Sie sind auf Seite 1von 14

Is masly mein mudai shia hainmudai k zimy suboot hota hai shia ne Quran se sabit karna tha k kissi

Nabi ka apna kamaya huwa zati


maal ya tarka unki sab oulad mein bator-e-wirasat poora poora taqseem huwa ho

1. Is silsily mein aap hazraat ne pehli misaal Hazrat Zikria (A.S) wali pesh ki Allah Taala farmata hai (Surah Maryam no. 19, Ayah 2 6) Ye tumhary parwardigar ki mehrbani ka byan hai jo us ne apny bandy zikria par ki thi (2) Jab unhon ne apny parwadigar ko dabi awaz se pukara (3) aur kaha k aye mery parwardigar meri haddian burhapy k sabab kamzor ho gai hain aur safaid balon ki waja se chamkany laga hai aur ay mery parwardigar main tujh se maang kar kabhi mehroom nahi raha (4) Aur main apny baad apny bhai bandon se darta hun aur meri bivi banjh hai phir b mujhe apny pas se aik waris ata farma (5) Jo meri aur aal e Yaqoob ki miras ka waris ho, aur aye mery parwardigar us ko khush ikhlaq banaio (6) Quran mein koi b cheez bemaqsad nahi haiin ayaat ka maqsad kya hai yahan per? jesy k Allah ne khud farma dia k ye us ki mehrbani ka zikar hai jo us ne apny bandy per ki, is se agey wali ayaat ko dekhen to Hazrat Maryam (A.S) ka zikar milta hai, us se agey dekhen to Hazrat Ibrahim (A.S) ka zikar milta haiHazrat Zikria ko us omar mein beta dia jis mein hum soch b nahi sakty, Hazrat Maryam ko baghair shadi k beta dia jis ka tassawur b nahi kiya ja sakta aur Hazrat Ibrahin ko b Hazrat Zikria (A.S) ki tarah jab wo borhy ho chuky thy to beta diaIn ayaat mein Allah ye bata raha hai k wo jo chahy kar sakta hai Ab aty hain hain wirasat ki tarafLafz wirasat ne aap logon k dimag pe kafi asar dala hai jis jaga b aap ko lafz waris nazar ata hai aap log foran bhagy hamary pas aty hain k ye dekho waris ka zikar hai Quran mein Bhaio us dua ko dekhen us mein waris maangny k baad ye b wazaahat kar di gae hai k waris kis cheez ka ho Jo mera aur aal-e-Yaqub ka waris hokis ka? Mera aur Aal-e-Yaqub ka waris hoMatlab meri aal ka aur Aal-e-Yaqoob ka Ab dekhty hain k kya Hazrat Zikria (A.S) k pas koi aisa maal tha b ya nahi jis k liye kissi waris ki zarurat hoti Is baat pe hum sab ka itifaq hai k Hazrat Zikria (A.S) peshy k aitbar se barhae (Carpenter) thy jo sara din apni haddian peal kar bamushkil 2 waqt ki roti kama sakty thy, Jo shakhs sari zindagi apni haddian peal kar bamushkil 2 waqt ki roti he kama sakta tha usy kis wirasat ka dar ho ga k kahin ye mery rishtadaron k hath na lag jayechand ouzaron k siwa tha he kya un k pasThori der k liye apni aqal se shiaat ka parda hata kar sochenwaris kis cheez ka manga ja raha hai is ki wazaahat to dua mein b ho chuki hai

Agar thori der k liye ye soch b lia jaye k un k pas aisa koi maal tha jis ka wo waris maang rahy thy, to bhaio ye Peghamber pe ilzam ho ga kyun k Peghamber sirf apni zarurat k mutabik apny pas rakhty hain baqi ghareebon mein sadqa kar dety hain jo humen is baat ka sabaq dety hain k duniawi chezen akathi karny mein na lagy rehna warna tum dunia k he ho kar reh jao gayKitna bara bohtan ho ga ye un per agar hum ye kahen k un ko dunia k maal ki fikar thi k kahin ye chin na jaye

2. Aap Hazraat ne doosri misaal Hazrat Suleman (A.S) wali pesh ki Allah Taala Farmata ha (Surah Naml No. 27, Ayah No. 16) Aur Suleman daoowd k qaim muqam huye, aur kehny lagy k logo humen Allah ki taraf se parindon ki boli sikhai gai hai aur har cheez inayat farmai gai hai, beshak ye us ka khas fazal hai

