Sie sind auf Seite 1von 9

ASTAGHFAR

SAHIH HADEES SE
“Jo shaks koi bura kaam kar bethe ya apne haqq me
zulm karle phir Allah se astaghfar kare to wo Allah ko
bakhashne wala, meherbaani karne wala payega.”
– Qu’ran (4:110)

Compiled by: Binte Ishaq (+Binte Hussain)


https://instagram.com/hadees.in.roman?igshid=18cl3f1txv8xx
• Astagfirullah
Rasool Allah (Sall Allahu alayhi wasallam) ne farmaya:
“Khushkhabri hai us shaks ke liye jo apne naama aamaal me
kasrat se Istaghfaar paaye.”
[Ibn Majah 3818 | Hasan]

• Astaghfirul lahal azeema-l lazi la ilaha illa


huwa-l hayya-l qayyuma wa-aatubu ilahi
Rasool Allah (Sall Allahu alayhi wasallam) ne farmaya:
“Jo shaks kahe – Mai maghfirat mangta hoon Allah Rabb ul
Izzat se jis ke siwa koi mabood bar haqq nahi hai, Jo zinda
hai aur har cheez ka nigahbaan hai aur mai Usi se tawbah
karta hoon – To uski maghfirat kar di jaaegi chahe wo
lashkar (ya fauj) se bhag hi kyun naa aaya ho.”
[Tirmidhi 3577 | Hasan]

• Astaghfirullah wa aaotubu ilahi – 100


times
Rasool Allah (Sall Allahu alayhi wasallam) ne farmaya:
“Mai to har roz Allah Ta’ala se 100 baar astaghfar aur tauba
karta hoon.”
[Ibn Majah 3815 | Hasan]
• Allahumma-ghfirli warhamni wa-aafini
warzuqni
Rasool Allah )‫ (ﷺ‬ke paas ek shaks aaya aur bola: “Ya Rasool
Allah, mai kyaa kahun jab apne Rabb se mangun?” Aap )‫ (ﷺ‬ne
farmaya: “Kaho – Aey Allah mujhe baksh dijiye, mujh par
rehem kariye, meri hifazat kariye aur mujhe rizk ata
farmaiye – aur Aap )‫ (ﷺ‬in kalmo ko farmate waqt ek ek
ungli band karte jaate the to sab band kar leen sirf anghoota
rah gaya. Aap )‫ (ﷺ‬ne farmaya: “Ye kalme dunya aur Akhirat
dono ke faede tumhare liye ikhatte kar denge.”
[Sahih Muslim 2697]

• Allahumma-ghfirli warhamni wahdini


wa-aafini warzuqni
Ibn Malik (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke:
“Jab koi musalman hota to Rasool Allah )‫ (ﷺ‬usko namaz
sikhate phir in kalmo ke saath duaa karne ko kehte – Aey
Allah mujhe baksh dijiye, mujh par rehem kariye, mujhe
seedhi rah par chalaiye, meri hifazat kariye aur mujhe rizk
ata farmaiye.”
[Sahih Muslim 2697]
• Rabbi aghfirli waaotub ilayya innaka anta
tawwabur raheem
Abdullah ibn Umar (Radhi Allahu Anhu) kehte hain:
“Hum gina karte the Rasool Allah )‫ (ﷺ‬majlis me – Aey mere
Rabb mujhe baksh dein, meri tauba qubool farma len, Aap
hi tauba qubool farmane wale aur rehem karne wale hain –
100 baar kehte the.”
[Ibn Majah 3814 | Sahih]

• Rabbighfirli Rabbighfirli
Hudaifah ( Radhi Allahu Anhu) kehte hain ke:
“Rasool Allah )‫ (ﷺ‬dono Sujood ke darmiyaan ye kehte the –
Aey Rabb mujhe baksh dein, Aey Rabb mujhe baksh dein.”
[Sunan an Nasaai 1145 | Sahih]

• Subhanakalla humma rabbana wa


bihamdika Allahumma aghfirli
Aisha (Radhi Allahu Anha) ne farmaya ke:
“Rasool Allah )‫ (ﷺ‬aksar rukuh aur sajde me ye padha karte
the – Aap sabse mahaan hain, aey Allah, hamare Rabb, aur
sab tareef aap hi ke liye hai. Aey Allah! Mujhe baksh dein.”
[Sahih Bukhari 817]
• Allahumma aghfirli zanbi kullahu dikkahu
wa jillahu wa awwalahu wa akhirahu wa
alaniyatahu wa sirrahu
Abu Hurairah (Radhi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke:
“Rasool Allah )‫ (ﷺ‬sajda me ye duaa karte the – Aey Allah!
Baksh dein mere sab gunaho ko, thode ho ya bohot, awwal
ho ya akhir, chupe ho ya khule.”
[Sahih Muslim 483]

