY BHATTAKTEY HAIN RAAH MEY
SHAAYAD GIRAA DIYA MEREY YOUSUF KO CHAAH MEY
CHILLATI HAI KAY GOUDH KA PAALA KAHAAN GAYA
AANKHON KA NOOR GHAR KA UJAALAA KAHAAN GAYA
CHASHM-O CHIRAAGH-E SYED-E WAALAA KAHAAN GAYA
MERAA WOH LAMBEY GEYSUOUN WAALAA KAHA AN GAYA
DO BETAY KHO KAY PAAYAA THA IS NAUNEHAAL KO
BARCHI SE KISNEY QATL KIYA MERAY LAAL KO

KISI KA QAANA-E- UMMED BE CHARAAGH NA HO


KISI KA QAANA-E- UMMED BE CHARAAGH NA HO
JAWAAN BETE KA DILKO PIDAR KE DAAGH NA HO
HAZAAR BAAGH LUTE PAR QIZAAN YE BAAG H NA HO
PISAR KE GHAM SEY PARISHAN DIL-O- DIMAAGH NA HO
FALAK BALAA KA SHAH-E- KARBALA KA TOOTA HAI
MUSAAFERI ME BARABAR KA LAAL CHOOTA HAI

WO LAAL JISKO NA PAHONCHE KOI DURRE SHAHWAAR


WAHID-E- ASR SHABAAHAT ME AHMED-E- MUQTAAR
HAMESHA MISL-E-ALI ROZEDAAR SHAB BEDAAR
SHUJAA-O- MUTTAQI-O-QUSH MIZAAJ-O- GHIRAT DAAR
YE SAB KAMAAL MILE ZER-E QHAAK EK DIN ME
TAMAAM HOGAYE ATTHARA SAAL KE SIN ME

BATOOL KAHTHI THI FARYAAD YA ALI FARYAAD


MERI BAHU HUWI BARBAAD YA AII FARYAAD
BAJAA-E- RAHAM HAE BEDAAD YA ALI F ARYAAD
KHUDA KE WAASTHE DO DAAD YA ALI FARYAAD
DUHAAI YOUSUF-E- AAL-E- ABAA KO MAARA HAE
JAWAAN KO MAARA HAE NAAKITH QUDA KO MAARA HAE

LIKHA HAE WA AABATAA KI JOO’N HI SADAA AAYI


HUSSAIN IMAM KE CHEHRE PA MURDANI CHAA YI
WO AAH KI KE ZARI-E- RASOOL THARRAAYI
RAWAANA HOGAYI ASHKOUN KE SAATH BEENAA YI
SAWAR-E- DOSH-E- PAYAMBAR KI AAS TOOT GAYI
INAANE SABR JO THAAMI LAGAAM CHOOT GAYI

PUKAARTE HAIN PISAR KO PISAR NAHI AATA


JIGAR ME DARD HAI LAQTE JIGAR NAHI AATA
KOI RAFEEQ-E- SHAHEY BAHROBAR NAHI AATA
TUMHAARE BHAAI KO RASTA NAZAR NAHI AATA
PISAR KAY GHAM ME QHUZAADA MERA HALAAK HUWA
BASA BASAAYA GHAR UNSAT BARAS ME QHAAK HUWA

YAHAAN TO FIZZA YE KARTHI THI DARD KI TAQREER


ASAA-E AAH UTTHA KAR UDHAR CHALE SHABBIR
ANDHERA SAAMNE ANKHOUN KE AUR DIL TAGHEER
HAR AIK BAAR YE NAARA KE YA JANAB-E- AMEER
KABHI UTHE KABHI SULTAN-E- MASHRAQAIN GIRE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 47 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 48 of 137

LIKHA HAE YE KE BAHATTAR JAGAH HUSSAIN GIRE

QADAM QADAM PA TAHARTE THE SHAAH -E- TISHNA GULOO


HAWA ME SOONGTHE THE APNE LAAL KI QUSHBOO
ZAMEEN PA BAITH KE GAAHEN BAHATH E THE AANSOO
TALAASH KARTHE THE HAATHOUN SE LAASH KO HAR SOO
JO KOI POOCHTHA THA KYA HUZOOR DHOODTHE HAIN
THO ROKE KAHTHE THE AANKHOUN KA NOOR DHOONDTHE HAIN

QAREEB-E- FOUJ JO SULTAAN-E- BAHROBAR AAE


PUKAARE HANS KE ADU KHA IR HAI KIDHAR AAE
YE KOUN MARGAYAA JO AAP NANGE SAR AAE
PIYAADA DHOOP ME THAAME HUWE JIGAR AAE
YE KOUN CHAND HUWA AAJ DOOR AANKHOUN SE
KE CHAIN DIL SE GAYA AUR NOOR AANKHOUN SE

KAHAA HUSSAIN NE ROKAR TUMHEN ANAHI MALOOM


HAMARE GHAR ME HAI MAHSHAR TUMHEN NAHIN MALOOM
MITEE SHABEEHE PAYAMBAR TUMHEN NAHIN MALOOM
CHUTA HUSSAIN SE AKBAR TUMHEN NAHIN MALOOM
RULAANE KO YE IMAM-E- UMAM SE POOCHTE HO
CHURI PHIRAKE KALEJE PA HAMSE POOCHTE HO

AYE AANKHAIN WAALO MERA NOOR-E- AIN KIS JAA HAI


JAWAANO BOLO MERE DILKA CHAIN KIS JAA HAI
JAWAAN-E FAATEHEY BADR-O HUNAIN KIS JAA HAI
ZAEEFO AINKA-E CHASHME HUSSAIN KIS JAA HAI
KAHO RASOOL KI TASVEER KO KAHAAN KHOYAA
ASAA-E- PEERI-E SHABBIR KO KAHAAN KHOYAA

PUKAARA SHIMR KE KOI NAHIN BATAANE KA


BADAA SAWAAB HAE SAADATH KE RULAANE KA
NA ZINDA CHODENGE BACHCHA BHI IS GHARANE KA
IRAADA HAI ALI ASGHAR KAY QHOON BAHAANE KA
JO TEER PAAR HO NANHE GALE SE EID KARE IN
TUMHAARI GODH ME SHISHMAHE KO SHAHEED KARE IN

ZAEEF BAAP KI PEERI PA RAHAM FARMAAO


QADAM QADAM PA NA JANGAL KI QAAK CHANDWAAO
JO MUJH PA HANSTHE HAIN TUM UNKO AANKH DIKHLAAO
ALI KAA NAAM LO AUR DOUD KAR CHALE AAO
BULAALO DADA KO NAZDEEK HAI NAJAF BETA
AKELE PAAUN RAGADTE HO KIS TARAF BETA

MAALIK SE BHARE GHAR KE UJAD JAANE KO POOCHO

MAALIK SE BHARE GHAR KE UJAD JAANE KO POOCHO


GHAR WAALOUN SE YE TAFREQA PADH JAANE KO POOCHO
MAA BAAP SE QISMATH KE BIGAD JAANE KO POOCHO
SHABBIR SE AKBAR KE BICHAD JAANE KO POOCHO
ALLAH NA DIKHLAAE ALAM NOOR-E- NAZAR KA
BAHJAATHA HAE AANKHOUN SE LAHOO KHALB -O-JIGAR KA

JIS WAQT KE AKBAR KO LAGA ZAQM JIGAR KA


SEENE ME RUKA AAKE DAM US RAASHK -E- QAMAR KA
GIRTHE HUWE GHODE SE QHAYAAL AAYA PIDAR KA
CHILLAE KE AB KOOCH HAE DUNYA SE PISAR KA
BEKAS KI MUSAFIR KI QHABAR LIJIYE BABA
APNE ALI AKBAR KI MADAD KIJIYE BABA

BETE KI SADAA SUNKE HUWA SADMA-E- JAANKAH


EK HOOK KALEJE ME UTHI BAITH GAYE SHAAH
MALOOM HUWA JAAN CHALI AAH KE HAMRAAH
DIL THAAM KE HATHOUN SE KAHA YA ASADULLAH

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 48 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 49 of 137

RANG UDGAYA THA GESUOUN PA GARD PADI THI


TEWRA KE JO SAMBHALE TO BASARAT ME KAMI THI

CHILLA-E- BATADO ALI AKBAR KIDHAR AAEN


DHOONDEN TUMHEN AB BAHAR ME YA SU-E- BAR AAEN
BETAAB HAI DIL QHALB ME LASHKAR KIDHAR AAEN
TUM UTH NAHIN SAKTE TO HAMEEN LAASH PA AAEN
MAA BAAP KE JEENE KA MAZAA LEGAYE BETA
OHDAA JO TUMHARA THA HAMEN DE GAYE BETA

BETA HAMEN PHIR YA ABATAA KAHKE PUKAARO


MAZLOOM GHAREEBUL GHURABA KAHKE PUKAARO
NASHAAD-O- GIRAFTAAR-E- BALAA KAHKE PUKAARO
LAB TISHNA-O- MAZBOOH-E- QAFAA KAHKE PUKAARO
JO WAQT MOIYAAN HAE WO HARGIZ NA TALEGA
QHANJAR MERI GARDAN PA ISI TARJA CHALEGA

LE AAI JO BETAABIYE DIL LAASHE PISAR PAR


JHUKTE HI NAZAR PAHLE PADI ZAQME JIGAR PAR
EK TEER LAGA QHALB-E- SHAH-E- JINN-O- BASHAR PAR
SEENE PA KABHI HAATH KO MAARA KABHI SAR PAR
GOPAR KE DAM US SHER KO BHARTHE HUWE DEKHA
BABA NE JAWAN BETE KO MARTE HUWE DEKHA

AYE DARD JIGAR THAM KE SHAH BAHROBAR AALEN


AYE JAAN NA GHABRA SHAH-E JINN-O- BASHAR AALEN
AYE ROOH TAWAQQUF SHAH-E- WALA IDHAR AALEN
AYE MOUT TAHAR JAA PIDAR AALEN PIDAR AALEN
ARMAAN-E- DILE-E- ZAAR PISAR HOSH ME NIKLE
HASRATH HAI KE DAM BAAP KI AAGHOSH ME NIKLE

CHILLA-E- SHAH-E- DEEN ALI AKBAR PIDAR AAYA


UTTHO MERE PYAARE MERE DILBAR PIDAR AAYA
TUM DHOONDTHE THE AYE MAH-E- ANWAR PIDAR AAYA
NASHAAD PIDAR BEKAS-O- BE PAR PIDAR AAYA
KUCH DIL KI KAHO BAAT KARO HOSH ME AAO
SADQE PIDAR AAO MERI AAGHOSH ME AAO

MU KHOLE HO KYUN TEER KO GARDAN SE NIKAALOON


GAR DARD NA HO HAATHOUN SE BAAZU KO SAMBHALOON
GIRTA HAI PAHAAD USKO MAE KIS TARHA SE TAALOON
MARTE USE DEKHOON JISE AAGHOUSH ME PALOON
BEH BEH KE LAHU ME JIGAR AATA HAI TUMHARA
SEENE SE KALEJA NAZAR AATA HAE TUMHARA

KUCH MU SE TO BOLO ALI AKBAR, ALI AKBAR


AANKHOUN KO TO KHOLO ALI AKBAR, ALI AKBAR
RUQSATH BHI TO HOLO ALI AKBAR, ALI AKBAR
LO BAAP KO ROLO ALI AKBAR, ALI AKBAR
DULHA BHI IS AARAAM SE SOTE NAHIN BETA
HAM ROTE HAIN AUR TUM HAMEN ROTE NAHIN BETA

GHASH ME JO SUNI BAAP KI AAWAAZ PISAR NE


BAS HAATH KO PHAILA DIYA US RASHK-E QAMAR NE
LIPTA LIYA CHAATHISE SHAH-E- JINN-O- BASHAR NE
MU KHOL KE DIKHLAAI ZABAAN TISHNA JAGAR NE
FARMAYA KE QATRAA MERE JAANI NAHI MILTA
MAJBOOR HOON BETA MUJHE PAANI NAHI MILTA

YE SUNTE HI BAS AANKHOUN SE AANSU HUWE JAARI


MU PHAIR KE DEKHA SU-E- SAHRA KAEE BAARI
KI ARZ HUZOOR AAI HAI ZEHRA KI SAWARI
PHIR DARD UTHA SEENE ME AUR GHASH HUWA TAARI
KHOLE HUWE AANKHOUN KO MUSAAFIR HUWE AKBAR
HICHKI KA BAS AANA THA KE AAQIR HUWE AKBAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 49 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 50 of 137

PIDAR KI MOUTH HAI MARNA JAWAAN BETE KA

PIDAR KI MOUTH HAI MARNA JAWAAN BETE KA


SAFAR JAHAAN SE KARNA JAWAAN BETE KA
GHAZAB HAI QHOON ME BHARNA JAWAAN BETE KA
SITAM HAI JI-SE GUZARNA JAWAAN BETE KA
SHABAAB THA KE SHAH-E- MASHRAQAIN SE CHOOTE
MOHIBBO PEETO KE AKBAR HUSSAIN SE CHOOTE

QUDA PIDAR KO NA DIKHLAAE MARGE RAAHAT -E JAAN


KALEJA ZAQMI HO JAB DIL KO PHIR QARAAR KAHAN
UDHAR TO SINA-E AKBAR SE GUZRI NOK -E SINAAN
LAHU IDHAR HUWA CHASM-E IMAM-E- DEEN SE RAWAN
TADAP KE JANIB-E GARDOON NIGAAH KI SHAH NE
ZAAMEEN HILGAYI EK AISI AAH KI SHAH NE

PUKARTHE HUWE DOWDHE MERE SHAHEED PISAR


MERE JAWAN MERE MAHROO MERE SAEED PISAR
MERE HASEEN MERE YOUSUF MERE RASHEED PISAR
QAREEB HO KAHIN MAIDAN SE YA BAEED PISAR
PIDAR PA AAJ NAI WAAREDAAT HAI BETA
QABAR NAHI MUJHE DIN HAI KE RAAT HAI BETA

KIDHAR GAYE MERE GULPAH-RAHAN ALI AKBAR


MERE QALEEQ MERE KAMSUQAN ALI AKBAR
JAWANA MARG GHARIBUL WATAN ALI AKBAR
UJAAD KAR GAYE MERA CHAMAN ALI AKBAR
BULA KE GHAR SE YAHAN ASHQIYE NE LOOT LIYA
DUHAAI HAI KE MUJHE KARBALA NE LOOT LIYA

PUKAARTE THE KE AYE SHER PHIR PUKAAR M UJHE


NAHI BATANE KE LAASHA YE NAABAKAAR MUJHE
TERE FIRAAQ ME HAI ZEEST NAA GAWAAR MUJHE
SADAA SUNAADE MAIN SADQE PHIR AIK BAAR MUJHE
GALE LAGAALO KE SEENA HAMARA JALTA HAI
KALEJA MU SE KOI DAM ME AB NIKALTA HAI

PUKARI DEWDHI SE BANO PISAR MILA KE NAHI


BATAAO MARHAM-E ZAQME JIGAR MILA KE NAHI
SITAM KE ABR ME MERA QAMAR MILA KE NAHI
ALI KE LAAL WO AALI GOHAR MILA KE NAHI
SHITAAB LAAO MERE MANNATOUN KE PAALE KO
TUMHI SE LOONGI MAIN APNE MURAAD WAALE KO

YE ZIKR THA KE SADA AAI DOOR SE NAGAAH


JANAAB –E- QIBLA –O- KAABA AB AAIYE LILLAH
HUZOOR HAAL SE BETE KE KYA NAHI AAGAAH
ZABAAN AINTH GAYI HAI GHULAAM KI YA SHAH
UKHAD RAHA HAE DAM AB MOUTH JAAN LETI HAI
PUKAARNE KI BHI TAAQAT JAWAAB DETI HAI

SADAA YE SUNTE HI SULTAAN-E- BAHROBAR DOWDHE


YE DARDE DIL THA KE THAME HUWE JIGAR DOWDHE
KABHI TO FOUJ PA MAANINDE SHER-E- NAR DOWDHE
KABHI IDHAR GAYE ROTE KABHI UDHAR DOWDHE
LUTI HUWI WO KAMAAI BASAD TALAASH MILI
ZAMEEN PA QHOON ME GHALTAAN PISAR KI LAASH MILI

AJEEB HAALATHE FARZAND-E- NOUJAWAAN DEKHI


ATASH SE HONTOUN PA NIKLI HUWI ZABAAN DEKHI
QAMAR SE CHEHRE PA ZARDI LABOUN PA JAAN DEKHI
KALEJA PHAT GAYA SEENE ME JAB SINAAN DEKHI
PIDAR KE SAAMNE BETE KA DAM UKHADTA THA
HUSSAIN DEKHTE THE AUR GHAR UJADTHA THA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 50 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 51 of 137

QAREEB LASH-E- PISAR BAITH KE YE FARMAAE


ZAMEEN-E- GARM SE BETA UTHO KE HAM AAE
SADAA YE SUNTE HI AKBAR NE HAATH PHAILAAE
LIPAT KE LAASH SE SHAH LAB PA YE SUQAN LAAE
GALE LAGALO MOHAMMED A MAIN NAWASA HOON
ZABAAM DIKHAKE KAHA YA HUSSAIN PYAASA HOON

YE KAH KE SHAAH SE KHAINCHI GHAREEB NE EK AAH


JUGAR ME HONE LAGA DARD AAH KE HAMRAAH
AJEEB YAAS KI NAZOUN SE DEKH KAR RUQ -E- SHAAH
KAHA KE ASHHADU AN LAA ILAAHA ILLALLAH
BAS AUR KAH NA SAKE KUCH YE HAALE GHAIR HUWA
SUE BEHISHT GAYE QATEMA BAQAIR HUWA

RAN SE JAB KHAKE SINAAN AKBAR -E- ZISHAAN AAYE


RAN SE JAB KHAKE SINAAN AKBAR -E- ZISHAAN AAYE
MAA KI QIDMATH ME KOI AAN KE MEHMAAN AAE
GHAR ME LAASHE KO LIYE SHAH -E- SHAHIDAAN AAE
NOUHA GAR QHAAK BASAR CHAAK GAREBAAN AAE
DI SADA QATL HUWE YOUSUF -E- SAANI BANO
MIL GAYI QHAAK ME AKBAR JAWANI BANO

DEKHLE AAQRI DEEDAR PISAR MARTA HAE


SAAMNE ANKHOUN KE YE NOOR-E- NAZAR MARTA HAE
AB KOI DAM ME MERA RASHKE QAMAR MARTA HAE
MU SE BAAHER HAE ZABAAN TISHNA JIGAR MARTA HAE
DAM HAE SEENA ME RUKA ZAKHMOUN SE KHOON JAARI HAE
SHAHAR BANO TERA GHAR LUTNE KI TAYYARI HAE

PAHONCHI QAIME JO HAZRATH KO YE PURDARD SADAA


MUZTARIB HOGA -E- NAAMOOSE RASOOLE DOSARA
KAHA CHILLA KE SAKINA NE KE HAE HAE BHAYYA
FIZZA DOWDI SOO-E- DAR PHAINK KE SAR PAR SE RIDAA
PEET THI ZAINAB -E- MUZTAR NIKAL AAI BAAHAR
BAANO GHABRA KE KHULE SAR NIKAL AAI BAA HAR

SHAH NE KAANDHE PA JO DEKHE ALI AKBAR KO NIDHAAL


HAATH PHALLA KE YE CHILLAL KE HAE MERE LAAL
KYA GHAZAB HOGAYA AYE BAAD -E- SHAH-E- NAIK QISAAL
RAAS AAYA NA MERE BACCHE KO ATTARWAAN SAAL
TUKDE TEGHOUN SE BADAN HOGAYA SAARA HAE HAE
KOUN THA JIS NE MERE SHER KO MAARA HAE HAE

ROKE BANO SE YE FARMANE LAGE SARWAR -E- DEEN


SAR NA PEETO ABHI ZINDA HAE MERA MAAH -EJABEEN
SAANS AATI HAE PA HAR DAM HAE DAM-E- BAAD-E- PASEEN
KOOCH UNKA BHI HAE AUR HAM BHI HAE MARNE KA QAREEN
SAB CHUTE AB NA RAHA KOI HAMARA BAANO
IS JAWAAN BETE KE GHAM NE HAMEN MAARA BAANO

SUN KE MAADAR KI SADAA KHOL DIYE DIDA -E- NAM


HAATH UTHA KAR KAHA ROWO NA MERE SAR KI QASAM
PAAS AAKAR HAMEN CHAATI SE LAGALO ISDAM
RAN SE AAYE HAI TUMHAARI HI MULAAQAAT KO HAM
PHIR YE GHAR SHAAH KE IQBAAL SE DEKHA HAMNE
PAR TUMHEN AAKE AJAB HAAL SE DEKHA HAMNE

BAAL KYUN BIKHRE HAIN KYUN PHAINK DI SAR PAR SE RIDA


NEEL KYUN SEEENE PA HAI KYUN HAI GAREBAAN PHATA
QHAAK KYUN MU PA MALI HO YE PISAR TUM PA FIDA
SHAAH DUNYA ME SALAMAT RAHE YE KYA YE KYA
LUT GAYI YE NA SUQAN MU SE NIKAALO AMMA
MAIN TO JEETA HOON KALEJE KO SAMBHALO AMMA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 51 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 52 of 137

ZAQMI HONE KI MERE KIS NE QABAR PAHONCHAAI


JHOOT HAE MAIN NE TO HARGIZ NAHI BARCHI KHAAI
AAP TAK BETE KO TAQDEER SALAMAT LAAI
DEKHE HAZRATH KE QADAM TAN ME MERE JAAN AAI
MARG SE PAHLE HO MAATAM YE ZABOON HAE AMMA
MERE KAPDOUN PA TO ABBAS KA QHOON HAE AMMA

BOLI BANO KE JO KAHTE HO QUDA YUN HI KARE


AYE MERE LAAI YE MAA TERI BALAA LEKE MARE
LAAO DHO DAALUN MAIN JO QHOON ME KAPDE HAIN BHARE
CHAND SE HAATH HAIN PHIR KIS LIYE CHAATI PA D HARE
MUJH KO MAALUM HUWA QHALQ SE JAATE HO TUM
MERE RONE KELIYE ZAQM CHUPATEE HO TUM

BANO SADME SE NA MARJAE YE DAR HAE BETA


SAB TERE DIL KI MERE DIL KO QABAR HAE BETA
HAAE SEENA YE TERA QHOON ME TAR HAE BETA
PHIR YE KYA HAI JO NAHI ZAQME JIGARHAE BETA
SANSANATHA HAE JIGAR JAAN CHALI JAATI HAE
IS LAHOO SE TO MERE DOODH KI BOO AATHI HAE

AARZU HAE KE PHALE PHULE MERA NAQLE MURAAD


TUM DULHAN BYAAH KE LAAO MERA GHAR HO AABAAD
DEHKH LOON ANKHOUN SE APNE MAIN TUMHARI AULAAD
PHIR MAIN DUNYA SE JO GUZZROON TO RAHE ROOH BHI SHAAD
DAABI KAHLAAUNGI RUTBA MERA BARTAR HOGA
TERA FARZAND BHI HAMSHAKI -E- PAYAMBAR HOGA

AAH KI SUN KE YE AKBAR NE BASAD RANJ -O- MALAAI


DARD CHAATHI ME UTHA GHAIR HUWA AUR BHI HAAI
DIL ME YE SOCH KE RONE LAGA WO NAIK QISAAL
HAM SAFAR KARTE HAIN AMMA KO HAI SHAADI KA QAYAAL
BAR ME HOEGA KAFAN QHAAK PA CHEHRA HOGA
NAA DULHAN HOGI NA AULAAD NA SEHRA HOGA

ZAQMI SINAAN SE RAN ME JO SHAH KA PISAR HUWA

ZAQMI SINAAN SE RAN ME JO SHAH KA PISAR HUWA


HAR SIMT SE LAEEN HAR EK HAMLAWAR HUWA
TAR QHOON ME MURAQQA-E- QAIRUL BASHAR HUWA
AAQIR JUDA IQAAB SE WO SEEMBAR HUWA
MAQTAL ME KYA HUJOOM THA IS NOOR -E- AIN PAR
PARWANE GIR RAHE THE CHARAGH-E- HUSSAIN PAR

GIRNA THA BAS KE SAR PA LAGA GURZ HAE SITAM


YUN JHUK GAYE KE HOTE HAIN SAJDE ME JAISE QAM
RAKHDI GALE PA SHEESH NE SHAMSHEER -E- TEZ DAM
TALWAR EK PADI KE HUWI PASLIYAAN QHALAM
GHUL THA KARO NA RAHAM TAN -E- PAASH PAASH PAR
DOWDHA DO GHODE AKBAR-E- MAHRU KI LAASH PAR

HAZRATH KHADE THE QAIME KI PAKDE HUWE TANAAB


SUN KAR YE GHUL RAHI NA DIL-E- NAATAWAAN KO TAAB
NAAGAAH AAI RAN SE SADAA-E- FALAK JANAAB
BETA JAHAN SE JAATA HAE AB AAIYE SHITAAB
LAASHE PA ZULM-0- JOUR-O- BAD AFFAL KARTE HAIN
GHODOWN SE AHL-E- KEEN HAMEN PAMAAL KARTE HAIN

SUNKAR YE ISTAGHASA-E- FARZAND-E- QUSHQISAAL


SYED NE AAH KI KE HILAA ARSH-E- ZULJALAAL
KHOLE JANAAB-E- FATEMA KI BETIYOUN NE BAAL
BANO PUKARI QAIR TO HAI AYE ALI KE LAAL
HAE HAE PISAR SE KOUNSI MAADAR BICHAD GAYI
SAAHEB BATAAO KYA MERI BASTI UJAD GAYI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 52 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 53 of 137

NEZE SE KISKE LAAL KA ZAQMI HUWA JIGAR


KARTE HAIN KISKI LAASH KO PAMAAL AHL-E- SHAR
KAHTA HAI KOUN RAN ME TADAP KAR PIDAR PIDAR
AB GHAR SE MAIN NIKALTI HOON YA SYEDUL BASHAR
PARDAH NA MUJH SE KIJIYE SAB JAANTI HOON MEIN
AAWAZ YE USI KI HAI PAHCHANTI HOON MAIN

BANO KO QASMEN DEKE CHALE SHAAH-E- NAAMDAAR


WO PYAS AUR WO DHOOP KA SADMA WO IZTERAAB
DIL THA ULAT PULAT TO KALEJA THA BE QARAAR
UTH THE THE AUR ZAMEEN PA GIRTHE THE BAAR BAAR
CHILLATHE THE SHABIH-E PAYAMBAR HAM AATHE HAIN
GHABRAAIYO NA AYE ALI AKBAR HAM AATHE HAIN

ASUN KIDHAR KO AYE ALI AKBAR JAWAB DO


CHILLA RAHI HAE DEWDHI PA MAADAR JAWAAB DO
AKBAR BARAA-E- QAALEQ-E- AKBAR JAWAAB DO
BETA JAWAAB DO MERE DILBAR JAWAAB DO
GIRTE HAIN HAM SAWAAB KA HATHOUN SE KAAM LO
BETA ZAEEEF BAAP KE BAAZU KO THAAM LO

YE SUN KE KHENCHLI SHAH -E-WALA NE ZULFEQAAR


CHAMKI JO BARQ TEGH TO BHAAGE SITAM SHEYAAR
SHAH KO NAZAR PADA ALI AKBAR KA RAAH WAAR
CHILLA-E- AYE AQAAB KIDHAR HAE TERA SAWAAR
DIKHLADO MUJHKO LAASH MERE NOOR-E- AIN KI
KIS DASHT ME PADI HAI BIZAATH HUSSAIN KI

HICHKI KE SAATH KAHTE HAIN WA KARKE CHASHME TAR


AYE JAAN JISM-E- ZAAR ME EK DAM ZARA TAHAR
AYE MOUT BEWATAN KI JAWAANI PA RAHAM KAR
AYE DARD THAM ZARA KE PADHAKTA HAE AB JIGAR
PHIR AIK BAAR SYE-E- WAALA KO DEKHLOON
MOHLAT BAS ITNI DEKE MAIN BABA KO DEKH LOON

DUSHMAN KO BHI NA BETE KA LASHA QUDA DIKHAAE


HAZRATH ZAMEEN PA GIRKA PUKAARE KE HAAE HAAE
ZINDA RAHE YE PEER-O- JAWAAN YOUN JAHAAN SE JAAE
AYE LAAL TEEN ROZ KE FAAQE ME ZAQM KHAAE
SHAYAD JIGAR KE ZAQM SE TUM BEQARAAR HO
ZAQMI TUMHAARI CHAATI PA BABA NISAAR HO

KYUN KHENCHTE HO PAAUN KO AYE MERE GU L-E-ZAAR


KYUN HAATH UTHA UTHA KE PATAKTE HO BAAR BAAR
AANKHEN TO KHOLDO KE MERA DIL HAI BEQARAAR
BETA TUMHARI MAA KO TUMHARA HAI INTEZAAR
BAHNEN KHADI HAIN DAR PA TERE ISHTEYAAQ ME
AKBAR TUMHARI MAA NA JIYEGI FIRAAQ ME

HAZRATH YE KAHTE THE KE CHALA QHAL Q SE PISAR


ITNI ZUBAAN KHULI KE QUDA HAFEZ AYE PIDAR
HICHKI JO AAI THAAM LIYA HAATH SE JIGAR
ANGDAAI LEKE RAKHDIYA SHAH KE QADAM PA SAR
AABAD GHAR LUTA SHAH-E- WAALA KE SAAMNE
BETE KA DAM NIKAL GAYA BABA KE SAAMNE

SHAHZADE QASIM A.S


AYE MOMINO JUDAAI HA I DULHA DULHAN ME AAJ
AYE MOMINO JUDAAI HAI DULHA DULHAN ME AAJ
QILLATH KAFAN HAE PALKAR-E- IBN-E- HASSAN ME AAJ
HAI SHOUR ALWEDAA KA HAR EK MARD -O- ZAN ME AAJ

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 53 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 54 of 137

HAI BEQARAAR ROPH HASSAN KI KAFAN ME AAJ


SHAADI KI JAA PA NOUBAT -E- FARYAAD AAH HAI
DULHA KI TAQT GAAH BAS AB AQATL GAAH HAI

ROTE THE DHAADENMAAR KE NAMOOS-E- SHAAH-E- DEEN


AAYA DULHAN SE MILNE KO SHABBAR KA NAAZNEEN
ROTI THI SAR KO ZAANU PA RAKHE WO MAH JABEEN
SADME SE HILGAYA JIGAR-E- QAASIM-E- HAZEEN
DIL THA KARE SOO-E- RUQ-E- KUBRA NIGAAH KI
YE DARD UTHA KE BAITH KE MASNAD PA AAH KI

RAKH KAR DULHAN KE MAATHE PA HAATH APNA YUN KAHA


SAR KO UTHAAE ROTI HAI KYUN TUM PA MAI FIDA
SAAHEB TUMHAARE BAAP NE TO HAM KO DI RIZA
SAAHEB TUMHAARE BAAP NE TO HAM KO DI RIZA
DO TUM BHI IZN JUNG KE NARGHE ME HA I CHACHA
AATHE HAIN TEER-E- ZULM SHAH-E- QUSHQISAAL PAR
WALLAH JAAE RAHAM HAE AMMU KE HAAL PAR

IBN-E- HASSAN NE BATHOUN ME GHOLA BAHOT MAGAR


QUFL-E- DAHAN HAYA THI NA BOLI WO NOUHAGAR
DULHA NE JAB KE RAKH DIYA JHUK KAR QADAM PA SAR
PAHLU ME DIL TADAP GAYA PHATNE LAGA JIGAR
GHUNGHAT ME AAFTAAB SA MU ZARD HOGAYA
KAANPI YE SHARM SE KE BADAN SARD HOGAYA

AAKHIR BAHAKE ASHK YE BOLI WO RASHK -E- MAAH


LUT-TE HAIN BACHPANE ME KAHAEN KYA ZABAAN SE AAH
CHODA JAB AAP NE TO HAMARA KAHAN NIBAAH
QISMATH ME THA KE QAID=E-SITAM ME PHIREN TABAAH
BASTHI LUTAE KE QABR KO AABAAD KIJIYE
JO AAP KI QUSHI HAMEN BARBAAD KIJIYE

SAHEB TUMHI QAFAA NAHI LOUNDI SE IS QADAR


BEZAAR MOUT BHI HAI KE AB TAK NA LI QABAR
KYA BAS HAMARA QAIR SIDHARO KARO SAFAR
NIKLE GAIN HAM BHI GHAR SE KOI DAM ME NANGE SAR
CHAALE HAMARE SAB SE JUDA HAIN ZAMANE ME
TUM HONGE QATL GAAH ME HAM QAIDQAANE ME

BABA QARIB-E- MARG CHACHA AAZIM-E- SAFAR


BHAAI GALA KATANE PA BAANDHE HUWE KAMAR
JALDI TUMHI KE QOON ME PAHLE HON HAM BHI TAR
DHOONDOON BATAAO KIS KA SA HARA MAI NOUHAGAR
DO KUCH JAWAAB PAAUN PA KYUN SAR JHUKATE HAIN
EK RAATH KI DULHAN KO KISE SOUNP JAATHE HAIN

ROKE HAE KISNE ROTE HO KAAHE KO ISQADAR


MAALIK QUDA HAI, BEWOUN KI LEGA WOHI QABAR
HOJAAEGI HAMARI BHI HAR HAAL ME BASAR
SAMHJHENGE UMR BHAR ISI JANGAL KO APNA GHAR
BHAAI KI AAS HAI HAMEN AB TO NA BAAP KI
KAATENGE DUKH RANDAAPE KA TURBATH PA AAP KI

POOCHEGA GAR KOI KE HAI KIS SHAQS KA MAZAAR


TOO KOUN HAI JO ROTI HAI YUN AYE JIGAR FIGAAR
US SE BHI YE KAHOONGI MAI BAA CHASHM ASHKBAAR
SHAHZAADA AIK THA YE FALAK QADR ZEEWIQAAR
NOUSHAAH BANKE BAAGHE JAHAAN SE GUZAR GAYA
SEHRA BHI SAR SE KHULNE NA PAYA KE MARGAYA

SAHAB HAMEN KALAAM KI TAAQAT NAHI HAI AB


YE TO KAHO KE TUM SE MULAQAAT HOGI KAB
DULHE NE BHAR KE AANKHOUN ME AANSU KAHA YE TAB
KOUSAR PA ROZ-E-HASHR MILOONGA MAI TISHNA LAB
DAADI KE SAATH JAB SU-E- FIRDOUS JAAOGI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 54 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 55 of 137

JIS JAA HUSSAIN HONGE WAHIN HAMKO PAAOGI

ROKAR PUKARI MAA KE MAI QURBAAN JAAUN AAO


NARGHA HAI SHAMIYOUN KA CHACHA KI MADAD KO AAO
BETA BAS AB DULHAN KI MOHABBAT SE HAATH UTHAAO
LENA HAI BAAGHE QULD TO PHAL BARCHIYOUN KE KHAAO
SADQE GAYI AZEEZ NA APNA LAHU KARO
JALDI GALA KATAKE MUJHE SURQ- ROO KARO

TAPKA KE ASHK AANKHOUN SE BOLA WO NOUJAWAAN


LO AMMAJAAN QAALEQ-E- AKBAR NIGAAH BAAN
JAB DIN SE AAE LAASHA-E- MAJROOH-O- QOONCHAGAAN
IS TAHALKE ME RAKHIYEGA APNI BAHU KA DHYAAN
ROYE TO AANSU PONCH KE SAMJHAAIYO INHAIN
AMMA HAMARI LAASH NA DIKHLAAIYO INHAIN

NARGHA HAE DILBAR-E- HASSAN-E- SABZ POSH PAR

NARGHA HAE DILBAR-E- HASSAN-E- SABZ POSH PAR


CHAAROUN TARAF HAI TEEROUN KI BOCHAAR JOSH PAR
DIL PAR SINAAN KA ZAQM HAI PAHLU PA DOSH PAR
SAHRE KI SAB KATI HUWI LAD IYAAN HAIN DOUSH PAR
TALWAR RUN ME DULHE KA MU QOON SE DHOTI HAI
QAIME ME GHUL HAI AAJ DULHAN BEYVA HOTI HAI

BEH BEH KE QOON TAPAKTA HAI HAR BAAR HAATH SE


ZAQMI HAI NIKLI JAATHI HAI TALWAR HAATH SE
AB KYA KARAIN NABARD HAI BEYKAAR HAATH SE
CHOOTI ENAAN ASPE WAFAADAR HAATH SE
QOON BAHGAYA JAHAAN SE MU MOD DHNE LAGE
GIR KAR ZAMEEN-E- GARM PA DAM TODDHNE LAGE

SAR KAATNE IDHAR SE BADHE FOUJ KE SAWAAR


DOWDHE UDHAR SE SHAAH ALAM KARKE ZULFEQAAR
THE SAATH SAATH AKBAR-O- ABBAS-E- NAAMDAAR
DAHSHAT SE TEEN SHEROUN KI BHAAGE SITAM SHEYAAR
MAJROOH NATAWAAN KA AJAB HAAL HOGAYA
GHODOU SE JISM DULHA KA PAAMAL HOGAYA

RONE LAGE IMAAM-E- UMAM DEKH KAR YE HAAL


LAASHA UTHAA KE LE CHALE AAQIR BASAD MALAAL
EK DO QADAM BADHA THA RASOOL-E- QUDA KA LAAL
HICHKI JO AAI MARGAYA HAI HAI WO QUSHQISAAL
GODI ME SHEH KI PHOOL SEY KUMLAA KE RAHGAYA
BAAZU LAHU BHARE HUWE THARRA KE RAHGAYA

FIZZA NE DEKHA SHEH KO JO AATHE HUWE IDHAR


QAIME KE SAHAN SE YE PUKARI BA-CHASHME TAR
SAIDANIO’N UROOS SE HUSHIYAAR -O- BA QABAR
DEWDHI TAK AAI MAADAR-E- NOWSHAAH NOWHAGAR
FAAQOUN SE HAI NIDHAAL QADAM LADKHADAATHE HAIN
MASNAD BICHAAO DULHA KO SHABBIR LAATHE HAIN

HAALATH HAI GHAM SE GHAIR SHAH-E- QUSHQISAAL KI


HAI HAI JAWAANI QASIM-E- YOUSUF JAMAAL KI
POSHAAK QOON SE SURQ HA I IS NOW NEHAAL KI
AAE BARAATH DEKHLO SHABBAR KE LAAL KI
RONE KA SHOUR CHARQ PA JAATHA HA I SAAHIBO
DULHA CHACHA KI GODH ME AATHA HAI SAAHIBO

DOWDHE HARAM IDHAR SE KHULE SAR BARAHNA PAA


QAIME ME AAE LAASH LIYE SHAAH-E- DOSARAA
NAAMOOS ME QIYAAMATHE KUBRA HUWI BAPAA
WAA QAASIMA KI CHARQ PA JAANE LAGI SADAA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 55 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 56 of 137

BAEHNEY QAREEB AAGAYI AANSU BAHANE KO


PAHLAYE MAA NE HAATH GALE SE LAGAANE KO

MU TAK AAE SAB HARAM-E- PAAK NOWHA GAR


LAASHA LITAKE RONE LAGE SHAAH-E- BAHROBAR
ABBAS PEETNE LAGE HAATHOUN SE APNA SAR
AKBAR KA PAAS RAKH DIYA SAHRA LAHU ME TAR
TAAZEER HAAI MAADAR-E- GHAMNAAK HOGAYA
SEENE KE ZAQM DEKH KE DIL CHAAK HOGAYA

FIZZA NE BAANDHA HUJRE KA PARDA BASAD MALAAI


LAAYE DULHAN KO THAAM KE BANO -E- QUSHQISAAL
MITTI BHARI THI MAANG ME K UBRA KA THA YE HAAL
MAI-LI SI CHAADAR ODHEY HUWE KHOLE SAR KE BAAL
DIKHLA KE ZAQM SAB JASAD-E- PAASH PAASH KE
BITHLA DIYA UROOS KO PAHLU ME LAASH KE

JIS DAM DULHAN NE DULHA KE ZAQMOUN PA KI NAZAR


KAAMPA KALEJA ASHK BAHE SHAQ HUWA JIGAR
QADMOUN KI SIMT JHUK KE YE BOLI WO NOUHAGAR
SAAHEB UTHO HAM AAYE HAIN LAASHE PA NANGE SAR
KHOLE HAIN BAAL BEKAS-O- NAALAAN KO DEKHLO
TUM BHI HAMARE HAAL-E- PARISHAAN KO DEKHLO

SAAHEB BATAAO KYA MAIN ASEER-E- MEHAN KAHOON


BEKAS KAHOON, GHAREEB KAHOON, BEWATAN KAHOON,
MAJROO (ZAQMI) KAHOON MY AAP KO YA BEKAFAN KAHOON
DULHA KAHOON KE AAPKO IBN-E- HASSAN KAHOON
KYA KAHKE ROWOON KOI BATATAA NAHIN MUJHE
TAZAA DULHAN HOON BAYN BHI AATHA NAHIN MUJHE

FIZZA NE LAAKE ITNE ME RANDSAALA RAKHD IYA


DULHA KI MAA NE HAATH ME USKO UTHAA LIYA
AUR BOLI ISKO PAHNO YE QILLAT HAI BE YVA KA
KUBRA NE SAR KO PEET KE AUR ROKE YE KAHA
AB KYUN LIBAAS BEYVON KA MUJH KO PANHAATHE HAIN
DULHAN BANAKE KYA KOI BEYVAA BANAATHE HAIN

QASIM JO HAMSHABEEH -E- JANAAB-E- AMEER THA

QASIM JO HAMSHABI-E JANAAB-E AMEER THA


IS WAJHA SE WO GHEERATH-E MEHERE MUNEER THA
AUR AASHIQ-E- JAMAAL-E- SHAH-E BENAZEER THA
PARWANA-E- CHARAGH-E- RASOOL-E- QADEER THA
AKBAR SE KAHTA THA KE CHACHA TO IMAM HAIN
AYE BHAAI JAAN HAM TO TUMHAARE GHULAAM HAIN

YE KAHTE THE KE TUM MERE DADA KI SHAAN HO


DIL HO JIGAR HO AANKH HO BHAAI KI JAAN HO
AYE BHAAI JAAN KYA TERI QOOBI BAYAAN HO
HAZRATH HASSAN KI TARHA SE TUM SHIREEN ZABAAN HO
PHIR PYAR SE WO HAATHOUN KO GARDAN ME DAALKE
KAHTE THE QATL HONGE HAM ATTHARA SAAL KE

FOUJ-E- ZULM(JAFAA) SE ITNE ME TEER-E- JAFAA CHALAY


AUR YAAN SE PESHWAAI KO AHL-E WAFAA CHALAY
AAYE QUDA KI SIMT SE SOO-E- QUDA CHALAY
KAHTE THE SHAAH ZOUR-E- MUQADDAR SE KYA CHALA Y
QAASIM RAHE AUR AKBAR-O- ABBAS RAHGAYE
SATTHARR DO TAN ME TEEN JAWAAN PAAS RAHGAYE

IS GHAM SE JO HUSSAIN KI HAALAT HUWI TABAAH


TAB HAATH PAKDE QAIME ME QAASIM KO LAA YE SHAAH
ZAINAB SE PHIR YE BOLO IMAM-E- FALAK PANAAH

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 56 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 57 of 137

DARPESH HAM KO AAJ HAI DO BEKASOUN KA BYAAH


TAQREEB SOUGHWAAR ME DULHA DULHAN KI HAI
ZAINAB UTHO UTHO YEH WASIYAATH HASSAN KI HAI

IBNE HASSAN KO LAAKE LIBAAS-E HASSAN PINHAAO


QAASIM KI MAA KO MAADAR -E- KUBRA KO JALD LAAO
WO BOLI JAAN BHUJH-KE BHAYYA NA YE SUNAAO
IS KAAM KE LIYE TO KISI AUR KO BULAAO
MAATAM KE GHAR SE KOI BHI JAATHA HAI BY AAH ME
BETOUN MUWI KO KOI BULATHA HAI BYAAH ME

JIN HATHOUN SE KAI BETOUN KI LASHEN UTHAAUN MAI


UN HAATHOUN SE BHATIJE KO DULHA BANAAUN MAI
FARSH-E- AZA JAHAAN PA HO SAFAY MAATAM BICHAAUN MAI
KUBRA KO WAAN LIBAAS-E- URROSI PINHAAUN MAI
KYUN KAR BHALA YE U-SEY HO JO QIAR QAAH HO
MERI TO YE DUAA HAI MUBARAK YE BIYAAH HO

YAADASH BAQAIR FATEMA SUGHARA NAHI YAHAN


RUQSAT KE WAQT KAHTHI THI MUJH SE WO NAATAWAAN
QAASIM KA BYAAH HOWE SAFAR ME JO NAAGAHAAN
TUM MUJHKO YAAD KARKE BULALIJIYO WAHAAN
AFSOS KI JAGAH HAI KOI NAAMABAR NAHI
QAASIM KA BYAAH HOTA HAI USKO QABAR NAHI

SHAH NE KAHA BAHAN NA TARADDUD KARO ZARA


MAATAM KA APNE BETOUN KE HAAN UZR HAI BAJA
YE AQDH BHI HAI FIDYA-E- SIBT-E- RASOOL KA
SHAADI KUJAA AUR AAL-E- RASOOLE- QUDA KUJAA
JAAEGA NAMURAAD YE DULHA JAHAAN SE
TAA HASHR SHAADI UTH GAYI IS KHAANDAAN SE

RONE LAGI YE SUNTE HI BANO KI NOWHAGAR


KE LOGO PHIRTE HO TUM KYA IDHAR UDHAR
NAADAR JAAN KAR MUJHE MOHTAAJ JAANKAR
BETI KE BYAAH KI KOI DEGTA NAHI QABAR
SHAYAD MAI KUCH HAQEER HOON SAB KI NIGAAH M E
MAI AAP HI NA BAITHOONGI KUBRA KE BYAAH ME

KAHTHI THI YUN PHUPI SE SAKINA KE KYA HAI GHAM


LO BHAAI DULHA BANTE HAIN AB NAIK LENGE HU M
SAAMAAN-E- AQDH JAMA PARISHAAN MAGAR HARAM
QAASIM KI MAA PUKAARI FIDA AYE SHAH -E- UMAM
LOUNDI HOON AAJ SE MAI SHAH-E- QUSHQISAAL KI
SHAADI HUSSAIN KARTE HAIN BEYVA KE LAAL KI

IS GHAR ME AB NA HOEGA AISA BHI KOI BYAAH


AB TUM HO QALD KHAANA HAI AUR ZULM KI SIPAAH
ZAINAB PUKAARI QAIR JO FARMAAEN MUJH KO SHAAH
SHAAHANA PAIRAHAN BHI TO GHAR ME NAHI HAI AAH
SHAH ROKE BOLE AAP THO AHLE SHAOOR HO
QILLAT AGAR NAHO AGAR PA KAFAN EK ZAROOR HO

BIN MAA KI BETI KAA BHI KOI YUN KARE NA BYAAH


YE KOUN DIN HAI BYAAH KA SAMJHO TO DIL ME AAH
PAANI KA QAHAT KHAANE KA DUKH NARGHA -E- SIPAAH
MEHMAAN JUDAA AZIZOUN KE MARNE SE HAE TABAAH
FARYAAD EK TARAF HAI KAHIN SHOR-O- AAH HAI
QUDRAT QUDA KI YE MERI BETI KA BYAAH HAI

ROTE THEY DHAADEY MAARKAY NAAMOOSEY SHAAHEY DEEN


ROTE THEY DHAADEY MAARKAY NAAMOOSEY SHAAHEY DEEN
AAYA DULHAN SEY MILNEY KO SHABBAR KA NAAZNEEN
ROTHI THI SAR KO ZAANU PAH RA KHEY WOH MEHJABEEN

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 57 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 58 of 137

SADHMEY SEY HILGAYA JIGAR-E QASIM-E HAZEEN


DIL THAAM KAR SU-EY RUKHEY KUBRA NIGAAH KI
YEH DARD UTTHA KAY BAITT KAY MASNADH PAH AAH KI

RAKH KAR DULHAN KAY MAATHEY PAR HAATH APNA YOON KAHA
SAR KO UTTHAAO ROTHI HO KYON TUM PAH MEIN FIDAA
SAHAB TUMHAAREY BAAP NEY TOH HUMKO DI RAZA
DOH TUM BHI IZN-E JUNG KAY NARGHEY MEY HAI CHACHA
AATEY HAIN TEER-E ZULM SHAHEY KHUSHQISAAL PAR
WALLAH JAAYE RAHEM HAI AMMU KAY HAAL PAR

IBNEY HASSAN NEY BAATOUN MEIN KHOLAA BAHOTH MAGAR


QUFLEY DAHAN HAYA THI NA BVOLI WOH NAUHAGAR
DULHA NEY JABKEY RAKHDIYA JHUK KAR QADAM PAH SAR
PEHLOO MEY DIL TADAP GAYA PHATTNEY LAGA JIGAR
GHOONGHAT MEY AFTAAB SA MOOH ZARD HOGAYA
KAAMPI YEH SHARM SEY KAY BADAN SARDD HOGAYA

