Sie sind auf Seite 1von 9

Aankh Se Aankh Milaata Hai Koi Author: admin MAY 12 Aankh Se Aankh Milaata Hai Koi Dil Ko Khinche

Liye Jaata Hai Koi Vaa-E-Hairat Ke Bhari Mahfil Main Mujh Ko Tanha Nazar Aata Hai Koi Chahiye Khud Pe Yaqeen-E-Kaamil Hausla Kis Ka Badhaata Hai Koi Sab Karishmaat-E-Tasavvur Hai Shakeel Varna Aata Hai Na Jaata Hai Koi

0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Ai Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya Author: admin MAY 12 Ai Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya Yun To Har Shaam Ummeedon Main Guzar Jaati Thi Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya Kabhi Taqdir Ka Maatam Kabhi Duniya Ka Gila Manzil-E-Ishq Main Har Gaam Pe Rona Aaya Jab Hua Zikr Zamaane Main Mohabbat Ka Shakeel Mujh Ko Apne Dil-E-Nakaam Pe Rona Aaya 0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Bana Bana Ke Tamanna Mitaai Jaati Hai Author: admin MAY 12 Bana Bana Ke Tamanna Mitaai Jaati Hai Tarah Tarah Se Wafa Aazmaai Jaati Hai Jab Un Ko Meri Mohabbat Ka Aitbaar Nahin To Jhuka Jhuka Ke Nazar Kyon Milaai Jaati Hai Hamare Dil Ka Pata Vo Hamain Nahin Dete Hamari Cheez Hami Se Chupaai Jaati Hai Shakeel Duuri-E-Manzil Se Naummeed Na Ho Manzil Ab Aa Hi Jaati Hai Ab Aa Hi Jaati Hai 1 Comment Filed under: Shakeel Badayuni Bas Ik Nigaah-E-Karam Hai Kaafi Agar Unhen Pesh-O-Pas Nahin Hai Author: admin MAY 12 Bas Ik Nigaah-E-Karam Hai Kaafi Agar Unhen Pesh-O-Pas Nahin Hai

Zaahe Tamanna Ki Meri Fitrat Asir-E-Hirs-O-Havas Nahin Hai Nazar Se Sayyad Dur Ho Jaa Yahan Tera Mujh Pe Bas Nahin Hai Chaman Ko Barbaad Karane Waale Ye Aashiyaan Hai Qafas Nahin Hai Kisi Ke Jalwe Tadap Rahe Hain Hudood-E-Hosh-O-Khirad Ke Aage Hudood-E-Hosh-O-Khirad Ke Aage Nigaah Ke Dastaras Nahin Hai Jahan Ki Nayarangiyon Se Yaksar Badal Gai Aashiyaan Ki Surat Qafas Samajhti Hain Jin Ko Nazarain Vo Dar-Haqiiqat Qafas Nahin Hai Kahan Ke Naale Kahan Ki Aahen Jami Hain Un Ki Taraf Nigahain Kuch Is Qadar Mahv-E-Yaad Hoon Main Ki Fursat-E-Yak-Nafas Nahin Hai Tasavvur-E-Ishrat-E-Guzishta Ka Husn-E-Taasir Allah Allah Vahi Fazaayain Vahi Hawaain Chaman Se Kuch Kam Qafas Nahin Hai Kisi Ke Be etanaaiyon Ne Badal Hi Daala Nizaam-E-Gulshan Jo Baat Pahle Bahaar Main Thi Wo Baat Ab Ke Baras Nahin Hai Ye Buu-E-Sumbul, Ye Khaanda Gul Aur Aah! Ye Dard Bhari Sadain Qafas Ke Andar Chaman Ho Shaayad Chaman Ke Andar Qafas Nahin Hai Na Hosh-E-Khilvat Na Fikr-E-Mehafil Ayaan Ho Ab Kis Pe Haalat-E-Dil Main Aap Hi Apnaa Ham-Nafas Hoon Mera Koi Ham-Nafas Nahin Hai Karain Bhi Kya Shikawa-E-Zamana Kahain Bhi Kya Dard Ka Fasana Jahaan Main Hain Laakh Dushman-E-Jaan Koi Masiha Nafas Nahin Hai Suni Hai Ahal-E-Junoon Ne Aksar Khamoshi-E-Marg Ki Sadaain Suna Ye Tha Kaarvan-E-Hasti Rahin-E-Baang-E-Jaras Nahin Hai Chaman Ki Aazadiyaan Muakhkhar Tasavvur-E-Aashiyan Muqaddam Gam-E-Asirihai Na-Mukammal Agar Gam-E-Khaar-O-Khas Nahin Hai Na Kar Mujhe Sharmsaar Naaseh Main Dil Se Majaboor Hoon Ki Jis Ka Hai Yoon To Kaun-O-Makaan Pe Qaabu Magar Mohabbat Pe Bas Nahin Hai Kahaan Wo Ummeed Aamad Aamad Kahan Ye Ifaae Ahad-E-Farda Jab Aitbaar-E-Nazar Na Tha Kuch Ab Aitbaar-E-Nafas Nahin Hai Vahin Hain Naghmain Vahi Hai Naale Sun Ai Mujhe Bhool Jaane Waale Teri Samaat Se Door Hoon Main Jabhi To Naalon Main Ras Nahin Hai Shakeel Duniya Main Jis Ko Dekha Kuch Us Ki Duniya Hi Aur Dekhi Hazaar Naqqaad-E-Zindegi Hain Magar Koi Nuktaaras Nahin Hai 0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Door Hai Manzil Raahain Mushkil Aalam Hai Tanhaai Ka Author: admin MAY 12 Door Hai Manzil Raahain Mushkil Aalam Hai Tanhaai Ka Aaj Mujhe Ehsaas Hua Hai Apni Shikastapaai Ka Dekh Ke Mujh Ko Duniya Wale Kahne Lage Hain Diwana Aaj Wahan Hai Ishq Jahaan Kuch Khauf Nahin Rusavaai Ka Chod Dain Rasm-E-Khudnigari Ko Tod Dain Apna Imaan Khatm Kiye Deta Hai Zaalim Roop Teri Angdaai Ka