Yahan b shia hazraat ko lafz waris nazar aya aur wo ochalny lagyLakin aap yahan b apni baat sabit karny mein nakam rahy Nabi, Imam ya Badshah k qabza mein jo maal ya jaidad hoti hai us ki 2 Qismein hain (1) Mamlooka Khas (2) Mamlooka Hukoomat Mamlooka khas wo hai jis k hasil karny mein Nabuwat o Imamat o Badshahat k mansab ka kuch dakhal nahi hotaJesa k yahan Hazrat Daoowd (A.S) ka zikar hai wo zarra bana kar moash hasil karty thy, ya Badshah Aurenzeb Alamgir hai wo Quran likh kar basar karty thy, ye amdani un ki zati amdani thi is per har tarah ka un ka ikhtiar tha Doosri mamlooka hukoomat hai..Jesa k Hazrat Daoowd (A.S) k maqbooza elaqy Hazrat Suleman (A.S) k qabzy mein aye Is doosri qisam mein wirasat jari nahi hoti balky jo shakhs Peghambari, Imamat ya Badshahat ki hasiyat se Jansheen hota hai wohi is ka malik ya matwalli hota hai Hazrat Suleman (A.S) apny baap Hazrat Daoowd (A.S) k waris bany.Jaidad mein se Hissa nahi mila balky jo kuch b tha sab k waris banyHazrat Daoowd (A.S) ki 100 bevian aur 300 londian thin, agar un ki oulad ko dekha jaye to humen pata chalta hai k un k 18 bety thy...Ye kesy ho sakta hai k sari jaidad ka waris aik he bety ko bana dia jaye Aik shakhs jo 70 sal tak ibadat karta raha us ne koi b gunah nahi kiya lakin akhri waqt mein wo wasiyat mein zara si b na-insafi kary ga to wo jahanum mein jaye ga

Aap apny maqsad k liye ye daleel laye lakin ye to hamary haq mein ja rahi hai Hum kehty hain k Nabi k baad un ki jo mamlooka Hukoomat jaidad hai wo un k jansheen ko mily gi aur un k baad un k jansheen ko ye silsila aisy he chalta rahy gaHazrat Suleman (A.S) Hazrat Daoowd (A.S) k Jansheen bany aur Jo kuch b tha un ko milaAisy he Hazrat Abu Bakr (R.A) Hazrat Muhammad (S.A.W) k Jansheesn bany aur un ki Jo b Mamlooka Hukoomat jaidad thi un k Jansheen k pas gai, un k baad un k Jansheen k pas aur ye silsila chalta raha
Ye to sabit ho gya k 124,000 Nabion mein se kissi b Nabi ka apna kamaya huwa zati maal ya tarka unki sab oulad mein bator-e-wirasat poora poora taqseem nahi huwa