AAKHIR BAHAA KAY ASHK YEH BOLI WOH RASHK -E MAAH


LUTT-THE HAIN BACHPANEY MEY KAHEIN KYA ZABAAN SEY AAH
CHODAA JAB AAPNEY TOH HAMAARA KAHAAN NIBAAH
QISMATH MEY THA KAY QAID-E SITHAM MEY PHIREY TABAAH
BASTHI LUTAA KAY QABR KO AABAAD KIJIYEH
JOH AAPKI KHUSHI HAMEY BARBAAD KIJIYEH

SAAHAB TUMHEE QAFAA NAHIN LAUNDI SEY IS QADAR


BEIZAAR MAUTH BHI HAI KAY AB TAKH NA LI QABAR
KYA BUS HAMAARA KHAIR SIDHAARO KARO SAFAR
NIKLEINGE HUM BHI GHAR SEY KOYI DUM MEY NANGAY SAR
CHAALEY HAMAAREY SAB SEY JUDAA HAIN ZAMAANEY MEY
TUM HONGAY QATL-GAAH MEY HUM QAID KHAANEY MEY

BABA QAREEB-E MARGH CHACHA AAZIM -E SAFAR


BHAAI GALAA KATAANEY PAH BAANDHEY HUVEY KAMAR
JALDI TUMHEY KAY KHOON MEY PEHLAY HO HUMHI TARR
DHOONDHOON BATHAAO KISKA SAHAARA MEY NAUHAGAR
DOH KUCH JAWAB PAOON PAH KYON SAR JHUKAATAY HO
EK RAAT KI DULHAN KO KISEY SOUMPEY JAATEY HO

ROKAA HAI KISNEY ROTHEY HO KAAHEY KO ISQADAR


MAALIK KHUDA HAI BEYVO KI LEYGAA WOHI QABAR
HO JAAYEGI HAMAARI BHI HAR HAAL MEY BASAR
SAMJHE’NGEY UMR BHAR ISI JUNGLE KO APNA GHAR
BHAAI KI AAS HAI HAMEIN AB TOH NA BAAP KI
KAATE’NGEY DUKH RANDAAPEY KA TURBATH PAH AAPKI

POOCHEGAA GAR KOYI KAY HAI KIS SHAQS KA MAZAAR


TU KOUN HAI JO ROTHI HAI YOON AYE JIGAR FIGAAR
IS SEY BHI YEH KAHOONGI MAI BACHASHM -E ASHKBAAR
SHEHZAADA EK THA YEH FALAK QADR ZEE VIQAAR
NAUSHA BANKAY BAAGH-E JAHAAN SEY GUZAR GAYA
SEHRAA BHI SAR KHULNEY NA PAAYA KAY MARGAYA

SAAHEB HAMEY KALAAM KI TAAQATH NAHIN HAI AB


YEH TOH KAHO KAY TUMSE MULAAQATH HOGI KABB
DULHAA NEY BHARKAY AANKHOUN MEY AANSOO KAHA YEH TABH
KAUSAR PAH ROZ-E HASHR MILOONGA MEIN TASHNAA LABB
DAADI KAY SAATH JAB SU-EY FIRDAUS JAAOGI
JIS JAAH HUSSAIN HONGAY WAHEEN HUMKO PAAOGI

ROKAR PUKAARI MAA KAY MAIN QURBAAN JAAOON AAO


NARGHAA HAI SHAAMIYOUN KA CHACHA KI MADAD KO JAAO
DETAA BUS AB DULHAN KI MOHABBAT SEY HAATH UTTHAAO
LEYNA HAI BAAGH-E KHULD TOH PHAL BARCHIYOUN KAY KHAAO
SADQEY GAYI AZEEZ NA APNA LAHOO KARO
JALDI GALA KATTAAKAY MUJHE SURKH ROOH KARO

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 58 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 59 of 137

ZAQMI JO RAN ME QAASIM -E- GUL PAHRAHAN HUWA


ZAQMI JO RAN ME QAASIM-E- GUL PAHRAHAN HUWA
PAIDA SHAHAANA JODE SE RANGE KAFAN HUWA
BHAAGE JINAAN RASOOL KO BAITUL HAZAN HUWA
AUR FOUJ-E- KEEN ME SHAAD HAR EK TEGH ZAN HUWA
GHUL THA KE ROUND DAALA HAE LASHKAR KE BAGH KO
HAANGHAAZLOU BUJHAADO HASSAN KE CHARAAGH KO

GHABRAAGAE YE SUN KE SADA SARWAR -E- ANAAM


ABBAS-E- NAAMWAR YE USDAM KIYA KALAAM
LO BHAAI JUNG HO CHUKI QISSA HUWA TAMAAM
AAYA SU-E- YATEEM-E- HASSAN MOUTH KA PAYAAM
HAMSHAKL-E- MUSTAFA KO BULALO PUKAAR KE
MAANGO DUAA SAROUNSE AMAAME UTAAR KE

YE KAHKE QIBLA RUQ HUE SULTAAN-E- KAAENATH


DARGAAH-E- KIBRIYA ME DUAA KI UTTHA KE HAATH
AYE QAALEQ-E- ZAMEEN-O- ZAMAAN RABB-E- PAAK ZAATH
IN ZALIMOUN KE HAATH SE QAASIM KO DE NAJAATH
TO HAAFEZ-E- JAHAAN HAE KAREEM -AR- RAHEEM HAE
YA RAB BACHA ISE KE YE BACCHA YATEEM HAE

NIKLA YE SAB KE MU SE KE HAE HAE HASSAN KE LAAL


ZAINAB NE UTH KE KHOL DIYE APNE SAR KE BAAL
SEENE ME HIL GAYA DIL-E- BANO-E- QUSH QISAAL
CHILLAI MAA GUZAR GAYA KYA MERA NOW NEHAAL
ABID KA TIP SE GARM BADAN SARD HO GAYA
QASIM KE CHOTE BHAI KA MU ZARD HO GAYA

CHILLAI ROKE ZOUJA-E- ABBAS-E- NOWJAWAAN


YA RAB HAE TOO YATEEM-E- HASSAN KAA NIGAAHBAAN
SUNKAR YE GHUL DULHA KE BHI AANSU HUWE RAWAAN
LEKAR BALAAEN SAAS PUKAARI KE MERI JAAN
QAALEQ KAREGA RAHAM NA AAH -O- BUKAA KARO
DULHA PA AA BANI HAE MAI SADQE DUAA KARO

IS IZTERAAB ME JO SUNAA SAAS KA SUQAN


ZANU SE SAR UTHAA KE HUWI QIBLA ROO DULHAN
AAHISTA KI YE ARZ KE AYE RABB -E- ZULMENAN
DUSHMAN PA FATHA YAAB HO LAQTE DIL -E- HASSAN
LADNE GAYE HAIN TISHNA DAHAN TERI RAAH ME
RAKH MERE IBN-E- AMM KO TU APNI PANAAH ME

YAARAB DULHAN BANE MUJHE GUZRI NA AIK SHAB


DULHA JO MARGAYA TO MUJHE KYA KAHENGE SAB
AB TAK TO SHARM SE NA HILAAE THE MAIN NE LAB
PAR KYA KKAROON KE AB HAE MERI ROOH PAR TA - AB
SHABBAR KE AAFTAB KA WAQT-E GHUROOB HAI
DULHA SE PAHLE MUJH KO UTHAALE TO QOOB HAI

SEHRE KE PHOOL BHI ABHI SOOKHE NAHI HAIN AAH


JO AAGAYA PIYAA RADAAPE KA YA ILAA H
YE UQDA THA KE MOUT THI MAATAM THA YA KE BYAAH
BAAD ISKE HOGA QALQ ME KYUN KAR MERA NIBAAH
UTTHOON JAHAAN SE DILBAR-E- SHABBAR KE SAAMNE
AURATH KI MOUT QOOB HAE SHOUHAR KE SAAMNE

GHASH ME JHUKA FARAS PA JO WO GHEERATH -O- QAMAR


MAARA KISI NE FARQ PA EK GURZ TAAN KAR
BARCHI LAGI JO SHEESH KI TUKDE HUWA JIGAR
GIRTE THE ASP SE KE KAMAR PAR LAGA TABAR
TAAREQ KI TEGH KHA KE PUKAARE IMAM KO
FARYAAD YA HUSSAIN BACHALO GHULAAM KO

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 59 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 60 of 137

JHAPTE JO SHAAH FOUJ PA CHAMKA KE ZULFEQAAR


BIJLI GIRI YAZEED KE LASHKAR PA AIK BAAR
IS GHAIZ ME YAMEEN SE JO AAE SOO -E- YASAAR
BHAAGE PHIRAAKE GHOWDOUN KI BAAGOUN KO SAB SAWAAR
BHAAGAD ME QOON SE RAN KI ZAMEEN LAAL HOGAYI
DULHA KI LAASH GHODOWN SE PAMAAL HOGAYI

DEKHA IMAAM NE KE RADADTHE HAIN AIDIYAAN


SOOKHE HUWE LABOUN PA HAI AINTI HUWI ZABAAN
DAMAAD SE LIPAT GAYE HAZRATH BASAD FUGHAAN
BE JAAN HUWA HUSSAIN KE AAGE WO NEEMJAAN
JAB LAASH UTHAAI SHAH NE TO CHOOR ISTEQWAAN THE
SAB CHAND SE BADAN PE SUMOUN KE NASHAAN THE

LASHA UDHAR SE LAAE SHAHINSHAAH-E- KARBALA


DOWDHE IDHAR SE PEET TE NAMOOS-E- MUSTAFA
FIZZA THI AAGE AAGE KHULE SAR BARAHNA PAA
AAI JO SAHAN ME TO YE BEWOUN KO DI SADAA
HATJAAE JIN SE DOOR KA NAATHA HAE SAAHIBO
DULHA DULHAN KE LENO KO AATHA HAE SAAHIBO

SHAHZADE KUBRA A.S


HAI QAID QAANE SHAAM ME EK SHAB KI BHI DULHA N

HAI QAID QAANE SHAAM ME EK SHAB KI BHI DULHAN


BEWA AZIZ MURDA GHAM DEEDA BEWATAN
PAHNE HUWE HAI MALLA SA BEWA KA PAIRAHAN
KANGNE KE BADLE HAATHOUN ME BAANDHI HO RASAN
NAZROUN ME SAMA DULHE KE SEEMAY BADAN KA HAI
DIN RAAT PA NAAM BAS IBN-E- HASSAN KA HAI

ROYI AGAR TADAP KE TO KHAAI HAI SALLIYAAN


KUCH BOLTHI TO SUNTHI THI ZAALIM KI GHURKIYAAN
ROTHI THI MU KO DHAAMP KE LELEKE HICHKIYAAN
SAHMI HUI DARI HUWI RAHTHI THI NEEMJAAN
IS UMR ME KISI KO NA BEWA QUDA KARE
AISI YATEEM BACCHI NA ROE TO KYA KARE

KAHTHI THI HAAE CHODH GAYE KYUN MUJHE TANHA


GAR MUJH SE THE NAARAAZ TO KYUN BYAAH KIYA THA
KYA MUJH SE QATAA HOGAYI KYUN HOGAYE QAFAA
AAKAR KABHI NA HAAL MERA WAALI NE POOCHA
BAQSHE MERI TAQSIRI AB AAJAAIYO QAASIM
HAAN PAAS APNE MUJH KO BHI BULWAAIYO QAASI M

AAKAR KABHI NA POOCHA KE KYA GUZRI HAI MUJHPAR


DIN RAAT KAISI BEKASI ME HOTI HAI BASAR
EKBAAR HAAL DEKHA NA ZINDAAN ME AANKAR
APNOUN SE KOI RAHTA HAE ISTARHA BEQABAR
THA FARZ POOCHNA TUMHE ZINDA HAI MARGAYI
DHOONDA NA KABHI TUMNE KE KUBRA KIDHAR GAYI

SAAHAB QUDA KE WAASTE IS QAID SE CHUDHAAO


AYE MERE IBN-E- AMM MUJHE SAATH APNE LEKE JAAO
KAB TAK YUN HI GUZAARUNGI ZINDAAN ME BATAAO
QAID-E- MEHEN ME KAB SE HOON AAKAR MUJHE CHUDHAAO
BACHPAN ME MAANG BHI BHARI BEWA BHI KARGAYE
EK BAAT BHI NA HANS KE KIY E AUR MARGAYE

BABA KA SAAYA UTH GAYA BHAAI NAHI RAHA


SHANE KATAKE MERA CHACHA BHI GUZAR GAYA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 60 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 61 of 137

BEEMAR AIK BHAAI HAI QAIDI BANA HUWA


WAALI QUDA KA WASTA YAAN CHODHO NA TANHA
MERI YATIIMI PAR TO TARAS KHAAIYE SAAHAB
PAAS APNE APNIE KUBRA KO BULWAAIYE SAAHAB

LILLAH AAKE DEKHTE JAAO MERI HAALATH


JANGAL KI GARD-O- QAAK SAY AINTI HUWI SOORAT
RAAHOUN KI WO MUSIBATEN WO GARMI KI SHIDDATH
HAATHOUN KO PAS-E- PUSHT SAY BAANDHE THE QAYAMAT
HAM QAIDI BANKE BALWE ME BAAZAR ME GAYE
HAM SAR KHULE YAZEED KE DARBAAR ME GAYE

WAALI JO AAP HOTE TO MAI PHIRTI NA DAR DAR


KISKI MAJAAL THI KE JO LETHA MERI CHAADAR
YUN KHAINCH KE LEJAATHA NAA RASSI ME BAANDH KAR
RUSWA HAME NA KARTE THE BALWE ME SITAMGAR
HOTE JO AAP JAATE NA DARBAAR-E- AAM ME
HOTI NA QAID AAKE NAA ZINDAANE SHAAM ME

BEEMAR BHAI TOUQ-O- SALASIL ME HAI ASEER


ZAINAB PHUPI HAI KUNBE ME MAATAM ME GULOGEER
KYA AAL-E- MUSTAFA KI HUL IZZAT-O- TOUQEER
BARBAAD HUWI HAAE MERI UJDI HAE TAQDEER
YE BAIN KARTE KARTE JO QAMOSH HOGAYI
SAMJHE YE SABKEE SADME SAY BEHOSH HOGAYI

SHAANE HILAAKE MAADAR-E- MUZTAR NE DI SADAA


PAAYA NA KUCH JAWAAB THO BOLI WO GHAMZADAA
AYE ZAINAB-O-KULSOOM IDHAR AAO MAI FIDAA
KUCH BOLTHI NAHI MERI BACCHI KO KYA HUWAA
QAABHU ME DAST-O- PAA NAHI SAR HAI DHALA HUWA
AANKHEN HAIN BAND DEKHIYE MU HAI KHULA HUWA

DEKHI JO NABZ ZAINAB-O- MUZTAR BASAD BUKA


CHILLAAI HAAE KARGAYI YE BACCHI BHI QAZAA
GHUT GHUT KE YUN HI QAID MAIN MARJAAE KYA BHALA
PURSAANE HAAL KOI NAHI HAAE HAMARA
THE SOGWAAR GHAM ME SHAH-E- MASHRAQAIN KE
MARTE HAIN QAIDQAANE ME BACCHE HUSSAIN KE

SHAAH-E- WAALA KI AAN HAI KUBRA


SHAAH-E- WAALA KI AAN HAI KUBRA
AAL-E- ZEHRA KI SHAAN HAI KUBRA
ZEENAT-E- KHAANDAN HAI KUBRA
BANO-E- SHAH KI JAAN HAI KUBRA
PAR-E-QAIBE SHAH-E- DEEN HAI YE
SANIYE ZAINAB-E- HAZEEN HAI YE

JAD PAYAMBAR HAI AHMED-E- MUQTAR


DADA HYDER HAI MAZHAR-E- GHAFFAR
DADI ZEHRA RASOOL KI DILDAAR
BABA SHABBIR QULD KE SARDAAR
INKE GHAR ME KITAAB AAI HAI
ZULM UMMATH INHI PA DHAAI HAI

KYA KYA BIBI NE DEKHE RANJ -O- GHAM


TUKDE QALB-O- JIGAR HUWE PAIHAM
BAZU ABBAS KE HAI DEKHE QALAM
BAAP KA DEKHI SAR SINAAN PA ALAM
ZAQMI AKBAR KA HAI JIGAR DEKHI
LAASH-E- ASGHAR KO KHOON ME TAR DEKHI

HAAE KUBRA KI KYA RACHI SHAADI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 61 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 62 of 137

SHAADI KAISI THI WO THI BARDAADI


BAHOT DULHA KI LAASH DIKHLADI
PEET THI SAR RAHI WO SHAHZADI
RAN ME PAMAAL HOGAYA NOUSHAH
HOGAYI LAMHOUN KI DULHAN BEWAH

AIK DIN ME HAI KYA MAHEN DEKHI


LUTTHA ZEHRA KA HAI CHAMAN DEKHI
DASTHE ZAINAB ME HAI RASAN DEKHI
BAAP KI LAASH BEKAFAN DEKHI
KYA KYA JORO JAFAA SAHI KUBRA
BAAP KO BHI NA RO SAKI KUBRA

ZULM SHAM-E- GHARIBAAN AADA KE


SAAMNE AANKHOUN KE HALE QAIME
SAR SE CHAADAR LAEEN CHEEN LIYE
PUSHTE AABID PA HAI LAGE DURRE
MAA PHUPI KO HAI BERIDDAA DEKHI
TOUQ ME BHAAI KA GALAA DEKHI

KYA KYA ZULM-O- SITAM SAHI KUBRA


NANGE SAR BALWE ME PHIRI KUBRA
BHARE DARBAAR ME GAYI KUBRA
QOON KE ASHK ROTHI THI KUBRA
GHAM SAHI SAATH SAATH ZAINAB KE
QAID THI SAATH SAATH ZAINAB KE

GHAMZADA SHAAH-E- DEEN KI DUQTAR


ZULM UMMATH KE SAHKE NOUHAGAR
AAJ MOMIN WO BANO KI DILBAR
KOOCH DUNYA SE KARGAYI AAQIR
GHAM RASIDA GUZAR GAYI KUBRA
PEETO SAR SHIYYO MARGAYI KUBRA

HAZRAT -E- ABBAS A.S


AHL-E- HARAM KA MOUNIS-O- GHAMQHAAR MARGAYA

AHL-E- HARAM KA MOUNIS-O- GHAMQHAAR MARGAYA


WO ZOR-E- BAAZU-E SHAH-E- ABRAAR MARGAYA
HAE HAE NASHAAN-E- HYDER-E- KARRAR MARGAYA
LASHKAR HUWA TAMAAM ALAMDAR MARGAYA
SARF-E- BUKA HARAM ME SHAH-E- MASHRAQAIN KE
ROTE HAIN KOOZE PHAINK KE BACCHE HUSSAIN KE

MAARA GAYA TARAAI PA HYDER KA LAADLA


SHAANOUN SE HAAE DAST-E- MUBAARAK HUWE JUDA
PALWAST AIK AANKH ME TEER-E- JAFAA HUWA
SAR GURZ AAHNI SE HAI SHAQ WAA MUSIBATA
AISI KISI SHAHEED PA GUZRI JAFAA NAHI
GURTHE HAIN ZEEN SE HAATHOUN KA BHI AASRA NAHI

KYA ROHANE HO AYE PISAR -E- SHAH-E- MASHRAQAIN


KYA GUZRI KHALB-E- ZAAR PA HYDER KE NOOR-E- AIN
KUCH THO KAHO ZABAAN SE DILKO NNAHI HAI CHAIN
AAYA HAI DEKHO LAASH PA BHAAI TERAA HUSSAIN
IS BEKASI ME JAATHE HO MU APNA MOD KE
GHURBATH ME KISPE JAATHE HO BHAAI KO CHODH KE

PHIR ROKE BOLE SHAAH KE QADMOUN PA RAKH KE SAR


HAI ARZ YE GHULAAM KI YA SYEDUL BASHAR
SHARMINDA HAI SAKINA SE ABBAS -E- NAAMWAR
LAASHA HAMARA LEKE NA JAAEN QIYAAM PAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 62 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 63 of 137

QAADIM KO RAHNE DIJIYE AAQA LAB-E- FURAATH


MASKAN RAHE GHULAAM KA MOUILA LAB-E- FURAATH

YE KAHTE THE HUSSAIN SE ABBAS -E- NAIK NAAM


HICHKI EK AAI GHASH NE DIYA MOUT KA PAYAAM
AANKHEN JHUKA KE SHAH KO KIYA AAQRI SALAAM
HAATHOUN SE DIL KO THAAM LIYA SARWAR -E- ANAAM
GHURBATH ME SHAH-E- DEEN KO BE AAS KAR GAYE
TANHA HUSSAIN HOGAYE ABBAS MARGAYE

SAR UTH KE PEET-THE THE SHAINSHAAH-E- DO JAHAAN


SHAH KO SAMBHAALTHE THE ALI AKBAR-E JAWAAN
KAHTHE THE ROKE BETE SE YE SARWAR-E- ZAMAAN
ABBAAS HAM KO CHOD GAYE AYE PIDA R KI JAAN
KIS SE KAHE JO GUZRA HAI SADMA HUSSAIN PAR
DARD-O- ALAM KA AASMAAN TOOTA HUSSAIN PAR

AYE IBN-E- FATEMA KE FIDAAI UTTHO UTTHO


KAISI TUMHEN YE NEEND HAI AAI UTTHO UTTHO
KYUN TUM NE KI PASAND TARAAI UTTHO UTTHO
BHAAI UTTHO UTTHO MERE BHAAI UTTHO UTTHO
LABBAIK KAHKE AATHE NAHI IBN-E- BUTURAAB
AAWAAZ PAR HUSSAIN KI DETE NAHI JAWAAB

BHAAI BATAAO QAIME JAAKAR MAI KYA KAHOON


BE-CHAEN HOGI AAL-E- PAYAMBAR MAI KYA KAHOON
NANHI SAKINA SE AYE BARADAR MAI KYA KAHOON
POOCHE MUJHE JO ZAINAB-E- MUZTAR MAI KYA KAHOON
KAISE KAHOON TARAAI PA SHABBIR LUT GAYA
ABBAS KA HUSSAIN SE SAATH AAJ CHUT GAYA

YE KAHKE NAHER SE CHALE ROTE HUWE IMAAM


AKBAR NE MASHK AUR ALAM KO LIYA THA THAAM
PAHONCHE DAR-E- QIYAAM PA JIS DAM SHAH -E- ANAAM
BHAAI SE LIPTI DOUDH KE ZAINAB FALAK MAQAAM
KAHTHI THI KYUN ALAM HAI YE KHOON ME BHARA HUWA
BATLAAO BHAAI JAAN MERA ABBAS KYA HUWA

ZAINAB SE TAB YE KAHNE LAGE SHAH -E- KARBALA


HAE HAE ALI KE SHER KE BAAZU HUWE JUDAA
TEER-E- SITAM SE MASHK CHIDI PAANI BAHGAYA
MAARA GAYA FURAATH PA SAQQA SAKINA KA
ZAINAB WO MERA QUWWATHE BAAZU GUZAR GAYA
ABBAS QATI KYA HUWE SHABBIR MARGAYA

SUN SUN KE SAB HUSSAIN KI GUFTAAR SAKINA


LIPTI PIDAR SE AAKE DILAFGAAR SAKINA
KAHTHE THE SHAAH AMMU KI GHAMQWHAAR SAKINA
MAARE GAYE DARYA PA ALAMDAR SAKINA
KAISEE BATAAUN UNPA MAI KYA KYA SITAM HUWE
DARYA PA TERE AMMU KE SHAANE QALAM HUWE

MOMIN BAPAA HAE MAATAM-E- ABBAS-E- QUSHQISAAL


ZERE ALAM HAIN JAMA HARAM KHOLE SAR KE BAAL
SAR PEET-THE HAIN AAL-E- PAYAMBAR BASAD MALAAL
KAHTHE THE SHAAH AB MERA JEENA HUWA MOHAAL
SHAANE KATAAKE SOGAYA SAQQA TARAAI ME
RASSI BANDHEGI BINT-E- ALI KI KALHAAI ME

JAB IBN-E- BUTURAAB BAROO-E- ZAMIN GIRAA

JAB IBN-E- BUTURAAB BAROO-E- ZAMIN GIRAA


BE DAST HO KE QAAK PA WO MAH JABEEN GIRAA
AUR HAATH EK TARAF ALAM -E- SHAH KAHIN GIRA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 63 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 64 of 137

CHILLAI FATEMA KE MERA NAAZNEEN GIRAA


KAT- TA HAI KOI DAM ME SAR IS NOUJAWAAN KA
MIT- TA HAI AB NASHAAN ALI KE NASHAAN KA

SUNTE HI IS SADAA KO SHAHINSHAAH -E- BAHROBAR


DOWDHE GIRE UTHE NA SAMBHALAA GAYA JIGAR
KAANPE JO PAAUN THAAM LIYA BAAZU -E- PISAR
CHILLATE THE KAHO ALI AKBAR CHALE KIDHAR
MAJMA HATAAO FOUJ-E- SITAM KAA TARAAI SE
BETA MILAADO JALD MUJHE MERE BHAAI SE

AKBAR UJAD GAYA MERE GHAR WAA MUSIBATAA


SEEDHI NA HOGI AB YE KAMAR WAA MUSIBATAA
HAI AAJ TAAZA DAAGH-E- PIDAR WAA MUSIBATAA
KAATA GAYA CHURI SE JIGAR WAA MUSIBATAAA
PURSA TO DOON NAJAF KI TARAF MU TO MOD DO
SAR PEET- THA CHALUNGA MERE HAATH CHODHDO

AKBAR QAREEB-E- LAASH JO LAAYE HUSSAIN KO


ABBAS JAAN BALAB NAZAR AAYE HUSSAIN KO
TADPA WO SHER SU KE SADAA-E- HUSSAIN KO
AKBAR NE HAATH UTHAAKE DIKHAAE HUSSAIN KO
DO KOH-E- GHAM KE DILPA JO EKBAAR GIRPADE
PAHLU ME LAASH KI SHAH-E- ABRAAR GIRPADE

EK BAAR GHASH SE CHOUNK KE ABBAS -E- ZIWIQAAR


AUR JAANKANI ME AANKHOUN KO KHOLA BA HAAL -E- ZAAR
POOCHA KIDHAR HO AYE MERE AGHAA-E- NAAMDAAR
HAZRATH LIPAT KE BHAAI SE BOLE KE MAIN NISAAR
SADME ME JAANKANI KE FUZOON KI JUDAAI KE
BHAI KA DAAGH POOCHE KOI DIL SE BHAAI KE

BHAAI TUHAARI BAALI SAKINA JIGAR FIGAAR


BACCHOWN SE KAHRAHI HAI YE BACHASHM ASHKBAAR
EK LAEHZA AUR SABR KARO TUMPA MAI NISAAR
DEKHOON KE JAAN BALAB HAI MERA BHAAI SHEERQHAAR
PYAASI HOON MAI BHI TEEN DIN AUR TEEN RAAT SE
AB PAANI LAATE HOENGE AMMU FURAAT SE

HAIN KUCH WASIYATEN MERI ISWAQT YA IMAAM


UN ME SE AIK YE HAI TASADDUQ HO JAB GHULAAM
SAAHIL SE LAASH UTH KE NA JAAE SU-E- QAYAAM
JIS JAA PADA HOON QABR KA BHI HO WAHIN MAQAAM
SARKE NA QAANAZAAD IMAAM-E- DILER KA
MASKAN RAHE TARAAI ME HYDER KE SHER KA

AUR DOOSRI YE ARZ HAI AYE SHAAH-E- NAIK QOO


SHAHZAADIYAAN MAHAL SE NA NIKLE KUSHAADA MOO
DEKHE NA AAKE BAALI SAKINA MERA LAHOO
AUR AIK MARTE MARTE YE HAI DIL KI AARZOO
AAYE LAHAD ME BOO-E- IMAAM-E- ZAMAN MUJHE
BAQSHEN HUZOOR APNI ABAA KA KAFAN MUJHE

SUN KAR YE HAAL DIL PA LAGA AUR TEER -E-GHAM


ROE LAHU KE ASHKOUN SE ABBAS-E- ZEE-O- HASHM
ITNA KAHA KE RAH GAYE SHARMINDA US SE HAM
PAHONCHAATE MASHK HAATH NA HOTE AGAR QALAM
KUCH BAS CHALA AJAL SE NA IS BEQUSOOR KA
MAJBOOR HOGAYA YE BEHISHTHI HUZOOR KA

SAR PEER KE YA KAHNE LAGE SHAAH-E- BAHROBAR


ABBAS TUKDE KARTE HO KYUN BHAAI KA JIGAR
ACCHA NA LAASH UTHAAEGA YAAN SE YE NOUHAGAR
TURBAT BANEGI AAPKI BE SHUBAH NAHER PAR
SACH HAI KE BEHRE SHER TARAAI ZAROOR HAI
BHAAI MAGAR TUMHAARI LAHED HAM SE DOOR HAI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 64 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 65 of 137

YE KAHKE DAAL DEEN TAN-E- PURNOOR PAR ABAA


FARMAAYA AB TO SHAAD HUWE TUM PA MAIN FIDAA
YE QILLAT-E- AAQHIR HAI AYE MERE DILRUBAA
IS KO LOOT LENGE MAGAR BAANIYE JAFAA
CHIN JAAEGI RIDAAEN BHI IS ASHDHAM ME
SAR NANGE RAANDEN NIKLENGI BALWAA-E-AAM ME

YE SUN KE PAA-E-SHAAH KI JAANIB JHUKAAYA SAR


KAANPE LAHOO BHARI HUWI AANKHOUN KO KHOL KAR
TAPKE MISHRAH SE QOON KE QATRE IDHAR UDHAR
KIS YAAS SE HUSSAIN PA KI AAQRI NAZAR
MANKA JARI KAA DHAL GAYA BHAI KE SAAMNE
BHAAI KA DAM NIKAL GAYA BHAAI KE SAAMNE

JAB IZN PAANI LAANE KA ABBAS KO MILAA

JAB IZN PAANI LAANE KA ABBAS KO MILAA


BACCHOWN KO JAMA KARKE SAKINA NE YE KAHA
JAATE HAIN AB FURAAT PA DEKHO MERE CHACHA
KUCH DEYR AUR SABR KARO TUM PA MAI FIDAA
PAANI KI MAI SABEEL YAHAAN PAR LAGAAUNGI
ASGHAR KO SAB SE PAHLE MAI PAANI PILAAUNGI

LAHRAARAHA HAI DEKHO FAZAAOUN ME WO ALAM


TEZI SE JAARAHA HAI SOO -E- NAHER DAM BADAM
CHAAYA HUWA ALAM PA HAI ABBAS KA KARAM
AB HOGAYA YAQEEN KE PAANI PIYENGE HAM
MASHKEEZA BHAR KE NAHER SE ABBAS AAENGE
PYAASOUN KO DONO HAATHOUN SE PAANI PILAAENGE

PYAASA HAI TEEN ROZ SEY MAASOOM BEYQATHAA


PAANI KA EK QATHRAA BHI USKO NAHIN MILA
KARBOBALA KI DHOOP HAI AUR GARM HAI HAWA A
SOOKHA HUVA HAI PYAAS SEY BEYSHEER KA GALA
LABB TARR KAROONGI UNKAY TOH WOH MUSKURAAENGAY
PEHLAAYE DONO HAATHOUN KO GODH MEY AAYENGAY

YE ZIKR IS TARAF THA UDHAR FOUJ-E- NAABAKAAR


BAADAL KI TARHA CHAANE LAGI PHIR SE AIKBAAR
AHL-E-JAFAA SE BHAR GAYA MAIDAAN-E- KAARZAAR
CHILLA RAHE THE SAAR-E JAFAA JO SITAM SHIYAAR
PAANI PAHONCH SAKEY NA IMAAM-E- HUSSAIN TAK
MASHKEEZA JAA SAKEY NA QIYAAM-E- HUSSAIN TAK

NAAGAAH AIK WAAR KAMEEN-GAAH SE HUWA


SHAANA JARI KA HOKE JUDA JISM SE GIRA
KUCH DOOR AUR AAGE BADE Y THE KE AAH AAH
TEGH-E SITAM(DAGHA) SE DOOSRA SHAANA BHI KAT GAYA
DAATHOUN SE MASHK THAAM KE ABBAS RAHGAYE
DARYA LAHOO KE JISM-E MUBARAK SE BEH-GAYE

AISE ME AIK TEER LAGA AAKE MASHK PAR


MASHK-E- SAKINA CHIDD GAYI THARRAGAYA JIGAR
PAANI KE SAATH BEH-GAYE UMMEED KEY GOHAR
JHUK KAR ALAM NE GHODE KI BAAGOUN ME Y DI QABAR
SAQQA-E- AHLEBAITH KE SHAANE QALAM HUWE
BIN BHAAI KE JAHAAN ME SHAH-E- UMAM HUWE

YE KEHKAY(SUNKE) HAMLAAWAR HUWE FOUJOUN PA SHAAH -E-DEEN


HAMSHAKL-E- MUSTAFA NE ULATDI JO AASTEEN
THARRAA GAYI FURAATH LARAZNE LAGI ZAMIN
JAANEY BACHAKE BHAAG GAYE RAN SE SAB LAEEN
PAHONCHE HUSSAIN TEZI SE BHAAI KI LAASH PAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 65 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 66 of 137

HASRATH BARAS RAHI THI TAN -E- PAASH PAASH PAR

BHAAI KE SAR KO SHAAH NE ZAANU PA RAKH LIYA


THE PAAYENTHI KHADE HUWE HAMSHAKL-E- MUSTAFA
PHIR ROKAY APNEY BHAAI SEY BOLAY SHAHEY HUDA
(FARMAYA AANKHEN KHOLO THO AYE MERE BAAWAFAA )
DEKHO HUSSAIN AAYA HAI AYE JAAN-E- MURTUZA
AB AA CHUKAA HAI WAQT-E- JUDAAI PUKAAR LO
JAANEY SE PAHLE BHAAI KO BHAAI PUKAAR LO

AANKHOUN KO APNI KHOL KE BOLA WO TASHNA KAAM


SHARMINDA HAI SAKINA SE ABBAS YA IMAM
LAASHA UTHAANE KAA NA KAREN AAP EHTHEMAAM
AB HASHR TAK RAHEGA HAMARA YAHEEN MUQAAM
LILLAH BAQSH DIJIYE SHAFAATH KE NAAM SE
TAQSEER AGAR HUWI HO KOI IS GHULAAM SE

SUNNA THA YE KE HAZRATH -E- ABBAS NE KAHA


YE SAB KARAM HAI AAP KA YA SHAAH -E- KARBALA
RIQQAT KA JOSH BADH GAYA GHUTNE LAGA GALA
BHAAI KE AIK LAFZ ME THA POORA MARSIYA
BHAAI KAHA TO ROOH BADAN SE NIKAL GAYI
ZAANU PA SHAH KE GARDAN -E- ABBAS DHAL GAYI

PHIR SHEH KEY SAMTH DEKH KAY ABBAS NEY KAHA


YEH SAB KARAM HAI AAPKA YA SHAAHEY KARBALA
RIQQATH KA JOSH BADD GAYA GHUTTNEY LAGA GALAA
BHAAI KAY EK LAFZ MEY THA POORA MARSIA
BHAAI KAHA TOH ROOH BADHAN SEY NIKAL GAYEE
ZAANU PA SHEH KAY GARDHAN-E ABBAS DHAL GAYEE

BOLE HUSSAIN ROKE ALAMDAR ALWEDAA


AYE BEKASSOUN KE MOUNIS-O- GHAMQHWAAR ALWEDA
AHL-E- HARAM KE QAFELA SAALAR ALWEDA
JAAO SIDHAARO MERE WADAADAR ALWEDA
SHAANE KATAKE BHAAI KO BE AAS KAR GAYE
BE DAST HAMKO HAZRATH-E- ABBAS KARGAYE

LAAE HUSSAIN MASHK-O- ALAM QAIMA GAAH ME


QUSHYOUN KE BAAJE BAJTHE THE SHAAMI SIPAAH ME
RONE KA SHOR THA HARAM-E- DEEN PANAAH ME
MAATAM KI KAIFIYAT THI SAKINA KI AAH ME
BOLI LIPAT KE AMMU HUWE KYA BATAIYE
BABA BATAIYE MERE BABA BATAIYE

AB QATM KAR BAYAAN MASAAEB KA AYE HASSAN


TAR AANSUOUN SE HO CHUKA MAJLIS KA PAIRAHAN
TASKEEN-E- FATEMA KA SABAB HAI TERA SUQAN
DEGI DUAAEN TUJH KO ALAMDAR KI BAHAN
KAR ARZ SHAH SE BHAAI KA PURSA QUOOL HO
ABBAS KA YE MARSIYA MOULA QUBOOL HO

JAB KATT GAYE DARIYA PEY ALAMDAAR KAY BAAZU


JAB KATT GAYE DARIYA PEY ALAMDAAR KAY BAAZU
SHAANOU SE JUDAA HOGAYE JARAAR KAY BAAZU
RETHI PA GIRAY SHAH KAY GHAMKHWAAR KAY BAAZU
THARRAANEY LAGEY SYED-E ABRAAR KAY BAAZU
RANG UDDGAYA TASWEER-E ALAM HOGAYE SHABBIR
SADMA YEH HUA ZOUF SEY KHAM HOGAYE SHABBIR

GIRNEY LAGGA JIS DUM ALAM-E SYED-E WAALA


ABBAS NEY JHUK KAR ISEY GARDAN SEY SAMBHAALA
EK TEER LAGAA CHASHM PEY AUR SEENAY PEY BHAALA
BANDH AANKHEIN HUVEEN MUH SEY LAHU SHAIR NE DALA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 66 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 67 of 137

EK GURZ LAGAA PHIR JO KISI AUR SHAQI KA


SHAQ HOGAYA SAR HAZRAT-E ABBAS-E ALI KA

KUCH GUZAR GARAAN BAAR KA SADMAA NAHIN THOD A


SAR SHAQ HUVA PHIR MASHKKO DAATOUN SEY NA CHODAA
ZEEN SEY JO GIRAY AAP KHADAA HOGAYA GHODAA
EK TEER NEY MASHKIZEY KO AUR SEENAY KO THODAA
PAANI JO BAHAA EID HUVI FOUJ-E ADU MEY
MACHLI SEY TADAPNEY LAGEY ABBAS LAHU MEY

NAGAAH YEH AAWAAZ-E ALI DASHT MEY AAYI


SHABBIR QABAR LO KAY TASADDUQH HUVA BHAAI
CHILLAAYI YEH ZAINAB KAY DOHAAI HAI DOHAAI
HAZRAT NEY KAHAA LUTT GAYI BABA KI KAMAAYI
TASHREEF SHAHEY HAR DO SARAA LAAYE HAIN ZAINAB
ABBAS KAY LAASHEY PEY ALI AAYE HAIN ZAINAB

YEH SUNTEY HI HAZRAT NEY AMAA MEY KO UTHAARA


AKBAR SEY KAHA KAR DO GAREBAAN KO DOPAARA
AASHIQ MERAY BACHCHOU KA ZAMAANEY SE SIDHAARA
HUM SOGH MEY HAIN QATL HUVA SHER HUMAARA
AAFATH MEY PHASI PAANI KI MOHTAAJ SAKINA
BUS HOGAYI DUNIYA MEY YATEEM AAJ SAKINA

FARMAAKEY YEH GIRTEY HUVEY DOUDEY SHAHEY WAALA


SAMBHLEY KABHI KHUD KABHI AKBAR NE SAMBHAALA
THA SEENA-E AQDAS MEY KALEJAA TAUBAALA
CHILLATI THI HAI HAI MERAY AAGHOSH KA PAALA
JALDI KABHI CHALTEY KABHI PHIR BADTEY THEY SHABBIR
GHABRAAKAY HAR EK LAASH PEY GIR PADTE THEY SHABBIR

KEHTEY THEY UTTHAAKAR YEH ALI AKBAR-E ZEEJAAH


DARYA KI TARAAYI TOH ABHI DOOR HAI YA SHAAH
FARMAATEY THEY AANKHON MEY BASAARAT NAHI AYE MAAH
ABBAS-E ALI CHODD GAYE AB TOH HAMEY AAH
AB KHEINCHEINGEY TALWAAR JO RASTAA NA MILEYGAA
AKBAR HAMEY KYA BHAAI KA LAASHA NA MILEYGAA

HAZRAT KO SAMBHALEY HUVEY DARYA PEY JO LAAYE


ABBAS-E ALAMDAAR SISAKTEY NAZAR AAYE
AKBAR NEY KATEY HAATH TADAPTEY HUVEY PAAYE
BHAAI KO KHUDA BHAAI KA LAASHA NA DIKHAAYE
JHUKNEY JO LAGEY KAAMPKAY GHASH KARGAYE SHABBIR
SABIT ALI AKBAR PEY HUVA MARGAYE SHABBIR

HAI HAI SHAHEY DEEN KEHKAY JO ROYE ALI AKBAR


SADMEY SEY TADAPNEY LAGEY ABBAS-E DILAAWAR
GHABRAAKAY BHATIJEY SEY KAHA AYE MEREY DILBAR
BATHLAADO KIDHAR HAIN MEREY AAQA MEREY SARWAR
AKBAR NEY KAHAA GHAM SHAHEY WAALA KO BADEY HAIN
WOH AAPKAY QADMOU KI TARAF GHASH MEY PADEY HAIN

GASH MEY YEH SUKHAN PUKAAREY SHAHEY ZEESHAN


YEH KISKI SADAA HAI MY IS AAWAAZ KAY QURBAAN
AKBAR NEY KAHAA KAB SEY TADAPTEY IAN CHACHAJAAN
MIL LIJIYE KAY ABAS KUCH DUM KAY HAIN MEHMAAN
PHIR HO NA SAKAA ZABT IMAM -E AZALI SEY
LIPTEY SHAHEY DEEN LAASHA-E ABBAS-E ALI SEY

CHILLAAYE BASAD GHAM MEREY BHAAI MERAY BHAAI


KYA DIL KA HAI AALAM MEREY BHAAI MEREY BHAAI
KYUN CHASHM HAI PURNAM MEREY BHAAI MEREY BHAAI
UKHDDAA HAI TERA DUM MEREY BHAAI MEREY BHAAI
SEENE MEY AJAL SAANS TEHARNEY NAHIN DETI
HICHKI TUMHEIN KUCH BAAT BHI KARNEY NAHIN DETI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 67 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 68 of 137

YEH KEHTEY HI HAZRAT PEY QAYAAMAT HUVI TAARI


ABBAS-E ALAMDAAR KARAAYE KAYI BAARI
ATKAA JO DUM AANKHON MEY TOH AANSOON HUVEY JAARI
TANH REHGAYA AUR ROOH SU-EY KHULD SIDHAARI
CHILLAKAY JO SHEH ROYE TOH GHABRAAYI SAKINA
NIKLA THA DUM UNKA KAY NIKAL AAYI SAKINA

MAYYAT SEY LIPAT NEY KO JO WOH DOUDDTI AAYI


HAZRAT NE ABAA BHAI KAY CHEHREY SEY HATAAYI
CHILLAAYI SAKINA KAY DOHAAYI HAI DOHAAYI
RETHI MEY ALAMDAAR NEY SHAKL APNI CHUPAAYI
THARRAANEY LAGAA LAASHA-E SAQQA-E SAKINA
LAASHEY SEY BHI AAYI YEH SADAA HAAYE SAKINA

JAB QATL KIYA NAHAR PA SAQQA -E- HARAM KO

JAB QATL KIYA NAHAR PA SAQQA-E- HARAM KO


BHAAI KA DIYA DAAGH SHAHINSHAAH-E UMAM KO
PAANI NA DIYA PYAAS ME US BHAR-E- KARAM KO
THA SHOUR KE AB QOUF KISI KA NAHIN HAM KO
GHAAZI KO JIGAR BAND-E- YADULLAH KO MAARA
ABBAS KO KYA QATL KIYA SHAAH KO MAARA

AADA THO YE KAHTHE THE SHAH-E-DEEN KA YE THA HAAL


TAR AANSUOUNSE HOTHA THA RUMAAL PA RUMAAL
FARMAATHE THE KYA HOGAYE ABBAS-E- QUSH IQBAAL
DUNYA ME NAHI JEENE KA AB FATEMA KA LAAL
BIN BHAI BASAR HOGI NA EK AAN HAMAARI
ABBAS KE MAATAM ME GAYI JAAN HAMAARI

BEKAS HUWE AB KOI NAHI HAMDAM -O- YAAWAR


PAAENGE KAHAN AISA WAFAADAR BARADAR
BAR AAE KAHIN AARZU-E- SIBTE PAYAMBAR
JALDI MERI GARDAN PA CHALE ZULM KA QANJAR
DUSHMAN PA BHI YE AALAM -E- TANHAAI NA HOWE
JEENE KA MAZAA KHAAK HAI JAB BHAAI NA HOWE

YE KAHKE TADAPNE LAGE SULTAN-E- DO AALAM


BARPAA THA AJAB QAIMA-E- SHABBIR ME MAATAM
CHILLATI THI ZAINAB KE JIGAR PHAT-TE HAI IS DAM
BHAAI KE ALAM ME NA JIYENGE SHAH-E- AKRAM
ANDHER JAHAN HAI JO ALAMDAR NAHI HAI
KOI MERE BHAAI KA MADADGAAR NAHI HAI

SAMJHAAKE USE RAN KO CHALE JAB SHAH -E- ABRAAR


DEWDHI AQAB-E- SHAAH SAKINA JIGAR AFGAAR
CHILLAI KE BABA MUJHE YAAN CHODHO NA ZINHAAR
DIKHLAADE MUJHE LAASHA-E- ABBAS-E- ALAMDAR
PAANI NA MILA MARGAYE WO QHOON ME NAHA KAR
MAI ROUNGI AB LAASHA-E- ABBAS PA JAAKAR

DEKHAA JO USE SHAAH NE BA DEEDA-E- GIRYAAN


KAHNE LAGE BETI SE BASAD NAALA-O- FUGHAAN
MAARE NA KOI TEER TUMHEN DUSHMAN -E- LEMAAN
CHALNA TERA LAASHE PA MUAASIB NAHI IS AAN
WO KAHTHI THI MAI JI SE GUZAR JAAUNGI BABA
WAAN LEKE NA CHALIYEGA THO MARJAAUNGI BA BA

AAQIR USE DARYA KI TARAF LEKE CHALE SHAAH


YUN KAHNE LAGE FOUJ SE BADH KAR KAI GUMRAAH
KYA QASD HAI JAATHE HO KIDHAR AYE SHAH -E- ZEEJAAH
DARYA PA WO MAARE GAYE THI JINKI TUMHEN CHAAH
PAANI KE LIYE LAAKH JAWAANOUN SE LADE HAIN
AUR HAATH KATAAE HUWE RETHI PA PADE HAIN

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 68 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 69 of 137

NAAGAAH NAZAR AAYA UNHEN LAASH-E- ABBAS


CHILLA-E- KE KAHA HAAE HAM AB HOGAYE BE AAS
PAHOONCHUNGE NA TUM TAK THA YAHI BHAAI KO WISWAAS
AB KOWN BIJHAAEGA SAKINA KI BHALA PYAAS
HAATHOUN KE TASADDUQ TAN-E- SAD PAASH KE SADQE
AYE JAAN-E- BARADAR MAI TERI LAASH KE SADQE

AANKHOUN KO ZARA KHOLO THO QURBAAN HO BHAAI


QAIME SE SAKINA TUMHE LENE KO HAI AAI
KYUN RETH ME YE CHAAND SI SURAT HAI CHU PAAI
SAR PEET KE TAB KAHNE LAGI SHAAH KI JAAI
HAE HAE UJHE SURAT NAHI DIKHLAATHE HAIN AMMU
MAI PYAASI RAHI ISLIYE SHARMAATHE HAIN AMMU

TADPI JO YE KAH KE SAKINA JIGAR AFGAAR


THARRANE LAGE LAASHA-E- ABBAS-E- ALAMDAR
LAASHE SE LIPAT KAR YE PUKAARE SHAH -E- ABRAR
SADQE TERI ULFATH KE HUSSAIN AYE MERE GHAMQHWAAR
RONE NA DIYA THA KABHI IS TASHNA DAHAAN KO
THARRATHE HO AB SU NKE SAKINA KI FUGHAAN KO

QAATOON-E- QAYAMATH KI SADA ITNE ME AAI


MAARA GAYA HAE HAE MERE SHABBIR KA BHAAI
FARZAND SE FARMAYA YE DE DE K E DUHAAI
PURSAA TUMHEN DETI HAI YE GARDOUN KI SATAAI
SHABBAR BHI BASAD DARD-O- BUKAA PEET RAHE THE
LAASHE KE QAREEN SHERE QUDAA PEET RAHE THE

YE SUNKE TADAPNE LAGA ABBAS KA DILDAAR


CHILLAYA KE AB HOGAYE HAM BEKAS-O- NAACHAAR
HAM JEETHE RAHE QATL HUWA SHAAH KA GHAMQHWAAR
TA HASHR NA AB DEKHENGE HAM BAAP KA DEEDAAR
IS UMR ME KYA ZULM-O- SITAM HOGAYE HAE HAE
FARYAAD KE BIN BAAO KE HAM HOGAYE HAE HAE