Main Ne Ziya Husn Ko Bakhshi Us Ka To Koi Zikr Nahin Lekin Ghar Ghar Main Charcha Hai Aaj Teri Ranaai Ka Ahal-E-Hawas Ab Ghabraate Hain Doob Ke Behar-E-Gam Main Pehle Na Tha Bechaaron Ko Andaza Gehraai Ka 0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Gam-E-Ashiqi Se Keh Do Raah-E-Aam Tak Na Pahunche Author: admin MAY 12 Gam-E-Ashiqi Se Keh Do Raah-E-Aam Tak Na Pahunche Mujhe Khauf Hai Ye Tohmat Mere Naam Tak Na Pahunche Main Nazar Se Pee Raha Tha To Ye Dil Ne Baddua Di Tera Haath Zindegi Bhar Kabhi Jaam Tak Na Pahunche Nai Subah Par Nazar Hai Magar Aah Ye Bhi Dar Hai Ye Sahar Bhi Rafta Rafta Kahin Shaam Tak Na Pahunche Wo Nava-E-Muzamahil Kya Na Ho Jis Main Dil Ki Dhadkan Wo Sadaa-E-Ahale-Dil Kya Jo Awaam Tak Na Pahunche Unhen Apne Dil Ki Khabrain Mere Dil Se Mil Rahi Hain Main Jo Unse Ruth Jaaon To Payaam Tak Na Pahunche Ye Adaa-E-Beniaazi Tujhe Bewafa Mubarak Magar Aisi Berukhi Kya Ke Salaam Tak Na Pahunche Jo Naqaab-E-Rukh Utha Di To Ye Qaid Bhi Laga Di Uthe Har Nigaah Lekin Koi Baam Tak Na Pahunche Wahi Ik Khamosh Naghma Hai Shakeel Jaan-E-Hasti Jo Zubaan Tak Na Aaye Jo Qalam Tak Na Pahunche 1 Comment Filed under: Shakeel Badayuni Hangama-E-Gam Se Tang Aakar Izhaar-E-Musarrat Kar Baithe Author: admin MAY 12 Hangama-E-Gam Se Tang Aakar Izhaar-E-Musarrat Kar Baithe Mash-Hoor Thi Apani Zindadili Daanista Shararat Kar Baithe Koshish To Bahut Ki Humne Magar Paya Na Gam-E-Hasti Ka Mafar Viraani-E-Dil Jab Had Se Badi Ghabra Ke Mohabbat Kar Baithe Nazron Se Na Karte Pursish-E-Gham Khaamosh Hi Rehna Behtar Tha Diwano Ko Tumne Chhed Diya Wallaah Qayamat Kar Baithe Har Cheez Nahin Ek Markaz Par Ek Roz Idhar Ik Roz Udhar Nafrat Se Na Dekho Dushman Ko Shayad Ye Mohabbat Kar Baithe 0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Jeene Wale Qaza Se Darte Hain Author: admin MAY 12 Jeene Wale Qaza Se Darte Hain Zahar Peekar Dawa Se Darte Hain Shakeel