Ab Aaty hain us Hadees ki taraf jis pe aap logon ko aitraz hai

Ahle Sunnat Wal Jamat pe Aitraz karny se pehly Ahle Sunnat wal jamat k mazhab k mutaliq waqfiyat zaruri haiZakireen-e-Ahle Tashii jab apny Usool e mazhab se nawakif hain to Ahle Sunnat k Usool kyun kar samaj sakty hainJanab Ahle Sunnat Wal Jamat ka Asal-al-Usool ye hain k Hadees ki sehat ya zaif, ravi ki sehat ya zaif per moqoof hai, Agar Hadees ka ravi Zahi Al Aqeeda, sacha aur Sahih Hafiza wala hai ti us ki rivayat ko sahih mana jaye ga warna rivayat zaeed kehlaye gi Is Hadees mein aik ravi Muhammad Bin Muslim hai jisy Ibn-e-Shahab b kehty hain Ibn-e-Shahab Ahle Tashii ki Usool-e-kafi mein beesion jaga riwaitien karta nazar ata hai, aur Ahle Tashii ki Faroo-e-Kafi ne to is ki riwaiton k balboty per Kitab ki sahakal ikhtiar ki haiTo Bhaio Ahle Tashii k is qadar Mash-hoor aur maroof, kaseer ul riwait admi ki riwait se Ahl e Sunnat per ilzam aiyd karna aur aima-e-sadiqeen ko jhutlana ajeeb fikr-o-nazar haiAgar Ahle Tashii k ravion ki riwaayat Ahle Sunnat ki liye Qabl e tawaja hotin to phir Bukhari aur Kafi Kuleni mein kya fark tha, Aap ki mazeed tassali k liye Ibne Hashaam Sahib ko Kitab e Mantahi Ul Maqaal Ya Rijaal Bu Ali Seena Mein Shion ki saf mein benaqab betha huwa dikhaty hainDekho kitab Rijaal Bu Ali Seena jahan saf likha huwa hai k IBN E SHAHAB SHIA HAITo Fidak ka jagra ab to khatam karoHum ibne Hasham ko acha samjhty agar ghar k bhedi ye bhed na kholty to Ahle Sunnat Wal Jamat Ghareeb itny mazloom hain k in k mazhab k khilaf agar koi shia b riwayat kary to is ko Ahle Sunnat per batoor e ilzam pesh kiya jata haiAur shia is qadar ba-ikhtiar hain un apni kitabon se Aima-e-Masoomeen ki sanad se koi hadees byan ki jaye to un ko ye kehny mein tamil nahi hota k ye Imam Akely riwayat karty hain, un k sath koi doosra shahid nahi lehaza ye khabar ajiz hai aur qabl e aitbar nahi HUM AAH B KARTY HAIN TO HO JATY HAIN BADNAAM WO QATAL B KARTY HAIN TO CHARCHA NAHI HOTA Aap hazraat ne khutba-e-fidak pesh kiya Is khutby ki riwayt ka darja maloom karny k liye is k ravion k bary mein janna zaruri hai, is khutba mein aik ravi Muhammad Bin Ishaq nazar ata haiIs ravi k mutaliq Allama Ibne Hajar Asqlani ne Tehzeeb Ul Tehzeeb Nami kitab mein yun likha haiYe kitab asma e rijal mein aik bohat aham aur sab se bari kitab hai Ye ravi Salma Bin Fazal k Ustaad hain, Ye Salma Bin Fazal Al Barsh Al Ansaari ko Inbe Hajar Asqlani ne Tehzeeb mein shia likha hai, In ka poora naam Muhammad Bin Ishaq Bin yasaar Bin Hayyar hai (Tehzeeb Ul Tehzeeb Vol. 9, Page 41) Imam Malik (R.A) ne farmaya k Muhammad Bin Ishaq Dijjalon mein aik dijjaal haiIs per Mukhtlif Biddda,at Ijaad karny ka ilzam lagaya gya haiMoosa Bin Haroon ne kaha k maine Muhammad Bin Abdullah Nameer se suna k Muhammad Bin Ishaq Qadria thaMemoni ne Ibne Moeen se naqal kiya, ye zaeef tha aur Imam Nisai ne

isy Laees Baqvi KahaIs k baraks agar hum doosri riwayaat ko dekhen to humen pata chalta hai k Bibi Fatima (R.A) ka khamosh rahin Yehi wo ravi hai jo Hazrat Ayesha (R.A) k Mutaliq Riwayat karta hai k unhon ne Huzoor (S.A.W) k intiqal per matam kiya Aisy ravi se riwayat Ahle Sunnat k liye kesy qabl e qubool ho sakti hai? Ley dey kar in k pas kuch aisi he naqabl e hujjat Ahaadees hainJab Hadees khud Ghair Maqbool hoi to is se istadlal aur Hujjat ko kon kawi aur qabl e amal kahy ga Ab Fidak pe baat karny ki koi zarurat to nahi rahi lakin aap k shakook o shubhat door karny k liye mazeed kuch baat kar lety hain Jahil aur anparh aur nawakif logon ko fidak k qisy gharh kar sunana aur un ko Aimae-Sadiqeen k Sareeh Ghair Mubham aur wazeh Irsahadat se munharaf karna chor do Ghaor se suniye Fidak k mitaliq Usool-e-Kafi Page 351 Fidak Rusool Allah (S.A.W) ka tha kyun k is ko Hazrat Rusool Allah (S.A.W) ne Fateh kiya tha aur Ameer ul Momineen ne jin k sath aur koi nahi tha, to is ka naam fai nahi ho sakta is ka naam anfaal hai Ab ye tehqeeq k is ghazwah mein Hazrat Ali Sath aur koi sahabi na tha waqif-e-haal hazraat per chorty hainSardast sirf itni guzarish karty hain k Kafi ki Tashreeh se itna to wazeh ho gya k Fidak fai nahi tha balky anfaal tha to ab anfaal k mutaliq Hazrat Jafar Sadiq (R.A) ka wazeh aur khula faisla mulahiza farma len Usool-e-Kafi Page 352 Imam-e-Aali Muqam Anfal ki tareef aur is ka hukam farmaty hain k anfaal wo hota hai jis ka hasool foj kashi k sath na ho ya dushman jang k masalehat per pesh kary ya wesy koi qom kissi hukoomat-e-islamia ko apny ikhtiar se dey ya wo zameen jo lawaris ghair abad chali ati ho ya dariaon aur pahari naalon ka pait ho to ye sab anfaal hainHuzoor (S.A.W) k zamana-e-aqdas mein anfaal k wahid maalik Rusool Allah (S.A.W) thay, aap k baad jo Imam aur khalifa ho ga wo he maalik ho gaJis tarah chahy is ko kharch kary Issi tarah Faroo-e-Kafi Page 626 Mulaheza farmayn aur Usool-e-Kafi Page 351 Per b Fidak ko anfaal sabit kiya gya haiTo fidak ka anfaal hona sabit ho gya haiTo Fidak ka anfaal hona jab tasleem kar lia gya aur anfaal k mutaliq ye tasleem kar lia gya k Imam aur Khalifa is k tassaruf mein mukhtar e aam hai, Aur Hazrat Ali