JAB SADR-E- ZEEN SE GIR PADE ABBAS -E- BAAWAFAA

JAB SADR-E- ZEEN SE GIR PADE ABBAS -E- BAAWAFAA


JANGAL SE AAI GIRYA-E- ZEHRA KI BHI SADAA
AKBAR NE DOUDH KAR SHAH -E- WAALA SE YE KAHAA
CHALIYE HUZOOR NAHER PA MAARE GAYA CHACHA
BE DAST DUSHMANOUN NE KIYA IS DILER KO
RO AAIYE TARAAI ME HYDER KE SHER KO

YE SUN KE PEET THE HUWE UTTHE ZAMEEN SE SHAAH


FARMAAYA HAI GHAZAB MERE BACCHE HUWE TABAAH
YE KYA KAHA KE AANKHOUN ME DIN HOGAYA SIYAAH
MAZLOOM SE BICHAD GAYEABBAS AAH AAH
MUDDAT HUWI TAMAAM SAKINA KE CHAIN KI
THODAA FALAK NE AAJ KAMAR KO HUSSAIN KI

YE KAHKE SOO-E- NAHER CHALE SHAH-E- KARBALA


MAANIND-E- BAID KAANPTHE THE SHAH KE DAST-O- PAA
AMMAMA THA NA FARQ PA NE DOSH PAR RIDAA
TASVEER WAAR THE HAMATHAN SIBTHE MUSTAFA
MAQTAL KI QAAK SE TAN-E- ANWAR ATTA HUWAA
SEENA KHULA HUWA THO GAREBAAN PHATA HUWA

PAHONCHE HUNHI TARAAI ME BAADEEDA-E- PUR AAB


DEKHA TAPAAN HAI QAAK PA FARZAND-E- BUTURAAB
SHAANOUN PA KI NAZAR TO JIGAR ME RAHI NA TAAB
BAS HAAE BHAAI KAHKE GIRAA WO FALAK JANAAB
BEKAAR DAST-O-PAA THE SHAH-E QUSHQISAAL KE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 69 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 70 of 137

LE AAE LAASH TAK ALI AKBAR SAMBHAAL KE

MU RAKH KE QOON BHARE HUWE CHEHRE PA DI SADAA


BHAYYA HUSSAIN AAYA HAI AAWAAZ DO ZARAA
HAE HAATH DONO HAATH BADAN SE HUWE JUDAA
BAAZU KE SADQE UN TERE SHAANOUN PA MAI FIDAA
BHAYYA HAMAARE HAATH THO BEKAAR HOGAYED
TUM HAATH KHOKE JAAFAR-E- TAYYAR HOGAYE

SUNKAR SADAA-E- HAZRATHE SHABBIR-E- NAAMDAR


KHOLA LAHU BHARI HUWI AANKHOUN KO AIKBAAR
SAR RAKH KE PAA-E- SHAH PA YE BOLA WO ZIWIQAAR
TASHREEF AAP LAAE ZAH-E- IZZ-O- IFTEQAAR
JEE CHAAHTHA HAI YE KE NISAAR -E- HUZOOR HOON
KIS TARHA UTH KE GIRD PHIROON CHOOR CHOOR HOON

BAITHE HAIN AAP AUR MAI LETAA HOON AAH A AH


KYA DOWR HAI HUZOOR AGAR BAQSH DEN GUNAAH
SAR SHAQ HAI ZARB-E-GURZ SE YA SHAAH-E-DEEN PANAAH
KARWAT BHI AB TO LE NAHI SAKTHA HAI QAIR QWAAH
DUKHTHE HAIN BOLNE ME JARAHAT PHATE HUWE
DEKHEN HUZOOR MERE HAIN BAAZU KATE HUWE

MU RAKH KE MU PA KAHNE LAGE S HAAH-E- QUSHQISAAL


ABBAS MAI KIN AANKHOUN SE DEKHOON TERA YE HAAL
IS DAM BHI HAI TUMHEN MERE AADAAB KA QAYAAL
JAB ZIBHA HONGE HUM TO KISEE HOEGA MALAAL
SADQE HUSSAIN TERE TAN-E- PAASH PAASH KE
EKBAAR HAMKO GIRD TO PHIRNE DO LAASH KE

YE SUN KE US DILER NE EK SARD AAH KI


MASHKIZE PE TADAP KE BA HASRATH NIGAAH KI
MU SHARM SE CHUPAA LIYA GOUDI ME SHAAH KI
HAALATH TABH HO GAYI HYDER KE MAAH KI
JAB DIL KO BEKALI HOTO KIS TARHA KAL PADE
ZAANU PA SHAH KE AANKHOUN SE AASU NIKAL PADE

FARMAYA SHAH NE KIS LIYE ROTE HO ZAAR ZAAR


LO AB KUCH APNA HAAL KAHO TUM PA MAI NISAAR
KYA JEE PA HAI BANI JO TADAPTHE HO BAAR BAAR
KI ARZ IS JARI NE KE HAI WAQT -E- IQTESAAR
AAQA SE CHOOTNE KA KHALQ HAI GHULAAM KO
PAAUNGA AB KAHAAN SHAH-E- GARDOUN MAQAAM KO

YE KAHTHE THE KE PHIRGAYI AANKHOUN KI PUTLIYAAN


HICHKI KE SAATH AAGAYI SOOKHE LABOUN PA JAAN
HASRATH SE DEKHKAR TARA -E- SHAAH-E- INSO-O- JAAN
DUNYA SE KOOCH KARGAYE ABBAS-E- NOUJAWAAN
CHOUDA JARI NE SAATH SHAH-E- MASHRAQAIN KA
EK GHUL UTHAA KE MARGAYA AASHIQ HUSSAIN KA

CHILLATHI HAI YE ZOUJA-E- ABBAS-E- NAAMWAR


CHOUDO MUJHE QUDAA KE LIYE PEETNE DO SAR
WAARIS MERA GUZAR GAYA LOOTA AJAL NE GHAR
HAE HAE YATEEM HOGAYA DONO MERE PISAR
PARDES ME ALI KE PISAR SE BICHAD GAYI
AB KHAAK UDAANE DO KE MERI MAANG UJAD GAYI

IMAME HUSSAIN A.S


AAH HUVEY KAABA-E QURBAANI -E DAAWAR HAI HUSSAIN
AAH HUVEY KAABA-E QURBAANIY-E DAAWAR HAI HUSSAIN
FIDYA-E UMMATH-E MARHOOM-E PAYAMBAR HAI HUSSAIN

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 70 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 71 of 137

BEKAS-O BEWATAN-O BEYDIL-O BEPAR HAI HUSSAIN


SABR-E AYYUB KI SHAMSHEER KA JOUHAR HAI HUSSAIN
GO KE TALWAAR PHIRI HALQ PA SATTAR BAARI
SHUKR-E BAARI KIYA PYAASE NE MAGAR HAR BAAR I

ITTEFAAQ-E ULAMAA ISME HAI AYE AHLE AZAA


PAANCH SHARTEN HAIN ZABEEHA KEY LIYE PEISH-E QUDAA
SHART-E AWWAL HAI KE HAIWAAN NAHO BHUKAA PYAASA
EHTHIYAATAN BADAM-E ZIBHA BHI DO AAB-O GHIZA
SHARTH-E SAANI HAI KE HO JUMMA TO TAAQEER KARO
JUMMA KO WAQT-E NAMAAZ ISKO NA TAKBEER KARO

TEESRI SHARTH HAI HAIWAAN NA HO PEISH-E HAIWAAN


THAADAM-E ZIBHA NA HASRATH SE HO BAAHAM NIGRAAN
SHARTH-E CHAHARUM HAI KE JALDI NA KARO TAA IMKAAN
HO CHURI TEZ MAGAR HAATH HO NARMI SE RAWAAN
SHARTH-E PANJUM HAI CHURI BHI NA DIKHAAO USKO
ZUBHA SE PAHLE QAZAA SE NA DARAAO USKO

ZIBHA-E HAIWAN KI YE SHARTEN HAIN MAGAR WAAWAILA


ASHRAF-E QALQ JO THA SIBT-E NABI NOOR-E QUDA
AAH HUVEY SHERE QUDA FIDYA-E RAABE DOSARA
KHAANA KAISA KE NA PAANI USEY QATIL NE DIYA
HALQ TAR KATHE HAIN QASSAAB BHI QURBAANI KA
QATRA UMMATH NE NA SYED KO DIYA PAANI KA

ZIBHEY HAIWAAN KA NAHIN HUKM HAI HAIWAAN KAY HUZOOR


YAAN NA SHABBIR THEY KUCH DOOR NA ZAINAB THI DOOR
AAL-E AHMAD DAR-E KHAIMEY PA KHADI THI MAJBOOR
LOUT-THI THI KAHIN KUBRA KAHIN ABID RANJOOR
SHAH UNKO WOH SUEY SHAAHEY UMAM DEKHTAY THEY
ZIBHAA HOTHEY THEY HUSSAIN AHLEY HARAM DEKHTAY THEY

MANAA DIKHLAANA CHUREE KA HAI PAEY QURBAANI


YAAN THA CHEY LAAKH KAY NARGHAY MEY ALI KA JA ANI
TEIGH-O KHANJAR LIYE THEY GIRDH-E SITAM KAY BAANI
AAB-E AAHAN KAY SIWAA THA NA MAYASSAR PAANI
AL-ATASH KI THI SADAA HALQ -E SHAHEY ZEESHAAN SEY
PYAAS KAY MAAREY ZABAAN CHAABTHAY THEY DANDAAN SEY

EID-E ZILHIJJ KO HAI QURBAANI -E HAIWAAN ILLAH


HO JO EK SAAL SEY KAM ZIBHA NAHIN ISKA RAVAA
TUMKO AKBAR KI JAWAANI KI QASAM AHLE AZAA
QATL ASGHAR KO JO UMMATH NEY KIYA KYA SIN THAA
SHAB-E HAFTUM SEY QALAQ DOODH NA PEENAY KA THAA
TEESRA FAAQA THA AUR SIN CHEY MAHINEY KA THAA

NA ABHI KANGEE KAY QAABIL THEY JHA NDOLAY WOH BAAL


AAH QURBAANI-E ASGHAR HUVI KIS TARHAA HALAAL
DOODH KA HOUNTOUN PA AATHA THA ISHAARA NA SAWAAL
JUZZ KHUDA KUCH BHI NA PEHCHAANTHA THA BANU KA LAAL
MAA KA DIL ISKAY ISHAAREY KO SAMAJH LEYTA THA
DOODH KI HOTHI THI KHWAAHISH TOH WOH ROTHA THA

EK BHI DAANTH NA NIKLAA THA ALI ASGHAR KA


EK BAALISH KA KURTHA THA ALI ASGHAR KA
CHOTAA QADH NANHAA SA JHOOLA THA ALI ASGHAR KA
DOODH PEENA BHI NA CHOOTA THA ALI ASGHAR KA
MOOUH SEY MAA BAAP KA BHI NAAM NA EK BAAR LIYA
BEY ZABAAN BACHCHEY KO BHI HURMULAA NEY MAAR LIYA

EK JAAN LAAKH QAREEDAAR AYAAZAN BILLAH


PYAASE PAR TEEROUN KI BOUCHAAR AYAAZAN BILLAH
NA KOI YAAR NA GHAMQHWAAR AYAAZAN BILLAH
HAR TARAF ZAALIM-O KUFFAR AYAAZAN BILLAH
APNE RUTBE KA KISI KO NA SHANASAA DEKHA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 71 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 72 of 137

DEKHA PYAASE NE JISE KHOON KA PYAASA DEKHA

TEEN BAARI HUWE JAB PYAAS SE BEHOUSH IMAAN


AAQIRUL AMR KIYA PYAAS ME ROKAR YA KALAAM
AYYUHANNAAS MERE QATL PA BAANDHO(KHAINCHO) NA HUSAAM
PYAAS SE TEEN SHAB-O ROZ KE HAI KAAM TAMAAM
AB KOI PYAASOUN ME BAAQI NAHI MAI TANHA HOON
CHAAHO PAANI DO MUJHE CHAAHO NADO PYAASA HOON

ABHI YE KAHNA CHUKA THA PISAR -E SHAAH-E NAJAF


SOU HAZAAR AHL-E JAFAA TOOT PADE TEGH BAKAF
SAB KAMAAN DAROUN KE TEER AUR DIL-E SHABBIR HADAF
GIRD JALLAD THE AUR BEECH ME ZEHRA KA QHALAF
HOKE BEHOSH GIRE JAB SHAH-E DEEN GHODE SE
SAATH HI KOODH PADA SHIMR-E LAEEN GHODE SE

AAYA GHUSSE ME QAREEN-SHAAH KE WO BAD AQTAR


TEGH EK HAATH ME EK HAATH ME KHAINCHE QANJAR
BE ADAB NE JO YE CHAAHA KE CHADHE SEENE PAR
SHAAH CHUPKE SE YE BOLE KE TAHR SHIMR TAHR
SUNLEY DUNYA ME MERE BAAD TUJHE RAHNA HAI
TUJHSE KUCH APNE YATIMOUN KE LIYE KAHNA HAI

KAH TO DOON AAGE AMAL USPAA TU KAR YA KE NAKAR


SHIMR BOLA KE BHALA QAIR KAHO AYE SARWAR
KAHA SHEH NE MERI GARDAN PA CHALE JAB QANJAR
QIBLA ROO LAASH LITAADENA UDHAA KAR CHAADAR
AUR ITNA TOO MERI ROOH PA AHSAAN KARNA
DEKH SAIDAANIYOUN KE SAR KO NA URYAAN KARNA

QATL WAARIS HUWE AB UNKO SATAANE SE KYA


JISKA WAALI NA HO US GHAR KE JALAANE SE KYA
AAP HI ROTE HAIN BEYVOUN KE RULAANE SE KYA
NANGE SAR PARDA NASHINOUN KO PHIRAANE SE KYA
YA TOO ROUZE PA NABI KE UNHAY PAHUCHA DENAA
YA INHEY WARISOUN KI LAASHOUN PA BITHLAA DENAA

BETI EK CHAAR BARAS KI HAI SAKINA MERI AAH


DEKH TOO USKO TAMAACHE NA LAGAANA GUMRAAH
WO JO ROYE NA GURAKHNA NA DARAANA LILLAH
MAI NE NAAZOUN SE USE PAALA HAI QAALEQ HAI GAWAAH
KAL TALAK THI MERE SEENE PA WO SONE WAALI
AB WO HAI SAAHEB-E MAATAM MERI HONE WAALI

SHIMR BOLA KE SAKINA KO BAHUT CHAHTHE HO


SHEH NE FARMAAYA KE HAAN SAB ME HAI PYAARI MUJHKO
SANG DIL BOLA KE BAS QAIR TUM AB KUCH NA KAHO
MAI NAHI SUNTA SAKINA KI SIFAARISH NA KARO
MAIN TAMAACHE USE MAARONGA GURAKH BHI DOONGA
JITNI DEEJAAEGI EIZAA MAI USI KO DOONGA

AYE MOMINO HUSSAIN PE SHIDDAT KI PYAAS HAI

AYE MOMINO HUSSAIN PE SHIDDAT KI PYAAS HAI


JANGAL ME FATEMA KA PISAR BE HAWAAS HAI
YAAWAR NA KOI HAI NA KOI BHAAI P AAS HAI
LAASHE UTHAAKE LAANE SE MOULA UDAAS HAI
LOO CHAL RAHI THI PYAAS THI WAQT -E ZAWAAL THA
BE CHAIN RAN ME DHOOP SE ZEHRA KA LAAL THA

AYE MOMINO QAYAAL KARO DIL ME TUM ZARA


WO PYAAS AUR WO ZAQM WO SEHRAA-E KARBALA
WO SAAMNE KI DHOOP WO ZAQMOUN KA MU KH ULA
WO LOO SE PHAT- THA ZAQMOUN KA WO DARD WO JAFAA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 72 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 73 of 137

KYA DUKH UTHAA-E FATEMA KE NOOR-E AIN NE


AAFATH SAHI TUMHAARE LIYE YE HUSSAIN NE

AADA SE KAHRAHE THE YE MOULA GHAREEB HOON


ALLAH KE HABEEB KA YAARO HABEEB HOON
EK DAM ME DAM NIKALTHA HAI AB ANQAREEB HOON
ZAQMI HOON BEGUNAAH HOON AAFATH NASEEB HOON
TUM JISKE KALMA GO HO MAI USKA NAWAASA HOON
PAANI PILAAKE ZIBHA KARO YAARO PYAASA HOON

KAHTHE THE YE HUSSAIN KE EK ZALZALAA HUWA


SAATHOUN TABAQ ZAMEEN KE HILE AASMAAN HILA
NAAGAAH AAI FATEMA ZEHRA KI YE SADAA
WAQT-E- NAMAAZ-E ASR BHI NAZDEEK AAGAYA
TIFLI ME JO KAHA THA WO WAADA WAFAA KARO
JHUK KAR HUSSAIN SHUKR KA SAJDA ADAA KARO

JISDAM SUNI HUSSAIN NE ZEHRA KI YE SADAA


QOUF-E QUDAA SE KAANP GAYE SAR SE TAABA PAA
GHASH KHAAKE FARSH-E ZEEN SE GIRE WA MUSIBATAA
HAR ZAQM SE MIKALNE LAGI SHUKR KI SADAA
SAJDE ME SAR THA DHYAAN THA US KAAR-O- SAAZ PAR
ROTE THE SHAAH SAR DHARE QAAK -E NIYAAZ PAR

JISDAM LAEEN NE DOOR SE DEKHA YE MAAJARA


SHIMR-E LAEEN KO PAAS BULAAKAR YE TAB KAHA
SIBT-E RASOOL QAAK PA BEHOSH HAI PADAA
KYA DEKHTHA HAI WAQT PHIR AISA NA AAEGA
ZAQMOUN SE CHOOR HAI TAN-E ATHER HUSSAIN KA
HAAN JALD JAAKE KAATLE AB SAR HUSSAIN KA

YE MISHDA SUNKE AAGAYA LAALACH ME WO LAEEN


QANJAR PAKAD KE AAYA QAREEB-E- IMAAM-E DEEN
CHAATHI PA ZAANU RAKH KE CHADHAAI JO AASTEEN
TAB NOOR-E CHASHM-E FATEMA NE AANKHEN KHOL DIN
DEKHA THO KOI DOST HAI NA GHAMGUSAAR HAI
QANJAR GALE PA SEENE PA QATIL SAWAAR HAI

FARMAAYA SHAH NE KOUN HAI TOO AYE SITAM SHEYAAR


KYUN MERE ZAQMI SEENE PA AAKAR HUWA SAWAAR
QANJAR MERE GALE PA JO RAKHTHA HAI BAAR BAAR
SAMJHA HAI KIS QATAA PA MUJHE TOO GUNAAH GAAR
DETA HAI RANJ ROOH-E RISAALAT PANAAH KO
KYUN ZIBHA KARNE AAYA HAI MUJH BEGUNAAH KO

ISPAR BHI KUCH NA DIL ME LAEEN KE ASAR HUWA


QANJAR SE KAATNE LAGA MAZLOOM KA GALA
USWAQT AAI FATEMA ZEHRA KI YE SADA
AYE SHIMR MERA LAAL HAI BE JURM-O BE QATAA
YE ZULM MUSTAFA KE NAWAASE KE HALQ PAR
QANJAR NA PHAIR BHUKE KE PYASE KE HALQ PAR

MAI NE BADE DUKHOUN SE HAI PAALA HUSSAIN KO


NAAHAQ TU ZIBHA KARTHA HAI PYAASA HUSSAIN KO
LILLAH NA ZERE TEGH TU TADPA HUSSAIN KO
PHAT THE HAIN ZAQM HOTI HAI EIZAA HUSSAIN KO
ZAALIM KALEJA PHAT-THA HAI MUJH DIL MALOOL KA
BACH-CHE KO MERE CHODD-DE SADQHA RASOOL KA

IBN-E- ALI JO BAAGH-E- RISAALATH LUTAA CHUKA

IBN-E- ALI JO BAAGH-E- ROSAALATH LUTAA CHUKA


BHAI KI AUR BAAP KI DOULAT LUTAA CHUKA
POONJI HARAM KI APNI BIZAA - AT LUTAA CHUKA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 73 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 74 of 137

SAB KUCH BARAA-E- BAQSHISH-E- UMMAT LUTAA CHUKA


BAAQI KOI SHAHIDOUN KE DAFTAR ME AB NAHI
JUZ AABID-E- MAREEZ KOI GHAR ME AB NAHI

TANHA KHADE THE FOUJ ME SHAAH -E- FALAK WIQAAR


JO AAI CHAAR SIMTH SE PHIR FOUJ-E- BAD SHEYAR
DEKHA KE HAI NIYAAM ME HYDER KI ZULFEQAAR
JURRAT HUWI HAR AIK KO BADH KAR LAGAA -E- WAAR
YAAD-E- QUDA ME SHAAH NE SAB KUCH BHULAA DIYA
JAB ZAQM KHAAYA SHUKR KIYA MUSKURAA DIYA

TUKDE HUWA JABEEN SE KAMAR TAK TAN -E- IMAAM


GHABRAGAYA FARAS PA THO YE BOLE SHAH-E- ANAAM
AYE ZULJANAAH YAHAN SE HATAANA NA AIK GAAM
AB JUNG BHI TAMAAM HAI AUR HAM BHI HAIN TAMAAM
GHERE HUWE HAI FOUJ-E- AJAL SYEDA RAAH HAI
JAAEGA AB KAHAN KE YAHI QATIGAAH HAI

MUZTAR NA HOLAINGE TO LAGE NAWAKE SITAM


KUCH GHAM NAHI JO PADHTHI HAIN TALWAREN DAM BADAM
MAARE NA DAM JO TAN SE HO SOW BAAR SAR QALAM
RAAHATH KE DUKH SAMAJHTHE HAI RAAH -E-QUDA ME HAM
PAIDA HUWE HAIN DARD-O- MUSIBATH KE WAASTHE
YE SAB QUBOOL HAI HAEN UMMATH KE WAASTHE

MUJH KO NA QATL HONE KA GHAM HAI NA KUCH MALAAL


GHAR KI HAI AB NA FIKR AN BACHOWN KA HAI QIUAAL
JAANA QAREEB HAI SOO-E- DARBAAR-E- ZULJALAAL
YE FIKR HAI KE DEKHIYE HOTA HAI KYA MA AAI
MURSIL BHI THARTHARAATHE HAIN IS BAARGAAH ME
KYA NAZR LEKE JAAUN JANAAB -E- ILAAH ME

YE KAHTHE THE KE SAR PA LAGI TEGH AABDAAR


NEZA SINAAN KA HOGAYA SEENE KE AAR PAAR
GIRNE LAGE JO ZEEN SE IMAM -E- FALAK WIQAAR
BAITHAA ZAMEEN PA TAIK KE GHUTNOUN KO RAAH WAAR
GHASH ME JIGAR PAKAD KE BA DARD-O- ALAM GIRE
SAMBHLAA GAYA NA KHAAK PA SHAAH-E- UMAM GIRE

DI BADH KE PEEK NE PISAR-E- SAAD KO QABAR


GHOWDE SE GIRPADA ASADULLAH KA PISAR
BASH SHASH HOKE SHIMR SE BOLA WO QU SIYAR
JA JALD JAA NABI KE NAWAASE KO QATL KAR
GHUL HO DILAAWARI KA TERI SHEHR SHEHR ME
QANJAR WO KHAINCH LE JO BUJHAAYA HO ZEHER ME

QANJAR PAKAD KE SHIMR GHALA AASTIN CHADHAAE


BOLAA YE IBN-E- SAAD KE QOOLI BHI SAATH JAAE
DONO LAEEN JO LAASHA-E- SARWAR KE PAAS AAE
PAHLU SE FATEMA NE SADAA DI KE HAAE HAAE
QANJAR LIYE HUWE SITAM EIJAAD AAYE HAIN
CHOWNKO HUSSAIN ZIBHA KO JALLAD AAYE HAIN

ROOH-E- JANAAB-E- FATEMA ZEHRA NE DI SADAA


SADQE MAI IS LABOUN KE IS AAWAAZ PAR FIDAA
IS KA NAHI QAYAAL KE KAT-TA HAI AB GALA
YE SABR MARHABA MERE MAZLOOM MARHABA
TUKDE HAI JISM PYAAS SE HONTON PE JAAN HAI
AYE LAAL MARTE WAQT BHI UMMAT KA DHYAAN HAI

KYUN KAR KAHUN TATAWULE SHIMR-E- SITAM SHEYAAR


PYASE GALE PA SHAH KI RAKHI TEGH AABDAAR
GHAR SE IDHAR NIKAL PADI ZAINAB JIGAR FIGAAR
CHILLAAI MU NAJAF KI TARAF KARKE AIK BAAR
HALQ-E- HUSSAIN KAT-THA HAI QANJAR KI DHAAR SE
YA MURTUZA ALI NIKAL AAO MAZAAR SE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 74 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 75 of 137

YA SHER-E- KIRDAGAAR ULATDO JAHAAN KO


FARYAAD SE HILAADO ZAMEEN AASMAAN KO
KARTHE HAIN ZIBHA AHL-E SITAM MEHMAAN KO
YA MUSTAFA BACHAALO MERE BHAAI JAAN KO
SHAMSHEER CHALNE PAAE NA PYAASE KE HALQ PAR
RAKH DIJEYE HALQ APNA NAWASE KE HALQ PAR

YE KAHKE SOO-E- MAQTAL SHAH-E-UMAM CHALI


MU APNA PEET THI HUWI BA DARD -O- ALAM CHALI
UTH KAR KABHI GIRI THO KABHI DO QADAM CHALI
AUR WAAN GULU-E- SHAAH PA TEGH-E- DO DAM CHALI
PAHONCHI THO QATEMA THA SHAH-E- MASHRAQAIN KA
SHIMR-E- LAEEN KE HAATH ME THA SAR HUSSAIN KA

JAB KATGAYE HAFTAAD DOH TAN RAHE QUDAA ME

JAB KAT GAYE HAFTAAD WO TAN RAAH -E QUDAA ME


TANHA RAHE SHAAH-E SHOHDAAN DASHT-E BALAA ME
TAAQAT NA RAHI JISME IMAAM -E DOSARA ME
KOI NA RAHA SHEH KAY AZIZ-O RUFAQAA ME
SARKAAR KI QOUNAQ THI NA DARBAAR THA BAAQI
LUTNE KO HARAM MARNE KO SARDAAR THA BAAQI

FARMAATHE THE HAATHOUN PA LIYE LAASHA -E ASGHAR


MAQBOOL HO AYE BAAR-E QUDA HADYA-E EHKHAR
KIS MU SE TERA SHUKR KAROON AYE MERE DAAWAR
TOONE MERE ASGHAR KO DIYA RUTBA-E AKBAR
JAAN APNI MERE SHIYOUN KE BACH-CHOUN PA FIDAA KI
SHASHMAAHE PE BILKUL HAI YE TAAEED QUDA KI

GHAM KA MUJHE GHAM HAI, NA QUSHI MUJH KO QUSHI KI


TOO SAR PA HAI PARWA NAHI BANDE KO KISI KI
HAAN AIK YE HAAJATH HAI HUSSAIN IBN -E ALI KI
SAR NANGE NA DEKHOON MAI NAWAASI KO NABI KI
BE PARDA WO JAB HO KE MAI PAIWAND-E ZAMEEN HOON
AUR YUN TERI MARZI HAI TO BAAHAR BHI NAHI HOON

LASHKAR DIYA KUNBA DIYA GHAR BHI DIYA TOONE


SARDAAR BHI TOONE KIYA, SAR BHI DIYA TOONE
HAMSHAKL-E PAYAMBAR SA PISAR BHI DIYA TOONE
YE HOUSLA, YE DIL, YE JIGAR BHI DIYA TOONE
KYA FAQR JO PYAAROUN KO RAAH-E HAQ ME DIYA HAI
TERI HI INAAYATH KO FIDAA TUJH PA KIYA HAI

MUJH ME THI YE QUDRATH KE BHARE GHAR KO LUTAATHA


WAAN QATL HO AKBAR IDHAR ASGHAR KO MAI LAATHA
TADPE YE MERE HAATHOUN PA MAI LAB NA HILAATHA
BAAZUN HON JUDA HAATH NA UMMATH PA UTHAATHA
YUN QUSH KOI HANGAAM-E TABAAHI NAHI HOTA
BANDHEY SE YE BE FAZL-E ILAAHI NAHI HOTA

UMMATH NE BHULAAYA HAI MUJHE TOO NA BHULAANA


TOO PAAK HAI DUNYA SE MUJHE PAAK UTHAANA
SAB CHODDH KE TANHA HUWE JANNAT KO RAWAANA
AYE BAAR-E QUDA QABR KI WAHSHATH SE BACHAANA
JAB GOUR-E GHARIBAAN KA ANDHERA NAZAR AAYE
HAR SIMTH KO JALWA MUJHE TERA NAZAR AAYE

KAAFI DAR-E GHARIBAAN KA ANDHERA NAZAR AAYE


TUJH SE SAROKAAR MUJHE SAR NAHI DARKAAR
TAKYA HAI TERE FAZL PA BISTAR NAHI DARKAAR
IMDAAD TERI CHAAHIYE LASHKAR NAHI DARKAAR
AASAAN MERE SHIYOUN PA SAQTHIYY-E AJAL HO

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 75 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 76 of 137

JO HONA HO TUJHE PARDA MOHIBBON KE BADAL HO

NAAGHAAH NIDAA PARDAH-E QUDDRATH(GAHIBATH) SE YE AAI


SHABAASH KE TASLEEM-O RIZAA QOOB DIKHAAI
BANDHEY TUJHE HAM NE KIYA MUQTAAR-E QUDAAI
QAASAAN-E QUDA KARTHE HAIN YUN WAADA WAFAAI
PYAARE BHI MUSAAHEB BHI FIDAA KARDIYE TOONE
IQRAAR THA EK SAR KA BAHATTHAR DIYE TOONE

BAS BAS KE QUDA AB TERA SHARMAATHA HAI SHABBIR


KYUN MERE HUZOOR AANE MEY(SE) GHABRAATHA HAI SHABBIR
TAALEB HOON MAI JIS HADYE KA TOO LAATHA HAI SHABBIR
BANDOUN KA HAMEY IZR PASAND AATHA HAI SHABBIR
TOO UZR KA TOHFA MERI DARGAAH KO SAMJHA
MAI RUTBA TERA SAMJHA TOO ALLAH KO SAMJHA

HAZRATH NE SUNI HUKM-E ILAAHI JO YE SAARE


BE SAAQTHA MUDKAR SU-EY KUFFAR PUKAARE
QAATIL HAI KAHAAN AAYE MEREY SAR KO UTAARE
DEWDHI SE BAHEN BOLI MAI QURBAAN TUMHAARE
SAIDAANIYAAN DUKH ME KISE CHILLAAENGI BHAI
BIN MAA KI YE BEHNEY TERI LUT JAAENGI BHAAI

WAAN ZALIMOUN NE MORCHE KE DAFA BADHAAE


BAADAL KI TARHA FATEMA KE CHAND PA CHAAE
YUN TEER-E JAFAA MAARE KE SEENE ME DAR AAE
NEZE JO LAGAAE THO KALEJE ME LAGAAE
ZAQMOUN SE THO QHOON-E BADAN-E SHAAH THA JAARI
AUR MUH SE THO TAWAKKALTO ALAL-LAH THA JAARI

BARCHI KABHI PAHLU PA CHALI AUR KABHI SHAMSHEER


PATHAR KABHI MAATHE PA LAGA AUR KABHI TEER
SAMBHLAA NAGAYA HOGAYE GHASH HAZRATHE SHABBIR
AUR SEENA-E ZAQMI PA CHADHA ZAALIM -E BEY-PEER
SAR PEET KE MUDALEE FARISHTOUN NE GIRAADI
ZAALIM NE CHURI HALQ PA SYED KE PHIRAADI

JAB NOUJAWAAN PISAR SHAH -E- DEEN SE JUDA HUWA

JAB NOUJAWAAN PISAR SHAH-E- DEEN SE JUDA HUWA


ROUSHAN QAMAR SE PAHRE BAREEN SE JUDAA HUWA
NOOR-E- NAZAR IMAM-E-MUBEEN SE JUDAA HUWA
LAQT-E- JIGAR HUSSAIN-E- HAZEEN SE JUDA HUWA
DIL DAAGH HOGAYA DIL-O- JAAN-E- BUTOOL KA
GHAR BE CHARAAGH HOGAYA SIBT-E- RASOOL KA

BARCHI SE TUKDE HOGAYA LAQT-E JIGAR KA DIL


QUD BAAP NE CHIDA HUWA DEKHA PISAR KA DIL
HOTA HAI AABGINA SE NAAZUK BASHAR KA DIL
PATHAR KA DIL NAHI HAI YE DIL HAI PIDAR KA DIL
AYOOB BHI AGAR HO TO DAM BHAR NIKAL PADE
AANSU NAHI TO MU SE KALEJA NIKAL PADE

PEERI ME AAFAT-E GHA-E AULAAD AL AMAAN


DIL AUR ZAQM-E QANJAR-E FOULAAD AL AMAAN
WO IZTERAAB-E QAATIR-E NAASHAAD AL AMAAN
WO ASHK-O SOUZ AUR WO FARYAAD AL AMAAN
BETA NA HO THO ZEEST KA PHIR KYA MAZAA RAHA
JAB GHAR UJAD GAYA THO ZAMANE ME KYA RAHA

BICHDAA WO LAAL JISKA GAWARA NA THA FIRAAQ


FARMAATHE THE KE LOOT LIYA TOO NE AYE IRAAQ
AYE MOUTH JALD AAKE BAS AB ZINDAGI HAI SHAAQ
QANJAR KI AARZU HAI SHAHADAT KA ISHTIYAAQ

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 76 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 77 of 137

BARBAAD ISTARHA KOI AABAAD GHAR NA HO


KYA ZINDAGI KA LUTF JAB APNE PISAR NA HO

SAB CHAAHEN JIS KI ZEEST WO SHERE ZIYAAN MARE


AFSOS NEEMJAAN JIYE JAANE JAHAAN MARE
PAIDA TO KIS JAGA HUWE AAKAR KAHAAN MARE
QUDRAT QUDA KI PEER JIYE NOUJAWAAN MARE
IS UMR ME JAHAAN SE GUZARNE KE DIN NA THE
KAHTHE HAIN QUD SHABAAB KE MARNE KE DIN NA THE

PYAARE NA THE HUSSAIN ALAIHIS SALAAMKE


LAAL HARAM SARAA ME BAHAN HAATH THAAM KE
THARRA RAHE THE PAAUN SHAH -E TISHNA KAAM KE
SAR DOUSH PAR THA ZAINAB-E AALIE MAQAAM KE
FARMAATHE THE BAHAN ALI AKBAR GUZAR GAYE
HAM AISE SAQT JAAN THE KE AB TAK NA MARGAYE

PURSAA TUMHEN SHAHEED KA DENE KO AAE HAIN


KIS KIS KE DAAGH AAJ JIGAR PAR UTHAAE HAIN
PEETE HAIN KHAAK UDAA-E HAIN AANSU BAHAAE HAIN
YE HAM TUMHAARE LAAL KE KHOON ME NAHAAE HAIN
SAR THA HUSSAIN-E BEKAR-O TANHA KI GODH ME
BETE KI JAAN NIKLI HAI BABA KI GODH ME

YE SUN KE BIBIYOUN KE JIGAR PAR CHURI CHALI


ZAINAB ZAMEEN PA GIR KE PUKAARI KE YAA ALI
SIRR-E QAFI JAHAAN KE HAIN SAB AAP PAR JALI
JEETHA HAI SARKASHOUN ME YE KOUNAIN KA WALI
BEKAS KO AASRA HAI PISAR KA NA BHAAI KA
BABA YAHI THO WAQT HAI MUSHKIL KUSHAAI KA

FARMAYA SHAH NE SABR BAHAN TUMHEN CHAHIYE T UMHEN


QAALEQ KI YAAD SIRRO ALAN CHAHIYO TUMHEN
LAB PAR RAZAA-E HAQKA SUQAN CHAAHIYE TUMHEN
JO MAA KA THA CHALAN WO CHALAN CHAAHIYE TUMHEN
AB AAQRI BAHAN YE SAWAARI HAMAARI HAI
BAAD IN BUZURGOUN KE BAARI HAMAARI HAI

FARMAAYA SHAH NE HAAN SAFAR-E NAA GAZEER HAI


AAO GALE LAGO KE YE SOHBAT AQEER HAI
AB AARZU-E QURB-E QUDAA-E QADEER HAI
TANHA HAIN HAM SIPAAH MUQAALIF KASEER HAI
TAE HO YE MARHALA KE IYAANATH QUDAA KARE
JIS KA NA KOI DOST HO BIBI WO KYA KARE

JAANA HAE DOOR SHAB KO JO AANA NA HO IDHAR


ZID KARKE ROYIYO NA HAMEN CHAHTHI HO GAR
PAHLE PAHAL HAI AAJ SHAB-E FURQAT-E- PIDAR
SO RAHIYO MAA KI CHAATHI PA GHURBATH SE RAKH KE SAR
RAAHATH KE DIN GUZAR GAYE YE FASL AUR HAI
AB YUN BASAR KARO KE YATIMOUN KA DOUR HAI

NANHE SE HAATH JODKE BOLI WO TASHNA KAAM


BATHLAAIYE MUJHE KE YATIMI HAI KIS KA NAAM
AANKHON SE QOON BAHAAKE YE KAHNE LAGE IMAAM
KHUL JAAYEGA YE DARD-O- ALAM TUM PA TAABA SHAAM
BIBI NA POOCHO KUCH YE MUSIBATH AZEEM HAI
MARJAYE JIS KA BAAP WO BACH-CHAA YATEEM HAI

JAB PARISHAAN HUWI MOULA KI JAM AA ATH RAN ME

JAB PARISHAAN HUWI MOULA KI JAMAA ATH RAN ME


HAR NAMAAZI KA PASAND AAI IQAAMATH RAN ME
QIBLA-E DEEN NE KIYA QASDE IBAADATH RAN ME

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 77 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 78 of 137

SHAKL-E MEHRAAB BANI TEGH-E SHAHADATH RAN ME


GHUL HUWA ISKO IMAAM-E DOJAHAAN KAHTHE HAIN
TEGHOUN KE SAAYE ME SHABBIR AZAAN KAHTHE HAIN

QUDRATH-E HAQ SE DAREECHE HUWE FIRDOUS KE WAA


DAF ATHAN KHUL GAYE DAR HAAE FALAK SARTAAPA
YAK BAYAK UTH GAYE SAB PARDA-E ARSH-E AALA
AMBIYAA-O MALAK-O HOOR KO PAHONCHI YE NIDAA
QADARDAAN ISKA MAI HOON MERA SHANASA HAI YE
KYUN NAHO MERE MOHAMMED KA NAWAASA HAI YE

YE WO TAA-ATH HAI KE TANHA HI ADAA KARTHE HAIN


MERE AASHIQ TAH-E SHAMSHIR RAHA KARTHE HAIN
SAR QALAM HOTA HAI WO SHUKR-E QUDA KARTHE HAIN
SAADEQ- UL WAADA YUNHI WAADA WADA KARTHE HAIN
HAM NAMAAZ ISKE JANAAZE KI JO PADH WAAENGE
TUM BHI JANA KE RASOOLAAN-E SALAF JAAENGE

SAAKIN-E ARSH-E BARIN KARNE LAGE NAAL -O AAH


SHAAH TAKBEER YAHAAN KAH CHUKE ALLAH ALLAH
AUR IQAAMATH ME HUWE SARF SHAH-E AALIJAAH
JAANE WAAHID PA GIRE AANKE LAAKHOUN BAD KHWAAH
SOORAHE HAMD NABI ZAADA PADHA CHAAHTHA THA
SHIMR QANJAR LIYE SEENE PA CHADHA JATA THA

NEEM BISMIL NE ZABAAN SE JO KAHA BISMILLAH


NEZAA MAARA ABU AYYUB NE LAB PAR NAAGAAH
DAR SE SAIDAANIYAAN CHILLAI KE INNALILLAH
HAAE YE ZULM NAMAAZI PA AYAAZAN BILLAH
WAAJIBUL QATL KO HAI AAB-O- GHIZA KI MOHLATH
JAAN-E ZEHRA KO NADI FARZ-E QUDA KI MOHLATH

ZEENATH-E- ARSH-E BAREEN QHAAK PA UFTAADAH HAI


NA BICHONA HAI NA MASNAD HAI NA SAJJADAH HAI
SHIMR QANJAR LIYE BAALIN PA ISTAADAH HAI
KOI ITNA NAHI KAHTHA KE NABI ZAADA HAI
QASD SAJDE KA IDHAR QIBLA-E DEEN KARTA HAI
NIYYATH-E ZIBHA IDHAR SHIMR-E LAEEN KARTA HAI

QANJAR-E ZULM KO CHAMKA KE PUKAARA DUSHMAN


BOSAGAAH-E NABAWI KAATOON MAI AB YA GARDAN
BOLE SHAH JIS ME TOO RAAZI HO NAHI JAAE SUQAN
HALQ YE HALQ-E NABI HAI YE BADAN UNKA BADAN
DEKH SAR NANGE HAREK HOOR-E JINAAN AATHI HAI
ABHI TOO ZIBHA NA KARNA MERI MAA AATHI HAI

NAA-GAH AAI YE AWAAZ KE AMMA SADQE


MERE MAA BAAP FIDA MAI TERE QURBAAN SADQE
KOUN KOUN AAJ HUWA TUJH PA MERI JAAN SADQE
SHER KITNE HUWE KITNE HUWE NAADAN SADQE
QATL GAAH KO ABHI JANNAT SE JO MAI AATHI THI
HOOR EK NANHE SE LAASHE KO LIYE JAATHI THI

QAFELA LUTGAYA AMMA MERA LASHKAR NA RAHAA


LADD-E AMJAD KI NASHAANI ALI AKBAR NA RAHA
RAHGAYA DARD-E- KAMAR HAAE BARADAR NA RAHA
AB AQABAR AAPNE LI AANKE JAB GHAR NA RAHAA
AIK MAIN HOON SE MUJHE QATL KI MUSHTAAQI HAI
BOSAGAAH-E NABAWI KATNE KO AB BAAQI HAI

GUFTAGU MAADAR-O FARZAND ME HOTHI THI YE AAH


ROTHI THI FATEMA MUSHTAAQ-E SHAHADAT THE SHAAH
AASTEEN GHUSSE SE QAATIL NE CHADHAAI NAAGAAH
QAHAR-E JALLAD PA KI SHAAH NE HASRAT SE NIGAAH
SHIMR NE POOCHA TUMHEN UZR KOI AB TO NAHI
BOLE SHAH DEKHLE DARWAAZE PA ZAINAB TO NAHI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 78 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 79 of 137

WO PUKAARA NAZAR AATI NAHI DAR PAR ZAINAB


PEET THI PHIRTHI HAI QAIME ME KHULE SAR ZAINAB
GAR SARAACHOUN SE CHALI AAEGI BAAHAR ZAINAB
ROK SAKNE KI NAHI PAR MERA QANJAR ZAINAB
JALQ KO AAPKE BE QOUF-O QATAR KAATOONGA
AIK QANJAR SE BAHAN BHAAI KA SAR KAATOONGA

AAI ZEHRA KI SADAA SHIMR TOO NAABEENA HAI


DAR PA ZAINAB NAHI BAALIN PA MAGAR ZEHRA HAI
AYE BE RAHAM QATAA MERE PISAR KI KYA HAI
AASTHEEN ULTI HAI KYUN TEGH KO KYUN KHAINCHA HAI
KYA ISE PAALA THA MAI NE TERE QANJAR KELIYE
MERE BACH-CHE KO NAKAR ZIBHA PAYAMBAR KELIYE

JAB QAATEMA BA QAIR HUWA FOUJ -E SHAAM KA

JAB QAATEMA BA QAIR HUWA FOUJ -E SHAAM KA


KOUSAR PA QAAFILA GAYA PYAASI SIPAAH KA
GHAR LUTGAYA JANAAB-E RISALATH PANAAH KA
KHAAK UDH RAHI THI, HAAI YE THA BAARGAAH KA
BHAAI THE, NA RAFEEQ, NA WO NOOR -E AIN THE
DO BEHNEY RONE WAALI THI AUR EK HUSSAIN THE

FARMAATHE THE KE WAAH YE TAQDEER HAI AJAL


AKBAR KE BAAD KOUNSA THA ZEEST KA MAHAL
AB MUJHKO EK BARS KE BARABAR HAI AIK PAL
MOUTH AAYE AB YE HAI SHAJAR-E ZINDAGI KA PHAL
EK JAA CHURI GALE PA JO CHALTHI THO QHOOB THA
YE JAAN UNKE SAATH NIKALTHI THO KHOOB THA

HAM SAB KE BAAD QALQ SE JEENE KO RAHGAYE


SAR PEETNE KO ASHK BAHAANE KO RAHGAYE
US NOUJAWAAN KA DAAGH UTHAANE KO RAHGAYE
PEERI ME AAH THOK-REY KHAANE KO RAHGAYE
BETA KAHAN QABAR JO DAM -E INTEQAAL LE
ITNA NAHI KOI KE GIROON, THO SAMBHAAL LE

NAAGAAH SOO-E LAASH-E PISAR JAA PADI NAZAR


CHILAA-E DIL KO THAAM KE SULTAAN -E BAHRO BAR
SOTHE HO KYA DHARE HUWE RUQSAAR QHAAK PAR
AKBAR UTHO KE GHOUDE SE GIRTHA HAI AB PIDAR
BHOOLE PIDAR KO NEEND ME QURBAAN AAP KE
AAO NAMAAZ-E ASR PADHO SAATH BAAP KE

ABBAS-E NAMDAAR TARAAI SE UTH KE AAO


PHAT- THA HAI QHALB, JAL RAHE HAI SAB JIGAR KE GHAAO
CHIDKO MERI ZIRAA PA JO PAANI KAHIN SE PAAO
CHALTHE HUWE ADAM KE MUSAFIR SE MILTHE JAAO
GHAFLATH KI TUM KO NEED HAI SHABBIR KYA KARE
MERI TARHA KISI KO NA BEKAS QUDA KARE

CHILLAYA FOUJ KE PISAR-E SAAD-E NAABAKAAR


LO GHAIR LO HUSSAIN KO SAB MILKE AIK BAAR
PALTE PARE SAWAAROUN KE LEKAR RISAALADAAR
DO GHOWL BAANDHE AAYE KAMAANDAR DAS HAZAAR
TEER AFGHANOUN ME, TEGHOWN ME, BHALOUN ME GHIR GAYE
BEKAS HUSSAIN BARCHIYOUN WALOUN ME GHIR GAYE

SYED KE MARTABE KO NA JAANA HAZAAR HAIF


TEEROUN SE SADR-E PAAK KO CHAANA HAZAAR HAIF
SHAANE THE NAAWAKOUN KA NISHANA HAZAAR HAIF
MAZLOOM KA WO BARCHIYAAN KHANA HAZAAR HAIF
TOOTE THE SAB RASOOL KE PYAARE HUSSAIN PAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 79 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 80 of 137

KYA WAQT PADH GAYA THA TUMHAARE HUSSAIN PAR

GIRTHE HAIN AAP AUR SAMBHAALE KOI NAHI


SEENE SE KOUN TEER NIKAALE KOI NAHI
SAB MAR CHUKE HAIN CHAAHNE WAALE KOI NAHI
BEJAA PADE HAIN GODH KE PAALE KOI NAHI
BEDAS HAIN AAP ZOUR SIPAAH -E ADOO KA HAI
MU JIS KA DEKHTHE HAIN WO PYAASA LAHOO KA HAI

FIZZA NE JAAKE QAIME ME BEWOUN KO DI QABAR


HAE HAE MERE QUZAADE KA KAT-THA HAI TAN SE SAR
BISTAR SE UTH KE GIRPADE SAJJAD-E- NOUHAGAR
QAIME SE NIKLI BIBIYAAN BACHOUN KO CHO -DDH KAR
HILTA THA ARSH HAZRATH-E ZAINAB KE BAIN SE
GIR GIR KE DOUDHTHI THI MILNE HUSSAIN SE

CHILLATHI THI ARE MERA BHAAI HAI KISTARAF


LOOTI HUWI ALI KI KAMAAI HAI KIS TARAF
DARYA KIDHAR HAI KHOON KA TARAAI HAI KISTARAF
SONEY KI JAAH HUSSAIN NE PAAI HAI KISTARAF
RASTHA DE AYE ZAMEEN KE FALAK KI SATHAAI HOON
MAI APNE PYAARE BHAAI SE MILNE KO AAI HOON

MAI SYEDA HOON RAHAM KARO LAASH KO BATAAO


AYE AHL-E QIRYA BINT-E ALI KI MADAD KO AAO
DUNA ME KHUSH TUM RAHO UQBA ME CHAIN PAAO
SYED KIDHAR HAI KHOON ME GHALTAAN BATAAE JAAO
YAAN LUT GAYE FALAK NE YE DUKH HAM PA DAALE HAIN
AYE BHAAIYO MADINE KE HAM RAHNE WAALE HAIN

SHAH KE KARAAHNE KI JO AANE LAGI SADAA


DOWDHI UDHAR NABI KI NAWAASI BARAHNA PAA
DEKHA BAHAN NE KAT- THE HUWE BHAAI KA GALA
AANKHOUN PA HAATH RAKH KE GIRI BINT -E MURTUZA
GHAM SE KALEJA PHAT GAYA ZEHRA KI JAAI KA
UTTHI THO DEKHA NEZA PESAR APNE BHAAI KA