Zaahidon Ko Kisi Ka Khauf Nahin Sirf Kaali Ghata Se Darte Hain Aah Jo Kuch Kahe Hamain Manzur Nek Bande Khuda Se Darte Hain Dushmano Ke Sitam Ka Khuaf Nahin Doston Ki Wafa Se Darte Hain Azm-O-Himmat Ke Baawajud Shakeel Ishq Ki Ibtada Se Darte Hain 0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Kaise Kah Doon Ki Mulaqaat Nahin Hoti Hai Author: admin MAY 12 Kaise Kah Doon Ki Mulaqaat Nahin Hoti Hai Roz Milte Hain Magar Baat Nahin Hoti Hai Aap Lillaah Na Dekha Karain Aaina Kabhi Dil Ka Aa Jana Badi Baat Nahin Hoti Hai Chhup Ke Rota Hoon Teri Yaad Main Duniya Bhar Se Kab Meri Aankh Se Barsaat Nahin Hoti Hai Haal-E-Dil Puuchne Waale Teri Duniya Main Kabhi Din To Hota Hai Magar Raat Nahin Hoti Hai Jab Bhi Milte Hain To Kehte Hain Kaise Ho Shakeel Is Se Aage To Koi Baat Nahin Hoti Hai 0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Khush Hoon Ki Mera Husn-E-Talab Kaam To Aaya Author: admin MAY 12 Khush Hoon Ki Mera Husn-E-Talab Kaam To Aaya Khaali Hi Sahi Meri Taraf Jaam To Aaya Kaafi Hai Mere Dil Ki Tasalli Ko Yahi Baat Aap Aa Na Sake Aap Ka Paighaam To Aaya Apano Ne Nazar Pheri To Dil Ne To Diya Saath Duniya Main Koi Dost Mere Kaam To Aaya Wo Subah Ka Ehsaas Ho Ya Meri Kashish Ho Dooba Hua Khursheed Sar-E-Baam To Aaya Log Un Se Ye Kehte Hain Ki Kitne Hain Shakeel Is Husn Ke Sadqe Main Mera Naam To Aaya Aap

0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Mere Ham-Nafas, Mere Hamnawa, Mujhe Dost Banake Daga Na De Author: admin MAY 12 Mere Ham-Nafas, Mere Hamnawa, Mujhe Dost Banake Daga Na De Main Hoon Dard-E-Ishq Se Jaanvalab, Mujhe Zindegi Ki Dua Na De