• Allahumma inni zalamtu nafsi zulman


kasiran, wala yaghfiruz-zunuba illa anta,
faghfirli maghfiratan min indika warhamni,
innaka antal Ghafur ur Rahim
Abu Bakar Siddique (Radhi Allahu Anhu) ne Rasool Allah )‫(ﷺ‬
se kaha ke: “Mujhe esi duaa sikha dijiye jisey mai apni
namaz me padha karun.” Aap )‫ (ﷺ‬ne farmaya ke: “Ye kaha
karo – Aey Allah, mai ne apni jaan par bohot zulm kiya hai
aur gunaho ko Aap ke siwa koi maaf nahi karta to meri
maghfirat kar dein, esi maghfirat jo Aap ke paas se ho aur
mujh par rehem karein, beshak Aap bade maghfirat karne
wale, bade rehem karne wale hain.” [Sahih Bukhari 6326]
• Astagfirullah Astagfirullah Astagfirullah
Allahumma antas salamu wa minkas
salamu tabarakta dhal-jalali wal-ikram
Thauban (Radhi Allahu Anhu) ne kaha ke:
“Rasool Allah )‫ (ﷺ‬jab apni namaz se farigh hote to teen baar
astaghfar karte aur kehte – Aey Allah, Aap salamati wale
hain aur Aap se salamati hai, Aap ba Barkat hain, Aey azmat
aur izzat ke Maalik.”
Walid ne kaha: “maine Auza’I se pucha astaghfar kese hai?”
Kaha: “Astagfirullah kehte yaani Mai Allah se maghfirat
mangta hoon.”
[Sahih Muslim 591]

• Allahumma inni asalukal affaw wal


afiyah
Aisha (Radhi Allahu Anha) ne farmaya:
“Agar mujhe maloom ho ke Laylatul Qadr ki raat konsi hai to
mai Allah se bakshish aur tuhafuz mangungi.”
[Sunan an Nasaai al Kubra 10714 | Hasan]
• Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta,
khalaqtani wa ana ‘abduka wa ana ‘ala
‘ahdika wa wa’dika, mastata’tu a’uzu bika
min sharri ma sana’tu, abu’u laka bi
ni’matika ‘alaiya, wa abu’u laka bi zanbi
faghfirli, fa innahu la yaghfiruz-zunuba illa
anta
Rasool Allah (Sall Allahu alayhi wasallam) ne farmaya ke:
"Syed al Istighfar (Allah se maghfirat mangne ka sab se afzal
tareeka) ye hai ke yun kahe – Aey Allah, Aap mere Rabb hain, Aap
ke siwa koi mabood nahi. Aap ne hi mujhe paida kiya aur mai Aap
ka hi banda hoon. Mai apni takat ke mutabik Aap se kiye gaye ahad
aur wadah par qayam hoon. Un buri harkaton ke azaab se jo maine
ki hain Aap ki panah mangta hoon. Mujh par nematein Aap ki hai is
ka iqrar karta hoon. Meri maghfirat karden ke Aap ke siwa aur koi
bhi gunah nahi maaf karta.”

Phir Rasool Allah )‫ (ﷺ‬ne farmaya: “Jis ne is duaa ke alfaaz par


yakeen rakhte hue dil se in ko keh liya aur usi din us ka inteqaal
hogya shaam hone se pehle to wo Jannati hai aur jis ne is duaa ke
alfaaz par yakeen rakhte hue raat me inko padh liye aur phir us ka
subha hone se pehle inteqaal hogya to wo Jannati hai.”
[Sahih Bukhari 6306]
• Subhanaka Allahumma wa Bihamdika wa
ashhadu an la ilala illa anta astaghfiruka
wa atubu ilayka
Rasool Allah )‫ (ﷺ‬ne farmaya: “Jo shaks kisi majlis me bethe
aur us se bohot si laghu (be mayne) aur behuda batein ho
jaayen aur wo apni majlis se uth jaane se pehle padh le –
Paak hain Aap aey Allah, aur sab tareef Aap ke liye hi hai,
mai gawahi deta hoon ke Aap ke siwa koi mabood bar haqq
nahi, mai Aap se maghfirat chahta hoon aur Aap ki tarah
rujuh karta hoon – to us ki us majlis me us se hone wali
laghzish (khata) maaf kar di jayengi.”
[Tirmidhi 3433 | Sahih]

• Allahumma-ghfir lihayyina wa mayyitina


wa shahidina wa gha'ibina wa zakarina wa
unsana wa saghirina wa kabirina
Awf bin Malik (Radhi Allahu Anhu) kehte hain ke:
“Maine Rasool Allah )‫ (ﷺ‬ko ek mayyat par namaz padhte suna, to
maine suna ke Aap )‫ (ﷺ‬uske liye duaa me ye keh rahe the – Aey
Allah, hamare zinda aur murda ko, hamare hazir aur gayib, hamare
mard aur aurat, hamare chote aur bade sab ko baksh dein.”
[Sunan An Nasai 1986 | Sahih]
KUCH DUSRE ASTAGHFAR:
• Allahumma-ja’lni khayran mimma yazunnuna, wa-ghfir li
ma la ya’lamuna, wa la tu’akhizni bima yaqulun
Aey Allah, mujhe us se behtar bana dein jo wo mere bare me
sochte hain aur mujhe un baton ke liye maaf kar dein jin ko
wo mere baare me nahi jaante aur mujh se un baton ka
hisaab naa lein jo wo mere bare me kehte hain hain.

• Allahumma innaka afuwwun tuhibbul afwa fa’fu annee


Aey Allah, Aap sabse zyada bakhashne wale hain, maaf karne
ko pasand karte hain, isliye mujhe maaf farmaiye.

• Allahumma ighfir li
Aey Allah, meri maghfirat farmaiye.

• Allahumma-ghfir lil muslimina wal muslimati wal


muminina wal muminati al ahya-I minhum wal-amwati
Aey Allah, baksh dein musalman mard aur aurat ko, aur
momin mard aur aurat ko, zinda aur murda sab ko.

• Allahumma rahatan wa maghfiratan wa husna khatima wa


jannatan arzuha-s samawati wal-arzi
Aey Allah, hamein sukoon, maghfirat, ek accha anjaam (maut), aur
ek baag aasmano aur zameen jitna wasee (jannat) ata farmaiye.

Das könnte Ihnen auch gefallen