JAB RAN ME SIBT-E AHMED-E MUQTAAR GHIR GAYA

JAB RAN ME SIBT-E AHMED-E MUQTAAR GHIR GAYA


SYED GHAREEB BEKAS-O BE YAAR GHIR GAYA
AHL-E HARAM KA QAFELA SALAAR GHIR GAYA
LASHKAR TAMAAM HOGAYA SARDAAR GHIR GAYA
GHUL THA AMAAN DO NA SHAH-E MASHRAQAIN KO
NOKOUN SE BARCHIYOUN KI GIRAADO HUSSAIN KO

JIS ROZ THA YE HASHR, YE MAATAM, YE SHOUR-O SHAR


AA PAHONCHA EK MUSAAFER -E GHURBATH ZADAH UDHAR
NIKLA THA GHAR SE SHOUQ -E NAJAF ME WO QUSH SIYAR
CHODHE HUWE WATAN USE GUZRA THA SAAL BHAR
BE QAANAMA KO ISHQ QUDA KE WALI KA THA
MUSHTAAQ WO ZIYAARATH-E QABRE ALI KA THA

PAHONCHA JO KARBALA ME THO DEKHA YE USNE HAAL


TANHA KHADA HAI AIK MUSAAFER LAHOO ME LAAL
FOUJ-E SITAM KI GIRD THI AAMADAH -E QATAAL
CHALTHE HAIN TEER PAANI KA KARTHA HAI JAB SAWAAL
ABBAS KE AHL-E DARD THA BETAAB HOGAYA
PAANI KE MAANGNE PA JIGAR AAB HOGAYA

KAHNE LAGA LARAZ KE WO ZIQADI-O NAIK NAAM


ALLAH KISQADAR HAI PUR AASHOB YE MAQAAM
DARYA QUDA NE QALQ KIYA BAHR-E FAIZ-E AAM
MARTA HAI BE AJAL YE SITAM KASH YE TASHNAKAAM

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 80 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 81 of 137

INSE BASHAR DARE JINHE QOUF-E QUDAA NAHI


JALDI NIKAL CHALO YE TAHARNE KI JAA NAHI

DO CHAAR GAAM CHAL KE YE SONCHA WO NAAMWAR


MAZLOOM KI DUAA ME HAI HAR TARHA KA ASAR
WALLAH BARGAZIDA-E HAQ HAI YE QUSH SIYAR
KAR LIJE ILTEMAASE DUAA HAATH BAANDH KAR
TEGHOUN ME USKE PAAS CHALO JO QUDAA KARE
AASAAN HON MUSHKILEN JO YE BEKAS DUAA KARE

AAYA JO KAANPTHE HUWE WO SHAAH-E DEEN KE PAAS


KI ARZ ASSALAAM ALIAKA YA FALAK ASAAS
MOULA JAWAAB DEKE YE BOLE BADARD -O YAAS
AANA HUWA KIDHAR SE TERA AYE QUDAA SHINAAS
ARZ USNE KI GHULAAM-E SHAH-E ZULFEQAAR HOON
BEKAS HOON BENAWAA HOON GHAREEBUD DAYAAR HOON

DO SAAHEBOUN KE SHOUQ ME CHODHA HAI MAINE GHAR


HASRAT YE HAI NASEEB KARE YAAWARI AGAR
PAHLE THO HOON NAJAF KI ZIYAARAT SE BAHRAWAR
MANZOOR PHIR WAHAAN SE MADINE KA HAI SAFAR
PAHONCHUNGA DOULATEIN HAIN AGAR SAR-E NOWSHT ME
RASTE ME MOUT AAI THO PAHONCHA BEHIST ME

FARMAAYA AAPNE KE MADINE ME KYA HAI KAAM


ARZ USNE KI WAHI THO HAI DUNYA ME EK MAQAAM
US SARZAMEEN PA HAI MERA AAQA MERA IMAAM
BARSOUN SE JINKE ISHQ ME ROTA HOON SUBH -O SHAAM
HYDER KE JAAN-O DIL HAIN SHAH-E MASHRAQAIN HAIN
SADQE MAI US JAGAH KE WAHIN THO HU SSAIN HAIN

MERA HAI AB YE HAAL KE ZAQMOUN SE CHOOR HOON


JANGAL ME MOUT AAI HAI BASTHI SE DOOR HOON
EK QAAKSAAR BANDA-E RABB-E GHAFOOR HOON
AALAM HAI ISKI ZAAT KE MAI BE QUSOOR HOON
KAHNE ME BAAT AATHI HAI YE KUCH GILAA NAHI
DIN TEESRA HAI AAJKE PAANI MI LAA NAHI

MOULA SE HAATH JOUD KE BOLA WO DIL KABAAB


LE AAUN DOUD KAR MERE SHARBE ME HAE KUCH AAB
KIJIYE ZABAAN-E QUSHK KO TAR BAHR-E BUTURAAB
BOLE HILAA KE SAR KO SHAH-E AASMAAN JANAAB
AB INTEZAAR MOUTH KA HAI KYA JIYUNGA MAI
SAB PYASE MARGAYE HAIN NA PAANI PIYUNGA MAI

DARKAAR JO TUJHE HO WO BE BAHR KIRDAGAAR


PAIDAL AGAR HAI TOO TO YE HAAZIR HAI RAAHWAAR
NAAQA BHI LE TERA TU HAI AAQAAH WO NAAMDAAR
SAAIL KO JISNE ROTI KE OONTOUN KI DI QATAAR
BEKAS HOON GO KE AAJ PA AALI MAQAAM HOON
SHARMA NA TOO KE MAI BHI ALI KA GHULAAM HOON

ARZ USNE KI HUZOOR SE AB HAI YE ILTEJAA


KIJIYE UTHAA KE HAATH MERE HAQ ME YE DUAA
PAHONCHA DE MUJHKO QABR -E ALI PAR MERE QUDAA
MOULA NE AASMAAN KI TARAF DEKHA AUR KAHAA
JIS KO NAHI SAWAAL WO DOULAT NASEEB HO
YAARAB ISE ALI KI ZIYAARATH NASEEB HO

JISDUM NAGIN-E QAATIM-E PAIGHAMBARAAN GI RAA


JISDAM NAGIN-E KHAATIM-E PAIGHAMBARAAN GIRAA
ROUNAQ UTHI ZAMEEN SE IMAAM-E ZAMAAN GIRAA
GIRNE PA SAB GIROH LIYE BARCHIYAAN GIRAA
HAE HAE NA IN JAFAAOUN PA BHI AASMAAN GIRAA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 81 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 82 of 137

ZEHRA SE POOCHIYEH QALAQ NOOR-E AIN KA


TAPNA ZAMEEN KA AUR TADAPNA HUSSAIN KA

MUSHTAAQ-E SEIR-E ZIBHA BADE AFSARAAN -E KEEN


QAATIL KAYI KHADE HUWE AAKAR QAREEN QAREEN
KOI PUKAARA HAAN KOI BOLA ABHI NAHI
AB DEIR KYA HAI SAJDE ME RAKH LENE DO JABEEN
AWAAZ DI UMAR NE HAI GARDA N DHALI HUWI
QAATIL PUKAARA AANKH ABHI HAI KHULI HUWI

SAB THAM GAYE MAGAR NA THAMA SHIMR -E BAD SHIYUM


SAR PEETNE KI JAA HAI RAKHA IS JAGA QADAM
SEENA DABA THO AUR BHI TADPE SHAH-E UMAM
SHOUR-O FUGHAAN SUNA ISI HAALATH ME DAM BADAM
QAATIL SE POOCHA DEKH KIDHAR GHUL YE HOTA HAI
HAI HAI HUSSAIN KE KOI RAN ME ROTA HAI

WO BOLA KOI HOGA MAI DEKHOON BHALA KIDHAR


AB TEGH PAR NIGAAH HAI SHEH RAGH PA HAI NAZAR
HAAN JAB SAWAAR HONE LAGA THA MAI SEENE PAR
SAIDAANI AIK QAIME SE NIKLI THI NANGE SAR
IS DAM HAMAARI FOUJ ME TO EID HOTI HAI
MUJH KO YAQEEN HAI YE WAHI BIBI ROTI HAI

SHAH BOLE AUR KOI NAHI YE BAHEN BAHEN


AASHIQ BAHEN HUSSAIN KI TISHNA DAHAN BAHE N
BHOOLI HAMAARE PYAAR ME MAA KA CHALAN BAHEN
BALE KAHAAN KAHAAN YE MERI QASTHATHAN BAH EN
QAATIL PUKAARA AAGE BHI BAAHER YE AAI THI
SHAH BOLE JAB SINAAN YEH ALI AKBAR NE KHAAI THI

AAGE HAI WO MAQAAM KE GHASH HONGE MOMINEEN


YE SAAMNE HUSSAIN HAIN WO ZAINAB -E HAZEEN
GARDAN PA TEGH DIL ME SINAAN SEENE PAR LAEEN
ZAINAB YE HAAL DEKHTHI HAI AUR BAS NAHIN
NA MEHRUMOUN KA DHYAAN NA PARDE KA HOSH HAI
YE SAB LAHOO KA JOSH HAI ULFATH KA JOSH HAI

WO RONA BEKASI KA WO GHABRAANA YAAS KA


WO THARTHARAANA DIL KA WO UDNA HAWAAS KA
KAHNA BILAK BILAK KE YE KALMA HIRAS KA
AYE SHIMR WAASTHA ALI ASGHAR KI PYAAS KA
LILLAH TEEN ROZ KE PYAASE KO CHO-DH DE
SADQA NABI KA UNKE NAWAASE KO CHO-DH DE

THAMJAA QUDA KO MAAN HABEEB-E QUDA KO MAAN


ZEHRA KO MAAN HAZRATH-E MUSHKIL KUSHAA KO MAAN
SAUGANDH FAQR-E FAAQA-E AAL-E ABAA KO MAAN
APNI RASOOL ZAADI KI TOO ILTEJAA KO MAAN
SAARE BUZURG MARGAYE MUJH BAD NASEEB KE
MERA KOI NAHI HAI SIWA IS GHAREEB KE

AYE SHIMR PAAS BHAI KE AAUN JO TOO KAHE


ZAQMOUN SE JALTHI RETH CHUDHAOUN JO TOO KAHE
CHADAR BADAN KE NEECHE BICHAAUN JO TOO KAHE
BEKAL HAI SAR MAI AAKE UTHAUN JO TOO KAHE
PAANI TO YAAN MILEGA NA ZEHRA KI JAAI KO
AANSU CHIDAK KE HOSH MEH LAAUNGI BHAI KO

AYE SHIMR MAIN GALE SE LAGAALOON TO ZIBHA KAR


BHAI SE MILKE QAIME MEH JAALOON TO ZIBHA KAR
KUCH DARD APNE DIL KA SUNAALOON TO ZIBHA KAR
SYED KO QIBLA ROO MAIL LITAALOON TO ZIBHA KAR
PAANI TO BHOOKE PYASE KO AYE BADQISAAL DE
HAI WAQT-E ZIBHA AANKHOUN PA KAPDA TO DAAL DE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 82 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 83 of 137

AYE SHIMR TUJHKO QAALEQ -E AKBAR KA WAASTHA


AYE SHIMR TUJHKO ROOH-E PAYAMBAR KA WAASTHA
AYE SHIMR TUJHKO HYDER-E SAFDAR KA WAASTHA
AYE SHIMR TUJHKO NANHE SE ASGHAR KA WAASTHA
LILLAH KAR NA ZIBHA SHAH-E MASHRAQAIN KO
MAI BHEEK MAANGTHI HOON MUJHE DE HUSSAIN KO

YE KAHTE KAHTE SUSTH HUWI DAM ULAT GAYA


SAR PEET THI YE RAHGAI SAR SAH KA KAT GAYA
YUN LAASH PAR GIRI KE JIGAR SAB KA PHAT GAYA
BAAHEN GALE ME DAALKE LAASHA LIPAT GAYA
MAA KI TARHA THI AASHIQ -E SHAAH-E ZAMAN BAHAN
YE BHAI BHAI KAHTI THI LAASHA BAHAN BAHAN

KISKI ZABAAN SE PYAAS NE PAAI HAI AABROO

KISKI ZABAAN SE PYAAS NE PAAI HAI AABROO


KIS TASHNA LAB KE HISSE ME AAI HAI AABROO
IMAAN KISKI QAAK PA LAAI HAI AABROO
AANSU KI KISKE GHAM ME BADHAAI HAI AABROO
KIS PYASE KE QALAQ ME HAME SHOUR -O- SHAIN HAI
POOCHA JO NAAM PYAAS PUKAARI HUSSAIN HAI

NARGHA HUWA HUSSAIN PA JO FOUJ-E SHAAM KA


TEEROUN SE JISM CHIN GAYA SHAAH-E ANAAM KA
CHILLAYA NAAM LEKE LAEEN QAAS -O AAM KA
AYE MARHABA YE HAMLA KIYA TOONE KAAM KA
HAIN MERE RUSTUMOUN NA AMAAN DO HUSSAIN KO
NOKOUN PAH BARCHIYOUN KI UTHAALO HUSSAIN KO

TAAQATH HUWI JO TAAQ SHAH-E DEEN PANAAH KI


HASRATH SE SU-EY GANJ-E SHAHIDAAN NIGAAH KI
RAAKIB KO ZULJANAAH NE DEKHA AUR AAH KI
ROKAR HUSSAIN BOLE JO MARZI ILAAH KI
DARD-O ALAM KI KIS SE TALABDAAD KIJIYE
BOLA WO BEZABAAN KUCH IRSHAAD KIJIYE

SHAFQAT SE HAATH GHODE KI GARDAN ME DAAL KAR


BOLE HAME KUCH AANKHOUN SE AATHA NAHI NAZAR
GHODE TU CHAL KE GANJE SHAHIDAAN ME GHOUR KAR
AARAM KARTHE HAIN ALI AKBAR MERE KIDHAR
AYE ASP-EY BAAWAFAA MERE DILKO QARAAR DE
AASHIQ KO CHAL KE UNKE BARAABAR UTAAR DE

GHODAA QADAM QADAM SU-E MAQTAL HUWA RAWAAN


YAANI NA SHAH KE JISM KO HO SADMA-E TAKAAN
EK NOUJAWAAN KI LAASH PA TAHRA WO NAAGAHAAN
BOO SOONGH KAR HUSSAIN PUKAARE YAHI HAI HAAN
BAITHA JO ZULJANAAH KE AAP UTREY ZEEN SE
DO HAATH KAANPTHE HUWE NIKLE ZAMEEN SE

HAATHOUN KE SAATH AAI YE AAWAAZ NAAGAHAAN


HAI HAI YE GEHREY ZAQM YE GARMI YE AL AMAAN
AAKAR SAMBHAALTE NAHI ABBAS HAIN KAHAAN
AAO HAMAARI GODH ME AAO NISAAR MAAN
MAR KAR BHI HAM JUDA NAHI PYAARE KE SAATH HAIN
WAARI YE TERE PAALNE WAALI KE HAATH HAIN

UN HAATHOU KA MILA JO SAHARA HUSSAIN KO


GHODE NE BETAKAAN UTHAARA HUSSAIN KO
NAIZA SINAAN NE DOUD KE MAARA HUSSAIN KO
PHIR THO RAHA NA ZABTH KA YARA HUSSAIN KO
JALTHI ZAMEEN PA GHASH KAYI SAA-ATH PADE RAHE
JALLAD GIRD TEGHOUN KO KHAINCHE KHADE RAHE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 83 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 84 of 137

LO MOMINO LARAZTHA HAI AB DASHT-E KARBALA


LO GHASH HUWA BUTOOL KI AAGHOUSH KA P ALAA
LO SHIMR ZIBHA KARNE KO MAZLOOM KA CHALA
LO AB CHURI HAI AUR NABI ZAADE KA GALAA
BETE MUAE NA NIKLI MAGAR AB NIKAL PADI
MUH DHANPO AYE HUSSAINIYO ZAINAB NIKAL PADI

ZAQMI JO RAN ME FATEMA KA GULBADAN HUWA

ZAQMI JO RAN ME FATEMA KA GULBADAN HUWA


AUR PURZE PURZE TAN ME LIBAAS -E KOHAN HUWA
GHASH PUSHT-E- ZULJANAAH PA SHAAH-E ZAMAN HUWA
DAST-E ALAM SE CHAAK NABI KA KAFAN HUWA
ZAQMOUN KE MU SE QHOON KE DARYA UBAL PADE
SAR NANGE QABR SE SHAH-E MARDAAN NIKAL PADE

MAZLOOM KAHTHA JAATHA THA MAIN BE GUNAAH HOON


MAARO NA MUJH KO SIBT-E RISAALATH PANAAH HOON
TUM LOGOUN KA QUDA KI QASA M QAIR QWAAH HOON
IS KHOWL PAR QUDA KO MAIN RAKHTHA GAWAAH HOON
KUCH RAHAM AATHA THA NA KISI NAABAKAAR KO
SHAMSHEEREN MAARTHE THE GHAREEBUD DAYAAR KO

NEZAA LAGA JO SEENE PA THARRA KE RAH GAYE


BAITHA JO TEER MAATHE PA TEOURAA KE RAH GAYE
GIRNE LAGE TO HAATHOUN KO LATKAAKE RAH GAYE
SHUKR-E QUDA ZUBAAN SE FARMAAKE RAH GAYE
AKBAR NA THE JALUH ME NA ABBAS PAAS THE
MAZLOOM BEECH ME THA ADOO AAS PAAS THE

SEENE PA BHALA RAKH KE GIRAAYA HUSSAIN KO


JI BHAR KE ZAALIMOUN NE SATAAYA HUSSAIN KO
GIRNE PA KHAAK THODA BANAYA HUSSAIN KO
HAI ZULM KI YE HAD KE GHASH AAYA HUSSAIN KO
PAR DEKHIYO HAWAAS SHAHINSHAAH-E NAIK KE
SAJDE ME SAR JHUKAA-DIYA HAATHOUN KO TAYK KE

AAYA SARHAANE TEGH BAKAF SHIMR-E RO SIYAAH


BOLA GALA KE MAI HOON PAYAMBAR KI BOSAGAAH
DIL NE KAHA KE SEENA HAI GANJEENA-E ILAAH
BAITHA YE US JAGA KE UNHAIN JAAE SHARAH AAH
IS ZULM-E- NOU SE CHARQ-E KOHAN KAANPNE LAGA
AISA HUSSAIN TADPE KE RAN KAANPNE LAGA

PAANI WO MAANGTHE HAIN PILAATHA NAHI KOI


IS DARD KO QAYAAL ME LAATHA NAHI KOI
KYA QAHAR HAI KE PAAS BHI AATHA NAHI KOI
SEENE SE BE HAYAA KO UTHAATHA NAHI KOI
AMMA TUMHAARI PEET-THI HAI BILBILAATI HAI
WO BETE SE LIPAT THI HAIN HOOREN CHUDHAATHI HAI

AKBAR KA SADQA AAP MERE KAAM AAIYE


LOUNDI KE BAAL KHOLKE BEWA BANAAIYE
AAQIR HUWA SUHAAG MERI NATH BADHAAIYE
BHAABI HASSAN KO ROTI THI KYUNKAR BATHAAIYE
RAND SAALA MAI TALAB NAHI KARTHI JANAAB SE
MAHROOM THO NA RAKHIYE AZAA-E SAWAAB SE

ZAINAB PUKAARI AAO GALE SE LAGAALOON MAI


AAO JABEEN PA QAAK MALOON NATH BADHAAOON MAI
MAA NE DULHAN BNAAYA THA BEWA BANAAUN MAI
MAANGO DUAA ZAMEEN PHA-TE AUR SAMAAOON MAI
HAI HAI BICHAD KE GOUR KANAARE GAYE HUSSAIN

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 84 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 85 of 137

JEETI RAHI MAI RONE KO MAARE GAYE HUSSAIN

DAR HAAL HAAZRI


LIKHTHE HAIN RAAVIYAAN -E JIGAR SOUZ YE KALAAM

LIKHTHE HAIN RAAVIYAAN-E JIGAR SOUZ YE KALAAM


JAB BAAD-E ASR KAT GAYA RAN ME SAR-E IMAAM
LASHKAR SE IBN-E SAAD YE BOLA BAWAQT-E SHAAM
MANZOOR HAI HAMEN KE YAHIN AAJ HO MAQAAM
EK QAIMA ISTAADAH HUZOOR-E NIGAAH HO
SHAABAASH ISME AAL-E RASOOL-E PANAAH HO

EK QAIMA TAB ALAAHEDA RAN ME BAPAA HUWA


ISME HUWE MUQEEM ASEERAAN-E KARBALA
TAQSEEM FOUJ-E SHAAM ME HONE LAGI GHIZAA
HAR QISM KE TA AAM MOHAYYA THE JAABAJAA
ASAAESH-E TA- AAM THI HAR BAD QISAAL KO
AUR FAAQA TEESRA THA MOHAMMED KI AAL KO

BOLA YE IBN-E SAAD KE LEJAAO TUM SHATAAB


CHAALIS QAAN KHAANE KE AUR SARD JAAM -E AAB
TAB AIK AIK NE YE UMAR KO DIYA JAWAAB
KIS MU SE AAGE JAAEN HAM INSE HAEN HIJAAB
PYAAROUN KO INKE SAMNE NEZE LAGAEN HAM
AUR HAAZRI BHI UNKE LIYE LEKE JAAEN HAM

INKAAR JAB KE JAANE ME EK AIK NE KIYA


PHIR THO UMAR NE ZOUJAE HURR KO TALAB KIYA
BOLA YE KHAANA LEKE TOO AHLE HARAM ME JAA
KARNA MERI TARAF SE BAHOT UZR -O ILTEJAA
SHOUHAR TERA HAI FIDYA SHAH-E MASHRAQAIN KA
DENA TOO SHAHER BANO KO PURSAA HUSSAIN KA

ZAINAB PHIR APNE DIL KO YE DENE LAGI QABAR


IN KHAANOUN ME YAQEEN HAI SHAHIDOUN KE HONGE SAR
NAAGAAH BOLI ZOUJAE HURR PAAS AAN KAR
LOUNDI SALAAM KARTI HAI BIBI KARO NAZAR
MAI AASHIQ-E HUSSAIN KANEEZ-E BUTOOL HOON
MAI ZOUJAE HARAWAL-E SIBT-E RASOOL HOON

AAYA ZABAANE ZOUJAE HURR PAR JO HURR KA NAAM


TAAZEEM KO KHADI HUWI WO QHAHAR IMAAM
BOLI TOO HURR KI ZOUJA HAI TUJH PAR MERA SALAAM
HAQ BAQSHE HURR KO WAAH, AJAB KAR GAYA WO KAAM
PAHLE QABAR NA TOONE KI ZEHRA KI JAAI KO
SAR NANGE DAR PA AATHI TERI PAISHWAAI KO

YE KAHKE USKO APNE BARABAR BITHAALIYA


CHAADAR NA THI JO DHAANP KE MU ROI KHOOB SA
AANKHOUN PA HAATH RAKH KE LAGI RONE AUR KAHA
PURSA MAI HURR KA DETHI HOON TOO SAATH DE MERAA
WO ROKE BOLI NAAM NALO US GHULAAM KA
MAI TUMKO DENE AAI HOON PURSAA IMAAM KA

ZAINAB NE ROKE ZOUJAE HURR SE YE PHIR KAHA


BAARE TUMHAARE AANE KA YAAN KYA SABAB HUWA
KI ARZ USNE LOUNDI KI QISMATH HUWI RASAA
BHEJE HAIN IBN-E SAAD NE YE KHAAN PAR GHIZA
KAHNE USKE KHAANE SE HAMRAAH AAI HOON
MAI HAAZRI HUSSAIN KE MARNE KI LAAL HOON

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 85 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 86 of 137

SHAHZADI SAKINA A.S


KAHTHI THI RAN ME AAKE SAKINA JAWAAB DO

KAHTHI THI RAN ME AAKE SAKINA JAWAA B DOD


JAAN-E NABI-O FAATEMA ZEHRA JAWAAB DO
KYUN SORAHE HO KHAAK PA TANHA JAWAAB DO
AAL HOON TUMKO DHOONDHE IS JAA JAWAAB DO
MARTHI HOON GHAM SE MERE MASIHA JAWAAB DO
BABA JAWAAB DO MERE BABA JAWAAB DO

ZAQMI HUWE HAIN KAAN MERE CHINGAYE GOHAR


KIS SE KAHOON KE ZAQMOUN ME HAI DARD PAISHTAR
FARYAAD TUMSE KARNE MAI AAI HOON AYE PIDAR
HAI QAABIL-E MULAAHEZA HAI HAAL SAR BASAR
DEKHO YE KHOON BHARA HUWA KURTHA JAWAAB DO
BABA JAWAAB DO MERE BABA JAWAAB DO

QAIDI BANAAKE SHAAM KO LEJAATHE HAIN HAMAIN


PURSAA NAHI HAI KOI KE KUCH US SE HAM KAHAIN
FARYAAD GHAMZADOUN KI NA HAZRATH BHI GAR SUNAIN
KAB TAK IN AAFATOUN ME RAHIAN AAH KYA KAHAIN
KYA KAH RAHI HOON SYE-E WAALA JAWAAB DO
BABA JAWAAB DO MERE BABA JAWAAB DO

AYE JAANE FAATEMA WO PAYAMBAR UTHO UTHO


AYE NOOR-E AIN-E FAATHAH-E KHAEBAR UTHO UTHO
DEKHO ASEER HOGAI QWHAAHER UTHO UTHO
CHILLA RAHI HAI AAP KI DUQTAR UTHO UTHO
KYA SO RAHE HO BETI KE SHAIDA JAWAAB DO
BABA JAWAAB DO MERE BABA JAWAAB DO

BE GOUR KYUN PADE HAIN TUMHAARE RAFEEQ SAB


LAASHA YE JALTHI RETH P A MAI DEKHTHI HOON JAB
HOTA HAI MERE DIL PA DO BAALA GHAM -O TAAB
DAFNATA INKO KOI NAHI IS KA KYA SABAB
KYUN BEKAFAN HAR EK KA HAI LAASHA JAWAAB DO
BABA JAWAAB DO MERE BABA JAWAAB DO

AATHI HAI DAADI JAAN KI AAWAAZ YAAN SUNO


KIS DARD SE PUKARTHI HAIN BABA JAAN SUNO
KARTHI HAIN KAISE RANJ-O ALAM KE BAYAAN SUNO
KYA SO RAHE HO BINTE NABI KI FUGHAAN SUNO
KIS MINNATOUN SE KAHTHI HAI ZEHRA JAWAAB DO
BABA JAWAAB DO MERE BABA JAWAAB DO

POOCHE JO MUJH SE HAAL TUMHAARA BAYAAN KAROON


PYAASE SHAHEED HOGAYE BABA BAYAAN KAROON
AKBAR KA MAI NE DEKHA NA LAASHA BAYAAN KAROON
ASGHAR KA SAR BHI NEZE PA DEKHA BAYAAN KAROON
KYA KAH KE USKO DOON MAIN DILAASA JAWAAB DO
BABA JAWAAB DO MERE BABA JAWAAB DO

ROTE THE AAP MAIN JO KABHI KARTHI THI FUGHAAN


SAMJHA KE LEKE GODH ME KARTHE THE YUN BAYAAN
QURBAAN TERE AANKHOUN KE AANSU NA KAR RAWAAN
AB MERA RONA AUR YE GHAM KHAANA BABA JAAN
KYUN AAPKO HUWA HAI GAWAARA JAWAAB DO
BABA JAWAAB DO MERE BABA JAWAAB DO

JAB DAAGHE BEKASI NA SAKINA UTHAA SAKI

JAB DAAGHE BEKASI NA SAKINA UTHAA SAKI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 86 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 87 of 137

AUR DARD-E DIL NA QAUF KE MAARE SUNAA SAKI


KHAAE TAMAACHE SHIMR KE JAB TAK KE KHAA SAKI
SIN KAM THA DUKH BAHUTH THE NA BARDAASHTH LAA SAKI
ROI TOU ZALIMOUN NE JAFAA BESHUMAAR KI
AAQIR YE JABR DEKH KE MOUTH IQTIYAAR KI

GAR RAAH KI TO SHIMR PUKAARA QAMOUSH HO


AUR CHUP HUWI TO BEPIDARI NE KAHA KE RO
GAH SHIDDAT-E ATASH SE PUKAARI KE PAANI DO
GAH YAAD KARKE RAH GAYI BABA KI PYAAS KO
SOI JO AANSU PONCH KE CHASHM-E PUR AAB SE
HAE HAE HUSSAIN KAHKE PHIR UTH BAITHI QHWAAB SE

DIL ME SAMAA GAYA THA JO SHIMR-E LAEEN KA DAR


SONE ME KAANP KAANP YE KAHTHI THI RAAT BHAR
FARYAAD CHEENTHA HAI GOHAR SHIMR -E BAD GUHAR
AATA HAI IBN-E SAAD CHUPOON JAAKE MAI KIDHAR
ZAINAB PHUPI SAMBHAALO KALEJA DHADAKTA HAI
SAJJAD BHAAI DEKHO YE QOOLI GHURAKTHA HAI

JAB PYAAS LAGTHI ROKE CHACHA KO PUKAARTHI


DUKHTE JO KAAN SHAAH-E HUDA KO PUKAARTHI
AATHA NA JAB KOI THO KHUDA KO PUKAARTHI
JEENE SE TANG HOKE QHAZAA KO PUKAARTHI
KAHTHI THI NE CHACHA NA IMAAM -E UMAM RAHE
RULWAANE KO ADDO RAHE RONE KO HAM RAHE

AB KYA LUTOONGI MAAL NAHI ZAR NAHI RAHA


AKBAR NAHI RAJA ALI ASGHAR NAHI RAHA
RAHNE KO QAID QAANA MILA GHAR NAHI RAHA
HAATHOUN ME REESMA BANDHI ZEWAR NAHI RAHA
DOULAT HAI KOUNSI JISE ZINDAAN ME KHOUNGI
RONA THA JISKO RO CHUKI AB KISKO ROUNGI

KUBRA SE CHUPKE CHUPKE KABHI KARTHI TH I BAYAAN


KAL YE BACHE THO NAAM HAI WARNA HOWN BENISHAAN
WO BOLI AB RAHENGE SALAAMAT PA HAM KAHAAN
MAA NE KAHA QHUDA NA KARE AYE SAKINA JAAN
KI ARZ DEKHLOONGI JO PICHLI KO HOEGA
BABAKI RONE WALI KO SAB KUNBA ROEGA

AB MOUT MERI SAB KO MUBARAK KARE QUDA


MARTE HI MERE QAID SE SAB KUNBA HO REHAA
JAATA RAHE BUQAAR BARADAR KA BEDAWAA
JANNAT KO HAM RAWAAN HON MADINE KO AQROBAA
GHUL HO SAKINA LEKE BALA SAB KI MARGAYI
HYDER KI POTHI MUSHKILEN AASAN KAR GAYI

ZINDAAN ME MUQAYAAD HUWE JIS DAM HARAM -E SHAAH

ZINDAAN ME MUQAYAAD HUWE JIS DAM HARAM -E SHAAH


AMBOWH-E QALAAEQ HUWA DARWAAZE PA NAAGAAH
BALWA HUWA IS DARJA KE MASDOOD HUWI RAAH
SAR SHARM SE ZANJEER PA AABID NE RAKHA AAH
THA WO ARAKH-E SHARM ASSEROUN KE NA TAN ME
ROTHA THA HAREK UZU GHAM-E SHAH-E ZAMAN ME

MASHGOOL JO THE KHEL ME ATFAAL WO SAARE


KARTHI THI SAKINA WAHAAN HASRATH SE NAZAARE
KAHTHI THI KE KYA HOGAYE HAMJOLI HAMAARE
BABA ALI ASGHAR KO KAHAAN LEKE SIDHAARE
SAB BACH-CHE YAHAAN KEHLTHE HAIN KHANDA ZINAAN HAIN
MAIN KHELTHI THI JINSE WO ATFAAL KAHAAN HAIN

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 87 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 88 of 137

NAGAAH NAMUDAAR HUWI SHAAM -E GHARIBAAN


AAYA GHAZAB AALOOD WAHAAN SHIMR-E BAD EIMAAN
EK EK SE MUQAATIB HUWA WO DUSHMAN-E YAZDAAN
AB JAAO KE HOTHA HAI MUQAFFIL DAR-E ZINDAAN
HOEGI REHAAI NA KABHI AAL-E ABAA KI
KAL DEKHIYO PHIR SAIR ASEERAAN-E BALAA KI

YE SUNKE PARISHAAN HUWA ANBOW WO SAARA


GUM HOGAYA EK SHAQS KA FARZAND QAZAARA
CHILLAYA PIDAR USKA RAHA DIL PA NA YAARA
FARZAND BHI BABA BHI ISE KAH KE PUKAARA
WO TIFL LIPATNE JO LAGA AAKE PIDAR SE
PAIDA HUWI EK AAH SAKINA KE JIGAR SE

BHAR BHAR KE DAM-E SARD YE KI BANO NE GUFTAAR


IS BACH-CHE KO DEKHO KE KYA QUSH HAI YE DILDAAR
KYA NAAM-E PIDAR PYAAR SE LETA HAI HAR BAAR
EK HAM HAIN KE HAIN BAAP KI FURQAT ME GIRAFTAAR
DIL ME JO MERE DARD HAI QAALEQ PA AYAAN HAI
MAI KISKO KAHUN BAAP MERA BAAP KAHAAN HAI

BABA MERE HOTE TO UNHAIN KAHTHI MAI BABA


AB BAAP KAHAAN JISKO KAHOON BAAP MAI DUKHYA
YUN KOI PIDAR BETI SE GHAAFIL NAHI HOTA
HAIRAAN HOON BABA KE WO ASHFAAQ HUWE KYA
AADA NE HAME QAID KIYA SHAAM ME LAAKAR
BABA MERE KYUN MUJH KO NAHI DHONDHTHE AAKA R

YE KAHKE SAKINA PA JO RIQQAT HUWI TAARI


BAS HAAE PIDAR KAHKE KAI BAAR PUKAARI
TADPI JO ZAMEEN PAR THO ZAMEEN HILGAYI SAARI
JHUNJLAAKE KAHA SHIMR NE PHIR KARTHI HO ZAARI
AB KHOOB RULAAUNGA TUJHE MAIN NA DAROONGA
RAH TUJH KO ASEEROUN SE JUDAA QAID KAROO NGA

PHIR SHIMR NE BAAZUE SAKINA KO JO PAKDAA


KUNBE KI TARAF USNE AJAB YAAS SE DEKHA
SAB QAIDYOUN ME AIK QAYAAMAT HUWI BARPAA
SAJJAD KE QADMOUN PA MACHAL KAR GIRI DUKHIYA
YOUN LIPTI THI BHAAI SE WO IS QOUF -O QATAR ME
EK HAATH THO GARDAN ME THAT EK HAATH KAMAR ME

MUH DEKH KE SAJJAD KA KAHTHI THI WO DAR KAR


AB AAP MERE RONE KE ZAAMIN HO BARADAR
GAR TUM SE CHUTI ZEEST MERI HOEGI KYUN KAR
AB ROUNOON THO JO CHAAHE KARE SHIMR -E SITAMGAR
BHAYYA MUJHE TU SHIMR SE ISWAQT BACHAALE
AB ROUOON THO KAR DIJIYO ZAALIM KE HAWAALE

AB ROI SO MAI ROI NA PHIR ROUNGI ZINHAAR


AB ROUN AGAR BAAP KO APNE TO GUNAHGAAR
FARMAAO KE AB CHOWDH DE MUJH KE YE JAFAAKAAR
BAAZU MERA DUKHNE LAGA AYE AABID -E BEEMAAR
KIS TARHA JUDA KUNBE SE HOWEGI SAKINA
TUM KAHDO QASAM KHAAKE NA ROYEGI SAKINA

YE KAHTHI THI KHAINCHA JO SITAMGAR NE QAZAARA


KURTA TO PHATA THA WO PHATA AUR BHI SAARA
TAB AABID-E BEEMAR NE ROKAR YE PUKAARA
AYE SHIMR YE BIN BAAP KI BACH -CHI HAI QUDAARA
GHAAFIL TERI DAHSHAT SE NA HOWEGI SAKINA
AB AISI DARI HAI KE NA ROYEGI SAKI NA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 88 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 89 of 137

ROKAR KAHAA YEH MAA NEY KAY DILBAR JAWAAB DO

ROKAR KAHAA YEH MAA NEY KAY DILBAR JAWAAB DO


KHAMOSH KYUN HO BEHRAY PAYAMBAR JAWAAB DO
ZINDAAN MEY KAISA HOGAYA MEHSHAR JAWAAB DO
QURBAAN JAAOON AYE MERI DUKHTAR JAWAAB DO
MAADAR KI JAAN KUNBEY KI PYAARI JAWAAB DO
BIBI JAWAAB DO MERI BIBI JAWAAB DO

ZEHRA KA WAASTA PAEY HYDER JAWAAB DO


SHABBIR KA WASTAA PAEY SARWAR JAWAAB DO
QASIM KA WASTAA PAEY AKBAR JAWAAB DO
MUSLIM KA WASTAA PAEY ASGHAR JAWAAB DO
MAADAR KI JAAN KUNBEY KI PYAARI JAWAAB DO
BIBI JAWAAB DO MERI BIBI JAWAAB DO

ABBAS KI QASAM PAEY JAFFAR JAWAB DO


DAR PAR KHADEY HAIN HUR -E DILAAWAR JAWAAB DO
HAI INKAY SAATH IBNEY MAZAAHER JAWAAB DO
KYA BOLEY INSEY AAP KI MAADAR JAWAAB DO
MAADAR KI JAAN KUNBEY KI PYAARI JAWAAB DO
BIBI JAWAAB DO MERI BIBI JAWAAB DO

AMMU TUMHAAREY PAANI BHI HUMRAAH LAAYE HAIN


CHOTI SI MASHK KHAANDEY PEY LATTKAAYE AAYE HAIN
PAANI KAY WAASTEY WOH LAHU MEY NAHAAYE HAIN
KYA KYA TUMHAAREY WASTEY SADHMEY UTTHAAYE HAIN
MAADAR KI JAAN KUNBEY KI PYAARI JAWAAB DO
BIBI JAWAAB DO MERI BIBI JAWAAB DO

KAB SEY UTTHAATEY HAIN TUMHEIN BIBI UTTHO UTTHO


BEKAS YATEEM SHAH KI PYAARI UTTHO UTTHO
TUM KO SATAAENGAY NA YEH NAARI UTTHO UTTHO
LO AAGAYI TUMHAARI SAWAARI UTTHO UTTHO
MAADAR KI JAAN KUNBEY KI PYAARI JAWAAB DO
BIBI JAWAAB DO MERI BIBI JAWAAB DO

RUTTHI HO BIBI KIS LIYE BOLO PAEY KHUDA


AANKHEIN ZARA SI KHOL DO TUM PAR SEY MY FIDAA
UTT BEHTTO AB TOH JALDI SEY AYE JAAN -E MURTUZA
CHAEN AAYE MUJH GHAREEB KO BEKAS HOON GHAMZADAA
MAADAR KI JAAN KUNBEY KI PYAARI JAWAAB DO
BIBI JAWAAB DO MERI BIBI JAWAAB DO

KIS SEY MY PUCHOON KAUN BATAAENGAY AB YAHAAN


BIBI KO MERI AA RAHI HAIN HAAYE HICHKIYAAN
TEYWAR BADAL GAYE HAIN PHIRAATI HAI PUTLIYAAN
JUNGLE MEY AAKAY LUTT GAYI YEH BADH NASEEB MAA’N
MAADAR KI JAAN KUNBEY KI PYAARI JAWAAB DO
BIBI JAWAAB DO MERI BIBI JAWAAB DO

SOOJEY HUVEY HAIN BIBI KAY RUQSAAR NAZNEEN


ZAKHMI BADAN SEY AYNTAA HAI KURTA KAHIN KAHIN
ULJHEY HAIN SAR KAY BAAL TOH MAJROOH HAI JABEEN
GHASSAALA PUCHTI HAI KAHEY KYA YEH DIL HAZEEN
MAADAR KI JAAN KUNBEY KI PYAARI JAWAAB DO
BIBI JAWAAB DO MERI BIBI JAWAAB DO

ABID MY SADQEY HO LOON TOH TAABOOTH TUM UTTHAAO


BIBI KO MAY GALEY SEY LAGAA LOON TOH LEYKAY JAAO
INKI YEH AAKHRI HAI SAWAARI MUJHEY DIKHAAO
PHIR KIS JAGAAH MILOGI YEH PUCHOON TOH LEYKAY JAAO
MAADAR KI JAAN KUNBEY KI PYAARI JA WAAB DO
BIBI JAWAAB DO MERI BIBI JAWAAB DO

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 89 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 90 of 137

BAANU KI AAJ KIS LIYE SUNSAAN GODH HAI


BAANU KI AAJ KIS LIYE SUNSAAN GODH HA I
BACHCHI KO KYA HUVA ARAY VEERAAN GODH HAI
MAA SAR JHUKAAYE BAITHEE HAI VEERAAN GODH HAI
BAALI SAKINA MARGAYI SUNSAAN GODH HAI
NAAZOU SEY JO PALI THI SHAHEY MASHRAQAIN KI
MITTI MAY AAJ MILTHI HAI BACHCHI HUSSAIN KI

BANO KAY BAYN HAIN MERI GODH UJAD GAYEE


BAAQI THI SHEH KI EK NISHAANI KIDHAR GAYEE
YA RAB MAI KYA KAROON MERI BACHCHI BICHADD GAYEE
AMMA KO ROTHI CHODD KAY BETI KIDHAR GAYEE
AAWAAZ EK BAAR TOH MAA KO SUNAAO TUM
BANO JIYE TOH KAISE JIYE YEH BATHAAO TUM

HAI HAI JAWAAN BETAY KA SEHRA NA DEKHI MAI


ASGHAR KO HAAYE GHUTTNIYO CHALTAA NA DEKHI MAI
ARMAAN KOYI APNA NIKALTAA NA DEKHI MAI
TEREY BHI KOYI KAAJ-KO HOTA NA DEKHI MAI
WAARIS KA SAAYA UTT GAYA BETOU KO KHOYI HOON
BAAQI JO EK BACHCHI THI AAJ USPAA ROTHI HOON

THI AARZOO MY TUMKO PARWAAN CHADHAAOONGI


DULHAN BANAAKAY DHOOM SEY SHAADI RACHAAOONGI
DIL KAY TAMAAM APNEY MY ARMAAN NIKAALOONGI
YEH KYA KHABAR THI KHAAK ME TUJHKO MILAAOON GI
MAI BADHNASEEB REH GAYEE RONAY KAY WAASTHEY
TUM JAA RAHI HO QABR MEY SONAY KAY WAASTHEY

SAJJAB BOLAY SABR KARO TUM PAR MY FIDA


MAIYATH UTTHAANEY JHUK GAYA BEEMAR BEY DAWAA
MOOH RAKH KAY MOOH PA BOLA BAHEN TEREY MY FIDAA
TUJHKO MILAANEY KHAAK MY SAJJAD REHGAYA
THARRAAYE HAATH AUR MUSIBATH BAPAA HUVI
MAYYATH UTTNAA THA KAY QAYAMATH BAPAA HUVI

MAYYATH NIKAL RAHI HAI ANDHERA MAKAAN HAI


LAAYE CHARAAG KAUN PARAAYA MAKAAN HAI
KURTHA KAFAN HAI PHOOL HAI NAA SAAYEBAAN HAI
GHURBATH KI MAUTH HAI YEH YATEEMI K I SHAAN HAI
MAYYATH BAHEN KI BHAAI KAY HAATHOU PA AATHI HAI
HAI HAI SAKINA QABR MEY SONAY KO JAATI HAI

MAA SAR KO PEET KAR YEHI KEHTI HAI BAAR BAAR


AAHISTHA LEYKAR JAAE-YO BETAA TERE NISAAR
JAAKAR NA PHIR YEH AAYEGI BABA KI SOGHWAAR
JEE BHARKAY DEKH LENAY DOH PHIR MUJHKO EK BAAR
LOGO BATHAAO KAISEY MY KAFNAANEY DOON ISEY
MAA HOON MY KAISE GAADNEY LEY JAANEY DOON ISEY

BHAAI KAY HAATH ZOUF SE JAB THAR THARAATHEY HAIN


NANHI SI LAASH SEENAY SEY LIPTAAYE JAATHEY HAIN
ZANJEER JA ULAJJTHI HAI GHABRAAYE JAATH EY HAIN
SURATH BAHEN KI DEKHTAY HAIN ROTHAY JAATEY HAIN
SADHMEY BAHUT UTTHAAYI HAI BETI HUSSAIN KI
GARDHAN BHI HAI CHI-LEE HUVI IS NOOR-E AIN KI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 90 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 91 of 137

BAANO SE DAM BADAM YE SAKINA KA THA BAYAAN


BEYV O K A M ULK -E S HAAM ME Y J ISD AM G UZAR HU VA
ZAAN U P A J HUK K AY SHA RM SEY OO NC HA NA SAR HU VA
FART H -E HA YAA S EY JIS M P ASE ENA Y NE Y TA RR HUV A
HAR SOO HU JOO M DE KH K AY TUK HDE Y JI GAR HUV A
PHIR KA R T AMA AM K OOCH A -O BA AZA AR -E SHA AM MEY
SHEH ZAA DIY AAN P AH OONC H G AYE E’N D AR BAAR -E AAM ME Y

TAA DEY R K I Y AZ ZE D SE Y A BID NE Y GU FTHA GOO


ROYA A K IYE JH UK AA YE H UVE Y S AR KO S AB A DOO
MEHJ OOB HO KAY T AQ TH S EY UTT HAA S IY AAH ROO H
DAAK HIL HU VA MA HA L ME Y B ADH AT HW AA R -O THU NDH AKH OO
APNE Y G HAR OUN K O ROOS IYA A S AB SH AA DMAA N G AYE
ZIND AAN KO AH LE BA ITH - E I MAM -E ZA MA N GA YE

BAIT EY ASE ER - E ZU LM A DHE REY ME Y NA NGAY SA R


DARR DA RR KAY D EK HTHI TH I S AKI NA I DHAR UD HAR
THAY KI S Q ADA R TH AKAY HU VEY SA JJ AD -E K HUD SIY AR
GIRT HEY HI DA ST H - O PA A K I N A M UT HL AQ R AHI KH ABA R
JAAG AY THE Y R AA T BHAR JO BA HUT S US TH H OGA YE
DEEW AR PAR BU KH AA R ME Y S AR RAK H KA Y SO GAY E

BAANO SE DAM-BA DAM YE SAKINA KA THA BAYAAN


KAISA MAKAAN HAI KE HAWAA TAK NAHI JAHAAN
DEKHOONGI KIS TARHA SE BHALA SHAKL -E AASMAAN
HAE HAE ZAMEEN TAK NAZAR AATI NAHI YAHAAN
AMMA SABHOUN KI JAAN QUDA HI BACHAAEGA
SHAB KO BHI KYA CHARAAGH JALAYA NA JAAEGA

AISI HI TEERAGI HAI TOH BAS HO CHUKI HAYAATH


MAI JAANTI HOON AAJ KI SHAB KO SHAB -E WAFAATH
SOTE THE LEKE SEENE PA BABA TAMAAM RAAT
AADAT MERI BIGAAD GAYE SHAAH-E QUSH SIFAATH
JAB SHAMAA GUL HUWI HAI TO GHABRAAKE ROYE HOON
AMMA BHALA KABHI MAI ANDHERE ME SOYE HOON

MAA BETI ME YAHAAN THI GHAM ANGAIZ DAASTAAN


AAYE PAHER KE BAJNE KI AAWAAZ NAAGAHAAN
HUSHYAAR BHAAIYO YE PUKAARE NIGAAHBAAN
BHAAGE ASEER TO NA BACHEGI KISI KI JAAN
TADPE DIL AUR HABZ JO DEH CHAND HOGAYA
ZINDAAN KA DAR LAHAD KI TARHA BAND HOGAYA

CHILLAYI JALD UTT KAY SAKINA GHAZAB HUVA


MAA NEY GALEY LAGAAKAY KAHAA SHUKR KI HAI JAA
QURBAAN JAAOON DIL KO SAMBHAALO PAYEH KHUDA
DEKHO GUZAR GAYEE HAI PAHER RAAT MEY FIDAA
AB TOH BANI HUVI HAI KHUDA PAR NAZAR KARO
TAA SUBHAA JIS TARHAA SEY HO BETI BASAR KARO

TADBEEREN MAA NE KI PAYE TASKEEN AJAB AJAB


US RAAT KI TARHA SEY BADHA DAM-BA DAM TA AAB
RONE ME KATGAYI JO SAKINA KO NISF SHAB
NAACHAAR HOKE GODH ME LETI WO QUSH LAQAB
SUSTHI KAMAAL QAATIR-E NAAZUK PA CHAAGAYI
BAATEN JO MAA NE KI TO ZARAA NEEND AAGAYI

SOI THI KOI DAM KE BANDHA AANSUOUN KA TAAR


DEKHA YE QHWAAB AAYE HAIN SULTAAN-E NAAMDAAR
PHAILAAYE HAATH DHOONDTHI UTTHI WO DILFIGAAR
JHUK JHUK KE DEKHTHI THI HAREK SIMTH BAAR BAAR
KAHTI THI HAE GHAZAB KA ANDHERA ZIYAA NAHI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 91 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 92 of 137