Mere Daag-E-Dil Se Hai Roshni, Usi Roshni Se Hai Zindegi Mujhe Dar Hai Aye Mere Charagar, Ye Charaag Tu Hi Bujha Na De Mujhe Chod De Mere Haal Par, Tera Kya Bharosa Hai Chaaragar Ye Teri Nawaazish-E-Mukhtasar, Mera Dard Aur Bada Na De Mera Azm Itna Buland Hai Ke Paraaye Sholon Ka Dar Nahin Mujhe Khauf Aatish-E-Gul Se Hai, Ye Kahin Chaman Ko Jala Na De Wo Uthe Hain Leke Hom-O-Subu, Arey O Shakeel Kahaan Hai Tu Tera Jaam Lene Ko Bazm Main Koi Aur Haath Bada Na De 1 Comment Filed under: Shakeel Badayuni Meri Zindegi Hai Zaalim, Tere Gam Se Aashkara Author: admin MAY 12 Meri Zindegi Hai Zaalim, Tere Gam Se Aashkara Tera Gam Hai Dar-Haqeeqat Mujhe Zindegi Se Pyaara Wo Agar Bura Na Maane To Jahaan-E-Rang-O-Bu Main Main Sukun-E-Dil Ki Khaatir Koi Dhoondh Loon Sahara Ye Fulak Fulak Hawaain Ye Jhuki Jhuki Ghataain Wo Nazar Bhi Kya Nazar Hai Jo Samajh Na Le Ishaara Mujhe Aa Gaya Yaqin Sa Yahi Hai Meri Manzil Sar-E-Rah Jab Kisi Ne Mujhe Daffatan Pukaara Main Bataaon Farq Naasih, Jo Hai Mujh Main Aur Tujh Main Meri Zindegi Talaatum, Teri Zindegi Kinaara Mujhe Guftagu Se Badkar Gam-E-Izn-E-Guftagu Hai Wahi Baat Poochte Hain Jo Na Kah Sakun Dobara Koi Aye Shakeel Dekhe, Ye Junoon Nahin To Kya Hai Ke Usi Ke Ho Gaye Ham Jo Na Ho Saka Hamaara 1 Comment Filed under: Shakeel Badayuni Meri Zindegi Pe Na Muskara Mujhe Zindegi Ka Alam Nahin Author: admin MAY 12 Meri Zindegi Pe Na Muskara Mujhe Zindegi Ka Alam Nahin Jise Tere Gam Se Ho Vaasta Vo Khizaan Bahaar Se Kam Nahin Mera Kufr Haasil-E-Zuud Hai Mera Zuud Haasil-E-Kufr Hai Meri Bandegii Wo Hai Bandegii Jo Rahin-E-Dair-O-Haram Nahin Mujhe Raas Aaye Khuda Kare Yahi Ishtibaah Ki Saaten Unhe Aitabar-E-Wafa To Hai Mujhe Aitbaar-E-Sitam Nahin Wahi Kaarwaan Wahi Raaste Vahi Zindegi Wahi Marahale Magar Apne-Apne Muqaam Par Kabhi Tum Nahin Kabhi Ham Nahin Na Wo Shaan-E-Jabr-E-Shabaab Hai Na Wo Rang-E-Qahar-E-Itaab Hai Dil-E-Beqaraar Pe In Dino Hai Sitam Yahi Ki Sitam Nahin Na Fanaa Meri Na Baqa Meri Mujhe Ai Shakeel Na Dhoondiye

Main Kisi Ka Husn-E-Khayaal Hoon Mera Kuch Vajuud-O-Adam Nahin 1 Comment Filed under: Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Author: admin MAY 12 Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Dard Ban Kar Chaa Rahi Shakeel Badayuni Un Ki Yaad

Un Ki Yaad Hai Un Ki Yaad

Ishq Se Ghabraa Rahi Hai Un Ki Yaad Rukte Rukte Aa Rahi Hai Un Ki Yaad Vo Hanse Vo Zer-E-Lab Kuch Kah Uthe Khwaab Se Dikhala Rahi Hai Un Ki Yaad Main To Khuddaari Ka Qaail Hoon Magar Kya Karoon Phir Aa Rahi Hai Un Ki Yaad Ab Khayaal-E-Tark-E-Rabt Zabt Hi Se Hai Khud Ba Khud Sharma Rahi Hai Un Ki Yaad 0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Shaayad Aaghaz Hua Phir Kisi Afsaane Ka Author: admin MAY 12 Shaayad Aaghaz Hua Phir Kisi Afsaane Ka Hukm Aadam Ko Hai Jannat Se Nikal Jaane Ka Un Se Kuch Kah To Raha Hoon Magar Allaah Na Kare Wo Bhi Mafahoom Na Samjhe Mere Afasaane Ka Dekhna Dekhna Ye Hazrat-E-Vaaiz Hi Na Hoon Raasta Pooch Raha Hai Koi Maikhaane Ka Betaalluq Tere Aage Se Guzar Jaata Hoon Ye Bhi Ek Husn-E-Talab Hai Tere Deewane Ka Hashr Tak Garmi-E-Hangama-E-Hasti Hai Shakeel Silsila Khatm Na Hoga Mere Afsaane Ka 0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Shikvaa-E-Iztaraab Kaun Kare Author: admin MAY 12 Shikvaa-E-Iztaraab Kaun Kare Apani Duniya Kharaab Kaun Kare Gin To Lete Hain Ungliyon Pe Gunaah Rahmaton Ka Hisaab Kaun Kare Ishq Ki Talkh Kaamiyon Ke Nisaar Zindegi Kaamyaab Kaun Kare Daawat-E-Maykashi Un Aankhon Main Jurrat-E-Iztaraab Kaun Kare Dil Ka Aaina Saamne Laakar