ka Khulfa e Rashideen k hath per bait karna sabit hai aur Hazrat Imam e Aali Muqam Syedna Hussain (R.A) ne ghair

mustahiq khalifa k hath per bait na karny ka fatwa gayamat tak na mitny waly naqoosh k sath dey dia hai Aap logon ki tassali k liye ab us aitraz pe b baat kar lety hain jo aap log karty hain k Hazrat Abu Bakr (R.A) ne khilaf e Quran baat ki
We do not leave inheritance. What we leave behind is charity. (Sahih Muslim, Kitab al-Jihad) We, the Prophets, do not leave heirs. (Musnad Ahmad) This is confirmed in Shia Hadith as well. Shia Hadith in Al-Kafi, the most reliable of the four Shia books of Hadith, on the same matter: The Prophets did not leave dinars and dirhams as inheritance, but they left knowledge. (al-Kafi, vol. 1 p. 42-43) This Shia Hadith in Al-Kafi has two separate narrations, and is considered Sahih by the Shia. The narrators of this tradition are all reliable and trustworthy. The father of Ali ibn Ibrahim [namely Ibrahim ibn Hashim] is not only reliable, [but in fact] he is one of the most reliable and trustworthy narrators. (source: Khomeini, al-Hukumat al-Islamiyyah, p. 133, published by Markaz Baqiyyat Allah al-Azam, Beirut)

Quran humen batata hai k aik admi jo ghareeb hai wo ZAKAT k liye eligible hai

Jab k Hadees hamen batati hai k Rusool (S.A.W) ki family ko zakat leny ki ijazat nahi beshak wo kitny he ghareeb kyun na hun Ye Haqeeqat to shia k liye qabl e qubool hai k Rusool (S.A.W) ki family ko zakaat leny ki ijazat nahito is mein humein kya pareshani hai agar Hadees ye kahy k Rusool (S.A.W) k baad un ki wirasat un k rishatadaron ko nahi di jaye gibalky sadqa ho gi Kahin waja Bughz e Sahaba (R.A) to nahi? Ye dono Rules Hadees se liye gaye hainAur is Hadees ki tasdeeq aap ki Usool e Kafi b kar rahi hai Ab aap pochen gay k Rusool (S.A.W) ki maali wirasat kyun nahi? Aap ye bateyn k Rusool (S.A.W) ki family ko zakat kyun nahi? Dar Haqeeqat Islam bary onchy maqasad ley kar is dunia mein aya tha, Rusool (S.A.W) ne jo tariqa-eHukoomat riwaj dia tha us mein ameer e milat ya Hakim e Aala ki wirasat ka sawal he paida nahi hota thaAlbata agar Rusool (S.A.W) agar apny baap ya dada se koi jaidad paty aur ye jaidad Nabi ki hasiyat se nahi aik aam admi ki hasiyat se un ko milti to baat alag hotiYe mumkin tha balky yaqeenan aisa hota