BABA KIDHAR KHADE HAIN MUJHE SOOJHTHA NAH I

THEY SAB HARAM YATEEM KI BAATOUN PAY NOUHAGAR


ROTE THE PAASBAAN BHI MU DHAANP DHAANP KAR
NAAGAH GAYI YAZEED KO IS HAAL KI QABAR
MACHLI HUWI HAI DUQTAR-E SULTAN-E BEHROBAR
FARYAAD KAR RAHI HAI AJAB IZTERAAR HAI
BABA KO DEKHNE KELIYE BEQARAAR HAI

LEJAAO FARQ-E SHAAH YE BOLA SIYAAH ROO H


LEAR SAR-E HUSSAIN RAWAANA HUWE ADOO
THI RAAH ME CHAMAK SAR-E ANWAR KI CHAAR SOO
ZINDAAN KE PAAS JAAKE JO DI GESUOUN NE Y BOO
SAIDAANIYOUN ME HASHR HUWA SAFF ULATT GAYI
ZINDAAN KE DAR SE AAKE SAKINA LIPAT GAYI

KHUSH KHUSH KHADI HUWI THI SAKINA LAGAAE AAS


ITNE ME WAAN HUWA JO DAR AAI GULOUN KI BAAS
PHAILI ZIYAA-E HUSN-E SHAHINSHAAH-E HAQ SHINAAS
ROUSHAN HUWA MAKAAN JO MUDDAT SE THA UDAAS
DOUDEY HARAM HUSSAIN KI TASLEEM KE LIYE
SAJJAD UTH KHADE HUWE TAAZEEM KE LIYE

BAITHI ZAMEEN PA LEKE SAKINA SAR -E IMAAM


MU RAKH KE MU PA QOOB KIYA UNSE KALAAM
GHASH AAGAYA KE LAAYI QAZAA MAUTH KA PAYAAM
LIPTI SAR-E PIDAR SE KHINCHI SAB RAGAIN TAMAAM
THA MU PE MU KE ZEEST KA NAQSHAA BADAL GAYA
HICHKI BAS AIK AAI WAHIN DAM NIKAL GAYA

KURTA UTHAA KE SEENE KO DENEY LAGI HAWA


ZAINAB SE KI YE ARZ KE PADHIYE KOI DUAA
SAJJAD SE KAHAA KE IDHAR AAO MAI FIDAA
BETA BAHEN KI NABZ TO DEKHO MARZ HAE KYA
CHOUNKA RAHE HAIN SAB QABR -E DASTO PAA NAHI
GHASH ME KABHI YE HAAL KISI KA SUNAA NAHI

DEKHI JO NABZ RONE LAGE AABID-E HAZEEN


MAA NE KAHA TADAP KE MUJHE TAAB AB NAHI
JO HAAL HAI QUDA KE LIYE KAH CHUKO KAHEEN
SAJJAD SAR JHUKA KE YE BOLE KE MARGAYEEN
TAKLEEF DIJIYE NA TAN-E PAASH PAASH KO
JALDI LITAAIYE KE AZIYAAT HAI LAASH KO

SADQE GAYI HUWA IS ANDH ERE ME INTEQAAL


BETI YE DAAGH DIL SE NA JAAEGA MAAH WOH SAAL
FIZZA NE PAASBAANOU SE JAAKAR KIYA SAWAAL
DEDO KOI CHARAAGH TO AHSAAN HAI KAMAAL
HO ROUSHNI YE RASM HAI SAARE JAHAAN ME
MAYYATH PADI HUWI HAI ANDHERE MAKAAN ME

JAB MAHFIL -E YAZEED ME DAAQIL HA RAM HUWE

JAB MAHFIL-E YAZEED ME DAAQIL HARAM HUWE


GHASH AAYA HAR QADAM PA YE ZULM-O SITAM HUWE
ZAINAB PUKAARI HAADESE AISE BHI KAM HUWE
SAR KAT GAYA HUSSAIN KA SAR NANGE HAM HUWE
KYUN AASMAAN GIR NAHI PADHTHA DUHAAI HAI
ZEHRA KI BETI SAAMNE HAAKIM KE AAYI HAI

MOUJOOD ANJUMAN ME SAGHEER -O KABEER HAIN


HAAKIM KE GIRD KURSIYOUN PAR SAB AMEER HAIN
QAASAAN-E ZULJALAAL ZALEEL-O HAQEER HAIN
MUSHKIL KUSHA KE QURD-O KALAAN SAB ASEER HAIN

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 92 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 93 of 137

KEHDE KOI ALI SE YE DAARUS - SALAAM ME


ZAINAB KA DAAQELA HUWA DARBAAR-E AAM ME

AYE LOGO KARBALA SE MERE BHAAI KO BULAAO


AYE LOGO MERE GESUOUN WAALE JAWAAN KO LAAO
AYE LOGO MERA HAADESA ABBAS KO SUNAAO
AYE LOGO YAADGAAR-E HASSAN SE KAHO KE AAO
QAASIM SE HAAE KUCH NA KAMAK US GHADI HUWI
YE BAAL KHOLE KISKI DULHAN HAI KHADI HUWI

HOKAR ASEER DUQTAR-E KHAATAM JO AAYI THI


NAANA NE MERE QUDH ISEY CHAADAR UDHAAI THI
POSHAAK AMMA NE NAYI ISKO PINHAAI THI
SAB KO YE PAAS THA KEY SAQI KI WO JAAYI THI
UMMATH KO HAAE PAAS RASOOL -E QUDA NAHI
ZAINAB BARAHNA SAR HAI AUR UNKO HAYA NAHI

BABA KO MERAY POOCH TOH KAISA SAQI HAI WOH


MUSHKIL KUSHA HAI KUL KA KHUDA KA WALI HAI WOH
NAANA KO MEREY DEKHO KAY SAB KA WALI HAI WOH
BHAAI KAY SADQEY FAQR-E NABI-O ALI WOH
MERI KAHBAR ASEERI MEY LEYTHA NAHIN KOYI
KAPDAA BHI MUH CHUPAANEY KO DEYTHA NAHIN KOY I

DARBAAN MEY YAZEED KAY HARSOO THA IZDIHAAM


TEHRAA RAHEY THEY BAITH KAY MAANIND KHAAS -O AAM
BAITTA THA TAQTH-E NEHAS PAH WOH NUTHFAA-E HARAAM
EK HAATH MEY TOH SHEESHA THA EK HAATH MEY THA JAAM
BAALAA-E TAQTH SHUGHAL THA ISKO SHARAAB KA
AUR ZEIR-E TAQTH SAR THA KHALAF-E BUTURAAB KA

HAAZIR WAHAAN THA EK FARANGI BHI US GHADI


ROKAR KAHAA YAZEED SEY ISNEY KAY AYE SHAQI
TERAY MAAMLEY SEY LARAZTHA HAI MERA JI
SAR HAI TABAQ MEY JISKA YEH MUJRIM HAI KYA KOYI
HAASHA JO MEY KAHOON KAY YEH AHLEY QASOOR HAI
ZULFOUN MEY BOO-EY MASHK HAI CHEHRAY PAH NOOR HAI

TEREY MAAMLEY SEY MERA HOUSH JAATA HAI


KYA HARF-E BADH TUJHEY YEH KATTA SAR SUNAATHA HAI
JO CHOOB BAIDH ISKAY LABBOUN PAR LAGAATHA HAI
KOYI BHI HAATH MURDEY KAY SAR PAR UTTHAATHA HAI
ISKA GUNAAH TOH MUJHEY HAI RAAN KAR GAYAA
BAAQI QASAAS REHGAYA AUR SAR UTAR GAYA

JAB GAYI ITHRATH-E MAHBOOB-E QUDA ZINDAAN ME

JAB GAYI ITHRATH-E MAHBOOB-E QUDA ZINDAAN ME


BE GUNAAHOUN NE SAHI SAQT JAFAA ZINDAAN ME
NANHE BACH-CHOUN KO NA THA CHAIN ZARAA ZINDAAN ME
THA YE AALAM KE NA AATHI THI HAWA ZINDAAN ME
CHAADARAIN THI NA SAROUN PAR NA JAGA SONE KI
QAID ME QAID THI SHAHZAADIYOUN KE RONE KI

MAA SE KAHTI THE SAKINA KE MUE JAATE HAIN


TEERAGI CHAAR TARAF DEKH KE GHABRAATHE HAIN
JEE BAHALTHA NAHI, SOU SHAKI BAHLAATHE HAIN
NEEND AATHI NAHI BABA HAMEN YAAD AATHE HAIN
KAAN ME DARD HAI BAITHE HAIN ZAMEEN PAR AMMA
KIS SE KHELAIN KE NAHI ALI ASGHAR AMMA

AB THO HAI QASD KE BABA KO PUKAAROUN AMMA


IS GHADI QALQ KE AAGHA KO PUKAAROON AMMA
HASAN-O- AHMED-O- ZEHRA KO PUKAAROON AMMA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 93 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 94 of 137

AAP KAHIYE TO MAIN DADA KO PUKAAROON AMMA


HAIN BADE SAAHE-E- AIJAZ CHALE AAENGA
QAID SE AAL-E- PAYAMBAR KO CHUDHA LAAENGE

ROEAN SAIDAANIYAAN SAJJAD-E- HAZEEN GHABRAAYE


BEDIYAAN THAAME HUWE ASHK BAHAATHE AAYE
JALD TASHREEF SAKINA KE SARHAANE LAAYE
USKA MU DEKH KE SAB UZU-E- BADAN THARRAYE
SADMAE FURQATE MAHBOOSE RASAN SE ROYE
NAZA ME QOOB GALE MILKE BAHAN SE ROYE

USNE AAHISTA KAHAA HAM HAIN MUSAAFIR BHAAI


SADMA-E- QAID NE MAARA HAMAIN AAQAIR BHAAI
BAQSH DO JURM-O- QATAA SAABER-O- SHAAKER BHAAI
MOUTH SAR PAR HAI QUDA HAAFIZ-O- NASIR BHAAI
SAAMAE HAAKIM-E- AZLAM NA BULAAE TUMKO
HAM CHALE QAID SE ALLAH CHUDHAAE TUMKO

HAASIL AYE BHAAI BADI AAJ TAMANNA HOGII


QULD ME HAZRATHE SHABBIR KI SHAIDA HOGI
JIS JAGA BAAP HAI BETI KI WOHI JAA HOGI
PAR YE GHAM HAI KE TUMHEN DAFAN ME EIZAA HOGI
NAA YAHAAN DAFN-O- KAFAN KA KOI SAMAAN KARNA
ISI KURTHE SE MUJHE QAAK ME PINHAAN KARNA

PHUPI AMMA KO BAHOT RANJ NA KHAANE DENA


ASHK HAR WAQT NA AMMA KO BAHAANE DENA
SHIMR KO MERI LAHAD PAR BHI NA AANE DENA
LAAE WO DAFN KAA SAAMAN TO NA LAANE DENA
ZULM SE DILBAR-E- ZEHRA KA GALA KAATA HAI
KUCH AJAB ZULM SE BABA KA GALA KAATA HAI

CHUP HOWIN HAAE PIDAR KAHKE SAKINA ZEEJAAH


MURDANI CHAA GAYI US CHAAND SE MU PAR NAAGAAH
SHOUR THA GULSHAN-E- FAANI SE CHALI DUQTAR -E- SHAAH
HICHKI BETI NE JO LI MAA NE KAHA BISMILLAH
ROYE SAR PEET KE NAACHAAR-O- PARISHAAN ZAINAB
KHAAK PE BAITH KE PADHNE LAGI QURAAN ZAINAB

IMAME ZAINUL ABEDIN A.S


SHAHEED SE KOYI SHAMSHEER KA MAZAA POOCHE

SHAHEED SE KOYI SHAMSHEER KA MAZAA POOCHE


MAREEZ SE KOI AKSEER KA MAZAA POOCHE
ASEER SE KOI ZANJEER KA MAZAA POOCHE
YATEEM SE KOI DILGEER KA MAZAA POOCHE
HAR EK PA GUZRA ZAMANE ME RANJ-O- GHAM HAE HAE
SAHAA NA AABID-E- BEEMAR SA ALAM HAE HAE

SHAHEED HOTE HUWE BAAP KO PISAR DEKHE


ANI PA NAIZE KI HAE HAE SAR-E- PIDAR DEKHE
JAWAAN BHAAI KA NIKLA HUWA JIGAR DEKHE
PHUPI KO AANKHOUN SE BALWE ME NANGE SAR DEKHE
KISI NABI PE NA ISTARHA KE ALAM GUZRE
JO IS MAREEZ PA HAR TARHA KE SITAM GUZRE

SHADEED TIP ME WO KAANTOUN PA CHALNA AABID KAA


PAHAN KE BEDIYAAN HAR EK QADAM PA GIR PADNAA
WO ZULM-O- JOUR-E- SITAMGAR HARAM KA SHOUR -E- BUKAA
WO JISM -E- ;AAGJARE AABDO WP DHOOP WO DURRA
SIWAAYE SHUKRE QUDA KUCH NA KAHTHE THE SAJJAD
DUAA-E- UMMATH-E- AASI ME RAHTHE THE SAJJAD

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 94 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 95 of 137

PHIRAAYA KAANTOUN PA SAJJAD KO BARAHNAA PAA


NABI KE KUNBE KO BALWE ME LEGAYE AADAA
JALAAYA QAIMA-E- NAAMOOSE SYED-E- WAALA
PHIRAAKE BALWE ME ZINDAAN ME QAID KARDAALA
TAMAASHA DEKHNE SAB AHLE SHAAM AATHE THE
HAYAA SE AHLE HARAM GARDAN -E JHUKAATHE THE

SITAM KE BAAD HUWA QAID SE JO CHUTKAARA


LAEEN SE BAAP KA SAR IS YATEEM NA MAANGA
SARE HUSSAIN QAZAANE SE HIND NE BHEJA
SAWAAR OONTOUN PA KUNBA HUWA PAYAMBAR KA
LAHAD ME LAASH GHARIBOUN KI HAAE DHAME CHALE
MAH-E- BUTOOL KO PALVAND-E- KHAAK KARNE CHALE

JO PAHONCHE KARB-O- BALA AABIDE ASEERE BALAA


PIDAR KO DEKE KAFAN KHAAK ME RAKHA LAASHA
LIPAT KE QABR SE CHILLAAE YUN KE AYE BABA
WATAN KO JAATHA HOONN LO AAQRI MERA MUJRAA
WATAN SE AAYA THA KIS SHAAN SE YAHAAN HAE HAE
LUTAA KE GHAR KO MAI JAATA HOON NEEM JAAN HAE HAE

LIKHA HAI YUN KE WATAN AAYE JAB SHAH -E-WAALA


PIDAR KI YAAD ME HAR WAQT KARTHE THE NAALA
NAZAR JO AATHA THA PAANI THO ROTE THE MOULA
HAMESHA AANKHOU ME PHIRTHA THA DASHT -E- KARB-O- BALA
PIDAR KE BAAD BHI RAAHAT MILI NA AABID KO
DO BAARA QAID KIYA IS GHAREEB ZAAHED KO

WATAN SE LEGAYE PHIR QAID KARKE BA ANIYE SHAR


HUWI BHATIJE KE HAMRAAH ZAINAB-E- MUZTAR
QAREEB SHAAM JO PAHONCHAA WO DONO NOUHA GAR
LAGAAYA BELCHA ZAINAB KI PUSHT KE OOPAR
SAFAR ME ZAINAB-E- BEKAS SE CHUT GAYE SAJJAD
DAYAAR-E- SHAAM ME PHIR AAKE LUT GAYE SAJJAD

PHUPI KO SOUNP KE JANGAL ME SYED-E- WAALA


MADINE ME HUWA DAAQIL WO BEKAS-O- TANHA
WALEED-E- SHAAM KE HAAKIM NE ZAHER BHIJWAAYA
WO SAM KE KHAATE HI AABID NE KI JAHAAN SE QAZAA
FALAK PA HOOR-O- MALAK ARSH KO HILAANE LAGE
ZAMEEN PA JINN-O- BASHAR SAR PA QAAK UDAANE LAGE

MOHIBBO DAAGHE ALAM DIL PA DHAR GAYE SAJJAD


JO KHAYA ZAHER TO SAD HALF MARGAYE SAJJAD
NABI KI AAL KO BE AAS KARGAYE SAJJAD
YATEEM HOGAYE BAAQER GUZAR GAYE SAJJAD
SAR APNA PEET THE MARQAD SE MUSTAFA NIKLE
KALEJA THAAMKE KYUN KAR NA FAATEMA NIKLE

CHARAAGHE DEEN-E- NABI AAJ BUJH GAYA YAA RAB


NISHAAN-E- PANJETAN-E- PAAK MITGAYA YAA RAB
UTHAA JAHAAN SE SARTAAJ AB MERA YAA RAB
QITAAB BEWA-E- AABID MUJHE MILA YAA RAB
KAROON MAI KYA MERI QISMATH BIGADH GAYI YAA RAB
CHAMAN ME FAATEMA KE OUS PADH GAYI YAA RAB

QUDA KE ARSH KA TAARA GUZAR GAYA LOGO


GHAZAB HAI SHAAH HAMAARA GUZAR GAYA LOGO
WO BEKASOUN KA SAHAARA GUZAR GAYA LOGO
HASSAN HUSSAIN KA PYAARE GUZAR GAYA LOGO
MADINA LUT GAYA YA MUSTAFA DUHAAI HAI
NAJAF UJAD GAYA YA MURTAZA DUHAAI HAI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 95 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 96 of 137

SHAH-E WAALA NE SHAHAADAT KA SA R ANJAAM KIYAA

SHAH-E WAALA NE SHAHAADAT KA SAR ANJAAM KIYAA


SAR KATA ZULM SAHE HAQ KA MAGAR KAAM KIYAA
SABR NE AABID-E- BEEMAR KE ITNAAM KIYAA
BAAP AUR BETE NE ISLAAM KO ISLAAM KIYAA
WAADA TIFLI KA JO SHABBIR WAFAA KARTE HAIN
HAQ-E- FARZAND YE SARWAR KA ADAA KARTE HAIN

KOUN MASOOM HUWA TOUQ-O-SALAASIL ME ASER


KOUN HAI WO JISE PAHNAAI HAI DEHRI ZANJEER
TAAZIYAANOUN SE ADOO DETE THE KISKO TAAZEER
KISKE MAA BAHNOUN KI MAJME ME HUWI HAI TASHHEER
TAI KOI KAR NA SAKA JISKO WO YE MANZIL HAI
SABR NAAMOOS KE BAARE ME BAHOT MUSHKIL HAI

KARGAYE THE JO WASIYAATH SHAH -E- DEEN WAQT-E-AQEER


SABR SE KAAM LIYA KIJIYE BAADE SHABBIR
SHUKR KARNA JO PAHNAE TUMHEN BHAARI ZANJEER
BAD- DUAA DENA NAA UMMAT KO JO ZAINAB HO ASEER
TUM JO BIGDOGE TO QHAALEQ KA GHAZAB AAEGAA
KAAM JO MAINE BANAAYA HAI BIGAD JAAEGAA

DHYAAN BABA KI WASIYAATH PA JO KARTHE HAI IMAAM


UNKE QAATIL SE BHI FARMAATHE HAIN NARMI SE KALAAM
TOUQ PAHNAANE KO JO LAATHA HAI WO BAD ANJAAM
QUD BADHAA DETE HAI GARDAN KO SHAINSHAAH -E- ANAAM
YE TAHAMMUL HAI ISE SHAAN-E- WAFAA KAHTHE HAIN
KAHNE WAALE ISE TASLEEM -O- RAZAA KAHTHE HAIN

BAAP KI LAASH PA WO ZULM HUWAA KUCH NA KAHAA


CHIN GAYI SAANIYE ZEHRA KI RIDAA KUCH NA KAHAA
BAAZU NAAMOOS KA RASSI ME BANDHAA KUCH NA KAHAA
TAAZIYANOUN KI SAHI SAQT JAFAA KUCH NA KAHA A
GHAM SE MAADAR KA JIGAR SEENE ME PHAT THE DEKHA
ALI ASGHAR KA GALA QABR ME KAT THE DEKHA

SAR BARAHNA SAR-E- DARBAAR GAYE SABR KIYA


DAR BADAR KOONCHA-O- BAAZAAR GAYE SABR KIYA
QUDRATAIN RAKH KE GIRAFTAAR GAYE SABR KIYA
BE DAWA QAED ME BEEMAAR GAYE SABR KIYA
QADR BABA KI WASIYYATH KI DIKHAAI TOONE
QABR HAATHOUN SE SAKINA KI BANAAI TOONE

YAA ALI DEKHLO POUTHE KI MUSIBATH DEKHO


GHAM-O- INDOWH KI TASWEER HAI SOORATH DEKHO
SHIDDATH-E- TIP SE GHAZAB KI HAI NAQAAHAT DEKHO
TOUQ PHIR US PA GALE ME HAI QAYAAMA T DEKHO
WAQF-E- AALAAM HAIN HAZRATH KE GHARAANE WAALE
KYA SITAM SAHTHE HAI UMMATH KE BACHAANE WAALE

HAAE JEETHE HAIN TERI QABR MITAANE WAALE


QULD ME AHMED-E- MURSAL KO RULAANE WAALE
CHASHME INSAAF SE DEKHE TO ZAMAANE WAALE
KAISE HOTE HAIN MOHAMMED KE GHARAANE WAALE
ZAHER PAATHE HAIN GALA TAEGH SE KATWAATHE HAIN
QABR ME JAAKE BHI AARAAM NAHI PAATHE HAIN

QAID QAANE ME TALAATUM HAI KE HIND AATHI HAI

QAID QAANE ME TALAATUM HAI KE HIND AATHI HAI


DUQTAR-E- FAATEMA GHIRAT SE MUEE JAATHI HAI
ROOH QAALIB ME WOH ZINDAAN ME GHABRAATHI HAI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 96 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 97 of 137

BE HAWAASI SE HAR EK BAAR WOH CHILLAATHI HAI


AASMAAN DOOR ZAMIN SAQT KHIDHAR JAAUN MAIN
BIBIYO MILKE DUAA MAANGO KE MAR JAAUN MAIN

KYA KAROON KYA NA KAROON JALD BATAAO LOGO


SADQA AKBAR KA HIQAARATH SE BACHAAO LOGO
OATT KARKE HO KHADE MUJH KO CHUPAAO LOGO
YA KISI GOSHEY ME LEJAAKE BITHAAO LOGO
SAR KHULI HO KISI HUJRE ME MUJHE BAND H KARO
HIND AATHI HAI MUJHE KHAAK KA PAIWAND H KARO

IS TARHA HIND KE AANE SE NA GHABRAAUN MAIN


BINT-E- HYDER HOON NA KYUN QAID ME SHARMAAUN MAIN
KOI DEEWAAR JO SHAQ HOTO SAMAA JAAUN MAIN
SEDHE MAAJAAE KE MAQTAL KO CHALI JAAUN MAIN
KARBALA ME NA YEH ZILLAT HAI NA RUSWAAI HAI
BE RIDAA MAIN HOON TO BE GOUR MERA BHAI HAI

NAAGAHAA FIZZA NE DI AHLE- HARAM KO YE QABAR


HIND AATHI HAI BADE JAAHO- TAHAMMUL SE IDHAR
BEERAQAIN NAQRA-O- ZAR KI HAIN JULOO KE ANDAR
SAB KANEEZEN TO RIDAA ODHI HAIN WO NANGE SAR
PAR SAWAARI BAHUT AAHISTHA RAWAAN HOTHI HAI
HAR QADAM HIND TEHARR JAATHI HAI AUR ROTI HAI

KAHTHI HAI QAIDIYOUN KE SHOUR -E BUKAA NE MAARA


MUJH KO IS HAAE HUSSAINA KI SADAA NE MAARA
INKE SARDAAR KO KIS AHL -E- JAFAA NE MAARA
KYA WO SYED THA JISE AHL-E- DAGHA NE MAARA
AIK BIJLI SI KALEJE PE MERE GIRTHI HAI
NANGE SAR FAATEMA AANKHOUN KE TALE PHIRTHI HAI

HOGAYA ZIBHA KOI QHAASA -E- BAARI LOGO


INS-O- JIN HOOR-O- MALAK KARTHE HAIN ZAARI LOGO
LECHALO SOO-E- NAJAF MERI SAWAARI LOGO
HOGI MUSHKIL WAHIN AASAN HAMAARI LOGO
QAIR SE HAIN MERE AAQA TO WO SOTE HONGE
WARNA MARQADH ME ALI BETEY KO ROTHE HONGE

BAR-E- ZINDAAN PA HUWA ITNE ME AMBOUH KAMAAL


BOULE DARBAAN BADHE DOULAT-O- UMR-O- IQBAAL
QAIDIYO UTTHO ADAB SE KARO SAB ISTEQBAAL
ZAN-E- HAAKIM KA HAI ZINDAAN ME NUZOOL -O- AJLAAL
QASR-E- SHAAHI SE JO TASHREET YAHAAN LAATHI HAIN
PARWARISH KARNE KO TUM SAB KI HUZOOR AATHI HAIN

LOUNDIYAAN THIN ZAN-E- HAAKIM KAY JULOO ME JO RAWAAN


DEKHTHI KYA HAIN KE EK SHER HAI AAHAN ME NIHAAN
LAAGHAR-O- QASTA TAN-O- FAAQAKASH-O- TISHNA DAHAAN
MOOH PA SAILI KE NISHAAN PUSHT PA DURROUN KE NISHAAN
SAAQAY PA FAAQE SE ZANJEER MEY THARRATHI HAI
ISTHEQANOUN SE LARAZNE KI SADAA AATHI HAI

SAB NE MU KARKE SOO-E- HIND YE KI NOUHA GIRI


DEKHIYE SHAAM KE ZINDAAN ME CHIRAAGHE SAHARI
YAADE QAALEQ ME JO HAI QALQ SE HAI BE QABARI
KYUN MUSALSIL KIYA YE TO HAI ADAM KA SAFARI
KIS NE DAM BAND KIYA TOUQ-E- JAFAA SE ISKA
SILSILA MILTHA HAI KUCH SHAIR -E KHUDA SE ISKA

GIRD AABID KE PHIRI HIND BA HAAL -E- TAAGHEER


RAKH DIYA PAAUN PA SAR APNA HATAAKAR ZANJEER
BOLE WOH KAUN HAI BOLI KE KANEEZ -E- SHABBIR
AASALAAM AYE RASAN-O- TOUQ-O- SALAASAL KE ASEER
HAI WASIYYATH KA MAHAL MARNE PA TAYYAR HAI TOO
KUCH KAFAN KE LIYE RAKHTHA HAI KE NAADAAR HAI TOO

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 97 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 98 of 137

GHAM NA KAR GOUR-O- KAFAN MAI TUJHE DOONGI LILLAH


NANGE SAR TERE JANAAZE KE CHALOONGI HAMRAAH
MARNE WAALE TERAA KYA NAAM HAI KAB SE HAI TABAA H
BOLE MOULA ABHI CHAALEES BARAS JEENA HAI AAH
NAAM BEKAS BHI HAI QAIDI BHI HAI BEEMAAR BHI HAI
HAAL YEH HAI KE ASEER BHI HAI AAZAAR BHI HAI

HIND NE POOCHA MARAZ KYA HAI KAHA BEPIDARI


ROKE WO BOLI DAWAA KYA HAI KAHA NOUHAGIRI
GHAR KO DARYAAFT KIYA KAHNE LAGE DARBADARI
BOLI LETA HAI QABAR KOUN KAHA BE QABARI
AAH KARNEY KA SABAB POOCHA TO SHARMAANE LAGE
TAAZIYAANOUN KE NASHAAN PUSHT PA DIKHLAANE LAGE

DARBAAR
JAB LUT KE KARBALA SE ASEER -E- SITAM CHALE

JAB LUT KE KARBALA SE ASEER-E- SITAM CHALE


SAJJAD SARBARAHAN BA DARD-O- ALAM CHALE
ROTE SAROUN KO PEET THE PAABAND-E- GHAM CHALE
ZAINAB NE LAASHE SHAH SE KAHA BHAAI HAM CHALE
MARNE SE AAP KE MAI YE EIZAA UTHAATHI HOON
DARBAAR ME YAZEED KE SAR NANGE JAATHI HOON

HAE HAE MERE MUSAAFIR-E KARBOBALA HUSSAIN


HAE HAE MERE GHAREEB MERE MAHLAQAA HUSSAIN
HAE HAE TUJHE NA PAANI KA QATRAA MILA HUSSAIN
HAE HAE TAMAAM TAN TERAA TUKDE HUWAA HUSSAIN
PYAASE GALE PA QANJAR-E- BEDAAD CHAL GAYA
HAE HAE TADAP TADAPA KE TERA DAM NIKAL GAYA

LE NAINAWAA ALI KI BIZAA- ATH TUJHE MILI


AYE KARBALA QUDA KI AMAANATH TUJHE MILI
AYE QHAAK MERI MAA KI RIYAAZATH TUJHE MILI
LE AYE ZAMEEN SHAM-E- IMAAMATH TUJHE MILI
DAAMAN TERA BHARA MERI KHETHI UJAD GAYI
SARHAD PA TERE BHAAI SE ZAINAB BICHAD GAYI

YE KAHKE SAR KO PEET KE ROI WO DIL JALI


AAKAR NAJAF SE HAAI MERA DEKHO YAA ALI
GARDAN RASAN ME AAPKI BETI KI HAE BANDHI
KAHTHI YE MAARIYE SE WO BAA CHASHM -E- TAR CHALI
HAE HAE MAI KARBALAA-E- MOALLA ME LUTGAYI
PARDES ME MAI AAKE BARADAR SE CHUTGAYI

KYA LUTF ZINDAGI KA JO NAZSHA BIGAD GAYA


KYUN KAR NA TADPOON AAH BADAA PAICH PADH GAYA
IS QAAFELA KA QAAFILE WAALA BICHAD GAYA
HAE HAE HAMAARA KAISA BHARA GHAR UJAD GAYA
PARDESIYOUN NE CHAAUNI JANGAL ME CHAAI HAI
BHAAI NE MERE EK NAYI BASTHI BASAAI HAI

MEHMAAN BULAAKE HAM SE DAGHA KI LAEENOUN NE


KYA KYA NA HAM PA JOUR-O- JAFAA KI LAEENOUN NE
KUCH BHI ZARAA NA SHARM -O- HAYAA KI LAEENOUN NE
GARDAN QAFAA SE SHAH KI JUDAA KI LAEENOUN NE
QAIME JALAA KE AHL-E- SITAM SHAAD HOGAYE
HAM KARBALA ME AAN KE BARBAAD HOGAYE

BHAAI PA MERE SAAMNE NAIZE CHALAA KIYE


TAIGH-O- TABAR BADAN PA BARABAR LAGAA KIYE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 98 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 99 of 137

SHABBIR SHUKR SHUKR YE MU SE KAHAA KIYE


UTRAA NA SHIMR SEENE SE BE SAR JUDAA KIYE
ROTI RAHI MAI WO SAR-E- SHABBIR LEGAYAA
BHAAI KI MERE KHOON BHARI TASVEER LEGAYAA

FARYAAD HAM GHARIBOUN KI SUNTHA NAHI KOI


KIS SE KAHOON JO HAM PA MUSIBATH GUZAR GAYI
CHAADAR BHI MU CHUPAANE KO SAR PAR NAHI RAHI
SAR KHOLE SHAHR-E- SHAAM ME AAI MAI DIL HALI
AADA HAMEN DIKHAAKE SAR -E- SHAH RULAATHE HAIN
AB SAAMNE SHAQI KE MUJHE LEKE JAATHE HAIN

MAHSAR KI SUBHA AAJ NUMAYAAN HAI SHAAM ME

MAHSAR KI SUBHA AAJ NUMAYAAN HAI SHAAM ME


KUNBAA SHAFEE-E- HASHR KE HAI IZDEHAAM ME
SAR NANGE ROOH-E- FAATEMA HAI AHTEMAAM ME
KHAASAAN-E- ZULJALAAL HAI BALWAA -E- AAM ME
JIBREEL KI KHUZAADIYAAN TASHREEF LAAYI HAIN
MUSHKIL KUSHA KI BETIYAA’N BANDI ME AAYI HAIN

HAIN BEECH ME KHULE HUWE AAL-E- ABAA KE SAR


NAIZOUN PA UNKE GIRD HAIN GOUJ-E- QHUDA KE SAR
BACHCHOWN KE SAR, BUZURGOUN KE SAR AQROBAA KE SAR
ROTE HAIN WAARISOUN KE SAROUN KO DIKHAAKE SAR
SAR RAKH KE ZAANUOUN PA JO WAARIS KO ROTE HAIN
ZAALIM SAROUN ME NEZOUN KI NOKAIN CHUBHOTE HAIN

NEZE PA HURMULA KE CHAMAKTHA HAI EK HILAAL


BIKHRE HUWE HAIN CHAAND SE MU PAR JHANDOLE BAAL
AULAAD WAALE KAHTHE HAIN AYE RABB-E- ZULJALAAL
IS BEZUBAAN KE KHOON KA KISNE KIYA WABAAL
GARDISH ME HAAE HAAE YE KISKA SITAARA HA I
LEKAR BALAAEN KAHTHI THI BANO HAMAARA HAI

NAAGAH HUVA YAZEED KA DARWAAZA AASHKAAR


HAAZIR NAQEEBO HAAJIBO DARBAANO CHOBBDAAR
TEIGHE ALAM KIYE HUVEY JALLADH-E NAABAKAAR
MUJRAYI BEYHISAAB TAMAASHAAYI BEYSHUMAAR
AIWAAN MEY BHI RAQS KA SAAMAAN TAMAAM THA
PAR INTEZAAR-E ITHRATH-E KHAIRUL ANAAM THA

WO BOLEY SAB AIK BAAR WO AYE GUNAAHGAAR


AYE QUSOOR WAAR WO AYE GUNAAHGAAR
JALLADOO HOSHIYAAR WO AAYE GUNAAHGAAR
WO AAYE BEDAYAAR WO AYE GUNAAHGAAR
JABSE KE AASMAAN QHUDAA NE BANAAYE HAIN
AAL-E- RASOOL AAJ HI BANDI ME AAYE HAIN

ROKAA UMAR NEY BADDKAY ALAM KO SIPAAH KO


MUJRAAH PAR AA JAMAAH KAY KIYA BAARGAAH KO
AUR HANSKAY DEKHA AAL-E RISAALATH PANAAH KO
AAWAAZ DI NABEERA-E SHAIR-E ILAAH KO
HAAN HAAN MIHAAR ROKHNAA OONTOUN KA THAAMNAA
AB HAI YAZEED KAY DAR-E DOULATH KA SAAMNAA

PAHONCHE MURAAD KO SAFAR APNA TAMAAM HAI


UTHRO ASEERO UTHRA ADAB KA MUQAAM HAI
AAGE THO AASTHAANA-E- SULTAAN-E SHAAM HAI
DEKHO TO KYA JALAAL HAI KYA EHTHEMAAM HAI
ISKI VILAA ME ARSH KO HAMNE HILAA DIYA
GHAR PANJETAN KA QHAAK ME BILKUL MILAA DIYA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 99 of 137


EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 100 of 137

SUN NAA YEH THA KAY SAB KAY JIGAR PAR CHUREE CHAL I
OONTOUN SEY UTHRI BIBIYAAN KEH KEH KAY YA ALI
AANKHEIN PHIRAAKAY REHGAYEE BAANU KI LAADLI
ROOHEY HUSSAIN KO HUVI JANNATH MEY BEYKALI
TAAQATH BADHAN KI GHAT GAYEE AUR ZOUF BADD GAYA
UTHREY JO BEY SAHAAREY TOH DUM SAB KA CHADD GAYA
SEENAY MEY DAM ABHI NA SAMAAYE THEY HAI GHAZAB
JO AAYE REESMAAN LIYE HAATHOUN MEY BEYADAB
GHABRAAKAY POOCHA BEYVO NEY TAJVEEZ KYA HAI AB
BOLAA UMAR KAY MAJLIS-E HAAKIM MEY HAI TALAB
MANZOOR HAI KAY ROOHEY ALI PHIR MALOOL HO
MAJMAY MEY ROOH BAKAARIYEH ALL-E RASOOL HO

MAZLOOMIYATH SE ROKE YE MAZLOOMOUN NE KAHA


HAAKIM KI YE QUSHI HAI TO PHIR UZR HAM KO KYA
BAAZAAR ME TO PHIR CHUKE BE MAQNA-O RIDAA
AASAAN KAREGA MUSHKILE DARBAAR BHI QHUDA
HAAZIR HAIN LEY CHALO HAMEIN GUMRAAHO LEY CHALO
SAR PAR NAHI HUSSAIN JAHAAN CHAAHO LE Y CHALO

NAIZOUN PA NASB THE JO SHAHIDOUN KE SAR TAMAAM


ZAINAB NE BADH KE BHAAI KE SAR KO KIYA SALAAM
CHILLAAL KYUN ZIBH KIYA FIDA SHAAH -E- TISHNA KAAM
MARZI HAI KYA HUZOOR KI KAHTHE HAIN KYA IMAAM
DARBAAR MITGAYA TERA QHOON RAN ME BAH GAYA
MERE LIYE YAZEED KA DARBAAR RAH GAYA

PAR ITNA TAHRO WAARISOUN KE SAR SE POOCH LAIN


SHAH-E- UMAM KE FARQ-E- MUTAHHAR SE POOCH LAIN
DARBAAR JAANE KO ALI AKBAR SE POOCH LAIN
ABBAS IBN-E- HYDER-E- SAFDAR SEE POOCH LAIN
MURDA NA SAMJHO ZINDA YE HYDER KE PYAARE KAIN
MUQTAR HAM NAHI HAIN YE MAALIK HAMAARE HAIN

AAMADH HAI AHLE- BAITH-E PAYAMBAR KI SHAAM ME

AAMADH HAI AHLEBAITH-E PAYAMBAR KI SHAAM ME


GAYSU KHULE HUWE HAIN AZAA -E IMAAM ME
SAR PEET-THI HAI FAATEMA DAARUS SALAAM ME
ZAINAB YE NOUHA KARTHI HAI BALWAA-E- AAM ME
LOGO QABAR KARO MERE NANA RASOOL KO
BALWE ME SHIMR LAAYA HAI BINTE B ATOOL KO

NANA TERI NAWASI KE SAR PAR RIDA NAHI


AUR AHLE SHAAM DEKHTHE HAIN KUCH HAYAA NAHI
AABED GHARIB MARTHA HAI TAPH SE DAWAA NAHI
BEHOUSH NANHE BACHCHE HAIN AAB-O GHIZA NAHI
DIL SAB KE KAAMPTE HAIN BADAN THAR THARAATHE HAIN
AB SAAMNE YAZEED KE SAADAATH JAATHE HAIN

HAIN EK RASAN ME BAARAH GALE WAA MUSIBATHA


ROTE HAIN GODHIYOUN KE PALE WAA MUSIBATHA
BAS ME SITAMGAROUN KE CHALE WAA MUSIBATHA
KHAAKE AZAA HAIN MU PA MALEY WAA MUSIBATHA
MUSHKIL QADAM UTHAANA THA US IZDIHAAM ME
YUN ITHRATHE NABI GAYI BALWAA -E AAM ME

ZAINAB TADAPKE OONTT PA KARTHI THI YE BAYAAN


DARBAAR ME TALAB HUWE SAADAAT NAAGAHAAN
OONTOUN SE UTRI’N BIBIYAAN KAH KAH KE AL- AMAAN
PAYSHEY YAZEED LE GAYA ZAALIM KASHAAN KASHAAN
SAAMAAN-E- JASHN-E AAM THA DARBAAR-E- AAM THA
AUR NANGE SAR HUSSAIN KA KUNBA TAMAAM THA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 100 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 101 of 137

MUTHRIB TARAANA SANJJ THAY RAQQAAS SHAADMAAN


PADTHEY THEY TEHNIYATH KAY QASIDAY QASIDAKHAWN
HAAZIR VAKEEL-E ROME-O KHOOTHAN BAASHIKOH-O SHAAN
HAATHOUN PA NAZR FATHAA LIYE KHURD AUR KALAAN
CHILLAATHI THI BATOOL YEH ZULM-E SHADEED HAI
YA RAB TEREY HUSSAIN KAY MARNEY KI EID HAI

NAAGAAH BADH-KE SHUMR-E- LAEEN NE KIYA SALAAM


BOLA KE AYE AMEER YE SHAADI KA HAI MAQAAM
UMMEEDWAAR-E- QILLATH-O- JAAGEER HAI GHULAAM
HAAZIR HAIN SAR SHAHEEDOUN KE AUR ITHRATH-E- ANAAM
BADH KAR PUKAARA MURRAH KE APNA JIGAR HAI YE
LE HAM SHABEEH-E- QAAS PAYAMBAR KA SAR HAI YE

WALLAH ISKE RANJ-O- ALAM ME BASAD BUKAA


FARZAND-E- BUTURAAB BAHATTAR JAGA GIRAA
YE ZIKR THA KE HASHR KA SAAMAN HOGAYAA
GHARAAGAYA YAZEED KE YE KYA GHAZAB HUWA
DEKHA TO HURMULA BHI BAHUT SHAAD AATHAA HAI
SAR AIK CHOTE BACCHE KA HAATHOUN PA LAATHA HAI

HAI KHOON-E HALQ HALQ KAY OOPAR JAMAA HUWA


NANHAA SA MUH HAI PYAAS KAY MAARAY KHULAA HUVA
BAACHOU MEY DOODH DONO TARAF HAI BHARAA HUVA
SURAAQ-E TEER-E ZULM GALAY MEY PADAA HUVA
IS KHOON PAR YAZEED NEY JISDAM NIGAAHA KI
US SEY BHI ZABTH HO NA SAKAA ROKAY AAHA KI

BOLA BATHAO ISNEY BHALA KI THI KYA QATAA


TOONE ISE NASHAANA KIYA TEER-E- ZULM KA
BACHCHE PA BHI NA KHAAYA TARAS T OONE BEYHAYAA
YE NANHA SA GALA WO TERA NAAWAK-E- JAFAA
BATLA TU KIS FALAK KA YE MEHR -E MUNEER HAI
BAANU PUKAARI BADHKE YE MERAA SAGHEER HAI

HAIRAAN KHADE THE SAB HARAM-E- SHAAH-E- MASHRAQAIN


MOHR-E- SUKOOT LAB PA NA SHIKWA NA SHOUR-O- SHAIN
ZAINAB NE DEKHA TAQT PA NAAGAAH SAR-E- HUSSAIN
BE SAAQTHA TADAP KE YA KARNE LAGI WOH BAYN
HAI HAI NA MAUTH AAI MUJHE RAAH-E- SHAAM ME
BHAYYA MERA SALAAM LO DARBAAR -E- AAM ME

AHLEY HARAM PEY AAJ QAYAMAT KI RAAT HAI


AHLEY HARAM PEY AAJ QAYAMAT KI RAAT HAI
JUNGLE DAROUNA HAY YEH WEHSHAT KI RAAT HAI
HAI HAI YATEEM ROTAY HAIN GHURBATH KI RAAT HAI
SAR PAR NAHIN HUSSAIN YEH FURQATH KI RAAT HAI
KHAIME JALEY PADEIN HAIN SHAHEY MASHRAQAIN KAY
MITTI PEY AAJ SOTHEY HAIN BACHCHEY HUSSAIN KAY

WOH RAAT ANDHERI AUR WOH MAIDAAN -E KARBALA


LAASHEY PADEY HAIN RETHI PEY JINKAY HAIN SAR JUDAA
GHURBATH YEH KEH RAHI HAI KAY IN PAR HUVI JAFAA
CHAADAR UDAAEY KAUN HARAM SAB HAIN BEYRIDAA
SAR DEKAY RAAH-E HAQ MEY YUNJI NAAM KARTEY HAIN
DIN BHAR KAY HAIN THAKEY HUVEY AARAAM KARTEY HAIN

SHAAM-E GHAREEBAN KARTI HAI ZAINAB AJAB FUGAAN


NAALON SEY HIL RAHEY HAIN ZAMEEN AUR ASMAAN
HAI HAI HUSSAIN KEHKAY JO ROTI HAI NEEMJAAN
RUN MEY WAHAAN TADAPTI HAI LAASH -E SHAHEY ZAMAAN
AAWAAZ AQA RAHI HAI BAHEN MY TERAY NISAAR
AEY GHAMGUSAAR MERE YATEEMOU SEY HOSHIYAAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 101 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 102 of 137

ZAINAB KA SABR DEKH KAY HOTHA HAI DIL FIGAAR


BACHON KO BIBIYON KO JAMAA KAR KAY SOGWAAR
TASKEEN DILAASA DEYTI HAI BHAAI KI GHAMGUSAAR
LEKIN SAKINA PUCHTI HAI ROKAY BAAR BAAR
BABA KAB AAYEINGAY PHUPI BABA KAB AAYEINGAY
SEENAY PEY APNEY WOH MUJHEY PHIR KAB SULAAENGAY

ZAINAB NEY PYAAR KAR KAY YATEEM-E HUSSAIN KO


GOUDH MEY APNI LEY LIYA IS NOOR-E AIN KO
BIBI ZARAA TOH KIJIYO KAM SHOR-O SHAIN KO
KAL SUBHA DEKH LO GI SHAHEY MASHRAQAIN KO
BEHLAAYI YOON PHUPI KAY WOH KHAMOOSH HOGAYI
GURBAT SEY MAA KAY ZAANU PEY SAR RAKH KAY SOGAYI

GUZRI HAI AADHI RAAT FALAK BHI HAI NAUHAGAR


GIRTEY HAIN TAAREY TOOT KAY MAANIND -E ASHK-E TARR
AUR CHUPKAY CHUPKAY ROTI HAI EK BIBI NANGEY SAR
HAI CHOB-E KHAIMAA HAATH MEY BAANDHI HUVI KAMAR
KAATI HAI RAAT ANKHON MEY ZEHRA KI GUL-E ZAAR
MASROOF HAI TALAAYA MEY BHAAI KI SOGWAAR

AWAAZ AAYI GHODOUN KAY TAAPOUN KI NAAGAHAAN


DEKHA SAWAAR AATA HAI IS SIMTH BEY TAKAAN
BADDKAR PUKAARI KAUN HAI KYA KAAM HAI YAHAAN
WAARIS HUMAAREY QATL HUVEY LUTT GAYA MAKAAN
ALLAH HAI GAWAAH NAHIN PAAS MAAL-O ZAR
CHAADAR HAMARI CHINN GAYI AUR HUM HAI NANGEY SAR

LEKIN BADAAEY AATA THA GHODEY KO WOH SAWAAR


ZAINAB KAY PAAS ROK LIYA AAKAY RAAHWAAR
ULTTI NAQAAB CHEHREY SEY UTRAA WOH SHEHSAWAAR
BETI KAY SAAMNEY THAY KHADEY SHER-E KIRDAGAAR
HAI KHAAK SAR PA THAAMEY KALEJEY KO AAYE HAIN
PURSA BAHEN KO BHAAI KA DENEY KO AAYE HAIN

PEHLAA KAY HAATH BAAP SEY ZAINAB LIPAT GAYI


RO RO KEHTI THI MERI QISMAT ULATT GAYI
BAAQI JO PANJETAN KI NISHAANI THI MITT GAYI
BABA MY APNEY BHAAI SEY JUNGLE MEY CHUTT GAYI
AMMA KA GHAR BHARAA HUVA BARBAAD HOGAYA
SEHRA JO KARBALA KA THA AABAAD HOGAYA

RO KAR KAHAA ALI NEY HO QURBAAN YEH PIDAR


SOYI-YOH THODI DER KAY HOTI HAI AB SAHER
DAR PEISH SUBHAA KO HAI TUMHEIN SHAAM KA SAFAR
DARBAAR MEY YAZEED KAY JAANA HAI NANGEY SAR
MUSHKILKUSHA HOON ZULM YEH DEKHEY NA JAAYENGAY
BETI RASAN SEY HAATH TEREY BAANDHEY JAAYENGAY

AAYI SADAA-E FATIMA FARYAAD YA ALI


KHETI HAMAARI HOGAYI BARBAAD YA ALI
MUSHKILKUSHA-E KHALQ HO RUDAAD YA ALI
BACHCHON PEY MERAY HOGAYI BEYDAAD YA ALI
KHETI MERI UJADD GAYI GHAR MERA LUTT GAYA
ZAINAB HAI BEY RIDAA SAR-E SHABBIR KATT GAYA

AZEEZO HAADESA NOU FALAK DIKHATA HAI


AZEEZO HAADESA NOU FALAK DIKHATA HAI
HARAM KA QAAFELA PAISHE YAZEED JAATHA HAI
GALE BANDHE HAIN BADAN SAB KA THAR THARAATHA HAI
NA SAANS LETE HAIN QAIDI NA BOLA JAATHA HAI
WO GIRTHE HAIN TO SITAMGAAR NAIZE MAARTHE HAIN
WO ROKE HYDER-E- KARRAR KO OUKAARTHE HAIN

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 102 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 103 of 137

KAHOON ASEEROUN KA SAB HAAL YE MAJAAL HAI KYA


YE HAATH BANDHNE KA MAZMOON HAI DAST BASTHA KHADA
HUWA HAI BEDIYOUN SE BAS KE GHULGHULA PAIDA
BUTOOL QUID ME HYDER KO DERAHI HAI SADA
BULAND KARTHI HAI FARYAAD YA ALI ZAINAB
CHALO YAZEED KE DARBAAR ME CHALI ZAINAB