Tujh Ko Tera Jawaab Kaun Kare Ham Se Maykash Jo Tauba Kar Baithe Phir Ye Kaar-E-Sawaab Kaun Kare Garq-E-Jaam-O-Sharaab Hoke Shakeel Shugl-E-Jaam-O-Sharaab Kaun Kare 0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Tamheed-E-Sitam Aur Hai Takameel-E-Jafa Aur Author: admin MAY 12 Tamheed-E-Sitam Aur Hai Takameel-E-Jafa Aur Chakhne Ka Mazaa Aur Hai Peene Ka Mazaa Aur Taasir To Taasir Tasavvur Hai Gurezaan Raaton Ko Zaraa Maangiye Uth Uth Ke Dua Aur Dono Hi Bina-E-Kashish-O-Jazb Hain Lekin Nagmon Ki Sada Aur Hai Naalon Ki Sada Aur Takraa Ke Vahin Toot Gaye Shisha-O-Saagar Maikhvaaron Ke Jhurmut Main Jo Saaqi Ne Kaha Aur Wo Khud Nazar Aate Hain Jafaaon Pe Pashemaan Kya Chaahiye Aur Tum Ko Shakeel Is Ke Siva Aur 0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Teri Mehafil Se Uthkar Ishq Ke Maaron Pe Kya Guzri Author: admin MAY 12 Teri Mehafil Se Uthkar Ishq Ke Maaron Pe Kya Guzri Mukhalif Ik Jahaan Tha Jaane Bechaaron Pe Kya Guzri Sahar Ko Rukhsat-E-Bimaar-E-Furqat Dekhne Waalo Kisi Ne Ye Bhi Dekha Raat Bhar Taaron Pe Kya Guzri Suna Hai Zindegi Viraaniyon Ne Luut Li Milakar Na Jaane Zindegi Ke Naaz-Baradaaron Pe Kya Guzri Hansi Aai To Hai Bekaif Si Lekin Khuda Jaane Mujhe Masruur Paakar Mere Gamkhvaaron Pe Kya Guzri Asir-E-Gam To Jaan Dekar Rihaai Paa Gaya Lekin Kisi Ko Kya Khabar Zindaan Ki Divaaron Pe Kya Guzri 0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Tum Ne Ye Kya Sitam Kiya Zabt Se Kaam Le Liya Author: admin MAY 12 Tum Ne Ye Kya Sitam Kiya Zabt Se Kaam Le Liya Tark-E-Wafa Ke Baad Bhi Mera Salaam Le Liya Rindaa-E-Kharaab-E-Naush Ki Be-Adabi To Dekhiye Niyat-E-Maykashi Na Ki Haath Main Jaam Le Liya Sehan-E-Chaman Main Daffatan Aake Palat Gai Bahaar