k Rusool Allah ye jaidad bech kar mustahiq musalmano ko khila dety aur wisaal k waqt apny pechy kuch chor na jaty aur bagh-e-fidak aur khayber k baaz zameen to Rusool Allah (S.A.W) ko musalmaano ka hakim hony ki hasiyat se mili thi aur agar wo zameenen apni beti ya apny nawason ya doosry azizon k liye makhsoos kar jaty to un mein aur dssory hukamranon mein kya fark rehta 124,000 Peghambron mein se aik Peghamber ki misaal nahi milti k un ki oulaad mein maali wirsa taqseem huwa ho Jesa k oper wazeh ho gya hai k Quran e Pak mein Hazrat Suleman (A.S), Daoowd (A.S), Zikria (A.S) aur Aal e Yaqub (A.S) k waris banny ka jo zikar hai wo ilm e Nubuwat ki wirasat hai na k Maali wirasat ka Hazrat Suleman (A.S) aur deegar Anbia ki yehi wirasat Huzoor (S.A.W) ko miliPhir Huzoor (S.A.W) se (Shia aqaid k mutabiq) Aima e ahle bait koTafseel k liye mulahiza ho (Usool e Kafi Vol.1, Page 225, Kitab Fazlul ilm, Baab analaima wirsatul ilm Page 222, Bab Halaat e Aima Page 38, Bab analaima wirsu ilm nabi Page 243) Hazrat Abu Bakr (R.A) ne sahi Hadees pesh kiImam Jafar sadiq ne b yehi farmaya k Anbia ki wirasat darham o dinar nahi hoti, ilm e nubuwat hoti hai (Vol. 1, Usool e Kafi Page 43)

Agar baqol shia Ye sirf hamary Peghamber (S.A.W) ne nirala dastoor nikala k zindagi mein jis sahib zadi k ghar fikar o faka pasand karty aur badan se zewar b utarwa lety thay (Jala Ul Ayun Page 110) Bad az wafat sirf 75 din ya 6 maah ki zindagi k liye Bagh e Fidak jesi waseeh jaidad ya nisf dunia k barabar (Jabal Ohad ta Areesh e misr aur gosha e samandar se domat ul jandal tak, Kafi Page 355) Naam kar gaye hun..Jab k maal e anfaal Quran ne musarif ka haq bataya hai aur agar wirasat ho b to Azwaj e Mutahrat aur Deegar rishtadaron ka b haq banta hai2, 2 maheny tak ghar mein aag na jalany waly aur pait per pather bandhny walyMain tum se ajar nahi mangta hun na banawat karta hun ka elaan karny waly Zahid tareen Peghamber e Azam (S.A.W) se is bara aur bohtan nahi ho sakta jo 15, 17 Hazar rupay mein Khoon e Ahle Bait ki lori bechny waly naam nihaad shian e Ali se fidak e Hazrat Fatima (R.A) ki aar mein Ahle Bait e Nabvi (S.A.W) par lagaya haiAgar Hazrat Abu Bakr (R.A) ne is haq se Hazrat Fatima (R.A) ko mehroom rakha to Hazrat Hassan (R.A) aur Hazrat Ali (R.A) ne apny ehad e Khilafat mein Kyun na dia? Kya ye b zalim o ghasib thay? Jesa k us Hadees jis k ravi ki haqeeqat wazeh kar di gai hai us mein hai k Bibi Fatima (R.A) jawab sun kar ghussa ho gain aur Hazrat Abu Bakr (R.A) se tarak e mulaqat kiya aur wafat tak na bolin Bibi (R.A) ne aik sawal kiya jis ka jawab ye suna k Rusool (S.A.W) ne farmaya k Anbia ki mali wirasat nahi hoti, ye sun kar wo khamosh rahin aur wahan se chali gain, is dialogue k baad wo kuch nahi bolin to aap ya hum kon hoty hain bolny waly, un ki sunnat pe to hum amal ka rahy hain na k aap logDusra sawal ye k wo ghussa hoinWo faisla sun kar upset hoin lakin is ka ye matlab hargis nahi k faisla ghalat huwa hai remember When Angel of Death came to Musa (A.S) to take his life , which is a TASK assigned to him, Musa alihissalam Slapped the Angel of death such that his EYES came off. Now Its not in the capacity(Impossible) of Angels to do anything wrong, they do only what is Told by Allah SO then if Angels cant do anything wrong , WHY DID Musa Alihissalam got Angry ?? and not Just ANGRY he Slapped such that his eyes came off .. So because Musa (A.S) got Angry can we say ANGEL did WRONG !!!! - which is ABSURD because as per defination of Angels they cannot do anything wrong