NAYI JAFAA HAI KE BAARA GALE ME AIK RASAN


AUR US RASAN PA HAI TOUQ-E- GIRAAN KA RANJ-O- MAHAN
KAHIN SUNA HAI KE DO TEEQH AUR EK GARDAN
AUR AIK PAAUN ME BHAARI DO HALQAA-E- AAHAN
JO PAAS AAKE LAEEN NAIZOUN SE DARAATHE HAIN
QUDA KE WAASTHE BACCHE UNHAIN DILAATHE HAIN

JAFAA-E- RAAH KE KAHNE ME KAANPTHI HAI ZABAAN


GHARZ KE DAAQELA MAJLIS HUWE BA AAH -O- FUGHAAN
MAGAR KAB AAYE HUZOOR YAZEED-E- BE EIMAAN
KE CHOWB-E- BAID THI AUR SHAAH KE LAB -O- DANDAAN
CHADI TO AIK THI PAR ZULM DO NUMAAYAAN THA
BA ZAIR-E- CHOUB KABHI LAB THE SHAH KE DANDAAN THE

YE ZULM DEKH KE ZAINAB NE KARLIN AANKHEN BAND


PUKAARA SHIMR YE DARBAAR KYA NA AAYA PASAND
LO AANKHEN KHOLO NAHI ZULM HOWEGA DAH CHAND
FALAK KO DEKH KE RONE LAGI WO GHEERATH MAND
KAHAA YAZEED KYA KYA AASMAAN KO DEKHA
WO ROKE BOLI KE QAALEQ KI SHAAN KO DEKHA

KAHA YAZEED NE TAB SHUMR SE BA TAISH TAMAAM


YE KOUN HAI KE JO BADH BADH KE KAR RAHI H AI KALAAM
WO BOLI POOCH MUJH SE YE JAANE KYA MERA NAAM
MAI RONE WAALI HOON KUNBE KI ZAINAB -E- NAAKAAM
ALI KI AAI NIDAA MERI PYAARI DUQTAR HAI
SAR-E- HUSSAIN PUKAARA HAMAARI QWAAHAR HAI

YAZEED JAAEZA PHIR QAIDIYOUN KA LENE LAGAA


NAZAR PADI USE EK SHAASHZAADI MAAH LAQAA
ULAT KE DAALA HAI MU PAR PHATA HUWA KURTHAA
AUR USPA HAATHOUN SEE PARDA KIYA HAI CHEHRE KA
HAI SIN ME QURD BUZURGOUN KA PAR QAREENA HAI
KAHA YE OU HAI BOLA UMAR SAKINA HAI

YAZEED HAAL-E- SAKINA PA ROYA AUR YE KAHAA


SAKINA TUJH KO BAHOT CHAAHTHA THA BAAP TERA
WOBOLI CHAAHNA KAISA PIDAR THE MUJH PA FIDAA
ZABAAN PAR THA SAKINA SAKINA SUBH-O- MASAA
SULAATHE THE MUJHE SHABBIR APNE DAAMAAN ME
AUR AB TO KHAAK PA SOTI HOON ROZ ZINDAAN ME

YAZEED NE KAHA JANNAT ME MEWE HAIN AAKAR


SAKINA TUM KO KHILAATA THA KYA TUMHARA PIIDAR
RATAB RATAB KAHA IS BE PIDAR NE TOTLA KAR
DEKHA KE NEEL TAMAANCHOUN KE BOLI DEKH IDHAR
PIDAR NE TOHFE SE TOHFEA RATAB KHILAAYE HAIN
AUR UNKE BAAD TO HAMNE TAMAANCHE KHAAE HAIN

YAZEED BOLA RATAB DOON TO KHAAEGI NAADAAN


SAKINA BHUKI TO THI HOKE QUSH PUKAARI KE HAAN
MAGAR SAKINA KI QAATIR WAHAAN RATAB THE KAHAAN
DIYA SHAQI NE TABAQ ME SAR -E- IMAAME ZAMAAN
PUKAARI HISSE ME MERE RATAB YE AAYA HAI
KISI YATEEM NE LOGO YE MEWAA KHAAYA HAI

UTHAAYA USNE JO SARPOSH THO YE AAYA NAZA R


TADAP RAHA HAI SAR EK MURDE KA LAHOO ME TAR
DARI WO PAHLE THO AUR PHIR KAHA YE RORO KAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 103 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 104 of 137

RATAB NAHI HAIN RATAB KE KHILAANE WAALE KA SAR


SALAAM KARKE TABAQ SE UTHAA LIYQAA SAR KO
LAHOO BHARA HUWA KURTA DIKHAA DIYA SAR KO

IMAME RAZA-E- GHARIB A.S


MOMINOU AAJ QURASAAN ME HAI TAAZA MAATAM

MOMINOU AAJ QURASAAN ME HAI TAAZA MAATAM


THAR THARAATHE HAI FALAK ARSH -E- ZAMEEN LOWH-O-QALAM
AATHE HAIN AAL-E- ABAA KHAAK UDAATHE BAAHAM
AABED-O- BAAQER-O- JAAFAR WA JANAAB-E- KAAZIM
MU KO SAB YE JAZARAAT AANSOUN SE DHOTHE HAIN
JAMA MAYYATH KE UTHAANE KE LIYE HOTE HAIN

KYA KIYA QAHER KE BE JURM-O- QATAA KO MAARA


DILBAR-E- FAATEMA-O- SHAIR-E- QUDA KO MAARA
ZEHER DILWAAKE GHARIBUL GHURABA KO MAARA
AAJ MAAMOON NE MAZLOOM RAZA KO MAARA
KHAAK ME MILGAYA EK AUR GUL-E- BAAGHE ZEHRA
GUL HUWA AAJ QURASAAN ME CHARAAGHE ZEHRA

IS TARHA WAAQEYA HAI AAJ KA RAAWI NE LIKHA


IBN-E- HAAROON NE HAZRATH KO JUNHI BULWAAYA
AAYE DARBAAR ME JISWAQT IMAAM -E- DOSARAA
TAQT PAR APNE QARIN SHAAH KO BHI BITHLAAYA
PHIR KAHA SHAAH SE FARMAAYE THO PAISH KAROON
AAP KE WAASTHE ANGOOR MAY LE RAKHA HOON

KAHA MAZLOOM NE MUJH KO NAHI ANGOOR KIN CHAAH


KISI LIHE SAAMNE HAI TASHT JO TOONE RAKHA
KIYA ISRAAR JO SNE TO IMAAM-E- ZEEJAAH
KHAKE ANGOOR KO KAHNE LAGE INNA LILLAH
POOCHA MAAMOON NE KYA BAAT HAI FAR MAAIYEGA
SAR JHUKA KAR KAHA MASMOOM NE MALOOM HUWA

KHAKE ANGOOR-E- DAGHA AAYE HAIN GHAR KO APNE


QHAE KIYE JAATHE HAIN PAKDE HUWE SAR KO APNE
DARD HOTHA HAI DABAATHE HAIN JIGAR KE APNE
YAAD FARMAATHE HAIN HAMSHEER-O- PISAR KO APNE
SYED-O- BEKAS-O- MAZLOOM GHARIBUL GHURABA
MUZTARIB HAAE YE MASMOOM GHARIBUL GHURABA

MOUT KA AAGAYA CHERE PA PASINA YAARO


GHASH ME HAI WAARIS-E- SULTAAN-E- MADINA YAARO
AATHWAAN MOHR-E- NABUWAATH KA NAGINA YAARO
QAAK ME MILTA HAI AHMED KA QAZINA YAARO
DAR-O- DEEWAAR KO HASRATH SE RAZA DEKHTHE HAIN
AUR UNHEN YAAS SE SAB AAL-E- ABAA DEKHTHE HAIN

PEET THI HAI KABHI SAR KO KABHI THARRATHI HAI


FAATEMA ISTARHA RONE KELIYE AATHI HAI
JAANIB-E- ARSH-E- ULAA ROOH-E- RAZAA JAATHI HAIN
BEKASI LAASH PA RORO KE YE CHILLATHI HAI
MOUT KI KHICHKIYAAN AB LETA HAI DIBAR USKE
CHAAR HAMMAAL UTHAAE THE JANAAZA JISKE

SACH HAI GHURBATH KI AJAB MOUT HAI AYE AHL -E- AZAA
NAA KOI MOUNIS-O- YAAWAR NA DAWAA HAI NA GHIZAA
BISTAR-E- MARG PA THE AAP TAWAKKAL BA QUDAA
NAA KOI PAANI PILAANE KO DAM-E- AAQIR THAA
WAHI BEKAS HAI RAZA NAZA ME INNA LILLAH
HAAE KYA WAQT HAI MAZLOOM PE ALLAH ALLAH

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 104 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 105 of 137

KHAAK KA FARSH RIDAA GARD TAWAKKAL TAKYAA


UF BHI KARTA NAHI QAAMOSH HAI SONE WAALA
NAZA ME DEKHA RAZA NE JO SHABHI-E- ZEHRAA
BAND AANKHEN HUWIN AUR QAATEMA BILQAIR HUWA
AIK HICHKI KA BAS AANA THA KE DAM TOD GAYE
MOMINOUN KELIYE YAAD APNI RAZA CHOWD GAYE

AAKE YASRAB SEE TAQI DEKHTHE HAIN KYA NAQSHA


BAND AANKHEN KIYE BEHOSH PADE HAIN BABA
SAR KO BABA KE UTHA ZAANU PA APNE RAKHA
ROKE CHILLANE LAGE KYA YE HUWA HAI ABATHA
KAB SE CHILLATHA HAI SAR PEET KE NALAANE TAQI
AANKHOUN KE KHOLO ZARA AAP KE QURBAAN TAQI

BAAP KA PURSA DO BETOUN KO TUM AYE AHL -E- AZAA


JISKO MAMOON NE KHILWAAYA HAI ANGOOR -E- DAGHAA
NEELGOON HOGAYA HAI JISM-E- MUBARAK JISKAA
JISKI MAYYATH PA NAHI KOI BHI RONE WAALA
BE PIDAR HOGAYE MASMOOM TAQI WAAWAELAA
HAAE BEJAAN HUWA KAAZIM KA WASI WAAWAELAA

AAJ IMAAM-E- RAZA SHAHEED HUWE

AAJ IMAAM-E- RAZA SHAHEED HUWE


SHAAH-E- HAR DOSARAA SHAHEED HUWE
SAH KE RANJ-O- BALAA SHAHEED HUWE
KHAAKE ZEHRE DAGHAA SHAHEE D HUWE
SHAH KE SAB GHULAAM ROTE HAIN
HAM SE RUQSATH IMAAM HOTE HAIN

THA JO MAAMOON RASHEED BAANIYE SHAR


DUSHMAN-E- QAANDAAN-E- PAIGHAMBAR
THA JO AAMAADAH ZAHER DENE PAR
SHAAH KO PHIR TALAB KIYA AAQAR
SU KE SHAAH-E- ANAAM GHAR SE CHALE
HOKE RUQSATH IMAAM GHAR SE CHALE

JAB NAZAR AAI QABR-E- PAIGHAMBAR


HILGAYA SENE ME DIL-E- MUZTAR
JAAKE LIPTE LAHAD SE PHIR SARWAR
AUR KIYA YE QITAAB RORO KAR
AIK LAHZA NA CHAIN PAAYA HHOON
RUQSATHE AAQRI KO AAYA HOON

KYNKE RUQSATH JUWE IMAAM-E- RAZA


THA MADINE ME TAHALKA BARPA
KOI QADIMOUN SE LIPTA JAATHA THA
AUR LABOUN PAR KISI KE THI YE SADAA
AYE SHAH-E- AUSIYAA QUDAA HAAFIZ
AYE IMAAM-E- RAZA QUDAA HAAFIZ

TAY MANAAZIL KO KARKE PHIR EK BAAR


AAYE DARBAAR ME SHAH-E- ABRAAR
UTHAA TAAZEEM-E- SHAH KO WO MAKKAAR
PAAS APNE BITHAA LIYA ZINHAAR
TAB KAHA SHAAH SE YE WO MAGHROOR
AAP ISWAQT KHAAIYE ANGOOR

JABR SE US LAEEN KE WAAWAELAA


KHAA KE ANGOOR KO UTHE MOULAA
POOCHA MAMOON NE CHALE KISJAA
KAHA HAZRATH NE TOO JAHAAN BHEJAA
KAH KE YE SHAAH QAAS-O- AAM CHALE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 105 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 106 of 137

SAR PA DAALE ABAA IAAM CHALE

GHAR ME AAKAR TADAP RAHE THE IMAAM


ZAHER NE KAR CHUKA THA APNA KAAM
QAI JO AAI LIYAA JIGAR TO THAAM
THA NA EK LAHZA NA AAP KO AARAAM
YAAS THI BEKASI THI GHURBATH THI
MERE MOULA PA KYA MUSIBATH THI

MUZTARIB THA BAHUT SHAH -E- ZEEJAAH


GHASH JO TAARI HUWAA IMAAM PAP AAH
HICHKI JO AAI MOUT KI NAAGAAH
PHIR KAHAA LAA ILAAHA ILAAALLAH
TAN SE ROOH-E- RAZA IDHAR NIKLI
QABR SE FAATEMA UDHAR NIKLI

REHAAI AHL-E-HARAM
QAID SE CHUT KE AAI HAI ZAINAB

QAID SE CHUT KE AAI HAI ZAINAB


SADME DIL PAR UTHAAI HAI ZAINAB
QABR SHAH KI BANAAI HAI ZAINAB
KUCH YATHIMOUN KO LAAI HAI ZAINAB
KAHTHI HAI ROKE LO QABAR BHAAI
QATM AB HOGAYA SAFAR BHAAI

MAIN HOON ZAINAB FALAK SATHAAI HOON


TUMSE MILNE YAHAAN MAI AAI HOON
AUR LUTE QAAFELE KO LAAI HOON
BHAAI KYA KYA SITAM UTHAAI HOON
SHAAM TAK NANGE SAR GAYI ZAINAB
KYUN NA PAHLE HI MAR GAYI ZAINBA

UTH KE DEKHO TO EK NAZAR BHAAI


TUKDE SADMOUN SE HAI JIGAR BHAAI
HOGAYA HAI SUFAID SAR BHAAI
JHUK GAYI HAI MERI KAMAR BHAAI
WAADA POORA MAI KAR KE AAI HOON
PUSHT PAR TAAZIYAANE KHAAI HOON

SAARE KUNBE KO SAATH LAAI THI


MEHNATHOUN SE YE GHAR BASAAI THI
MAI NE DOULAT YE MAA SE PAAI THI
HOGAYI DAFN JO KAMAAI THI
AB HO KYUN KAR MERI BASAR BHAAI
HAAE KIS MU SE JAAUN GHAR BHAAI

AB NA UTH KE YAHAAN SE JAAUNGI


QABR BAALOUN SE APNE JHAADOONGI
PHOOL HAR SUBHA MAI CHADHAAUNGI
SHAMA RAATHOUN KO MAI JALAAUNGI
YUN HI HO JAAEGI BASAR BHAAI
KYA KARE JEEKE NOUHA GAR BHAAI

GAR KOI POOCHE KIS KI JAAI HAI


QABR KIS KI YE TOO BANAAI HAI
MUJH KO QISMATH KAHOONGI LAAI HAI
MAI BAHAN HOON YE MERA BHAAI HAI
THE NABI KE YE MAAN-NE WAALE
AUR MUSALMAAN THE MAARNE WAALE

KYA BATHAAUN SHAHEED KI HAALATH

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 106 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 107 of 137

THAN THA ZAQMI THI DHOOP KI SHIDDATH


AUR NAMAAZI PA PYAAS KI SHIDDAT
SAR UTHAANE KI BHI NA DI MOHLAT
DAFN IS JAA HAI NAAMHAR BHAAI
DE DIYA RAAH-E- HAQ ME SAR BHAAI

THI MUQADDAR ME MERE RUSWAAI


KYUN NA DARBAAR HI ME MOUT AAI
PAISH-E-HAAKIM GAYI YE DUKHPAAI
GHUSSA AAYA THA PEE GAYI BHAAI
JO HUWE ZULM SAH GAYI ZAINANB
SAB KE RONE KO RAH GAYI ZAINAB

CHEHLUM 72 SHOHDA-E-KARBALA
BALAA UTTHAAKAY HARUM KARBALA MEY AATHAY HAI
BALAA UTTHAAKAY HARAM KARBALA MEY AATHEY HAIN
MAREEZ SHAAM KAY DAARUSHAFAA MEY AATHEY HAIN
AJAB SHIKOSEY DASHT-E BALAA MEY AATHEY HAIN
GHAM-E HUSSAIN MEY YAAD-E KHUDA MEY AATHEY HAIN
JIGAR KAY TUKDEY BHAREY DAAMANOU MEY AAYE HAIN
YEH QABR-E SHEH PAR CHADDHAANEY KO PHOOL LAAYE HAIN

BIHAAR MEY HAIN RAQAM YEH RIVAAYATH -E JAANKAR


JAB AAYE AHLEY HARAM JAANIB-E SHAHAADATH GAAH
NA GUL NA SHAMMA MILI BEYKASOUN KI QABR PA AAH
MUJAAVERI KO FAQATH JABIR IBNEY ABDULLAH
QURESHI AAYE HAIN AUR HAASHMI BHI HAAZIR HAIN
MUSAAFEROUN KAY MUJAAVER BHI SAB MUSAAFIR HAIN

DOH SHAAMIYAANEY HAIN BAALA-E QABR-E SIBTEY RASOOL


WOH EK REHMATH-E HAQ EK AUR AAHEY BATOOL
FALAK SEY HOOR-O MALAK KA HAI FOUJ FOUJ NAZOOL
ZIYARATH-E SHAHEY MAZLOOM KAR RAHEY HAIN HUS OOL
LAHADH SEY AKBAR-O ASGHAR KAY DAAGH ROUSHAN HAIN
MAZAAR EK HAI PAR DOH CHARAAGH ROUSHAN HAIN

IDHAR AAYAAN HUVI BAS ZAINAB-E KHOOJISTHA KHISAAL


UDHAR LAHADH MEY TADAPNEY LAGAA RASOOL KA LAAL
NIDA MAZAAR SEY JAABIR KO DI BA RANJ -O MALAAL
MY JEETHA HOTHA TOH KARTHA BAHEN KA ISTEQBAAL
SHARAF HAI FATEMA KA FATEMA KI JAAYI KO
MERI TARF SEY TU JAA USKI PEISHWAAYI KO

CHALAA MAYEH RUFAQAAH JAABIR KHOOJISTHA NIHAADH


SAR-E HUSSAIN LIYE HAATHOUN PAR MILAY SAJJAD
QADAM PA GIR PADHAA JAABIR BA NAALA -O FARYAAD
PUKAARI ABID-E BEYKAS KO ZAINAB-E NAASHAAD
GALEH LAGAAO MUHIB-E NABI YEH JAABIR HAI
YEH TURBATH-E SHAHEY MAZLOOM KA MUJAAVER HAI

GALEH LAGAA LIYA JAABIR KO SHAAHEY WAALA NEY


GALEH PA NEEL RASAN KAY DIKHAAYE AAQAA NEY
KAHAA KAY LOOT LIYA BHAAI HUMKO AADAA NEY
JO HUM PAH HOGAYA HUM JAANEY YA KHUDA JAANEY
SAR-E HUSSAIN BADEE MEHNATHOUN SEY LAAYA HOON
DUBAARAH BAAP KO MY DAFN KARNEY AAYA HOON

TANEH HUSSAIN SEY MULHAQ KIYA HUSSAIN KA SAR


HUVA ZAMEEN MEY GOYAA QIRAAN-E SHAMS-O QAMAR
LAHADH PA TAQTHA-E TOOBAAH QAREENAY SEY RAKH KAR
PUKAAREY ABID-E BEYKAS MUHIBBOH AAO IDHAR
SUNO BAGOUSH KAY IS DUM RASOOL ROTHAY HAIN

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 107 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 108 of 137

DUBAARAH DAFN MEREY BABAJAAN HOTHEY HAIN

YEH KEHKAY RONEY LAGEY HAAYE ABID-E BEEMAAR


MAZAAR-E SHAAHEY GHAREEBAAN JO HO CHUKAA TAIYAAR
SARHAANEY BHAIT-KAY SAB FAATEHA PADDHEY EK BAAR
GHARAZZ KAY KHAIMA-E JAABIR MEY AAYE SAB DEENDAAR
HARAM NEY QABR PA SAAMAAN-E ASHKO AAH KIYA
SAR-E MAZAAR BAPAA KHAIMAA -E SIYAAH KIYA

SIYAAH KHAIMEY MEY UTHREY SIYAAH POUSH HARAM


TAWAAF-E QABR KIYA HALQAA BAANDH KAR BAAHAM
SABHOUN NEY QABR KO BAALOUN SEY JHAADA JAB USDAM
LARAZZ LARAZZ GAYI SADHMEY SEY QABR -E SHAAHEY UMAM
LAHADH PA SHAH KI MASNADH BICHAAYI ZAINAB NEY
SALAAM KAY LIYE GARDHAN JHUKAAYI ZAINAB NEY

LIPATT KAY QABR SEY AAWAAZ DI DUHAAYI HAI


EK ARBAYEEN SEY BAHEN BHAAI MEY JUDAAI HAI
HUSSAIN BHAAI BAHEN BHOOKI PYAASI AAYI HAI
UMMEEDWAAR-E ZIYAFATH YEH AMMA JAAYI HAI
NA FARSH HAI NA MAKAAN HAI NA DAANA PAANI HAI
SAQEE KAY LAAL YEHI MERI MEHMAANI HAI

BHAIYYA MY BIN TUMHAAREY WATAN KO NA JAAOONGI


BHAYYA MY BIN TUMHAAREY WATAN KO NA JAAOONGI
BHAYYA YAHIN MY QABR PAR AANSOO BAHAAOONGI
NAALOUN SEY AASMAANO ZAMEEN KO HILAAOONGI
NAZREY HUSSAIN PYAASOUN KO PAANI PILAAOONGI
JO POOCHEGAA TU ROTI HAI KYON SHOR -O SHAIN SEY
KEHDOONGI CHUTT GAYI HOON MY BHAAI HUSSAIN SEY

SAJJAD ROKAY KARTHAY THEY ZAINAB SEY YEH SUQAN


CHALIYEH PHUPI KHUDA KYA LIYE AB SU -EY WATAN
RO RO KAY JAAN DOH NA YAHAAN BEHRAY ZAULMEINAN
HONA HAI QAID TUMKO DOBAARA BASADH MEHAAN
RAUZEY PAH NAANA JAAN KAY AB JAAKAY ROYE -YE
DURROU KAY ZAQM PUSHTH PA DIKHLAAKAY ROYE-YE

YEH SUNKAY UTTHI QABR SEY AAKHIR WOH SOGHVAAR


EK HAUDAJEH SIYAAH MEY AAKAR HUVI SAWAAR
PAHOONCHEY WATAN MEY JIS GHADI SAJJAD -E DILFIGAAR
PEHLAY GAYI BAQIYEH MEY ZEHRA KI GUL -E ZAAR
BOLI LIPAT KAY QABR SEY AMMA DUHAAYI HAI
BHAAI KO KHOKAY ZAINAB-E NAASHAAD AAYI HAI

AMMA SUNAOON TUMKO MAI JOH KUCH JAFAA HUVI


PARDES MEY HUSSAIN SEY ZAINAB JUDAA HUVI
CHOWTHEY BARAS MEY BAAP PAH BETI FIDAA HUVI
AMMA HUSSAIN MARGAYE MY BE -RIDAA HUVI
DIL ZINDAGI SEY ZAINAB-E MUZTAR KA HATT GAYA
MY DEKHTI RAHI SAR-E SHABBIR KATT GAYA

AMMA TUMHAAREY LAAL KO KYA KYA NA GHAM HUVEY


LAASHEY KAY HAATH ANGOTI KI QAATIR QALAM HUVEY
LAASHEY PAH MEREY BHAAYI KAY TAAZA SITAM HUVEY
PAAMAAL LAASH HOGAYI BARBAAD HUM HUVEY
GOWHAR SAKINA KAY BHI UTHAAREY HAIN SHIMR NEY
DURREY HAMAARI PUSHTH PA MAAREY HAIN SHIMR NEY

AMMA TERAY MAREEZ KO QAIDI BANAAYA THA


TOUQ-E GIRAAN BUKHAAR MEY USKO PINHAAYA THA
KAATOUN PA NANGEY PAAON ADDO NEY PHIRAAYA THA
AMMA SIVAA-E SHUKR NAHIN LABB HILAYA THA
BULWAAYA THA YAZEED NEY DARBAAR-E AAM MEY

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 108 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 109 of 137

AMMA SAKINA MARGAYI ZINDAAN-E SHAAM MEY

AYE AMMA EK RASSI MEY BANDHWAAYA THA HAMEY


OONTOUN KI NANGI PUSHTH PA BITTLAAYA THA HAMEY
SAR TASHTH MEY HUSSAIN KA DIKHLAAYA THA HAMEY
ABID KO DURREY MAAR KAY RULWAAYA THA HAMEY
HAIRATH HAI KYON NA ZAINAB -E NAASHAAD MARGAYI
AMMA MY SAR KHULEY HUVE SHIREEN KAY GHAR GAYI
AMMA PHIRAAKEY KUFEY MEY PHIR HUMKO KU BAKOO
SAR NANGEY SUEY SHAAM HAMEY LEY CHALEY ADOO
PAHOONCHEY JO SHAHER-E SHAAM MEY HUM SAB KUSHAADA MU
BAAZARIYON MEY SHOR YEH HOTHA THA CHAAR SU
BETI ALI KI ZAINAB-E DILGEER AAYI HAI
DEKHO CHALO HUSSAIN KI HUMSHEER AAYI HAI

CHAHLUM JO KARBALA ME BAHATTAR KA HO CHUKA

CHAHLUM JO KARBALA ME BAHATTAR KA HO CHUKA


PALWAND BAIKASOUNKE TAN -O- SAR KA HO CHUKA
AUR FAATEHA HUSSAIN KE LASHKAR KA HO CHUKA
QABROUN PA SHOUR AAL-E- PAYAMBAR KA HO CHUKA
MAATAM ME TEEN ROZ RAHE SHOUR -O- SHAIN SE
ROE LIPAT LIPAT KE MAZAARE -E-E HUSSAIN SE

MISLE CHARAAGH GOUR-E- GHARIBAAN PA DIL JALAAE


PHOOLOUN KE SAATH QABROUN PE LAQT-E- JIGAR CHADHAAE
PYAAROUN KI BURD-O- BAASH KE SAAMAN JO YAAD AAYE
BE SAAQTHA PUKAARI KALEJA PAKAD KE HAAE
HAE HAE WO PARDA DAAR HAMAARE KIDHAR GAYE
BE PARDA HOKE AALE NABI DAR BADAR GAYE

MAQTAL KE AAS PAAS YE BEWOUN KI THI FUGHAAN


ZAINAB JABEEN LAHAD PA DHARE KARTHI THI BAYAAN
AYE MERE KARBALAAI BARA DAR HUSSAIN JAAN
HAMSHEER TEEN DIN SE TUMHAARI HAI MEHMAAN
ALLAH MERI BAAT BHI POOCHI NA AAP NE
ZINDAAN KI WAAREDAAT BHI POOCHI NA AAP NE

RAAZINHOON HOON JORAZAA -E- IMAAM-E- JALEEL HAI


PAR QAABIL-E- MULAAHEZA BAAZU KA NEEL HAI
NE KOI DAAD RASAN NA KOI K AFEEL HAI
BHAAI BAQAIR AAP KI ZAINAB ZALEEL HAI
PUSHT-O- PANAAH UTH GAYA BE QAANAMAAN HUWI
DEKHO YE PUSHT QAABIL-E- NOKE SINAAN HUWI

MARJAAEN SAB YATIMOUN KE SAR PAR RAHOON JO MAI


BACHPAN ME UNKI QALD KI EIZAA SAHOON TO MAI
BAHLAANE KO TUMHAARI KAHAANI KAHOON TO MAI
MAA HOON TO MAI PHUPI HOON TO MAI BAAP HOON TO MAI
INKA BHI DAAGH AAJ MILE YAKE KAL MILE
AISE NAI NASEEB KE QIDMATH KA PHAL MILE

MAIN JAANTHI THI SHAHR BASA HOGA BHAAI KA


HOGA HHUJOOM QABR PA SAARI QUDAAI KA
CHAHLUM KAROONGI DHOOM SE MAI KARBALAAI KA
PURSAAN BH YAA NAHI KOI ZENRA KI JAAI KA
MU DHAANPNE KO AAP HI PALLA BHI LETI HOON
AUR APNE DIL KO AAP I PURSA BHI DETI HOON

CHEHLUM THO KAR CHUKI MAI DILAFGAAR YAA HUSSAIN


AB ROUZA KIS TARHA SE HO TAYYAR YAA HUSSAIN
BETA BHI AUR BAHAN BHI HAI NAADAR YAA HUSSAIN
AAQER KABHI THO AAENGE ZAWWAR YAA HUSSAIN
TAKYA HAI KAAR SAZIYE PARWARDIGAAR PAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 109 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 110 of 137

ISDAM THO SAAEBAAN BHI NAHI HAI MAZAAR PAR

HONE LAGA SAWAAR RASAALA BASHEER KA


DANKA BAJAA HARAM KE WAIDAA-E- AQEER KA
QAIMA UTHAA LAHED SE SHAH-E- MASHRAQAIN KA
AUR SAB TABARRUKAATH JAAB-E- AMEER KA
TURBATH KE GIRD OONT BARABAR KAHDE HUWE
RUQSATH KO JAMA QABR PA CHOWTE BADE HUWE

ZAINAB PUKAARI KOOCH KA SAAMAAN HOGAYA


PHIR SHAHR MERE BHAAI KA VEERAAN HOGAYA
AUR MAQBERAA HUSSAIN KA SUNSAAN HOGAYA
HOO KA MAQAAM QATL KA MAIDAAN HOGAYA
AAI MUSAAFIROUN KO MERE WO ZAMEEN PASAND
DUNYA ME JIS ZAMEEN KO BASTHI NAHIN PASAND

AYE KARBALAA-E- SARWAR-E- DILGEER ALWEDA


AYE QATLGAAH-E- HAZRATH-E- SHABBIR ALWEDA
AYE QABR-E- IBN-E- SAAHEB-E- TATH-HEER ALWEDA
AYE BHAAI JAAN JAATHI HAI HAMSHEER ALWEDA
KYA BE NASEEB HAI YE NAWAASI RASOOL KI
TUM NE MUJAAWERI NA HAMAARI QUBOOL KI

BHAYYA UTHO KAJAAWE ME MUJH KO TUMHI BITHAAO


BHAYYA MAIN BE NAQAAB HOON RAHGIROUN KO HATAAO
ROWKKAHIN QINATH AKBAR-O- ABBAS KO BULAAO
QAALI HAI GOUD BHAABHI KI ASGHAR KO LETE AAO
SARDAAR SAARE QAAFELE KE AAGE HOTE HAIN
TAYYAR KAARWAAN HUWA AUR AAP SOTE HAIN

KAB SE TUMHAIN PUKAAR RAHI HOON MAI QASTHA JAAN


HAE HAE JAWAAB BHI NAHI DETE SHAH-E- ZAMAN
BHAYYA GALE LAGAALOON THO JAAUN SOE WATAN
AAL NIDA SIDHAARO QUDA HAAFIZ AYE BAHAN
SOGHRA KO MERI SIMTH SE BHI PYAAR KIHIYE
HOGA SAWAAB QAATIR-E- BEEMAAR KIJIYE

WAPASI -E- AHL-E-HARAM


JAB BAAD-E- DAFN-E- SHAAH WATAN KO HARAM CHALE

JAB BAAD-E- DAFN-E- SHAAH WATAN KO HARAM CHALE


SAJJAD SAATH BEWOUN KE BAA CHASHME NAM CHALE
HAMRAAH LEKE QAAFELA-E- RANJ-O- GHAM CHALE
ZAINAB PUKAARI PEET KE SAR BHAAI HAM CHALE
ULFATH JO THI KAMAALE SHAH -E- MASHRAQAIN SE
ROI LIPAT LIPAT KE MAZAAR-E- HUSSAIN SE

PHIR SAR KO RAKH KE QABR PA WO GHAM KI MUBTELAA


BOLI KE ASSALAAM ALAIKAA AYE SHAH-E- HUDAA
BHAYYA UTHO SAWAAR KARO TUM PA AMAI FIDAA
FARMAAIYE WATAN ME MAI JAAKAR KAROONGI KYAA
RAH RAH KE DHYAAN AATHA HAI MUJH DIL MALOOL KO
KYA JAAKE MU DIKHAAUNGI QABRE RASOOL KO

BHAYYA MAI BIN TUMHAARE WATAN KO NA JAAUNGI


BHAYYA YAHIN MAIN QABR PA AANSU BHAHAAUNGI
NAALOUN SE AASMAAN-O- ZAMEEN KO HILAAUNGI
NAZR-E- HUSSAIN PYAASOUN KO PAANI PILAAUNGI
JO POOCHEGA TOO ROTI HAI KYUN SHOUR-O- SHAIN SE
KAHDOONGI CHUT GAYI HOON MAI BHAAI HUSSAIN SE

SAJJAD ROKE KARTHE THE ZAINAB SE YE SUQAN

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 110 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 111 of 137

CHALIYE PHUPI QUDAA KILIYE AB SOO-E- WATAN


RORO KE JAAN DO NA YAHAAN BAHR-E- ZULMENAN
HONA HAI QAID TUM KO DOBAARA BASAD MEHAN
ROUZE PA NANA JAAN KE AB JAAKE ROIYE
DURROUN KE ZAQM PUSHT KE DIKHLAAKE ROIYE

YE SUNKE UTTHI QABR SE AAQIR WO SUGWAA R


EK HODIJE SIYAAH ME AAKAR HUWE SAWAAR
PAHONCHE WATAN ME JIS GHADI SAJJAD -E- DILFIGAAR
PAHLE GAYI BAQEE ME ZEHRA KI GUL -EZAAR
BOLI LIPAT KE QABR SE AMMA DUHAAI HAI
BHAAI KO KHOKE ZAINAB-E- NAASHAAD AAI HAI

AMMA SUNAAUN TUM KO MAI JO KUCH JAFAA HUWI


PARDES ME HUSSAIN SE ZAINAB JUDA HUWI
CHOUTHE BARAS ME BAAP PA BETI FIDAA HUWI
AMMAN HUSSAIN MARGAYE MAI BERIDAA HUWI
DIL ZINDAGI SE ZAINAB-E- MUZTAR KA HAT GAYA
MAI DEKHTHI RAHI SAR-E- SHABBIR KAT GAYA

AMMA TUMHAARE LAAL KO KYA KYA NA GHAM HUWE


LAASHE KE HAATH ANGOTHI KI QAATIR QALAM HUWE
LAASHE PA MERE BHAAI KE TAAZA SITAM HUWE
PAAMAAL LAASH HOGAYI BARBAAD HAM HUWE
GOUHAR SAKINA KE BHI UTAARE HAI SHIMR NE
DURRE HAMAARI PUSHT PA MAARE HAIN SHIMR NE

AMMAN TERE MAREEZ KO QAIDI BANAYAA THA


TOUQ-E- GIRAAN BUQAAR ME USKO PINHAAYA THA
KAANTOUN PA NANGE PAAUN ADOO NE PHIRAAYA THA
AMMA SIWAA-E- SHUKR NAHI LAB HILAAYA THA
BULWAAYA THA YAZEED NE DARBAAR-E- AAM ME
AMMA SAKINA MARGAYI ZINDAAN-E- SHAAM ME

AYE AMMA AIK RASSI ME BANDHWAAYA THA HAMEN


OONTOUN KI NANGI PUSHT PA BITHLAAYA THA HAMEN
SAR TASHT ME HUSSAIN KA DIKHLAAYA THA HAMEN
AABED KO DURRE MAARKE DILWAAYA THA HAMEN
HAIRATH HAI KYUN NA ZAINAB -E- NAASHAAD MAR GAYI
AMMA MAI SAR KHULE HUWE SHEERIN KE GHAR GAYI

AMMA PHIRAAKE KOOFE ME PHIR HAM KO KUBA KO


SAR NANGE SOO-E- SHAAM HAMAIN LE CHALE ADOO
PAHONCHE JO SHEHR-E- SHAAM ME HAM SAB KUSHAADA MU
BAAZAARIYOUN ME SHOUR YE HOTAA THA CHAAR SU
BETI ALI KI ZAINAB-E- DILGEER AAI HAI
DEKHO CHALO HUSSAIN KI HAMSHEER AAI HAI

DUROOD PADH KE WATAN KO CHALA HUSSAIN K A LAAI

DUROOD PADH KE WATAN KO CHALA HUSSAIN KA LAAI


QAREEB PAHONCHI MADINE KE JAB RASOOL KI AAL
TO APNE HAATHOUN PE ZAINAB NE RAKHE SAR KE BAAL
KAHA MADINE SE KULSOOM NE BA RANJ-O- MALAAI
LUTAA KE AAYE HAIN ZEHRA KE SAB GHARAANE KO
NA KAR QUBOOL TOO HAM BEKASOUN KE AANE KO

MADINA HAM TERE WAALI KO AAYE HAIN KHOKAR


MADINA GARDAN-E- SHABBIR PAR CHALA QANJAR
MADINA KOOFE ME SAR NANGE HAM PHIRE DAR DAR
MADINA DAAGHE RASAN HAI HAMAARE SHAANOUN PAR
HAM AAYE ZINDA PA ZEHRA KA NOOR-E- AIN NAHI
MADINA AKBAR-O- QASIM NAHI HUSSAIN NAHI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 111 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 112 of 137

HILII ZAMEEN MADINE KI USGHADI PAIHAM


KIYA BASHEER KO SAJJAD NE TALAB US DAM
GALE ME SHAAL-E- DAALDI BA DEEDA-E- NAM
AUR USKE HAATH ME ROKAR DIYA SIYAAH ALAM
KAHAA KE JAA NAHI GO APNE MU DIKHAANE KI
MAGAR WATAN ME QABAR KARDE MERE AANE KI

CHALA BASHEER YE DETE HUWA QABAR HAR JAA


MAGAR MUHALLA-E- HAASIM ME DEKHTA HAI KYA
KE EK MARIZA SARE RAAH HAI KHADI TANHA
JO POOCHA NAAM TO RO KE BOLI WO SUGHRA
BASHIR KAHNE LAGA KYUN TOO SHOUR -O- SHAIN ME HAI
KAHA YE HAAL MERA FURQATH-E- HUSSAIN ME HAI

BASHEER SAMJHA YE BINT-E- HUSSAIN HAI SUGHRA


QAMOOSH RAH GAYA SUGHRA KE MU PE KUCH NA KAHA
PUKAARI FAATEMA GARDAN ME DEKH SHAAL -E- AZAA
TU BHAAI LAAYA HAI KIS KI SUNAANI MUJH KO SUNAA
WO BOLA QAASID-E- BEEMAAR-E- KARBALA HOON MAI
SUNAANI QABR-E- PAYAMBAR PE LE CHALA HOON MAI

WO BOLI ROROKE BHAAI YE KYA SUNAATA HAI


WO KOUN HAI JISE BEEMAR TOO BATHAATHA HAI
SUNAANI KIS HAI YE MUJH KO HUWI AATA HAI
KE MUSTAFA KI LAHAD SE TOO KAHNE JAATHA HAI
AMMAMA PHAINK KE USNE KAHA DUHAAI HAI
TERE HUSSAIN KI SUGHRA SUNAANI AAI HAI

ZAMEEN PA HAAE PIDAR KAHKE GIR PADI SUGHRA


QABAR YE PHALLI TO MAATAM HAR EK GHAR ME HUWA
TAMAAM AURTAIN NIKLIN GHAROUN SE KARTHI BUKAA
NABI KI QABR PA JAAKAR BASHEER NE YE KAHAA
SAFAR SE LUT KE IDHAR BHOOKI PYAASIYAAN AAI
UTHO RASOOL TUMHAARI NAWAASIYAAN AAI

BASHIR KAHTHA HAI WALLAH ROUZA KAANP GAYA


LAHAD SE NAALA HUWA WAA HUSSAIN KA PAIDA
IDHAR ZAMEEN PE TADAPTHI THI FAATEMA SUGHRA
ZANAAN-E- HAASHMIYA NE WAHAAN HUJOOM KIYA
HILAA KE SHAANA KAHA SHAAH -E- MASHRAQAIN AAYE
UTHO HUSSAIN KE ASHIQ UTHO HUSSAIN AAYE

WAPASI -E- AHL-E-BAITH


WATAN ME QAAFELA-E- KARBALA KI AAMAD HAI

WATAN ME QAAFELA-E- KARBALA KI AAMAD HAI


SAWAARIYE HARAM-E- MUSTAFA KI AAMAD HAI
YATEEM SARWAR-E- GULGOON QABAA KI AAMAD HAI
GHAREEB-O- BEKAS-O- AASHNA KI AAMADA HAI
TAMAAM SHAHER HAI SHALQ -E- ALI KE PYAAROUN KA
NABI KE ROUZE PA MAJMA HAI DOST DAAROUN KE

SUNAA THA JAB SE KE AATHE HAIN SYED -E- AKRAM


QUSHI SE FAATEMA SUGHRA KA THA AJAB AALAM
KABHI TO JHUKTHI THI SAJDE ME WO BADEEDA -E- NAM
KABHI YE KAHTHI THI KYUN NAANI JAAN KIGAYE HAM
WATANME AAJ SHAH-E- MASHRAQAIN AATHE HAIN
CHALO CHALO MERE BABA HUSSAIN AATHE HAIN

UTHIN YE KAHTHE HI UMMUL BANAIN BA SHOUQ TAMAAM


GAYI JO MUTTASIL-E- ROUZA-E- RASOOL-E- ANAAM
SUNA YE SHOUR KE LO AAYE SHAAH-E- ARSH MAQAAM

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 112 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 113 of 137

NAZAR WO AATHA HAI DDEKHO NISHAAAN -E- FOUJ-E- IMAAM


BADE SHIKWE SE HYDER KA YAADGAAR AAYA
ALAM LIYE HUWE ABBAS-E- NAAMDAAR AAYA

YE NOUHA PADHTHA THA GHOWDE KE AAGE AAGE BASHEER


MADINA LUT GAYA JANGAL ME MARGAYE SHABBIR
GALE PA DILBAR-E- ZEHRA KE CHAL GAYI SHAMSHEER
KIYA SHAHEED GHAREEBUL WATAN KO BE TAQSEER
PADA RAHA JO ZAMEEN PAR YE USKA JAAMA HAI
KAFAN MILA NA JISE USKE YE AMAAMA HAI

BITHA KE NAAQE KO SAJJAD-E- NAATAWAAN UTRE


ASAA KO THAAM KE BAA CHASM QOON FISHAAN UTRE
QAREEB-E- MARQAD-E- SULTAANE INS-O- JAAN UTRE
AUR AHL-E- BAITH YE KARTHE HUWE FUGHAAN UTRE
HUWI GHAREENBOUN PE BEDAAD YA RASOOL ALLAH
HUSSAIN MARGAYE FARYAAD YA RASOOL ALLAH

HUWI JO ROUZE ME DAAQIL WO QAAFELA NAAGAAH


GIRE MAZAAR-E MUBAARAK PE AABED-E- ZEEJAAH
UTHAA KE HAATH YE FARYAAD KI BA NAALA-O- AAH
TABAAHI AAGAYI HAM BEKASOUN PA YAA JADDAAH
YATEEM HOKE YE NAASHAAD KAAM AAYA HAI
PIDAR KO KHOKDE WATAN ME GHULAAM AAYA HAI

BADA SITAM KIYA UMMAT NE YA RASOOL -E- ZAMAN


KIYA HUZOOR KE PYAAROUN KO ZIBHA TISHNA DAHAN
RAHA SINAAN PE SAR-E- PAAK AUR ZAMEEN PE BADAN
LUTE HAM AISE KE BABA KO DE SAKE NA KAFAN
NA DIN KO THI HAMAIN RAAHAT NA CHAIN RAATHOUN KO
JAKAD DIYA THA RASAN SE HAMAARE HAATHOUN KO

GAYI LAHAD PA PHIR ISTARHA ZAINAB-E- MAHZOON


KE AIK HAATH ME SHAH KA AMAAMA-E- PUR QHOON
AUR AIK HAATH ME HAZRAT KA HAAMA -E- GULGOON
ZABAAN PE MARSIA JIS KA YE JAAN GAZA MAZMOON
YAZEED NE HAMAIN LOOTA DUHAAI HAI NANA
BAHA SHAHEED KE MUJRE KO AAI HAI NANA

HUSSAIN BHAAI KO HAM KARBALA ME CHOWD AAYE


ALI KE LAAL KO DASHTH-E- BALA ME CHOWD AAYE
YATEEM-E FAATEMA KO NAINAWA ME CHOWD AAYE
TUMHAARE CHAND KO KHAAK -E- SHIFA ME CHOWD AAYE
YE BAAD QATL AJAB TAFREQAA PADA NANA
GADA BADAN KAHIN AUR SAR KAHIN GADA NANA

HUWI HUSSAIN KE MARNE SE DAR BADAR ZAINAB


GAYI YAZEED KI MAHLIS ME NANGE SAR ZAINAB
KAI MAHINE RAHI QAID NOUHAGAR ZAINAB
YE SAQT JAAN THI KE JEETHI PHIRI IDHAR ZAINAB
WARAM HAI SHAANOUN PE DUKHTHE HAIN USTOQAAN NANA
YE MERE BAAZU PE RASSI KE HAIN NASHAAN NANA

JAB ZAAEREEN -E- SHAAH GHAREEBUL WATAN PHIRE

JAB ZAAEREEN-E- SHAAH GHAREEBUL WATAN PHIRE


YAANI SOOE WATAN HARAM-E- PANJETAN PHIRE
EK DASTE TOHFA LEKE NISHAANE HARAM PHIRE
GHUL THA KE AHL-E-BAITH-E- HUSSAIN AUR HASSAN PHIRE
SATTAR DO TAN KO ZAIR-E- ZAMEEN SOUNP AAYE HAIN
KUCH SURRE QAAKE-E- PAAK KE HAMRAAH LAAYE HAIN

NAAGAAH GUZAR QAAFELE KA SHAHER ME HUWA


AUR LASHKAR-E- BASHEER ME NAQQAARA BHI BAJAA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 113 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 114 of 137

AWAAZ TAIZ GAAMI-E- ASPAN HUWI BAPAA


HAMSAAIYOUN KO FAATEMA SUGHRA NE DI SADAA
LOGO SAWAARI AATHI HAI KIS BAADSHAAH KI
SAB NE KAHAA KE SIBT-E- RISAALATH PANAAH KI

ITNE ME UMME HAANIYA USDAM FALAK WIQAAR


SAR PAR QAZAA BA PAAUN ME MOUZE BHI AASHKAAR
UMMUL BANEEN KE SAATH WAHAAN AAI AIK BAAR
SUGHRA NE POOCHA AB TO NA HOGA TUMHAIN BUQAAR
GHUL HAI KE ZAINAB AATHI HAI SHABBIR AATHE HAIN
CHALTHI HO TUM BHI HUM THO UNHAIN LENE JAATHE HAIN

WO BOLI PAISHWAAI KO MOUJOOD HOON MAGAR


HAI QASD CHUP RAHOON KISI GOUSHE ME BAITH KAR
AKBAR TALAASH ME PHIRAIN AAWAAZ DAIN PIDAR
ASGHAR BHI GHUTNIYOUN MUJHE DHOONDE IDHAR UDHAR
JAB SAB KAHEN KE MARGAYI CHUT -TE HI AAP SE
HANSTHI HUWI MAIN AAKE LIPAT JAA UN BAAP SE

EK MARTABA SAROUN PE PADE MARD-O- ZAN KE HAATH


JAANA SABHOUN NE QATL HUWE SHAAH -E- NAIK ZAATH
SUGHRA NE POOCHA DAADI YE KISKI HAI WAAREDAATH
YE GOUJ TO GAYI THI NA MERE PIDAR KE SAATH
HAE HAE MUSAAFEROUN PA MERE KYA GUZAR GAYI
POOCHO TO UNSE FOUJ-E- HUSSAINI KIDHAR GAYI

AAQIR NA RAH SAKI SOOE LASHKAR YE DI NIDAA


TUM KARALA ME TAAZA MULAAZIM HUWE HO KYA
AKBAR KE PAAE NAAM HAI TUM LOGOUN KA PARAA
BAARE KAHO GUROHE HUSSAININ KAHAA RAHAA
BATLAAO MOMINO HOON MAI PYAARI HUSSAIN KI
AB KITNI DOOR HOGI SAWAARI HUSSAIN KI

NAAGHAAH AAYA SYEDOUN KA GHOUL NANGE SAR


DAAMAAN-E- SABZ KURTOUN KE THE CHAAK SAR BASAR
AAGE ALAM LIYE HUWE EK TIFL-E- BE PIDAR
MAATAM KE NEEL CHAAND SE SEENE PE JALWAGAR
MASHKEEZA-E- SAKINA ALAM ME BANDHA HUWA
EK TEER USME BEHRE GAWAAHI LAGA HUWA