Ahal-E-Junoon Ne Gaaliban Aql Se Kaam Leliya Naama-E-Shauq Pad Ke Wo Kho Gaye Yakbayak Shakeel Muunh Se To Kuch Na Kah Sake Dil Se Payaam Le Liya 1 Comment Filed under: Shakeel Badayuni Un Se Ummid-E-Runumaai Hai Author: admin MAY 12 Un Se Ummid-E-Runumaai Hai Kya Nigaahon Ki Maut Aai Hai Dil Ne Gam Se Shikast Khaai Hai Umr-E-Rafta Teri Duhaai Hai Dil Ki Barbadiyon Pe Nazaan Hoon Fatah Paakar Shikast Khaai Hai Mere Maabad Nahin Hai Dair-O-Haram Ehatiyaatan Jabin Jhukaai Hai Wo Hawa De Rahe Hain Daaman Ki Haaye Kis Waqt Nind Aai Hai Khul Gaya Un Ki Aarzu Main Ye Raaz Zeest Apni Nahin Paraai Hai Door Ho Gunche Meri Nazar Se Tu Ne Meri Hansi Churaai Hai Gul Fasurda Chaman Udaas Shakeel Yun Bhi Aksar Bahaar Aai Hai 0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Ye Aish-O-Tarab Ke Matwaale Bekaar Ki Baatain Karte Hain Author: admin MAY 12 Ye Aish-O-Tarab Ke Matwaale Bekaar Ki Baatain Karte Hain Paayal Ke Gamon Kaa Ilm Nahin Jhankaar Ki Baatain Karte Hain Naahak Hai Hawas Ke Bando Ko Nazaara-E-Fitrat Ka Daava Aankhon Main Nahin Hai Betaabi Deedar Ki Baatain Karte Hain Kehte Hain Unhin Ko Dushman-E-Dil Naam Unhin Ka Naaseh Bhi Wo Log Jo Rah Kar Saahil Par Majhdhaar Ki Baatain Karte Hain Pahunche Hain Jo Apni Manzil Par Un Ko To Nahin Kuch Naaz-E-Safar Chalne Ka Jinhe Maqadoor Nahin Raftaar Ki Baatain Karte Hain 1 Comment Filed under: Shakeel Badayuni Zamin Pe Fasl-E-Gul Aai Falak Par Mahtab Aaya Author: admin MAY 12 Zamin Pe Fasl-E-Gul Aai Falak Par Mahtab Aaya Sabhi Aaye Magar Koi Na Shaayan-E-Shabaab Aaya Mera Khat Padh Ke Bole Naamabar Se Ja Khuda Haafiz

Jawab Aaya Meri Qismat Se Lekin Lajawab Aaya Ujaale Garmi-E-Raftaar Ka Hi Saath Dete Hain Basera Tha Jahaan Apna Vahin Tak Aaftab Aaya Shakeel Apne Mazaaq-E-Deed Ki Takamil Kya Hoti Idhar Nazaron Ne Himmat Ki Udhar Rukh Par Naqaab Aaya 0 Comments Filed under: Shakeel Badayuni Zindegi Ka Dard Lekar Inqalaab Aaya To Kya Author: admin MAY 12 Zindegi Ka Dard Lekar Inqalaab Aaya To Kya Ek Joshida Pe Gurbat Main Shabaab Aaya To Kya Ab To Aankhon Par Gam-E-Hasti Ke Parde Pad Gaye Ab Koi Husn-E-Mujassim Benaqaab Aaya To Kya Khud Chale Aate To Shayad Baat Ban Jaati Koi Baad Tark-E-Aashiqi Khat Ka Jawaab Aaya To Kya Muddaton Bichade Rahe Phir Bhi Gale To Mil Liye Ham Ko Sharm Aayi To Kya Un Ko Hijaab Aaya To Kya Ek Tajalli Se Munawwar Kijiye Qatl-E-Hayaat Har Tajalli Par Dil-E-Khana Kharab Aaya To Kya Matlaa-E-Hasti Ki Saazish Dekhte Ham Bhi Shakeel Ham Ko Jab Neend Aa Gayi Phir Mahtab Aaya To Kya 1 Comment Filed under: Shakeel Badayuni About Urdu Poetry Shayari Portal Urdu Poetry Shayari is one stop portal to get latest urdu shayari, hindi urdu sh ayari, love urdu shayari, sad urdu shayari, romantic urdu shayari, urdu sher o s hayari, friendship urdu shayari, urdu mushaira and urdu ghazals written by great poets from all over the world.

Das könnte Ihnen auch gefallen