Hazrat Abu Bakr (R.A) ka jawab ye tha k main kissi b aisy kaam ko nahi chor sakta jisy Aap (S.A.W) karty rahy hun gay, darta hun k gumrah na hun jaon Wazeh ho k Hazrat Abu Bakr (R.A) aur ussi tarah Hazrat Omer, Usman, Ali, Hassan (R.A) b sunnat Peghamber k mutabiq kharch karty aur ahle bait ko rashin dety thy, Sahaba (R.A) se bhary majmy mein qasam dey kar Hazrat Omer (R.A) ka hazreen se pochna aur Hazrat Ali aurAbbas (R.A) se poch kar un sab se is baat ki tasdeeq karana k Huzoor (S.A.W) aik sal ka kharach apny ahle bait ko is maal se dety thy aur baqi deegar ki kharach ki jaghon mein kharach karty thy Hazrat Abu Bakr (R.A) ne kaha k main Huzoor (S.A.W) ka khalifa hun aur main in malon ko ley kar wohi amal kiya jo Huzoor (S.A.W) ne kiya thaPhir Hazrat Abu Bakr (R.A) ki wafat hoi to Hazrat Omer (R.A) Khalifa bany aur unhon ne b apny daor e khilafat mein wohi amal kiya jo Huzoor (S.A.W) karty thy, Yahan tak k Hazarat Ali aur Hassan (R.A) ne b aisy he kiya Aam morakheen k elawa Nehj Ul Balagha k morakheen b Hazrat Abu Bakr (R.A) ka yehi amal likhty hain Hazrat Abu Bakr (R.A) Ghala aur deegar amdani in malon ki lay kar ahle bait ko poora kharch dey dety aur deegar khulfa b is k baad issi taor karty (Vol 2, Page 760, Faiz Ul Islam az Syed Ali Naqvi) Aur wo ye k wo kuch mily ga jo Rusool (S.A.W) se mila karta thaHuzoor (S.A.W) fidak se tumhari khurak lia karty thy aur baqi taqseem kar dety thy aur jihad mein sawarian faraham karty thytery liye main Allah ko gawah kar k kehta hun k main fidak mein wohi karun ga jo Rusool Khuda (S.A.W) kiya karty thyHazrat Fatima (R.A) is Moahida per khush ho gain aur wada pukhta ley liaHazrat Abu Bakr (R.A) fidak ka ghala ley kar ahle bait ko itna dey dety jo un ko pora hota phir doosry khulfa b issi tarah karty rahy(Nehjulbalagha 332) Ghaor farmayn k jab Hazrat abu Bakr (R.A) shia tasreehat k roshni mein Sunnat Nabvi (S.A.W) k mutabiq Hazraat e Ahle bait ko poora kharch dety thy aur Hazrat Fatima (R.A) is per razi b ho gai thin aur moahida b ho gya tha aur sunni tasreehat k mutabiq ye amwal ahle bait k tassaruf o wilayt mein rahyPata nahi 1400 saal tak jhagra kis baat per hai MUDAI SUST GAWAH CHUST ki misaal is per sadiq aati hai Kya ye sirf firqa parasti aur Abu Bakr (R.A) ki dushmani ka aina dar nahi? Shias claim It is not possible that she did not know that Prophets dont leave inheritance except knowledge once when prophet asked what s Best for woman to the collection of Sahaba raziallhutalaajmaeen, maul ali went and asked Fatima tuzzuhra raziallhutalaanha she replied that no one sees her and she sees no stranger , this reply was told to prophet peace be upon him and he acknoledged that she understood it the best. SO HERE MAULA ALI did ask inspite of being Bab-UL-ILM It was as simple as , she went for what she considered to be her Inheritance right, when she was reminded she returned , and SHIAS made issue out of it. for a Piece of land she wud be upset with him for all her Life , YE martaba samjee hai aap Ale Rasool ka ? and considering shias Argument : before she asked her inheritance she was not UPSET WHICH also says she DID noT OBJECT HIS CALIPHATE which is now shia religion

Fadak or Caliphate ?

which is HIGH priority ?? Maula Alis bieng 1st Caliphate , as per SHIAS if that is not accepted nothing is of any value . SO when the BIGGEST HAQ was already taken , she shud have not been speaking to him for THat reason , instead of a piece of LAND .Yet we see entire shia books(Historians ) recording She was upset due to FIDAK !!! When Fatima asked for Fadak from Abu Bakr and he refused to give it to her, she returned full of anger that could not be described and she was sick; and she was angry with Maula Ali because he refused to help her. (Al-Majlisis Haqq-ul-Yaqeen, pp.203-204; also recorded in Al-Tusis Amali, p.295)

Das könnte Ihnen auch gefallen