ZAIR-E- NISHAAN PADHTHE THE NOUHA HAR EK QADAM


MAATAM HUSSAIN PYAASE KA KARTHE THE DAM BADAM
GHAM SE LARAZNE LAGTHA THA JAB PANJA -E-ALAM
BADHTHE THE AAGE SAAHEBO MAATAM BA CHASHME NAM
FAAREGH JO MAATAM-E- SHAH-E- WAALA SE HOTE HAI
PHIR KAHKE HAAE HAZRATHE ABBAS ROTE THE

UMMUL BANEEN NE NAAM JO ABBAS KA SUNA


AANKHOUN SE NOOR SEENE SE DIL HOGAYA JUDA
SUGHRA KO UMME SALMA KI AAGHOSH ME DIYA
BOLI MAI BADH KE POOCHOON TO YE MAAJRA HAI KYA
AQLAB HAI UNSE SIBT-E- NABI KI QABAR MILE
KIS KE YATEEM AATHE HAIN PAA NANGE SAR KHULE

YE KAHKE CHAND GAAM BADHI WO BASAD BUKAA


KAANDHE PE JIS YATEEM KE WO HAI ALAM DHARAA
HAIRATH SE US GHAREEB KA MU DEKHA KHOOB SAA
BEENAAI JAA CHUKI THI NA PAHCHAANA MUTLAQAA
POOCHA KE YE NISHAAN TUJHE KAB ATAA HUWA
AYE HAAMIL-E- ALAM MERA ABBAS KYA HUWA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 114 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 115 of 137

BEQARARI FATIMA SUGHRA A.S


JAB SHAAH KO SAFAR ME BAHOTH DIN GUZAAR GAYE

JAB SHAAH KO SAFAR ME BAHOTH DIN GUZAAR GAYE


SOGHRA KO GHAM HUWA KE MUSAAFIR KIDHAR GAYE
KAHTHI THI GHAR BHARA HUWA VEERAAN KAR GAYE
KYA JAANE KIS TARAF MERE BEKAS PIDAR GAYE
HAI SHOUQ DIL ME SIBT-E- PAYAMBAR KI DEED KA
KYA WAJHA HAI KE QAT NAHI AAYA RASHEED KA

PARDESIYOUN KE GHAM ME HAI JEENE SE MUJH KO PAAS


BISTAR PE MU LAPETE PADI RAHTHI HOON UDAAS
BABA SAFAR SE AAENGE JAB TAK NA MERE PAAS
TAB TAK BADAN SE MAI NA UTAAROONGI YE LIBAAS
JEETHI RAHI TO VISL-E- IMAAM-E- ZAMAN HUWA
AUR MAR GAYI TO BAS YAHI KURTHA KAFAN HUWA

AATHI NAHI HAI KUCH QABR-E- SYEDUL ANAAM


BASTHI KAHAAN BASAAI KIYA KIS JAGAAH MAQAAM
KYUN NAANI JAAN AAAP TO SUNTHI THI WO KALAAM
RUQSATH KE WAQT MUJH SE JO FARMAATHE THE IMAAM
KAHTHE THE KHAT BHI AAEGA AKBAR BHI AAENGE
SOGHRA NA ROWO HAM TUMHEN JALDI BULAAENGE

DEKHO KE KHAT NA AAYA NA AKBAR WAHAAN SE AAE


KUCH JAADESAA PADA SHAH -E- DEEN PAR SAFAR ME HAAE
KIS SE KAHOON JO SIBT-E- NABI KI QABAR KO JAAE
ALLAH MERE BAAP KO JALDI WATAN ME LAAE
SUNTHI HOON DOST KAM HAIN SHAH-E MASHRAQAIN KE
DUSHMAN BAHOT HAIN FAATEMA KE NOOR -E- AIN KE

MAANGO DUA KE SIBT-E- PAYAMBAR KI QAIR HO


ABBAS-O- QAASIM-O- ALI AKBAR KI QAIR HO
ASHNOUN KI QAIR HO MERI MAADAR KI QAIR HO
GARMI KA HAI SAFAR ALI ASGHAR KI QAIR O
AMMA KO USKA DOODH BADHAANA NASEEB HO
PHIR GHAR MELEKE QAIR SE AANA NASEEB HO

YE KAHKE MU KO DHAANP KE ROI WO NOUHAGAR


KURTA TAMAAM HONE LAGA AANSUOUN SE TAR
NAANI DILAASA DENE LAGI PAAS AANKAR
QURBAAN JAAUN ROTI HO KYUN DHYAAN HAI KIDHAR
VEERAAN KARENGE SHAHER KO JANGAL BASAAENGE
AB KYA QUDA NA QAASTHA HAZRATH NA AAENGE

CHARCHA HUWA YE SHEHR-E- MADINA ME JAA BAJAA


SOGHRA SE AAKE MAADAR-E- ABBAS NE KAHAA
ZAANU PE SAR JHUKAAE HUWE RO RAHI HO KYAA
SHABBIR AAYE SHUKR KA SAJDA KARO ADAA
NAAKE PE FOUJ TAHRI HAI WAARI HUSSAIN KI
AATHI HAI KOI DAM ME SAWAARI HUSSAIN KI

NAANI NE TAB YE AAKE KAHA HOKE SHAAD SHAAD


SOGHRA TUMHEN NA THA MERE KAHNE KA ETEMAAD
MAI KAHTHI THI KE AATHE HAI AB SHAAH-E- QUSH NEHAAD
POORI QUDA NE KI JO MERE DIL KI THI MURAAD
DEKHOONGI AAJ BAAP KO MAADAR KO BHAAI KO
LO KAPDE AB BADAL LO CHALO PAISHWAAI KO

WO BOLI MERE DIL ME HAI KUCH AUR HI QAYAAL


JAB TAK NA GHAR ME AAEGA QAIRUN-NISAA KA LAAL
KAPDE NA BADLOONGI NA MAI GOONDOONGI SAR KE BAAL
AANE DO UNKO JIN KE LIYE HAI YE MERA LAAL

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 115 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 116 of 137

SHIKWA KAROONGI AANKHOUNSE AANSU BAHAAUNGI


BABA KO YE PHATAA HUWA KURTA DIKHAAUNGI

YE KAHKE GODH ME LIYA BEEMAAR KO UTHAA


AUR RUQ KIYA SOOE LAHAD -E- PAAK-E- MUSTAFA
NAZDEEK JAB GAYE TO YE GHUL YAK BAYAK HUWA
AAYA HAI BE HUSSAIN KE BEEMAAR-E- KARBALA
MAATAM KARO HABEEB-E- QUDA KE HABEEB KA
SAR KAT GAYA BADDAN SE HUSSAIN-E- GHAREEB KA

KAH KAR YE BAATH GHAR SE CHALI DUQTAR -E- ANAAM


NAANI BHI SAATH OGAYI JALDI ASAA KO THAAM
DEKHA HAR EK TARAF KO HAI QILQAT KA ASHDHAAM
KAHNE LAGI YE MAADAR-E- ABBAS-E- NAIK NAAM
MUJH KO TO HAI YAQEEN KE AB GHAR NA AAENGE
SHABBIR PAHLE QABR-E- PAYAMBAR PE JAAENGE

AYE SAAKINAANE SHEHRE MADINA UDAAO KHAAK


KARDAALO AAH APNE GAREBAAN CHAAK CHAAK
SHABBIR TEEN DIN KA HAI PYAASA HUWA HALAAK
CHAALISWAIN TALAK RAHA BE GOUR HISM -E- PAAK
PAAOGE PHIR NA FAATEMA KE NOOR-E- AIN KO
HAM KARBALA ME DAFN KAR AAE HUSSAIN KO

MUSAFIROUN KI MADINEY MEY JAB RASEED AAYI

MUSAFIROUN KI MADINEY MEY JAB RASEED AAYI


KAY WAADAGAAH MEY FOUJ-E SHAHEY SAYEED AAYI
RASEED AATHEY HI SOGHRA KE GHAR MEY EID AAYI
TAPHAY GOHAN GAYEE AUR TAAQATH-E JADEED AAYI
MALAAL DOOR HUWA AIYSH KE QAREENAY SEY
BUKHAAR NABZ SEY GHAM DIL SEY DARD SEENAY SEY

GHARAZZ KAY HAZRATH-E UMMUL BANEEN KO BULWAAYA


WOH AAYEEN TOH SAR-E TASLEEM UTT KE NAHUDAAYA
WOH HANS KE BOLI KE KYON YAAD MUJHKO FARMAAYA
KAHA MAREEZ NEY KHUSH HOKAY SHEH KA QATH AAYA
HAMAAREY DIL KO FAQATH NAAMABARR NEY CHAEN DIYA
MOHAMMED-E HANAFI KO QATH-E HUSSAIN DIYA

YEH KEHKAY MAADAR-E ABBAS KO LIYE HUMRAAH


MOHAMMED-E HANAFI KAY GHAR AAYI DUKHTAR-E SHAH
WOH MUNTAZIR THEY LIYE NAAMA-E SHAHEY ZEEJAAH
SALAAM KARTHEY HI KEHNAY LAGAY BA NAALA -O AAH
LO AB SUNAAO IMAAM-E GHAREEB KA NAAMA
PADHO MAREEZ KAY AAGAY TABEEB KA NAAMA

MOHAMMED-E HANAFI NEY KIYA LIFAAFEY KO WAAH


NIKAALA SUQQAHEY PUR NOOR SYED-USH SHOHADAA
PADHAA JO NAAMAY MEY ALQAAB APNA ROKAY KAHAA
HUSSAIN TERAY KARAM PAR HAIN LAAKH JAAN SEY FIDAA
KAHAA MY TERA BARAADAR BAJAAN BARAABAR HOON
TU JAAN-E QATM-E RASOOL HAI MAI IBNE HYDER HOON

AQHI KA LAFZ JO ALQAAB MEY MERAY LIKHAA


FAQATH YEH BANDHAA NAWAAZI HAI YA IMAM -E HUDA
TERA GHULAAM HAI ABBAS MY GHULAAM USKA
HAZAAR HAIF QADAM SEY HUZOOR KAY HOON JUDAA
LIYA JO NAAM-E JUDAAI TOH AANSOO BEHNAY LAGAY
SALAAM PADDH KAY ALAIKAS-SALAM KEHNEY LAGAY

KAHA YEH FATIMA SUGHRA SEY TABH BA DEEDA -E TARR


LIKHA HAI BAAP NEY TUMKO KAY AYE MERI DUKHTAR
DUA KAY BAAD HO MAALOOM MERI NOOR-E NAZAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 116 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 117 of 137

KOYI GHADI NAHIN GHAAFIL TERI TARAF SEY PIDAR


QALAQ HAI SADHMAA HAI RANJ -O MALAAL HAI SUGHRA
ADOO KAY NARGHEY MEY ZEHRA KA LAAL HAI SUGHRA

WOFOOR-E FIKR SEY SUGHRA JO SAQTH GHABRAAYI


CHACHA KA APNEY QALAMDAAN WOH UTTHAA LAAYI
AUR ILTEMAAS KIYA AYE HUSSAIN KAY BHAAI
MUJHEY TOH HAI NA TAWAANAAYI AUR NA BEENAAYI
MERI TARAF SEY WOH ALQAAB LIKHO BABA KO
KANEEZEIN LIKHTHI HAIN JIS TARHAA APNEY AAQA KO

GHAREEB PARWAR-O AALAM NAWAAZ WOH KHALQ-E PANAAH


MAALIK SIPAAH FALAK BAARGAH-E SHAAHINSHAH
IMAM BEYKA-O MAZLOOM-O BEYDAYAARO TABAAH
KHALEEL-E KAABA-E DEEN YOUSUF-E RASOOLALLAH
AJAL RASEEDOUN KEY EESA GHAREEBOUN KAY WAA LI
HUSSAIN IBNE ALI MUDHAZALLA-O AALI

RAJAB KI TEESRI KO TUMEY GHAR KIYA VEERAAN


TUMHAAREY BAAD HUVEEN TEEN EIDEIN BABAJAAN
SHAB-E BARAATH HUVI DOOSREY MAHINEY AYAAN
BAROOHEY HAMZA NA THI FAATEHA KI TAAB -O TAWAAN
TAMAAM AAH TADAPTAY TADAPTAY RAAT HUVI
HAMAAREY GHAR MEY NA EID-E SHAB-E BARAAT HUVI

WOH EID TOH GAYEE DIN EID-E FITR KA AAYA


GHAR AANKAR MUJHEY HUMJOLIYOUN NEY RULWAAYA
KISINEY GEHNAA KISINEY LIBAAS DIKHLAAYA
KOYI YEH BELI KAY EIDEE MEY HUMNEY YEH PAAYA
HAR EK KHUSH THA MAGAR MERE LAB PA NAAL AY THEY
SAFAR MEY SAB MERI EIDEE KAY DENEY WAALEY THEY

NAZAR MEY PHIRTHAA HAI EID -E GUZISHTHAA KA AANA


WOH EIDGAAH MEY AKBAR KA DHOOM SEY JAANA
BAHEN KE WAASTHEY MEVEY KHAREEDKAR LAANA
WOH AMMA BAANO KA HAR DUM GALEY SEY LIPTAANA
BA JABR AB TOH BAGHALGE ER JIS SEY HOTHI HOON
BAHEN SAKINA KO MAI YAAD KARKAY ROTHI HOON

SHAHZADI ZAINAB A.S


AZEEZO ZAINAB-E- MUZTAR KA AAJ MAATAM HAI

AZEEZO ZAINAB-E- MUZTAR KA AAJ MAATAM HAI


AZEEZO ZAINAB-E- HYDER KA AAJ MAATAM HAI
ALI KI LAADLI DUQTAR KA AAJ MAATAM HAI
GHAREEB SHAAH KI QWHAAHER KA AAJ MAATAM HAI
SUKOON QALB-E- QUDA KE HABEEB KO DEEJE
BAHEN KA PURSA HUSSAIN-E- GHAREEB KO DEEJE

DOBAARA QAID HUWE JAB SYED -E- SAJJAD


ASEER KARTHE HUWE SHAAM LE CHALE JALLAD
RAWAANA SAATH HUWI HAAE ZAINAB-E- NAASHAAD
NABI KE ROUZA-E- AQDAS PE JAAKE KI FARYAAD
SHAHEED HOGAYA BHAAI HUSSAIN AYE NA NA
MAGAR NAHI HAI LAEENOUN KO CHAIN AYE NANA

PHIR AAJ AABED-E- BEPAR KE SAATH JAATHI HOON


YAZEED-E- NAHES KO QOUF-E- QUDAA DILAATHI HOON
QUDA NE CHAHA THO IS LAAL KO CHUDHAATHI HOON
HAYAATH BAAQI AGAR HAI TO WAAPAS AATHI HOON
JO AAE RAAH-E- HAQ ME MOUT AAIYE NANA
HAMAARI LAASH PE AANSU BAHAAIYE NANA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 117 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 118 of 137

YE SUN KE UTH GAYI JO FAATEMA KE ROUZE PAR


LIPAT KE QABR SE KAHNE LAGI YE QASTHA JIGAR
UTHO UTHO MERI AMMA KE AAL HAE DUQTAR
ASEER HOGAYA PHIR MERA AABED-E- MUZTAR
TAMAAM GHAR KO UJAADA MAGAR NA CHAIN AAYA
DOBAARA SYED-E- SAJJAD PAR SITAM DHAAYA

PHIIRAA CHUKE THE SITAMGAAR DAR BADAR AMMA


DIKHAAYA NAIZE PE BHAAI KA MUJH KO SAR AMMA
MADINA BHEJAA THA GHAR BAAR LOOT KAR AMMA
PHIR AAJ JOTA HAI VEERAAN SAARA GHAR AMMA
CHALE HAIN QAID ME PHIR ZAINUL AABEDEEN HAE HAE
RAHEGI CHAIN SE KYA ZAINAB -E- HAZEEN HAE HAE

SADAA-E- NOUHA-E- ZEHRA LAHED SE AANE LAGI


KISI NABI NE BHI AISI JAFAA NAHI DEKHI
NISAAR MAA TERI MAASOOMIYATH PE AYE BETI
TADAP RAHI HOON MAI MERI DARD KI MAARI
MAI SAATH CHALTI HOON AYE JAAN-E- ZAINAB-E- MUZTAR
YE BILBILAANA TERA QURBAAN ZAINAB-E- MUZTAR

SUNA JAWAAB TERA HAAE ASHKBAAR HUWI


QARAAR AATHA NA THA AUR BEQARAAR HUWI
BADAN LARAZTHA THA NAAQE PE JAB SAWAAR HUWI
HAZAAR ABT SE RUQSATH JIGAR FIGAAR HUWI
PUKAARI JAATHI HOON RUQSAT KARO QUDAA HAAFIZ
MILOONGI RAAJ ME KIS JAA KAHO QUDAA HAAFIZ

RAWAANA HOGAYI PHIR SOOE SHAAM WAAWAILA


QAMOOSH ROTE THE CHOWTHE IMAAM WAAWAILA
LAEEN RAWAANA HUWE TAIZ GAAM WAAWAELA
AZEEZ KARTHE THE MAATAM TAMAAM WAAWAELA
LIKHA HAI RAAH ME EK MANZIL-E- QAREEB AAI
BUTOOL ZAADI KI HAE HAE QAZAA QAREEEB AAI

NAZAR QOOZAADI KI NAAGAAH US SHAJAR PE PADI


KE USNE DEKHA THA FARQ-E- HUSSAIN IBN-E- ALI
TADAP KE HAAE HUSSAINA KAHA ZAMIN PE GIRI
UTHI SAMBHAL KE TO FARYAAD US SHAJAR SE YE KI
KAHAAN HAI BHAAI MERA AYE SHAJAR BATAA JALDI
HUSSAIN KELIYE ROTI HOON KHAAK UDAA TOO BHI

KALEJA AAGAYA MU KO TADAP RAHA THA JIGAR


ZIYAARATHE SHAH-E- KARBOBALA PADHI ROKAR
NAMAAZ PADHNE LAGI PHIR QAREEB-E- ZAIR-E- SHAJAR
ABHI UTHAAYA NA THA HAAE HAAE SAJDE SE SAR
SITAM SE BALICHA IBN-E- TAMEEM NE MAARA
LAHOO MUSALLE PE BEKAS KA BAH GAYA SAARA

ALI KI TARHA SE ZAINAB KA SAR DO NEEM HUWA


ZAMEEN LARAZ GAYI ARSH-E- AZEEM KAANP GAYA
SUNI ZAMAANE NE GARYAAD -E- SYEDUSH SHOHDA
PUKAARNE LAGI AAKAR MAZAAR SEE ZEHRA
GHAREEB SOGNASHEEN BEQATAA KO QATL KIYA
SHAQI NE DUQTAR-E- MUSHKIL KUSHA KO QATL KIYA

LAHOO SE ASHK BAHAATHE HAIN AABED-E- BEPAR


KAFAN PHUPI KO PINHAATHE HAIN AABED -E- BEPAR
QALAQ SE JAAN GAWAANTHE HAIN AABED -E- BEPAR
LAHED PHUPI KI BANAATHE HAIN AABED -E- BEPAR
NAGEEN HAI ARSH PE GHAM GAATEMA KI BETI KA
JANAAZA UTH-THA HAI MUSHKILKUSHA KI BETI KA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 118 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 119 of 137

TIFLI HI SE ZAINAB PE MUSIBATH HUWI KYA KYA

ZAINAB PA HUVA KHAATEMA HAR RANJ -O BALAA KA


MAATAM KIYA PEHLAY TOH RASOOL -E DOH SARAA KA
PHIR GHAM HUVA DARPESH BATOOL -E UZARA KA
DEKHA SAR-E AALOODH BA-KHOON SHER-E KHUDA KA
WOH KHASTHAA JIGAR SHABBAR -E DILGEER KO ROYE
PHIR BAAD-E HASAN HAZRATH-E SHABBIR KO ROYE

TIFLI HI SE ZAINAB PE MUSIBATH HUWI KYA KYA


NANA KE LIYE ROI KIYA MAATAM-E- ZEHRA
AUR MOHSIN-E- MASOOM KI BHI LAASHEY KO DEKHA
YE DAAGH NA BHOOLI THI KE ZAQMI HUWA BABA
TUKDE JIGAR-E- SYED-E- MASOOM KO DEKHA
PHIR TAIGH KE NEECHE SHAH-E- MAZLOOM KO DEKHA

PAAMAL USE PAIKAR-E- QASIM NAZAR AAYA


ZAINAB HI NE KUBRA KO BHI RAND SAALA PINHAAYA
ATHTHAARA BARAS WAALE KA BHI DAAGH UTHAAYA
AUR LAASHA-E- ASGHAR KO BHI CHAATHI SE LAGAYA
DIL TUKDE HUWA QATL-E- IMAAM-E- MADANI SE
SOORAAQ PADE PUSHT ME NAIZE KI ANI SE

AL QISSA KAY ZAINAB KO SADAA BHAAI KI THI YAAD


THA DUSHMAN-E- AABID JO YAZEED-E- SITAM EEJAAD
GUZRI YE QABAR USKO KE KYA BAITTHA HAI DILSHAAD
IJMAAH HAI SHIYOUN KE PA-YE YAARI-E SAJJAD
WAARIS HAI WO TEIGH-E KAMAR SHAIR-E- QUDA KA
AB TUJH SE IWAZ LEYGA WOH KHOON-E- SHOHADA KA

MOUJOOD HOON HAAZIR HOON MAI QAIDI HOON TU MHAARA


LEKIN MUJHE BATLAAO YE TUM JALD QUDAARA
ZAINAB KO TO AB QAID KAROGE NA DOBAARA
MOUJOOD HAI WO BHI NAHI KUCH ZOUR HAMAARA
GAR KAAM NAHI IS SE TO KAH DO YE QUSHI SE
MILL AAUN MAE HAMSHEER-E- HUSSAIN IBN-E-ALI SE

AADA NE KAHA JAAO PA JALD AAIYO BAAH AR


AABID GAYE PAHNE HUWE AAH YE ZALWAR
BAAQER THO GIRE HAAE PIDAR KAHKE ZAMEEN PAR
ZAINAB NE LIPAT KAR YE KAHA KYA HUWA DILBAR
NAACHAAR HAIN KUCH ZOUR HAMAARA NAHIN PYAARE
DURRA THO KISI NE TUMHE MAARA NAHI PYAARE

JAB MANZILEY AAFATH KI WO THAY KEEN SAHER-E- SHAAM


PAHONCHA WO GIRAFTAAR-E- BALAA MUTTASIL-E- SHAAM
EK BAAGH ME SHAB BAASH HUWA AABID-E- NAAKAAM
WO RAATH THI ZAINAB KE LIYE MAUTH KA PAIGHAAM
ALLAH SE KAHNE LAGI HAATH APNE UTHAA KAR
KYA SHAAM KE BALWE KO MAI PHIR DEKHOONGI JAA KAR

YE SUNKAY DIYA HUKM SHAQI NEY SAR-E DARBAAR


ABID KO GIRAFTAAR KAREIN JAAKAY KUCH ASWAAR
ZANJEER BHI AUR TAUQ BHI BHAARI SAA HO TAYYAAR
LO AB QISAAS-E SHOHADAA KA HAI TALABGAAR
KIS BAATH PAH MAGROOR WOH IBNE SHAHEY DEEN HAI
KYA PEHLI ASEERI KA MAZAA YAAD NAHIN HAI

BAAZU MEY RASAN BAANDHI THI AUR PAAUN MEY ZANJEER


ABID YEHI KEHTHEY THEY KAY KYA HAI MERI TAQSEER
WOH KEHTHEY THEY YAAN POOCHO NA AYE NAAEB -E SHABBIR
AB SHAAM MEY HO JAAYEGI JO HONI HAI TAQDEER
ABID NEY KAHA KHAIR CHALO DARR MUJHEY KYA HAI
MAZLOOM KA FARZAND TOH RAAZI BA RIZA HAI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 119 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 120 of 137

ABID KA SUKHAN KOYI BHI KHAATIR MEY NA LAAYA


NAAQEY PA USI SHAKL SEY BEYKAS KO BITTHAAYA
AUR ROKAY ZANN-O MARD NEY EK SHOR MACHAAYA
NAAGAH YEH EK SHAQS NEY ABID KO SUNAAYA
KYA BAITTEY HO NAAQEY PA ZARAA DEKHO UDHAR KO
HAMSHEER-E HUSSAIN AATHI HAI KHOLEY HUVEY SAR KO

YAA RAB MUJHE US SHAHER KO AB TOO NA DIKHAANA


SAR NANGE PHIR US MULK ME MUJH KO NA PHIRAANA
HAI YAAD MUJHE SHAAM KA WO RANJ UTHAANA
HAMRAAH SAR SHAH KE HUWA THA MERA AANA
AB PAISH-E- NAZAR BHAI KI TASVEER NAHI HAI
AAYI HOON MY TANHA SAR-E- SHABBIR NAHI HAI

YA BAAR-E- QUDA WAASTHA SHAAHE MADANI KA


SADQA PISAR-E- FATIMA KI BE KAFANI KA
AUR WAASTHA AABED KI GHAREEBUL WATANI KA
SADQA SHAH-E- MAZLOOM KI TISHNA DAHANI KA
ZAINAB TARAF-E- SHAAM YAHAAN SE NA RAWAAN HO
KAL SUBHA MULAAQAAT-E- IMAAM-E- DO JAHAAN HO

US RAATH KO ZAINAB RAHIN MASHGHOOL -E- MUNAAJAAT


NAGAAH SAHER-E KOOCH NUMAAYAAN HUWI HAI HAAT
SAJJAD NE ZAINAB SE YE RO RO KE KAHI BAAT
LO BHAAI SE TUM APNE KARO AAJ MULAAQAAT
KIS DARD SE KAL AAP THEE MASHGHOOL-E- DUAA ME
MAQBOOL DUAA HOGAYI DARGAAH-E- QUDAA ME

ZAINAB NE KAHA AAYA YAQEEN AB MUJHE BETAA


PAR MOUTH KE AASAAR THO AB TAK NAHI PAIDAA
AB AAGE YE HAI MUGHBIR-E- AQBAAR NE LIKHAA
IS BAAGH ME BADKHAAH HAI EK AAL-E- NABI KAA
THA BAAGH ME PARQAAR-E- GULISTAAN-E- JAFAA THA
GULSHAN KI RAWISH BAILCHE SE KHOD RAHAA THA

HAAL US NE SUNA AAMAD-E- ZAINAB KA JO SAARAA


ZAINAB KE QAREEB AAYA WO BE RAHAM QAZAARA
US ZULM KE KAHNE KA ZABAAN KO NAHI YAARAA
BAS PUSHT PE ZAINAB KE WAHI BAILCHA MAARA
ZAINAB NE KAHA HOGAYA SAAMAAN QAZAA KA
MUSHKIL MERI AASAAN HUWI SHUKR QUDA KA

GHURBAT ME KIS NE KI HAI RIFAAQAT HUSSAIN KI

GHURBAT ME KIS NE KI HAI RIFAAQAT HUSSAIN KI


SAB SE SIWA HAI KIS KO HUJJAT HUSSAIN KI
KIS KI NAZARME FARZ HAI TAA-ET HUSSAIN KI
TAKMEEL KIS SE PAAI SHAHAADAT HUSSAIN KI
HAI KOUN YAADGAAR ALI-O- BUTOOL KI
WO KOUN ZI SHARAF HAI NAWASI RASOOL KI

ZEHRA KE BAAD KOU HAIN MAQDOOMA -E- JAHAAN


BABA HAI KIS KA SHAIR-E- QUDA FAQR-E- MURSALAAN
DUNYA ME KIS KE SABR KE QAAEL HAI INS -O- JAAN
MAADAR HIA KIS KI KASHTIYE UMMATH KA BAADBAAN
MARYAM SE KIS KA MARTABA AALAA HAI QALQ ME
MASHHOOR KOU N SAANIYE ZEHRA HAI QALQ ME

NANA KO ROI BAAP KO ROI WO ZIWIQAAR


MAATAM KIYA BUTOOL KA BAA CHASM ASHKBAAR
MOHSIN KI LAASH DEKH KE DIL HOGAYA FIGHAAR
BARSOUN RAHI MUSIBATH-E- SHABBAR ME SOUGWAAR
BACHPAN SE SHUGI USKO RAHA SHOUR -O- SHAIN KA
AAQIR KO DEKHA ZAIB-E- SINAAN SAR HUSSAI N KA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 120 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 121 of 137

PURSA AJEEB ZAINAB-E- NAASHAAD KO MILA


SHABBIR QATL HOOTE HI QAIMA JALAA DIYA
SAR UTAARI SHIMR NE MAASOOMA KI RIDA
BAAZI JAR AOL BOBO LA RASSI ME BANDH GAYA
BALWE ME LAAE BINT-E- SHAH-E- MASHRAQAIN KO
DIL BHAR KE RONE PAAI NA ZAINAB HUSSAIN KO

BABA KO ROYE BACCHE THO ZAINAB UNHEN MANAAYE


SAAMJHA KE APNI GOUD ME SHAB KO UNHEN SULAAYE
SALLI KISI YATEEM KO AAKAR KOI LAGAAYE
YE DEKH KAR QAMOOSH HO SHIKWA NA LAB PE LAAYE
BHAAI KE SAR KE SAATH RAHI ASHDAHAAM ME
SAR NANGE JAAE KOONCHA-O BAAZAAR-E- SHAAM ME

KUCH DIN RAHI WATAN ME JO ZEHRA KI YAADGAAR


PAR THI BAHOT HUSSAIN SE MILNE KO BE QARAAR
THA DUSHMAN-E- IMAAM YAZEED-E- SITAM SHEYAAR
AABED HUWE JO QALD DOBAARA BA HAAL -E- ZAAR
MUMKIN NA THA KE MU RAHE ULFATH ME MOUD KE
ZAINAB RAHE WATAN ME BHATIJE KO CHOWD KE

ZINDAAN SE CHUT KE AAI JO ZAINAB SOO -E- WATAN


ROTI THI JAAKE ROUZE PE QASTHA THAN
GAH FAATEMA KI QABR PE KARTHI THI YE SUQAN
BARDAAD KARBALA ME HUWA AAP KA CHAMAN
SHIKWA NA QAID KA THA NA BAAZAAR -E- SHAAM KA
THA ZIKR BAS HUSSAIN ALAIHIS SALAAM KA

PAHONCHI QAREEB SHAAM KE JIS WAQT QUSH NEHAAD


AANE LAGI ZIYAADAH SHAH -E- BEKAFAN KI YAAD
EK RAAT AAI JIS ME KE DIL KI MILI MURAAD
MISHDAAH AJAL KA QAAB THA SUNKAR THI SHAD SHAD
THI GARCHE USKE DIL KO QUSHI INTEQAAL KI
PAR FIKR THI TO AABED-E BARGASTHA HAAL KI

GUZRI WO RAATH SUBHE SHAHAADAT HUWI AYAAN


JIS BAAGH ME HUWA THA FARO KASH YE KAARWAAN
DUSHMAN NABI KI AAL KA THA US KA BAAGHBAAN
ZAIR-E SHAJAR JO ROTI THI SHAH KO WO NEEM JAAN
AISA SITAM KIYA KE NA PHIR SHAH KE RO SAKI
YUN BAILCHE SE MAARA KE JAANBAR NA HO SAKI

SAJJAD JAB DOBAARA ASEER -E JAFAA HUVEY


SAJJAD JAB DOBAARA ASEER-E JAFAA HUVEY
ZANJEER AUR TOUQ MEY PHIR MUBTELAA HUVEY
ROOHEY RASOOL-E PAAK KO SADMEY SIWAA HUVEY
DARD-O-ALAM BATOOL KO LA INTEHAA HUVEY
GHUL THA KAY PHIR MADINEY KI BASTI UJADDTI HAI
GARDAN MEY TOUQ PAAON MEY ZANJEER PADTI HAI

LIKHA HAI JIN DINOU YEH HUVA ZULM AASHKAAR


GHAR MEY BAHUT ALEEL THI ZAINAB JIGARFIGAAR
PAHUNCHI KHABAR JO QAID KI ABID KAY EK BAAR
UTTHI ASAA KO THAAM KAY BA CHASHMEY ASHKBAAR
AAZAA-E JISMEY PAAK BAHAM KAAMPNEY LAGEY
AAYE JO DAR TALAKH TOH QADAM KAAMPNEY LAGEY

ROYE PHUPI KO DEKH KAY ABID BA HAALEY ZAAR


ITNEY MEY HUKM PAAKAY CHALI FOUJ -E NAABAKAAR
AAGEY TOH QAID JAATEY THEY SAJJAD-E NAAMDAAR
THAA UNKAY PEECHEY NAAQA-E ZAINAB JIGARFIGAAR
UTTA THA DIL MEY DARD QADAM THAR THARAATHEY THEY
MEHMIL KO DEKH DEKH KAY AANSU BAHAATEY THEY

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 121 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 122 of 137

JAB SAB ISI TARHAA SEY HUVEEN MANZIL -E TAMAAM


SEHRA MILAA TAB EK QAREEB-E DAYAAREY SHAAM
DIN CHUPP GAYA NAMOOD HUVI SHAAM TEERAFAAM
US DIN RAYEES-E SHAAM NE SAB SEY KIYE KALAAM
UTTRO YAHEEN KAY RAAHAT -E AAB-O TAAM HO
BEHTAR YEH HAI KAY SHAB KO ISI JA MUQAAM HO

YEH BAAT SUNKAY THAM GAYI SAB FOUJ -E NAABAKAAR


KAMREY KHULEY UTAR PADEY GHODOUN SEY SAB SAWAAR
BISTAR LAGEY BAPAA HUVEY KHAIMEY PHIR EK BAAR
GHUL CHAAR SU HUVA KAY ASEERON SEY HOSHIYAAR
IN KI TARAF SEY KHAUFF HAMEIN BEY SABAB NAHIN
SHAKHJOON GIREY AGAR TOH KUCH ISKA AJAB NAHIN

AL QISSA JIS GHADI KAY NUMAAYAAN HUVI SAHER


LASHKAR HUVA YAZEED KA AAMAADA-E SAFAR
UTTHI WAZU KO KHWAAHAR-E SULTAN-E BEHROBARR
FIZZA NEY JAANEMAAZ BICHAAYI BACHASHMEY TARR
EKKA EK DUM MALOOL SIWAA HUVI JAATI THEEN
ZAINAB NAMAAZ PADDTI THI AUR ROTI JAATI THEEN

FAARIQ HUVEEN DUA SEY JO ZAINAB BA CHASHMEY TARR


FIZZA KO TABH BULAA KAY YEH BOLI WOH NAUHAGAR
YAAN SEY BAHUT QAREEB HAI SUNTI HOON WOH SHAJAR
KHOOLI NEY JIS DARAKHT MEY BAANDHA THA SHEH KA SAR
LEY CHAL WAHAAN PEY FATIMA ZEHRA KI JAAYI KO
RO-UNGI US DARAKHT KAY NEECHEY MY BHAAI KO

UTTKAR QAREEN-E SHAJAR KAY JO PAHUNCHI KUSHAAN KUSHAAN


BEY EKHTIYAAR AANKHON SEY AANSOON HUVEY RAWAAN
AAYA NAZAR JO KHOONEY SAREY SHAH -E NAAGAHAAN
LIPTTEEN SHAJAR SEY KHWAAHAREY SULTAN -E INSO-JAAN
CHILLATI THI KAY JAAN-E HAZEEN NIKLI JAATI HAI
BHAIYYA TUMHAAREY KHOON KI BOOH MUJKO AATI HAI

ROYI BAYAAN KAR KAY JO ZAINAB BA HAALEY ZAAR


MAABAYN-E DASHT-E HAAYE HUSSAINA KI THI PUKAAR
EK BAAGH THA WAHAAN KAY HAR EK GUL THA JISKA KHAAR
THA MOHTEMAM WAHAAN KA TAMEEM -E SITAM SHAYAAR
ZULMAT AYAAN THI KUFR KI US BADH KHISAAL SEY
RAKHTA THA BUGZ DIL MEY MOHAMMED KI AAL SEY

AAYI SADAA JO KAAN MEY RONAY KI EK BAAR


TEORI CHADDHAAYE BAAGH SEY NIKLAA WOH BADHSHIYAAR
DEKHA KAY EK ZAEEFA-E GHAAMGEEN-O SOGWAAR
LIPTEE HUVI DARAKHT SEY ROTI HAI ZAAR ZAAR
RAASHAA HAI TANH MEY RANG BHI CHEHRAY KA ZARD HAI
DUSHMAN BHI RO RAHEY HAI YEH BAATOU MEY DARD HAI

POOCHA YEH ISNEY AAKAY QAREEB -E SIPAAHEY SHAR


AURATH YEH KAUNSI HAI JO ROTHI HAI IS QADAR
BOLA KOYI SHAQI KAY TUJHEY KYA NAHIN KHABAR
ZAINAB YEHI HAI AASHIQ-E SULTAN-E BEHROBAR
MUDDATH SEY SOGWAAR SHAHEY TISHNAKAAM HAI
YEH KHWAAHAREY HUSSAIN ALAIHIS SALAAM HAI

SUNNA THA YEH KAY GHAIZ MEY AYAA WOH BADH ZUBAAN
PAHUNCHA QAREEB-E DUKHTAR-E KHATOON-E INSOJAAN
THA AAHNI JO HAATH MEY EK BAILCHAA -E GIRAAN
MAARA SHAQI NEY FARQ PEY ZAINAB KAY NAAGAHAAN
GHASH AAGAYA ZAMEEN PA THARRAAKAY GIR PADEY
SAR PAR LAGI WOH ZARB KAY TEORAAKAY GIR PADEY

ABID YEH SUNKAY LAASH PA PAHUNCHEY BA CHASHME NAM


CHEHREY KO DEKH DEKH KAY ROYE BASAD ALAM

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 122 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 123 of 137

RO RO KAY GHUSL DENEY LAGEY SARWAR -E UMAM


DEKHEY NASHAAN RASAN KAY JO BAAZU PEY HAI SITAM
BOLEY NISHANI SIPAAH-E NAABEKAAR HAI
BAAD-E FANAA BHI DAAGEY RASAN AASHKAAR HAI

JIS WAQT GHUSL DEY CHUKAY SAJJAD -E DILFIGAAR


TAYYAAR QABR BHI HUVI ITNEY MEY EK BAAR
GO KAAMPTEY THAY ZOUF SEY WOH DAST -E RAASHADAAR
ABID NEY KHUD LAHAD MEY UTAARA BAHAALEY ZAAR
TADPAA JIGAR YEH SHIDDAT-E AAHO BUKAA HUVI
TURBAT JO BANDH KI TOH QAYAMAT BAPAA HUVI

SHEHZADI UMME KULSOOM


UMME KULSOOM KHWAAHAREY ZAINAB
UMME KULSOOM KHWAAHAREY ZAINAB
ZINDAGI BHAR SAHI TU RANJ-O TAA-AB
GHZREY RONEY MEY TERAY ROZ -O SHAB
MAR GAYI GHAM UTTHAAKAY HAAYE GHAZAB
AB ALI-O BATOOL ROTAY HAI
PEET KAR SAR RASOOL ROTAY HAIN

BHAAI KO ROZ-O SHAB JO ROTI THI


MUH KO ASHKOU SE APNEY DHOTI THI
GHAM SEY FURSATH JISEY NA HOTI THI
JAAN RO RO KAY APNI KHOTI THI
WOH JAHAAN SEY GUZARGAYI HAAYE HAAYE
UMME KULSOOM MARGAYI HAAYE HAAYE

YAAD AATEY HAIN TERAY GHAM BIBI


WOH ASEERI WOH QAID KI SAKHTI
TUJH PEY YUN RASH GHAM-O ALAM KI THI
UFF WOH RUDAAD BEY RIDAAYI KI
TUJHKO JAB SEY GHAM-E HUSSAIN MILAA
EK PAL BHI TUJHEY NA CHAIN MILAA

QAID SEY CHUTT KAY JAB WATAN AAYI


SAATH BHAAYI KA APNEY GHAM LAAYI
ZABT KARNEY NA PAAYI DUKH PAAYI
DEKHA JIS DUM MADINA CHILLAAYI
GHAM PEY GHAM HUM UTTHAAKAY AAYE HAIN
SAAREY GHAR KO LUTAAKAY AAYE HAIN

AYE MADINEY HAMEY QUBOO L NA KAR


KATT GAYA TEIGH SEY HUSSAIN KA SAR
CHINN GAYI THI SAROUN SEY BHI CHAADAR
WAPAS AAYE HAIN PHIR KAY HUM DAR DAR
MARTEY DUM TAK YEH GHAM UTTHAANA HAI
AISA AANA BHI KOYI AANA HAI

HUM MUSEEBATH UTTHAAKAY AAYE HAIN


QAID KHAANEY MEY JAAKAY AAYE HAIN
BHAAI BETAY GUNWAAH KAY AAYE HAIN
QABR SHEH KI BANAAKAY AAYE HAIN
SAATH BETAY HAIN AUR NA WAALI HAI
GODIYAAN BIBIYOUN KI KHAALI HAI

BAIN TU NEY KIYE JO ZAAR-O QATAAR


GHAM SEY DIL HOGAYE SABHI KAY FIGAAR
DAAGH THAY TEREY EK DIL PEY HAZAAR
KITHNI PUR DARD THI WOH TERI PUKAAR
KHOON RULAATA THA MARSIA TERA
GHAM SEY DIL CHOOR CHOOR THA TERA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 123 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 124 of 137

HAAYE KAISI ULATT GAYI TAQDEER


GAYI DARBAAR MEY TU HOKAY ASEER
AAKHRI SAANS TAKH RAHI DILGEER
UMME KULSOOM KHWAAHAREY SHABBIR
KARBALA YAAD JAB BHI AATI HAI
YAAD TERI HAMEY RULAATI HAI

WIDAA-E AYYAM-E AZAA


AYE SOUGWAARO AAH-O BUKA KA MUQAAM HAI

GAYE SOUGWAARO AAH-O BUKA KA MUQAAM HAI


AB RUQSATH-E HUSSAIN ALAIHIS SALAAM HAI
MEHMAAN TUMHAARA JAATHA HAI JO TASHNA KAAM HAI
SAR PEETO KHAAK UDAAO KE MAATAM TAMAAM HAI
AB WO SADAA-E HAAE HUSSAINA NA AAEGI
GHAR ME TUMHAARE FAATEMA ZEHRA NA AAEGI

AYE SHAAH-E KARBALA TERI QIDMATH NA HO SAKI


AYE KUSHTA-E JAFAA TERI QIDMATH NA HO SAKI
AYE JAANE FAATEMA TERI QIDMATH NA HO SAKI
MEHMAAN-E- NAINAWA TERI QIDMATH NA HO SAKI
JEE BHAR KE ROSAKE NA YE GARDISH NASEEB KI
MAJLIS YE AAQRI HAI HUSSAIN-E GHAREEB KI

AGLE BARA HUSSAIN MUHARRAM ME AAENGE


BAAQI RAHI HAYAATH THO YE GHAM MANAAENGE
AUR FAATEMA KE LAAL PAR AANSU BAHAAENGE
GAR MARGAYE TOU QABR ME HAM KHAAK UDAAENGE
TAYAAR QAAFELA HAI SHAH-E MASHRAQAIN KA
LO KARBALA KO JAATHA HAI KUNBA HUSSAIN KA

ABBAS-E BAAWAFA ALI AKBAR NA JAAIYE


JHULE KO QAALI CHOWD KE ASGHAR NA JAAIYE
LEKAR BARAATH QAASIM-E BEPAR NA JAAIYE
VEERAN MAKAAN HOTE HAI SARWAR NA JAAIYE
AYE SADAA NA ROWO AZAADAR AAENGE
PHIR AGLE SAAL APNE BHARE GHAR KO LAAENGE

BIN BYAAH NOUJAWAAN ALI AKBAR BHI AAYENGE


NASGJ-E AKAN JE SAATH BARADAR BHI AAYENGE
BAANO KI GODH ME ALI ASGHAR BHI AAYENGE
NOUSHAAH BANKE QAASIM-E BEPAR BHI AAYENGE
ZAINAB KA HAATH THAAME SAKINA BHI AAEGI
EK SHAB KI BYAAHI FATIMA KUBRA BHI AAEGI

ZAINAB KE LAAL BAANDHKE HATHYAAR AAENGE


SOGHRA MAREEZ AABED-E BEEMAAR AAENGE
SHABBAR KE SAATH HYDER-E KARRAR AAENGE
ZEHRA KO THAAME AHMED-E MUQTAAR AAENGE
DIL KYUN NA BEQARAAR HO BINT-E RASOOL KA
MAJROOH AAJ TAK BHI HAI PAHLU BUTOOL KA

BE CHAIN FAATEMA HAI NA AANSU BAHAAO TUM


MAI JAARAHA HOON ROKE NA MUJH KO RULAAO TUM
ZEHMATH NA HO THO MERI ZIYAARATH KO AAO TUM
TURBAT H PE AAKE ASHKOUN KI CHAADAR CHADHAAO TUM
MEHMAAN JO KARBALA ME MERE PAAS AAENGE
UN SAB KI PAISHWAAI KO ABBAS AAENGE

LO ALVIDAA HOTA HAI RUQSATH YE TASHNA KAAM


TUM RORAHE HO MAAH-E MUHARRAM SE SUBH-O SHAAM
KOUSAR PE APNE HAATH SE DOONGA MAI BHAR KE JAAM

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 124 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 125 of 137

RUQSATH HUSSAIN HOTA HAI TUM PAR MERA SALAAM


DONO JAHAAN ME QUSH RAHO AUR SHAAD TUM RAHO
AMMA DUAAEN DETHI HAIN AABAAD TUM RAHO

HAAN AASHIQO HUSSAIN KI AAH-O BUKAA KARO


ZEHRA KA SAATH DO MADAD -E MUSTAFA KARO
HAQQ-E MOHABBATH-E SHAH-E BEKAS ADAA KARO
AB KOOCH HAI HUSSAIN KA MEHSHAR BAPAA KARO
LO AB VIDAA KIJIYO AAL-E RASOOL KO
DO AAQRI HUSSAIN KA PURSA BUTOOL KO

AYE TASHNA KAAM-O BEKAS-O NAKAAM ALWEDAA


AYE MUBTELAA-E HASRATH-O AALAM ALWEDAA
AYE BEKAFAN ALI KE GUL ANDAAM ALWEDAA
MAZBOOH TAIGH-E SHIMR BAD ANJAAM ALWEDAA
MUZLUMIYATH PE AAPKI JAAN APNI KHOENGE
JAB TAK HAI ZINDA AAPKE MAATAM ME ROENGE

AYE SHAH-E KARBALAA-E MOALLA SALAAM LO


HAM BEKASOUN KE WAALI-O MOULA SALAAM LO
AQAA SALAAM LO SHAH-E WAALA SALAAM LO
AYE FAATEMA KE CHAAND HAMAARA SALAAM LO
RUQSATH YE AAQRI HAI DILAFGAAR AAYE HAIN
MOULA SALAAM LO YE AZAADAAR AAYE HAIN

IMAM MOHAMMED-E BAQUAR A.S


BAQUAR BHI THE SHAREEK-E SHAHINSHAAH-E TASHNALAB

BAQUAR BHI THE SHAREEK-E SHAHINSHAAH-E TASHNALAB


SAHRAA-E KARBALA ME UTHAATE RAHE TA- AB
KAM UMR THE TO KYA HUWA MAJBOOR THE YE KAB
ZOUR-E JAWAAN DIKHATE JO HOTI RAZAA-E RAB
HAMJOLI UNKE KAISE LADE IS LADAAI ME
BACH-CHOUN KI DHAAK BANDH GAYI TAIGH AAZMAAI ME

MANZOOR HAQ KO RUKN-E IMAAMATH KA THA QIYAAM


DAFTAR ME AOSIYA KE RAQAM HO CHUKA THA NAAM
THA HUKM-E ZULJALAAL YE HON PAANCHWAA IMAAM
QAAYAM RAHE SHARIYATHE PAIGHAMBAR-E ANAAM
DEEN IMTEHAANE SABR BUZURGOUN KI SHAAN SE
HUJJATH TAMAAM KARKE SIDHAARE JAHAAN SE

HAMD-E QUDA ME KAT-THE RAHE IMTIHAAN KE DIN


SHAAKER HUWA QITAAB-E SHAHINSHAAH-E INS-O JINN
QAYAM THE HILM-E SHAAH KE SAB KORK-O MAIN
HAR RANJ ME RAHA DIL-E AAGAAH MUTMAIN
KEEN BHARA HUWA THA JO QAIB-E HISHAAM ME
TAKLEEF DI BULAA KE MADINE SE SHAAM ME

PAABAND HUKME HAAKIM-E JAABER THA BE ADAB


QEEMATH SE KOI CHEEZ NA DETE THE HAI GHAZAB
FAAQE SE TEEN ROUZ RAHA SARWAR-E ARAB
JIS TARHA KARBALA ME UTHAAYA THA YE TA AB
GUZRE THE WAAN BHI ITNE HI DIN BHOOK PYAAS ME
DIL THA HUJOOM-O HASRATH-O ANDOWH-O YAAS ME

BAAQER KE WAASTHE MARAZUL MOUTH THA WOHI


EIZA-E SAQT KUL KE MADADGAAR NE SAHI
TAQATH NA UTHNE KI SHAH -E ZEEJAAH ME RAHI
BAQSHA PISAR KO AAP NE ROZ -E YADUL LAHI
SADMA AJAB THA JAAFAR-E SAADIQ KI JAAN PAR
JAARI WASIYATEN HUWIN JISDAM ZABAAN PAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 125 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 126 of 137

RONE LAGAA PISAR JO SUNA YE KALAAM -E YAAS


SHAH NE KAHA QUDA HO NIGAHBAAN NA HO UDAAS
RAKHA HUWA HAI JO MERE AHRAAM KA LIBAAS
DENA KAFAN USI SE MUJHE MERA HAQ SHINAAS
NAHLAANA APNE HAATH SE AYE MAHJABEEN HAMAIN
PADHKAR NAMAAZ QABR ME RAKHNA TUMHI HAMAIN

AAWAAZ DERAHA HAI JIGAR GOUSHA-E HUSSAIN


AAJA KE AAJ QULD ME HAI MERA NOOR-E AIN
YE KAHTE KAHTE CHUP HUWE SULTAAN -E MASHRAQAIN
LAQTE JIGAR NE AAH KI AAYA NA DIL KO CHAIN
DEKHA KE HAAL GHAIR HAI SHAAH-E ANAAM KA
QIBLA KI SIMTH KARDIYA CHEHRA IMAAM KA

THA JINKE SAAMNE RUQ-E FARZAND-E MAHLAQAA


AANKHEN WO BAND HOGAIN ANDHAIR HOGAYA
JO DIL RUBAA SE KAHRAHE THE DIL KA MUDDUAA
QAAMOOSH WO ZABAAN AYE WAA MUSIBATAA
KYA KYA THA KARB JIS ME BASAR TEEM DIN HUWE
BEJAAN CHOWTHE ROZ SHAH -E INS-O JINN HUWE

HAI QASD KUCH FAZAEL -E BAQUAR RAQAM KAROON


HAI QASD KUCH FAZAEL-E BAQUAR RAQAM KAROON
TAHREER MOJIZAATEY IMAM-E UMAM KAROON
LIKHNEY MEY MISLEY KHAAMA-E SAR AJZ KHAM KAROON
LAUH-O QALAM KO GEERATEY LAUH -O QALAM KAROON
ANWAAREY MOJIZAAT SEY RAUSHAN KITAAB HO
KHAAMA SHUAA HO TOH WARAQH AFTAAB HO

EK DIN PIDAR KI GODH MEY THA WOH FALAK MUQAAM


EK SHIYA LAYA NAZREY DIRAHEM PAEY IMAM
SAJJAD KAY HUZOOR WOH DIRHAM RAKHEY TAMAAM
DIRHAM SEY KHELNEY LAGAA FARZAND -E NEKH NAAM
KYA AQL DI THI KHAALIQ-E ROZ-E HISAAB NEY
DIRHAM ZAMEEN PEY PHAINK DIYA US JANAAB NEY

TAB DOUD KAR MOHIB NEY DIRHAM UTTHA LIYA


AUR US KO DARMIYAAN-E DIRHAM PAR MILAA DIYA
BAQUAR NEY CHUNKAY PHIR WAHI DIRHAM JUDAA KIYA
TIFLI MEY THI YEH AAP PEY TAAEED-E KIBRIYAA
LIKHA HAI TEEN BAAR YEHI MAAJERA HUVA
US DUM MOHIB KO SHEH KAY TAHYUR BADA HUVA

ABID SEY KI YEH SHIA-E ABID NEY ILTEJAA


IRSHAAD AAP KIJIYEH YEH MAAJERA HAI KYA
SHEH NEY KAHA YEH AADAT -E TIFLI NA JAANTAA
HOGA IMAM BAAD HAMAREY YEH MEHLAQAA
DIRHAM YEH EK GAZBI-O MAAL-E HARAAM HAI
KYUN KAR ISSEY QUBOOL KAREY YEH IMAM HAI

BAQUAR PEY WOH NISAAR HUVAA PAAOON CHOOM CHOOM


TIFLI SEY SHEH KAY ILM-E KHUDA DAAD KI THI DHOOM
BAQUAR KI SHARAA KARTEY HAIN YEH KHAAS AUR AMOOM
YAANI HAI WOH IMAM SHAGAFANDAH-E ULOOM
THA KOI RAAZ-E GHAIB NA SHAH SEY CHUPAA HUA
UQDAA WOH KAUN THA JO NA HAZRAT SEY WAA HUA

LIKHTA HOON AB SHAHADAT -E MAULA-E KHOOSH NIHAAD


THA BAS KAY ZAID IBN-E HASSAN KO HASAD ZIYAAD
RAKHTA THA BUGHZ AAP SEY WOH BAANI -E FASAAD
KARTA THA MAJLISON MEY HIQAARAT SEY SHEH KO YAAD
THA MUNHAREEF WOH BAQUAR-E AALI MUQAAM SEY
KARTA THA ADAA-E IMAMAT IMAM SEY

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 126 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 127 of 137

SOUGANDH KHAAKAY ZAID NEY IS WAQT YEH KAHAA


DAAWAA NA AB KAROONGA IMAMAT KA MUTLEQAA
PHIR SUEY MULK SHAAM WOH MALOON RAWAAN HUVAA
ABDUL MALIK SEY JAAKAY KAHAA SAB YEH MAAJERAA
AAKHIR KO YEH KAHA KAY HAMAAREY GUMAAN MEY
BAQUAR SA AB NAHIN KOYI SAAREY JAHAAN MEY

ABDUL MALIK KO BUGHZ-O KHUSUMATH HUVI ZIYAAD


KYA KYA NA USNEY SHAHEY UMAM SEY KIYE FISAAD
AKHIR IMAM KO YEH LIKHAA AZ RAHEY ANAAD
MAIN BHEJTAA HOON ZAID KO AYE SHAHEY KHUSH NIHAAD
IBN=E HASSAN KO LAAYEQ-E TAKREEM KIJIYEH
TAADEEB KIJIYEH USAY TAALEEM KIJIYEH

AUR EK ZEEN TAABIYE JIS MEY KIYA THA SAM


HUM RAAH ZAID BHEIJAA BARAAYE SHAHEY UMAM
AAYA JO ZAID RUBARU-E SHAHEY BA KARAM
SHAH BOLEY HAI JO QASD TERA JAANTEY HAIN HUM
AEY IBNE AMM YEH ZULMO SITAM TU NEY KYA KIYA
IS ZEEN MEY HAI TAABIYE ZEHR-E DAGAA KIYA

IS ZEEN PAR MY HOTHAA HOON DAANISTA AB SAWAAR


BANDEY KO KYA MASHIYAT-E IZD MEY EKHTIYAAR
BANDHA WOH ZEEN ASP PEY ALLAH REY I NKESAAR
AUR ZAIB-E RAAHWAAR HUVA SHAAHEY BAWAQAAR
MAUT APNI PASAND RAZA-E ILAAH MEY
US ZAHER NEY NAFOOZ KIYA JISM -E SHAH MEY

SHEH NEY MURAAJE-ATH KI SAWAARI SEY AAH JAB


BAS AASHKAAR HOGAYE AASAAR -E MAUT SAB
FARMAAYA TEEN ROZ KAY HUM MEHMAAN HAIN AB
JAFFAR KO LAAO AUR KAFAN BHI KARO TALAB
TALIB KAFAN KAY BADLEY HAIN IS PAIRAHAN KAY HUM
KABEY KA TAWAAF KARTEY THEY JIS KO PAHEN KAY HUM

LAAYE WOH JAAMA HAZRAT-E SADIQ BACHASHM-E TARR


HAZRAT NEY PYAAR KARKAY KAHAA UNKO AYE PISAR
JAATA HOON MAI JAHAAN SEY TU HOTAA HAI BEYPIDAR
DUNIYA SEY AAJ KARTAA HOON UQBAA KA MAIN SAFAR
PYAREY PIDAR KAY MARNEY KA TUM GHAM NA KHAAIYO
MAZLOOMI-E HUSSAIN PEY AANSOO BHAAIYO

IMAM-E JAFAR-E SADIQ A.S


BECHAIN DIL THA HAZRATHE BAQ UAR KI YAAD ME

BECHAIN DIL THA HAZRATHE BAQUAR KI YAAD ME


SAAMAANE GHAM THA FARQ-E PAAK-E ETAQAAD ME
THA JASHN-E EID QAANA-E AHLE ANAAD ME
GOYA BAHAAR AAI THI BAAGH-E MURAAD ME
QUSH THE KE BARWAR-E SHAJAR-E MUDDUAA HUWA
EK TAAZA GUL ALI KE CHAMAN SE JUDAA HUWA

DIN RAATH AHLE SHAR ISI TADBEER ME THE AAH


QAIRUL BASHAR KA NAAM MITAA DEY WO RUSIYAAH
PAR QALQ REH NA SAKTHI THI BE HUJJATH -E ILAAH
BAQSHA QUDA NE JAAFAR-E SAADIQ KO IZZ-O JAAH
JO HAR KUSHAA-E TAQT-E KARAAMATH HUWE HUZOOR
ROUNAQ FIZAA-E TAQT-E IMAAMATH HUWE HUZOOR

QURBAAN MALAK THEY JAFFAR-E SADIQ KI SHAAN PAR


HAAFIZ FIDA THEY MUSHAF -E NAATIQ KI SHAAN PAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 127 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 128 of 137

MAULA TOH JAAN DETAY THEY KHAALIQ KI SHAAN PAR


MAASHOOQ KO BHI NAAZ THA AASHIQH KI SHAAN PAR
QAAIL ZUBAAN HAR EK MUNAFIQ KI HOGAYI
AALAM MEY DHOOM ULFAT-E SADIQ KI HOGAYI

RAAZI QAZAA PEY THA WOH JIGAR BAND -E MURTUZA


KARTA HAI EK SHAKS YEH WASFEY SHAHEY HUDA
BEEMAAR KOYI AAPKA THA TIFL MEHLAQAA
DAULAT SARAA PEY USKI AYAADAT KO MY GAYA
HAZRAT KHADEY HUVEY THEY JHUKA MY SALAAM KO
PAAYA MAGAR UDAAS IMAM-E ANAAM KO

ANDAR GAYE HUZOOR MY TE HRAA RAHA WAHIN


DEKHA YEH WAPASI MEY KAY GHAM KA ASAR NAHIN
MY NE KAHA KAY SHAAD RAKHEY RAB-UL ALAMEEN
SHEHZAADA KHAIRIYAT SEY HAI AYE BAADSHAHEY DEEN
FARMAAYA WOH MAREEZ JAHAAN SEY GUZAR GAYA
LADKAY KA HAAL DEKH KAY AAYA HOON MARGAYAA

POOCHA KAY PEHLEY RANJ THA AB KYUN NAHIN MALAAL


BOLEY HUM AHLEYBAIT-E NABI KA YAHI HAI HAAL
GHAM KA DUM-E NUZOOL BHALAA KARTEY HAIN KHAYAAL
NAAZIL WOH HOGAYI TOH KIYA SHUKR -E ZULJALAAL
TASLEEM KIS TARHA NA RAZA KIBRIYA KI HO
BANDEY KA DAKHL KYA JO MASHIYA KHUDA KI HO

MAASOOM KI QAZAA-E ILAAHI PE THI NAZAR


KYUN KE NA HO HUSSAIN SE SAABER KE THI JIGAR
HAI AASHKAAR HIMMATH-E SHABBIR NAAMWAR
PARDES ME LUTAADIYA AABAAD APNA GHAR
RAAH-E QUDA ME DIL KO SAMBHAALA IMAAM NE
AULAAD ZIBHA HOGAYI AANKHOUN KE SAAMNE

BAQAR KAY LAQTEY DIL KO NA AYA KABHI GHAZAB


TAABAY KHUDA KAY HUKM KA THA SARWAR -E ARAB
KARTA THA SABR NAASIR-E DEEN-E HABIB-E RAB
DETA THA SADMEY AAPKO MANSOOR -E BEY ADAB
FIROUN –E ASR PHIR GAYA FAKHREY KALEEM SEY
KEENA THA SANG SAQHT KO DURR-E YATEEM SEY

REHTHI THI USKO SHAAM-O SAHER FIKR-E QATAL-E SHAAH


JALTHA THA AAFTAAB-E IMAAMATH SE RUSIYAAH
THI AARZU KE QAANA-E HYDER HO PHIR TABAAH
HON BE IMAAM QAADIM-E SULTAANE DEEN PANAAH
SAADAATH MUBTELAA-E BALAA-E AZEEM HO
JAFFAR HO QATL MOOSI-E KAAZIM YATEEM HO

ZAALIM KO BEY GUNAAH SEY MANZOOR THI DAGHAA


MAKKAAR NEY IRAQ MEY AAKHIR TALAB KIYA
KARTA RAHA IRAADA-E QATL-E SHAHEY HUDA
AIJAZ TAAZA DEKH KAY KAR DEYTA THAA REHAA
TEGH-E SITAM NIKALTA THA JAB NIYAM SEY
CHAL SAKTA THA NA ZOR DUA-E IMAM SEY

SADH HALF SANG DIL KO NA KUCH ISKA THA KHAYAAL


MEHMAAN MARAA HAI GULSHAN-E BAQUAR KA NOUNEHAAL
MANSOOR KA BHI TARK-E WAFAA ME WOHI THA HAAL
JAISE YAZEED-O IBN-E ZIYAAD-E ZABOON QHISAAL
KIS TARHA ZAALIMOUN NE SATAAYA HUSSAIN KO
LOOTA BULA KE GHAR SE SHAH -E MASHRAQAIN KO

HAQ KE WALI KA DUSHMAN-E JAANI THA RUSIYAAH


SAB AAFATHOUN SE BACHKE WATAN ME JAB AAYE SHAAH
WO ZULM HOGAYA KE MADINA HUWA TABAAH
ANGOOR ME IMAAM KO DILWAAYA ZAHER AAH
SARWAR-E RIYAAZ-E DEEN KA AJAB HAAL HOGAYA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 128 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 129 of 137

SAR SABZ BAAGH-E DEEN KA PAAMAAL HOGAYA

PAATHE THE JIS SE RIZQ MASAAKEEN -O BE NAWAA


US GHAR ME KHAAK UDNE LAGI WAA MUSIBATHAA
MILKAR PIDAR SE MOOSIYE KAAZIMNE KI BUKAA
HAZRATH NE WAQTHE NAZA JO UNKO WASI KIYAA
HONTOUN PE DAM THA MOUT THI AANKHOUN KE SAAMNE
BULWAAYA SAB AZIZOUN KO USDAM IMAAM NE

NAAGAAH BAND HOGAYI AAWAAZ DARD NAAK


PAHONCHI JAWAAR-E RAHMATH-E QAALEQ ME ROOH-E PAAK
TAIGH-E ALAM SE DIL HUWE BAITOUN KE CHAAK CHAAK
TAR HOGAYA YATIMOUN KE ASHKOUN SE FARSH -E KHAAK
FIKAR KAFAN WASI-E SHAH-E INS-O JAN NE KI
TADBEER-E GHUSL-E SHAAH IMAM-E ZAMAN NE KI

IMAM-E MOOSA-E KAZIM A.S


SAR PEETO AAJ MOOSA -E JAAFAR HUWA SHAHEED

SAR PEETO AAJ MOOSIYE JAAFAR HUWA SHAHEED


IBN-E ALI-O IBN-E PAYAMBAR HUWA SHAHEED
GHURBATH ME AAJ KAAZIM-E BEPAR HUWA SHAHEED
LO MOMINOUN KA SAATHWAAN REHBAR HUWA SHAHEED
PILWAAYA ZAHER BAADEY SHAH-E QAASO AAM KO
HAAROON NE RASHEED NE MAARA IMAAM KO

KIS TARHA SE BAYAAN KAROON ZULM-E AHL-E KEEN


AFSOUS PAITT BHAR KABHI KHAANA MILA NAHIN
FAAQE PE FAAQE KARTHA AHMED KA JAANASHIN
ZINDAAN ME CHOWDAA SAAL THA MAHBOOB -E SHAAH-E DEEN
TAAQATH NA THI ZARAA BHI QAWOOD-O QIYAAM KI
HAALATH YE THI IMAAM ALALHIS SALAM KI

DI UMMATH-E NABI KO NA HAZRATH NE BAD D DUAA


HAR WAQT SHEH KE LAB PE RAHA SHUKR -E KIBRIYAA
SINDI KE TAAZIYAANOUN KI HAR ROZ THI JAFAA
BAHTHA THA KHOON JISM SE ROOHI LAKAL FIDAA
EIZAA-E QAID AISI KISI NE SAHI NAHI
BEDAAD ISTARHA KI KISI PAR HUWI NAHI

AL QISSA ZAHER AAP KO ANGOOR ME DIYA


JIS SE JANAAB-E MOOSA-E KAAZIM NE KI QAZAA
BAAZOUN NE LIKHA HAI YE SHAHADATH KA MAAJRA
PIGHLAAKE SHEESH AAPKO JABRAN PILAA DIYA
KAISEY KAHOON KE HAAL HUWA KYA IMAAM KA
JALKAR HUWA KABAAB KALEJA IMAAM KA

GHUL PADH GAYA KE MOOSIYE KAAZIM NE KI QAZAA


LAASHE KO LAAKE JASR PE AADA NE RAKH DIYA
AUR CHEHRA-E IMAAM SE KAPDA HATAA DIYA
DO ROZ YUN HI LAASH KA CHEHRA KHULA RAHA
THI LAASH BEKAFAN SHAH-E AALI MAQAAM KI
TOUQEER THI YE AAL-E RASOOL-E ANAAM KI

NAZDEEK BHAAI THA, NA PISAR THA, NA BHAANJA


TANHAAI ME YE ZULM-O SITAM WAA MUSIBATAA
DO ROZ TAK TOH JASR PE LAASHA PADHA RAHA
MAYYATH PE RONE WAALA BHI HAI HAI KOI NA THAA
SADME UTHAAKE HAAE JAHAAN SE GUZAR GAYE
GHURBATH ME AAH KAAZIM-E ZEESHAAN MARGAYE

SHIA NISAAR AAP KI GHURBATH K E YAA IMAAM

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 129 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 130 of 137

GHURBATH ME TUM SHAHEED HUWE AYE SHAH -E ANAAM


BE JURM MAARA AAP KO YA SHAH-E QAAS-O AAM
HAAROON NE HAIF KARDIYA KAAM AAP KA TAMAAM
QOUF-E QUDA NA QOUF-E RASOOL-E QUDA KIYA
SHAMMEY HAYAATH AAPKI ZAALIM BUJHAA DIYA

MISL-E TAMAASHAA DEKHTHE HAIN SAARE MARD-O ZAN


HAI ZAIR-E AAFTAAB IMAAM-E HUDA KA TANH
HAAROON KA BHAAI LAASH PE AAYA BASAD MEHAN
HAZRATH KO APNE GHAR SE DIYA QEEMTHI KAFAN
KAAZIM KE PAAS BHEJAA QUDA NE FIDAAYI KO
LEKIN KAFAN MILA NA SHAHE KARBALAYI KO

ZINDAAN-E GHAM THA MOOSA -E KAAZIM KE WAASTHE

ZINDAAN-E GHAM THA MOOSA-E KAAZIM KE WAASTHE


TAAZA SITAM THA MOOSA-E KAAZIM KE WAASTHE
AARAAM KAM THA MOOSA-E KAAZIM KE WAASTHE
BEHAD ALAM THA MOOSA-E KAAZIM KE WAASTHE
CHUT KAR PIDAR SE HAAMIL-E RAJ-O ALAM RAHE
PAABAND HUKM-E HAQ KE IMAAM-E ZAMAN RAHE

BE-DIL THA INQUILAAB-E JAHAAN SE SHAH-E ANAAM


DUNYAA-E DEEN KE NAAM SE NAFRATH HI MADAAM
BESHAK SARAA-E DAHER HAI IBRATH FIZAA MUQAAM
HAI SUBHA KO SABAATH KA KUCH ETEBAAR-E SHAAM
GAR NOOR KA AMAL KABHI ZULMATH KA DOUR HAI
DIN KI KUCH AUR SHAAM KI HAALATH KUCH AUR HAI

PYAARA BAHOT THA JAAFAR -E SAADIQ KO APNA MAAH


HAZRATH KE BAAD ABR-E SITAM NE NA DI PANAAH
NOOR-E QUDA SE PHIR GAYE AADAA-E RU SIYAAH
IZZ-O SHARAF ME SHAH KE NA THI JAA -E ITTEBAAH
DIL MUTMAIN THA RAHMATH -E HAQ KE NUZOOL SE
SEEN BHARA HUWA THA ULOOM-E RASOOL SE

HALLALE MUSHKILAATH KE WAARIS IMAAM -E DEEN


MAALIK HAR AASMAAN KE MUQTAAR -E HAR ZAMEEN
FARMAA RAWAA-E MULKE VILAAYATH KE JAANASHE EN
MASHOOR DO JAHAAN ME JAHAANDAAR JAFTAMEEN
AATHE THE KIS ADAB SE MALAK BAARGAAH ME
HYDER KA TAQT-O TAAJ THA SARKAAR-E SHAAH ME

SAADAATH KO RAYISOUN KO NAAQE KIYE RAQAM


JAAHIL NE BHEJE KHAT ULAMA KO BHI EK QALAM
MAZMOON YE THA KE MAKKE ME AAYE ARAB AJA M
IQRAAR ME KARAM HAI AUR INKAAR ME SITAM
MAANENGE HUKM JINKO ALAAQA HAI DEEN SE
BAIYYATH KARE SAB AAKE MERE JAANASHEEN SE

HARGIZ MUJHE ITHAA- ATHE KAAZIM NAHI QUBOOL


MAIN CHAAHTHA HOON QIAD KAROON UNKO YA RASOOL
RAKHTHA HAI USKI ZAAT KHATAKTHA HAI DIL MALOOL
BARPA HUWA FISAAD TO PHIR USSE KYA HUSOOL
TADBEER WO KAROON MAI KE QISSA HI PAAK HO
AISA NAHO HUZOOR KI UMMATH HALAAK HO

THA ROUZA-E RASOOL ME SULTAAN-E INS-O JAAN


MASHGHOOL THA NAMAAZ ME WO HAADIYE JAHAAN
PAHONCHE MALAAZEMEEN SITAMGAR KE NAAGAHA AN
KYUN KAR MAI ZAALIMOUN KI SHIFAA -ATH KAROON BAYAAN
NARGHA SIYAH KAAROUN NE EKBAAR KARLIYA
US AA HUWE HARAM KO GIRAFTAAR KAR LIYA

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 130 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 131 of 137

HAI HAATH KHAINCHTHE HUWE JAB LE CHALE SHAQI


FARYAAD SHAH NE KI TARAF-E TURBAT-E NABH
ROKAR KAHA KE DEKHIYE QAADIM KI BEK ASI
KYA ZULM MUJH PE KARTHI HAI UMMATH JANAAB KI
DARTHE NAHI YE LOG QUDA -O RASOOL SE
RAKHTHE HAIN BUGHZ NASL -E ALI-O BUTOOL SE

HAAROON KA THA HUKM KE HO QATL-E SHAAH-E DEEN


CHAL SAKTHI THI NA HAAMIL-E BASRA KI TAIGH KEEN
HAALATH WO DEKHTHA THA KE DIL US KA THA HAZEEN
SAJDE ME RAHTHI THI SHAH-E ABRAAR KI JABEEN
KARTHE THE SABR APNE BUZURGOUN KI SHAAN SE
NIKLI NA ZAALIMOUN KI SHIKAAYATH ZABAAN SE

YE KAAR-E SAQT AUR KISI KE SUPURD KAR


WARNA REHA KAROONGA MAI SYED KO BEQATAR
GHABRAAYA PADH KE KHAT KI IBAARATH KO AHL-E SHAR
BAAZ AAYA ZULM SE NA SITAMGAR WO BAD GOHAR
BAASRE SE BEWAFAA NE BULA BHEJA SHAAH KO
BOGHDAAD ME ASEER KIYA BEGUNAAH KO

GHAMQHWAR QAID KHAANE ME THI YA ZULJALAAL


SAJDOUN KO TOOL DETE THE SULTAAN -E QUSH QISAAL
FAAQOUN SE GHUL GAYA THA B ADAN ZOUF THA KAMAAL
UTHNA THA NAAGAWAR NAQAAHAT KA THA YE HAAL
SAMJHA NIGAAH JIS KI PADI JISM-E PAAK PAR
KAPDA PADA HUWA HAI KOI FARSH -E KHAAK PAR

AAQIR TADAP TADAP KE MUSAAFIR GUZAR GAYA


MAZLOOM QAID QAANE KO VEERAAN KAR GAYA
HYDER KE PAAS WAARIS-E QAIRUL BASHAR GAYA
BOGHDAAD ME MADINE KA SULTAN MARGAYA
SAMAAN THA KYA NABI KE YAGAANE KE WAASTHE
MAZDOOR AAYE LAASH UTHAANE KE WAASTHE

IMAM MOHAMMED TAQI A.S


KYA HAAL HO RAZAA KE JIGAR BAND KA BAYAAN
IBN-E RAZA BHI SAALIKAY RAAHEYT RAZA RAHAA
SAJJADAA-E RASOOL PEY SHAGLEY DUA RAHAA
HAR RANJ MEY ZABAAN PA SHUKR-E KHUDA RAHAA
GINTI KAY DOSTDAAR THEY DUSHMAN HAZAARHAA
BADH KHWAAH KITNEY IS QAMR -E MURTUZA KAY THEY
THA EK CHIRAAGH SAINKDO JHONKAY HAWA KAY THEY

KYA HAAL HO RAZAA KE JIGAR BAND KA BAYAAN


PYAARA THA MURTUA KA WO SULTAN-E INS-O JAAN
MOUJIZ NUMA IMAAM-E ZAMAN HAADIYE JAHAAN
AISE WALI KE DAR PE EIZAA THE BADH-GUMAAN
SOUZ-E ALAM SE DIL ME THEY CHAALEY PADEY HUWEY
THE RASHKAY GUL KO JAAN KE LAALE Y PADEY HUWEY

LAANATH QUDA KI MOTESIM NAABEKAAR PAR


BHEJA PAYAAM CHODIYE GHAR AAYIYE UDHAR
DARPAISH AAH PHIR HUWA BAGHDAAD KA SAFAR
PAR IS SAFAR NE MANZIL-E AAQIR KI DI QABAR
MAZOOM KA YE KOOCH WATAN SE AQEER THA
MUSHTAAQ-E KANJ QABR KA WO GOSHAGEER THA

HAMRAAH UMME FAZL BHI THI MOURIDE AZAAB


YASRAB SE JAANE KI THI QUSHI ISKO BE HISAAB
USKA CHACHA THA MOUTASIM-E QAANUMAA’N QARAAB
BAGHDAAD ME PAHONCH GAYE SHAAH-E FALAK JANAAB

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 131 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 132 of 137

TOUQEER ZAAHERI TO BAHUT BEWAFAA NEY KI


PAR FIKR-E QATL-E SHAAH IS AHL-E JAFAA NE KI

BAGHDAAD ME MUQEEM RAHE SAAL BHAR HUZOOR


NAARI YE CHAAHTHA THA KE GUL HO CHARAAGH -E NOOR
WAAQIF THA UMME FAZL KI HAALAT SE PUR FUTOOR
RAKHTHI THI BUGHZ RAHBAR-E AALAM SE BE SHAOOR
ZAALIM KE MASHVAREY SE WO KHIRSAND HOGAYI
KAHNE PE MOTASIM KE RAZA MAND HOGAYI

YE BEY MURAWWATI YE SITAM YE GHAZAB YE QAHAR


WO BEKASI IMAAM KI WO DOOR APNA SHAH ER
DEKHEY TOH AHLE DIL KHALASH KHAAR BAAGH-E DAHAR
ANGOOR RAAZAQI MEY DIYA FAAQAKASHI ME ZEHAR
LE KARWATEIN ALI-O WALI KO PUKAAR KE
AAZAA-E PAAK SOOJ GAYE DIL FIGAAR KE

RONE LAGI WO DEKH KE HAZRATH KA HAAL -E ZAAR


FARMAAYA AAP NE KAY ABAS HAI TOH ASHKBAAR
IS AARZEY SEY DEGAA SAZAA TUJHKO KIRDAGAAR
JIS KA KOI ILAAJ NAHI AYE JAFAA SH IYAAR
DETI JAWAAB KYA SAR-E MALOONA JHUK GAYA
DAM SHAAHEY DEEN KA ZAHER KE SADME SE RUK GAYA

TAKLEEF PAAI CHAND SHAB -O ROZ JAAN GHUSUL


TAASIR-E SAM SE AAG THI SEENE ME MUSHTIAAL
WOH KARB-O JIGAR KI HARAARATH WO H DARD-E DIL
HOTA GAYA RASOOL KA DILDAAR MUZM AHIL
HAAKIM NE KI MADAD NA TAWAJJO H TABEEB NE
AAQIR SAFAR KIYA SUYE JANNAT GHAREEB NE

KUMLA KE RAHGAYA GULE TAR BUTURAAB KA


MURJHAYA NOUNEHAAL RISAALAT MAAB KA
DEKHA JAWAANE MARG NE RANG INQILAAB KA
WO MAUT BEKASI KI WOH MAUSAM SHABAAB KA
KYUN PEER CHARKH JAAYE TA SAF HAI YA NAHI
KAMSIN IMAAMOU ME KOI AISA HUWA NAHI

ANJAAM IS TARHA BHI KITAABOUN ME HAI RAQAM


SHIYOUN NE AAP KE JO SUNA YE NAYA SITAM
ROTHE HUWE GAYE SAR-E TASLEEM KARKE KHAM
MAYYATH KO BAHER-E GHUSL UTHAYA BA CHASHMA NAM
SEENOUN KO APNE QASTHA JIGAR PEETNEY LAGE
AMAAMEY PHAINK PHAINK KE SAR PEETNEY LAGE

NAHLAAYA IS MUSAAFIR-E DAARUS SALAAM KO


BHAR AAYE DIL KAFAN JO PINHAAYA IMAAM KO
TAABOOT ME LITAAKE SHAH -E QAAS-O AAM KO
PURSA DIYA ALI KO RASOOL-E ANAAM KO
NAALE TAWAAF KARTHEY THEY ARSHE MAJEED KA
MAATAM KIYA UTHAAKE JANAAZA SHAHEED KA

JIS JAA THI QABR MOOSIYE KAAZIM FALAK WIQAAR


PAHLU ME IS LAHAD KE KHUDA DOOSR A MAZAAR
POSHEEDA ZAIR-E KHAAQ HUWA NOOR-E KIRDEGAAR
HASRATH PUKAAR TI THI KEY IS SHAAN KE NISAAR
TAAQEER DAFN SE BHI SHARAF AASHKAAR HAI
YE WAARIS-E HUSSAIN GHAREEB UD DAYAAR HAI

IMAM ALI UN NAQI A.S


KIS UMR ME ALI -E NAQI BE PIDAR HUWE

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 132 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 133 of 137

KIS UMR ME ALI UN NAQI BE PIDAR HUWE


BACHPAN ME DIL PE CHOTT LAGI NOUHAGAR HUWE
YASRAB ME JAANASHEEN-E SHAHEY BEHROBAR HUWE
YE WAARIS-E BIZAA- ATEY QAIRUL BASHAR HUWE
ILM-O AMAL KO MAAN LIYA SHAIQ-O SHAAB NE
KYA KAMSINI ME PAAYI BUZURGI JANAAB NE

CHARQE NEHUM IMAAM-E DEHUM KA MAQAAM HAI


PUSHTO PANAAH ARSH-E BAREEN INKA NAAM HAI
HAR CHAAR SIMT MADHDAH-O SANAA-E IMAAM HAI
TASBEEH SHASH JAHATH KI DUROOD-O SALAAM HAI
NAARI HAI JO KAHE KE YE NOORE QUDA NAHI
ANWAAR QAMSAA-E NAJBAA SE JUDAA NAHI

AYE DOOR CHARQ-E RAAH YE KAISA HAI INTEZAAM


QAAMOSH KYUN RAHOON KE SHIKAAYATH KA HAI MAQAAM
RAHNE NA PAAYE CHAIN SE ISTARHA SE IMAAM
QAYAM MAQAAM ISKAY HUVEY DUSHMANEY IMAM
(WO DOUR ZAALIMOUN KA WO WIZAAEN SUBH -O SHAAM)
FARZAND PAR RASOOL KE UMMATH JAFAA KARE
PURSAA NA JAB KOI HO TO MAZLOOM KYA KARE

TAYYAR QATL PAR MUTAWAKKIL RAHA MADAAM


MAJBOOR RAHGAYA WO ADU-E SHAH-E ANAAM
PAHONCHA SAFAR ME CHODD-KE YE KAARTHA TAMAAM
QAAYAM MAQAAM USKE HUWE DUSHMAN-E IMAAM
FURSAT MILI NA DILBARE SHAIR-E ILAAH KO
TADBEER MOTEMADH SE MILA ZAHR SHAAH KO

WO QALQ KA MASEEH HUWA SAAHEBEY FIRAASH


BE HISS THA JISM FARSH PE GOYA PADI THI LAASH
KUNJ-E LAHAD KO GOSHA NASHEEN KO HUWI TALAASH
SURAAQ DIL ME THA TOH KALEJA THA PAASH PAASH
AATEY THEY HAAL DEKHNE BAASHINDEY SHAHER KE
PO-THA RAZA KA MARTHA THA SADME SE ZAHER KE

RAAVI BAHUT SE HAASHMI IS KAY HAI LA KALAAM


JIN MEY HAI EK KA HASAN IBN-E HUSSAIN NAAM
AAYA JO ROZ REHLAT-E SHAAHEY FALAK MAQAAM
SEHNEY MAKAAN MEY FARSH PEY THEY JALWAGAR IMAM
MAJMA BAHUT THA SYED-E ZIJAAH KAY QAREEB
MARDAM THEY JAMAA YAK SAD-O PANJAAH KAY QAREEB

NAGAAH ASKARI NAZAR AAYE HAMEY UDAAS


DAKHIL HUVEY MAKAAN MEY AYAAN CHEHREY SEY THI YAAS
PABAND HAZAN KHAAK GAREEBAAN O BEYHAWAAS
DAHNI TARAF KHADEY HUVEY AAKER PIDAR KAY PAAS
KIS HAAL MEY HAIN KOUN YEH HAIN JAANTEY NA THEY
HUZZAAR-E ANJUMAN INHEY PEHCHAANTEY NA THEY

NOOR-E NAZAR KO DEKH KE HAZRATH NE YE KAHA


KAR SHUKR KIRDAGAAR KA AYE MERE ME HLAQAA
HAADAS EK AMR TERE LIYE HAQ NE HAI KAHA
RONE LAGA YE SUNTE HI WO RAAZIYE RAZA
BOLA KE SHUKR MARHAMATH -E ZULJALAAL HAI
DE APNI NEMATEY YE QUDA SE SAWAAL HAI

POOCHA KISI NE TAB HUWA MAALOOM SAB KO HAAL


YE HAIN HASSAN JANAAB-E ALI UN NAQI KE LAAL
ZAAHER HUWA JO UMR KI JAANIB KIYA QAYAAL
HOGA QAREEB BEES BARAS KA YE QUSH JAMAAL
SAMJHE ISHAARE HAM YE KALAAM-E IMAAM KA
HAI JAANASHEEN YAHI SHAH-E AALI MAQAAM KA

ROTA RAHA WASI-E SHAHINSHAAH-E BEHROBAR


SA-ATH WO AAYI SAR SE UTHAA SAAYA-E PIDAR

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 133 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 134 of 137

SAAMERE SE JINAAN KI TARAF HOGAYA SAFAR


HAE HAE CHUTTAA MUSAAFIR-E YASRAB SE YE BHI GHAR
GHUL PADH GAYA WAFAATHE GHAREEBUL WATAN HUWI
SAAMAANEY GHUSL KA HUWA FIKR-E KAFAN HUWI

IMAAM-E HASSAN-E ASKARI A.S


SHORA JAHAAN ME HASSAN -E ASKARI KA HAI

SHORA JAHAAN ME HASSAN-E ASKARI KA HAI


NAQSHA NAGEEN YE ARSH KI ANGUSHTARI KA HAI
KONAIN ME YE GUL CHAMAN -E HYDERI KA HAI
DURR-E YATEEM MAADAN-E PAIGHAMBARI KA HAI
MAZLUMIYATH MISAALEY JANAAB-E HUSSAIN HAI
AUR DABDABE ME FAATAHEY BADR-O HUNAIN HAI

PAR MOTAMAD NE QAIR KIYA WAA MUSIBATHA


AISE WALI KO ZAHER DIYA WAA MUSIBATHA
EMAAN KE GHAR KO LOOT LIYA WAA MUSIBATHA
KHOONE JIGAR HARAM NE PIYA WAA MUSIBAT HA
PHAADA KAFAN ALI NE NABI NANGE SAR HUWE
BACHPAN ME HAAE MAHDI-E DEEN BE PIDAR HUWE

ARWAAHE PANJETAN KO SATAAYA HAZAAR HAIF


JANNATH ME MUSTAFA KO RULAAYA HAZAAR HAIF
TURBATH SE FAATEMA KO UTHAAYA HAZAAR HAIF
QABR-E SHAH-E NAJAF KO HILAAYA HAZAAR HAIF
GHUL SAAMERE ME HOTA THA JIS WAQT BAYN KA
YAAN KARBALA ME HILTHA THA MARQAD HUSSAIN KA

HAIRAAN THE ZAAERIN-E HUSSAINI KE KYA HAI AAJ


KYUN ZALZALE ME QABR-E SHAH-E KARBALA HAI AAJ
MAHSHAR MIYAANE GANJ-E SHAHEEDAAN BAPAA HAI AAJ
AATHI HAI YE SADAA HAMAY SADMA BADAA HAI AAJ
ZAQMI BADAN KO MEREY ADOO NE HILAA DIYA
PO-THEY KO MEREY ZAHREY HALAHAL PILAA DIYA

HAIRATH HAI KYUN ZAMEEN PE NA ARSHE ULAA GIRAA


IS ZULM SE AMMAAMA-E MUSHKIL KUSHAA GIRAA
ABBASIYOUN PE KYUN NA FALAK JAABAJAA GIRAA
BAALAA-E KHAAK TAAJ-E RASOOLE QUDA GIRAA
SAR APNA KHOLE SOG ME AAL-E RASOOL NE
JANNATH ME SAR SE PHAINK DI CHAADAR BATOOL NE

LIKHA HAI JAB IMAAM HUWE AAZIM-E JINAAN


EK DAFAA SAAMERE ME QAYAAMATH HUWI AYAAN
DOULATH SARAA-E SHAAH SE AANE LAGI FUGHAAN
LO MOMINO YATEEM HUWE S AAHEB-UZ ZAMAAN
SAR GARM ZULM CHAAROUN TARAF BAD QISAAL HAI
AUR HAIF HAI KE MAHDI-E DEEN QURD SAAL HAI

SAAYA NA BAAP KA NA KOI BHAAI SAATH HAI


SAR PAR IMAAM-E ASR KE BAS HAQ KI ZAATH HAI
IS BEPIDAR KI SIMTH KISE ISTEQAATH HAI
AB SHARM AHLE BAITH KI ZEHRA KE HAATH HAI
LAASHE KE GIRD SHOUR JO NOUHE KA HOTA THA
MASOOM PHOOT PHOOT KE BABA KO ROTA THA

AB IS TARHA SE AHLE KHABAR KARTHE HAI BAYAAN


MAATAM SARAA ME BIBIYAAN KARTHI THI YE FUGHAAN
NAHLA CHUKE JO LAASHA-E MOULAA-E DO JAHAAN
KAFNAAYA USKO RAKHTAY MUTAHIR KE DARMIYAAN
AAWAAZ AAI FAATEMA KE SHOUR-O SHAIN KI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 134 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 135 of 137

SAB SHIYAA ROYE BEKAFANI PAR HUSSAIN KI

INHIDAAM-E JANNATUL BAQHI


JAAN-E NABI-O QAASA-E DAAWAR HAI FAATEMA

JAAN-E NABI-O QAASA-E DAAWAR HAI FAATEMA


KUCH SHAK NAHI HAI SHAFA-E MAHSHAR HAI FAATEMA
SIBTAIN-E ZEEWIQAAR KI MAADAR HAI FAATEMA
AFSOS AAJ BEKAS-O BEPAR HAI FAATEMA
JANNATH ME CHAIN HOEGA KYUNKAR RASOOL KO
TODAA HAI BAQDIYOUN NE MAZAARE BUTOOL KO

DIN AAJ HI KA THA YE QAYAAMATH HUWI BAPAA


TAARIQ AATHWEEN THI MAHINA YAHI TO THAA
AADA NE DHAA DIYA LAHED-E BINT-E MUSTAFA
HAIRATH AHI KYUN JAHAAN ME NA MAHSHAR BAPAA HUWA
NAAZIL AZAAB UNPE ILAAHI SHITAAB HO
BE DEEN QOUM-E BAQT KA QAANA QARAAB HO

ZINDA RAHEEN TO BAAP KO RONE NAHI DIYA


MAHROOM JAAEDAAD-E MOHAMMED SE KAR DIYA
DARWAAZE KO GIRAAYA TO MOHSIN NE KI QAZA
PAHLU SHIKASTHA HOGAYA ZULM AISA HUWA
RAAHATH NA DI HAYAATH ME BINT -E RASOOL KO
MISMAAR AAJ KAR DIYA QABR-E BUTOOL KO

KYA ZULM KAR GAYE KE NAHI JIS KI INTEHA


KAABE KO TOU-DA QABROUN KO MISMAAR KAR DIYA
ALLAH AHLEBAITH SE KYA UNKO BUGHZ THA
MARNE KE BAAD BHI YE SITAM WAA MUSIBATHA
YA RAB GIRAADE BAGHDIYOUN PAR AASMAAN KO
DIKHLAADE QAHER APNA TOO AHLE JAHAAN KO

ZINDA RAHIN TO DUKH ME HAMESHA HUWI BASAR


ZEHRA NE CHAIN PAAYA NA DUNYA ME EK PAHER
BAAD-E RASOOL KHALL GAYI APNI JAAN PAR
UMMATH SE TANG HOKE JAHAAN SE KIYA SAFAR
KI THI YE FAATEMA NE WASIYATH IMAAM SE
DAFNAANA SHAB ME MUJH KO CHUPA KAR AWAAM SE

QABREN BHI THI BANAAI ALI NE KAI JAGA


THI ISME MASLEHATH BADI SHAK KI NAHI HAI JAA
BINT-E RASOOLE PAAK KO AADA SE QOUF THA
QAANI NA KHOWD DAALEN LAEEN QABR -E SAYYEDA
AFSOS ISKA HAI YE BAQDI NA MARGAYA
US WAQT JO NA HOSAKA WO AAJ KAR GAYA

AYE QABRE SYEDA TERI RAHMATH KE MAI NISAAR


AYE QABRE SYEDA TERI IZZATH KE MAI NISAAR
AYE QABRE SYEDA TERI AZMATH KE MAI NISAAR
AYE QABRE SYEDA TERI GHURBATH KE MAI NISAAR
AADA NE MARTABA TERA JAANA NA HAIF HAI
AQWAALE MUSTAF KO BHI MAANA NA HAIF HAI

KIS MU SE YE KAHOON KE MITI QABRE SYEDA


TOWDI GAYI MAZAARE HASSAN WAA MUSIBATHA
ZAINUL ABA WO BAAQER WO JAAFAR KI QABR KA
HAI HAI NISHAAN BHI KOI BAAQI NAHI RAHA
IS ZULM KI NAZEER TO AYE AASMAAN NAHI
SAADAATH KI BH QABROUN KA NAAM-O NASHAAN NAHI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 135 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 136 of 137

AEY CHARKH TERAY ZULM KI KUCH INTEHA NAHIN

AEY CHARKH TERAY ZULM KI KUCH INTEHA NAHIN


YE SACH HAI KI KISI SEY BHI TUNEY WAFA NAHIN
LEKIN BATAADEY KYA TUJHEY KHAUFF-E KHUDA NAHIN
YA FATIMA SEY BHI TUJHEY SHARM-O HAYAA NAHIN
ZEHRA KI QABR NAJDIYON NEY HAIF DHAADIYA
SACH TOH YEH HAI KAABA-E EEMAAN GIRA DIYA

KAABEY KO DHAYA MARQAD-E ZEHRA JO DHAADIYA


KAABA NAHIN THA ARSH-E KHUDA THAA GIRA DIYA
YEH ZULM WOH HAI JISKI NAHIN KOYI INTEHA
PARWARDIGAAR AZMAT-E ZEHRA KA WAASTA
NAAZIL BALAA HO UNPEY KOYI AASMAAN SEY
JALDI MITA DEY NAJDIYON KO TU JAHAAN SEY

JAAN-E RASOOL KHAASA-E DAAWAR WOH FATIMA


SHOHAR HAI JISKA SAAQIYE- KAUSAR WOH FATIMA
SHABBIR-O MUJTABA KI JO MAADAR WOH FATIMA
PEHLU PEY JISKAY HAAYE GIRAA DAR WOH FATIMA
TALWAR AUR PEHLU-E ZEHRA HAZAAR HAIF
PUSHTEY MUBARAK AAPKI DURREY HAZAAR HAIF

THI PAANCH SAAL KI KAY KHATIJA NEY KI QAZAA


MAADAR KA SAAYA SAR SEY UTTHA WAA MOHAMMADA
ATTHAARWEEN BARAS MEY PIDA R SEY HUVI JUDA
JHEYLI MUSEEBATEIN WOH NAHIN JISKI INTEHA
ZINDA RAHI TOH BAAP KO RONA NAHIN MILA
BAAD-E RASOOL CHAIN SEY SONA NAHIN MILA

BAIT-UL HUZAN KO JAATI THI ZEHRA PAEY BUKA


AFSOS US JAGAAH KO BHI UMMAT NEY DHAA DIYA
SAAYE MEIN BAITTHNA BHI GAWAARA NAHIN HUVA
YEH QADR FATIMA KI HUVI WAAH MOHAMMADA
KAISEY KAROON BAYAAN JOH ZULM -O SITAM HUVEY
BAHER SHUMAAR SEY HAIN WOH RANJO ALAM HUVEY

KYUN MOMINOU KALEJA TUMHARA NA MUH KO AAYE


DARWAZA FATIMA KAY SHIKAM PAR GIRAAYA HAAYE
SADMEY SEY JISKAY HAZRAT-E MOHSIN WAFAAT PAAYE
YEH SYEDA NEY BAAP KI UMMAT SEY DUKH UTTHAAYE
AALAM MEY IS TARAH SEY KISI PAR JAFA NA HO
MAZLOOMA FATIMA SI KOI YA KHUDA NA HO

SUNTEY HO MOMINEEN TOH KARTA HOON MY BAYAAN


BARBAADIYE QUBOOR AAIMAA KI DAASTAAN
QABR-E HASAN PEY BAANDHI HAI AADA NEY BAKRIYAN
OONTON KO LEKAY JAATEY HAIN HAR WAQT SAARBAN
KI SHARM KUCH KHUDA SEY NA USKAY RASOOL SEY
ALLAH SAMJHEY JALD YEH QAUM-E JAHOOL SEY

RANJ-O ALAM KI DIL PEY GIREY KYUN NA BIJLIYAN


MASJID ALI KI GOSH KI DUKAAN AL-AMAAN
QABR-E KHATIJA PEY TOH BARASTI HAI GOLIYAN
IS WAASTEY KAY FATIMA ZEHRA KI THI YEH MAA
UMMAT NEY KHOOB QADR-E RISAALAT MAAB KI
QABREIN BHI AHLEBAIT KI HAI HAI KHARAAB KI

JI CHAHTA HAI KAAT KAY MARJAYEIN KHUD GALAA


MOULOOD NABI KA HOGAYA AFSOS MAZBALA
KIS MUH SEY YEH KAHOON KAY HUVEY ZULM AUR KYA
QABR-E BATOOL-E PAAK KO KACHREY SEY BHAR DIYA
KACHREY MEY ROZ AAG LAGATEY HAIN HAIF HAI
BINT-E NABI KI QABR JALAATEY HAIN HAIF HAI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 136 of 137
EK SOORE FATEHA - RAHEEMUNISA BEGUM D/O TAFFAZUL ALI MARHOOM KE LIYE Page 137 of 137

YAARO BATHAAO ZULM KI KUCH INTEHA BHI HAI


UMMAT KO AAH PAAS-E RASOOL-E KHUDA BHI HAI
BADDKAR KOI JAHAN MEY IS SEY JAFAA BHI HAI
QABRON MEY HAIF AAG LAGAANA RAWAA BHI HAI
HAQ KI QASAM NA RAHEM SEY YA SHAH KAAM LO
YA MUSTAFA LAHAD SEY UTTHO INTEQAAM LO

HUM DEKHEIN QABR-E FATIMA MITJAAYE HAIF HAYE


ZEHRA KI QABR AAG SEY JALJAYE HAIF HAYE
SHIYON KO SUNKAY BAAT YEH CHAIN AAYE HAIF HAYE
MOMIN GALAA NA KAAT KAY MARJAAYE HAIF HAYE
DHOLEY YEH HAAT JEENEY SEY INKA YEH KAAM HAI
SAADAT KO TOH DEHAR MEY REHNA HARAAM HAI

EK SOORE FATEHA – JUMLA MARHOOM MOMINEEN N MOMINAATH KE LIYE Page 137 of 137

Das könnte Ihnen auch gefallen